Naughtyrishabh
Well-Known Member
- 9,684
- 29,048
- 218
Behad hi shandar or jabardast update bhai.
Bahut khoob superb.
Bhairav nath ne payal ko maar diya or jo vichar sabke man me aaye unme sabse khatarnaak or thoda sa uchit vichar Sandhya ka h.
Udhar aghora ki mrityu ho ya naagmani prapt kar un naag nagin ko mukti dilana ho ekdam behtareen varnan kiya h aapne.
Kya pair patthar ke ho gye ????
Or isiliye ,
Aage ka intjaar
Bahut khoob superb.
Bhairav nath ne payal ko maar diya or jo vichar sabke man me aaye unme sabse khatarnaak or thoda sa uchit vichar Sandhya ka h.
Udhar aghora ki mrityu ho ya naagmani prapt kar un naag nagin ko mukti dilana ho ekdam behtareen varnan kiya h aapne.
Kya pair patthar ke ho gye ????
Or isiliye ,
Aage ka intjaar
SAAJAN
UPDATE- 289
Bhairav nath—achchaaa…..divya ko mujhse koun bachayega….? Tuuu…? Ya phir saajan….? Hahahahah…tu to koshish kar ke bhi dekh chuka hai….ab bacha vo saajan…to use main tadpa tadpa ke marunga….hahahahahaha….bhairav nath ko koi nahi maar sakta….main amar hu….hahahahaha
Bhairav nath ki mujhe marne ki baat sunte hi kayiyo ke khoon me ubaal aa gaya magar payal ka chehra gusse se sabse jyada tamtamane laga….vo jahreeli nagin ki bhanti gusse se fufkarte huye apni kulhadi le kar bhairav nath ki taraf tezi se daud padi..
Payal (gusse me)—sala haramiii….tu mere..rajjj ko maregaaaa……ruk sale kamine…. abhi teri aisi ki taisi karti hu…..
Divya (jor se)—didiiii…nahiiiii…..rukkk jaoooo….nahiiii…didiiiiii
Ab Aage......
Payal (gusse me)—nahii..gudiya...iss kamine ne mere..raaj ko maarne ki baat mere samne karne ki himmat bhi kais ki... main aaj ise jinda nahi chhodungi.....
Payal gusse se tamtamate huye bina kuch soche samjhe kulhadi le kar priyadarshini dwara banaye suraksha kawach ke ghere se bahar nikal kar bhairav nath par hamla kar diya....uski ankho se iss samay angaare baras rahe the..magar ye kya... ? usne jaise hi bhairav nath par kulhadi se prahar kiya to uske iss hamle se bhairav nath ka to kuch ahit nahi hua parantu kulhadi jarur toot gayi vaise bhi patthar par kulhadi maarne se nuksan to kulhadi ka hi hona tha aur vahi hua bhi...
Bhairav nath—hahahaha....Chitraaaa.....maharani...chitralekha....hahaha..tum marogi mujhe.... ? hahahaha..
Koi abhi kuch samajh pata ki bhairav nath ke hatho se ek roshni nikal kar payal se takrayi...roshni ke takrate hi vaha dhua phail gaya aur jab ye dhua hata to payal gayab thi, sath me bhairav nath bhi...payal ko vaha na dekh kar sab bahut ghabra gaye..aur bhag bhag idhar udhar dekhne lage kintu payal ka kahi pata nahi chal saka.
Divya—didiiii...
Mamta (ghabrate huye)—payalllll...
Sabhi payal ki talash me lage huye the ki tabhi ek bar phir se bhairav nath jor jor se haste huye unke samne aa gaya…jise dekh kar sab darr ke karan piche hat gaye.
Veer—didi kaha hain…?
Bhairav nath—hahahahaha….ab vo tum sab ko kabhi nahi milegi….vo ab mera bhojan ban chuki hai…uss chattan ke piche uski laash padi hai…jao dekh lo….hahahaha
Ye sunte hi sab ghabra kar jaha bhairav nath ne ishara kiya tha, udhar badi tezi se bhage…aur jaise hi pahuche to samne dekhte hi sab ki cheekh nikal padi…mamta to behosh hi ho gayi….vaha payal ka sharir do tukdo me pada hua tha…Sab jor jor se rone lage….
Priyadarshini (dukhi ho kar mann me)—mujhe maaf kar dena saajan…main payal ko nahi bacha saki…tum sab ko mere bharose par chhod kar gaye the…main payal ki hifajat nahi kar saki…samajh me nahi aa raha hai ki iss bhairav nath ki kaise khatam karu..?
Veer (rote huye)—ab main apne dost ko kya jawab dunga….vo sab ko mere bharose par yaha chhod kar gaya hai…ye harami bhairav nath marta bhi to nahi hai..tukde tukde ho jane ke baad bhi phir jivit ho jata hai…
Sandhya (mann me)—saajan ke dil me divya se adhik jagah banane ka yahi sahi mouka hai…main iss bhairav nath ko khatam kar deti hu….ye bhairav nath bhi, jisko marna chahiye usko nahi maar raha hai…are bewaqoof maarna hi hai to iss divya ko maar.. lekin ye bhi tere bas ka rog nahi ….main hi tujhe khatam kar deti hu…
Jaha ye sab dukhi ho kar rote huye vilaap karne me lage the…sandhya ke mann me kuch aur hi khichdi pak rahi thi…vahi divya ke mann me payal ki ye durdasha dekhte hi achanak hi gusse ka ubaar uthna shuru ho chuka tha…
Udhar dusri taraf aghora ne mere upar agni ashtra chhodne ke phir se gol gol ghumne laga…maine uske dwara chalaye gaye agni ashtra ke jawab me tilismi patthar ki shakti ka prayog kiya kintu vo agni ashtra se takrate hi gayab ho gayi…ab tak agni ashtra mere aur bhi nazdik aa gaya…ab ki bar maine uss agni ashtra par pani ki shakti ka prayog karte huye uss par pani ki barsat kar di…lekin pani agni ashtra se takrate hi bhaap ban kar ud gaya…mera ye vaar bhi khali chala gaya.
Ye dekh kar main chupchap apni jagah par khada ho gaya….agni ashtra tab tak mere bahut paas aa chuka tha aur mujhe chhune hi wala tha ki tabhi agni ashtra aur mere beech me vo khargosh aa kar khada ho gaya…jisse vo agni ashtra meri jagah khargosh ko ja laga.
Agni ashtra ke lagte hi khargosh buri tarah se ghayal ho gaya….aur apne asli naag roop me aa gaya….main turant bhag kar uss ichchadhari naag ke paas pahuch gaya.
Raj—ye tumne kya kiya dost….? Tumne meri taraf aate uss astra ko apne sir kyo le liya….?
Naag—aaaaaaaaa….tumhara jinda rahna bahut jaruri hai mitra….agar tum hi mar jaoge to iss dusht ko koun marega….?
Raj—tumne bahut galat kiya yaar…..vo agni ashtra mera kuch nahi bigad pata…mujhse takrate hi vo vapis palat ke aghora ko hi lagta…..ab main tumhari patni ko kya jawab dunga ki meri vajah se uske pati ki mrityu ho gayi…?
Naag—tum iss rakshak aghora ko maar do…iske marte hi naag mani tumhe mil jayegi, usko mere sharir se sparsh kara dena.. main punarjivit ho jaunga..
Itna kahne ke baad uss ichchadhari naag ke pran pakheru ud gaye…mujhe ab aghora par gussa aane laga tha…turant uth kar maine dhanush par vahi paancho teer phir se chadha liye.
Aghora (gol gol daudte huye)—hahahahaha…..ek to mar gaya….ab tu bhi marega….bahut gussa aa raha hai na…? hahahaha… maar mujhe…maar na…khada kyo hai…? Hahahahaha..
Maine gusse me paancho teer ek sath aghora par chhod diye…aghora ke daudne ki vajah se vo teer nishane par na lag kar dusri jagah lag gaye…jiske karan aghora apni mout se to bach gaya lekin buri tarah se ghayal bhi ho gaya.
Ghayal hone ke baad bhi aghora gol gol daud raha tha…maine phir se paanch teer ek sath uske upar dhanush me chadha kar chhoda lekin iss bar bhi aghora bach gaya aur teer kahi aur ja kar lage.
Maine phir se dhanush par paanch teer chadha kar aghora ko nishana lagane laga lekin aghora ke daudne ki vajah se sahi nishana lag nahi pa raha tha…to maine paancho teer ek sath uske pairo par maare jiski vajah se vo gir gaya….niche girte hi uska sharir kuch pal ke liye jad avastha me ho gaya…iss mouke ka fayda utha kar maine turant hi paanch teer chhod diye jo bilkul nishane par ja kar lage…aghora vahi jamin par tadapte huye mar gaya.
Aghora ke marte hi uska sharir gayab hone laga aur ek mahal dhire dhire prakat hone laga…kuch der baad vaha raj mahal aur naag mani nazar aane lage.
Maine turant naag mani ko uthaya aur phir uss ichchadhari naag ke mrit sharir se touch kar diya…naag mani ke sparsh hote hi vo jivit ho utha aur apne asli roop me bhi aa gaya.
Naag—main tumhara kaise dhanyawad karu saajan…? Tumhari vajah se aaj mujhe naya jeevan mila hai…main tumhara ye karz kabhi nahi utar sakta mitra.
Raj—mujhe apna mitra bhi kahte ho aur karz ki baat bhi karte ho…do dosto ke beech ehsaan kaisa mere yaar..? maine jo bhi kiya, vo mera farz tha..
Main usko le kar gufa me uski patni ke paas aa gaya…apni pati ko asli roop me dekh kar vo bahut khush huyi aur daud kar usse lipat gayi…dono ko khush dekh kar mujhe bhi sukun mil raha tha.
Nagin—hum hamesha aapke abhari rahenge, saajan..ye hamara saubhagya hai ki hame aap ke hatho yaha se mukti mili..
Naag—saajan, ye naag mani aap rakhiye..
Raj—ye tumhari hai dost..tum ise apne paas hi rakho..mujhe iski avashyakta nahi hai…
Nagin—hamari dosti ki khatir hi ye swikar kar lo saajan..
Naag—haa saajan, jab kabhi bhi hamari madad ki jarurat pade to iss naag mani ke jariye hame yaad kar lena..hum turant hi aa jayenge…
Raj—theek hai dost..aap dono ne dost mana hai to dosto ki baat mujhe bhi manni hi padegi ab..
Naag—ab hame naag lok jane ki agya do saajan
Phir mujhe naag mani de kar vo dono khushi khushi naag lok rawana ho gaye aur main dono ko vida karne ke baad raj mahal ki oar muda aur uss tilismi mahal me pravesh kar gaya…mahal ke andar bahut hi sundar nakkashi ki gayi thi.
Main mahal ki sundarta dekhte huye dhire dhire talab ki taraf badh raha tha…tabhi achanak mere samne se ek teer nikal kar mere bayi taraf ki deewar me ja laga.
Apne samne se achanak teer ko aate dekh kar main chounk gaya…aur mahal ki sundarta ko dekhna chhod kar savdhani purvak aage badhne laga…maine jaise hi agla kadam badhaya to ek aur teer aa kar mere samne se nikal gaya..main samajh nahi pa raha tha ki mujh par aise hamla koun kar raha hai..? koi dikhayi bhi to nahi de raha tha.
Main chupchap ek jagah khada ho gaya aur savdhani purvak apne charo taraf nazar ghuma ghuma kar dekhne laga…main iss samay mahal ki ek gallery me tha…aur gallery ke amne samne khambhe lage the aur har khambhe me ek chota sa chhed tha.
Main ye sab samajh nahi pa raha tha ki khambho me iss tarah ke chhed kyo bane huye hain…? Tabhi meri nazar apne pairo ke paas jamin par padi, jis par ek golakaar aakriti bani huyi thi…aur uss gola kaar aakriti ke beech me ek teer bana hua tha..issi tarah ki aakriti har kadam badhane par bani thi.
Gola kaar aakriti ko dekh kar main samajh gaya ki ye teer kaha se aa rahe hain…maine apna agla kadam badhaya to vahi gola kaar aakriti dikhayi di…maine khambhe ke chhed ki taraf dekhte huye apna pair dhire se uss gola kaar aakriti me rakh diya.
Aakriti me pair padte hi khambhe ke chhed se ek teer nikal kar tezi se meri taraf badhne laga..maine bina der kiye turant aakriti par se apna pair hata liya aur thoda piche hat gaya…aur vo teer mere samne se nikal gaya.
Ab sab kuch meri samajh me aa gaya tha…main gola kaar aakriti ko bachate huye aage badhne laga..aise hi karte huye main poori gallery paar kar gaya.
Jab main gallery ke last me pahucha to vaha mujhe do raste dikhayi diye…main vahi khade ho kar dono rasto ko dekhte huye sochne laga ki kis raste par jana chahiye…?
Tabhi mere kano me ek raste se pani ke bahne ki awaz aati huyi sunayi di…aur dusre raste se kewal hawa aane ki awaz sunayi de rahi thi.
Raj (sochte huye)—inn dono me se koun se raste se jau jisse ki talab tak pahucha ja sake…? (achanak kuch yaad aate huye)... talab ka pani to sthir aur shant rahta hai to phir pani bahne ki awaz kyo aa rahi hai…? Mujhe ye hawa wale raste par jana chahiye..
Ye sochte hi main uss raste par chal pada jis raste se ki hawa ke aane ki awaz sunayi de rahi thi...thodi door chalne par hi mujhe talaab dikhayi dene laga...jiske beecho beech ek gola kaar nishan bana tha.
Main jaldi jaldi talab ki taraf badhne laga...aur jab talab ke nazdik pahucha to mere kadam usse kuch door hi ruk gaye kyon ki talab ka pani tezab ki bhanti khaul raha tha...khair mujhe isse koi fark nahi pada.. maine tilismi patthar ki shakti ka prayog kar ke hawa me udte huye uss nishan tak pahuch gaya.
Talab ke beecho beech bane gola kaar nishan tak pahuchte hi maine ek bhi pal ki deri kiye bina hi uss tilismi patthar ko uss nishan par rakh diya..tilismi patthar ke rakhte hi uss nishan me hawa ka ek chota sa bawandar tezi se ghumne laga...aur phir dhire dhire vah bawandar bada hone laga.
Main savdhan ho kar chupchap uss bawandar ko dekh raha tha...dhire dhire vo bawandar itna bada ho gaya ki vah ek admi ko araam se qaid kar ke hawa me le kar ud sakta tha.
Bawandar ne mujhe bhi apne ghere ke andar le liya aur tezi se tilismi patthar ke nishan me mere sath uske andar sama gaya.. iss bawandar ne mujhe patthar ki duniya me la kar chhod diya...main pahle tilismi dwar me pravesh kar gaya tha.
Jaha charo taraf har cheez kewal patthar ki bani huyi thi...main pattharo ki bani duniya ko bade gaur se dekh raha tha…tabhi meri nazar apne pairo par padi to main buri tarah se chounk gaya..