• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest SAAJAN

What do you Think About this Story...??

  • Good

    Votes: 84 26.3%
  • Better

    Votes: 25 7.8%
  • Best

    Votes: 201 63.0%
  • Bad

    Votes: 2 0.6%
  • Worse

    Votes: 0 0.0%
  • Worst

    Votes: 7 2.2%

  • Total voters
    319
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

Akil

Well-Known Member
3,093
8,479
158
SAAJAN
UPDATE- 278

Usne darte huye apni nazar ko kamre ke charo taraf ghuma kar dekha magar kahi koi bhi nazar nahi aaya…uske hath pair darr aur khauf ke karan thar tharane lage the…uska dil kar raha tha ki vo jor jor se chilla kar bahar khade sainiko ko madad ke liye andar bula le kintu uski juban hi sath nahi de rahi thi..shabd gale se bahar nikal hi nahi pa rahe the..

Senapati (kampte huye, awaz gale ke andar hi)—kkkkkk….koun…haiiiiii…..?

Senapati abhi aage kuch aur soch ya kah pata ki usse pahle hi kisi ne usko pakad kar upar khich liya aur jaise hi uski nazar upar ko huyi to dekhte hi uski ruh kaamp uthi….

Ab Aage……

Senapati ke kuch aage kah pane se pahle hi kisi ne usko gardan se pakad kar upar ki taraf achanak khich liya…ye sab itna jaldi hua ki usko kuch dekhne ya samajhne ka samay hi nahi mila…gardan buri tarah se daboche jane ke karan usko saans lene me dikkat pesh aane lagi to usne jaise hi apni nazar upar ki taraf ghumayi to dekhte hi uski ruh kaamp gayi.

Upar jhumar par chipke huye bhayanak shakhs ko dekh kar senapati ki haalat kharab ho gayi….uss shakhs ka poora chehra baalo se dhanka hua tha….use apni mout samne nazar aane lagi…uska poora jism darr ki vajah se thar thar kaampne laga.

Senapati (kaampte huye)—kkkkk….koun hoooo….tummmm…..? maine…. tumhara…..kya….bigada…hai….? mujhe….chhod..do..

Lekin uss shakhs ne senapati ki baat ka jawab dene ki jagah apne bade bade nukile nakhun uski gardan ke aar paar kar diye aur phir ek jhatke me hi uski gardan uske jism se ukhad liya jisse baki ka hissa dhadam se niche gir gaya…ek jor dar cheekh se poora bhavan goonj utha…kintu uski ye cheekh bhavan ke andar hi dafan ho kar rah gayi…uska jism kuch der tadapta raha aur phir shant ho gaya…..usne senapati ke sir ko jhumar me hi taang diya….kamre me khoon hi khoon phail chuka tha.

Shakhs (bhayanak bhari awaz me)—hahahahahaahaha…..

“Mout Se Bhi Bhala Koi Bacha Hai Aaj Tak.”
Vo bhayanak shakhs vaha se gayab ho kar mahal me aa gaya...aur phir dhire dhire uska roop badalne laga...lekin ye kya,.. ? ye to sandhya hai....mahal me pahuch kar vo sidhe apne kaksh me chali gayi aur bistar me let gayi.

Sandhya (mann me)—saajan, sirf mera shikar hai...use mout kewal main hi dungi....mere alawa jo bhi saajan ko maarne ki koshish karega, uska yahi anzaam hoga...maregi vo rajkumari janhavi bhi maregi....saajan sirf mera hai...phir chahe uski zindagi ho ya chahe mout...saajan kizindagi aur mout par sirf mera adhikar hai.

Phir ye sab sochte huye vo so gayi...agle din jab meri neend khuli to mahal me kafi dahshat ka mahoul tha….hum sabhi apni apni dincharya se nivratt ho kar naste ki table par aa gaye jaha sabhi hamara intazar kar rahe the...unke chehro par ghor nirasha ke baadal chhaye huye the.

Maharaj—aaiye saajan, hum aap ka hi intazar kar rahe the..

Raj—dhanyawad maharaj, kintu aap ke mukh mandal par ye nirasha ke bhaav kyo dikh rahe hain…? Agar aap uchit samjhe to bina jhijhak bata sakte hain..

Maharaj—kya batau saajan…? Hamare senapati ki badi hi nirmam hatya kar di gayi hai…

Sab (shocked)—kyaaaaaaa….?

Raj (hairan)—lekin kab…? Kal to vah bilkul swasth dikh rahe the…

Maharaj—abhi kuch samay pahle hi sainiko ne suchna di hai ki raat me vo apne bhavan me vishram kar rahe the…aaj subah jab senapati apne bhavan se bahar nahi nikla to sainiko ne unhe uthane ke uddeshya se andar gaye jaha unko mrit paya gaya..kisi ne badi hi nirdayta se senapati ka sir kaat kar usko jhumar par latka diya.

Raj—koun kar sakta hai aisa…?

Maharaj—rajya me sabhi senapati se darte the...kisi me bhi itni himmat nahi ki vah uski hatya karne ki soch bhi sake..

Maine ek nazar veer ki taraf dekha to usne mera aashay samajhte huye na me gardan hila di.. phir maine mrinal aur payal didi ki taraf dekha..lekin unhone bhi na me gardan hila di.

Raj—kahi apka shaq hamare upar to nahi hai, maharaj.... ?

Maharaj—nahi saajan, aapke upar mera koi sandeh nahi hai..kyon ki jaha tak saajan ko jitna main janta hu, vo senapati ko khule aam maarta, na ki raat ke andhere me chori chhupe...

Hum nasta karne ke pashchat apne room me aa gaya...mere piche sabhi aa gaye...senapati ki hatya se vo sab bhi hairan thi.. sab ke mann me payal didi ke prati hi doubt tha.

Payal—hihihi…chalo achcha hi hua ki sala harami marr gaya…nahi to main khud hi maar deti usko..

Veer—lekin ek baat samajh me nahi aayi yaar ki senapati ko na maine mara, na payal didi ne to phir mara kisne..? kahi yamraj to…?

Raj—jo bhi hua theek hi hua..khair chhodo uss baat ko…mujhe aaj nikalna bhi hai vrihadpur ke liye..

Payal (ghur kar)—‘mujhe nikalna hai’ se kya matlab hai tera…?

Raj—mera matlab ye hai ki main vaha akela hi jaunga…baki sab yaha mahal me rukoge..

Divya—nahi…aisa hargij nahi ho sakta…main to jaungi hi jaungi…

Payal—main bhi chalungi tere sath…tujhe akele to chhod hi nahi sakti main.. tera kya bharosa, rajkumari ko dekhte hi kahi uss kalmuhi se vahi shadi na kar le tu…agar tune socha bhi na aisa vaisa kuch to …main uski gardan hi kaat dungi..

Sandhya—didi, main bhi apki baat se sahmat hu..

Mamta—dekh beta, hum bhi tere sath hi jayenge…ye mera akhiri faisla hai..

Raj—maa, vaha bahut khatra hai..

Paridhi—lekin qile ka tilism to toot gaya hai na, phir ab kaisa khatra... ?

Raj—asli khatra to ab hi hai…maine kaha bhi to tha ki sirf tilism ka kuch hissa hi toota hai isliye hi maine uss murti ko ussi khandit avastha me chhod kar aaya tha vaha jisse ki koi shakti vaha se bahar na nikal sake aur na hi koi andar ja sake.

Veer—dekh raj, tune mujhse pahle hi bahut kuch chhupaya hai..ab aur nahi…main teri koi baat nahi sunne wala ab ki baar…

Ruchi—veer theek bol raha hai…

Raj—lekin yaar, main aap sab ki jaan ko khatre me nahi daal sakta…

Mamta—to kya mere faisle ki koi value nahi rahi teri nazar me ab beta... ?

Raj—maa, aisa mat bolo...apka faisla sir ankho par...theek hai jaisi aap sab ki marzi...

Avni—lekin mummy aur nani ka kya karenge... ? kya inhe le jana theek rahega... ?

Payal—karna kya hai...ye kulhadi hai na... ? dono ka raam naam satya hai aaj kar hi deti hu....jab dekho ye dono budhiya beech me taang ghusane chali aati hain..

Payal didi ne gusse me dono ko maarne ke liye kulhadi upar ki hi thi ki maine unko pakad liya aur aisa karne se mana kiya..payal didi ki harkat se sabhi darr hi gaye the..khas kar vidya aur nani to dahshat me hi aa gayi thi.

Raj—hum inhe yahi mahal me maharaj aur maharani ki dekh rekh me chhod jayenge...inka vaha jana bilkul bhi uchit nahi hoga.

Madhu—haan, ye theek rahega..

Raj—chalo pahle maharaj aur maharani se jane ki permission to le le.

Sab chalne ke liye ready hone lagi...maharani ne sabhi ko pahanne ke liye sundar sundar aabhusan aur kapde diye the.

Priyadarshini--divya, tum taiyar nahi ho rahi ho...? tumne to koi shringar hi nahi kiya, kyo...?

Divya--mera asli shringar to mera saajan hai...ye nakli shringar kar ke main kya karungi...meri iss kratrim shringar me koi ruchi nahi hai.

Sab saj bhaj kar mere paas aa gayi...sirf divya bhar ne koi shringar nahi kiya tha...lekin iske bavjud bhi vo sab par bhari thi...Uske baad hum sab maharaj aur maharani se milne unke kaksh me aa gaye aur unse jane ki ijajat mangi.. sath me unhe vidya aur nani ki suraksha ka dayitva bhi sounp diya.

Maharaj—agar aap kuch din aur rukte to achcha rahta...main aaj hi apka rajyabhishek karne ki soch raha tha..

Raj—maharaj, mujhe rajkumari aur iss rajya se ab tak gayab huye logo ko mukt karana hai...main to iss samay ye bhi nahi janta ki unme se koun koun jivit hoga... ? phir vrihadpur ko bhi to punah abaad karna hai..isliye mujhe jane ki anumati dijiye..

Maharani (bhavuk)—meri putri zinda to hogi na saajan... ?

Raj—maharani, main abhi iss vishay me kuch bhi kahne me asmarth hu…kintu agar rajkumari janhavi jivit huyi to main unhe avashya hi aapke paas le kar loutunga.

Maharaj—theek hai saajan…main apke vrihadpur jane ka intazam kiye deta hu jisse aap sab ko vaha tak pahuchne me kisi bhi asuvidha ka samna na karna pade…

Maharani—aap inn dono ki tanik bhi chinta na kare, aaj se ye iss raj pariwar ka hissa ban kar yaha rahengi..

Raj—aap dono ka koti koti dhanyawad.

Uske baad maharaj ne hamare vrihadpur jane ke liye rath aadi ki vyavastha kar di…hum pahle ki bhanti hi unn par sawar ho kar mahal se apne agle lakshya ki taraf prasthan kar chale….vrihadpur ki seema tak pahuchte pahuchte shaam ho chali thi…maine sab ko vahi utar kar unn ratho ko vapis bhej diya.

Kajal—inhe yahi se kyo vapis bhej diya…kya hum vrihadpur pahuch gaye…?

Divya—ye vrihadpur ki seema hai…thoda aage chalne par vrihadpur rajya ki seema shuru ho jayegi..

Chandni—lekin yaha to door door tak koi gaon ya ghar ya city nahi dikh rahi hai..

Chanchal—city ya gaon to bahut door, koi admi yaha tak ki pashu pakshi bhi nazar nahi aa rahe hain…bas aag me jale huye pedo ke alawa kuch dikh hi nahi raha hai..

Roopaly—mujhe to abhi se hi darr lagne laga hai..

Raj—chalo aage chalte hain…samay barbad mat karo…yaha kabhi bhi kuch bhi ho sakta hai..isliye apne charo taraf dhyan rakhna..

Hum aage badhte huye vrihadpur ki seema me pravesh kar gaye…hamare seema ke andar aate hi mousam ne bhi apna rang badalna shuru kar diya…chalte huye hum uss gaon ke karib pahuch gaye jaha pahle bhi aa chuke the….

Shaam dhal rahi thi…aas maan poora kala pad chuka tha…jaise kisi ne kaale rang ki shishi udel di ho…shayad barish bhi aane ko bekarar thi…Dekhte hi dekhte ghane aur kaale baadlo ne gaon ko apni agosh me le liya tha...shaam ke samay hi aisa prateet ho raha tha ki maano raat ke kaale saaye ne dastak de di ho…barsat bhi prarambh ho chuki thi.

Sab ke mann me darr ne ghar banana shuru kar diya tha…har pal unhe aisa lagta jaise ki koi unke piche piche chal raha ho..par palat kar dekhne par siway andhere ke kuch nahi dikhyi deta tha.

Mamta—ye barish kaha se aa gayi achanak…?

Mitaly—ha raj, pahle iss barish se bachne ka intazam kar...nahi to hum sab vaise hi thand me marr jayengi

Divya—yaha kahi bhi rukna khatre se khali nahi hai..

Geeta—badi hi manhoos jagah hai ye..

Main unki baato ko ignore karte huye aage badhta raha…tabhi thodi door chalne par kahi door se roshni aati dikhi to hum jaldi jaldi kadam badhane lage….

Thoda nazdik ja kar dekha to ek khule makan me lalten jal rahi thi aur ussi se ye roshni aa rahi thi…andar se kuch ajib si gandh aa rahi thi aur ajib si chap chap ki awaz bhi.

Soniya—yaha kaha chhupenge…ye to poora makan hi open hai…?

Ruchi—itni barish aur hawa me bhi lalten jal rahi hai…kitni hairani ki baat hai…?

Avdhesh—chahe jo bhi ho, par barish se bachne ke liye kahi chhupna to padega hi…to yahi sahi..

Mrinal—yaha badbu kitni aa rahi hai…? (veer ki taraf dekh kar)…ye chota balatkari, kahi ye gandi hawa tu to nahi phaila raha hai…?

Veer—chup kar pagal…kuch bhi bina soche bol deti hai..

Abhi ye sab baate kar hi rahe the ki tabhi andar se kuch khatpat ki awaz aayi aur phir achanak…..

(2185 Words)
Toh yeh yamraj pari hi nakli hmm.....
Isne ab senapati ka bhi kaam tamaam kar diya hmm that's nice....
Kia raj ko pata hai is yamraj ke baare mein?
Ab dekhte hn aage kia kia hona hai is janam ki rahasyatmak love story mein?
Yeh rajkumaari jhanvi kaun hai bhai iska sajan divya aur pari se kia sambandh hai....?
 
Last edited:

Sp bala

Active Member
631
1,222
123
Wow , back to brindhapur , firse mayajaal and tilsm suru , ab dekhte hai mahal ka tilsm inke saath kya kya khel khel ta hai ....

Ek aur raaz se parda uth gaya , raaj and veer ke alawa jo maar ke gayab ho jata hai oh aur koi nahi hai balki sandhya urf pari hai , waiting for next ....
 
  • Like
Reactions: anandsngh12

Naughtyrishabh

Well-Known Member
9,684
29,050
218
Behad hi shandar or jabardast update bhai.
Bahut khoob superb.

Aage ka intjaar


SAAJAN
UPDATE- 213
5th Janam Ki Love Story Continues....

Jitu (mann me)—divya abhi tak aayi kyo nahi... ? kahi vah so to nahi gayi hogi... ? ya phir vah mujhse pahle hi yaha aayi ho aur mujhe vatika me na pa kar nirash ho ke yaha se chali gayi ho... ? usko dekhe bina meri ye raat kaise gujregi... ? kahi usne raat me yaha milne ke liye bulane par mere baare me apne mann me kuch galat to nahi soch liya... ? ajib hai ye ishq bhi..

"Kisi Ko Ishq Ki Achchhayi Ne Maar Dala,
Kisi Ko Ishq Ki Gaharayi Ne Maar Dala,
Kar Ke Ishq Koi Na Bach Saka,
Jo Bach Gaya Use Tanhayi Ne Maar Dala.”

Ye sab tarah tarah ki baate sochte huye mera mann divya ki ek jhalak paane ke liye atyant vyakul hota ja raha tha...vatika me charo taraf chaandni raat ki madhyam sheetal roshni phaili huyi thi...mera mann adhir hota ja raha tha aur tabhi mujhe uss chandni raat ki roshni me kisi ki parchhayi apni oar badhti nazar aayi.

Ab aage…..

Uss parchhayi ko apne karib aate dekh kar ek bar phir se meri dhadkane tez ho gayi aur mann me ek darr ye bhi tha ki kahi koi aur na ho, kintu jaise hi vo parchhayi mere bilkul nazdik aa gayi to mera dil khushi se jhum utha kyon ki ye mere dil ki dhadkan divya hi thi.

Divya mere pass aa kar ek bar nazare ghuma ke apne charo taraf dekha ki koi idhar hai to nahi, jab usko santosh ho gaya ki yaha hum dono ke atirikt aur koi nahi hai to vah sir jhuka ke khadi ho gayi….aur main divya ke khubsurat chehre ko dekhne me hi kho gaya.

Divya ne apni nazar upar uthayi to mujhe apni taraf ektak taktaki lagyaye dekhte dekh kar sharam se apni nigahe phir se jhuka li kintu haal to uske dil ka bhi mujhse alag nahi tha…vah chah kar bhi apni nazar jyada der tak niche nahi kar pa rahi thi..mujhe dekhti aur phir jhuka leti…yahi kram nirantar chalne laga.

Divya (mann me)—mujhe aise mat dekhiye…nahi to main laaz aur sharam se hi mar jaungi..lekin main bhi to apko niharne ka moh chhod nahi pa rahi hu…ye ankhe barbas hi apki taraf uth hi jati hain..

"Na Jane Kya Kashish Hai, Unki Madahosh Ankho Mein,
Nazar Andaz Jitna Bhi Karo, Nazar Unhi Pe Hi Padti Hai."

Mujhe kuch na bolte dekh divya andar hi andar vyakul hone lagi…lekin mera poora dhyan to divya ke chaand jaise mukh mandal par hi kendrit ho kar rah gaya tha.

Divya (vyakul)—aapne mujhe yaha kyu bulaya hai itni raat me….?

Jitu—tum bahut khubsurat ho divya…tumhari sundarta ke samne to aas maan ke chandrama ki sundarta bhi phiki lagti hai..ek chaand upar meel gagan me hai jo har jagah apni sheetal roshni bikher raha hai aur dusra chaand iss samay mere samne hai jise dekh kar mere mann mandir me prakash hi prakash bhar gaya hai.

Divya (nazare jhukaye)—main to sirf ek samanya ladki hu…mujhme itni roshni bhala kaha se ayegi…? Aap to yu hi meri tarif kar rahe hain…

Jitu—tu koi sadharan ladki ho hi nahi sakti divya….tumhe dekhne ke baad mere shant mann me prem ki lahre uthne lagi hain.. aisa lagta hai jaise ki kisi ne shant sarovar me kankad maar diya ho….har pal bas tumhara hi khyal hriday me rahta hai…main bhi tumhare prem me vaise hi pyasa ho kar tumse milne ki raas dekhta rahta hu jaise ki chakor pakshi ek boond ki aas me uss chaand ko dekhta rahta hai…tumse milne ke baad ye dil kewal tumhare liye hi dhadakta hai..aisa lagta hai ki tumhare bina mera koi astitva hi nahi hai..

Divya (mushkura kar)—itni achchi baate karna aapne kaha se sikhi…? Aap bhi to mujhe koi sadharan manav nahi lagte…kyon ki iss ashram ke andar tak koi sadharan vyakti pravesh kar hi nahi sakta hai…

Jitu—main to ek yachak hu divya..jo tumhare samne apne prem ki yachna le kar aaya hai…(ghutno par baith kar)..mujhe prem ka daan de do divya…

Divya (ghabra kar)—ye aap kya kar rahe hain…? Aap to jante hi hain ki main apne palak pita rishi kanva ke adhin hu..aur main to apka naam tak bhi janti nahi abhi…

Jitu—kya kisi se prem karne ke liye naam ka janna itna avashyak hai divya….?

Divya—(no response)

Jitu—agar tumhe mera prem swikar nahi hai to chinta mat karo..main tumhe jabardasti mera prem swikar karne ke liye koi dabav nahi dunga…

Divya—nahi..aisi baat nahi hai…

Jitu—to phir kya baat hai divya... ? kya mere andar koi kami nazar aayi tumhe…? Tum ek bar kah do..main apne andar ki har kami ko jala kar raakh kar dunga..ya phir tumhe mujhse prem nahi hai…?

Divya—nahii..nahii..aap me koi kami nahi hai..lekin agar kahi mere pita rishi kanva ne iss rishte ko swikar nahi kiya to…? Phir mera kya hoga….?

Jitu—main unke yaha aate hi unke charno me apna sir rakh ke tumhe unse maang lunga…mere tadapte iss dil ko shanti de do divya…

Maine divya ki taraf apni dono baahe phaila di…vo kuch der dekhti rahi apalak aur phir vo tezi se daud kar mere seene se aa lagi.. uske mere seene se lagte hi mere mann ka sara santaap mit gaya…maine use apni baaho me jakad liya aur usne bhi meri pakad se azad hone ki koi chesta kiye bagair amarbel ki lata ki bhanti lipatti chali gayi.

Jitu—aaj main bahut khush hu divya..tumhe apni baaho me pa kar aisa lagta hai ki maine sara jahan pa liya ho..

Divya—mujhe bhi kuch aisa hi prateet ho raha hai..

Hum dono bahut der tak aise hi ek dusre se lipte apne apne dil ki bhavnao ko ek dusre ke samaksh ujagar karte rahe…phir na jane mujhe kya hua ki maine apne hosh divya ke adhro ki taraf badha diye…usne ye dekh kar turant apni ankhe band kar li… aur maine uske kaampte hotho par apne hoth rakh diye.

Uske gulab jaisi pankhudi ke samaan hotho ke iss chumban se mere antar mann ki jwala shant hone lagi…main uske adhro se madhuramrat prasad ki tarah grahan karne laga…jane kitni der tak hum dono iss sukhad krida me lipt rahe.

Divya—kya ab bhi aap ko mere prem par sandeh hai…?

Jitu—tum par to sandeh kabhi nahi tha divya…agar sandeh tha to vah khud apne aap par tha..

Divya—main khud bhi to aapse milne ke pashchat bahut vichlit ho gayi thi….hamesha aisa lagta tha jaise ki main apko sadiyo se janti hu..aapse mera koi bahut purana rishta hai…aur aaj jab anusuiya ne bataya ki aap saajan hain to na jane mera hriday bahut tezi se dhadakne laga…aapko dekhne ki chah ne meri sudh budh hi bhula di..

Jitu—anusuiya ke pita ji bhi mujhe saajan hi kah rahe the kintu main to kisi saajan ko janta bhi nahi…mera naam yuvraj jitendra singh hai..

Divya (chounk kar)—kyaaa aap hamare yuvraj hain….?

Jitu—nahi divya…yuvraj to main dusro ke liye hu…kintu tumhare liye to main tumhare prem ka pujari hu…

Divya—aur main apki pujaran....lekin agar aap yaha mujhse milne aaye the to phir anusuiya ki kutiya me jane ki kya avashyakta thi aap ko... ?

Jitu—divya…asal me baat ye hai ki….(phir maine divya ko sab kuch sach sach bata diya)..

Divya—kyaaa…aap un dust rakshaso se ladne aaye hain…? Lekin maine to suna hai ki vo bahut taqatwar aur khatarnak hain aur sath me bahut si mayavi vidya bhi jante hain vo……aur main aap ko uss kali pahadi ki taraf nahi jane dungi..maine suna hai ki vo bahut manhoos jagah hai…vaha jane wala aaj tak vapis lout kar jivit nahi aaya…nahi..nahiii…aap vaha nahi jayenge kabhi…

Jitu—jana to vaha padega hi divya…warna vo sapne mujhe chain se sone nahi denge…akhir mujhe bhi to apne sapno ka jawab chahiye hai…aur phir ka yuvraj hone ke naate ye mera naitik dayitva bhi to hai ki main apni praja ki raksha karu…baki rahi inn rakshaso ki baat to tum unki chinta mat karo…unse to nipat hi lunga kisi na kisi tarah..bas tum bhar kabhi mera sath na chhodna

Divya—main to khud hi tadapti rahti hu har pal apki ek jhalak ke liye….bhala main kaise aap ka sath chhod sakti hu..

Kafi der tak pyar ke palo me khoye rahne ke baad sahsa kisi ne divya ko awaz di to vah ghabra gayi..aur mujhse alag ho gayi.. maine use abhi aur kuch samay tak rokna chahta tha.

Divya—mujhe jana hoga…nahi to vo mujhe khojte huye idhar hi aa jayegi…

Jitu—vo koun…?

Divya—meri bua (kanva rishi ki bahan)..

Jitu—theek hai..lekin subaj subah jarur aana,….main chahta hu ki meri jab ankh khule to sabse pahle tumhara hi chehra meri ankho ke samne nazar aaye…

Divya—theek hai..main koshish karungi…

Uske baad maine divya ke hotho ka ek bar phir se chumban liya aur vo vaha se turant bhag gayi….main bhi thodi der baad vapis aa kar anusuiya ki kutiya me let gaya…magar ankho me neend hi kaha thi….

“Gulab Ki Khushbu Bhi Pheeki Lagti Hai,
Koun Si Khushbu Mujhme Basa Gayi Ho Tum,
Zindagi Hai Kya, Teri Chahat Ke Siwa,
Ye Kaisa Khwab Ankho Me Dikha Gayi Ho Tum.”

Har taraf to bas divya hi divya dikhayi de rahi thi..uske baare me hi sochte huye phir na jane kab ankh lag gayi, pata hi nahi chala…tab bhi sapne divya ke hi aa rahe the…us samay sapne me main divya ke hoth chum raha tha…

Achanak ussi samay mujhe aisa abhas hua jaise ki koi mere paas baitha hua hai….ye abhas hote hi maine hath badha kar usko apni taraf khinch kar sath me lita liya aur uske upar aa kar uske hotho ko chumne laga….anayas hi mera ek hath uske seene ki taraf chala gaya to maine uske unnat ubharo ko thaam kar unhe dabane aur masalne lag gaya.

Phir ek ek kar ke dono ke jism se vastra utarte chale gaye aur main usme samata chala gaya...jab subah meri ankh khuli to khud ke niche kisi ko nagn pate hi main buri tarah se chounk gaya...

Jitu (hairan)--Tummmmmm.....

(Sex scene yaha skip kiya hai jo ki net update me ayega)
 
  • Like
Reactions: anandsngh12

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,485
173
SAAJAN
UPDATE- 214
5th Janam Ki Love Story Continues...

Achanak ussi samay mujhe aisa abhas hua jaise ki koi mere paas baitha hua hai….ye abhas hote hi maine hath badha kar usko apni taraf khinch kar sath me lita liya aur uske upar aa kar uske hotho ko chumne laga….anayas hi mera ek hath uske seene ki taraf chala gaya to maine uske unnat ubharo ko thaam kar unhe dabane aur masalne lag gaya.

Phir ek ek kar ke dono ke jism se vastra utarte chale gaye aur main usme samata chala gaya...jab subah meri ankh khuli to khud ke niche kisi ko nagn pate hi main buri tarah se chounk gaya...

Jitu (hairan)--Tummmmmm.....

Ab Aage…….

Ye aur koi nahi balki anusuiya hi thi…jisko main nagn dekh kar chounk gaya tha…usko apne sath iss halat me dekhne ki maine kalpana hi nahi ki thi.

Jitu—ye sab kya hai anusuiya ….?

Anusuiya—main raat me aap ke paas pani rakhna bhul gayi thi….vahi rakhne aayi thi ki tabhi aapne mujhe pakad ke apne upar gira diya.

Jitu—to tumne mujhe roka kyo nahi….?

Anusuiya—main apko rokna chahti thi kintu usse pahle hi aap ne mere hotho par apne hoth rakh kar mera muh hi band kar chuke the…jab tak aapne mere hotho ko kuch bolne ke liye azad kiya tab tak mera koumarya bhang kar chuke the aap…main tab tak kali se phool ban chuki thi…uske baad main khud bhi aapke sath bahakti chali gayi.

Jitu—ye kaisa anarth ho gaya mujhse….? Ab kya muh dikhaunga main tumhare pita ji ko….? Vo mujhe yaha apne yagya ki raksha karne ke liye le kar aaye the aur maine unki hi putri ki izzat par daag laga diya.

phir mujhe raat ki sari ghatna yaad aane lagi.. ki kaise maine divya ke baare me sochte huye jab mujhe ehsaas hua ki koi mere paas baitha hua hai to andhere me divya samajh kar maine anusuiya ko apne upar khich liya tha…phir bhi mere mann me kayi sawal uth rahe the.

Jitu—tumne mujhe roka kyo nahi anusuiya, aisa dushkarm karne se….? mana ki tumhare hoth band kar rakhe the maine kintu hath to azad the mujhe rokne ke liye…do thappad laga deti mere gaalo par…

Anusuiya—aap hamare yuvraj hain aur kal ko raja bhi banenge….main apko thappad maarne ki baat sapne me bhi nahi soch sakti..

Anusuiya apne vastra pahan kar vaha se langdate huye andar chali gayi aur main pashchataap ki agni me jhulasne lag gaya.. lekin beeta waqt to lout kar vapis nahi aa sakta.

Jitu (mann me)—ab main divya ko kya jawab dunga…? Kuch ghante pahle hi to hum dono ne apne prem safar ki shuruwat ki thi, kintu isme anusuiya ka bhi to koi dosh nahi hai….kya divya mujhe iss apradh ke liye kabhi kshama kar payegi..? chahe anzam jo bhi ho, mujhe divya ko sach batana hi hoga…

Mere andar apradh bodh ki bhavna havi hoti ja rahi thi…mann hi mann divya ko sach batane ka nirnay le kar main dainik kriya se nivratt hua aur phir vivan rishi ke sath unki yagya raksha hetu nikal gaya.

Idhar mere jane ke baad divya subah subah hi anusuiya ke paas pahuch gayi…kintu mujhe vaha na dekh thoda udas ho gayi.. jabki anusuiya bistar me hi leti huyi thi.

Anusuiya (mushkura kar)—aa divya..baith

Divya—tu abhi tak leti huyi kyo hai,…?

Anusuiya—kuch nahi sakhi, bas thoda nas khich gayi hai..isliye chalne me dikkat ho rahi hai....vaise aaj itni subah tujhe nahane ka khyal kaise ho gaya... ? ya kuch aur hi baat hai... ?

Divya—kyo, main subah naha nahi sakti kya...aur tera ye aur kuch se kya matlab hai.... ?

Anusuiya—naha sakti hai...aaj tu jarur naha sakti hai....lagta hai ki raat bhar soyi nahi hai tu... ?

Divya—meri chhod...tu pahle apni halat dekh...teri khud ki bojhil ankhe bata rahi hain ki tum raat bhar jagti rahi ho..

Anusuiya (sakpaka kar)—nahi..nai...aisa kuch nahi hai.....vaise tu jinse milne aayi hai vo iss samay pita ji ke sath yagya anusthan ki suraksha karne gaye huye hain....agar tera dil jyada machal raha ho to tu kahe to main unke paas tak tera sandesh bhijwa du.

Divya (naak ke niche ungli ghuma kar)—Maar Dalungi.. !

Divya nirash ho kar vaha se chali gayi.....uske mann me meri suraksha ko le kar chinta uttapann ho rahi thi...apni kutiya me pahuch kar vo chupchap ankhe band kar ke let gayi.

Dvya (mann me)—hey bhagwan ji, unki raksha karna unn dust rakshaso se…

Idhar vivan rishi ke sath main unke yagya sthal par aa gaya…halanki mere dil me iss samay shanti bilkul bhi nahi thi…rah rah kar mann dechain ho raha tha aur divya ko khone ke darr se mera dhyan divya ki taraf hi laga hua tha.

Mujhe pata bhi nahi chala ki unka yagya kab shuru ho gaya…vo to jab kuch kolahal hone ki awaz sunayi padi tab ja kar mera dhyan bhang hua….maine dekha to aath dus rakshaso ki toli yagya sthal ki taraf chali aa rahi thi…unko idhar badhte dekh kar main turant sajag ho gaya.

Maine turant hi yagya mandap ke charo taraf ek adrishya suraksha kawach bana diya jisse ye rakshas yagya karya me koi vyavdhan na utpann kar sake.

Paas aa kar vo jaise hi yagya mandap ki taraf jane ko huye to adrishya suraksha kawach ke prabhav se vo aisa karne me vifal ho gaye…kayi bar koshish karne ke baad bhi jab vo vaha nahi ja paye to kroadhit ho kar hawan kund me khoon aur maans ke tukde phenkne lage kintu unka ye prayas bhi kamyab nahi hua.

Tabhi maine dhanus par agni baan ka sandhan karte huye ek rakshas ka sir uske dhad se alag kar diya…uska poora sharir aag ki lapto me ghir gaya….tab unn sab ka dhyan meri taraf gaya

Vo sab gussa ho kar mujhe maarne ke liye mere upar apni apni shaktiyo ka prahar karne lage jinka maine samuchit uttar diya ek ek kar ke maine saat rakshaso ko yamlok ki yatra karne bhej diya jabki teen rakshas apni mayavi vidya ka upyog kar ke vaha se adrishya ho kar bhag gaye.

Ek hafte tak chalne wale iss yagya anusthan ka pahla din nirvighna sampann ho gaya….to main vivan rishi ke sath vapis unki kutiya me lout aaya kintu mera mann ek bar phir se divya ki ek jhalak dekhne ko aatur hone laga tha…mujhe iske liye adhik pratiksha nahi karni padi…mere aane ke kuch samay pashchat divya khud hi vaha anusuiya se milne ke bahane pahuch gayi.. uske dil ka haal bhi shayad mere jaisa hi tha.

Aaj raat me phir se hum dono ussi vatika me mile jaha maine kal raat ki sari ghatna divya ko sach sach bata di…sun kar use bhi aghat to laga lekin use iss baat ki khushi bhi thi ki maine khud hi usko sachchayi bata di thi.

Divya—isme apka ya anusuiya dono me se kisi ka bhi dosh nahi tha…jo kuch bhi hua vo anjane me hua.

Jitu—anjane me hi sahi kintu main tumhara aur anusuiya dono ka apradhi to ban hi gaya..

Divya—agar aap jo kuch hua usko apradh ki nazar se dekhte hain to uss apradh ka prayashchit kar lijiye…apradh bhavna apne aap door ho jayegi mann se..

Jitu—kaise hoga prayaschit….?

Divya—aap…aap anusuiya se vivah kar lijiye…

Jitu (hairan)—ye tum kya kah rahi ho divya….? Main anusuiya se nahi balki tumse prem karta hu..nahi..main aisa nahi kar sakta.. tum meri aatma ho divya…tumhari jagah main kisi aur ko nahi de sakta..

Divya—pyar baantne se kan thodi ho jayega…aur maine kab kaha ki aap mujhse prem karna chhod dijiye…? Main to khud bhi aapke bina nahi rah sakti ab…aap mujhse aur anusuiya dono se shadi kar lijiye…phir to mann me koi apradh ki bhavna nahi rahegi na..

Jitu—kya iske liye vivan rishi aur kanva rishi taiyar honge…?

Divya—ye main kaise bata sakti hu…?

Jitu—theek hai main baat karunga…

Divya se baat kar ke mere mann ko bahut shanti mili…hum dono bahut samay tak ek dusre ki baaho me simte prem bhari baate karte rahe aur phir subah hone se pahle hi apni apni jagah par chale agle din phir milne ka vada kar ke.

Subah utne ke baad phir se main vivan rishi ke sath unki yagya ki suraksha karne ko tatpar ho gaya….main poori sajagta se yagya ki suraksha me laga hua tha ki tabhi achanak kisi adrishya shakti ne mere dwara banaye gaye suraksha kawach ko tod diya aur mujhe utha kar door phenk diya.
 

Sanju

Well-Known Member
4,363
7,846
158
Mast update bhai ab maza Ayega action dekhne me aur divya to ansuiya ko bhi accept kar liya dekhte hain aage kya hota hai
 
  • Like
Reactions: anandsngh12
Status
Not open for further replies.
Top