• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest SAAJAN

What do you Think About this Story...??

  • Good

    Votes: 84 26.3%
  • Better

    Votes: 25 7.8%
  • Best

    Votes: 201 63.0%
  • Bad

    Votes: 2 0.6%
  • Worse

    Votes: 0 0.0%
  • Worst

    Votes: 7 2.2%

  • Total voters
    319
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

Hayaan

●Naam to Suna Hi Hoga●
6,280
13,925
144
SAAJAN
UPDATE- 290

Main savdhan ho kar chupchap uss bawandar ko dekh raha tha...dhire dhire vo bawandar itna bada ho gaya ki vah ek admi ko araam se qaid kar ke hawa me le kar ud sakta tha.

Bawandar ne mujhe bhi apne ghere ke andar le liya aur tezi se tilismi patthar ke nishan me mere sath uske andar sama gaya.. iss bawandar ne mujhe patthar ki duniya me la kar chhod diya...main pahle tilismi dwar me pravesh kar gaya tha.

Jaha charo taraf har cheez kewal patthar ki bani huyi thi...main pattharo ki bani duniya ko bade gaur se dekh raha tha…tabhi meri nazar apne pairo par padi to main buri tarah se chounk gaya..

Ab Aage......

Mere chounkne ka karan tha ki mere pair patthar ke ban gaye the....dhire dhire mera poora sharir patthar ka ban gaya…main chounkne ke sath sath ashcharya chakit bhi tha ye dekh kar kimera sharir patthar ka ban jane ke baad bhi ek samanya manav ki bhanti kaam kar raha tha.

Mujhe ye soch kar thoda tasalli huyi ki patthar ka ho jane ke bavjud bhi mera sharir kaam kar raha hai...maine ankhe band kar ke hath aage kiya to turant hi ek talwar mere hatho me aa gayi aur aate hi vah bhi patthar ki ban gayi..talwar le kar main boune janwaro ke devta ki talash me nikal pada..kyon ki uske sir par neel mani rakhne ke baad hi tilism ka dusra dwar khulna tha.

Unke kul devta ki talash me main bahut der tak ghumta raha lekin abhi tak uss tak pahuchne ka koi rasta nazar nahi aaya tha... ghumte ghumte raat hone ko aa gayi aur andhera badhne laga to main mani ke prakash me aage badhne laga...

Main abhi kuch aage hi gaya tha ki tabhi aas paas ka vatavaran badalta hua jaisa mahsoos hua...jo cheeze patthar ki thi, vo sabhi dhire dhire apne samanya roop me aa rahi thi...agle kuch hi der me mere charo taraf ka vatavaran poori tarah se badal gaya.. ab door door tak patthar ka namo nishan tak nahi tha...kuch der pahle tak jo duniya poori pattharo ki bani huyi thi, ab vo poori tarah se samanya ho gayi thi.

Main abhi yahi sab dekh dekh kar kuch soch hi raha tha ki tabhi mujhe ek chidiya ke chah chahane ka shor sunayi diya..main awaz ki disha me muda to dekha ki ek saanp chidiya ke bachche ko khane ke liye aage badh raha tha...chidiya ka bachcha usse bachne ke liye shor machate huye betahasha bhaga ja raha tha lekin vah ud nahi pa raha tha.

Chidiya ka bachcha bhagte huye meri taraf hi aa raha tha...jab maine ye dekha to turant aage badh kar apni talwar se saanp ke do tukde kar diye...saanp vahi par tadapte huye mar gaya...chidiya ke bachche ne jab mujhe saanp se uski jaan bachate huye dekha to vah dhire dhire apne chhote chhote kadmo se meri taraf aane laga.

"Meri jaan bachane ke liye aapka bahut bahut dhanyawad." Paas aate hi usne apni bhasa me tutlate huye kaha.

Chidiya ke bachche ko totli bhasa me bolte dekh kar bahut achcha laga...maine use apne hatho me utha liya…mujhe uski bhasa samajhne me koi dikkat nahi thi kyon ki main sabhi janwaro aur pashu pakshiyo ki bhasa ko samajh aur bol sakta tha..ye bhi meri shaktiyo ka ek hissa hai.

Raj (uski hi bhasa me)—tum kitne pyare ho aur chhote bhi....phir tum apne ghosle se bahar kyo nikle... ? aur tumhari maa kaha hai... ?

Bachcha—meri maa, khana lene kahi gayi hai..lekin abhi tak nahi aayi hai, isliye unki khoj me ghosle se bahar nikla tha.

Chidiya ke bachche ne abhi apni baat poori ki hi thi ki tabhi uske samne upar se ek chidiya aa kar giri jo kafi ghayal thi..chidiya ke ghaav se kafi khoon bah raha tha...bachche ne jab uss chidiya ko dekha to rone laga.

Raj—tum kyo ro rahe ho... ?

Bachcha (rote huye)—ye meri maa hai…kitna khoon nikal raha hai…maa, tumhe kya ho gaya..maa….?

Uski baat sun kar main chounk gaya aur usko niche utaar diya…niche utarte hi vo apni maa se lipat kar rone laga aur uski maa dard ke karan kuch bol hi nahi pa rahi thi.

Raj—itne pyare bachche rote huye achche nahi lagte…tum chinta mat karo..main abhi tumhari maa ko theek kar dunga..

Maine uss chidiya ke sir par hath rakh kar apni ankhe band kar liya…agle hi pal mere hath se roshni nikal kar chidiya ke andar jane lagi…jab roshni band huyi to chidiya poori tarah se theek ho chuki thi…apni maa ko theek hote dekh vo nanha bachcha khushi se uchhalne laga aur mere pairo ke paas aa kar fudakne lag gaya….jabki vo chidiya hairani se meri taraf taktaki lagaye dekh rahi thi.

Chidiya—meri jaan bachane wale, aap koun hain…? Aur iss tilismi jagah par kyo aaye hain…? Aap koi sadharan manav to ho hi nahi sakte…phir aap koun hain…?

Raj—mera naam saajan hai…(phir maine use yaha aane ka karan bhi bata diya)..

Chidiya (shocked)—kyaaa..aap saajan hain…?

Raj (shocked)—kyo, isme hairani wali kya baat hai….? Kya yaha saajan naam ka koi dusra bhi hai…?

Chidiya—nahi, yaha to koi nahi hai iss naam ka….saajan ka naam koun nahi janta…kya tum vahi divya ke saajan ho…?

Raj (mushkura kar)—hmmm…khair, tum ghayal kaise ho gayi….?

Chidiya—jab main khana le kar vapis aa rahi thi to tabhi ek cheel ne mere upar hamla kar diya…jisse main ghayal ho kar kisi tarah khud ko bachate huye yaha aa kar gir gayi.

Raj—hmmm, to ye baat hai…achcha, ek baat batao..jab main yaha aaya tha, tab yaha ki har cheez patthar ki bani huyi thi..yaha tak ki main khud bhi patthar ka ban chuka tha..lekin jaise jaise andhera badhne laga to yaha ka vatavaran achanak samanya ho gaya…aisa kyo….?

Chidiya—yaha ke boune janwar pahle patthar ke nahi the balki vo bhi hamari hi tarah ke the…lekin unhi janwar me se ek dhumketu naam ka janwar bhi tha jo iss jungle me raaj karna chahta tha…dhumketu ko patthar bahut pasand the…vo chahta tha ki yaha ki har cheez patthar ki ban jaye…dhumketu ne apne kul devta ko prasann kar ke unse ye vardan manga ki ye poori duniya patthar ki ban jaye..lekin kul devta ne aisa vardan dene se mana kar diya aur gayab ho gaye.

Raj—phir kya hua….?

Chidiya—dhumketu apne kul devta se kruddh ho gaya aur kali shaktiyo ki pooja karne laga…dhumketu ne apni kali shaktiyo se kul devta ko baandh diya…kul devta ne isse kroadhit ho kar uske upar apni shaktiyo se kayi prahaar kiye lekin unki kisi bhi shakti ka asar dhumketu par nahi hua…tab kul devta ne dhumketu ko shraap de diya ki teri shaktiya sirf din me hi kaam karengi, raat me nahi aur teri mrityu ek manav ke hatho hogi jo dusri duniya se ayega..iske baad kul devta shant ho gaye.

Chidiya—dhumketu ne apni shaktiyo ke dum par apni prajati ke sabhi janwaro ko apna gulam bana liya aur sath me apni kali shaitani taqat se iss jagah ki har cheez ko patthar ka bana diya..tab se iss jungle ki har cheez uske prabhav me aa kar ke patthar ki ban jati hai..yahi karan hai ki jab tum iss jungle me jaise hi aaye to vaise hi patthar ke ban gaye..kintu andhera hote hi uski shakti bekar ho jati hai, isliye tum phir se apne roop me aa gaye.

Chidiya—dhumketu ke marte hi ye jungle phir se pahle ki tarah hara bhara ho jayega…dhumketu ko kewal surya ki roshni me hi mara ja sakta hai kyon ki raat ko vah gayab ho jata hai aur gayab ho kar kaha jata hai, ye koi nahi janta..

Raj—aur kuch jo tumhe pata ho uske baare me…?

Chidiya—dhumketu apne kul devta ki murti ke andar niwas karta hai aur uski suraksha ke liye uske gulam bane boune janwar murti ki raksha karte hain…uss murti tak aaj tak koi nahi pahuch paya hai aur jo pahucha, vo jinda nahi bacha..

Raj—to ye raaz hai yaha ka…

Chidiya—hmmm…lekin saajan, lekin saajan aap uss murti tak jaoge kaise..? aur agar pahuch bhi gaye to uss murti ke sir par mani rakhoge kaise kyon ki dhumketu ke rahte ye sambhav nahi hai..

Raj—ab chahe jaise bhi ho, uss kul devta ki murti tak pahuchna to hoga hi…kya tum mujhe vaha tak pahuchne ka koi rasta bata sakti ho…?

Chidiya—aap yaha se purab disha ki oar sidhe chale jana…lagbhag ek ghanta chalne ke baad aap ko bahut se janwaro ki awaz sunayi degi..aap uss awaz ki disha me jayenge to aap ko kul devta ki murti dikhayi dene lagegi…lekin ye jarur yaad rakhna ki uss murti tak pahuchne ke liye aap ko dhumketu ke gulamo se bachte rahna hoga..vo hamla bhi kar sakte hain..ab aap aaj raat yahi ruk jaiye…kal surya ki pahli kiran dikhte hi chale jana kyon ki raat me aap ko vaha par kuch nahi milega.

Main uski baat maan kar raat bhar vahi ek ped par ruka raha aur subah hote hi usse vida le kar apni manzil ki taraf badh gaya… fark itna jarur hua ki subah hote hi poore jungle ke sath sath main bhi phir se patthar ka ban gaya tha..lagbhag ek ghante tak chalne ke baad ek jagah pahuch kar main ruk gaya.

Vaha rukne ke baad unn boune janwaro ki awaz sunne ke liye idhar udhar ghumne laga…tabhi mujhe apne piche kisi janwar ki awaz sunayi padi to turant hi palat gaya.samne ek patthar ka sher mujhe dekh dekh kar gurra raha tha.

Main abhi kuch samajh pata ki usse pahle hi usne mere upar chhalang laga di…jisse main sambhal nahi paya aur vahi par gir gaya..halanki mujhe kahi koi chot nahi aayi…sher ne palat kar phir se chhalang lagayi lekin iss baar main savdhan tha..jaise hi vo mere upar kooda to main apni jagah se hat gaya aur talwar se uski gardan par waar kar diya..lekin uski gardan se takrate hi talwar toot gayi.

Usne phir se mere upar jump lagayi to maine ek mukka uske jabde par jad diya…jisse patthar se bani uski gadan toot kar vahi bikhar gayi..sher ke marte hi kayi saare janwaro ki awaze aane lagi.

Maine bina deri kiye, jidhar se ye awaze aa rahi thi, unka picha karte huye aage badhne laga…aur jab awaz wali jagah par pahucha to hairan rah gaya…vaha saikdo ki tadaad me patthar ke bane vo boune janwar kul devta ki murti ke charo taraf ek suraksha chakra banaye khade the…aur murti ke paas dhumketu khada tha..jaise ki vo mere aane ka hi intazar kar raha ho…tab tak uski nazar bhi mere upar pad chuki thi.

Dhumketu (jor se)—tu mujhe maarne aaya hai...mujhe maarna itna asaan nahi hai…main vo hu jisne apne kul devta ko bhi bandi bana chuka hu…mujhe maarne ke liye, mere banaye iss suraksha chakra ko todna hoga..aur yeh suraksha chakra sirf ek bada heera hi bhed sakta hai aur koi nahi….aur iss tilismi duniya me door door tak tujhe heere ka ek tukda bhi nahi milega… aur jab heera milega hi nahi to mujhe marega kaise…? Aur mujhe bina maare ab tu iss tilismi duniya se bahar bhi nahi ja sakta..aur iss tilismi duniya me heera hai hi nahi…..to jahir hai ki mujhe tab tak koi maar nahi sakta….hahahahahaha

Vahi dusri taraf iss gufa ke bahar payal ki laash do tukdo me dekh kar sabhi bahut dukhi ho chuke the…mamta to ye sadma bardast hi nahi kar payi aur vahi behosh ho kar gir gayi..magar aaj pahli bar divya apna mansik santulan khoti ja rahi thi..uske antarmann me gusse ki jwala bhadak chuki thi.

Jabki sandhya apne mann me kuch dusri hi yojna ko kriyanvit karne ki soch me doobi huyi thi…sab ko aise rote dekh kar bhairav nath khushi ho kar thahake maar maar ke has raha tha…uski ye hasi divya ke andar dhadhak rahi aag me ghee dalne ka kaam kar rahi thi.

Bhairav nath (haste huye)—hahahahaha….dekh liya anjam mujhse bhidne ka….jaise uski halat huyi hai..vaise hi tum sab ki bhi hogi….. hahahaha….ab bhi samay hai..divya ko mere hawale kar do..tab shayad main tum sab ko chhodne ke baare me soch sakta hu…hahahahaha

Bhairav nath ne mamta ko behosh dekh kar apna bada sa muh khola aur phir mamta ke charo taraf ek tez aandhi uttapann ho gayi jisne mamta ko apne lapete me le liya..ye dekhte hi divya ke sabra ka baandh toot gaya…poora chehra gusse se tamtama gaya.

Divya (gusse me)—bhairav nathhhhh…..dust…papi....divya ko pana tere liye kal bhi ek khwab tha aur hamesha khwab hi rahega.. tere jaise na jane kitne hi aaye divya ko paane ka sapna liye..aur apne usi sapne ke sath hi mitti me mil gaye..divya ko pana to bahut door, uske saajan ke alawa koi hath bhi nahi laga sakta…

Bhairav nath—hahahahaha….tu kya samajhti hai divya ki tere sharir ko chhute hi sab ko bijli ka jhatka lagta hai to tu mujhe bhi jhatka de degi…. shayad tujhe pata nahi ki bijli se patthar ko koi nuksan nahi hota…. hahahaha

Divya (gusse me)—moorkh…main insani bijli nahi balki vo aas maani bijli hu jiske girne se bade bade chattani pajad to kya dharti ka seena bhi phat jata hai…

Mamta uski mayavi andhi me phans kar bhairav nath ke muh me samane hi wali thi ki tabhi divya vidyut gati se uske paas pahuch gayi aur mamta ko vo nigal pata ki usse pahle hi divya ne uske pairo me ek laat jor se maar di jiske phal swaroop bhairav nath ko bijli ka itna tagda jhatka laga ki uska pair do tukdo me toot kar uske jism se alag ho gaya aur vo dhadam se niche gira…ye sab itna jaldi hua ki khud bhairav nath to kya, kisi ki samajh me nahi aaya…

Niche girte hi uska pair phir se uske jism se judta ki usse pahle hi divya ne uski gardan ko apne hatho me daboch liya…
Aapki Writing Skill ka koi tod nahi...
Shabdon ka chayan gazab hai...Superr dupper fantastic Update
 

Last benchers

Well-Known Member
3,049
6,820
158
Bahut khub Anand Bhai..
Apne waisa. Pyar dikhaya Jo aajkl dekhne ko nhi milta apne apne story Mai samaj ke liye ek message v Diya ..wo janwar ya pakshi kiw na ho dard SB ko hota hai..SB ke undar feeling hoti hai ..
Great. Job Bhai .
Apne Jo Jo adventure dikahya hai wo aajtk Mai nhi padha...Bhai..
 

Asif khan

Well-Known Member
6,181
18,514
188
Zabardast awesome maiend blowing fantastic birrilant update
 
Status
Not open for further replies.
Top