Update 33
Sadhu - dakshin disa me tumhe laal ghati milegi
Mai pranam baba mai ab prastha karta hu
Sadhu - vijayi bhav putra
Beta dhyan rakhna ki tum laal ghati ke danav se youdh raat me na karna
Kyuki use raat me nahi harya ja sakta hai
Mai
Ne phir se unka dhanyawad kiya aur apni manjil ki taraf chal pada
Ab aage
mai ab ek naye anjane safar pe chal diye tha jo mujhe nahi pta tha ki waha ka mahol kaisa tha
Waha pahuchne par kis trah ki musibto ka samna karna padega
Waha pe kya aur log honge ya waha pe sirf viran pahadiya hogni
Yahi sab soachte huwe mai aage badh raha tha
Achanak mera pair kisi chij se takraya jisse mera dhyan tuta
Maine aage dekha to mai hairan rah gaya
Kyuki aage bahut hi bhayanak jangal tha jo dikhne me hi bahut khatarnak dikh raha tha
Jisme jane ke liye koi rasta nahi tha usme jane ke liye mujhe kudh hi rasta dundhte huwe jana tha
Maine soacha ki ho sakta hai mujhe us bhediye ki jarurat pad sakti hai is jangal me
Pahle mai soacha ki use yaad kar lu lekin phir soacha chalo aage chalte hai
Jo hoga dekha jayega pahle mujhe andar jana chahiye
Mai us jangal me andar ki taraf chal diya
Mai jaise hi andar do char kadam aage badhaya tha ki mera dhyan mere pairo ke paas gaya
Mai to turant hi waha se piche ki taraf kood gaya
Kyuki aage bahut sare saanp the maine aage dhyan se d3kha to aage bhi hazaro sanp the
Pedho pe rasto me aur daliyo jadhiyon me sabhi jhagah saanp hi nazar aa rahe the
Itne saanp dekh to meri halat kharab ho gayi thi
Mai dhere dhere dhyan se aage badh raha tha kafil samhal ke chal raha tha
Apne pair ko puri trah se bacha bacha ke raste pe rakh raha tha
Dhire dhire mujhe waha se nikalne me kafi waqt lag gaya
Kisi trah se mai waha is jhagah se mai aage pahuch gaya
Meri jaan me jaan aai waha se kisi trah safe nikal gaya
Aage ka jangal kafi bhayan ho gaya tha aur andhera bhi dikhai de raha tha
Mai aage badh raha tha aur jangal ka swaroof kafi darawana hota ja raha tha
Pura Jangal jhinguro ki chiii chuuuu ki aawajo se kafi dil dahla dena wala lag raha tha
Aur jangal me kabhi kabhi shiyaro ki huwane ki aawaje aa rahi thi
Maujhe kuch dir aage chalne par kuch aawaj ai
Mai wahi ruk gaya idhar udhar dekhne par kahi kuch nahi dikha mai phir aaage badhne laga
Phir se kharkharaht ki aawaj aai is baar maine aage dhyan se dekha to samne kuch aankhe chamkti huwi dikhai di
Maine aage dekha to mere pair hi kaamp gaye
Kyuki samne jo nazara tha dil dahla dene wala drisya tha
Mere samne char paanch bhediye khade the
Jo ki kafi lambe lagbhag 5 feet ke aas paas the
Bade bade daant aur unke mukh se tapakta huwa khoon jo sayad abhi taja lag raha tha
Wo sabhi meri taraf ghoor rahe the mai turant apni jhagah pe saant khada ho gaya
Wo paancho bhediye mere charo taraf ghoomne lage
Mere paas bhagne ka rashta bhi nahi tha aur unse bhidne ka koi fayda bhi nahi hone wala tha
Kyunki agar 2 ,ya 3 hote to sayad shambhal leta
Kintu ye to paanch the tabhi meri taraf ek bhediya ne chalang laga di
Mai dusri taraf ho gaya tabhi samne wale ne chalang lagai is baar phir maine tezi dikhai aur dushri trqf ho gaya
Aise ho wo baar baar meri taraf khodte lekin mai dushri taraf ho jata
Mere is trah se sahi salamat dekh ke unki aankho ka rang badlne laga
Aur khrrr khuuuu ghhhhrr huuuuu lhrrrr ki aawaj nikal ke ek dusre ke taraf dekh rahe the
Sayad wo aapas me koi plan bana rahe the mai bhi puri trah se chaukanna tha
Achanak wo sab meri taraf phir se dekhne lage
Ar tabhi ek ne mere pe hamla kiya mai dusri traf hota ki tabhi us taraf wala meri taraf lapka
Usse bachta mai usse pahle teesre bhediye ka panja meri peeth ko chil diya
Jisse mujhe bahut hi asahniya dard masaus huwa
Jaise meri peeth me kisi ne ek sath kai bhala ghusa diya ho
Aur mai chikh kar dusri taraf gira aur phir wo meri taraf dekhne lage
Tabhi ek bhediye ne meri taraf apne kadam badhane suru kar diye
Un sab ki tezi se to aisa lag raha tha ki unko harana muskil hoga
Mere mind ne to kaam karna hi band kar diya tha
Tabhi mere dimag me aaya ki us bhediye ne madad ke liye mujhe kuch bataya tha
Aur maine bina der kiye apna dahina anghutha ragad diya
Wo bhediya chalag lagane hi wala tha lekin wo ruk gaya
Kyuki mere samne wo bhediya khada tha jisne mujhe bataya tha
Tabhi usne ek lambhi ghurahat mari
Huuuuuhhhhhhuuuu
Huuuuuaaaauuuu
Ar wo sab bhediya peeche hone lage aur wo mud ke jangal me bhag gaye
Aur wo bhediya meri taraf muda aur bola
Wo - dost tumne sahi waqt pe muhje yaad kiya kyuki ye narbkshi bhediye the
Aur inhe koi manav nahi hara sakta kyuki is jhagah pe koi manav kisi narbkshi ko nahi hara sakta
Mai - sukriya dost tumne meri jaan bachai hai
Wo - nahi dost tumne meri jaan bachai thi ye to maine apna karj utara hai
Mai - chalo hisab barabar ab ham paakke dost hai
Kyuki maine tumhe ek baar bachaya aur tumne mujhe
Wo - theek hai theek hai ye batao tumhe kisi ne kahi kata ya apna panja to nahi mara na
Mai - karahte huwe ha ek ne meri peeth pe apna panja maar diya hai
Wo - chalo jaldi hame yaha se chalna chahiye
Hame chanda talab par pahuchna padega
Sham hone se pahle
Nahi to kuch bhi ho sakta hai kyuki agar ye ek baar kisi ko kaat le ya kisi ko apne nakhun ka war kar de to uska bachna muskil hai
Agar ham sham tak nahi pahuche to anarth ho jayega
Mai - aaahhh karahte huwe kya l
Lekin mai to khada bhi nahi ho pa raha hu
Wo - kisi trah tum meri peeth pe baitho mai le chalta hu
Aur wo mere paas baith gaya mai kisi tarah uski peeth pe chapak ke baith gaya
Ya yu kahe mai uski peeth pe pet ke bal leta tha
Aur wo mujhe le ke chalne laga wo daud ke nahi ja sakta tha kyuki aage baht badi badi kantili jhadiya thi
Is beech chanda talab pahuchne se pahle mai raste me teen baar gira
Aur jab tak ham dono chanda talab pahucte kafi andhera ho gaya tha aur chand bhi nikal aaya tha
Aur chanda talab pahucte hi mai uski peeth se neeche gir gaya
Tabhi mera sari me jaise kisi ne hazaro bhale gusa diye ho aur dard ke mare meri aankhe band hone lagi
to be Continue