• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Samraat ..The Tales of Debauchery, Hate & Revenge

Daksh The King

Active Member
905
6,390
124
Covid Se Pahle....

covid se pahle meri busyness kuch aisi thi.. mere liye lunch ka samay nikaal pana mushkil tha... mera kaam hi aisa tha.. upar ki krpa se sab koshal mangal tha.. par covid ne aisa disturb kiya.. kuch aise halat kharab hue.. karze ke bojh tale ja daba.. jo abhi tak utar nahi saka... life jaise taise kat rahi rahi thi..
samay freee tha bohut free tha.. so XP ko khub samay dia maine...

parrr abbb

uparwale ki krpa se mera dhanda firse apni routine par aane laga ha... aise me samay ki firse kami ho gayi ha mere paasss....
ab aap sab se juda hon to to juda rahunga.... update ki speed kabhi zayda samay mila to zayada likh kar post kar dia karnga....
kam mila to kammm...

jaise hi last kuch days se udpate likhna to door ki baat.. likhna kya ha. wo bhi nahi sochne ka samay tha mere paas..

aaj kuch din me samay mila.. to socha kya likha jaaye.. fir abhi dedh ghante me update likh daala... aur post bhi kar di...

so update let ho to mayus nahi hona.. updates aate rahenge.. der se sahi.. par aap ka sath bana rahega...

Thanks For You Love......
 

Awan Badshah

Well-Known Member
2,087
5,442
158
Episode:03


daksh samudra me tairta hua aage badhne laga. daksh ki life 6 saal pehle jaisi bhi thi, par ghar se nikalne ke baad ki life daksh ke liye adventurous life ban gayi thi.

apnu se mili dhutkaar ne daksh ko ek naya jeevan de dia tha. 6 saal marine life ji kar daksh wo ban chuka tha. jo woh apne desh me, apne pariwar ke sath reh kar nahi ban sakta tha.

shimuna ke daksh ki life me aa jaane se daksh ki adventurous life aur bhi zayada adventurous, thrilling ho gayi thi. jaisa aur jitna shimuna ne daksh ko bata diya tha. daskh shimuna se sab sun aur jaan kar pehle to heran hua tha. par fir baad me wo khush bhi ho gaya tha..

daksh pichhle 6 saal se aisi hi life to ji raha tha. khatron me bina darre kood padna uska shauk ban gaya tha. according to shimuna daksh ke liye ab aage ki life ek dangerous life me badalne wali thi. puri dunya nimoons ke sath sath daksh ki raah par bhi lagne wali thi. daksh to tha hi khatron ka manjha hua khiladi.. khatra kitna bada hi kyun na ho, daskh hamesha datt kar saamna kiya karta tha.

nayi milne wali chunauti ko bhi daksh ne pure mann se accept kar liya tha. koi tha nahi ab uski zindagi me, apna desh apna pariwar wo chhod chuka tha. apne naye ban chuke dushmano se ladte hue agar wo mara bhi jata ha toh kisi ko kaano kaan khabar bhi nahi honi thi. khabar ho bhi jaati to kaunsa kisi ko fark padne wala tha. koi nahi ab uske liye rone wala.

shimuna : daksh bohut der se khamosh ho tum! why?

daksh : (lambi saans chhodte hue) tum to mere andar ho shimuna, mere vichar nahi jaan sakti kya tum?

shimuna : daksh main to tumhare andar ki wo baat bhi jaan sakti hon, jo tum bhi nahi jaante, tum wo bhul chuke ho. par main bina tumhari permission ke aisa kuch nahi kar sakti. It is bad to take interest in someone's personal thoughts daksh!!

daksh shimuna ki baat par muskura pada

daksh : (glad) shimuna you can be my good freind!

shimuna bhi daksh ki baat par khush ho gai.

shimuna : definitely main tumhe tumhari dunya ki sabse best friend ban kar dikhaungi daskh. mere liye badi khushi ki baat ha daksh, jo earth par aate hi mujhe tum mil gaye. mujhe tumhare jaisa dost shayad hi earth par milta.

daksh : mujhe bhi kuchh aisa hi lag raha ha shimuna.. warna pichhle 6 saal se maine kabhi kisi ladki se dosti nahi ki.

shimuna : (shocked) why?

daksh : jald hi reason bhi bata dunga. mujhe lagta hai, tum hi wahi ho, jis ke aage main apna dard khol sakta hon.. warna to koi is dunya me mujhe aisa mila nahi jis ke saamne main khud ko khol sakun..

shimuna : (chirp) i am glad to know that i am becoming special to you.

daksh : tum hamari dunya se nahi ho na aur fir tumse zayada der kuch chhupaya bhi to nahi ja sakta.. tum to mere andar samaai hui ho aur jaane kitne samay tak tum mere andar hi rehne wali ho. mujhe bhi tum jaisi hi ek dost ki zarurat thi. mujhe bhi jo ek dost ki kami feel hua karti thi, aaj woh bhi puri hote hue nazar aa rahi ha..

shimuna : main samjh sakti hon daksh, zarur tumhari zindagi me kuch aisa hua ha, jis bina par tum aise ban gaye ho.. par main tumse wada karti hon daksh.. kabhi bhi apni had se aage badhne ki koshish nahi karungi. apni power ka galat use nahi karungi.

daksh : woh to theek ha, par abb main aise aur itni raftar se to nahi tair sakta.. agar mian aise hi tairta raha to main fir wo hasil nahi kar paaonga, jiski talash hum dono ko ha. main ye bhi to nahi janta wo samudra ke kis area me milengi mujhe.

shimuna : dd-daskh mere paas ek solution ha, aa-agar tum ghussa na karo to

daksh : isme hichkichane ki kya baat ha. ye to achhi baat ha shimuna jo tumhare paas koi solution ha

shimuna : daksh baat hichkichane ki ha bhi aur nahi bhi

daksh : shimuna mujhe lagta ha hamare beech ye formality ab khatam ho jani chahiye. aise to hum har baat par vichar hi karte rahenge aur kaam ki baat hum kabhi nahi kar payenge.

shimuna : sahi kaha tumne daksh.. mujhe to vaise bhi koi problem nahi hone wali thi. baat to tumhari ha. kyunki main tumhare andar hon. aur jo baat main kehne jaa rahi hon, uska connection tumhare brain se tha.

daksh : brain se? shimuna khul kar kaho jo bhi kehna chahti ho!

shimuna : daksh jab se tum is dunya me aaye ho. apni ankhon se tumne jo kuch bhi dekha ha, kaano se jo kuch bhi suna ha. wo sab tumhare brain me save ha. par tumne kabhi uska use nai kiya. tum apni us memory se anjaan ho. askar sab dekha suna hum regularly yaad nahi karte toh hum usay bhulne lagte han. par wo neurons me maujud rehta ha.

daksh : hmmm ye to tum sahi keh rahi ho.. aage bolo

shimuna : tumhare brain me utar ke main wo sab kuch read kar sakti hon daksh, jo tum bhul chuke ho. jo tum yaad nahi rakh paaye, main wo bhi read karke apni memory me save kar sakti hon aur meri memory tumhari memory se kahin badhkar ha. mera brain tumhare brain se kahin badhkar powerfull ha. daksh tum mujhe samudra me mile the.. toh tum ek marine life jeene wale insan huwe..tum bohut se aise bhi logon se mile hoge, jinse tumne samudra me paai jaane wali rare cheezon ke baare me suna hoga, books me padha hoga, pics dekhi hongi. tum wo sab yaad nahi rakh sakte.. par agar tum mujhe permission do apne brain me ghusne ki toh main wo sari jaankari wahan se prapt kar sakti hon.

shimuna ki baat sunkar daksh ko 440 nahi 1000+ volts ka jhakta laga tha. shimuna ki baaten sunkar samudra ke paani me hi uska mohn khula ka khula reh gaya tha. bahar hota to zarur koi na koi makhi daskh ke mohn me ghuss jaati.

daksh : asambhav!!!

shimuna : sab kuch mumkin ha daksh, main apne planet ki princess hon, hamare planet par king pariwar ke paas bohut si shaktiyan hoti han.. mujhme bhi han. yahi shaktiyan lozan bhi pana chahta ha..

daksh ne ek lambi saans chhodi... apne dono hathon ki mutthiyon bana kar band karke aur khol kar dekhne laga.

daksh : jab se tum mujhe mili ho shimuna, mujhe sab ajeeb dekhne sunne ko mil raha ha. agar tum sach keh rahi ho shimuna, toh fir ye aur bhi achhi baat ha.. isse kaam jaldi hone ki sambhavana ha. warna mai kahan pure samudra me maara maara firta rahunga. main jaanta bhi to nahi keh wo rare things mujhe kahan se prapt hongi.

shimuna : uske liye mujhe tumhare barin ko khangalna padega daksh!!

daksh : aur mere brain ko khangalte samay tumhe milegi meri guzri zindagi ki wo dastan, jise maine aaj tak sab se chhupa kar rakha hua ha.

shimuna : haan aisa bhi ho sakta ha daksh.. par main tumse wada karti hon. mai tumhare brain ke us hisse me nahi ghusungi jahan tumhare secrets save han.

daksh : (sad) nahi shimuna tum chaho to wo sab bhi jaan sakti ho.

shimuna : nahi daksh, woh sab main tumhare mohn se sunna chahungi, khud se main aisa nahi karna chahti. ye achhi baat nahi hogi, na tumhare liye aur na hi mere liye. tumhare memory ko search karte samay main jo kuch bhi dekhongi, wo sab tumhe bhi dikhaai dene lagega.. isse tum par zarur achha asar nahi padega.

daksh : (breathe) haan sahi kaha tumne shimuna, main abhi wo sab kuch firse yaad nahi karna chahta.

shimuna : toh tumhari orr se mujhe permission ha daksh?

daksh : Go Ahead!!

daksh ki permission milne par shimuna daksh ke dimaag me ghus gai.. wahan se wo daksh ki zindagi me aaye huwe logon ko search karne lagi. daksh ki samudra se judi sari info search karni shuru kar di. koi vyakti agar daksh se mila tha ship par, usse hui sari baaten, uske paas dekhi hui books, un books me maujud rare things ki rare pics, daksh jo books khud se library me ya ship par padh chuka tha. shimuna wo sab bhi search karne lagi..

jaise jaise shimuna aage badh rahi thi, vaise vaise samudra ke paani me rehte hue daksh ki ankhon ke saamne bhi ek film si chalne lagi thi. jahan daksh tha, wo samudra ka kam gehraai wala area tha. wahan daksh ko koi khatra nahi tha. daksh ko samudra me kuch aur dikhaai nahi de raha tha. kuch dikh raha tha toh wo sab kuch dikh raha tha daksh ko, jo shimuna daksh ki neurons me search kar rahi thi.. daksh ko apna guzra samay firse dikhne laga. guzra samay yaad kiya jaaye toh wo hamesha achhi buri yaaden dono lekar aata ha. daksh bhi achhi buri dono yaadon me jaane laga.

shimuna ki search ki waja se daksh ko brain me bohut peedan bhi hone lagi thi.. daksh ne apne sarr ko dono hathon se thaam liya tha.

40 mint tak shimuna daksh ke brain me busy rahi.. sari info search karke usay apne brain me utarne lagi. tab tak daksh ki halat bohut kharab ho chuki thi. ye baat shimuna ne pehle daksh ko nahi bataai thi. shimuna khud bhi sab kuch jaldi kar lena chahti thi.

shimuna apne kaam se free hui to daskh behosh ho chuka tha. ab shimuna ke liye tension nahi rahi thi. daksh jo kuch nahi jaanta tha, jo kuch daksh bhul chuka tha. shimuna wo sab kuch jaan chuki thi. konsi rare thing daksh ke liye sabse best han aur kahan kahan uske milne ki sambavana hai, shimuna jaan chuki thi..

behosh ho chuke daksh ko shimuna ne apni power ka use karke samudra me tairana shuru kar dia. shimuna daksh ko flash speed se samudra me leke ek side me aage badhne lagi.


:::::::::::::::::::::


daksh ek island ke sahil par tha. shaam hone wali thi.

daksh ko hosh aaya toh wo apni ankhen kholne ki koshish karne laga.. ankhen to daksh ki nahi khul paai thee, par uske mohn se dard ke kaaran karahen zarur nikalne lagi thee.. daksh ko apna pura jism phode ki tarah se dukhta hua mehsus hua..

daksh ne sar hilane ki koshish ki toh uski cheekhen nikalne lagi..

daksh : sshhh--shimuna ye mujhe itna dard ko kyun ho raha ha

shimuna : sorry daksh ye sab meri waja se hua ha. mujhe aisa karna pada daksh.. tum to behosh ho gaye the. mujhe apni power use karni padi. jo kuch mujhe tumhare liye chahiye tha... wo sab dhundne ke liye mujhe 4000 mile tak samudra ko search karna pada.

daksh : (shocked) kyaaaaaaaaaaaaaa?

shimuna : haan daksh uske liye mujhe wapis ek baar firse afirca ke samudra ki orr jaana pada tha.. apni puri speed ka use kiya ha maine daksh. 6 ghanton me maine 4000 mile tak ke samudra ko chhan maara tha.. meri power ka aisa use tumhara sharir sehn nahi kar paaya aur tumhari aisi halat ho gai.

daksh : (karahte hue) kuch mila bhi ha ya aise hi khali hath laut aai ho.

shimuna : (chehakte hue) haan mila na, bohut kuch mila ha mujhe daksh..

daksh ko khushi bhi hui par dard ka ehsas bohut badhkar tha.

daksh : mere is dard ka kuch karo shimuna.. mujhse sehn nahi ho raha ye dard!!

daksh ki halat sach me hi bohut kharab thi. daksh ek insaan tha, ek nimoon girl ne apni power ka use kuch zayada hi ek insan par kar dia tha.

shimuna : daksh tumhare right hand me ek ocean flower ha, usay mohn me lekar chabaao.

shimuna ki baat par daksh ko apne right hand me kisi laplapi si cheez ka ehsas hone laga.. apni bachi khuchi shakti ka pryog karke daksh ne apne hath me maujud samudri phool ko apne mohn me daal liya.. daksh ko us ocean flower ka taste bohut zayada kadwa laga.. wo usay ugalne wala tha. par shimuna ne usay rok diya.

daskh mohn se to kuch nahi bol sakta tha. mind me hi wo shimuna se bol pada.

daksh : aisa lag raha ha shimuna jaise mere andar ki antadiyan tak bahar aane wali hon. kitni jaldi is samudri phool ka ras mere andar tak phel gaya ha.

shimuna : yahi to khasiyat ha daksh is phool ki. dekhna kitni jaldi tumhara sara dard jaata rahega..

daksh ke liye us kadwe phool ko chabana zeher chabane ke barabar tha. par marta kya na karta, usay wo phool chaba chaba kar nigalna hi pada.

daksh ko apne seene me jaise bhanwar se bante hue mehsus hone lage the..aisa lagne laga jaise uske sharir me koi unwanted cheez ghus gai ho... jo khaya tha, wo pet me utar ke apna asar dikhane laga tha. daksh ki cheekhen firse shuru ho gaee.. shimuna kuch nahi boli. kuch bol kar koi fayda bhi to nahi hone wala tha.

daksh kuch mint tak cheekhta, chillata, tadapta raha.. fir wo ekdumm se shaant pad gaya.. agar koi dekhta to yahi samjhta, daksh mar chuka ha.. daksh ki saans tham chuki thi. body me koi bhi movement dekhne ko nahi mil rahi thi.

ye condition bhi zayada der barkraar nahi rahi.

daksh lete lete hi kisi adiyal ghode ki tarah ekdumm se hi palti khaa kar uth khada hua.. daksh apni ankhen baar baar bhench raha tha. apni mutthiyan wo baar baar khol aur band kar raha tha.. apne dono pair utha utha kar wo bade zor se sahil ki ret par maar raha tha..

daksh firse cheekhne chillane laga.. is baar ka cheekhna kuch aur andaz me tha.. koi dekhne wala hota to wo daksh ko dekh kar yahi kehta "paagal ha saala"

shimuna bhi daksh ki halat par hassne lagi thi. daksh ka dard hi khatam nahi hua tha, sath hi daksh ke andar shakti bhi bohut badhne lagi thi. shakti badhi toh daksh ki dimagi halat bhi uske control se bahar hone lagi thi. ocean flower ki kadwahat aur heat ne bhi daksh ke andar shakti aur aag bohut badha di thi. shimuna ye sab jaanti thi. wo ye bhi jaanti thi, daskh ki aisi halat zayada der nahi rahegi.. daksh jald hi theek bhi ho jaayega.

bass wo daksh ki halat dekh kar khub hass rahi thi. daksh bhi shimuna ki hansi me apni hansi ki awaz milaye sahil par idhar udhar daudne laga.

daksh ne ya shimuna ne ek baat par dhayan nahi kiya tha. jitni speed ka pryog kiya tha shimuna ne samudra me, usi speed ki waja se daksh ka underwear samudra ke kis area me utar gaya tha, shimuna ya daksh dono nahi jaante the. ocean flower ki heat ne daksh ke jism aur dimag me hi aag nahi bhari thi. daksh ke lund me bhi ek bhayankar aag bhar di thi..

daksh ki bhaag daud se daksh ka lund bhi sath me hi uchhal kood macha raha tha.. jiska akaar apne pure joban par tha. jiski sakhti hamesha se kahin badhkar thi.



tumblr-p9pa4f-HTBw1t1dytvo1-640


:::::::::::::::::::::::


har ghar me, har mohalle me, har gaon me, har town me, har shahar me, har state me, har country me ek haakim hota ha.

ghar me, mohalle me ya fir gaon, town ya shehar me jo sabse bada hota ha. jiski baat sunna wahan rehne walun par farz hoti ha.. aiso ko haakim kaha jata ha.

ghar me, mohalle me agar koi ek bada ho, kisi ek ka order chalta ho to negative soch rakhne wale khud ko uski jaga par laane ke liye sar dhar ki baazi bhi laga diya karte han..

kahin ladaaiyan hoti ha to kahin sazishen janam lene lagti ha. kisi par hukumat karna, har power rakhne wale ki soch hua karti ha. zayada power rakhne wala aur bhi ilake apne under lene ki koshish karta ha. toh wahin jiske pass power na ho, woh power paa kar hukumat karne ke khawab dekhne lagta ha.

hamari earth par 5-7 desh bohut powerfull desh han.. sabse powerful country america ha.. jaise uski soch ha, all world par kabza karne ki, har desh me apna jhanda lehrane ki, har kisi ke sar ko apne aage jhuka hue dekhne ki. jis desh me koi insan khaas ho, uske andar abilities ka bhandaar ho.. usay apne under lene ki koshish karte han. jis desh me kuch aisa paaye jaane ki sambhavana ho, jise paa kar wo aur bhi powerfull ban sake. toh fir wahi apni power ka use karke us desh ya us jaga ko apne under lene ki koshish karte han.

hukamran banne ka sapna dekhne wale all universe me paaye jaate han. jaise prithvi par america ha toh

nimoonica me lozan ha.. lozan bhi ek negative soch rakhne wala nimoon tha. power ke lalach me, nimoonica ka king banne ke chakkar me wo apne kuch sathi bana kar saazishen karne laga.

lozan fir nakam nahi raha, kai saal tak sazishen karne ke baad lotham se usne singhasan chheen liya.. par usay kuch prapt nahi ho saka.

According to Nimoonica's laws.....

lozan ko sab ke saamne shimuna ke sath sambhog karna tha. sambhag ke baad fir shimuna ke sath wahin moka par shadi karni thi. lozan king banta aur shimuna malika. shadi ke foran baad shimuna ke pure pariwar ke sarr kalam kar diye jaate.

par.....

shimuna ko ye sab manzoor nahi tha. ek malika banne ki chah uske dil me bhi thi. par apne pariwar ko wo marta hua nahi dekh sakti thi. apne planet par wo lozan ko king bante bhi nahi dekh sakti thi. shimuna jaanti thi lozan kitni ghattiya nature ka nimoon ha. ek bar lozan king ban gaya to fir uske planet wale khushiyon ko tarasne lagenge.. lozan king banne ke baad power paane ka haqdar bhi ban jaata.. fir power paa kar wo pure planet par aur aas paas ke planets par tabahi macha deta..

shimuna lozan ki nature se bakhubi waqif thi.. isi kaaran wo apne planet se bhaag kar earth par aa gai.. kisi dusre planet par bhi wo nahi jaa sakti thi. wahan wo lozan se mehfuz nahi reh sakti thi. ek earth hi usay mehfuz dikhi toh wo fir earth par aa gai..

usay bhaagte hi lozan ko bhi khabar ho gai.. lozan ne apne sabse khaas aur darinda sift warriors ko shimuna ke piche laga diya.. wo bhi shimuna ke piche earth par aa gaye.. par wo shimuna ko paa na sake.. daksh ki surat me shimuna nimoons ki nazron se mehfuz ho gai. ab shimuna ko paa lena nimoons warrirs ke liye asaan nahi tha.
.
.
.

.
Aaj ke liye itna hi mitro.. Read and enjoy this update.. Reviews ke liye to kehna hi nahi padega mujhe. 2 update me hi itna zabardast prem dekh kar mere mann ko bohut khushi mili ha.:vhappy:

::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::
Fantastic update
 

Daksh The King

Active Member
905
6,390
124


Episode:04





Lozan jaisi soch rakhne walun ki kami nahi thi pure universe me....


Earth par nimoons ke paaye jaane ki charcha hui toh har taraf hulchal mach uthi.. dunya ki badi badi organizations nimoons ko, daksh ko apne kabze me dekhne ke liye meetings arrange karne lagee.

Dunya ki sabse badi organizations me....

NO:01 Red Power Organization(R.P.O) jo america ki thi..
NO:02 black adam organization(B.A.O) Israel
NO:03 Underworld Mafia


ye teeno pure world me sabse zayada powerfull organizations mani jati thi. RPO and BAO ke leaders kon kon the, ye baat koi nahi jaanta tha. RPO and BAO ke orders par puri sarkar hil jaya karti thi. jo bhi orders inki orr se jaari hua karte, un orders ki value dono desho ke prime ministers ke orders se bhi badhkar hua karti.

in dono organizations ka politics se koi connections nahi tha, in leaders ka kaam tha, apne apne desh ko all over the world sab se badhkar strong banana. desh ko powerfull banane ke liye jis kisi cheez ki bhi zarurat hoti RPO nd BAO hi sab zarurat puri kiya karti thi. apne desh ko pure world me sabse powerfull dekhne ke liye dono desh ki janta bhi apni apni orgnizations ka bharpur sath dia karte the. is maamle me sab ek the.

inhi dono organizations ke under thee dono desho saari organizations. RPO aur BAO ke leaders kon kon the, head office kahan kahan the, ye baat koi nahi jaanta tha. koi agar jaanta bhi tha, toh un ke baare me bhi koi nahi jaanta tha. dono organizations ke leaders, unse jude khaas logon ko kabhi kisi ne nahi dekha tha. sab bass milne wale orders ko follow kiya karte the.

underworld ka bhi aisa hi kuch scene tha.. underworld ka leader bhi kabhi kisi ke saamne nahi aaya tha. wo fone par, video call me hamesha awaz aur face badal kar saamne aaya karta tha.

teeno organizations ne pure world me apne ordres jaari kar diye the, daksh and nimoons jahan kahin bhi milen. unhe kisi bhi haal me apne under liya jaaye..

orders milte hi hazaron agents samudra me, samudra ke jis area me nimoons aaye the, us area ke aas paas ke desho me searching shuru kar di gayi.

abhi tak koi nahi jaanta tha, aane wale nimoons han aur wo kis planet se aaye han. ye keval daksh hi jaanta tha.

::::::::::::::::::::

RPO, BAO underworld wale jitne khush the.. usse kahin badh kar khush the india wale.

because........

another planet se aane walun ka jab jab zikr hota, sath zikr hota ek hindustani ka..

Daksh "DK" ke naam se ship par jaana jata tha. koi bhi daksh ko uske real naam se nahi jaanta tha. daksh ne ghar chhodne ke baad ek toh apna pura naam kabhi kisi ko nahi bataya, dusra apne naam ke sath thakur hata dia tha.

jab nimoons earth par aaye to ship ke paas samudra me keval daksh tha, uske baad daksh kahin bhi nahi mila. sab samjhne lage, daksh se juda ha another planet se aane walun ka rahasy.

vaise toh koi bhi confirm nahi tha keh aane wale another planet se han.. par unki shaklen unke akaar dekh kar sabne samjh liya tha. woh humans nahi han. zarur wo kisi dusre planet se aaye han.. jis andaz me wo sab aaye the.. NASA walun ne apne hisab se confirm kar diya tha.. wo another planet se hi han. aur NASA aise maamlon me kaise galti kar sakta tha.

india walun ne jab ye suna keh ek indian samudra me lapata ho gaya ha.. theek usi jaga se, jahan par nimoons aa tapke the. indian ye jaan kar bohut khush ho gaye the.

india me RAW bhi puri tarah se active ho chuki thi. RAW walun ne bhi apne sabhi agents ko nimoons and daksh searching ke kaam par laga dia tha.. sath hi ye bhi orders jaari kar diye the, daksh se jaise hi connection bane, usse baat karne ki koshish ki jaaye. usay apne sath milane ki koshish ki jaaye. agar daksh ko world ki other organizations se khatra ho to daksh ki puri puri madad ki jaaye. kuch bhi ban pade, daksh ko kuch hone na diya jaaye. aur apni RAW identity kisi par zahir na hone den.

maamla world top organiations ka hi nahi tha.. maamla political bhi ban sakta tha. hungame to janam lene hi wale the. wo bhi bohut zayada. ye baat RAW samet saari dunya samjh chuki thi.

baat power paane ki thi, toh power har koi pana chahta tha. jaise bhi paani pade.. laashon ke dher bhi lagane paden toh lagane se koi bhi piche nahi hattne wala tha.

NASA wale barson se space research ke chalte arbon dollars kharch kar chuke the. par woh aisi janakari prapt nahi kar paaye the, jaisi ab nimoons ke aa jaane se milne ki sambhavana thi.

india hi kya world ka koi bhi country hota, america sabse number 1 rehne ki sochta.. nimoons ke maamle me bhi number 1 rehne ke liye RPO ko kuch bhi karna padta to wo piche na hatti. yahi haal BAO ka bhi tha. wo bhi daksh ke liye, nimoons ke liye kuch bhi kar jaati.

underworld walun se bhi punga hone wala tha. par RAW walun ko unki koi tension nahi thi. underworld walun se to woh hamesha se hi nipatte aa rahe the.

senkdon RAW agents bhi apne kaam par lag chuke the. wo bhi daksh aur nimoons ko search karne lage.. DK india se tha toh RAW wale zayada khush the aur samjhte the, universe se judi jaankari paane ka haq unhe sabse zayada ha.. par wo khul kar kuch bhi nahi kar sakte the. sab RPO BAO ki nazron me aaye bagair karna tha. agar dunya jan jaati, DK ya nimoons RAW walun ke hathe chadd gaye han toh RPO and BAO wale kaise bhi karke DK ya nimoons ko apni custody me le lete..

:::::::::::::::::::

Lozan king na bankar bhi king hi tha.. wo king ban chuka tha, par king aur uske pariwar ko maar nahi paya tha. king banne par milne wali power prapt nahi kar paaya tha. fir bhi wo king tha.

agar lozan shimuna ke sath sabse saamne sambhog karke, shadi karke, king Lotham aur uske pariwar ke sabhi members ke sar kalam karke king banta, to usay milti woh power, wo shaktiyan jo king ko prapt hua karti thee. par Lozan is maamle me khali hath reh gaya tha. shimuna ke nimoonica se bhaag jaane ki waja se Lozan shaktiyan prapt nahi kar paya tha.

bada dukh tha Lozan ko is baat ka.. par wo kuch kar nahi paa raha tha. uske warriors shimuna ke piche gaye hue the aur Lozan ya koi bhi nimoon ye nahi janta tha, shimuna ya dusre warriors kahan gaye han.

Lozan pure planet ki jaankari rakhta tha. woh apne planet ke sabse bade space center par bhi kai chakkar laga chuka tha, wahan maujud scientists se baat karke shimuna aur dusre nimoons ko search karne ke orders de chuka tha. par abhi tak kisi ka koi bhi suragh nahi mil paaya tha.

agar Lozan king ban jata, usay shaktiyan prapt ho jaati to fir uske liye shimuna ya dusre nimoons warriors ko dhund pana koi mushkil kaam nahi rehta.

Parr Afsos.....

Lozan ke paas shaktiyan nahi thee. nimoonica's scientists sar tod koshish kar rahe the. naye naye experiments karke jald se jald woh Lozan ko khush kar dena chahte the. Lozan naya bana king bana tha. sab Lozan ki madad karke Lozan ko khush kar dena chahte the. Lozan ki nazron me khud ki value badhana chahte the.

shimuna ne nimoonica se udaan bhari to usay 25 din lag gaye the earth par pohnchne me. in 25 dino me Lozan bhi araam se nahi baitha tha. uska zayada tar samay space center me hi guzarta tha.

nimoonica's scientists ek aisi searching machine banane me lage hue the, jis ki madad se nimoons pure universe me jahan kahin bhi honge, nayi banaai jane wali machine unhe search kar liya karegi.

Lozan ye jaan kar bada khush hua tha. woh chahta tha jald se jald uske scientist wo searching machine bana len.


:::::::::::::::



Ocean flower kha lene se Daksh khud par control ko baitha tha. ocean flower jo sadiyon se samudra ki gehraai me raha tha. us tak kabhi bhi suraj ki roshni nahi pohnch paayi thi. fir bhi wo apne andar itni kadwahat aur heat rakhta tha, Daksh ka digestive system bigad kar reh gaya.

Parr.....

Parr aisa zayada der nahi raha.. ocean flower ne badi tezi ke sath daksh ke khun me shamil hokar daksh ke wajud ke sare dard ko nichod liya.. keval dard hi nahi nichhoda, apni heat ke kaaran daksh ke dimaag me bhi zabardast bigaad paida kiya.

Daksh pehle to kisi murde ke jaisa ho gaya, fir wo kisi adiyal ghode ke jaise uth khada hua. fir woh paglon ki tarah hasta hua sahil par daudne laga.

Daksh jaisa bhi tha, tha toh ek aam insaan hi. kaise woh ek rare ocean flower ki kadwahat aur heat sehn kar pata. jitni heat daksh ke sharir me badhi, utni hi heat daksh ke dimag me bhi badhi. jab tak woh heat daksh ke dimaag me rahi, daksh aise hi hassta raha, daudta raha. paglon jaise kahkahe lagata raha.

adhe ghante baad daksh kuch normal hua toh

daksh : kya tha ye sab shimuna?

shimuna : Ehehehe jo bhi tha, par sab bada maze ka tha. Ehehehe pata ha daksh aaj kitne samay ke baad me itna khul kar hansi hon.

daksh jo ocean flower ke zer e asar tha, wo sad nahi ho sakta tha. wo abhi bhi laughing mood me tha. serious to wo ho nahi sakta tha.

daksh : haan tha to sab kuch bada hatke (daksh ki nazar apne lund par padi toh) aur kuch romanchak bhi.. daksh ki ankhon se dekh rahi thi shimuna is dunya ko. wo bhi daksh ke lund ko dekh gayi..

Ehehehehehe hohohoho Ehehehehehe hahahaha Ehehehehehe

is baar shimuna itna hansi jitna pehle daksh hans raha tha. daksh bhi firse hassne laga.. woh khada hua aur apne lund ko pakad kar daba daba kar hassne laga.. itna garam, itna sakht pehle kabhi nahi daksh ne apne lund ko paya tha. daksh firse apne lund ko pakad kar hassne laga.

shimuna : Ehehehehe pata ha daksh, sach me hi aaj main jitna hansi hon, itna pehle kabhi nahi hansi.

daksh : aisa kyun?

shimuna : ek toh mujhe apne planet se nikle bohut din ho gaye han. dusra wahan mujhe tum nahi mile the naa Ehehehehe aur na hi aisa koi scene dekhne ko mila tha Ehehehe

daksh : achha! mujhe ye bataao shimuna tum ek ladki hokar bhi mere ling ko dekh kar kyun hasne lagi.

shimuna : kyun mai nahi has sakti kya daksh!! aur ye ling kya hota ha haan, lund kaho ise tum daksh lund!! shimuna hasste hue, maze leti hui boli.

daksh : ladkiyan to aisa sab dekh kar sharam se laal peeli ho jaya karti han. aur tum ho keh khul kar hass rahi ho, baat kar rahi ho.

shimuna : daksh hamare planet par sex itna aam ha, itna shayad hi pure universe me kahin ho. hamare planet par ladki, ladka jaise hi jawan hote han, unhe sex karna padta ha. ye ek law bhi ha hamare planet ka.

daksh : kyaaaaaaa?

shimuna : haan daksh!!

daksh : ohh fir to tum bhi?

shimuna : kya main bhi daksh! main bhi ek jawan ladki hon, jawan hote hi maine sex kar liya tha. uske baad to koi hisab hi nahi raha. haan par shadi aur bachhon ke liye ek standard ha. king pariwar ka member bina parkh ke kisi se shadi nahi kar sakta.

daksh ne ek lambi saans li.

daksh : toh ab main apne is khade samaan ka kya karun.

shimuna : uske liye toh tumhe samudra ki koi kachhi machhli hi khaani sahi rahegi. uske andar nami bohut hoti ha, usi se kam ho sakti ha tumhare andar ki heat.

daksh : kyaaaa? kachhi machhli.. main kese khaaonga kachi machhli

shimuna : Ehehehehe daanto se udhed udhed ke

daksh : hahaha tum mujhe kis dunya ka insan banane wali ho shimuna

shimuna : Ehehehe universal man. apne world me to tum super human ban hi chuke ho. mai jo mil gai hon tumhe.. ant me shimuna apni tareef karte hue maze se boli.

daksh : tumhare mere sath hone se sach me hi main famous ho gaya hon. par tumhare aa jaane se meri zindagi ka sukun bhi khatam hone wala ha. ye baat bhi main jaan gaya hon.

shimuna : kuch agar khaas mil jaaye toh fir kuchh to khona hi padta ha daksh. shimuna usi tone me boli.

daksh chalta hue samudra me utar gaya.. shaam ho chuki thi. samudri phool kha kar daksh bhi ek samudri jeev ban chuka tha. paani me utra toh woh aur shimuna bhul gaye the keh shaam ke samay andhere me woh fish kese pakdenge. par paani me utarne ke baad daksh tairta hua aage badhne laga. daksh ko andhere me bhi sab saaf saaf nazar aane laga tha.

jitni speed daksh ko shimuna ki waja se mil chuki thi. kaise koi machhli uski pohnch se nikal sakti thi. haan pani me chikni machhli par kabza jamana asaan kaam nahi tha.

mushkil to hui daksh ko, par 2kg ki ek machhli pakad hi li daksh ne.. machhli pakad kar daksh samudra ke paani se bahar nikal pada. wahi sahil par baith kar wo usay daanton se chabane laga. sach me hi usay apne sharir ki, dimaag ki heat me kami mehsus hone lagi.

daksh wo saari machhli chat kar gaya.. ek lamba dakaar lekar daksh wahi let gaya. marine life jeene wala daksh ab ek wilf life jeene laga tha. kisi junglee wehshi ki tarah woh kachhi machhli danton se udhed udhed kar khaa gaya tha.

daksh ka pet bohut samay baad bhara tha. heat kam hui to daksh ko firse neend aane lagi. daksh wahi lete lete so gaya.

agli suba bohut der se daksh ki ankh khuli thi, wo bhi bohut tez dhoop ke karan.. daksh ko apne jism me heat badhti hui feel hui toh daksh uth baitha. daksh ne upar suraj ki orr dekha toh daksh ko andaza hua keh wo bohut der tak sota raha ha. din ke 10 se upar ka time ho chuka tha.

daksh khada hua aur island ki orr dekhne laga.

shimuna bhi daksh ki ankhon se sab dekhne lagi.

shimuna : island ki orr kya dekh rahe ho daksh!

daksh : dekh raha hon ab aage mujhe kya karna chahiye. island par ghoomna sahi rahega ya nahi.

shimuna : nahi daksh abhi to tum kuch bhi nahi ho. mera matlab ha, tum jese ho vaisa koi nahi ha. tum ek daring man ho. island par bane khatron se nipat sakte ho. par jaisi life ab tumhe mil chuki ha. usi ko saamne dekhte hue tumhe har kadam phonk phonk kar uthana hoga. tumhe dunya se ladne ke liye fighting seekhni hogi. khud ko safe rakhne ke liye tumhe strong banna hoga. island ke andar jana sahi nahi rahega. ek to hum island bare kuch nahi jaante aur dusra hamara time bhi waste hoga. tum jald se jald khud ko strong banane ki koshish karo.

daksh : itna to sab main bhi samjhta hon shimuna. kam to main pehle bhi nahi tha kisi se. pehle mere liye khatrat samudri the. par ab puri dunya aur nimoons mere piche pad chuke han. mujhe khud ko sabka saamna karne layak banana hoga.

shimuna : yahi baat to main bhi keh rahi hon daksh!!

daksh : nimoons jo is dunya me aaye han shimuna, unki power kis had tak ha.

shimuna : is had tak daksh! agar tum kabhi unke hath lag jaao toh power ka use karke tumhari haddiyon ka surma banane me nimoons ko der nahi lagegi. tum chah kar bhi unke saamne tik nahi paaoge. wo insan nahi han daksh! woh nimoons han. bohut hi zayada powerfull itne keh tumhari earth ka koi bhi insan unka saamna nahi kar sakta. haan hathiyaron ke aage unki nahi chal sakti. hathiyaron ke aage wo maat khaa jaayenge.

daksh : dimag ke maamle me bhi woh nimoons hum insano se badhkar nahi ho sakte shimuna. hamari dunya me bohut se brains aise han, jinka jawab nahi ha. wahi han jo is dunya ko apni muthhi me liye hue han.

shimuna : itna to main bhi jaanti hon daksh! science ke maamle me hum earth walun se kahin badhkar han. par intelligence me hum kam ho sakte han. isi liye mere meesa kabhi bhi apne planet se earth par aane ka nahi sochte the. par Lozan kabhi khud ko rok nahi paayega.

daksh : Lozan ne kabhi hamari dunya me parvesh karne ki sochi bhi to usay bhi dekh liya jaayega. ye earth ha shimuna yahan Lozan ki nahi chalne wali. yahan ke brians ke aage woh bhi fail ho jaayega.. anyway tum ----- daksh aage bolta apne hathon ko dekh kar woh chonkte hue chup ho gaya. daksh ke sath sath shimuna bhi daksh ke hathon ko dekhne lagi. daksh jahan heran hua apne hathon ko dekh kar. wahi shimuna ek baar firse khilkhila kar hassne lagi.

daksh : ye kya ha shimuna?

shimuna : Ehehehehe daksh!! Ehehehehe jj-jo bhi hai daksh! par hai bada maze ka. Ehehehe tum kitne sunder ho gaye ho na daksh Ehehehehe

daksh ke hath hi nahi uska pura jism kaala siyaah ho gaya tha. wahi dekh kar daksh shocked tha to shimuna ka haste haste bura haal hone laga tha.

daksh : zarur ye kal wale sea flower ki waja se hua ha. tumne mujhe pehle kyu nahi bataya shimuna, aisa bhi kuch mere sath ho sakta ha.

shimuna : Ehehehe mujhe nahi pata tha daksh! aisa bhi kuch ho sakta ha. aise affect baare main nahi jaanti thi. achha hua jo nahi jaanti thi main. warna tumhari aisi sundarta main kaise dekh paati Ehehehe

daksh ko chinta hone lagi thi. par shimuna ko keval maza aa raha tha.

daksh : ab kya karun main shimuna main toh sara hi kaala ho gaya hon. mujhme aur ek negro me abb koi fark nahi raha.. firse mera rang mujhe kese wapis mil sakta ha?

shimuna : Ehehehe rehne do daksh aise achhe dikh rahe ho. you are looking very beautiful and attractive Daksh! kasam le lo jo itni sundarta maine pehle kabhi dekhi ho.. shimuna thi keh khilkhilaye hi jaa rahi thi. chup hone me hi nahi aa rahi thi.

daksh : kya khaak achha dikh raha hon main. ek kaala admi bhi kabhi beautiful dikh sakta ha kya.. daksh preshan ho gaya tha apne black colour ko dekh ke.

badi mushkil se shimuna ne khud par kaabu paaya. warna to agar wo visible hoti toh wahin loot poot hone lagti daksh ki sundarta ko dekh kar.

shimuna : mera khayal ha, kuch din ye rang rahega, fir dhire dhire chala jaayega. agar iska itna nuksan hota to mujhe tumhare brain se wo jaankari zarur milti daksh!

daksh : theek keh rahi ho tum shimuna. ab mujhe rang ko chhod kar"jo kuch tum samudra se laai thi" uspar dhayan dena hoga.

daksh fir shimuna ke dawara laai gai rare thing ko dekhne laga.

shimuna : isme jo black shiny stone ha na daksh, ise pees kar khana hoga. agar toh yahan aag aur bartan hote toh achha rehta. usi bartan me paani daal kar, ubaal kar, in stones ko usme daal kar liquid banaya jaata, fir tum usay peete toh badi jaldi iska asar tumpar hona tha. in 1 week hi tum khud ko itna strong paate keh mann karta kisi ped ko mukka maar kar gira do. aur green colour ki jo lambi lambi pattiyan han. isko khane se tumme sehn shakti badhegi. black shiny stone aur dusri cheezon ke khaane se hone wale nuksan se bachat hogi.

daksh : pattiyon ka upyog kaise karna ha shimuna?

shimuna : ye bhi pees kar hi leni han daksh.. bass inhe pehle sukhana hoga.

daksh : aur ye lachakdar si, laplapi si bel kis kaam aayegi?

shimuna : ise dhoop me rakhoge to ek oil me badal jaayegi daksh!.. fir tum iski malish apne badan par karna, isse tumhare badan me lachak bohut zayada badh jaayegi. fir kabhi tumhari koi haddi tootegi nahi.

daksh : main khud se toh maalish karne se raha.

shimuna : jitni aur jahan tak ho sakti ha karo daksh. baaki ise sath le lena.. abadi me pohnchenge toh tum kisi ki madad le sakte ho.

sab samjh kar daksh ne un rare cheezon ka istemal shuru kar dia.. island par rehte hue daksh sahil par door door nikal jaata. bhuk lagti to samudra me utar kar fishing karta.
dusre din daksh sahil par bohut aage nikal gaya.. 2 ghante baad daksh ko ek watefall dikha. daksh waterfall dekh kar khush ho gaya.. daksh daudta hua waterfall me kood gaya. bohut der tak wo nahata raha. thanda paani pi kar daksh ko bada sukun mila tha. jo baat paani me hoti ha woh kisi aur cheez me kahan. paani pi kar daksh ke andar zindagi ki leher daud gai.

wahi daksh ko bohut se alag alag shape me patthar mile. daksh ne kuch nokdar patthar uthaaye, ek patthar me bada sa chhed bana hua tha jharne ke paani ke girne ki waja se.. daksh ne us patthar ko bhi utha liya. fir nokdar pattharo ki madad se wo us chhed ko aur bhi khula karne laga.. daksh me ab taqat badhne lagi thi. daksh shaam tak laga raha.. shimuna bhi daksh ka hosla badhati rahi. shaam tak daksh ne patthar ko ghis ghis kar ek payale jaisa bana liya tha.

payala mil gaya tha daksh ko, saaf paani bhi jharne ki surat maujud tha. ab daksh ko aag jalane wale stones ki talash thi. aise patthar zarur daksh ko milte is island par.

alge din daksh ko wo fire stone bhi mil gaye.. unhi stone se daksh ne aag jalayi. fir toh us island par daksh ke maze ho gaye.. samudra me jaa ke wo machhliyan pakad laata aur aag par bhoon kar khaane lagta.. usi aag se wo shiny stones aur paani ko, payala numa patthar me daal kar pighlane laga...

daksh ki marine life wild life me badal chuki thi, daksh toh tha hi aisi life ke bharpur maze lene wala insan. daksh wahi rehte hue khub enjoy karne laga.. daksh wo sari rare things island par rehte hue istemal karne laga. bohut tezi se daksh me badlaao aane lage. malish sahi se na kar paane ki waja se daksh ko apna sharir akadta hua mehsus hone lagta. aise samay uske liye jhuk pana asaan nahi rehta tha. aisi halat me daksh zayada samay samudra me bitane lagta.. wahi usay rahat milti.

2 hafte tak daksh usi island par raha. khud me badlaao la kar daksh fir apne agle safar ke liye nikal pada.. bachi hui samurdri cheezen usne ek samudri bel me bandh kar apni kamar kar gird lapet li thee.. daksh dikhne me kisi taarzan se kam nahi lagta tha.

daksh me itni power to nahi aai thi keh woh sach me hi mukka maar kar ped gira sakta, haan par daksh ke andar 10-12 admiyon ke barabar shakti zarur aa gai thi.

daksh ko un rare things ke upyog se apna rang hi wapis nahi mila tha. daksh ko mila tha ek aisa rang, jo dekhne wale ko khud se begana kar sakta tha. daksh shuru se hi mardangi me number 1 tha. bohut si ladkiyan daksh ko paane ke liye machal jaaya karti thee.

Aur Abb...

Abb to ladkiyan daksh ke liye zarur pagal hone wali thee. ek swimmer ki body me jaisi attraction hua karti ha, wo kisi gym me saalon laga kar banaai gai body me bhi nahi hua karti. daksh good looking me maamle kaiyon se badhkar tha. abb toh woh lakhon me nahi croro ek ho gaya tha..

daksh samudra me swimming karte hue, shimuna ki shakti ke adhe istemal ko badi easily apne sharir par sehn kar pa raha tha. shimuna agar flash speed se samudra me tairti toh daksh ka sharir ab bhi itni speed sehn na pata. haan par ab daksh behosh nahi ho sakta tha. daksh ko utna dard nahi ho sakta tha. island par guzre kuch dino me daksh itna strong ban gaya tha.

Daksh ja raha tha china.. wahin woh fighting sahi se seekh sakta tha. wahin mil sakti thi wo fighting skills jo daksh ko pure world me kahin nahi mil sakti thee, wahin ban sakta tha daksh is dunya ka sabse best fighter.. ek wahin desh tha, jahan daksh ko mil sakte the aise ustaad jo usay jaan kar, samjh kar, wo sikha sakte the. jo daksh ko puri dunya me kahin aur se seekhne ko nahi mil sakta tha.

ye bhi daksh ko shimuna ne hi bataya tha. daksh ko ghar se nikle 6 mahine hone ko aaye the, daksh ek ship par ek engineer ka helper tha. wahin ship par daksh ko ek chinese master chi-fang mila tha. 90 saal se bhi upar ki age thi master chi-fang ki.. daksh ne master chi-fang ko bada samman dia tha.. jitne din master chi-fang aur daksh ka sath raha tha, daksh ne apne kisi bade ke jaise master chi-fang ka khayal rakha tha.

master chi-fang ne daksh ko kabhi china aane ka kaha tha. daksh ko fighting seekhne ki baat kari thi master chi-fang ne. master chi-fang ek manjha hua master tha. bada naam tha unka china me. master chi-fang ek aisa master tha, jiske paas aisi skills thee, jo bohut kam hi kisi master me dekhne ko milti thee. aur jaisi purani kalaa master chi-fang ke paas thee. unhe seekh pana bhi har kisi ke bass ki baat nahi thi.

shimuna ne daksh ko master chi-fang ki yaad dilaai toh daksh ko master chi-fang ke saath bitaye sabhi pal yaad aane lage. daksh ko fir se master chi-fang se milne ki chah hone lagi. pehle kabhi daksh ne master chi-fang se milne ki chah apne mann me nahi aane di thi. pehle ki life daksh ke liye aur tarha ki life thi. par ab daksh ke liye life ke meanings badal chuke the.

Daksh china master chi-fang ke paas hi jaa raha tha.


::::::::::::::::::::

jitne din daksh ko island par lage, utne dino me kuch bhi nahi hua. puri dunya daksh ko, nimoons ko dhoondne me lagi rahi. par koi bhi hath nahi laga. jitni hungama macha tha news me, wo sust padne laga. logon ka josho kharosh bhi kam padne laga. life ek bar firse routine par aane lagi.

Daksh island par tha aur nimoons samudra me.. stupid toh wo bhi nahi the. aise hi toh woh khul kar saamne nahi aa sakte the. nimoons the par aqal wale the. apne planet par nahi the woh, earth par the. ye baat woh bohut achhe se jaante the.

nimoons kisi ki nazron me bhi nahi aana chahte the. warna puri dunya toh unke piche pad hi chuki thi.. ye baat bhi woh jaan chuke the. daksh baare bhi woh ye jaan gaye the daksh india se hai.. daksh india lauta ya nahi, lautaga bhi ya nahi ye baat bhi confirm nahi thi.

koi bhi step lene se pehle woh achhe se jaankari le lena chahte the. nimoons samudra me safar karte hue india ke paas pohnch chuke the. samudra me safar karte hue woh kisi sahil par raat ke samay pohnchte aur milne wale kisi insaan ke mathe se mathe jod kar info nikalte, fir usay maar kar kahin dafan kar dete. apne baare woh info leek nahi hone de rahe the. is maamle me nimoons waaki bohut dimaag istemal kar rahe the. abhi tak nimoons ke hathon mare huon ki lashen kahin se nahi mili thee. warna unke marne par sab jaan jaate, ye sab nimoons ne hi kiya ha aur unka rukh kis disha me ha.

nimoons india ke paas pohnch kar ek door ke sansaan sahil par rehne lage.. agli milne wali info tak wo kisi bhi shehar me dakhil nahi ho sakte the. unhe gharz bhi to kisi aur se nahi thi.. gharz thi to bas daksh se thi. kyunki shimuna uske andar samaa jaane ke baad firse bahar nahi nikli thi. daksh milta toh shimuna bhi mil jati.

.
.
.
.

Aaj Ke Liye Itna Hi Mitro... Baaki Next Episode Me... 😍👀👀👀👀
::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::



 

Daksh The King

Active Member
905
6,390
124

Romance❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤💏💏💏💏💏💏💏💏🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Shandaar update bro maza agaya read karke....

Awesome fabulous update Bhai

Awesome update keep rocking bro...👍😊

Marvelous jabardast Shandar majedar dhamakedar fantastic update bro

Bahot behtareen
Shimuna or Daksh m achchi bonding hone lagi h
Badhiya shaandaar update bhai

Nice and fantastic update bhai


Good update

Nice updates

Aapne daksh ko nanga hi ret me daudaya hai vo to sukar hai ki shimuna daksh ke andar hai or vo bahar nhi aa sakti pr maza to use bhi aayega jb daksh apni najre niche karega... Mujhe to soch ke hi hasi aa rhi hai...
Daksh ke dimag se shimuna ne vo sari jankari nikal li hai jo daksh ke andar thi sivay uske secret ke...
Shimuna ne jaha daksh se yah sab karne ki permission le ye darshata hai ki Vo positivity se bhari hui hai baki Apne planet ke Anya logo ke mukable...
Dimag se jankari nikalne ke dard ke chalte daksh behosh ho gya pr shimuna ne uski behosh body ko aisa daudaya hai ki hosh me aane pr daksh ka sarir phode ke dard jaisa chilla rha tha Lekin shimuna ne 4000 miles ke chakkar me kafi kuchh dhundh liya hai Vahi Usne daksh ko ek samudri pusp khane ko kaha Jisse uska dard khatm ho jaye... Dekhte hai is samudri pusp ko khane se daksh me kya kya badlav aate hai...
Superb update bhai sandar jabarjast lajvab

Superb starting

nice update .shimuna aur daksh ki dosti bhi ho gayi ab aur shimuna ek suljhi huyi ladki hai jo daksh ka past uske ijajat ke bina nahi jaanna chahti .
rare cheej dhundne ke liye daksh ke memory ko khangalna pada aur sab yaade shimuna ke dimag me save ho gayi .par daksh ki halat kharab ho gayi is sabme .
ocean flower se bahut saari taakad aa gayi daksh me aur uska dard bhi gayab ho gaya .

lozan ek galat iraado wala nimoon hai jo raja banne ke liye shadyantra karta raha .usko shimuna se sex karke wahi shadi karni thi par aisa ho nahi paya .shimuna uske ghatiya iraade jaanti thi isliye bhagkar earth par chali aayi .

Nice update bor

Nice update 😊

Nice update

Daksh bhai dhanyawad 🙏👏🙏👏👍👏 apki ye story yakinan successful hogi he hogi kyoki regularity apki h he aur yanha update regular chahiye bus.......best of luck

Nice Update

Superb update

Awesome start of story waiting for more updates

Bro update roj Dena hum apke story padhne ke liye wait karte Hain

Sandar update hai bhai

Lajawab update bhai

Daksh bro...waiting for next update...💐🤔

Okay bhaya
Intizar rehega

Behtarin update

Nice update

Fantastic update
Episode 04 has been posted Guys.. plz keep readings..
 
Top