Episode:40
TIME:03:58:PM
main gaadi me betha haveli se kuchh hi doori par tha.. shimuna bhi usi samay ek gaadi me bethe mere barabar aa gai thi.. mujhe dekh kar thumbs up kiya aur ek cute smile paas kar di.. ek flying kiss bhi kari aur khilkhila kar has padi..
main uske dimag me ja ghusa : saali tum toh mere hi ilake ki koi thakurain dikhaai dene lagi ho. waahhh kya taur ha tumhari.
shimuna : Ehehehe! abhi tumne mere jalve dekhe hi kahan han Mr. Daksh Thakur.
daksh : tumne sab dekh liya ha naa aas paas.. koi nigrani ke liye toh maujud nahi ha na..
shimuna : nahi ha. hota toh jaan se mara ja chuka hota.. haveli ke aas paas toh kya door door tak koi nahi ha. abhi sabka dhayan DK se hatkar SAMRAT, QUEEN aur SANJANA par laga hua ha.
{:::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::}
03:40:PM
paridhi raja thakur ke sath haveli ke lawn se kuchh doori maujud ek ped ke niche bethi hui thi.
dono baton me lage hue the. raja thakur badal gaye the. paridhi ki raja thakur se dostana baaten hone lagi thi. raja thakur ko bhi apni poti paridhi me daksh ki khushbu aane lagi thi. paridhi hi keval ek aisi thi. jisne pure mann se daksh ko sahi bola tha. uspar apna vishwas banaye rakha tha..
raja thakur ko paridhi par bada garv tha.
haveli ka bada gate hue khula aur 4 land cruiser andar aati hui dikhen. raja thakur aur paridhi udhar dekhne lage..
aage parking area me ja ke charon land cruiser ja kar rukeen. fir ek sath charon land cruisers ke door khulne lage. ek ek karke sab gadiyon se bahar nikle.
jo aaye the. unhe dekh kar raja thakur uth khade hue.. paridhi raja thakur ko dekh kar heran reh gayi.
paridhi : dada ji kon han ye sab log.
raja thakur paridhi ko dekhe bina hi bole : mera bhai karanveer.
paridhi shocked ho gayi : kyaaaaaaaaaaaa..?? par woh toh hamare janam se bhi pehle hi aap se door ho gaye the. kabhi inko haveli me nahi dekha. kabhi inka zikr bhi zayada nahi hua haveli me..
raja thakur : chalo mere sath..
raja thakur paridhi ka hath thaam kar udhar hi chalne lage. jahan sab maujud the. aur ek sath khade hokar haveli ki or dekh rahe the. ek ki nazar raja thakur aur paridhi par padhi toh woh sabko batane laga.. sab bhi raja thakur ko dekhne lage. sab bina bhav ke raja thakur ko dekh rahe the. na woh khush dikhai de rahe the, na hi dukh ya ghusse me.
raja thakur aur paridhi bhi wahin ja pohnche
raja thakur : kaise aana hua karanveer..??
raja thakur ne poochhe toh karanveer raja thakur ko dekhne lage..
karanveer : nahi janta main yahan par kyun aaya hon. nahi janta meri yahan aane ki waja kya bani. nahi janta ekdumm se mera aur sab ka yahan aane ka mann kaise ban gaya.. main toh yahan kabhi aana hi nahi chahta tha..
raja thakur bada heran hoke sabko dekh raha tha. jitna woh heran tha. paridhi bhi utni heran thi. bina kisi expression ke sabke sab uske saamne khade the..
usi samay par raja thakur ke diamg me master chi-fang bol pade : kuchh der me daksh beta pohnch raha ha. ye sab khud ki marzi se nahi aaye han. sab daksh bete ke dwara sammohit han. sabko yahi kahin bethne ka bol den. kuchh bhi aur kahne ki zarurat nahi ha. daksh bete ka kaam ha. toh wahi aa kar inhe dekh lega.
raja thakur : theek ha master ji! jaisa aap kahen..
raja thakur ne security incharge ko ishare se paas bulaya aur sabke liye wahin pedon ke niche bethne ka intezar karne ko bol dia..
raja thakur ne paridhi ke kaan me daksh ke aane ka bol dia.. sunkar paridhi khushi se uchhal padi.
incharge intezam me lag gaya. usay samay firse haveli ka gate khula aur 4 land cruiser aur andar aati hui dikheen. paridhi ne unhe dekha toh heran ho gayi. khushi se cheekhti hui aage wali land cruiser ki aur bhagne lagi..
ab ke aane wala parivar bua ka parivar tha. paridhi wahan pohnchi toh gaadi ruk chuki thi. sab gadi se bahar nikle toh
paridhi bepanah khushi se chahakti hui : what a pleasant surprise bua jani..
bua : hahaha.. kyun mera itna beautiful face kharab kar rahi ho. pata ha, ise chamkane me kitna samay lagta ha.
paridhi : Ehehehe! ab kya zarurat ha aapko face chamakane ki bua jaani.. itne namune jan liye han aapne. kisi aur ki ab zarurat hi kya ha ab..
bua haste hue : tu badi chahak rahi ha paridhi.. kitne saalon baad aaj tujhe pehle jaisi dekh rahi hon. shukar ha bhagwan ka. jo tera hasta muskurata chahre dekhne ko mila..
paridhi : ab ye chahre hamesha hi khila rahega bua jaani..
devika ; are bhai humse bhi mil lo. kitni der meri baahen tujhe apne apni lapet me lene ke liye bekarar han.
paridhi nak tedhi karti hui : jaao..jaao.. badi aai mere liye bekarar hone wali.. itni hi fikr hoti toh jaldi milne na aa jati.
devika aage badh kar paridhi ke gale lag kar uske gaal ko chumti hui : ab aa gai hon toh jitna ghussa karna ha kar lo. tu to janti hi ha. padhai me samay hi nahi mil pata mujhe toh.
paridhi : haan pata ha.. sab pata ha. tu dunya ki sabse zaheen ladki ha. ek din bhi padhai miss kari toh teri zahanat ko zang lag jaayega..
urvashi haste hue : zang lage na lage. mobile par chat ke liye samay pura milna chahiye..
paridhi : kya..?? ye chat me busy rehti ha. aisa ha toh fir toh iski khair nahi. mujhe kabhi sms kyun nahi kiya mujhe.
devika : aise hi jhut bol rahi ha.. ye toh mere achhe numbro se jealousy feel karti ha. ise lagta ha main chat karti hon. are baba chat ke liye mere paas fursat hi kahan ha.
urvashi fir akshara bhi paridhi se mili.. sab milkar bohut khush hue.. kunal bua ka beta bhi aaya hua tha. woh bhi paridhi se mila
kunal : raz kya ha. bhaiya ke jaane ke to tum bohut sad ho gai thi. ab kaise itni khush dikh rahi ho.
paridhi jhumte hue : kuchh hi der me bhai aa rahe han.
sab : kyaaaaaaaaaa..??
bua pagal si hokar paridhi ki kalaai thaam gayi. josh se pakad kuchh zayada hi mazbut ho gai thi bua ki. sabke chahron par bhi kuchh aise hi bhav the..
daksh ke jaane ke baad apni life me mast ho gaye the. daksh se nafrat karne walun me ye sab shamil nahi the. ye us samay yahan par maujud nahi the. jo suna tha, usay sunkar heran pareshan zarur hue the. daksh ke liye dukhi bhi the aur ghusse me bhi.
bua : kk.. kya tum sab kah rahi ho paridhi.?
paridhi : haan bua jani! main sach kah rahi hon.
bua : kya usne apne aane ki khabar di ha.?
paridhi : aisa hi samjh len bua.. kuch der me bhai pohch rahe han.
haveli ke andar bhi sab jaan gaye the. dadi, rohini singh aur payal singh bhi wahin aane lagi.. arjun singh aur aviraj ko bhi khabar mil gayi thi. woh bhi wahin pohnchne lage..
vikram singh aur parachi upar khidki me khade hue sabko dekh rahe the.. soch rahe the. kabhi hum bhi aise sabse mila karte the.
jahan woh heran the. wahin pedon ke niche bethun huon ko dekh kar bohut zayada chintit bhi the..
{:::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::}
main sab jaan pa raha tha. haveli ke andar kon kon pohnch chuka ha. kon kon kis haal me ha. ko kya soch raha ha. main sab sath sath jaan raha tha.
sach kahun toh mere dil ki dhadkan kuchh fast ho gayi thi. sabse milne ki bekarari toh nahi thi. fir bhi haveli mera janam sthan tha. barson baad laut raha tha. toh dil ki halat ka aisa hona banta tha.
shimuna meri halat dekh kar serious ho gayi thi. maine apni ankhon par chashma saja liya tha. autumatic main kuchh serious bhi ho gaya tha.
haveli ke gate ke saamne me ja pohncha.. gate par khade hue gatekeeper aur gaurds ke dimag me main pehle hi pohnch chuka tha.
foran hi gate khol diya gaya.. main gaadi andar ghusata chala gaya. mere piche piche shimuna bhi haveli me enter hone lagi.
richa ki halat patli thi. toh rupali bohut zayada bechain ho uthi thi. woh bahar apne parivar ko dekhne lagi. jaise hi rupali ki nazar apne khandan par padi toh woh cheekh padi..
rupali : nnn..nahi..nahi..ye sahi nahi hua.. yy..yee..in..sab..ko..yahan..nahi..hona chahiye..tha..
sab humen dekhne lage.. maa,papa,bhai, dada, dadi aur paridhi ke sath sath bua kar parivar bhi humen dekhne laga.. sabse hatke halat paridhi ki thi. mere liye uske dil ki dhadkane bhi badhi hui thi.
mujhe badle hue face ke sath front seat par dekha toh pehchan nahi paai.
main gaadi kuchh piche hi rok kar bahar nikal pada.. shimuna bhi gaadi ke andar se nikal pad bonut se lag kar khadi ho gayi.
saali aise khadi ho gai thi. jaise woh yahan par tamasha dekhne aai ho.. haveli par maujud sabhi mahilaon se badhkar haseen thi shimuna.. uska katilana husan qayamat khez tha.. sab usay bhi dekhne lage.. bua ki betiyan toh usay dekh kar moh hi khol gai thi..
richa aur rupali bhi kaanpte badan ke sath gaadi se bahar aane lagi..
paridhi mujhe na dekh kar gaadi ke andar dekhne lagi.. apne bhai ke liye woh bohut bechain thi.. baki sab mujhe, richa ko aur rupali ko haiart se dekhne lage.. toh kabhi shimuna ko..
maine ek nazar mud kar shimuna ko dekha. fir
main baari baari sabko dekhne laga.. sabse pehle main raja thakur ko dekha.. haveli ke paas aate hi maine chashma ankhon par saja liya tha. wahi chashma utaar kar main raja thakur ko dekhne laga.. jaise hi meri ankhon me unho ne ghaur se dekha. unke chahre ke bhav badalne lage.. unka sar jhukta chala gaya.. unke sath hi dadi thi.. dadi mujhe herangi se dekh rahi thi. woh mujhe nahi pehchan saki thi.
sath khadi thi paridhi.. woh bhi ab mujhe, khaas kar meri ankhon me dekh rahi thi. woh mujhe pehchanne ki koshish karne lagi. uska dil bol raha tha. uska bhai hi uske saamne khada ha. par mera badla face usay uljhaye hue tha.
main usay dekh kar smile kar gaya.
paridhi ke chehre ke bhav bhi badal gaye.. main jitna bhi badal gaya tha. mere smile karne ka andaz nahi badal sakta tha. paridhi apni athal pathal saanso par kaabu paate hue mujhe dekhne lagi. apne honto bhi kaat rahi thi. woh abhi tak kashmakash me thi..
maine maa, papa ko dekha.. maa bhi mujhe ghor se dekh rahi thi. woh bhi mujhe dekh kar kuchh confuse thi.. woh nai jan paayi thi. main aaj laut raha hon..
payal didi bhi mujhe dekh rahi thi. jitna maine payal didi ke sath samay bitaya tha. utna alka ke sath bhi nahi bitaya tha.. ghar ke kisi fard ke sath bhi nahi bitaya tha..
meri muskan par woh sabse pehle mujhe pehchan gayi. fori taur par woh mere sath hue bartao ko bhul kar mere liye josh se bharne lagi.. woh hole hole kaanpne lagi thi. unke chahre par bhav badal badal kar aane lage..
main aise hi toh nahi payal didi ko apne liye special mana karta tha.. woh sach me special thee. meri ek ek baat, ek ek movement par hamesha hi unka dhayan raha karta tha. bas us din sab bhul gai thi. kisi baat par dhayan nahi de paai thi.. unki mohabbat par, aqal par parda pad gaya tha. dil ke pyar aur vishwas wale area par jaise lock lag gaya tha.
payal di mujhe pehchan gai thi. fir dhire dhire jaise unhe sab yaad aane laga woh khud par kaabu paane lagi. unke chahre par mere liye nafrat nahi aai thi. par ghussa zarur aane laga tha. mere liye jo kabhi mohabbat unke dil me hua karti thi. woh bhi nazar aane lagi.
bua, kunal bhai, teeno behno ko dekh kar maine firse paridhi ko dekha aur apni bahen phela deen..
daksh : sirf chahra hi badla ha. andaz aur awaz toh wahi ha naaaa..
bas fir kya tha.....
bhaaaaaaii....
paridhi cheekh padi... sab jaise hosh me aa gaye.. sab sun aur jaan kar jhatke khaane lage..
paridhi cheekhti hui bhaag kar meri aur badhne lagi. meri ankhen ek baar ke liye nam ho chuki thi.. kuch hi palo me paridhi aa kar meri bahun me sama gayi aur phoot phoot kar rone lagi..
jahan sab bohut zayada heran the. wahin raja thakur sar jhuka kar khade the.. main unke dimag me nahi gaya. fir bhi main samjh gaya woh apni puri life me itna sharminda nahi hue the. jitni sharmindgi ka saamna unhe aaj karna pad raha tha.
paridhi meri bahun me samayi phoot phoot kar rone lagi.. main usay pachkarte hue uski peeth sehlane laga..
bua, bua ka beta, betiyan sab bhaag kar mere paas aa gaye the. baki koi aur mere paas nahi aaya tha.. woh toh hairat se mujhe dekh rahe the. soch bhi nahi sakte the. main kabhi laut kar aaonga. woh bhi badle hue chehre ke sath. richa aur rupali ke sath..
sab ye soch kar bhi heran the.. richa aur rupali mere sath kaise aa sakti han..
bua : mujhse mile bina hi tum chale gaye the daksh beta.. kitna galat kiya tha tumne..
mere andar ka zeher itni jaldi toh kam hone se raha.. paridhi ko apni bahun me bhare hue main bua se bola
daksh : kya aap ko main galat nahi laga tha. sach sach batana..
bua nazren chura gayi..
maine kunal aur behno se poochha : kya mere baare me jaan kar tum sab bhi mujhe bekasur samjhe the..
kunal : bhai main toh utna samjhdar nahi tha. mujhe kya pata..
kunal apni side bachane laga..
paridhi : bhai inse kuchh mat kahen. ye sab galat nahi the. bas kuch samay ke liye inhe bhi aap galat lage the.. fir sab mere jaise hi aapko nirdosh samjhne lage the.
paridhi bheegi ankhon se rundhi awaz me boli.. main uske ansu saaf karne laga.
daksh : achha hua bua aap aur sab yahan par nahi the. warna aap bhi mujhe khul kar bura bhala kehte.. aap sab ke liye aur mere liye achha hua. mujhe kuchh toh aise mile jo mujhe galat nahi samjhe the. kuchh toh aise hone chahiye the. jo meri or se milne wali saza se bach sakenge.
ant me main maa, papa, bhai aur payal di ko dekhte hue bola.. toh payal didi apne hont kaatte hue mujhe ghusse se dekhne lagi. woh itni der me sab yaad kar bethi thi. usay ab bhi main hi galat lag raha tha.
maine palat kar rupali aur richa ko dekha.. woh kabhi mujhe toh kabhi apne parivar ko dekh rahi thi..
maine haveli ki or nazar kari toh parachi 2nd floor ke ek kamre ki khidki me khadi hui mujhe dekh rahi thi.. sath kuchh fasle par chacha vikram singh bhi idhar hi dekh rahe the..
meri nazron ko follow karte hue sab bhi udhar dekhne lage.
main fir bua aur unke bachhu se mila. sab se main normally hi mila.. ek paridhi se thi. jise main pure chao ke sath mila tha..
maine mud kar shimuna ko dekha.. woh smile karti hui paas aane lagi.
shimuna paas aai meri bahun se firse lipti paridhi ko khench kar apne gale se laga liya..
hahaha... shimuna ka andaz aisa tha. main dekh kar has pada... paridhi heran hui toh shimuna bhi paridhi ke dono gaal chum kar has padi
shimuna : badi beautiful kudi ha tu paridhi.. ummmmha..ummmmmha
paridhi kuchh sharma gayi. aur shimuna ki bahun se nikalne lagi
shimuna : dar mat. main bhi ladki hi hon. kyun daksh.. Ehehehe!
daksh : hahaha.. surat se toh dikhti ho. ab pata nahi tum sach ladki ho bhi k nahi ho.
sab hasne lage. paridhi bhi hasne lagi.
dusre sab humen haste dekh kar heran the. main jab yahan se gaya tha toh toota hua tha. dukhi tha. is kadar dukhi tha. koi soch bhi nahi sakta tha. main firse pehle jaise bhi ban sakta hon.
daksh : shimi! jo pedo ke niche bethe han. unhe yahin laane ka intezam karo.
shimuna : ji maharaj! jo aagya aapki. shimuna sar jhuka kar ek dasi ke jaise boli.
rupali ka parivar sab mere trance se bahar aa chuka tha. sab kuchh der me wahin maujd the. sab rupali ko, raja thakur ko aur sab ko dekh rahe the.
maine shimuna ko dekha toh woh smile karti hui apni gadi ki or badhi aur ek bag apne sath le aai.
dadi bhi ab rupali ke parivar ko dekh kar badi heran ho rahi thi. dadi ka moh khula hua tha. woh socking face ke sath sab ko dekh rahi thi.
shimuna mere paas aai aur mujhse boli : bakiyo ko bhi bulwa lete idhar hi.
main samjh gaya
daksh : paridhi, chacha, parachi aur vinay ko bhi yahin laane ka intezam karo.
agle 10 mintune me woh bhi sabke beech maujud the. ek baar ke baad main firse payal di ya maa, papa, bhai aur dadi ko nahi dekha tha.
payal di jahan bohut ghusse me aane lagi thi. wahi maa ansu bahane lagi thi. badi jaldi halaat badal rahe the. mujhe itni jaldi halat badle hue nahi chahiye the.
vinay ki halat dekh kar rupali cheekhti hui bhaag padi thi. vinay se lipat kar vinay ke zakham dekhne lagi thi.
richa bhi apne bhai ka haal dekh kar dukhi ho gai thi. parachi ka haal bhi bura tha.
daksh : bua jaani! aap chahen toh andar ja sakti han. yahan jo hone ja raha ha. woh aap dekh nahi sakengi.
bua : nahi main yahi rahungi. main andar nahi jaaongi. jo bhi hoga mere saamne hi hoga. main bhi dekhna chahti hon tum kya karne wale ho.
main kandhe uchka kar : jaise aapki marzo. baad me fir mujhe ye na kehna. main kuchh zayada kar raha hon.
bua : nahi kahungi.
shimuna ne ek shotgun nikali aur uske kartoos bharne lagi.. sab dekh kar chonk gaye. raja thakur ke liye wahin ek chair la ke rakh di gai thi. woh wahin bethe hue sab dekh rahe the. haveli ke rakhwale door khade hue sab dekh rahe the. aaj ka din un sab ke liye bhi bada ajib hone wala tha. purane guard mujhe dekh kar heran the. toh naye guards dusron se mere baare me poochh rahe the.
shotgun me kartoos bhar kar shimuna ne shortgun mujhe thama di.. main shotgun ko pakad kar palat palat kar dekhne laga.
fir ekdumm se hi maine woh shotgun karanveer ki or kar di.. woh khada khada kaanp gaya..
daksh : HAHAHAHA.. main zor zor se hasne laga.. maine rupali ko dekha toh woh vinay ko thame mujhe hi dekh rahi thi. mujhe karanveer ko nishana banate dekha toh woh dari nahi thi.
karanveer ke parivar ke baare me bata dun.
karanveer ke sath uski patni aai thi.
uske teen bete. teen bahuen.. 2 betiyan, unke pati aur sabhi ke bachhe aaye hue the.
is pure parivar ke 3 sadasy yahan par nahi aaye the. woh yahan india me nahi the. unhe baad me dekh leta main..
shotgun ka rukh maine karanveer ke bete ki or kiya fir rupali ko dekha. woh fir bhi nahi dari.. bari bari maine karanveer ke dusre dono beton ki or bhi gun kari.. par rupali mujhe dari hui nahi dikhi..
fir jaise hi maine karanveer ki manjhali bahu ki or shotgun kari toh rupali ke chahre par mujhe dar dikhaai dene laga..
daksh : HAHAHA....HAHAHA.. darr gayi.. HAHAHA..rupali tu darr gayi.. riiiichhhhaaa chal aa mere paass.. aa aur aa kar apni wafadari sabat kar..
richa darti kanpti mere paas aai.. maine sabke saamne hi richa ko piche se bahun me le liya.. uske hath me shotgun dekar karanveer ki manjhli bahu ke bete ki or nishana bandhne laga.. sath hi main richa ke gaal se apna gaal bhi ragadne laga tha.
ab main besharam toh ban hi chuka tha. kaiyon ne mujhe rupali randi ke sath nanga dekha tha. toh sabne mujhe rupali randi ke sath chudaai karte suna tha. ab kaise sharam.
richa sisakne lagi thi. darr bhi rahi thi. sabke saamne apne sath ho rahe bartao par sharam bhi mehsus kar rahi thi.
daksh : chal richa! rakh ungli trigger par aur uda apne mama ke bete ka ek ghutna.
richa : nn..nahi..nahi..bhai..plz..mujhse..ye..kaam..mat..karwao..
richa rote hue boli..
daksh : soch lo. tum aisa nahi karogi toh yahi shotgun vinay ka sar udaayegi.
richa kaanp gai. uski ankhon se ansu toh beh hi rahe the. woh ab kanpne bhi lagi thi.
maine firse rupali ko dekha toh uska chahra dhuan dhuan hone laga tha.
maine ek nazar sabko dekha. raja thakur sukun se bethe hue the. woh mujhe toh nahi dekh rahe.. richa ke sath aisi halat me woh mujhe kaise dekh sakte the. woh toh aisa karne wale ko sare aam maar dia karte the. aise hi usool woh bana kar barson jiye the..
sare usool ab reza reza ho rahe the.
maine richa ke hath ko ghumaya aur vinay ki or kar dia.. richa ke sath sath parachi, vinay aur rupali cheeekh pade the.
rupali : daksh! bhul kar bhi aisa sochna matt.. warna
daskh : HAHAHA...warna.. kuchh nahi kar payegi tu.. tu toh ab meri randi ha.
maa ya payal di ko maine ab bhi nahi dekha tha. ignore karna hi sahi tha.
daksh : bol richa! apne bhai ka sar udaayegi ya fir apne mama ke bete ka..
richa kuchh nahi bol rahi thi. woh kaanpte hue ro rahi thi..
paridhi : bhai aap aisa kyun kar rahe ho. mat karo na aisa plz.
maine paridhi ko dekha toh woh meri ankhon me dekh kar shimua ke piche ja chupi. aisa hi zeher meri ankhon me dikhaai de raha tha.
badi mushkil se main khud par kaabu paaye hue the. na pata toh ab tak yahan kai mare pade hote. ab toh main khun ka khel bhi khelne laga tha. ab mujhe khun baha kar sochne ki adat bhi nahi rahi thi.
richa ka hath ghuma kar maine richa ke dimag ko thoda sa control me liya aur manjhale mama ke bete ke ghutne ka nishana lekar gire kar dia..
bhayankar awaz aaai.. aur uska ghutna hi nahi uda. uski adhi taang uske sharir se alag ho kar niche gir padi thi. woh aur uske parivar ke sare sadasy buri tarah se cheekhne lage the.. jiski aadhi taang udi thi. woh toh aise cheekhne laga tha. jaise uska gala kaata ja raha ho.
rupali bhi vinay ko chhod kar cheekhti hui bhag kar uske paas ja pohnchi. rupali rone lagi thi. karanveer ki manjhali bahu woh jaise sadme me ho gai thi..
maine apne parivar ko dekha toh woh sab shocked khade dekh rahe the. kisi ko yakin hi nahi aa raha tha. kuchh aisa bhi dekhne ko mil sakta ha.
bua bhi ab mujhe ajib si nazron se dekhne lagi thi. main bua ko muskura kar dekhne laga.. richa ke hath se gun lekar main usay chhod dia tha. woh niche ghutno par bethi phoot phoot kar rone lagi thi.
karanveer : raja thakur! ye sab bohut galat ho raha ha. ise band kar dijiye.. warna achha nahi hoga..
sab raja thakur ko dekhne lage.. sab dekhna chahte the raja thakur kya bolte han.
raja thakur : mera samay khatam ho chuka ha karanveer. tum kyu aaye ho. main nahi janta. daksh bete ko tum sab se kya lena dena ha. main nahi janta. main bas ek hi baat janta hon. mere pote ke andar mera hi khun ha. woh jo bhi karega. sahi karega. woh kuchh bhi kabhi bhi galat nahi kar sakta.. raja thakur ka ek hi janasheen ha. woh ha daksh thakur.. usay pura haq ha har kisam ke faisle lene ka.
sab raja thakur ki baat sunkar heran ho gaye the. maa, papa, bhai, payal di aur sab badi herangi se raja thakur ko dekhne lage. raja thakur firse khamosh ho gaye the. woh mujhse kuchh nahi bol rahe the. unki ankhen bol rahi thee. woh mujhe kuchh bhi kar jaane ke liye bol rahe the.
main chalta hua rupali ke paas ja pohncha. aur uske barabar baith kar main bola
daksh : ab dusre ghutne ki baari ha. chal uth aur uda iska dusra ghuta.. fir ek ek karke tujhe aur bhi kai ghutne udane han. nahi udayegi toh... tu sab samjhti ha....
hahaha..tu sab smajhti ha. tujhe kuchh bhi samjhane ki zarurat nahi ha. chal utha aur der na kar. khel kaafi der tak chalne wala ha. samay kam ha. aur khel bohut lamba..
rupali ko utha kar maine khada kar dia. fir uske hath me shotgun thama di..
daksh : chal uda dusra ghutna bhi..
rupali hath me shotgun liye kabhi mujhe toh kabhi shotgun ko dekhne lagi. uski ankhon me ansu bhi the aur mere liye bepanah nafrat bhi.
rupali ne shotgun apne bhai ke bete ke dusre ghuton ki or kari toh manjhali bahu bol padi.
"didi plz aisa mat karo. mere bete ke sath aisa zulm mat karo. didi ye..ye..ye..
daksh : hahaha.. bol na aage.. ye.. ye.. ye kya rahi ha.. hahaha.. tu nahi bolegi.. nahi bolegi toh main bulwa lunga. chal rupali randi uda dusra ghutna..
rupali naagin thi saali. itni jaldi haar kaise maan sakti thi. apne bhatije ke dusre ghutne ki or kari shotgun ekdumm se raja thakur ki or karte hue fire kar gayi..
.
.
.
.
.
.
Aaj Ke Liye Itna Hi Mitro! Milte Han Agle Episode Ke Sath Jald Hi..
::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::
Wao amazing awesome update bhai jabarjast superb sandar kya hi kahne Bhai lajvab update daksh ne Raja thakur ke Bhai karanveer singh ke parivar ko bulva liya hai apne sammohan se vahi bua bhi apne parivar ko leke pahuch gyi hai...
Shimuna ke to haavbhaav hi badal kr rakh diye hai us mala se nikli kirno ne, vo apne planet ki rajkumari hai or ab to vo idhar maharani ke jaise rahne vali hai, akhir Samrat ki hone vali Bibi jo thahri...
Paridhi ke sath shimuna ki Bahut masti hame dekhne ko milne vali hai sach me maze hi hone vale hai jb use pta chalega ki shimuna Kon hai...
Richa or uski ma ragni ke hatho hi uske pariwar ko sabak sikha rha hai daksh, jo chahne vale hai vo daksh ke in karnamo ko dekh kr thoda confused hone ke sath sath achambhit bhi hai, vo samajhne ki Kosis kr rhe hai ki ye sab kyo ho rha hai or uska karan bhi...
Ye richa ki MA ragni ko abhi bhi chull machi hui hai Usne apni samajh me Raja thakur ko goli Mari hai, Dekhte hai isus goli ko daksh rokta hai Ya shimuna ya fir ye sab uske dimag me hi Chal rha ho or asal me goli chali hi na ho...