• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Saand Part 2 by anandsngh12

Status
Not open for further replies.

Jaguaar

Well-Known Member
17,679
60,812
244
SAAND
(PART
2)
UPDATE-5

Niche girte huye raj ke kaano me vahi chir parichit awaz ek baar phir se goonjne lagi….

“Chal Chal Chal Chal, Chal Mere Yaar…Chal Mere Yaar,
Aa Ja Le Chalu Main Tujhe Nadiya Ke Paar
Nadiya Ke Paar Basa Ek Sansar, Ek Sansar
Vahi Pe Karenge Dil Khol Kar Pyar..”


Ab Aage............

Uss chir parichit awaz ko sunte hi girte huye raj ki ankhen kuch pal ke liye khuli aur vah niche girte huye bhi uss awaz ki madhurta me kho gaya. Na jane uss awaz ke kya jadoo tha, kya aakarsahan tha, kaisa khinchaav tha uss awaz me ki jise sunte hi vah apni sudh budh kho baithta tha, iss samay upar se girte samay bhi vahi hua. Vah khud ko uss awaz ki dhun me doobne se rok nahi pata tha...aur barbas hi uss oar khincha chala jata tha.

Kintu agle hi pal vaha khayi ki talahati me dil ko kampaaymaan kar dene wali ek bhayanak behad dardnak cheekh goonj uthi aur iss cheekh ke kaano me padte hi raj uss awaz ki dhun ke aakarshan se bahar nikal aaya. Uss rahasyamayi dhun se bahar nikalte hi uske mann me sheetal didi ka khyal aaya jisse vah buri tarah se ghabra utha. Sheetal ke sath kisi anhoni hone ki ashanka se Aaj pahle baar jeevan me vah itna darr gaya tha lekin vo use bachane ke liye chillane ke alawa kuch na kar saka.

Raj (chillate huye)—didiiiiiiii

Apni iss bebsi par aaj pahli baar use rona aa raha tha. Agle hi pal vahi dil ko dahla dene wali cheekh phir se uske kano me goonj uthi aur vah dard se cheekhte, pedo, pattharo se takarate huye tezi se kisi bejaan laash ki tarah niche dhadam se gir pada aur uski ankhen ek jordar cheekh ke sath band hoti chali gayi...shayad hamesha hamesha ke liye..ya phir....?

Niche girne ke kuch der baad hi vaha ek baar phir kisi bhayanak cheekh ne uss khayi ki shanti ko bhang karte huye kampan paida kar diya aur phir agle hi kshan kisi ke kadmo ki aahat uski taraf badhne lagi.

Kadmo ki aahat jab karib aayi to vaha ek ajeeb si kisi janwar ki parchhayi ubhar kar kar samne aayi..dekhne me to vo koi janwar bhi nahi lag raha tha aur insaan kahna to insaano ki tauheen karna hoga. To phir akhir vo kya ho sakta hai ? koi insaan ya phir koi janwar ? ya phir inme se koi nahi ? ya phir dono ?

Bade bade nakhun wale pairo se chalte hute vah jaise hi karib pahucha to ek bhishan durgandh vaha phail gayi. Paas aate hi usne raj ke ek pair ko pakad kar na jane ghasit kar kaha le gaya.

Udhar radha ke ghar der raat tak na lotne par aur uski koi khoj khabar na milne se sabhi ka ro ro kar bura haal tha. Ant me thak haar kar unhone police me uske gayab hone ki report karna hi theek samjha aur subah hone ka intazar karne lage.

Subah hote hi vah suraj ki pahli kiran ke sath hi radha ki gumsudgi ki report darz karane police station ke liye nikal hi rahe the ki tabhi ek car aakar ruki. Car se utarne wale shakhs ko dekh sabhi chounk gaye lekin asli hairani to unhe tab huyi jab uska piche ka gate khula.

Sabhi (chounk kar)—Iron Man ! Prem ! Sorbobhuk !

Sandhya (chounk kar)—badi maa ! vo dekho..vo dekho...gudiya....unke sath hamari gudiya bhi hai.

Malti (rote daudte huye)—radha...meri gudiya ..meri gudiya mil gayi..lekin ise hua kya hai ? ye kuch bolti kyon nahi ?

Sorbobhuk—maa ji, vo abhi behosh hai..shayad dari huyi hai..thodi der me hosh aa jayega..aap tension mat lo. Hum hain na.

Jee haan, ye teeno iron man, prem pujari aur sorbobhuk hi the..yahi teeno hi the radha ko bacha kar yaha laane wale aur raat me jl gadi baad me aakar uss jagah ruki thi vo inki hi thi.

Raat ki uss samay ki ghatna par ek nazar dubara daal lete hain..jab inki car achanak hi kuch dekh kar ruk gayi thi.

uss jagah pahuchte hi teeno jaldi se car se nikal kar tezi se bhage.

Shakhs 1 (tension)—ye..ye..ye to vahi gadi hai jiska number tune bataya tha.

Shakhs 2 (pareshan)—hmm..jaldi se gadi ki talashi lo..

Teeno turant gadi ka gate khol kar dekhne lage jaha unhe ek ladki behoshi ki halat me mili. Uss ladki ko behosh aur aisi dayneey halat me dekh kar unke seene me dard aur gussa ek sath umad pada.

Shakhs 1—ye behosh kyon hai, kahi iske sath kuch galat to ...?

Shakhs 3 (dard bhara gussa)—unn madarchodo ki gaand me bomb laga kar phod dunga, kisi ko nahi chhodunga.

Shakhs 2 (gusse me)—tum sahi kahte ho iron man, hum unn madarchodo ko jinda nahi chhodenge, unke ghar me ghuskar unki maa chodenge..

Vo ladki koi aur nahi balki radha hi thi jise iss haal me dekhte hi teeno ko gussa aa raha tha. Unhone radha ke hath pair khol kar use azad kiya aur hilane dulane lage.

Sorbobhuk—tum sahi kahte ho..unn madarchodo ko chhodenge nahi jinhone radha ka ye haal kiya hai..

Prem—vo sab to theek hai yaar, par abhi sabse pahle hame isko hosh me lana hoga. Aur isko turant ghar pahuchana hoga kyonki raj ke gharwale sabhi pareshan honge.

Iron man—tum theek kahte ho.

Unhone radha ko hosh me laane ki kafi koshish ki lekin vah achet hi rahi to unhone iss samay koi risk lena munasib na samajh kar radha ko apni gadi me dala aur vaha se nikal gaye.

Sorbobhuk—thanks prem, agar tum hame batate nahi ki vo harami aisa kuch karne wala hai to aaj hum radha ko nahi bacha paate. Lekin tumhe abhay ke plan ke baare me pata kaise chala ?

Prem—raj ne mujhe kaam hi yahi diya tha ki main uss madarchod abhay ki har gatividhi par nazar rakhu. Ab raj nahi raha to kya hua ? vo harami ki aulad madarchod abhay to abhi bhi jinda hi hai na. mujhe poora yakeen tha ki vo sala chup nahi baithega, isliye main uss par nazar rakh raha tha. Aur sath me tum dono ko bhi bata diya.

Iron man—lekin hum unhe ye sab hone ke pahle bhi to pakad sakte the phir tumne hame roka kyon sath me main road ka rasta bhi band karwa diya ? ab tak main unn kutto ki gaand bomb se uda chuka hota.

Sorbobhuk—haan yaar, akhir hum unhe pakad sakte the ab vo bach ke bhag gaye.

Prem—hum unhe pakad to sakte the lekin isse abhay satark ho jata aur ye bhi ho sakta hai ki vo raj ki family ko nuksan pahuchane ke liye koi dusri tarkeeb khoj nikaalta jiska hame pata nahi chal pata samay par aur main koi risk nahi lena chahta tha. Jaha tak road ka rasta band karne ki baat hai to main unhe city ke bahar pakadna chahta tha kintu aage se main road se rajasthan jaane ke kayi raste hain, vo kahi se bhi bach nikalte. Jabki yaha se sirf yahi ek kachcha rasta hai main road ko chhod kar aage jane ka isliye main road par patthar rakhwa diya kyonki main janta tha ki main road se jane ka jokhim nahi lenge aur hua bhi vaisa hi.

Iron man—par afsos ki vo madarchod phir bhi hamare hath nahi lage warna tarike se unn sabki gaand phodta.

Sorbobhuk—jab tak abhay jinda hai tab tak raj ki family par khatra bana hi rahega, iss madarchod ka kuch na kuch intazam karna padega jaldi hi.

Prem—main bhi yahi soch raha hu, lekin kuch bhi karne se pahle raj ki family ko safe karna hoga.

Iron man—to phir theek hai, aaj se madarchod abhay ki gaand bajane ka mission start karte hain.

Sorbobhuk—lekin ek baat meri samajh me nahi aayi..

Dono—vo kya ?

Sorbobhuk—yahi ki jab abhay ke admiyo ne radha ko kidnap kar hi liya tha to use abhay ke paas le jaane ki bajaaye yaha beech raste me chhod kar bhaag kyon gaye ?

Prem (tension)—ye to pata nahi lekin ye jarur sochne wali baat hai...ki aisa kya ho gaya jike chalte vo apna kaam poora kiye bina hi bhaag gaye ?

Iron man—shayad tum dono ne dhyan diya ya nahi par maine yaha aate samay kisi ki bahut dardnak cheekh suni thi..kahi aisa to nahi ki hamare yaha pahuchne se pahle hi kisi aur ne aakar unn chaaro ki gaand maar li ho ? warna raha hame yaha nahi milti.

Sorbobhuk—yaar aisa lagta to nahi ki aisa kuch hua hoga kyonki hum teen ke alawa to chodu gang ka koi member uss hadse ke baad to jivit bacha hi nahi tha aur na hi raj jinda raha ab to phir koun ho sakta hai ? kisne kiya hoga ? kiske darr se vo bhaag gaye radha ko yahi chhod kar ?

Lekin iss baat ka jawab unme se kisi ke paas nahi tha. Aise hi baat karte huye vo sab saandpur pahuch gaye.

Back to present......

Malti (rote huye)—kya ho gaya meri bachchi ko ? lekin ye behosh kaise ho gayi ?

Prem—maa ji, baat aisi hai ki...

Phir teeno se poori baat bata di jise sun kar sabhi sakte me aa gaye. Unke chehro par ek darr aur tension ke lakire saaf ubhar aayi jise chodu team ne bakhubi padh liya.

Roopa (tension)—akhir vo kamina kyon hamare piche pada hua hai ? sab kuch to lut gaya hamara. Iss wasiyat ne hamara beta raj aur sheetal ko hamse chheen liya, Ab hame kuch nahi chahiye. Rakh le poori property, hame nahi chahiye.

Iron man—aap log chinta na kare kisi tarah ki..raj nahi hai to kya hua ? abhi aapke ye teen bete jinda hain, jab tak hum teeno hain, koi hamare dost ki family ka kuch nahi bigad sakta.

Teeno ne samjha bujha kar kisi tarah se sabko shant kiya aur phir doctor ko bulaya. Doctor ke treatment ke kuch der baad radha ko hosh aaya lekin vo abhi bhi buri tarah se dari huyi thi. Uske chehre par abhi bhi khauf chhaya hua tha shayad uss ajeeb si bala ki dahashat bhar gayi thi uske andar.

Sabne usse poonchha ki kya hua ? par usne koi jawab nahi diya, bas dari sahmi sabki taraf dekhti rahi. Chodu gang sabko himmat bandha kar vaha se chali gayi.

Idhar jab abhay ko apne admiyo ke baare me kuch pata nahi chala to vah baukhla utha, unka phone baj to raha tha lekin koi utha nahi raha tha, use samajh me nahi aa raha tha ki aisa achanak kya ho gaya ?

Abhay (mann me)—betichod, sale phone kyon nahi utha rahe koi bhi ? kal to bol rahe the ki hamne raj ki choti bahan ko kidnap kar liya hai aur aapke paas lekar aa rahe hain, phir ab tak yaha pahuche kyon nahi ? unn chaaro ko dharti nigal gayi ya phir aasmaan kha gaya ?

Kuch din aur intazar karne ke baad bhi jab unka koi surag nahi mila to usne nayi chaal chalni shuru kar di, usne naye admiyo ko iss kaam par laga diya lekin har baar chodu gang ke teeno member ke chalte uski ye hasrat adhuri hi rah jati.

Waqt apni raftar se badhta hi ja raha tha. Sabhi bachche ab bade hone lage the. Lekin sabse khas baat inn bachcho me ye thi ki sabhi ke sabhi judwa paida huye the, ye alag baat hai ki iss rahasya ko unn bachcho ki maa aur doctor mona ke siwa koi nahi janta tha. Sab yahi samajhte the ki ye sabhi bachche adopted hain.

Meenu ka bachcha ekdam raj ki carbon copy dikhta tha, raj aur usme koi fark nahi tha, vahi bolne ka andaz, vahi chehra, kul mila kar raj ke jaisa hi tha, isliye sabne uska naam bhi raj hi rakh diya tha kyonki unhe lagta tha jaise ki unka raj hi phir se unke paas vapis lout aaya ho. Pariwar ke sab logo ki jaan usme basti thi. Magar uski khud ki ankhe khoyi khoyi rahti thi, aisa lagta tha jaise ki use kisi ki talash ho ? akhir kiski talash thi use ?

Halanki meena ka ye bachcha vastav me malti ka tha. Meena ne jis bachche ko janam diya tha vah janam ke do mahine baad hi epire ho gaya tha jisse vah bahut dukhi rahne lagi thi. Meena ka ye dukh malti se dekha nahi gaya aur usne apna bachcha na chahte huye bhi use de diya.

Samay yoon hi gujarta gaya. Aise hi kayi saal beet gaye. Shilpa bhi ab doctor ban chuki thi aur usne gaon me hi madhuri ke hospital me kaam karne lagi thi. Chodu gang ne govt se baat kar ke gaon me hi police station khulwa diya tha aur apni duty bhi vahi karwa li thi. Sirf prem ko chhod kar, vah abhay ki agli chaal ko pata karne me laga rahta tha.

Ek ladka bistar me soya hua tha aur shayad vah sote huye apne khwabo ki tabeer bun raha tha ki achanak vo jor se chillate huye uth baitha.uski chillahat sun kar ghar ke kayi log bhaag kar uske paas aa gaye.

“nahiiiiii....didiiii”

“kya hua beta ?” uski chillane ki awaz sunkar meena ne aate huye kaha.

“kya phir se koi sapna dekha beta ?” roopa ne aate huye kaha.

Malti—lagta hai ki phir se vahi sapna aaya ?

“Hey bhagwan, phir se vahi sapna. “ seema ne apna sir pakad kar kaha.

“iyna bada ho gaya aur ab tak sapne se dar jata hai, chuha kahi ka “ malti ki beti ne munh banate huye kaha.

Malti (daant kar)—chupp kar ! jab dekho uska majaak udati rahti hai.

“main to chup hi rahti hu...vaise iss idiot se poonch to lo ki isne dekha kya sapne me jo itna chilla raha tha ?” malti ki beti ne phir se vyang kaste huye kaha.

Meena (ankh dikhate huye)—tu chup nahi rah sakti ? haan beta, bata kya hua ?

“Pata nahi, kuch saaf dikhta nahi, sab kuch dhundhla dhundhla nazar aata hai..Ek jungle.. jungle ke beecho beech bahti huyi ek nadi...nadi ke kinaare basa hua ek gaon...uss gaon me ek bada sa toota phoota ghar..aur phir aise lagta hai ki jaise koi mujhe bula raha ho aur phir na jane kya hota hai..mujhe kuch yaad nahi aa raha hai, maa” uss ladke ne dono hatho se apna sir pakadte huye kaha.

Sandhya—lekin maa, mujhe ye baat samajh me nahi aa rahi ki ki isko aisa sapna sirf aaj ke hi din kyon aata hai ?

Malti (nam ankhe)—aaj ka din meri zindagi ka sabse manhoos din hai..aaj ke hi din to vo ghatna huyi thi jab mera beta raj hum sabko chhod kar na jaane kaha chala gaya ?
Awesome Update
 
Status
Not open for further replies.
Top