UPDATE*81
Vo vahi khade hokar charo or ghum ghum kar dekh raha tha….uski saanso ki awaz itni tez thi ki hame apne kaan me hath lagana pad raha tha…..
Tabhi kisi ko chheenk aa gayi….aur phir …….
Ab Aage................
Vo bhayanak si cheez hamari or aane lagi…andhera hone ke karan uska chehra to dikhayi nahi de raha tha…lekin badi badi laal chamkili ankhe dikhayi de rahi thi…..
Vo bilkul hamare samne aake khada ho gaya….tabhi koi darr ke bhaga vaha se jise usne turant pakad ke utha liya aur muh me bhar ke khane laga hath ya pair jo bhi ho..
Jisse uss bhagne vale admi ki cheekh nikal gayi joro se.. usko maarne ke baad vo phir se palat ke hamari taraf aa gaya…..
Is baar uska pair avni ke hath ke upar pad gaya jisse avni jor se dard me chilla uthi…..
Usne turant niche jhuk kar avni ko jor se khich liya gaddhe ke bahar…avni jor jor se rote huye chillaye ja rahi thi madad ke liye….
Avni ki ye haalat mujhse nahi dekhi gayi to mai divya ko alag karke bahar uske samne aa gaya….mere pichhe veer bhi nikal aaya…..
Mai—veer torch jalao…..
Veer ne fauran torch on karke uski roshni uss bhayanak se lagne vale ke chehre par focus kar di…..
Uske chehre par light padte hi jo nazar aaya use dekhkar sabhi ki cheekh nikal gayi…..sab buri tarah se darr gaye
Ye ek gorilla tha jiske muh me khoon laga hua tha….. poore sharir bade ghane baalo se dhaka hua tha…. Uski height lagbhag 7 feet to hogi hi…..nakhun badhe huye
Avni ab aur bhi jor se cheekhne lagi….
Mai—avni himmat se kaam lo ...mai hu na...kuch nahi hoga tumhe...
Maine veer ko ankho hi ankho me kuch ishara kiya....to veer ne torch ki light off kar di....
Veer ne achanak torch phir se on karke uski ankho me is baar focus ki jisse vo kuch vichlit sa ho gaya…..
Maine iska fayda uthate huye jor se chaku uske seene ke aar paar kar diya…..
Vo dard me tadapne laga aur avni par se uski pakad dhili pad gayi….jaise hi uski pakad halki huyi maine fauran avni ko uske changul se nikal liya…..
Aur jaldi jaldi uske seene me chaku se 8-10 vaar kar diye vo ludhak ke niche gir gaya…..is douran veer ne uski ankho par torch ki light lagaye rakhi…..
Akhir kuch der dard me chillate huye usne apna dam tod diya…..
Avni doud kar rote huye mere seene se lipat gayi….
Mai—daro mat vo ab mar chuka hai…..
Sonu—Thank god baal baal bache...nahi to ye ganja gorilla to aaj hame nipta hi diya tha….
Veer—chalo khatra tal gaya….
Mai—nahi veer khatra abhi tala nahi hai….shayad tumne bhi dhyan diya hoga ki ped se kayi log niche kude the…
Veer—ha yaar to ab kya kare…
Mai—hame koi safe jagah dhudni hogi…raat gujarne ke liye….
Monu---ha nahi to ham is gorilla se to bach gaye…abhi na jane koun yaha mil jaye aur hame chat kar le….
Mohan—aur vaise bhi yaha itni thand hai ki ham bahar rahe to subah tak thand se hi mar jayenge….
Veer—lekin is jungle me safe jagah kaha milegi…
Mai—chalo chalte huye dekhte hain….
Avni—thanks raj....agar tum nahi hote to....
Mai—magar mai hu na….to no tension…
Veer—arey bhai tum log koun ho….aur yaha kaise…
Veer ki bato se mera dhyan bhi un logo par gaya jo abhi kuch der pahle hi hame yaha mile….
Ek ladka—ham log yaha camping ke liye aaye the…. Kul 25 log the jinme se 8 maare gaye….aur ha mera naam sameer rajput hai
Ham sab—kyaaaaa….8 log maare gaye….kaise…..
Ham sab chounk gaye kyon ki hame to kewal 3-4 cheekhe hi sunayi di thi….
Sameer—pata nahi pahle to sab theek tha….lekin andhera jyada hone ke baad ham sab pedo me baithe the tabhi na jane kaha se 20-25 log aa gaye …vo kab ped par chadhe malum hi nahi hua….
Veer—Phir—
Sameer(chalte huye)—unme se kuch logo ke pass teer the jisse achanak hamla kar diya….ham kuch samajh pate tab tak vo hamare char sathiyo ki gardan kaat ke unka khoon pine lage…ye dekh ham darr kar vaha se bhag nikle….
Mai—unhone pichha nahi kiya tum logo ka….aur baki char vo kaise mare....
Sameer—vo hamare pichhe bhage lekin tabhi is darinde ko dekh vo kahi pedo me chhup gaye...baki char ko ye kha gaya......
Veer—iska matlab vo sabhi nar bhakshi log the....aur ho sakta hai abhi bhi yahi kahi chhupe ho....
Mai—ha veer tum theek kah rahe ho......
Ham chalte chalte pata nahi kaha nikal aaye jungle ke andar….tabhi hame kuch nazar aaya….jise dekh kar Divya ki jaan halak me atak gayi…….
Divya—omg……nahi….ye nahi ho sakta………..
Vahi dusri taraf……
“Hahahaha….Swagat hai mere Saajan ….mere mehboob tujhe salaam……Pari ki is Maya nagri me apka swagat hai mere sartaj”……."Divya Bacha sako to bacha lo ab apne saajan ko....koi nahi bachega....hahaha"
Now Begins Real Khatra Unlimited Zone
**************************************************************
Kya Pari Maar Payegi Raj ko...?
Kya Divya Bacha Payegi apne Saajan ko...?
Koun hai ye Pari ...Kya hai iska Raaz....?
Kya hoga Payal aur Ruchi ka....?
Kya karega The Bad Man....?
Janne ke Liye Next Update...'SAAJAN'
Next Update Will be a Story Turning Update .......