• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest SAAJAN

What do you Think About this Story...??

  • Good

    Votes: 84 26.3%
  • Better

    Votes: 25 7.8%
  • Best

    Votes: 201 63.0%
  • Bad

    Votes: 2 0.6%
  • Worse

    Votes: 0 0.0%
  • Worst

    Votes: 7 2.2%

  • Total voters
    319
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

malhotra.nisha

प्यासी हूँ मैं, प्यासी रहने दो
102
370
78
SAAJAN
UPDATE—158

Ek Amar Prem Gaatha

Mata Parvati—Putri jo prem ki amar katha main tumhe sunane ja rahi hu ye vo maha gatha hai jisne prem ki ek nayi shrankhla ko janam diya...Jaha se is prem ki shuruwat ki neev padi

Tumne yadi prem kiya hai to prem par vishwash karna bhi sikh lo....prem ka rasta kaanto ka rasta hai....isme sukh kam aur dukh jyada hote hain lekin jo sachcha premi hota hai vo in dukho se vichlit nahi hota balki in dukho me bhi vo sukh ki anubhuti kar hi leta hai

Prem marg anya margo se bhinn hai....baki margo par pairo se chal kar jana padta hai kintu prem marg me sar ke bal chalna padta hai...ye aisa kaanto bhara rasta hai jis par chalne ka sahas ya to koi chor kar sakta hai ya phir sachcha premi

Prem ki prapti utni hi durgam hai jitni ki kaal par vijay ki prapti aur uski uplabdhi me sabse badi badha apna sharir hai....sadhe teen hatho ka yeh sharir beech me sumeru parvat ban kar aa jamta hai, isliye jo sir dekar iske path par pair rakhta hai vahi sachche prem ko pa sakta hai

Sachche premi ko is sharir ke nav-dwaro aur panch-vikaro par adhikar karna avashyak hai anyatha uska prem kabhi safal nahi ho sakta...samay ke chhote se thapedo se hi vo toot kar bikhar jata hai....iska hi parinam hai ki aaj sansar me jise log sachcha prem kahte hain vo chhoti chhoti bato par galat fahmiyo ka shikar ban jata hai...vastav me vo sachcha prem na hokar soundarya ke akarshan se uttapann hawas mishrit prem hai....sachche prem me hawas ke liye koi sthan hi nahi hota hai

Ye kahani bhi aise hi premiyo ki hai….jinhone prem ka ek alag hi itihas likh diya…..is kahani ki shuruwat aaj se kayi hazar saal pahle Dwapar yug me huyi thi

Tab yaha samudra ke tat par prithvi par sapt dwipo me se ek Singhal garh namak dwip hua karta tha....bade bade parvato se aachchhadit ye rajya atyant sundar evam ramniya tha

Singhal dwip par us samay sugandh naresh Gandharva Sen ka Shasan tha…vaha ki maharani Champavati thi… sugandh naresh maine isliye kaha kyon ki us rajya ki samast nari vibhinn pushpo ke gandh ki thi


Jehi Jehi Baran Phool Phulwari,
Tehi Tehi Baran Sugandh So Nari

Gandharv sen ki chhappan karod ki sena thi aur uski ashwa shala me solah sahastra shyam karn ghode the….uski gajshala me saat sahastra singhli hasti (mahavat) the....nar patiyo me vah narendra tha aur bhu-patiyo ka vah indra kahlata tha..... vah aisa chakrawarti raja tha ki sabhi khando me uska dabdaba tha aur sabhi desho ke raja uske aage sar jhukate the

Koi bhi agar singhal dwip ke nikat pahuchta to aisa lagta ki vah kailash ke nikat aa gaya ho…ghani aamra vatika charo taraf lagi huyi thi...uske sabhi taruvar aise sugandhit the mano malay giri ke chandan ke vriksh lagaye ho aur unki chhaya aisi ho rahi thi jaise ki rajni ho rahi ho...yadi koi yatri dhoop se thaka hua vaha pahuchta aur un vriksho ki chhaya me aaram kar leta to uska samast dukh thakan vismrit ho jata tha

Vaha aur bhi kayi tarah ke vriksh jaise ki kathal, aanwla, nariyal, khajur, santra, jaam phal, kela, anar, angoor, aam ityadi lage huye the jisse kisi yatri ko bhukha bhi nahi rahna padta tha

Singhal garh me logo ki pani ki suvidha ke liye pag pag par koop (kuwa) aur vapiya (bawdi) ke sath sath har jagah kund bane huye the jinki bathak aur sidhiya saje rahte the....har kund ke paas dev sthan bana hua tha aur ashram the jaha rishi muni rahte the

Vaha ka sarovar maan sarovar ki bhanti samundra ke jaise bhara hua, nirmal aur vistirna tha isliye us sarovar ko maan sarodak kaha jata tha

Sarovar me jab paniharine pani bharne aati thi to log unke roop soundarya ko dekh kar thage ke thage rah jate the…vo sabhi aisi lagti thi jaise ki mom ki bani murtiya ho…sabhi dev lok ki apsarao ki tarah anupam sundari thi unke jism se kayi tarah ke sungandhit phoolo ki mahakti khushbu kisi ko bhi madhosh kar sakti thi

Singhal dwip me charo oor pushpa vatikaye lagi huyi thi….jinke vriksh vriddh hokar chandan ki si suvas ke ho gaye the….unme saghan lataye thi jo bahutere phoolo se phooli huyi thi tatha kewda, champa, chameli,kund, gulab, fenda, ratrani, kadamb, juhi,nagkeshar,mouli shri, bela aur bhi nana prakar ke phool lage huye the….vo phool unhi ke mashtako par chadhte the jinke mashtak me bhagya ki mani hoti thi

Singhal dwip ka mahal bhavya aur vishal tha….mahal ke charo taraf hazaro shero ka pahra hardam hota tha…. Singhal garh me Neer aur Kshir naam ki do nadiya thi…..dono nadiyo ka udgam motiyo ke choorn se bane ek kund se hua tha

Us kund ka pani amrit aur keechad kapoor tha….us kund ki sabse badi vishesta yeh thi ki uska pani pine wala jab tak jinda rahega jawan rahega vo vriddh nahi ho sakta kabhi bhi…..kund ke paas me hi ek kanchan ka vriksh tha…uski jade patal tak thi….vah vriksh indra lok ke kalaptaru ki tarah khas tha

Vo vriksh ka phal kabhi kabhar hi nazar aata tha….jab usme phal lagta to uske ujale se poora singhal dwip me tez roshni phail jati….us phal ko khane wala ajivaj jawan aur nirogi rahega aisi uski vishesta thi

Kintu kabhi koi bhi na to us kund se pani nikal kar pi saka aur na hi kanchan vriksh ke us adbhut phal ko prapt kar paya…kund ke pani aur us phal ko pane ke liye jane kitne hi log apni jaan gawa baithe

Maharani Champavati atyant roopvati aur sadguno ki khan thi…vah battis shubh lakshano se yukt thi…unki sundarta ka bakhan poora singhal dwip karta tha…Champavati ke samanta ki koi bhi stri us samay kisi dwip me nahi thi

Maharani champavati is samay garbhvati thi….sare rajya me harsh aur ullas ka mahoul vyapt tha…maharaj Gandharv sen khushi se phoole nahi sama rahe the

Kisi ko kya pata tha ki Maharani Champavati garbhvati hokar kewal santan paida karne nahi ja rahi hain apitu vo ek itihas ki rachna karne ja rahi hain

Maharani champavati singhal dwip ko ek aisa deepak dene ja rahi thi jiska prakash sarvatra ujiyara phailane vala aur har kisi ke mann ko sammohit kar ek naye yug ki shuruwat karne wala tha

Champavati bhagwan shiv ki ananya bhakta thi….roj subah uth kar snan aadi se nivratt hone ke baad nitya din vo unke rajmandir ko chandan se lepan karti thi aur bhagwan ashutosh ki pooja karti thi

Jab se vo garbhvati huyi thi maharani ke hriday me ek aloukik prakash ki anubhuti hoti thi….jyo jyo garbh badhta ja raha tha tyo tyo maharani ke udar me us jyoti punj ka prakash bhi tez hota ja raha tha


INTERVAL BREAK

Mata Parvati—Putri Priyadarshini…..abhi tumhe bulane koi aane wala hai…ye lo pushtak..isme tumhe aage ki katha likhi huyi mil jayegi…tumhare siwa aur kisi ko bhi isme likha nazar nahi ayega

Priyadarshini ke hatho me vo pushtak dekar mata antardhyan ho gayi….aur tabhi usi samay diksha use khana khane ke liye bulane aa gayi

Darwaja khatkhatane se Priyadarshini apne dhyan se bahar aa gayi....usne mann hi mann maa gouri ko pranam kiya aur jakar darwaja khola

Diksha—aapka sabhi khane par intazar kar rahe hain

Priyadarshini—ji main abhi aayi

Main abhi payal didi aur divya ke sath dinner karne aa gaya…halanki chanchal ke sath khana kha chuka tha phir bhi sabhi meri vajah se abhi tak bhukhe the to unke pyar ka maan to rakhna hi tha

Mamta—beta kaha chala gaya tha…? Kam se kam bata to diya kar

Raj—sorry maa…dubara khyal rakhunga

Veer—tumhare chakkar me kisi din bhukha rahna padega

Mrinal—bilkul sahi pakde hain…aap mutra balatkari

Sab chounk kar mrinal aur veer ki taraf dekhne lage….veer ke gale me to khana hi atak gaya…..bechara chup chap gardan niche jhuka liya aur khansne laga

Kajal—arey koi use kuch pine ko do

Mrinal—mai pilaungi…main hu na……lo veer…mutra piyo

Ruchi (dhire se)—betu…is ashleel ladki ko kaha se pakad laya hai…..?

Is baar to sab ke gale me khana phans gaya aur vo khansne lage….jab ki mujhe hasi aane lagi…..payal didi ne mujhe ghur kar dekha to maine jaldi se pani ka gilas unki aur bakiyo ki taraf sarka diya

Meera—ye kya besharmi hai……?

Roopa—ise vapis lana hi nahi tha…..besharmi ki bhi koi had hoti hai

Vidhya (chilla kar)—chal dur hat mere bete ke paas se

Mrinal—kyo ab kya hua…….? Mai bhi to veer ko vahi pila rahi hu jo aap log pilane wali thi…….(phir veer ki oor palat kar) lo tum kyo pareshan hone lage….piyo na…main tumhe pailaungi mutra piyo..piyo

Vidhya (gusse)—behaya….besharam…tu aise nahi manegi…

Vidhya mousi gusse me apni jagah se uth kar mrinal ko marne ke liye jaise hi hath uthaya to turant maine unka hath beech me hi pakad liya

Raj—nahi…mousi ji…aisi galti dubara phir nahi honi chahiye

Sarita (jor se)—Rajjjjjj......ye kya tarika hai..... ? kya tumne hame isliye yaha rahne ko kaha taki hamari be-ijjati kar sako aur dusro ko bhi karne do......chalo didi hum apne ghar abhi jayenge

Priyadarshini (hath jodkar)—dekhiye hum yaha naye hain....agar mrinal ne kuch galat kah diya to main apse hath jod kar uski mafi mangti hu....use kshama kar dijiye....uska irada aap logo ka dil dukhane ka bilkul bhi nahi hai

Mamta—beta ye sab kya hai.... ?

Raj—pls sab shant ho jao...kuch nahi hai maa...darasal mrinal ko hindi nahi aati hai...vo abhi sikh rahi hai...isliye vo kuch ka kuch samajh baithti hai.....vo mitra ko mutra kahti hai aur chamatkari ko balatkari

Sab (shock)—kyaaaaaa..... ?

Mrinal—bilkul sahi pakde hain..... raj ji

Iske baad sabhi ne chup chap dinner khatam kiya aur apne apne room me chale gaye....mai bhi apne room me aa gaya jaha payal didi ke sath vidhi bhi thi

Vidhi—saajan ye dono ladkiya mujhe samanya nahi lagti

Payal—koun dono..... ?

Vidhi—mrinal aur priyadarshini

Raj—kyo..... ?

Vidhi—mai jinni hu...mai unke chehre ka tez dekh sakti hu apni shaktiyo se......khas kar priyadarshini me mujhe bahut tez jhalak raha hai...itna tez to kisi dev kanya me hi ho sakta hai aur kisi me itna samarthya nahi itna tez sahan karne ka

Payal—whattttt...... ? kya kuch bhi bolti ho tum vidhi...dev kanya aur yaha...... ? aisa kuch nahi lagta mujhe

Raj—chalo chhodo in bato ko

Payal—ab pahle batao ki tum pareshan kyo the din me…..?

Raj—aisa kuch nahi hai…mujhe need aa rahi hai ab

Payal—dekho mujhe kasam dene par vivash mat karo

Raj—kal bata dunga…abhi sab ghar me hain aur deewaro ke bhi kaan hote hain aaj kal

Payal—theek hai….magar main puche bina chhodungi nahi

Raj—mai ruchi didi ke paas se aata hu

Vidhi—lekin jaldi aana saajan….kahi main so na jau

Payal—ha to so ja na….mere samne kuch mat karna…..nahi to akele kuch nahi karne dungi main…soch lena isiliye tumhe apne sath rakha hai maine

Raj—tabhi to main sochu ki aapne vidhi ko apne sath kaise rakh liya itni asani se

Payal—to kya isko dusre room me rahne deti jisse tum iske paas apna muh kala karte raho aur main yaha tadapti rahu

Vidhi—tum bhi to saajan ki biwi ho…to isme tadapna kaisa…….?

Payal—mai to taiyar hu…par saajan se hi pucho…..inko karne me dikkat hoti hai mere sath

Raj—jab tak hamari shadi nahi hoti tab tak control karo…ayega vo din bhi jarur ayega….ok ab main chalta hu ruchi didi ke paas

Main ruchi didi ke room ja hi raha tha ki tabhi neha chachi ka room khula aur vo mujhe dekh kar ruk gayi…mai bhi bina kuch bole aage badh gaya tabhi

Neha—raj…mujhe tumse baat karni hai….andar aa jao

Raj—sorry…mujhe ab kuch nahi kahna chachi…main ab is baat ko tamasha nahi banana chahta

Neha—pls…bas kuch der

Raj—ok

Raj (andar akar)—kahiye jo bhi kahna hai…..mujhe need aa rahi hai

Neha (hath jod kar)—raj…..paridhi kaha hai…..pls

Raj—mai bata chuka hu

Neha (ruwansi hokar)—tumne kaha tha ki vo jinda hai

Raj—apko vo jaldi mil jayengi….mai iske aage kuch nahi bata sakta

Neha (lagbhag rone jaisi)—meri beti kaha hai…rajj….pls bata do….mai hath jodti hu….tumhare pair bhi pakadne ko taiyar hu…pls..bata do

Raj—ye kya kari hain aap…..kah to diya maine ki didi jaldi hi mil jayengi…abhi main khud bhi nahi janta ki vo kaha hai aur kis haal me hain…..bas itna pata chala hai ki vo jinda hain

Neha (sisakte huye)—meri beti ko vapis la do….tum jo kahoge main karungi…..jaise rahne ko kahoge main rah lungi

Raj—aapko rone ki koi jarurat nahi hai…..unhone jab mere liye itna kiya hai to itna main karunga hi…aap nishchint raho

Main unke room se nikal kar ruchi didi ke room me aa gaya….didi meri hi tasveer se baate kar rahi thi…meri awaz sun kar vo turant darwaja khol mujhse lipat gayi

Mai ruchi didi ke sath bed par let kar bate karne laga…..vo mujhse chipke huye hi apne pyar ka izhar aur apni majburiya batati rahi….maine unke hotho par apne hoth rakh diye aur kiss karne laga

Didi bhi khushi se jhumte huye mera sath dene lagi…..jab tak saans nahi phool gayi tab tak dono me ek dusre ke hotho ka ras pine ki prati spardha chalti rahi

Maine unhe apne chipka liya..vo aise hi chipke huye meri baho me so gayi…..unke sote hi maine apni ankhe band kar khud ko do bhago me vibhakt kar liya aur paridhi didi ke room ki talashi lene par mili us cheez (Locket) ko dhyan se dekhne laga




Kuch der tak dekhne ke baad maine apna ek roop vahi chhod kar adrishya hokar ek sun san jagah par aa gaya aur unicorn ko yaad kiya…agle hi pal vo mere samne aa gaya

Unicorn—ji malik

Raj—Dark Lok chalo

Unicorn—ji malik..kintu vaha bahut khatra hai

Raj—vo dekhna mera kaam hai….tumse jitna kaha hai utna karo

Unicorn—ji malik..aaiye

Phir main unicorn ke sath dark lok ke ek anjane safar par nikal gaya….vaha pahuchte hi jaise maine apna pair dark lok ki jamin par rakha ki tabhi……..

Unicorn (chillate huye)—malikkkkkkkk
जायसी को पढ़ने और समझने वाले शायद ही मिले, आपने उनको quote किया। देखके बड़ा अच्छा लगा।
 

Ameer Khan Khan

Active Member
1,121
1,772
158
waiting bro
 

NaziaNoor

Member
151
236
59
SAAJAN
UPDATE- 309

Pandit—bilkul adhikar hai sahab…lekin mandir me ghus kar darshan karne ka nahi..vahi se bhi to darshan kar sakta hai…ye hamare rishi muniyo ke banaye niyam hain jise hum nahi tod sakte..

Raj—mere ek sawal ka jawab dijiye..

"Jab Ram Shabri Ke Juthe Ber Kha Sakte Hain To Shabri Ram Ke Mandir Me Kyo Nahi Ja Sakti…..?"

Ab Aage…….

Raj—hai koi jawab aap ke paas mere iss sawal ka…..? bataiye..jab shri ram khud shabri ki kutiya me ja kar uske jhuthe ber kha sakte hain to phir unhi shri ram ke mandir me shabri ko jane se kyo roka ja raha hai….? Jab shri ram ne ye chhua chhut ka bhedbhav nahi mana to insan koun hota hai kisi ko bhagwan ke darshan karne se rokne wala…? Ek taraf to sab bhagwan ki pooja karte hain aur dusri taraf unke hi bataye rasto ko galat batate hain…akhir kaisi bhakti hai ye….?

Pandit—ab hum isme kya kar sakte hain…? Ye sab hamare rishi muniyo ke banaye niyam hain..jinhe sara sansar poojta hai… hum unke niyam kaise tod sakte hain…?

Raj—rishi muniyo ko dosh mat dijiye pandit ji, sach to yeh hai ki hum insano ne unki baat ka kuch alag hi arth nikal liya…rishi muni jyadatar pooja path ya phir tapasya me leen rahte the…aur kisi ki bhi pooja ka ek vidhan hai ki tann aur mann saaf hona chahiye..kisi bhi tarah ki gandagi ya ashuddhi nahi honi chahiye…jab hum apne gharo me pooja karte hain to kya nahane ke baad pooja karne se pahle apne kisi bhi ghar wale ko touch karte hain…? Nahi na..kyo..? vo isliye kyon ki vo nahaya nahi hoga.. jiske karan uska tann ashuddh hoga to hum pooja hone tak use nahi chhute..yahi niyam rishi muniyo ka bhi tha..kintu insan ne use chhua chhut ka rog bana liya….

Padam—aap bhi kaha ulajh gaye raj ji..pooja karne me dhyan lagaiye..

Raj—pandit ji, uss aurat ko adar sahit andar aane dijiye, usko bhi darshan kar lene dijiye bhagwan ke..bhagwan to sabhi ke hain.

Pandit—jaisa aap kahe..

Thodi der me vo aurat andar aayi aur door se hi bhagwan ke samne apna matha tek kar kuch vinti karne lagi…uski ankhe bhigi huyi thi jise dekh kar aisa lag raha tha jaise ki vo bahut pareshan ho.

Raj—maa ji, aapke chehre par itni udasi kyo hai….? Aap bahut pareshan nazar aa rahi hain..dekhiye aap mujhe apna beta samajh kar hi apne mann ka dard bata dijiye..ho sakta hai ki main kuch madad kar saku aapki to mujhe behad khushi hogi.

Aurat (pareshan)—kya batau sahab, mere upar to musibato ka pahad hi toot pada hai…? Meri badi beti ko shadi ke 8 saal hone ke baad bhi koi bachcha na hone ke karan uske sasural walo ne use ghar se nikal diya…uska dukh hi mujhse dekha nahi ja raha tha ki aaj raste chalte meri do betiyo ko kuch gunde jabardasti utha le gaye…

Raj—police me complain nahi ki aapne…?

Aurat (sisakte huye)—gayi thi lekin hum garibo ki koun sunta hai sahab...unn logo ne ye kah kar mujhe bhaga diya ki aaj to sab log mantri ji ke aane se unki suraksha me vyast hain...kal aa kar report likha dena...ab aap hi batao sahab kal tak to meri betiyo ka kya haal kar denge vo log... ? isliye majbur ho kar bhagwan ke paas aayi thi madad maangne lekin yaha bhi log bhagwan ke samne bhi hame apna dukhda rone nahi dete..

Raj—maa ji, aap chinta mat kijiye, sab theek ho jayega...aap ki betiya aap tak surakshit pahuch jayengi...main le kar aaunga unhe...(pandit ji ki taraf dekh kar)..pandit ji, agar meri jagah pooja me ye dukhiyari maa baithe to aap ko koi aapatti to nahi hogi.. ? mere aane tak aap yahi rukiyega..

Pandit ji—mujhe koi dikkat nahi hai...bhagwan ki pooja karne ka sab ko adhikar hai..

Raj—aapka bahut bahut dhanyawad..chalo veer..

Uske baad maine maa, payal didi aur divya ko company me bane managing director’s room me chhod kar veer ke sath le ke unn dono ladkiyo ki talash me nikal gaya.

Veer—yaar, tumhare paas to powers hain…apni powers ka use karo na…aise kaha dhoondte rahenge hum unhe itne badi jagah me….?

Raj—nahi veer, main power ka use nahi karunga…samajh lo ki ye meri yogyata ki pariksha hai…

Veer—phir hum unko dhoondege kaise….?

Raj—uss aurat ne jis jagah se kidnap hone ka bataya hai, shuruwat vahi se karte hain..

Veer—isme to bahut time lag jayega yaar..aur tab tak to vo log unn dono ladkiyo ka na jane kya haal kar denge…?

Raj—vaisa kuch nahi hoga..tum shayad bhul rahe ho ki vo dono bhi rajgarh se judi huyi hain..unki izzat safe hai, haan unki jaan jarur le sakte hain..isse jyada vo unka kuch nahi bigaad sakte..

Veer—ye to main sach me bhul hi gaya tha..khair chalo….

Hum dono uss jagah par pahuch ke jis disha me uss aurat ne unn gundo ko uski ladkiyo ko le jate dekha tha, hum bhi udhar jate huye logo se uss rang ki gadi ke baare me puchte huye aage badhte rahe…magar har kisi ne apni anibhigyata jahir kar di…phir bhi main nirash huye bina koshish karte huye aage chalta raha.

Veer—yaar, city ke andar to vo log rukenge nahi aisa crime karne ke baad..mera khyal hai ki vo jarur unhe kisi sunsan jagah par le gaye honge..

Raj—hmmm..chalo dekhte hain..

Udhar vo gunde dono ladkiyo ko city se bahar bane ek band godaam me le gaye..dono unki pakad se chhutne ke loye chhatpatate huye roye ja rahi thi kintu unhe dono par koi daya nahi aa rahi thi…vo ginti me kul chaar log the.

Ladki 1 (rote huye)—hame chhod do…jane do hame..

Gunda 1—hahaha..tumhe chhodne ke liye thodi hi pakda hai hamne…tum to hamari kamayi ka jariya ho..

Gunda 2—hihihi…sahi kaha yaar…pahle hum chaaro tum dono ko jee bhar kar ragdenge aur phir dono ko kisi randi ke kothe par bech kar paisa kamayenge….

Gunda 3—hihihi..maza ka maza aur sath me paisa bhi milega…

Ladki 2 (darte huye)—nahi hame jane do…hum vaisi ladkiya nahi hain..

Gunda 4—chinta kyo karti ho bulbul..tum vaisi ladki nahi ho to kya hua...hum to vaise ladke hain na..hum tum dono ko vaisi ladki bana denge..tension mat lo....

Gumda 1—chalo yaar dekhte kya ho...maze lo inn dono ke...

Ladki 1 (chillate huye)—nahiii….bachaooo…nahiii…

Gunda 2—chatttaaakkkk…chup Sali..jyada halla gulla kiya to ye chaku tumhari ch**** me ghused dunga..samajh gayi…

Charo log unn dono par kisi bhukhe bhediye ki bhanti jhapat pade….dono jor jor se chillane lagi unse bachne ke liye..magar vah to apni hawash me andhe ho chuke the..jab dono ne virodh karna aur hath pair maarna band nahi kiya to unke kapde phadne lage.

Main aur veer dono ko talash karte huye ja hi rahe the ki tabhi hamari nazar door khadi ek gadi par gayi jiska colour bilkul vaisa hi tha jaisa ki uss aurat ne bataya tha..ye dekhte hi hum tezi se vaha pahuch kar har taraf dekhne lage ki tabhi kisi ke chillane ki awaz sunayi do.

Veer—raj, lagta hai ki awaz yahi uss godam taraf se aa rahi hai..

Raj—chalo..

Hum daudte huye uss abd godam ke bhitar ghus agye main gate ke upar se chadh kar jo ki band tha aur gadi godam se thodi door khadi huyi thi unki….andar ghuste hi hamari nazar phir se kisi ke cheekhne ki awaz par gayi to dono turant vaha pahuch gaye, awaz ka picha karte huye..

Andar charo dono ladkiyo ke kapde jabardasti unke jism se alag karne ki koshish kar rahe the aur vo iska virodh kiye ja rahi thi.. vo dono ke jism ko vastraheen kar pate ki usse pahle hi kisi ki awaz se vo chounk gaye.

“Agar apni jindagi chahte ho to Ladkiyo ko chhod do.”

Gunda 1 (chounk kar)—koun hai be…?

Jaise hi unhone awaz ki disha me dekha to vaha ek ladke ko khade dekh vo chounk gaye..vo main hi tha..mujhe akela dekh kar unke andar ka darr door ho gaya jo shayad police ya phir kisi aur ka raha hoga to..

Ladki 2 (rote huye)—hame bacha lo…aaaaaaa

Raj—maine kaha na ki ladkiyo ko chhod do….

Gunda 2—abe chal nikal yaha se bho…aaaaaaaaaaaaaaaa

Uski baat poori hoti ki usse pahle hi maine paas me pada hua ek lohe ka rod pair se uski taraf uchhal diya jo uske muh par ja ke laga jisse uske muh se khoon bahne laga..ye dekh kar unhone apne chaku bahar nikaal liye jabki jisko maine mara tha usne deshi katta nikaal kar mujhe darane laga.

Gunda 2—tune mujh par hath uthaya…? Ab tu jinda nahi bachega...pakad lo saale ko...

Raj—abe ye tamancha dikha kar kise dara raha hai...ise apni jeb me rakh aur ladkiyo ko chhod ke nikal jao yaha se chupchap..

Gunda 3—saale ye ladkiya teri koun lagti hain jinke liye tu yaha aa gaya.... ?

Raj—tum chaaro ka hone wala jija hu main aur ye dono tumhari bahan hain..samjhe akal ke dushman..

Ladki 1—aaaaaaaa...chhod do hame...bachaooo..

Gunda 1—maro saale ko..abhi pata chal jayega ki koun kis ka jija jai...ab to tere samne hi inn dono ki izzat lootenge..hahaha maar maar ke saale ko adhmara kar do...

Do log hath me chaku le kar meri taraf badhe aur jaise hi mujhe maarne ko huye vaise hi maine niche baith kar ek ke pair me kick mari to vah dhadam se apne sathi ke upar hi gir pada jiske karan dusra bhi niche ludhak gaya..magar iss chakkar me dusre wale ke hath ka chaku pahle ke pet me aur pahle wale ka chaku dusre ke seene me ghus gaya aur vaha ek dard bhari cheekh goonj uthi.

Dono ko lahu luhaan hote dekh kar baki bache dono thoda ghabra gaye..ek ne chaku uss ladki ki gardan me laga diya.. jisse dono aur darr gayi.

Gunda 1—jyada chalaki kiya to main inko maar dunga...

Gunda 2 (gusse me)—tere karan hamare do sathi mar gaye...ab tu nahi bachega...chupchap apne hath upar kar de warna ye dono jaan se jayengi..

Vo mere upar fire karne hi vala tha ki tabhi uske hath se deshi katta chhitak kar door ja gira..vo kuch samah pata ki usse pahle hi maine pahle wale ko pakad kar khich liya jisne uss ladki ke gale me chaku laga rakha tha...hua ye tha ki jab vo mere upar fire karne wala tha ..tabhi veer ne ek rod utha ke uske hath par vahi se phenk ke maar diya jo ki bahae khade ye sab tamasha dekh raha tha...aur mujhe dusre wale ko dabochne ka mouka mil gaya..

Bas phir kya tha..ek ko veer ne pakad kar dhona shuru kiya aur dusre ko main ghasitne laga..thodi hi der me unki haalat badtar ho gayi aur vo daya ki bhikh maangne lage...dono ladkiya dari sahmi hame dekhe ja rahi thi.

Gunda 1—aaaaaaaa...mujhe chhod do..aaaahhhh

Raj—mere baare me jaan leta to tere liye achcha hota..lekin afsos tujhe batata bhi to koun batata…? Kyon ki Raj Ek Raaz Hai.

Vahi dusre vale ko veer ne patak patak kar hi uska sir phod diya….aur vo cheekhte huye yamraj ke darbar me pahuch gaya.. jabki pahla abhi bhi gidgidane me laga hua tha.

Gunda 1—aaaaaaaa….aaaaaaaaa….mujhe maaf kar do..mujhse galti ho gayi…maaf kar do..mujhe mat maro…aaaaaaa

Raj—
Mafi Jaisa Shabd Meri Dictionary Me Nahi Hai.

Maine uski gardan pakad kar ek jhatke me marod kar tod di..uski dard bhari cheekh vaha goonj kar shant ho gayi.. unke marte hi pahli bar meri nazar dono ladkiyo par gayi jo hame dekh kar bahut jyada darr gayi thi….halanki dekhne me dono koi khaas sundar to nahi thi..dono ka rang sanwla tha..haan badan jarur dono ka kafi bhara hua tha jisse vo akarsak dikhti thi…dono skin tight jeans aur vaise hi top pahni huyi thi jisme se unke jism ka har ek ubhaar saaf saaf pata chal raha tha..vaise bhi ab to unke kapde bhi lagbhag phat hi chuke the.

Ladki 1 (hath jodte huye)—nahii..hame mat maro..pls..hame jane do..

Raj—daro mat…hum tumhe maarne nahi balki bachane aaye hain..tumhari maa ke kahne par..unhone hi hame tumhare kidnap hone ke baare me bataya tha..ye lo coat pahan lo..

Maine aur veer ne dono ko apne apne coat unhe pahna diye..aur unko gadi me bitha kar uss aurat ke paas chale gaye… dono ko dekhte hi vo khushi ke anshu rone lagi..

Aurat (rote huye)—tum dono theek to ho na…? kuch hua to nahi na tumhe…?

Ladki 1—inhone hame bacha loya..

Ladki 2—haan maa..inhone hame bachaya..agar ye time par vaha nahi aate to ab tak..

Aurat (hath jodte huye)—aap ka ye ehsaan main kabhi nahi utar sakti sahab….

Raj—dhanyawad karna hai to bhagwan ka karo jinki choukhat par aa kar tumne vinti ki thi…vo apne bhakto ki pukar jarur sunte hain agar usme koi chhal kapat na ho to…iss baar aap ka dukh door karne ke liye unhone hame madhyam bana diya..bhagwan ko pranam karo, mujhe nahi..

Aurat—bhagwan ka laakh laakh shukra hai ki unhone mujhe aapse mila diya….nahi to vo paapi na jane meri betiyo ke sath kya karte…?

Raj—dekhiye taali ek hath se nahi bajti…agar unhone galat kiya to isme aapki betiyo ki galti bhi kam nahi hai…unki hawash ko bhadkane ka kaam to inhone hi kiya hai….

Aurat (hairan)—main kuch samjhi nahi sahab…? Ye dono to mere sath hi aa rahi thi jab unhone jabatdasti inko pakad kar gadi me baitha liya tha tab…inhone to kuch kiya hi nahi tha aur na hi unhe janti thi..phir….?

Raj—hamare desh me ek kahawat hai ki ‘’ Jo dikhta hai vahi bikta hai’’….jab ladkiya aise jism dikhane wale kapde pahan kar bahar niklengi to unke sath yahi hoga na…hum videshoki dekha dekha andhe faishon ke piche bhaag rahe hain..lekin ye bhul jaye hain ki vaha ka culture kaisa hai…? Vaha to ye sab hona mamuli baat hai…jab ladkiya aise jism dikhne wale kapde pahnengi.. tab to yahi kahawat charitarth hogi na…mithayi dekh kar hi to muh me pani ayega na..ki bina dekhe hi aa jayega…? Aisi ladkiyo ki vajah se jab iss tarah ke logo ki hawash jagrit ho jati hai to unke sath yahi hota hai, aur jo unhe dekh kuch nahi kar pate vo apni hawash mitane ke liye masum bachchiyo ka shikar karte hain…Hum kahte hain ki hum development kar rahe hain,,jabki ye development nahi balki aadim manav ki haalat se hum yaha tak pahuchne ke baad phir se ussi avastha me vapis ja rahe hain….pahnava vahi achcha hota hai jisse jism ka koi kataav dekhne vale ko pata na chale…meri ye chaar line hamesha dhyan rakhna, shayad samajh aa jaye..


“Tana Ho Sir Pe Jab Chhappar, To Sawan Kya Bigadega,
Dupatta Ho Badan Pe Jo, To Dushashan Kya Bigadega,
Tumhe Saugandh Maryada Ki, Jo Laxman Ne Khichi Thi,
Vo Rekha Kabhi Paar Mat Karna, To Ravan Kya Bigadega.”

Main pooja ka prasad le kar veer ke sath vaha se nikal gaya aur company aa gaya…jaha sab hamara hi intazar kar rahi thi…unko le kar main apne naye ghar ke liye rawana ho gaya jo maine rajgarh me rahne ke liye chuna tha…vaha pahuchte hi jaise hi sabne dekha to shocked ho gaye.
THIS STORY UPDATE NOW....................
Update-1 to update 231 posted
update-251 to update 309 posted
Update 232 to update 250 waiting [when need to be posted]

now.......update 310 onwards posting....enjoy......
 
Last edited:

NaziaNoor

Member
151
236
59
SAAJAN
UPDATE—310

Main pooja ka prasad le kar veer ke sath vaha se nikal gaya aur company aa gaya…jaha sab hamara hi intazar kar rahi thi…unko le kar main apne naye ghar ke liye rawana ho gaya jo maine rajgarh me rahne ke liye chuna tha…vaha pahuchte hi jaise hi sabne dekha to shocked ho gaye.

Ab Aage………

Unke chounkne ki asli vajah shayad uss ghar ki atulneey bhavya sundarta thi.. ya phir shayad kuch aur ??? ..halanki usko ghar kahne ki bajaay ek alishan mahal kaha jaye to isme koi atisanyokti nahi hogi, kyonki vah tha bhi ekdam mahal ki hi tarah, jiske charo taraf hare bhare ped poudho ki hariyali bikhri huyi thi to samne ki taraf indradhanusheey satarangi sugandhit phoolo ki kyariyan thi jo uski sundarta me char chaand laga rahi thi…aur inke Madhya me sushobhit vah bhavya mahal apni bhavyata ko khud ba khud charitarth kar raha tha.

Kafi vishal bhu-bhag me bana ye mahal yoon to city se laga hua hi tha kintu city ke beech nahi tha balki usse thoda outer area me tha…

Veer—wow ! beautiful..kya ghar hai ?

Payal—ghar nahi, ye to jaise koi mahal hai ! uummmh..thanks raj,itna badhiya ghar banwane ke liye.

Raj—ye bunglow maine banwaya nahi balki bana banaya kharida hai didi…bas isko decorate karwaya hai, kuch changes ke sath.

Mamta—jo bhi ho beta par bunglow bahut achchha hai.

Ruchi—ab andar bhi chalna hai ya phir yahi bahar se hi Dekhte rahna hai ?

Raj—haan chalo sab bhitar..ab baki baate vahi ghar ke andar hongi.

Maine jaise hi bunglow ka entry gate khola vaise hi mousam ka mizaz apna rang badalne laga…jaha abhi kuch samay pahle tak hawa se ek patta tak nahi hil dul raha tha, vahi achanak mere bunglow me kadam rakhte hi tez hawa chalne lagi..neele pade saaf aasman me kali ghataon ne apna dera jamana shuru kar diya tha. ..lekin ye to bas ek shuruwat thi aane wale samay ke garbh me chhipe huye khatarnak bhavi sankat ki..jisse sab anjaan the.

Udhar dusri taraf swarg lok ki nagri Amravati me dharti se jane ke baad priyadarshini apne saajan se bichhadne ke virah dukh me vyakul ho rahi thi. Kisi bhi karya me uska mann hi nahi lagta tha, chahe mahal ho ya phir pushpvatika har sthan par uska kantiyukt chehra hardam murjhaya rahta tha.

Jyo jyo uske swayamvar ka samay paas aa raha tha, tyo tyo uske hriday ki bekarari badhti hi ja rahi thi. Devraj aur uski mata sahit uski sakhiyo ne use bahut samjhane ka prayas kiya kintu unke prayas prem ras me doobi uss dev kanya par nirarthak hi sabit huye.

Priyadarshini ko dekh kar aisa lagta tha jaise ki vah kisi behad gambhir bimari ka shikar ho aur kayi mahino se kuch khaya hi na ho. Bas ekant me gumsum baithi apne saajan ke sapno me khoyi rahti thi.

Sapno ki duniya bahut rahasyamayi hoti hai, kuch sapne haseen hote hain, kuch dukhad, kuch hansane wale, kuch bhaktimay to kuch ajeeb…bahut ajeeb hote hain.

Yahan tak suna gaya hai ki kuch sapno ka poorva janmo se bhi naata hota hai, ya kuch sapne hamare aane wale samay ka aaina hote hain.

Kuch sapne aise bhi hote hain jo hamari zindagi aur mout ke beech ka faasla tay karte hain.

Magar inn sapno ke pichhe chhupe rahasya ko koi nahi janta.

Aisa nahi tha ki swayamvar ke Vishay me soch kar priyadarshini ko saajan ki veerta par koi sandeh tha parantu iss baat ko lekar uska mann sashankit avashya tha ki saajan ke sath apna shesh jeevan bitane ke usne jo khwab sadiyo se dekh rakhe hain, vo poore ho payenge ya nahi..akhir uska saajan tha to ek manav hi jiska samna swayamvar me bade bade devtaon se hoga aur phir use bhi badi samasya khud uske pita devraj the jo kadapi ek manav ke sath uska vivah nahi hone denge.

Inhi baato ko soch kar vah udas ho jati thi, uska dil karta ki vo turant vaha se bhag kar saajan ki baaho me lipat jaye jisse uske bechain dil ko shanti mil sake.

Magar aisa karne me vah vivash thi kyonki saajan ne use apni kasam dekar rok diya tha. Siwaye uski yaad me tadapne ke uske paas koi rasta nahi tha.

Iss samay bhi vah behad udas haalat me Vatika me ekant me baithi, apne saajan ke sapno me khoyi huyi thi ki tabhi mrinal kuch saheliyo ke sath use khojte huye vaha aa pahuchi. Unhone use kayi bar awaz di kintu uska dhyan nahi toota.

Sakhi 1—akhir hamari pyari sakhi ko hua kya hai jo har samay vichlit si shant baithi rahti hai ?

Sakhi 2—jab se dharti se ghoom kar aayi hai, tabhi se aisa hai.

Sakhi 3—lahi hamari sakhi ko kisi manav se prem to nahi ho gaya ? aisi halat to tabhi hoti hai.

Sakhi 4—nahi ye nahi ho sakta..akhir hamari sakhi ek dev kanya hai..( kuch der ruk kar)..par ho bhi sakta hai..akhir dharti aur swarg me kya bhed hai ? kya antar hai ? ye prashna kabhi tumhare mann me nahi uthta ?

Sakhi 1—prashna uthe ya nahi par ek antar to pratyaksh hai ki mrityu lok marne wala hai jabki swarg lok amar hai. Amit, snigdh shikha jaisi devo ki kaya hai jabki mrityu lok ki sundarta to kshan bhar ki maya hai.

Mrinal—par tum bhul rahi ho sakhi nashwarta ke iss var ko, dharti par par jo anand sulabh hain vah swarg lok ko bhi prapt nahi hain. Hum bhi kitne vivash hain ki kisi bhi vyanjan ka swaf bahi le pate hain sirf gandh pee kar hi rah jate hain, roop bhogte hain mann se ya trishna bhare nayan se, par jab koi jwar roop ko dekh kar umad jata hai tab ye jeevan kisi anivarchneey kshudha me pad jata hai. Uss peeda se bachne ki jab koi raah nahi milti tab jo vedna uthti hai uske kaaran hamara jeevan kabhi nahi khil pata.kintu mrityu lok me aisa koi bandhan nahi hai ki gandh tak hi ruk jaye, vaha to prem par koi pratibandh nahi hai.

Ek swad hai swarg lok me to ek swad hai vasudha par,inn dono me koun shreshtha hai ? koun heen ? ye kahna bada kathin hai. Jo kamna kheench kar manushya ko swarg lok le jati hai, vahi ambar walo ko iss mitti par kheench lati hai.

Kirno ki taro par chadhe huye. Krida karte huye devta kabhi kabhi idhar udhar ghumte huye dharti par bhi pahuch jate hain…ya, sambhav ho ki inke dharti me jane ka koi kaaran bhi ho kyonki manushya to iss swarg lok ya phir iss amar lok ko to poorn maan baitha hai.

Par, kahte hain ki swarg lok bhi samyak poorn nahi hai kyonki prithwi par hai chaah, prem ko sparsh mukt karne ki, vahi gagan, roop ko baaho me bharne ko akulata hai.

Gagan aur bhoomi, dono abhav se poorit hain, dono ke alag alag prashna aur alag alag peedayen hain. Manav har bandhan tod kar mukt pawan me udna chahta hai to vahi devta kabhi kabhi yahi manav deh dharne ko akulate hain.

Sakhi 3—par dharti lok me koi amar to nahi ho sakta na ?

Mrinal—akhir kya hai ye amaratva ? mann me dhoom samet kar shanti se yug yug tak jeena hai, par, socho to, mrityu lok me manuj kitna prem se jeeta hai, chahe do din hi ho par mukt ho kar jeeta hai, inn jwalant vego ke aage malin shanti sari hai, kshan bhar ki unmad tarang par to ye amarta bhi balihari hai.

Sakhi 2 (haste huye)—sakhi ..lagta hai ki tumhara bhi mann kahi phansa hai, mitti ka mohan koi antar me aan basa hai ?

Mrinal abhi kuch kahne ja hi rahi thi ki tabhi…
 

NaziaNoor

Member
151
236
59
SAAJAN
UPDATE-311
Sakhi 2 (haste huye)—sakhi ..lagta hai ki tumhara bhi mann kahi phansa hai, mitti ka mohan koi antar me aan basa hai ?

Mrinal abhi kuch kahne ja hi rahi thi ki tabhi…

Ab Aage.......

“sakhi, vo dekho, hamari priyadarshini ki ankho se motiyo ki ladi nikal kar bah rahi hai.” Kisi sakhi ne priyadarshini ki ankho se bahte aanshoo dekh kar kaha.

Uski baat sunte hi mrinal ka dhyan bhang ho gaya aur vo daud kar priyadarshini ke paas chali gayi. Aur use samjhane lagi.

Mrinal (hilate huye)—sakhi, kya hua ?

Priyadarshini—(no response)

Sakhi 2—pakka hamari sakhi kisi dharti lok ke manav ke prem me doob gayi hai..

Sakhi 1—lekin kisi ek manav ke liye rona kaisa ? hum koi manav to nahi ki jaise hi prem uge to ruk gaye ? prem manvon ki nidhi hai, apni to kreeda hai. Prem hamara swad hai jabki manavon ke liye aakul peeda hai. Ek manav ke liye itna vyathit hone ki kya avashyakta hai sakhi ?

Mrinal—vaha use apne priyatam ko kanth laga kar jo sukh milega vo yaha nahi mil sakta sakhi.

Sakhi 5—sukh jab hoga tab hoga kintu ye dharti badi hi kutsit hai, jaha prem ki madakta me bhi yaatna nihit hai, jo bhi karti prem use mata banna hota hai. Vaha nari ko kya kya klesh nahi sahne padte. rog, shok, santaap aur budhapa aate hi rahte hain. Prithvi ke prani hamesha naye naye dukh bhogte rahte hain, jaha kshan bhar ka prem ka lobh aur vipattiya itni sari ?

Sakhi 4—akhir vo manav hai koun jisne hamari sakhi ka dil churaya hai ?

Mrinal—saajan naam hai unka...unhi par hamari rajkumari apna dil haar baithi hai.

Sakhi 1—yaha sabhi devta jise paane ke liye lalayit hain vo pahle hi apna dil haar baithi hai. Ab kya hoga ? ye milan to sambhav hi nahi hai..kaha devlok ki rajkumari aur kaha dharti ka ek manav ?

Sakhi 2—aur phir devraj ne to swyamvar bhi ayojit kar diya hai ab to..? aur yaha swarglok me saajan to swayamvar me aane se raha kyonki dharti ka koi prani yaha tak jivit pahuch hi nahi sakta.

Sakhi 3—agar pahuch bhi gaya to swayamvar jeet nahi sakta.

Mrinal—tum abhi saajan ko achche se nahi janti aur na hi uski shaktiyo ko, isliye aisa kah sakti ho..vo ayega aur jarur ayega..aur phir mata parvati ne khud hi hamari sakhi ke liye saajan ko chuna hai..unka kathan kabhi asatya nahi ho sakta.

Sabhi (shocked)—kya mata parvati ne ?

Mrinal—hmmm

Magar inn baato ki taraf priyadarshini ka tanik bhi dhyan nahi tha. Vah to apne saajan se virah ki jwala me jhulas rahi thi aur sundar netro se aanshu tapkaye ja rahi thi, uski aisa dasha mrinal se dekhi nahi ja rahi thi.

Mrinal—sakhi kya hua, kuch to bol ?

Priyadarshini (vichlit)—mrinal, mujhe dharti par saajan ke paas jana hai warna iss sharir ko tyag kar nishchit hi pawan me mil jaungi.

“Bhala chahti ho mera to vasudha par jane do.

Mere hit jo bhi sanchit ho bhagya, mujhe paane do.

Nahi dikhti kahi shanti mujhe ab iss dev nilay me,

Bula raha mera sukh mujhko saajan ki baahu valay me.



Swarg-swarg mat kaho, swarg me sab saubhagya bhara hai,

Par, is maha swarg me mere hit kya aaj dhara hai ?

Swarg swapn ka jaal, satya ka sparsh khojti hu main,

Nahi kalpana ka sukh, jivit harsh khojti hu main.

Tripti nahi ab mujhe saans bhar bhar kar saurabh peene se,

Oob gayi hoon daba kanth neerav rah rah kar jeene se.



Ladta hai koi shonit me swarn tari kheta hai,

Rah rah mujhe utha apni baaho me bhar leta hai

Jis saajan ka dhyan praan me mere yah pramod bharta hai,

Apne uss saajan ke ab bahut nikat hokar jeene ko jee karta hai.

Yahi chahti hu ki gandh ko tan ho, use dharu main,

Udte huye adeh swapn ko baahon me jakdu main,

Nirakaar mann ki umang ko, roop kahi de paaoon,

Phoote tann ki aag aur main usme tair nahaaun,

Kahti hu, isliye sakhi, ab mat der lagaao,

Jaise bhi ho sakhi, mujhe saajan ke sameep pahuchaao.”

Tabhi....

“narayan..narayan” ka jaap karte huye vaha devarishi narad ji aa pahuche. Unhe dekhte hi mrinal sahit sabhi ne unhe sir jhuka kar unka samman kiya. Unke pranam ke pratyuttar me devarshi ne unhe ashirwad diya.

Jaha ek taraf priyadarshini apne saajan se virah ki virahagni me tadap rahi thi to Vahi dusri taraf..

Maine jaise hi bunglow ka entry gate khola vaise hi mousam ka mizaz apna rang badalne laga…jaha abhi kuch samay pahle tak hawa se ek patta tak nahi hil dul raha tha, vahi achanak mere bunglow me kadam rakhte hi tez hawa chalne lagi..neele pade saaf aasman me kali ghataon ne apna dera jamana shuru kar diya tha. ..lekin ye to bas ek shuruwat thi aane wale samay ke garbh me chhipe huye khatarnak bhavi sankat ki..jisse sab anjaan the.
 
  • Love
  • Like
Reactions: netsunil and Lib am

NaziaNoor

Member
151
236
59
SAAJAN
UPDATE-312
Maine jaise hi bunglow ka entry gate khola vaise hi mousam ka mizaz apna rang badalne laga…jaha abhi kuch samay pahle tak hawa se ek patta tak nahi hil dul raha tha, vahi achanak mere bunglow me kadam rakhte hi tez hawa chalne lagi..neele pade saaf aasman me kali ghataon ne apna dera jamana shuru kar diya tha. ..lekin ye to bas ek shuruwat thi aane wale samay ke garbh me chhipe huye khatarnak bhavi sankat ki..jisse sab anjaan the.

Ab aage.........

Kahte hain ki jo cheez bahaar se jitni khoobsurat dikhayi deti hai, uske bhitar utna hi adhik khatra hota hai, vo andar se utni hi jyada badsurat hoti hai aur uss badsurti me utne hi adhik raaz chhupe hote hain. Kya pata, Iss khoobsurti ke peeche bhi na jaane shayad koi bahut bada, behad badsurat gahra raaz chhupa hua ho ??

Hamare bunglow me kadam rakhne ke kuch der tak mousam apratyashit dhang se badalta raha aur phir sab kuch achanak poorvavat ho gaya. Sabhi iss ghatna se achambhit rah gaye, unhe kuch bhi samajh hi nahi aaya ki ye sab kya ho raha hai ?. Bunglow jitna bahar se khoobsurat lag raha tha, andar se vah aur bhi manmohak tha, sabhi kuch pal uski sundarta me hi kho kar rah gaye.

Naina—raj, yaha koi nahi hai kya ? na koi gate par guard hai aur na hi koi naukar nazar aa raha hai ?

Veer—haan raj..kya baat hai ? aur ye jagah bhi kafi veeran si lag rahi hai..

Mamta—main bhi yahi soche ja rahi hu..

Ruchi—betu, koi naukar nahi hai kya ?

Raj—bola to tha maine ek admi ko sab intazam karne ke liye..khair, abhi dekhta hu..

Maine jeb se mobile nikaal kar kisi se kuch der baat ki aur phir sabko bunglow ghumane aur dikhane me lag gaya.

Tab tak ek admi teen chaar logo ko le kar vaha aa gaya jisme ek adhed umra ki ek aurat bhi thi, maine unn admiyo ko gadi me se samaan nikal kar andar rakhne ko bol diya.

Raj—intazaam ho gaya sab ?

Admi—ji sahab

Payal—itna time lagta hai intazaam karne me ?

Admi—kya karu mem saab, iss bunglow ka naam sun kar koi yaha kaam karne ko taiyar hi nahi ho raha tha..badi mushkil se inko samjha bujha kar laya hu..isiliye time thoda jyada lag gaya.

Veer (hairan)—aisa kyon ?

Admi—pata nahi..par suna hai ki jo bhi iss bunglow me rahne aaya vo yaha se jinda bahar nahi gaya..agle din uski laash hi milti thi, vah bhi bahut buri halat me.

Sabhi (shocked)—kyaaaaa ?

Admi—maine to sahab ko bhi mana kiya tha par sir nahi maane..

Uski baate sun kar sab chounk gaye. Ek anjana sa darr unke mann me sama gaya aur vo chintayukt nazro se meri taraf dekhne lage.

Soniya (hairan)—agar aisa tha to raj tumne ye bunglow kyon kharida ?

Mamta (shocked)—haan beta..

Raj—aisa kuch nahi hai maa, ye sab faltu baate hain..logo ki failayi huyi afwah hai..iske alawa kuch nahi..

Mamta—phir bhi beta ?

Raj—maa, kya aapko bhi apne bete par ab bharosa nahi raha ? aur phir veer bhi to hai mere sath..

Mamta—bharosa to hai beta, par..

Raj—par var kuch nahi maa...chalo main aap sabko rooms dikhata hu..

Maine bari bari se sabhi ko rooms dikhaye, jisko jo pasand aata gaya, usne apne liye use chun liya. Ant me payal didi aur divya ne room chuna. Halanki ye bunglow hamare pahle wale bunglow ke jaisa bada to nahi tha par phir bhi kafi sundar tha. Sabne apna samaan apne rooms me rakhwa diya.

Naukar 1—saahab aapka samaan koun se room me rakhna hai ?

Payal—mere room me rakh do..

Mamta—payal beta, raj ab bada ho gaya hai..ab to use alag room me rahne do.

Payal—dekho maa, iss baare me main koi baat nahi sunoongi..raj chahe kitna bhi bada ho jaye magar rahega to mere hi room me..phir chahe kisi ko achcha lage ya bura, mujhe koi fark nahi padta.

Ruchi—maa, tum bhi kisse bol rahi ho, janti to ho hi ki vo kisi ki sunne wali nahi hai iss mamle me..

Mamta—lekin ab ye dono bade ho gaye, koi chote bachche nahi hain..ek hi room me rahna, ek sath sona, achcha nahi lagta hai...par iski samajh me kuch aaye tab na.

Payal—maa, phir wahi baat..

Raj—jane do maa..vaise bhi mujhe aur kahi neend ayegi bhi nahi, adat jo padi huyi hai.

Khair aise hi baate karte huye khane ka samay ho gaya to hum sabhi ek saath khane ke liye baith gaye.

Mamta (udas)—kaash ki baki sab bhi yahi hamare sath hote to kitna achcha hota ? magar unhone hamara sath chhod diya.

Ruchi—hamne to sabko samjhaya to tha maa, par vo kuch samajhne ko taiyar hi nahi the to hum kya kar sakte hain ?

Chanchal—haan maa, vo log hamare raj ko kitna bhala bura nahi kaha, phir bhi aap unke yaha hone ke baare me soch rahi hain ?

Mamta (nam ankhe)—kya karu beti, unhone jo kuch raj ke sath kiya ..bahut galat kiya lekin phir bhi hain to vah hamare pariwar ka hissa hi na...sharir ka koi ang jab sharir se cut jata hai to takleef to hoti hi hai na ? aur phir tum sabne bhi to vahi kiya tha jo unhone kiya raj ke sath, tum sab to sath ho na, phir vo kyon nahi ? galti to tum sab ne bhi vahi ki hai.

Maa ki baat ne sabhi ka muh band kar diya. Maa ki baate sun kar mujhe un sabka apne prati vyavhar yaad aa gaya aur udasi mere chehre par chhane lagi jise divya ne bakhubi padh liya. Usne aahista se hath aage badha kar mere hath ki ungliyo ko sahla diya. Uske aisa karte hi ek siharan ke sath kuch na kar paane ki hatasha bhi mujhe chhoote huye nikal gayi.aur phir na jaane kyon, kuch boonde majboori ka baadal oadh kar meri aankh ke kone se chhatak gayi.

Meri ankho ki iss nami ko shayad divya ke sath sath payal didi ne bhi dekh liya tha jisse unka mood bhi thoda kharab ho gaya. Vaise mere alawa koi aur bhi tha jiski ankhe iss samay bheegi huyi thi, parantu uski ankho me aayi nami ki vajah shayad kuch aur thi.

Payal (upset thodi jor se)—bas, ab band karo ye sab..bahut ho gaya..aur ye mat bhulo ki hamne unka sath nahi chhoda hai balki unhone khud chhoda hai hamara sath..vaise bhi achcha hi hua ki vo yaha nahi hain warna ek ek ko kulhadi se kaat deti.

Mahoul bigadta dekh maine baat ka rukh dusri taraf mod diya. Aur vaise bhi payal didi se koi bahas karna nahi chahta tha kyonki unki fitarat se sab waqif the.

Khana khane ke baad sabhi apne apne rooms me chale gaye aur main thoda tahalne laga, mere sath divya bhi thi.

Divya—saajan, ye bunglow tumne kyon liya ?

Raj—kyon tumhe bhi mujh par yakeen nahi hai ?

Divya—mera vo matlab nahi tha..main to ye kahna chahti hu ki jab rajgarh me rahne ki baat huyi to maine socha ki shayad hum apne rajmahal me rahne wale hain, isliye poocha.

Raj—rahna to main bhi vahi chahta tha lekin vaha sabhi ki jaan ko khatra adhik tha, khas kar ke tumhari jaan ko aur main bhala tumhari jaan khatre me kaise daal sakta hu..isliye vaha ka irada chhod diya.

Divya—ye jante huye bhi ki vahi hamari karm bhoomi hai ?

Raj—hmm..magar iska ye matlab nahi hai ki main apni karm bhoomi chhod dunga..balki sabhi ki hifazat ko dhyan me rakhte huye mujhe aage badhna hoga.

Fivya—kya tumhe lagta hai ki rajgarh me kisi bhi jagah par inme se koi bhi khatre se bahar hai ? kya tumhe yakeen hai ki yaha koi khatra nahi hoga ?

Raj (gambhir)—baat to tumhari sahi hai..rajgarh me khatra to har jagah hai.

Divya—iss bunglow ke baare me uss admi ne jo bataya, kya vo sach hai ?

Raj—hmm

Divya—to aise me city me bhi to bunglow kharida ya banwaya ja sakta tha, phir yahi bunglow kyon, iss bunglow me huyi ghatnaon ko jante huye bhi ? kyon saajan, kyon ?

Raj—pata nahi kyon par mujhe yahi jagah pasand aayi..

Divya—koi dusri vajah ?

Raj—dusri vajah bhi hai..

Divya—kya ?

Raj—dusri vajah ye hai ki ye bunglow uss jagah par banaya hua hai jaha par Pari ko jamin me dafnaya gaya tha.

Divya (shocked)—kyaaaaaaa ?

Vahi dusri taraf swarg lok ke nandan van me....

“narayan..narayan” ka jaap karte huye vaha devarishi narad ji aa pahuche. Unhe dekhte hi mrinal sahit sabhi ne unhe sir jhuka kar unka samman kiya. Unke pranam ke pratyuttar me devarshi ne unhe ashirwad diya.

Devarshi—lagta hai ki kisi goodh vishay par gahan charcha ho rahi thi ? main galat samay par to nahi aa gaya rajkumari ?

Priyadarshini—nahi devarshi, aapka aagman to hamesha shubh hi hota hai.

Devarshi—phir to theek hai...vaise kis goodh vishay par vichar vimarsh chal raha tha ?

Priyadarshini (sakucha kar)—aisa kuch nahi hai devarshi..

Sakhi 1—kaise kuch nahi hai...hum batate hain devarshi..asal me hamari sakhi dharti lok ke kisi saajan naam ke tutchh manav ke prem me phans gayi hai aur usse virah ki agni me jal rahi hai, hum use yahi samjha rahe the ki ye uchit nahi hai, magar ye hai ki kuch samajhne ko taiyar hi nahi hai..ab aap hi kuch gyan dijiye devarshi..

Devarshi—narayan...narayan..deeviyo, main to thahra baal brahmachari narayan bhakt..iss vishay par bhala main kya kah sakta hu...

Saakhi 2—phir bhi devarshi kuch to kahiye..akhir aap sarvagya hain..kuch na kuch jante hi honge..

Devarshi—meri drishti me saajan sanatan nar ka prateek hai, to rajkumari priyadarshini, sanatan naari ka prateek hain. Saajan, dwandwa me hai kyonki dwandwa me rahna manushya ka swabhav hai. Manushya sukh ki kamna bhi karta hai aur usse aage nikalne ka prayas bhi.

Devarshi—naari nar ko chhookar tript nahi hoti aur na hi nar naari ke aalingan me santosh manta hai. Koi shakti hai, jo naari ko nar tatha nar ko naari se alag rahne nahi deti. Aur jab ve mil jate hain tab bhi, unke bhitar kisi aisi trisha ka sanchaar karti hai ki jiski tripti sharir ke dharatal par anuplabdh hai.

Devarshi—naari ke bhitar ek aur naari hai, jo agochar aur indriyateet hai. Iss naari ka sandhaan purush tab paata hai jab , sharir ki dhaara, uchhalte-uchhalte, use mann ke samudra me phenk deti hai. Jab daihik chetna se pare, vah prem ki durgam samaadhi me pahuch kar nispand ho jata hai.

Devarshi—aur purush ke bhitar bhi ek aur purush hai, jo sharir ke dharatal par nahi rahta. Jisse milne ki aakulta me naari ang-sangya ke paar pahuchna chahti hai.

Parirambh paash me bandhe huye premi , paraspar ek dusre ka atikraman karke use aise lok me pahuchana chahte hain jo kirnojwal aur vaayveey hai. Indriyo ke marg se ateendriya dharatal ka sparsh ..yahi prem ki mahima hai.

Manushya ke iss dwandwa ka, saakaar se upar uth kar niraakaar tak jaane ki iss aakulta athwa aindriyta se nikal kar ateendriya jagat me aankh kholne ki iss umang ka prateek saajan hai.



UPDATE very Soon...............
 
113
299
63
bhai please story adhri mat chhodna
 
  • Like
Reactions: Gokb
Status
Not open for further replies.
Top