SAAJAN
UPDATE-311
Sakhi 2 (haste huye)—sakhi ..lagta hai ki tumhara bhi mann kahi phansa hai, mitti ka mohan koi antar me aan basa hai ?
Mrinal abhi kuch kahne ja hi rahi thi ki tabhi…
Ab Aage.......
“sakhi, vo dekho, hamari priyadarshini ki ankho se motiyo ki ladi nikal kar bah rahi hai.” Kisi sakhi ne priyadarshini ki ankho se bahte aanshoo dekh kar kaha.
Uski baat sunte hi mrinal ka dhyan bhang ho gaya aur vo daud kar priyadarshini ke paas chali gayi. Aur use samjhane lagi.
Mrinal (hilate huye)—sakhi, kya hua ?
Priyadarshini—(no response)
Sakhi 2—pakka hamari sakhi kisi dharti lok ke manav ke prem me doob gayi hai..
Sakhi 1—lekin kisi ek manav ke liye rona kaisa ? hum koi manav to nahi ki jaise hi prem uge to ruk gaye ? prem manvon ki nidhi hai, apni to kreeda hai. Prem hamara swad hai jabki manavon ke liye aakul peeda hai. Ek manav ke liye itna vyathit hone ki kya avashyakta hai sakhi ?
Mrinal—vaha use apne priyatam ko kanth laga kar jo sukh milega vo yaha nahi mil sakta sakhi.
Sakhi 5—sukh jab hoga tab hoga kintu ye dharti badi hi kutsit hai, jaha prem ki madakta me bhi yaatna nihit hai, jo bhi karti prem use mata banna hota hai. Vaha nari ko kya kya klesh nahi sahne padte. rog, shok, santaap aur budhapa aate hi rahte hain. Prithvi ke prani hamesha naye naye dukh bhogte rahte hain, jaha kshan bhar ka prem ka lobh aur vipattiya itni sari ?
Sakhi 4—akhir vo manav hai koun jisne hamari sakhi ka dil churaya hai ?
Mrinal—saajan naam hai unka...unhi par hamari rajkumari apna dil haar baithi hai.
Sakhi 1—yaha sabhi devta jise paane ke liye lalayit hain vo pahle hi apna dil haar baithi hai. Ab kya hoga ? ye milan to sambhav hi nahi hai..kaha devlok ki rajkumari aur kaha dharti ka ek manav ?
Sakhi 2—aur phir devraj ne to swyamvar bhi ayojit kar diya hai ab to..? aur yaha swarglok me saajan to swayamvar me aane se raha kyonki dharti ka koi prani yaha tak jivit pahuch hi nahi sakta.
Sakhi 3—agar pahuch bhi gaya to swayamvar jeet nahi sakta.
Mrinal—tum abhi saajan ko achche se nahi janti aur na hi uski shaktiyo ko, isliye aisa kah sakti ho..vo ayega aur jarur ayega..aur phir mata parvati ne khud hi hamari sakhi ke liye saajan ko chuna hai..unka kathan kabhi asatya nahi ho sakta.
Sabhi (shocked)—kya mata parvati ne ?
Mrinal—hmmm
Magar inn baato ki taraf priyadarshini ka tanik bhi dhyan nahi tha. Vah to apne saajan se virah ki jwala me jhulas rahi thi aur sundar netro se aanshu tapkaye ja rahi thi, uski aisa dasha mrinal se dekhi nahi ja rahi thi.
Mrinal—sakhi kya hua, kuch to bol ?
Priyadarshini (vichlit)—mrinal, mujhe dharti par saajan ke paas jana hai warna iss sharir ko tyag kar nishchit hi pawan me mil jaungi.
“Bhala chahti ho mera to vasudha par jane do.
Mere hit jo bhi sanchit ho bhagya, mujhe paane do.
Nahi dikhti kahi shanti mujhe ab iss dev nilay me,
Bula raha mera sukh mujhko saajan ki baahu valay me.
Swarg-swarg mat kaho, swarg me sab saubhagya bhara hai,
Par, is maha swarg me mere hit kya aaj dhara hai ?
Swarg swapn ka jaal, satya ka sparsh khojti hu main,
Nahi kalpana ka sukh, jivit harsh khojti hu main.
Tripti nahi ab mujhe saans bhar bhar kar saurabh peene se,
Oob gayi hoon daba kanth neerav rah rah kar jeene se.
Ladta hai koi shonit me swarn tari kheta hai,
Rah rah mujhe utha apni baaho me bhar leta hai
Jis saajan ka dhyan praan me mere yah pramod bharta hai,
Apne uss saajan ke ab bahut nikat hokar jeene ko jee karta hai.
Yahi chahti hu ki gandh ko tan ho, use dharu main,
Udte huye adeh swapn ko baahon me jakdu main,
Nirakaar mann ki umang ko, roop kahi de paaoon,
Phoote tann ki aag aur main usme tair nahaaun,
Kahti hu, isliye sakhi, ab mat der lagaao,
Jaise bhi ho sakhi, mujhe saajan ke sameep pahuchaao.”
Tabhi....
“narayan..narayan” ka jaap karte huye vaha devarishi narad ji aa pahuche. Unhe dekhte hi mrinal sahit sabhi ne unhe sir jhuka kar unka samman kiya. Unke pranam ke pratyuttar me devarshi ne unhe ashirwad diya.
Jaha ek taraf priyadarshini apne saajan se virah ki virahagni me tadap rahi thi to Vahi dusri taraf..
Maine jaise hi bunglow ka entry gate khola vaise hi mousam ka mizaz apna rang badalne laga…jaha abhi kuch samay pahle tak hawa se ek patta tak nahi hil dul raha tha, vahi achanak mere bunglow me kadam rakhte hi tez hawa chalne lagi..neele pade saaf aasman me kali ghataon ne apna dera jamana shuru kar diya tha. ..lekin ye to bas ek shuruwat thi aane wale samay ke garbh me chhipe huye khatarnak bhavi sankat ki..jisse sab anjaan the.