Update 01
Tez baarish aur toofaan me 2 log ghane jungle se guzar rahe the, Unme se ek buddha aur ek ladka tha. Kuch dur chalne ke baad jungle khatam ho gaya aur vo ek khali jagah par pahuche.
Ladka - Kya hum pahuch gaye?
Buddha uski baat par kuch nahi bola.
Buddha - Bhale hi mai yaha pehli baar aaya hu par meri rag rag is jagah se vakif hai.
Ladka - To kya hume chal ke unhe batana chahiye ki humne jagah dhund li. Vaise bhi Samay bohot hogaya hai.
Buddha fir kuch nahi bola to ladka muu banane lag gaya. Buddha kuch sunane ki koshis kar raha tha par baarish ki wajah se kuch sunayi nahi de raha tha.
Buddha - Aaj ki raat hum yahi bitayenge.
Ladka - KYaaa!
Ringgg Ringgg...{Class Bell Rings}
Meri neend khuli aur dhyan aaya ki exam chal raha tha aur mai soo gaya tha..
Mai - (Kaise Ajeeb sapne aate hai mujhe)
Vaise mai isliye so gaya tha kyunki maine 3 Hrs ka exam 1.5 Hrs me hi karlia tha!Fir mai uth ke bahar aaya aur dekha to mere dost bhi vahe khade the. Mai gate se nikal ke unki taraf jaa hi raha tha ki tabhi mere saamne ek aadmi aagaya.
Aadmi - Tumhara naam kya hai?
Mai - Kyu, kya hua?
Fir usne mujhe apna Police Badge dikhaya (jo real tha), Aur bataya ki uska naam Shyam hai aur vo kisi important kaam keliye aaya hai.
Mai - (Isse mujhse kya kaam hoga) Neel Joshi.
Shyam - Aapko mere saath chalna hoga.
Mai - Aur agar mai mana kardu to?
Fir usne kisi ko phone kiya (shayad apne senior ko) aur usse baat karne ke baad fir bola.
Shyam - Aapko mere saath chalna hi hoga, bohot upar se aapko bulane ka order aaya hai. Aap security ki chinta mat kare mai sahi salamat aapko ghar chhod dunga.
Maine dekha to tab tak mere dost jaa chuke the, thodi der socha aur uske saath chala gaya.
Vo mujhe apne saath gadi me baitha ke legaya, kuch der baad hum ek badi si building ke andar gaye, jisme bahar se A.K. Chemicals likha tha par andar se ekdam alag hi thi.
Kuch der baad hum ek office room me pahuche, usne mujhe vaha baithne keliye kaha aur chala gaya.
karib 15 min baad bhi vo nahi aaya to main apna phone chalane lag gaya. Mere Phone me network nahi aa raha tha, matlab building me jammers laga rakhe the to mai samajh gaya ki ye koi aisi vaisi building nahi.
Kuch der baad Shyam vapas aaya par ab uski personality ekdam alag hi lag rahi thi.
Shyam - Intezaar karane keiye maafi chahta hun. Kya tumhe pata hai mai tumhe yaha kyu leke aaya hu?
Mai - Kisi normal kaam keliye to nahi hi.
Shyam - Main ek police wala nahi hu, Mera asli naam Rajeev hai mai Chief Government Intelligence (CGI) ka State head hu.
Mai - Vo to mujhe pata tha ki aap police wale nahi.
Rajeev - Kaise?
Mai - kyunki college ke gate ke saamne jab aapne ye dikhaya ki apne senior ko call kiya hai tab apne kisi ko call nahi kiya tha. Aur aapke pass satellite integrated phone tha joki normal logo ke pass nahi hota hai.
Rajeev - Humne tumhare baare me jaisa socha tha tum vaise hi nikle.
Mai - Aur shayad.. Ye building bhi aap logo ka local headquarter hi hai.
Rajeev - Sahi kaha. Mai tumhe CGI ki job offer karna chahta hu.
Mai - Mujhe? Par mujhe kyu?
Rajeev - Tumhare jaise log har din nahi milte hai.
Mai - Par mai to abhi college me hun.
Rajeev - Is job ke liye tumhe koi full time kaam nahi karna jab hume tumhari jarurat hogi tab hum bata denge. Is Paper me saare job perks likhe hain padh lo.
Maine vo paper dekha aur apne pass rakh lia.
Mai - Kya mai kuch dino baad aapko bata sakta hun.
Rajeev - Quick Decision lena sikho, Yes or No?
Mai - (Kuch der sochne ke baad) Thik hai mai offer accept karta hun.
Rajeev - Good, Baaki ki details hum tumhe email kardenge. Ab tum ghar jaa sakte ho.
Mai - Par aap to mujhe drop karne wale the!
Rajeev - Vo to maine aise hi bol dia tha.
To be Continued...
Lovely update
