Episode:32
sanjana ke gird mela laga hua tha. pura school usay gher kar khada tha.
safe hone ke baad koi bhi student wahan se ghar ke liye rawana nahi hua tha. bachhu ke parents bhi wahi aa gaye the.
media wale bhi ek majma ki surat wahi maujud the, sanjana ko live dikha rahe the.
sanjana pehle bhi ek confident girl thi. mala ki ray ke kaaran woh sari hi badal gayi thi. uska confidence lavel asmaan ki bulandiyon ko chhune laga tha. uske chehre par aaya glow sabhi ko sammaniya khade hone par bhi majbur kar gaya tha.
sab jo pehle ye jante the, sanjana ek teacher ha, ek anath ladki ha. ab wahin sab samjh rahe the. sanjana ek devi ha. uske chehre ki chamak bhi logon ke dilon me uske liye aise hi vichar le kar aai thi.
sanjana ek news reporter ke poochhe gaye prashn ke uttar kuchh aise boli.
sanjana : har nari ek maa bhi hoti ha. har maa apne bachhu ke liye apni jaan bhi de sakti ha. ek nari kamzor ho sakti ha, par ek maa kabhi kamzor nahi ho sakti. jab jab ek maa ke bete ki jaan khatre me aayi ha. maa ne apni jaan ki parwa na karte hue apne bete ki jaan bachai ha. ek nari ladna nahi janti par ek maa dunya ke har khatre se ladna jati ha. apne bete ko bachane ke liye har woh hathiyar istemal kar jati ha, jiska istemal usay nahi bhi aata. (hath jod kar upar ki or dekh kar) ek maa dusri maa ko himmat aur taqat kyun nahi degi. ek maa dusri maa ke dard ko bohut achhe se samjhti ha. ek maa dusri maa ke kaleje ko chhalni hote hue kaise dekh sakti ha. mere baare me sab jaante han. maine hosh sambhala toh khud ko anathashram me paya. wahin pali badhi, wahin padhai likhai ki. meri zindagi ka ek ek din ek ek lamha sab ki jaankari me ha. maine apni puri life me kabhi koi hathiyar nahi uthaya. kabhi koi gun nahi chlaai. chalana toh door ki baat ha, maine kabhi koi gun hath me bhi nahi padki. is baat ke hazaron gawah mil jayenge aap media walun ko. sabzi kaatne ke liye ek chhuri toh maine uthai ha. par kabhi koi hathiyar nahi uthaya..
niche kuchh fasle par padi gun ko utha kar woh firse boli..
ekkkk gunnnnn kyaaaaaaaaa!! MAA KALI mujhe is dunya ka har hathiyar chalane ki himmat aur taqat de sakti ha. JAI HO MAA KALI KI.. JAI MAA KALI.. JAI MAA KALI..
sanjana ki awaz me aisi goonj aa gayi thi. sabko apne dilon me woh awaz utarti hui mehsus hone lagi thi.
sanjana khamosh hui toh usi pal pura school, police force aur media sab ek sath bol pade..
JAI MAA KALI..
JAI MAA KALI..
JAI MAA KALI..
JAI MAA KALI..
sabke ek sath bolne par aisi goonj hui. school ke daro deewar larz uthe. farsh aise hilne laga, jaise bhukamb aa gaya ho.
bachhon ki awaz sabse badhkar thi.
fir bachhon ne ek nayi awaz me bolna shuru kar dia.
SANJANA MAA KI JAI HO.....
SANJANA MAA KI JAI HO.....
fir toh sab hi bachhu ki awaz me awaz milane lage..
SANJANA MAA KI JAI HO.....
SANJANA MAA KI JAI HO.....
SANJANA MAA KI JAI HO.....
sanjana ne bhi kisi ko mana nahi kiya. usay samjh aa gaya tha, usay ab kaise jeena ha. usay uska laksh nazar aa gaya tha. ek MAA ne usay pure desh ki, pure world ki maa bana dia tha.
usi samay upar se 2 helicopters shor machate sunaai dene lage. dekhte hi dekhte un helicopters ke liye jaga khali kar di gayi. kuch der me dono helicopters land hue toh ek helicopter se education minister jo keh ek mahila thi, woh IG police ke sath aate hue dikhai di.
dusre helicopter se CM aur kuch dusre ministers bhi utarne lage..
sab sanjana ke saamne pohnch kar hath jod kar khade ho gaye. jab woh helicopter se utre toh unke chehron par bhav aur the. jaise hi woh sanjana ke saamne pohnche toh unke bhav badalte chale gaye the.
woh sab bhi sanjana ke saamne hath jod kar sammaniya khade ho gaye the.
firse "SANJANA MAA KI JAI HO" se pura school goonj utha.
{::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::}
alka ek private plane me bethi india laut rahi thi.
do ghante tak sab shant raha. alka sukun se bethi hui india pohnchne ke intizar me thi. india me koi uska khaas intezar karne wala nahi tha. ek daksh tha, woh bhi uska nahi raha tha. baki kisi se usay koi zayada gharz nahi rahi thi. desh apna tha, toh uske liye tadap aur mohababt thi alka ke andar. isliye jald se jald apne desh pohnch jana chahti thi.
woh bhul gayi thi jin ghattiya logon ke hath woh lagi ha. woh kis nature ke log han. saanp, bichhu par aitbar kiya ka sakta ha. par in ORG walun kar kabhi nahi. jo power prapt karke dharti ke bhagwan ban bethte han. kaise woh ab mala ko hath se jaane de sakte the. alka bhi khaas thi BAO ke liye, par jo value mala ki thi woh alka ki nahi thi.
alka ne piche mud kar dekha toh usay plan me koi bhi dikhai nahi dia.. pehle toh alka ne ise normally samjha. par kuch der tak usay koi bhi nahi dikha toh usay gadbad ka ehsas hua. alka ne sheeshe se bahar dekha toh badlon ke upar se ud raha plane samudra ke upar tha. door door tak pani hi pani tha.
ek baar dekh kar toh alka me pure badan me hi sansani daud gayi. usne socha agar aise hi plane crash ho jaye toh------ iske aage woh nahi soch saki.
alka uthi aur plane me dusre agents aur air hostess ko dekhne lagi. par usay koi bhi dikhai nahi dia. pilot cabin ki aur badhi aur door knock kar dia. par koi response nahi mila.
alka ko yakin ho gaya kuch toh gadbad ha. alka ne mala ki madad se door lock ko pighla kar andar ghus gayi.
par ye kyaa.....
andar koi nahi tha. plane bina pilot ke ud raha tha. usi samay plane ne bhi ek jhatka khaya, thoda sa lehra gaya. alka ne khud ko girne se bachane ke liye latak rahi ek hook ko thaam liya. foran alka wapis palti aur parachute apni peeth par bandhne lagi.
parachute bandhne ke baad mala ki madad se bahri door pighla kar alka plane se kood gayi. ab tab plane me ho rahe jhatke bohut badh chuke the. jaise hi alka plane se koodi, plane badi speed se right side me tedha ho kar niche samudra ki or girne laga.
alka ko aisa koi experince nahi tha. woh toh apni jaan bachane ke liye plane se kood gayi thi. mala ne bhi usay badi himmat di thi.
alka bhi badi speed ke sath niche ki or aa rahi thi. plane ab alka se bohut door ho chuka tha.
kuch der me alka ke hosh kuch thikane aaye toh alka ne dekha, bohut niche ek aur plane bhi ud raha tha. ab alka BAO walun ki chaal samjh gayi thi. alka ko bada ghussa aane laga. kamino ne badi kamal ki chaal chali thi.
alka ab samjh gai thi. kyun plane me usay koi bhi dikhaai nahi dia tha. sab ke sab kood kar dusre plane me ja pohnche honge. is baat ka yakin alka ko ho gaya tha. alka ko dusra plan bhi dikhai de gaya tha. jo badi speed ke sath samudra me gir raha tha.
alka bhi usi speed ke sath niche ki aur ja rahi thi. alka ko door door tak koi bhi island bhi dikhai nahi de raha tha. alka ko samjh nahi aa rahi thi. woh khud ko kaise bachaye. samudra me giri toh samudri jeev uska keema bana denge.
usi samay par mala chamakne lagi. alka ko sukun mila. woh samjh gai, mala ke rehte usay kuch nahi ho sakta.
alka badi speed ke sath dusre BAO ke plane ke paas pohnchti ja rahi thi. dusre plane ke upari hisse me bane ek mirror cabin me teen agents heavy guns liye maujud the. unhe order tha, alka ko shoot kar dia jaaye. mala kisi bhi haal me hath se nikalne nahi chahiye.
jaise hi alka range me aai. agents alka ko shoot kar dena chahte the. alka kuch aur karib pohnchi toh teeno ne alka ki or guns seedhe karte hue trigger daba diye.
usi samay par alka ko bhi ek zaabrdast jhatka laga aur alka apni jaga se senkdo meter door ja pohnchi. koi bhi goli alka ko chhu nahi saki thi. sabhi agents heran reh gaye the. aise kaise ekdumm se woh mukhalif side me door ho gai thi.
plane ke andar betha ek leader aur kuch agents camera view dekh rahe the, woh bhi cheekh pade.
"ye..ye itni speed se kaise ja rahi ha"
koi aur cheekha
"ohhh ye kaise mumkin ha... kaise ek hi second me hamari nazron se ojhal ho sakti ha"
"impossible"
heran toh alka bhi ho gayi thi. usay aisa laga, jaise kisi ne usay thaam liya ho. apne bahun me jakad liya ho. alka badi heran thi. par dusre hi pal jab alka flash speed ke sath us area se door hone lagi toh alka ke liye khud ko sambhalna mushkil hone laga.
alka jaanna chahti thi, woh kiski bahun me ha. par woh kuch nahi poochh saki. uske hawaas kaam chhodne lage the. mala uske gale me na hoti toh shayad woh behosh ho chuki hoti. itni speed ke kaaran uska blood pressure uski ragon ko phaad bhi chuka hota. par woh safe rahi thi.
jaane kitni der guzri.. alka jo apni ankhen band kar chuki thi. ankhen khol kar dekhne lagi toh khud ko ek ped ki chhaon me lete dekh kar jhatke se uth khadi hui.
"asambhav"
"ye kaise mumkin ha.. door door tak toh paani hi paani tha. fir main kaise itni jaldi khushki par aa gai"
alka ghum fir kar charon aur dekhne lagi. usay kuch smajh nahi aai toh woh ek side me chal di..
wahi BAO ka ek plane khud se samudra me gir kar doob chuka tha, toh dusre plane ko usi unknown vyakti ne alka ko safely ek island par chhod kar blast kar dia tha. koi bhi BAO agent jeevat nahi bacha tha. plane ke tukdo ke sath uske bhi tukde samudra me gir kar samudri jeevo ke pet me utar chuke the.
{::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::}
wahin natasha apne island par thi.. usay island par pohnche kuch hi samay hua tha. woh bohut khush thi. usay GURU JI ki aur se ek kaam mila tha. jise achhe se anjaam dekar usay bepanah khushi prapt hui thi.
alka ko wahi bacha kar ek island par chhod aai thi. kiski madad usne ki thi. natasha nahi janti thi. woh natasha ke SAMRAT ki rani alka ha. ye bhi nahi janti thi. par alka ko thamne hue usay behad sukun mehsus hua tha. apnepan ka ehsas hua tha.
abhi tak woh alka ke lams ko mehsus kar pa rahi thi. apni saanso me utar chuki alka ki khushbu ko mehsus kar pa rahi thi.
natasha masrur halat me bed par leti hui chhat ko take ja rahi thi. soch rahi thi, kaisi ajib, kitne sukun wali life usay mil gayi ha. inti achhi life ke baare me toh usne kabhi socha bhi nahi tha.
aisa sab sochte hue natasha fir apne parivar ko sochne lagi. usi samay woh uthi aur faisla karne lagi. ab usay apne parivar ko ek nazar dekh lena chahiye. jaise woh tadap rahi ha. waise hi woh bhi toh barson se uske liye tadap rahe honge.
aur fir uske parivar ka dushman bhi toh ha. usay bhi toh khatam karna tha. jitna dard us dushman ne dia tha. usay bhi toh utna hi dard dena tha.
dushman ke baare me sochte hue natasha ke khun ki raftar badhne lagi. uski mutthiyan kasti chali gayi. bohut zayada ghusse me aa gayi thi woh. kaisa ghattiya dushman tha uske parivar ka. jo uske parivar ko itna bada ghao de gaya tha.
{::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::}
vikram singh, vinay aur parachi delhi wali kothi me the. sab preshan bethe hue the.
rupali ke chale jaane ke baad parachi vinay se doori bana gai thi. vinay bhi bohut guilty feel kar raha tha. usay ab tak yakin nahi aaya tha, usne apni hi behen ko chod dia tha. kabhi kabhi woh tensed ho jata tha. ghabra jata tha. kabhi kabhi usay ghussa bhi aane lagta tha. payal uske hath aate aate reh gati thi. payal uske mind se nikal hi nahi rahi thi.
pehle jo parachi ko chod kar, uski dono seels khuli jaan kar payal singh par ghusse tha. ab ye soch kar "payal singh ke dono chhed abhi bhi seeled han" vinay bohut khush bhi tha. ek baar firse woh payal singh ko sochne laga tha.
delhi pohnch kar vinay aur parachi dono ek dusre se door hi rahe the.
vikram singh : mujhe samjh nahi aa rahi, rupali ne hum teeno ko delhi aane ko hi kyun bola tha. richa ke sath woh khud kahan gayi ha.
parachi : dad! mom apna mobile bhi sath nahi le gayi han.
vinay : dad kya kuch jadu shadu wala matter nahi ho sakta. jaisa sab hua ha, meri shadi ko lekar ke, mujhe lagta ha, kuch bohut badi gadbad ha dad.
parachi ka sunkar chehra laal ho gaya.
vikram ne parachi ko dekha toh bola : mujhe sab shuru se batao
parachi vikram singh ko sab batane lagi.
vikram singh : vinay tum confirm ho, shadi ke samay payal hi thi. aur room me bhi tumahre sath payal thi.
vinay jo soch chuka tha, payal singh kabhi bhi kisi mard ke karib nahi gai. parachi ki dono khuli hui seels yaad aayi toh woh bol pada
vinay : dad mujhe lagta ha, room me payal singh nahi thi. face wala maamla mujhe confuse kar raha ha. par baki ka kuch bhi mujhse payal singh wala nahi laga.
parachi ghusse se cheekhte hue : woh main thi. samjhe, ab bol rahe ho kuch bhi payal ka nahi laga tha. jab laga tha toh bol dete, mere sath itna ghattiya toh na hota. pi kar bhi tum hosh me the toh fir kyun kiya mere sath ye sab..
vinay sharamsar ho gaya.. vikram ne parachi ko chup karwa dia
vikram : koi bohut badi baat ha, jo hamari smajh me nahi aa rahi. tum dono ki koi galti nahi ha.
parachi lambi lambi saanse lekar khud par kabu paate hue vinay ko ghusse se dekhne lagi.
parachi : mom ke behavior ko leke bhi mujhe doubt ho raha ha dad. plz kuch kijiye. satish bhai aur alka bhabhi ka bhi koi ata pata nahi ha.
vikram : chalo hum tumhare nana ki haveli chalte han. ab wahin is matter ko solve karna sahi rahega. yahan rahe toh koi aur gadbad ho sakti ha.
kuchh der me sab gaadi me bethe rupali ke mayke ki haveli ki or ja rahe the.
gaadi vinay drive kar raha tha. pichhe wali seats par bethe parachi aur vikram singh ko nind aane lagi. woh bethe bethe hi so gaye.
gaadi jab haveli pohnchi toh dono ki ankh khul gayi.
gaadi ruk chuki thi. vinay gaadi se utar chuka tha.
vikram singh aur parachi bhi gaadi se utre toh bahar nikal par dono shocked ho gaye.
parachi ghabra kar : dad ye vinay humen kahan le aaya ha.
vikram bhi khud ko raja thakur ki haveli me dekh kar shocked tha..
kuchh fasle par ek badi chair par bethe hue raja thakur vikram singh ko dekh rahe the.
vikram singh unhe dekh kar preshan ho gaya.
vikram singh : vinay tum humen raja thakur ke paas kyun lekar aaye ho.
vinay jaise hosh me aa gaya : enn! ohhhh! mmm..main nahi janta dad.. main yahan kaise pohnchaa.
parachi bohut dar gayi thi. gadi ke door handle ko thaam kar kholte hue woh boli.
"mmm..mujhe bhi ab yakeen hone laga ha dad. zarur koi bhoot preet ka chakkar ha. mmm..mujhe yahan se jana ha..mm.. main yahan nahi reh sakti.. yahan payal singh meri jaan le legi."
vinay bhi payal singh ka soch kar dar gaya. yahan woh khud ko bacha nahi sakta tha. payal wahan se ghayab thi toh zarur woh haveli me hi hogi.. vinay haveli ki building ki or dekhne laga..
usi samay payal singh jo apne kamre ki khidki me khadi hui thi. uski nazar bhi teeno par par gayi.. woh cheekhte hue guards se : vinay kutte ko jaane mat dena.
vinay samjh gaya woh chuhe daan me phas chuka ha. vikram aur parachi guards ko bhagte dekh kar samjh gaye.. woh ab yahan se nahi ja sakte..
raja thakur bas teeno ko ghoore hi ja raha tha. woh kuch bhi nahi bol raha tha.. kuch hi der me guards ne teeno ko gher liya..
{::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::}
ek mantri apne ek dost ke sath apne farmhouse par betha hua tha.
mantri : yaar nandu! hamara khel toh bigad hi gaya. us do take ki chhokri ne hamara sara khel bigad dia. warna kuch hi der me hamare sathi jail se bahar hote. agle kuch dino me hi hum hote is desh ke mukhe manrti..
nandu : woh to tum ab bhi banoge. dekh longa main us chhokri ko bhi. sari game kharab kar di us haramzadi ne. chhodunga nahi main usay.
mantri : dheeraj.. mere mitr dheeraj.. dekha nahi tha, kaise CM, IG aur dusre ministers uske saamne hath jod kar khade ho gaye the. woh ladki koi sadharan ladki nahi ha nandu. warna hamare itne khaas admiyon ko woh akeli chhokri nahi maar sakti thi.
nandu ye sunkar thanda ho gaya.. woh bhi sanjana ke baare me ghor karne laga. usay laga, sanjana ke maamle me jaldbazi sahi nahi rahegi. jaldi karega toh koi na koi gadbad ho jayegi. agar woh bhi maara gaya toh fir kaise woh apna mission kaise pura kar sakta tha.
{::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::}
dhananjay thakur apne kamre me preshan betha hua tha. usay abhi tak samjh nahi aai thi. kyun uska admi uske khilaf ho gaya tha. kaise police uske gupt sthan par ja pohnchi thi.
aise samay par main uske dimag me tha. sari jankari maine uske gande dimag se prapt kar li thi. dhananjay thakur mere kisi kaam ka nahi tha. haan dharti par bojh tha. jab tak zinda rehta, aise hi ghinone kaam karta rehta. uska marna zaruri thi. uske jaiso ka marna zaruri tha.
woh ek supplier tha. usse bade bade maujud the. mujhe dhananjay ko maar kar aage badhna tha. dhananjay jise bachhe aur ladkiyan becha karta tha. dhananjay se uska number dial karwaya. fir uske dimag me pohnch kar uske baare me jaana. uska naam vikas tha.
main wapis dhananjay ke dimag me aaya. woh kursi par betha hua sochon me gum tha. maine usay apne control me liya. uske kapde utarwa kar usay nanga kiya. uske kamre me maujud ek almari me ek mini machine gun maujud thi. dhananjay ne us machine gun ko utha liya.
kamre ke center me pohncha toh maine usay azad chhod dia. woh apne hath me gun dekh kar heran hua. jaise hi usay apne nange hone ka ehsas hua toh machine gun phenk kar herangi se khud ko dekhne laga. apne hathu se apne gande sharir ko chhune laga.
"yy..ye main ekdumm se nanga kaise ho gaya. mm.. main toh kursi par betha hua tha"
SAMRAT.....
SAMRAT ka naam nahi suna kya tumne dhananjay thakur..
woh stupid kamre me ghum ghum kar dekhne laga. meri awaz sunkar foran jhuk kar woh machine gun utha gaya tha. machine gun hathu me liye kamre me ghum ghum kar dekhne laga.
"kkk..kon SAMRAT"
HAHAHA...SAMRAT ko toh puri dunya jaan chuki ha. tumne bhi toh news suni thi. tumhare partners ne tumhe khabar bhi toh di thi. bhul gaye kya dhananjay thakur.
"kk..kahan ho tum.. ttt..tum nazar kyun nahi aa rahe ho"
dhananjay thakur pasina me nahane laga tha. woh bohut dar gaya tha. usay awaz toh sunaai de rahi thi. par koi dikhaai nahi de raha tha.
HAHAHA...SAMRAT dikhai nahi dekta moorkh thakur.. SAMRAT ki awaz aur kaarname hi dikhaai dete han. amreica me jo hua tha. kya tumne woh dekha nahi tha.
"NNN..NNN..nahi...HHHHH...haaan dekha tha..PPP...par woh sach kaise ho sakta ha.SAMRAT jaisa kuch nahi ho sakta.. ye sab mann ghadat ha."
HAHAHA... tum fir gun tumhare hath me ha. meri awaz tum sun rahe ho. SHOOT ME.. dekho main kahin tumhe dikhaai de raha hon toh BHOON do mujhe goliyon se. puri dunya me bol do. tumne SAMRAT ko maar diya ha. fir puri dunya me tumhare naam ka tooti bolne lagega.. tum dunya ke sabse bade soorme ban jaoge. COME ON! SHOOT ME!
dhananajay thakur ab bhi kamre me charon aur ghum ghum kar mujhe talash kar raha tha. ab woh inteha ki dehshat me aaya hua tha. uska pura wajud kaanpne laga tha. dikhai dene wale ko maar kar sher toh ban sakta tha dhananjay thakur. par dikhai ne dene wale ko kaise maarta.
"BHBH....BHOOOT..BHOOOOOOOOOOOOOTTT"
HAHAHAHA..
dhananjay thakur mujhe bhoot samjhne laga tha.
maine firse usay apne control me le liya. dhananjay sab samjh raha tha. uske sath kya ho raha tha. woh kya kar raha tha. ye bhi jaan pa raha tha. par uska khud par control nahi raha tha. apni ankhon se sab dekh kar bohut zayada bhokhlaya hua tha. bohut zayada dehshat me aaya hua tha.
main dhananjay thakur ko lekar uske parivar ke saamne le gaya. sab usay nanga dekh kar cheekh pade..
dhananjay thakur ne apne bete ki or machine gun seedhi kar di. dhananjay ki patni cheekh padi.
"pagal ho gaye ho kya.. apne hi bete ko kyun maarna chahte ho tum"
dhananjay : HAHAHA... main paapi hon, main hathiyara hon. tum sab bhi paapi ho, hathiyare ho. pehle main tum sab ko maarunga, fir khud mar jaonga. kisi ko bhi zinda nahi chhondunga.
dhananjay thakur bol toh raha tha. par uske andar hulchal mach uthi thi. woh kuch bhi apni marzi se nahi kar raha tha. main sab usse karwa raha tha. na woh khud marna chahta tha, aur na hi apne parivar me se kisi ko maarna chahta tha.
dhananjay thakur ka beta bhi bohut bada harami tha. bohut si ladkiyon ka rape woh kar chuka tha. woh apne baap ke hathu me machine gun dekh kar bohut zayada dar gaya tha. shayad machine gun dekh kar na darta. par nanga dekh kar woh samjh gaya tha. uska baap pagal ho chuka ha. pagal admi kisi ko bhi maar sakta ha.
dhananjay ka dusra beta kuchh doori par khada tha. woh apna pistol nikal kar dhananjay ke hath par fire karne wala tha. uska irada tha, machine gun ko dhananjay thakur ke hath se gira de. fir dhananjay thakur ko kaabu me karna mushkil nahi rahega.
par usi lamhe dhananjay thakur ne apne hath ko ghuma aur machine gun ka mini round chala diya.. kai goliyan machine gun se nikli..
TAD.....TAD.....TAD.....TAD.....TAD.....TAD.....TAD.....TAD.....TAD.....TAD.....
ki bhayankar awaz ke sath AAAAAAAAAhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh ki awaz bhi nikli aur dhananjay thakur ke dusre bete ke sharir me anginat chhed ban gaye.
sab cheekh pade toh dhananjay thakur zor zor se hasne laga..
HAHAHAHAHAHAHA..... koi nahi bache, haram ka maal kha kar jeene walo! sabko maar dunga main.
dhananjay thakur ka bada beta kuch bhi nahi kar paya tha. uske paas koi gun nahi thi. dhananjay thakur ne fir usay bhi bhoonna shuru kar diya. ghar ki aurten gehre sadme me aane lageen. par ye bhi aisi aurten thi, jo zulm ki inteha kar jaya karti thi. dhananjay thakur un sabhi ko bhi shoot karne laga.
kisi ke seene me toh kisi ke pairon me fire karne laga..
dhananjay ki ek beti kam age ki thi. woh dar ke wahin gir padi thi. usay goli nahi maari thi dhananjay thakur ne.
haveli me jitne bhi bure the. dhananjay thakur ne sabko shoot kar dia. aise samay par haveli ke kuchh naukar aur guards door khade hue thakur ko dekh rahe the. woh bhi bohut dare hue the. unhe kuch samjh nahi aa rahi thi. dhananjay thakur aisa kyu kar raha tha. koi bhi thakur ko rok bhi toh nahi sakta tha.
thakur fir wapis apne admiyon ki or palta aur machine gun ka rukh unki or karte hue ek super agent ke jaise stunt karta hua fire karne laga. dekhte hi dekhte kai naukar aur gunde khun me nahane lage..
thakur fir haveli me ghum ghum kar maut ka khel khelne laga.
maut ka nanga naach khatam hua toh maine dhananjay thakur ko azad chhod dia..
woh machine gun phenk kar wahin gir pada.. uski dimagi halat bohut zayada kharab thi. apne hi hathun se woh apne parivar ko moot ke ghaat utar chuka tha. bohut bada jhatka laga tha usay..
main dhananjay thakur ke dimag me tha. dhananjay thakur ye sab sehn nahi kar paa raha tha. mujhe lag gaya tha. woh pagal ho gaya ha. main dhananjay thakur ko fir bhi nahi chhod sakta tha. aise ghatiya insan ko chhod kar main koi galti nahi karna chahta tha. kya pata, kabhi ye theek ho jaaye aur fir se pehle se bhi badhkar bure karam karne lage. ho sakta ha, tab tak main ise bhul jaaon. mera maksad bohut bada tha. ho sakta tha, main palat kar na laut sakun.. tab dhananjay thakur kuchh aisa jugad bhi kar sakta tha. jisse woh meri telepathy se bach sakta tha.
usi machine gun ko utha kar dhananjay thakur ne apni chin ke niche rakha aur trigger daba dia..
haveli me ek bachhi ke siva koi bhi zinda nahi bacha tha. bache the toh kuchh naukar aur kuchh mahilayen bachi thi.
{::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::}