• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Samraat ..The Tales of Debauchery, Hate & Revenge

Daksh The King

Active Member
905
6,390
124
Covid Se Pahle....

covid se pahle meri busyness kuch aisi thi.. mere liye lunch ka samay nikaal pana mushkil tha... mera kaam hi aisa tha.. upar ki krpa se sab koshal mangal tha.. par covid ne aisa disturb kiya.. kuch aise halat kharab hue.. karze ke bojh tale ja daba.. jo abhi tak utar nahi saka... life jaise taise kat rahi rahi thi..
samay freee tha bohut free tha.. so XP ko khub samay dia maine...

parrr abbb

uparwale ki krpa se mera dhanda firse apni routine par aane laga ha... aise me samay ki firse kami ho gayi ha mere paasss....
ab aap sab se juda hon to to juda rahunga.... update ki speed kabhi zayda samay mila to zayada likh kar post kar dia karnga....
kam mila to kammm...

jaise hi last kuch days se udpate likhna to door ki baat.. likhna kya ha. wo bhi nahi sochne ka samay tha mere paas..

aaj kuch din me samay mila.. to socha kya likha jaaye.. fir abhi dedh ghante me update likh daala... aur post bhi kar di...

so update let ho to mayus nahi hona.. updates aate rahenge.. der se sahi.. par aap ka sath bana rahega...

Thanks For You Love......
 

Awan Badshah

Well-Known Member
2,091
5,446
158
Episode:04





Lozan jaisi soch rakhne walun ki kami nahi thi pure universe me....

Earth par nimoons ke paaye jaane ki charcha hui toh har taraf hulchal mach uthi.. dunya ki badi badi organizations nimoons ko, daksh ko apne kabze me dekhne ke liye meetings arrange karne lagee.

Dunya ki sabse badi organizations me....

NO:01 Red Power Organization(R.P.O) jo america ki thi..
NO:02 black adam organization(B.A.O) Israel
NO:03 Underworld Mafia


ye teeno pure world me sabse zayada powerfull organizations mani jati thi. RPO and BAO ke leaders kon kon the, ye baat koi nahi jaanta tha. RPO and BAO ke orders par puri sarkar hil jaya karti thi. jo bhi orders inki orr se jaari hua karte, un orders ki value dono desho ke prime ministers ke orders se bhi badhkar hua karti.

in dono organizations ka politics se koi connections nahi tha, in leaders ka kaam tha, apne apne desh ko all over the world sab se badhkar strong banana. desh ko powerfull banane ke liye jis kisi cheez ki bhi zarurat hoti RPO nd BAO hi sab zarurat puri kiya karti thi. apne desh ko pure world me sabse powerfull dekhne ke liye dono desh ki janta bhi apni apni orgnizations ka bharpur sath dia karte the. is maamle me sab ek the.

inhi dono organizations ke under thee dono desho saari organizations. RPO aur BAO ke leaders kon kon the, head office kahan kahan the, ye baat koi nahi jaanta tha. koi agar jaanta bhi tha, toh un ke baare me bhi koi nahi jaanta tha. dono organizations ke leaders, unse jude khaas logon ko kabhi kisi ne nahi dekha tha. sab bass milne wale orders ko follow kiya karte the.

underworld ka bhi aisa hi kuch scene tha.. underworld ka leader bhi kabhi kisi ke saamne nahi aaya tha. wo fone par, video call me hamesha awaz aur face badal kar saamne aaya karta tha.

teeno organizations ne pure world me apne ordres jaari kar diye the, daksh and nimoons jahan kahin bhi milen. unhe kisi bhi haal me apne under liya jaaye..

orders milte hi hazaron agents samudra me, samudra ke jis area me nimoons aaye the, us area ke aas paas ke desho me searching shuru kar di gayi.

abhi tak koi nahi jaanta tha, aane wale nimoons han aur wo kis planet se aaye han. ye keval daksh hi jaanta tha.

::::::::::::::::::::

RPO, BAO underworld wale jitne khush the.. usse kahin badh kar khush the india wale.

because........

another planet se aane walun ka jab jab zikr hota, sath zikr hota ek hindustani ka..

Daksh "DK" ke naam se ship par jaana jata tha. koi bhi daksh ko uske real naam se nahi jaanta tha. daksh ne ghar chhodne ke baad ek toh apna pura naam kabhi kisi ko nahi bataya, dusra apne naam ke sath thakur hata dia tha.

jab nimoons earth par aaye to ship ke paas samudra me keval daksh tha, uske baad daksh kahin bhi nahi mila. sab samjhne lage, daksh se juda ha another planet se aane walun ka rahasy.

vaise toh koi bhi confirm nahi tha keh aane wale another planet se han.. par unki shaklen unke akaar dekh kar sabne samjh liya tha. woh humans nahi han. zarur wo kisi dusre planet se aaye han.. jis andaz me wo sab aaye the.. NASA walun ne apne hisab se confirm kar diya tha.. wo another planet se hi han. aur NASA aise maamlon me kaise galti kar sakta tha.

india walun ne jab ye suna keh ek indian samudra me lapata ho gaya ha.. theek usi jaga se, jahan par nimoons aa tapke the. indian ye jaan kar bohut khush ho gaye the.

india me RAW bhi puri tarah se active ho chuki thi. RAW walun ne bhi apne sabhi agents ko nimoons and daksh searching ke kaam par laga dia tha.. sath hi ye bhi orders jaari kar diye the, daksh se jaise hi connection bane, usse baat karne ki koshish ki jaaye. usay apne sath milane ki koshish ki jaaye. agar daksh ko world ki other organizations se khatra ho to daksh ki puri puri madad ki jaaye. kuch bhi ban pade, daksh ko kuch hone na diya jaaye. aur apni RAW identity kisi par zahir na hone den.

maamla world top organiations ka hi nahi tha.. maamla political bhi ban sakta tha. hungame to janam lene hi wale the. wo bhi bohut zayada. ye baat RAW samet saari dunya samjh chuki thi.

baat power paane ki thi, toh power har koi pana chahta tha. jaise bhi paani pade.. laashon ke dher bhi lagane paden toh lagane se koi bhi piche nahi hattne wala tha.

NASA wale barson se space research ke chalte arbon dollars kharch kar chuke the. par woh aisi janakari prapt nahi kar paaye the, jaisi ab nimoons ke aa jaane se milne ki sambhavana thi.

india hi kya world ka koi bhi country hota, america sabse number 1 rehne ki sochta.. nimoons ke maamle me bhi number 1 rehne ke liye RPO ko kuch bhi karna padta to wo piche na hatti. yahi haal BAO ka bhi tha. wo bhi daksh ke liye, nimoons ke liye kuch bhi kar jaati.

underworld walun se bhi punga hone wala tha. par RAW walun ko unki koi tension nahi thi. underworld walun se to woh hamesha se hi nipatte aa rahe the.

senkdon RAW agents bhi apne kaam par lag chuke the. wo bhi daksh aur nimoons ko search karne lage.. DK india se tha toh RAW wale zayada khush the aur samjhte the, universe se judi jaankari paane ka haq unhe sabse zayada ha.. par wo khul kar kuch bhi nahi kar sakte the. sab RPO BAO ki nazron me aaye bagair karna tha. agar dunya jan jaati, DK ya nimoons RAW walun ke hathe chadd gaye han toh RPO and BAO wale kaise bhi karke DK ya nimoons ko apni custody me le lete..


:::::::::::::::::::

Lozan king na bankar bhi king hi tha.. wo king ban chuka tha, par king aur uske pariwar ko maar nahi paya tha. king banne par milne wali power prapt nahi kar paaya tha. fir bhi wo king tha.

agar lozan shimuna ke sath sabse saamne sambhog karke, shadi karke, king Lotham aur uske pariwar ke sabhi members ke sar kalam karke king banta, to usay milti woh power, wo shaktiyan jo king ko prapt hua karti thee. par Lozan is maamle me khali hath reh gaya tha. shimuna ke nimoonica se bhaag jaane ki waja se Lozan shaktiyan prapt nahi kar paya tha.

bada dukh tha Lozan ko is baat ka.. par wo kuch kar nahi paa raha tha. uske warriors shimuna ke piche gaye hue the aur Lozan ya koi bhi nimoon ye nahi janta tha, shimuna ya dusre warriors kahan gaye han.

Lozan pure planet ki jaankari rakhta tha. woh apne planet ke sabse bade space center par bhi kai chakkar laga chuka tha, wahan maujud scientists se baat karke shimuna aur dusre nimoons ko search karne ke orders de chuka tha. par abhi tak kisi ka koi bhi suragh nahi mil paaya tha.

agar Lozan king ban jata, usay shaktiyan prapt ho jaati to fir uske liye shimuna ya dusre nimoons warriors ko dhund pana koi mushkil kaam nahi rehta.

Parr Afsos.....

Lozan ke paas shaktiyan nahi thee. nimoonica's scientists sar tod koshish kar rahe the. naye naye experiments karke jald se jald woh Lozan ko khush kar dena chahte the. Lozan naya bana king bana tha. sab Lozan ki madad karke Lozan ko khush kar dena chahte the. Lozan ki nazron me khud ki value badhana chahte the.

shimuna ne nimoonica se udaan bhari to usay 25 din lag gaye the earth par pohnchne me. in 25 dino me Lozan bhi araam se nahi baitha tha. uska zayada tar samay space center me hi guzarta tha.

nimoonica's scientists ek aisi searching machine banane me lage hue the, jis ki madad se nimoons pure universe me jahan kahin bhi honge, nayi banaai jane wali machine unhe search kar liya karegi.

Lozan ye jaan kar bada khush hua tha. woh chahta tha jald se jald uske scientist wo searching machine bana len.



:::::::::::::::


Ocean flower kha lene se Daksh khud par control ko baitha tha. ocean flower jo sadiyon se samudra ki gehraai me raha tha. us tak kabhi bhi suraj ki roshni nahi pohnch paayi thi. fir bhi wo apne andar itni kadwahat aur heat rakhta tha, Daksh ka digestive system bigad kar reh gaya.

Parr.....

Parr aisa zayada der nahi raha.. ocean flower ne badi tezi ke sath daksh ke khun me shamil hokar daksh ke wajud ke sare dard ko nichod liya.. keval dard hi nahi nichhoda, apni heat ke kaaran daksh ke dimaag me bhi zabardast bigaad paida kiya.

Daksh pehle to kisi murde ke jaisa ho gaya, fir wo kisi adiyal ghode ke jaise uth khada hua. fir woh paglon ki tarah hasta hua sahil par daudne laga.

Daksh jaisa bhi tha, tha toh ek aam insaan hi. kaise woh ek rare ocean flower ki kadwahat aur heat sehn kar pata. jitni heat daksh ke sharir me badhi, utni hi heat daksh ke dimag me bhi badhi. jab tak woh heat daksh ke dimaag me rahi, daksh aise hi hassta raha, daudta raha. paglon jaise kahkahe lagata raha.

adhe ghante baad daksh kuch normal hua toh

daksh : kya tha ye sab shimuna?

shimuna : Ehehehe jo bhi tha, par sab bada maze ka tha. Ehehehe pata ha daksh aaj kitne samay ke baad me itna khul kar hansi hon.

daksh jo ocean flower ke zer e asar tha, wo sad nahi ho sakta tha. wo abhi bhi laughing mood me tha. serious to wo ho nahi sakta tha.

daksh : haan tha to sab kuch bada hatke (daksh ki nazar apne lund par padi toh) aur kuch romanchak bhi.. daksh ki ankhon se dekh rahi thi shimuna is dunya ko. wo bhi daksh ke lund ko dekh gayi..

Ehehehehehe hohohoho Ehehehehehe hahahaha Ehehehehehe

is baar shimuna itna hansi jitna pehle daksh hans raha tha. daksh bhi firse hassne laga.. woh khada hua aur apne lund ko pakad kar daba daba kar hassne laga.. itna garam, itna sakht pehle kabhi nahi daksh ne apne lund ko paya tha. daksh firse apne lund ko pakad kar hassne laga.

shimuna : Ehehehehe pata ha daksh, sach me hi aaj main jitna hansi hon, itna pehle kabhi nahi hansi.

daksh : aisa kyun?

shimuna : ek toh mujhe apne planet se nikle bohut din ho gaye han. dusra wahan mujhe tum nahi mile the naa Ehehehehe aur na hi aisa koi scene dekhne ko mila tha Ehehehe

daksh : achha! mujhe ye bataao shimuna tum ek ladki hokar bhi mere ling ko dekh kar kyun hasne lagi.

shimuna : kyun mai nahi has sakti kya daksh!! aur ye ling kya hota ha haan, lund kaho ise tum daksh lund!! shimuna hasste hue, maze leti hui boli.

daksh : ladkiyan to aisa sab dekh kar sharam se laal peeli ho jaya karti han. aur tum ho keh khul kar hass rahi ho, baat kar rahi ho.

shimuna : daksh hamare planet par sex itna aam ha, itna shayad hi pure universe me kahin ho. hamare planet par ladki, ladka jaise hi jawan hote han, unhe sex karna padta ha. ye ek law bhi ha hamare planet ka.

daksh : kyaaaaaaa?

shimuna : haan daksh!!

daksh : ohh fir to tum bhi?

shimuna : kya main bhi daksh! main bhi ek jawan ladki hon, jawan hote hi maine sex kar liya tha. uske baad to koi hisab hi nahi raha. haan par shadi aur bachhon ke liye ek standard ha. king pariwar ka member bina parkh ke kisi se shadi nahi kar sakta.

daksh ne ek lambi saans li.

daksh : toh ab main apne is khade samaan ka kya karun.

shimuna : uske liye toh tumhe samudra ki koi kachhi machhli hi khaani sahi rahegi. uske andar nami bohut hoti ha, usi se kam ho sakti ha tumhare andar ki heat.

daksh : kyaaaa? kachhi machhli.. main kese khaaonga kachi machhli

shimuna : Ehehehehe daanto se udhed udhed ke

daksh : hahaha tum mujhe kis dunya ka insan banane wali ho shimuna

shimuna : Ehehehe universal man. apne world me to tum super human ban hi chuke ho. mai jo mil gai hon tumhe.. ant me shimuna apni tareef karte hue maze se boli.

daksh : tumhare mere sath hone se sach me hi main famous ho gaya hon. par tumhare aa jaane se meri zindagi ka sukun bhi khatam hone wala ha. ye baat bhi main jaan gaya hon.

shimuna : kuch agar khaas mil jaaye toh fir kuchh to khona hi padta ha daksh. shimuna usi tone me boli.

daksh chalta hue samudra me utar gaya.. shaam ho chuki thi. samudri phool kha kar daksh bhi ek samudri jeev ban chuka tha. paani me utra toh woh aur shimuna bhul gaye the keh shaam ke samay andhere me woh fish kese pakdenge. par paani me utarne ke baad daksh tairta hua aage badhne laga. daksh ko andhere me bhi sab saaf saaf nazar aane laga tha.

jitni speed daksh ko shimuna ki waja se mil chuki thi. kaise koi machhli uski pohnch se nikal sakti thi. haan pani me chikni machhli par kabza jamana asaan kaam nahi tha.

mushkil to hui daksh ko, par 2kg ki ek machhli pakad hi li daksh ne.. machhli pakad kar daksh samudra ke paani se bahar nikal pada. wahi sahil par baith kar wo usay daanton se chabane laga. sach me hi usay apne sharir ki, dimaag ki heat me kami mehsus hone lagi.

daksh wo saari machhli chat kar gaya.. ek lamba dakaar lekar daksh wahi let gaya. marine life jeene wala daksh ab ek wilf life jeene laga tha. kisi junglee wehshi ki tarah woh kachhi machhli danton se udhed udhed kar khaa gaya tha.

daksh ka pet bohut samay baad bhara tha. heat kam hui to daksh ko firse neend aane lagi. daksh wahi lete lete so gaya.

agli suba bohut der se daksh ki ankh khuli thi, wo bhi bohut tez dhoop ke karan.. daksh ko apne jism me heat badhti hui feel hui toh daksh uth baitha. daksh ne upar suraj ki orr dekha toh daksh ko andaza hua keh wo bohut der tak sota raha ha. din ke 10 se upar ka time ho chuka tha.

daksh khada hua aur island ki orr dekhne laga.

shimuna bhi daksh ki ankhon se sab dekhne lagi.

shimuna : island ki orr kya dekh rahe ho daksh!

daksh : dekh raha hon ab aage mujhe kya karna chahiye. island par ghoomna sahi rahega ya nahi.

shimuna : nahi daksh abhi to tum kuch bhi nahi ho. mera matlab ha, tum jese ho vaisa koi nahi ha. tum ek daring man ho. island par bane khatron se nipat sakte ho. par jaisi life ab tumhe mil chuki ha. usi ko saamne dekhte hue tumhe har kadam phonk phonk kar uthana hoga. tumhe dunya se ladne ke liye fighting seekhni hogi. khud ko safe rakhne ke liye tumhe strong banna hoga. island ke andar jana sahi nahi rahega. ek to hum island bare kuch nahi jaante aur dusra hamara time bhi waste hoga. tum jald se jald khud ko strong banane ki koshish karo.

daksh : itna to sab main bhi samjhta hon shimuna. kam to main pehle bhi nahi tha kisi se. pehle mere liye khatrat samudri the. par ab puri dunya aur nimoons mere piche pad chuke han. mujhe khud ko sabka saamna karne layak banana hoga.

shimuna : yahi baat to main bhi keh rahi hon daksh!!

daksh : nimoons jo is dunya me aaye han shimuna, unki power kis had tak ha.

shimuna : is had tak daksh! agar tum kabhi unke hath lag jaao toh power ka use karke tumhari haddiyon ka surma banane me nimoons ko der nahi lagegi. tum chah kar bhi unke saamne tik nahi paaoge. wo insan nahi han daksh! woh nimoons han. bohut hi zayada powerfull itne keh tumhari earth ka koi bhi insan unka saamna nahi kar sakta. haan hathiyaron ke aage unki nahi chal sakti. hathiyaron ke aage wo maat khaa jaayenge.

daksh : dimag ke maamle me bhi woh nimoons hum insano se badhkar nahi ho sakte shimuna. hamari dunya me bohut se brains aise han, jinka jawab nahi ha. wahi han jo is dunya ko apni muthhi me liye hue han.

shimuna : itna to main bhi jaanti hon daksh! science ke maamle me hum earth walun se kahin badhkar han. par intelligence me hum kam ho sakte han. isi liye mere meesa kabhi bhi apne planet se earth par aane ka nahi sochte the. par Lozan kabhi khud ko rok nahi paayega.

daksh : Lozan ne kabhi hamari dunya me parvesh karne ki sochi bhi to usay bhi dekh liya jaayega. ye earth ha shimuna yahan Lozan ki nahi chalne wali. yahan ke brians ke aage woh bhi fail ho jaayega.. anyway tum ----- daksh aage bolta apne hathon ko dekh kar woh chonkte hue chup ho gaya. daksh ke sath sath shimuna bhi daksh ke hathon ko dekhne lagi. daksh jahan heran hua apne hathon ko dekh kar. wahi shimuna ek baar firse khilkhila kar hassne lagi.

daksh : ye kya ha shimuna?

shimuna : Ehehehehe daksh!! Ehehehehe jj-jo bhi hai daksh! par hai bada maze ka. Ehehehe tum kitne sunder ho gaye ho na daksh Ehehehehe

daksh ke hath hi nahi uska pura jism kaala siyaah ho gaya tha. wahi dekh kar daksh shocked tha to shimuna ka haste haste bura haal hone laga tha.

daksh : zarur ye kal wale sea flower ki waja se hua ha. tumne mujhe pehle kyu nahi bataya shimuna, aisa bhi kuch mere sath ho sakta ha.

shimuna : Ehehehe mujhe nahi pata tha daksh! aisa bhi kuch ho sakta ha. aise affect baare main nahi jaanti thi. achha hua jo nahi jaanti thi main. warna tumhari aisi sundarta main kaise dekh paati Ehehehe

daksh ko chinta hone lagi thi. par shimuna ko keval maza aa raha tha.

daksh : ab kya karun main shimuna main toh sara hi kaala ho gaya hon. mujhme aur ek negro me abb koi fark nahi raha.. firse mera rang mujhe kese wapis mil sakta ha?

shimuna : Ehehehe rehne do daksh aise achhe dikh rahe ho. you are looking very beautiful and attractive Daksh! kasam le lo jo itni sundarta maine pehle kabhi dekhi ho.. shimuna thi keh khilkhilaye hi jaa rahi thi. chup hone me hi nahi aa rahi thi.

daksh : kya khaak achha dikh raha hon main. ek kaala admi bhi kabhi beautiful dikh sakta ha kya.. daksh preshan ho gaya tha apne black colour ko dekh ke.

badi mushkil se shimuna ne khud par kaabu paaya. warna to agar wo visible hoti toh wahin loot poot hone lagti daksh ki sundarta ko dekh kar.

shimuna : mera khayal ha, kuch din ye rang rahega, fir dhire dhire chala jaayega. agar iska itna nuksan hota to mujhe tumhare brain se wo jaankari zarur milti daksh!

daksh : theek keh rahi ho tum shimuna. ab mujhe rang ko chhod kar"jo kuch tum samudra se laai thi" uspar dhayan dena hoga.

daksh fir shimuna ke dawara laai gai rare thing ko dekhne laga.

shimuna : isme jo black shiny stone ha na daksh, ise pees kar khana hoga. agar toh yahan aag aur bartan hote toh achha rehta. usi bartan me paani daal kar, ubaal kar, in stones ko usme daal kar liquid banaya jaata, fir tum usay peete toh badi jaldi iska asar tumpar hona tha. in 1 week hi tum khud ko itna strong paate keh mann karta kisi ped ko mukka maar kar gira do. aur green colour ki jo lambi lambi pattiyan han. isko khane se tumme sehn shakti badhegi. black shiny stone aur dusri cheezon ke khaane se hone wale nuksan se bachat hogi.

daksh : pattiyon ka upyog kaise karna ha shimuna?

shimuna : ye bhi pees kar hi leni han daksh.. bass inhe pehle sukhana hoga.

daksh : aur ye lachakdar si, laplapi si bel kis kaam aayegi?

shimuna : ise dhoop me rakhoge to ek oil me badal jaayegi daksh!.. fir tum iski malish apne badan par karna, isse tumhare badan me lachak bohut zayada badh jaayegi. fir kabhi tumhari koi haddi tootegi nahi.

daksh : main khud se toh maalish karne se raha.

shimuna : jitni aur jahan tak ho sakti ha karo daksh. baaki ise sath le lena.. abadi me pohnchenge toh tum kisi ki madad le sakte ho.

sab samjh kar daksh ne un rare cheezon ka istemal shuru kar dia.. island par rehte hue daksh sahil par door door nikal jaata. bhuk lagti to samudra me utar kar fishing karta.
dusre din daksh sahil par bohut aage nikal gaya.. 2 ghante baad daksh ko ek watefall dikha. daksh waterfall dekh kar khush ho gaya.. daksh daudta hua waterfall me kood gaya. bohut der tak wo nahata raha. thanda paani pi kar daksh ko bada sukun mila tha. jo baat paani me hoti ha woh kisi aur cheez me kahan. paani pi kar daksh ke andar zindagi ki leher daud gai.

wahi daksh ko bohut se alag alag shape me patthar mile. daksh ne kuch nokdar patthar uthaaye, ek patthar me bada sa chhed bana hua tha jharne ke paani ke girne ki waja se.. daksh ne us patthar ko bhi utha liya. fir nokdar pattharo ki madad se wo us chhed ko aur bhi khula karne laga.. daksh me ab taqat badhne lagi thi. daksh shaam tak laga raha.. shimuna bhi daksh ka hosla badhati rahi. shaam tak daksh ne patthar ko ghis ghis kar ek payale jaisa bana liya tha.

payala mil gaya tha daksh ko, saaf paani bhi jharne ki surat maujud tha. ab daksh ko aag jalane wale stones ki talash thi. aise patthar zarur daksh ko milte is island par.

alge din daksh ko wo fire stone bhi mil gaye.. unhi stone se daksh ne aag jalayi. fir toh us island par daksh ke maze ho gaye.. samudra me jaa ke wo machhliyan pakad laata aur aag par bhoon kar khaane lagta.. usi aag se wo shiny stones aur paani ko, payala numa patthar me daal kar pighlane laga...

daksh ki marine life wild life me badal chuki thi, daksh toh tha hi aisi life ke bharpur maze lene wala insan. daksh wahi rehte hue khub enjoy karne laga.. daksh wo sari rare things island par rehte hue istemal karne laga. bohut tezi se daksh me badlaao aane lage. malish sahi se na kar paane ki waja se daksh ko apna sharir akadta hua mehsus hone lagta. aise samay uske liye jhuk pana asaan nahi rehta tha. aisi halat me daksh zayada samay samudra me bitane lagta.. wahi usay rahat milti.

2 hafte tak daksh usi island par raha. khud me badlaao la kar daksh fir apne agle safar ke liye nikal pada.. bachi hui samurdri cheezen usne ek samudri bel me bandh kar apni kamar kar gird lapet li thee.. daksh dikhne me kisi taarzan se kam nahi lagta tha.

daksh me itni power to nahi aai thi keh woh sach me hi mukka maar kar ped gira sakta, haan par daksh ke andar 10-12 admiyon ke barabar shakti zarur aa gai thi.

daksh ko un rare things ke upyog se apna rang hi wapis nahi mila tha. daksh ko mila tha ek aisa rang, jo dekhne wale ko khud se begana kar sakta tha. daksh shuru se hi mardangi me number 1 tha. bohut si ladkiyan daksh ko paane ke liye machal jaaya karti thee.

Aur Abb...

Abb to ladkiyan daksh ke liye zarur pagal hone wali thee. ek swimmer ki body me jaisi attraction hua karti ha, wo kisi gym me saalon laga kar banaai gai body me bhi nahi hua karti. daksh good looking me maamle kaiyon se badhkar tha. abb toh woh lakhon me nahi croro ek ho gaya tha..

daksh samudra me swimming karte hue, shimuna ki shakti ke adhe istemal ko badi easily apne sharir par sehn kar pa raha tha. shimuna agar flash speed se samudra me tairti toh daksh ka sharir ab bhi itni speed sehn na pata. haan par ab daksh behosh nahi ho sakta tha. daksh ko utna dard nahi ho sakta tha. island par guzre kuch dino me daksh itna strong ban gaya tha.

Daksh ja raha tha china.. wahin woh fighting sahi se seekh sakta tha. wahin mil sakti thi wo fighting skills jo daksh ko pure world me kahin nahi mil sakti thee, wahin ban sakta tha daksh is dunya ka sabse best fighter.. ek wahin desh tha, jahan daksh ko mil sakte the aise ustaad jo usay jaan kar, samjh kar, wo sikha sakte the. jo daksh ko puri dunya me kahin aur se seekhne ko nahi mil sakta tha.

ye bhi daksh ko shimuna ne hi bataya tha. daksh ko ghar se nikle 6 mahine hone ko aaye the, daksh ek ship par ek engineer ka helper tha. wahin ship par daksh ko ek chinese master chi-fang mila tha. 90 saal se bhi upar ki age thi master chi-fang ki.. daksh ne master chi-fang ko bada samman dia tha.. jitne din master chi-fang aur daksh ka sath raha tha, daksh ne apne kisi bade ke jaise master chi-fang ka khayal rakha tha.

master chi-fang ne daksh ko kabhi china aane ka kaha tha. daksh ko fighting seekhne ki baat kari thi master chi-fang ne. master chi-fang ek manjha hua master tha. bada naam tha unka china me. master chi-fang ek aisa master tha, jiske paas aisi skills thee, jo bohut kam hi kisi master me dekhne ko milti thee. aur jaisi purani kalaa master chi-fang ke paas thee. unhe seekh pana bhi har kisi ke bass ki baat nahi thi.

shimuna ne daksh ko master chi-fang ki yaad dilaai toh daksh ko master chi-fang ke saath bitaye sabhi pal yaad aane lage. daksh ko fir se master chi-fang se milne ki chah hone lagi. pehle kabhi daksh ne master chi-fang se milne ki chah apne mann me nahi aane di thi. pehle ki life daksh ke liye aur tarha ki life thi. par ab daksh ke liye life ke meanings badal chuke the.

Daksh china master chi-fang ke paas hi jaa raha tha.


::::::::::::::::::::

jitne din daksh ko island par lage, utne dino me kuch bhi nahi hua. puri dunya daksh ko, nimoons ko dhoondne me lagi rahi. par koi bhi hath nahi laga. jitni hungama macha tha news me, wo sust padne laga. logon ka josho kharosh bhi kam padne laga. life ek bar firse routine par aane lagi.

Daksh island par tha aur nimoons samudra me.. stupid toh wo bhi nahi the. aise hi toh woh khul kar saamne nahi aa sakte the. nimoons the par aqal wale the. apne planet par nahi the woh, earth par the. ye baat woh bohut achhe se jaante the.

nimoons kisi ki nazron me bhi nahi aana chahte the. warna puri dunya toh unke piche pad hi chuki thi.. ye baat bhi woh jaan chuke the. daksh baare bhi woh ye jaan gaye the daksh india se hai.. daksh india lauta ya nahi, lautaga bhi ya nahi ye baat bhi confirm nahi thi.

koi bhi step lene se pehle woh achhe se jaankari le lena chahte the. nimoons samudra me safar karte hue india ke paas pohnch chuke the. samudra me safar karte hue woh kisi sahil par raat ke samay pohnchte aur milne wale kisi insaan ke mathe se mathe jod kar info nikalte, fir usay maar kar kahin dafan kar dete. apne baare woh info leek nahi hone de rahe the. is maamle me nimoons waaki bohut dimaag istemal kar rahe the. abhi tak nimoons ke hathon mare huon ki lashen kahin se nahi mili thee. warna unke marne par sab jaan jaate, ye sab nimoons ne hi kiya ha aur unka rukh kis disha me ha.

nimoons india ke paas pohnch kar ek door ke sansaan sahil par rehne lage.. agli milne wali info tak wo kisi bhi shehar me dakhil nahi ho sakte the. unhe gharz bhi to kisi aur se nahi thi.. gharz thi to bas daksh se thi. kyunki shimuna uske andar samaa jaane ke baad firse bahar nahi nikli thi. daksh milta toh shimuna bhi mil jati.

.
.
.
.

Aaj Ke Liye Itna Hi Mitro... Baaki Next Episode Me... 😍👀👀👀👀
::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::
Fantastic update
 

andyking302

Well-Known Member
6,067
14,306
174
Imagination Story.. All words are my own thoughts.. kisi jevit ya marit ka is kahani se koi sambandh nahi ha..

all sentences of this story are for only intertainment.. kahani padh kar maza len. There is no need to think anything else..

I have noticed that good writers get good support... toh maine bhi socha kuch apna brainwa me chal rahi story ko words ki suratwa me aap sab ke saamne prastut kar dia jaaye.. kitna achha writer ban sakunga, nahi jaanta. par achha likhne la prayaas jarur karunga.


story earth aur ek dusre planet se judi hui hogi. dusra palnet jiska naam nimoonica ha.. us planet par rehne walun ko nimoon kaha jata tha..


i can give 2 or 3 updates in a week..



Dhanyavaad!!


HD-wallpaper-kgf-walpaper-sam-3d-walpaper
Congratulations bhai for new story
 

Daksh The King

Active Member
905
6,390
124
Saari dunia waale dhoondne ke liye nomoon's ko or un per apna kabza zamane ke liye khaas ker (R.P.O) OR ( B.A.O) wale or india ki RAW ki ab dekhna yeh h ki kiske haath lagte h DK ya fir nimoons
Daksh bhai tow samudri fal khaker tow kuch or hi ban gaye kabhi has rehe tow kabhi naach rehe h or yeh sabka maza achche se utha rahi h shimuna
Baherhal Daksh ko ab takatwer banna padega jiske usne samudri aushadi khaa i shuru kerdi h ab agla stop h china jaha per daksh training lega master chi-fang k paas dekhte h aage kia hota h
Bahot khoob shaandaar lajawab update bhai
Dhanyavaad Naik Mitr 🙏🙏 sath bane rahe
 

Daksh The King

Active Member
905
6,390
124
Shimuna ke aa jane se daksh ka jivan jine ka najariya or jivan dono hi badal chuka tha
Daksh Life Has Been Changes By Shimuna
Vahi shimuna ne daksh ke liye samudri ausadhiya Jo usne dhundhi thi unka prayog karvaya or daksh ko majboot takatvar or furtila banne me madad ki sath hi ek aisa tel bhi banvaya Jiski madad se daksh ki Haddiya tutegi nhi, ab daksh china nikal gya hai ship me mile ek fighting master ke pass Jiska sujhav shimuna ne hi diya tha, Vahi daksh ke kale pad Jane ka raaj bhi btaya vo kadvi bel, daksh ne kacchi machhli bhi khai or baad me bhun ke bhi...
:laugh:
Ye America ki agency or esrial ki agency Apne Apne agent lga rakhi hai daksh or un nimuns ko pakadne ke liye sath hi underworld ne bhi apne logo ko faila diya hai pakadne ke liye pr unhe kuchh bhi hasil nhi ho rha,
:nono:
Indian RAW ne bhi daksh ko sahi slamat Apne Desh surakshit lane ke liye apne agent lga diye hai dekhte hai Kon kitna safal hota hai...
Nimuns India ki taraf pahuch rhe hai samudra ke raste or daksh ka pta kr rhe hai... Daksh abtk 10 admiyo ke barabar ki shakti rakhta hai or dheere dheere orbhi jyada takatvar hota ja rha hai dekhte hai or kitna takatvar ho sakta hai... Superb update bhai sandar jabarjast lajvab amazing
Dhanyavaad Xabhi Mitr 🙏🙏
 
Top