Episode:37
vikram singh, vinay aur parachi singh haveli me pohnch kar kaid ho gaye the. apni marzi ke bina woh raja thakur ki haveli me pohnche the. jaisa payal singh ke sath woh kar gaye the.. khud ko haveli ke andar ek kaidi hi samjh rahe the..
payal singh ne vinay ko dekha toh door se hi cheekh padi thi..
woh bhagti hui wahin pohnchi toh guards teeno ko gher kar khade the..
payal singh khuni najro se vinay ko dekhne lagi. vinay jo apni kothi par rehte huye payal singh ko leke firse suhane sapne dekhne laga tha. payal singh ko saamne dekha toh uske suhane sapno furrr kar ke ud gaye.. sath hi payal singh ko dekh kar uske chahre ka rang bhi ud gaya...
upar se jaise payal singh vinay singh ko dekh rahi thi. vinay singh payal singh ki ankhon ki aag sehn nahi kar paya aur nazren chura gaya..
payal singh cheekhti hui : badi herangi ki baat ha vinay, mere sath itna sab karke bhi tum haveli laut aaye. bhul gaye the, yahan aane ke baad main tumhare sath kaisa bartao karungi.. achha hi hua jo tum mere saamne aa gaye vinay.. main soch bhi nahi sakti thi, tum itne neech aur ghattiya bhi ho sakte the..
payal singh fir apne guards se cheekhti hui : vinay ko torture room me le jaao.
vikram singh raja thakur ko hi dekh raha tha.. raja thakur bina chehre par koi bhi bhav laaye sabko dekh rahe the. jo ho raha tha, woh sahi tha, ya galat. raja thakur ko jaise koi fark hi nahi pad raha tha.
parachi : payal didi! jo bhi hua tha, usme bhai ka koi dosh nahi tha.. actually woh sabb---
payal singh parachi ki baat par zor zor se hasne lagi
payal singh : HAHAHA! kya kaha tumne abhi. zara firse kehna..
parachi ko bhi andaza ho gaya tha payal singh kyu uska mazak uda rahi ha. uska sar jo vinay se chud jaane ka jaan kar jhuk gaya tha. ab aur bhi jhukta chala gaya. apni maa aur bhaiyo ke sath milkar payal singh ke sath jo karne ja rahi thi. woh sach me hi bohut ghattiya kaam tha. ab ek kaid panchi ke jaise sab vichar usne mann me aane lage the..
payal singh : girgit bhi itne rang nahi badalta hoga.. jitne rang tum sab badalte ho.. vikram singh ko dekhte hue.. chacha ji aap bhi toh wahin the na. aapne bhi kuchh nahi kiya tha mere liye.. aap bhi wahan ja kar badal gaye the.. ya shayad pehle se hi badle hue the. tabhi mujhe apne sath le jaane ke liye force kar rahe the. mera mind divert karne ke liye badle halat ka bakhubi fayda utha tha aapne bhi..
vikram singh bhi sar jhuka gaya.. guards vinay ko lekar andar jaane lage toh vinay raja thakur ko dekhne laga.
payal singh : parachi tum mere qahar se bach nahi sakogi.. pehle vinay kutte ko dekh lon. fir tujhe bhi dekh lungi main..
payal singh kuchh der me torture room me ja pohnchi. vinay ko uske kehne par zanjeero se bandh dia gaya..
payal singh ne hantar lia aur vinay ki khaal udhedne lagi..
payal singh : vinay tune woh sab karke meri aatma par bohut bada ghaao lagaya ha. mujhe aisa dard dia ha. jiske chalte meri raton ki neenden haram ho gai han. soch kar hi mujhe jhatke lagne lagte han. main itni bhi gayi guzri nahi thi, kitna sasta kar dia tha tum sab ne milkar mujhe...
vinay bechara koi bhi jawab dene ki bajaye pure zor se cheekh raha tha. uske kapde phatt kar khun me nahane lage the. hantar lagne se jaga jaga uske sharir par ghao banne lage the..
kuchh der payal singh aise hi vinay par hantar barsati rahi.. payal singh tab ruki taj kisi ke zor zor se clapping karne ki awazen sunaai dene lagi..
payal singh ne ruk kar dekha toh kuchh faasle par uski dadi, rani devi, uski maa rohini singh aur paridhi khadi hui thee..
paridhi ridiculously bhav chahre par sajaye clapping kar rahi thi.. dadi aur maa bhi paridhi ko dekh kar hairan thi.. kitni badal gai thi paridhi.. kaise apni didi ka mazak uda rahi thi...
paridhi : waahhh! waahhh! kya baat ha didi.. aapke hath me hantar.. apne sath vishwasghat karne wale ko saza de rahi han aap.. zabardasti shadi karne par vinay ke sharir par kode barsa rahi han. vinay jo hamara bhai bhi ha. kya baat ha didi. aap toh phoolan devi hi ban bethi han..
payal singh paridhi ko dekh kar uski baaten sunkar hantar phenk gai.. ghusse se paridhi ko dekhte hue boli : mere sath aise andaz me baat mat kiya kar..
paridhi : kyun! sehn nahi hoti meri baaten aapse didi. ohh! mujhe khud par control banaye rakhna chahiye.. kahin aap ghusse me aa kar mujhe bhi na maarne lagen..
payal singh : maaaaaaaaaaaaa!! paridhi ko samjha len. sach me kisi din main khud par control bhul jaon aur woh kar jaaon, jiske baad aap sab mujhe bura bhala kahen. isse keh den, mujhe aise shabd sunne ki adat nahi ha.
paridhi : kisi aur ko bhi aise hi zehreelay shabd sunne ko mile the didi. paridhi ko achanak se hi yaad aaya toh woh aage bolne se khud ko rok gayi..
payal singh : haan bol! puri baat bol na.. bata aage kya bolne wali thi tu..
paridhi : aage main kya bolungi didi.. vinay ko dekhte hue paridhi aage boli.. mujrim aapke samne han, fir bhi mujhse poochh rahi han. main kya kehne wali hon. jinhe sach janne ki chah hoti ha. woh toh pahadon ko khod daalte han.
fir apni maa aur dadi ko dekhte hue.. par kisi ke andar pahad khodne ki shakti hi nahi hoti.. apni kam himmati ka rona ro kar, apne hi kisi payare ko kisi ke banaye jaal me phans kar doshi maan jate han kuchh apne payare log..
paridhi wahin nahi ruki aur wahan se chalti bani..
rohini singh ki ankhon me aansu aane lage toh payal singh paridhi ki baaton ka matlab samjhne ki koshish karne lagi..
wahin dadi bhi kabhi rohini singh ko toh kabhi payal singh ko dekhne lagi..
{::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::}
Margaret(Komal) brain master ke khufia thikane se nikli toh usay der ho chuki thi..
RPO ke teeno adde uda kar komal ne jahan RPO ka pura structure bigad dia tha. wahin apne liye khatron ko aur bhi badha dia tha..
RPO ka main headquarter kahan tha. ye toh american president ko bhi nahi pata tha..
brain master ko RPO ka head bana kar RPO ki puri ORG uske control me de di gai thi.
richad ko brain master banane walun ne kuchh aisa setup banaya tha. kuchh bhi kahin bhi hota tha toh sara record automatic un tak pohch jaya karta tha..
sabhi controls unke paas nahi the. par sari jankari woh zarur rakhte the. ORG ko control karne ke liye direct system unke paas nahi tha. woh keval richad(brain master) ke paas hua karta tha..
aur brain master ke khufia thikane par komal ne jo kuchh bhi kiya tha. woh sari detail kuchh special kisam ke hidden cameras me record hokar aage pohnch pa rahi thi.
komal ki goodluck ye hui thi. jis samay woh ye sab kar rahi thi. us samay "jahan brain master ke khuffiya thikane ka sara record pohnch raha tha" wahan koi dekhne wala nahi tha.. wahan 24 hrs me 2 se 3 baar hi brain master se upar ke log us record ko dekha karte the..
jaisa sab komal ne kar dikhaya tha. aisa kuchh bhi ho sakta ha. kisi ko bhi umid nahi tha..
par komal ne sab karke sabki umidon par paani fer dia tha.. der se hi sahi, par wahan ka record dekhne ke liye koi moka par pohnch gaya tha..
dekh kar unse special alarm baja dia.. ye alarm kuchh seniors logon ke liye tha.. jo apne apne thikano par secretly RPO ke head the..
woh sab bhi live hokar brain master ke thikane par komal ko uske chandi ke roop ko dekhne lage..
komal ne jo jo bola tha. woh sab record ho gaya tha. uske kahe sabhi shabd jaan kar special force ko kaam par laga dia gaya..
ye force aise hi emergency ke rakhi gai thi.. teeno bases toh komal ne blast kar diye the. sath me brain master ke khufiya thikane ko bhi destroy mode par set kar dia tha.
jitni der me sab blast hota.....
utni der me woh seniors backup ke liye busy ho gaye..
sath me komal ke liye, aur dusre teeno bases se nikal chuke agents ke liye bhi busy ho gaye..
komal jo normal rehte hue gaadi me bethi hui ek road se guzar rahi thi. usay ekdumm se kai gadiyon usay follow karte hue dikhaai dene lagi..
komal super agent thi. pal bhar me hi sab samjh gayi...
komal : ohhh! toh ye baat ha. badi jaldi form me aaye gaye RPO ki special force wale.
chal inhe bhi dekhti hon..
dekhte hi dekhte shahar ki sadken race ka maidan ban gayi.. ekeli komal ke peeche special force ke saths sath police ki bhi kai gaadiyan lag chuki thi.
super agent hone ke sath sath komal mala ki ray ke kaaran bohut badal chuki thi. sochne samjhne aur faisla lene ki shakti pehle bhi usme bohut thi. ab aur bhi badh chuki thi.
komal relax mood ke sath gaadi drive lar rahi thi. gaadi RPO se related thi. aur gaadi ke andar kya kuchh tha. brain master janta tha. ya fir komal..
dusra koi aur nahi janta tha..
koaml andhi toofan bani speed ke sath gaadi drive kar rahi thi. aur gaadi akhri speed ke sath daud rahi thi. dashboard khol kar komal ne ek pistol nikala apni side ka mirror down karte hue piche ki or hath karke ek sath teen fire kar diye..
pehla fire komal ke piche wali gaadi ke driver ke mathe par laga. dusra fire front back, dono mirror ko todta hua usse bhi piche wali gadi ke driver ke sar me ja ghusa..teesra fire agli gadi ke out of countrol ho jane ke kaaran uski body par lag gaya tha...
foran hi komal ki gaadi par firing shuru kar di gai..
komal : HAHAHA! karo, karo, jitni chahe firing karo.. ye special gaadi bhi toh tum RPO walun ki hi den ha. ab yahi gaadi mujhe protect bhi karegi aur tum sabki laashen bhi girayengi..
shahar bhar me sansani pheli hui thi.. raat ka samay tha aur ek gaadi ke piche kai police ki gadiyan lagi hui thi..
dekhte hi dekhte kai gadiyan tabah hone lagi.. koi bhi komal ko pakad nahi pa raha tha.
komal wali gaadi me piche aur aage ko machine gun bhi nasab thi.. komal kabhi pistol ya mini gun se bahar fire karne lagti toh kabhi gaadi me lagi machine guns dwara firing karte hue picha kar rahe agents aur police walun ko maarne lagti.
dedh ghante tak komal ne shahar bhar me tabahi macha kar rakh di thi.. ek helicopter bhi komal ko pakadne ke liye aaya tha.. jise paas aane se pehle hi komal ne hawa me hi blast kar dia tha..
komal : RPO walo! bas tum dekhte jaao. main karti kya hon tum sabb ke sath. abhi toh shuruaat ha. aaj pehle din ha. brain master se aur khud se wada kiya tha maine.. kabhi bhi RPO ko firse apne pairon par khada nahi hone dungi..
ab koi koi gaadi hi komal ke piche thi... komal bhi ab rest karne ke mood me thi.. uska zakham bhi ab dard karne laga tha..
woh apne khufiya thikane par pohnchi.. 5 ghante baad woh ek naye roop me, ek nayi identity ke sath america se udaan bhar chuki thi..
woh plane me bethi hui france ja rahi thi.. wahan se usay apne desh jana tha. france pohnch kar wahan se fir woh ek aur nahi nayi identity ke sath india lautne wali thi..
RPO ke seniors hathu se nikal chuke agents ko firse apne control me le chuki thi.. unhe naye bases par transfer kar dia gaya tha..
RPO ka sara setup destroy ho chuka tha. unhe bohut samay lagne wala tha. firse RPO ko pehle jaisa banane ke liye..
jis city me margaret(komal) ne tahalka machaya tha. us city me aas paas ke kuchh cities me komal ko special agents, police, aur FBI ke through dhunda ja raha tha.
logon ke gharon me ghus ghus kar komal find out kiya jaa raha tha. par woh wahan hoti toh milti. woh kabki france ke liye fly kar chuki thi.
agli shaam komal france pohnch kar apne special thikane par thi. ek din ki rest karne ke baad woh india ke liye fly karne wali thi..
RPO se ladne ke liye bohut samay tha uska.. apne desh se barson se door thi woh.. toh apne desh ki mitti usay khench rahi thi apni or.. woh bina deri wahan pohnch jana chahti thi..
komal tadapne lagi thi apne desh ki mitti ki khushbu sunghne ke liye. apne desh ki mitti ko chumne ke liye. apne desh ke logon se milne ke liye.. jahan uske apne bhi the..
komal ek new face me aane ke baad bed par let kar so gayi...
{::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::}
daksh : waahhhh! kya baat ha. bada hi swadisht khana banaya ha. kha kar toh maza hi aa gaya...
richa khush ho gai... toh chaukidar ki patni hont bhenche smile karne lagi. asal taste toh uske hathun ka tha. richa bhul gai thi. main sab jan sakta hon. richa khud ko aage karte hue sara credit le rahi thi..
rupali ghulamo ke jaise side khadi hui mujhe khaate dekh rahi thi..
rupali : malik! aapne mujhe uthaya nahi. warna isse bhi achha khana aapko khane ko milta.. aapki dasi khana bohut achha bana leti ha.
daksh : tum toh aur bhi bohut kuchh achha achha bana leti ho..
rupali : malik ki zarra nawazi ha.. warna dasi ki itna aukat kahan.
daksh : kyun richa! teri mom ki aukat itni hi ha ya badhke ha.
richa sab samjhte hue : main kya kahun bhai.. ohh sorry malik!.. aap mujhse better samjhte han.
main khana khata raha aur dono mujhe serve karti rahi..
maine chakidar ki patni ko dekha, jo ankhon me hairat liye dekh rahi thi.
daksh : naam kya ha tumhara..???
chakidar ki patni se maine poocha toh woh ghabra kar uth khadi hui.. mere honto par muskurahat aa gai.
woh : mmm..ww..jj..ji wo mala.
mala ghabra kar boli toh hasne laga
daksh : aise kyun ghabra rahi ho tum.. aao mere sath milkar khao..
woh aur bhi ghabra gai. sochne lagi, kahin usay khud ke karib karne ki koshish me to nahi hon.
HAHAHA.....
rupali ki dumdar chudai dekh kar abhi tak dari hui thi..
daksh : jo dekha tha woh sab sahi nahi tha. tumhe darne ki zarurat nahi ha.
woh pehle toh mujhe prashn bhari nazron se dekhne lagi. meri baat ka uttar uski samjh me nahi aaya tha. par jaise hi usay samjh aaya toh laal peeli hokar sar jhuka gai.. woh hole hole kaanpne lagi thi. usay laga mai uspar line maar raha hon..
HAHAHA...
main koi jallad thodi na tha.
na hi main tharki tha. woh sundr nahi thi. jawan bhi nahi thi. par bhare jism wali thi. sexy jism wali thi. usay dekh kar kaiyon ka iman dol jata. par mera nahi dol sakta tha.
main uske sath masti toh kar sakta tha. par sex nahi..
daksh : ghabrao nahi. jao apne pati ko bula kar laao. milkar khate han.
woh beyakeeni ke sath mujhe dekhne lagi.
daksh : haan! jaao bula kar laao. tum gareeb ho, koi gire pade toh nahi. jaldi se bula kar laao. milkar khate han..
woh bhaag khadi hui.
jald hi woh apne pati ke sath aati hui dikhi.
chaukidar : kaisi baat karti hon tum mala. woh malik han. humen kaise apne sath beth kar khane ko bol sakte han.
mala : pata nahi ji. par mujhe unki ankhon me dekh kar laga, woh dusre se alag han.
itni der me woh andar the.
chaukidar : saab aapne sach me--
daksh : haan! main sahi kaha tha. jaao hath dhu kar aao, fir teeno milkar khana khate han. woh bhi sunkar heran hua tha. fir mala ke sath hath dhu kar aaya aur kursi par beth gaya..
daksh : rupali ye dono mere liye khaas han. tum aur richa dono milkar un dono ko achhe se serve karo.
richa : par..??
rupali : riichhaa! malik ne kaha ha toh maanna hamara dharam ha. hum koi bhi sawal nahi kar sakti.
rupali sahi maano me ghulam bani richa ke sath milkar chaukidar aur mala ki seva karne lagi..
dono khush khush khaane lage. der nahi lagi aur dono ki ankhon me ansu aaane lage.
galt samjhe aap....
mirchi se ansu nahi aaye dono ki ankhon se.....
samman aur apnapan mile toh bhi ansu behne lagte han. dono pati patni jazbati hokar ansu bahate hue, khate hue mujhe dekhne lage.
mujhe dono ko dekh kar bada sukun mil raha tha. rupali aur richa ko mentally torture toh ho hi raha tha. par do bhale manas logon ko kuchh khushiyan bhi mil gai thee.
sath me mujhe aseem shanti bhi prapt hone lagi thi..
khane ke baad main apne kamre me chala gaya.. wahin richa aur rupali bhi kuchh der me aa gai..
dono mere paaon daabne lagi..
main vikas ke dimag me ja pohncha. jo apne bohut se partners ke sath meeting me vayst tha...
SAMRAT ko leke chrcha chal rahi thi..
vikas : SAMRAT ka koi intezam karna padega.. agar woh hamare dimag me ghusa toh sab chopat ho jayega. hum bhi bure karam karne wale han.. agar woh kabhi hamare paas pohnch gaya toh sab barbad ho jayega..
ek partner dara sehma betha hua tha woh bola : main toh kehta hon, kuchh samay ke liye humen sare dhande band kar dene chahiye.. pata nahi SAMRAT kya bala ha. kahin aisa na ho hum sab bhi maare jaayen..
ek jo uske sath hi betha hua tha. woh bada kutta banda tha. bade qalt kiye the usne. woh SAMRAT naam ki dehshat me nahi aaya tha. woh pehle wale ke kandhe par zor ka laafa maarte hue bola
"saaala mere hote hue bhi tum dar rahe ho. SAMRAT ha to kyaa, hum sab apna dhanda chhod kar beth jaayen"
koi aur uski himayat me bola : sahi kaha tumne. aise buzdilon ki tarah se chup bethe rahe toh kar liya humne dhanda..
vikas : band karo tum sab apni bakwas.. kya tum sabne dekha nahi tha. SAMRAT kitni buri bala ha.. dhananjay thakur aur uska pura parivar, pura gang khatam hogaya. minister mara gaya.. narain mishra jaisa business tycon mara gaya..
abb bhi tum kah rahe ho. SAMRAT se darne ki zarurat nahi ha. kar hi kya sakte ho tum. SAMRAT ek bhayanak bala bankar nazil hua ha. nahi jante, woh kab aur kahan pohnch jaaye. kon kon iski pakad me aata ha. aur kya kya karta ha...
woh sabse pehle partner dara tha. woh ekdumm se apni jaga se utha khada hua.. ab woh ghabraya hua nahi dikh raha tha. uske sath betha jallad sift gunda dekh kar kuchh heran hua.
"sahi kaha tumne vikas...tum ya koi bhi kuchh nahi kar sakta..main sach me hi ek bhayanak bala hon. jahan bhi jata hon, tabahi phela deta hon..koi nahi janta, main kab kahan aur kaise pohnch sakta hon.."
vikas aur kai dusre bohut zayada dar gaye toh sath betha hua gunda usay ghorse dekhne, sunne laga.
achanak se hi usne pistol nikala aur jiske andar main tha. uske sar me goli maar di..
saale ne ekdumm se achanak kiya tha. mujhe kya hona tha. main jiske andar tha. uske sar me goli ghusi toh woh moke par hi mar gaya..
main uske andar tha.. achanak se uske sar me goli utri toh mujhe bhi ek shadeed jhatka laga tha..
badi hairat ki baat thi ye mere liye.. aisa pehle maine feel nahi kiya tha.. main khud ko normal karte hue firse wahin ja pohncha..
"dekha SAMRAT kuchh nahi kar sakta.. dekha kaise bhaga dia maine usay"
woh apni moochon ko taao dete hue bola.. main uske dimag me ghasa aur usay kisi had tak apne control me le liya..
jahan woh apni moochun ko taao de raha tha. wahin uska dusra hath"jis hath me gun thi" uski kanpati par ja laga..
sab dekh kar shocked ho gaye..
maine uske dimag ko aur bhi dheela chhoda toh woh apni kanpati par apna hi pistol dekh kar ghabra gaya..
foran pistol ko apni kanpati se hata lena chahta tha. par aisa kar nahi pa raha tha..
woh ab dehshant me aane laga..
wo : nn..nahi..nahi..SAMRAT.. pp..plz mujhe shama kar den. maine aapki shan me gustakhi ki ha. main bhul gaya ha. aap toh SAMRAT han. aur samrat sabse badh kar hota ha.
maine usay azad chhod dia. pistol uske hath se chhoot kar niche gir pada..
woh normal hokar khush ho gaya. usay laga maine usay maaf kar dia ha.. uske sath khade hue ke vyakti ne kursi utha kar puri taqat se uske seene par maar di..
woh uchhal kar door ja gira..
SAMRAT.... saale tu kya samjha tha. tere jaise chutiyon ko main chhod dunga.. kabhi nahi. tujh jaiso ko chhod dia toh aur kai ghar barbad ho jayenge.. tum logon ka dhanda ha na. desh ke masoom bachhu ko kidnap karna. izzatdar betiyon ko kidnap karke bechna. unhe dhande par laga dena..
thuuuuuuuu.. paiso ke liye apne hi desh ko khokhla kar rahe ho tum..
kursi wala partner firse kursi liye uspar toot pada.. woh qatil bohut expert bhi tha. par mere aage uski nahi chal sakti thi..
bade kartab dikha kar woh khud ko kursi ki maar se bachane ki koshish kar raha tha.. ek samay par vikas wahan se bhaagne laga toh kursi hawa me udti hui uske upar ka giri.. woh cheekhta hua niche gir pada aur dard se karahne laga..
itni der me pehle jise kursi se peet raha tha. woh pistol utha kar partner ko shot kar chuka tha..
maine firse usay control me liya aur pistol uski kanpati par ja laga. woh firse dehshat me aa gaya. woh firse chillana laga..
ekdummm se pistol firse uske sar se alag hua aur dusre partners ke seeno ki or hote hue unhe shoot karta chala gaya..
pistol khali hua toh qatil ne pistol phenk dia aur vikas ke paas ja kr beth gaya..
"vikas babu, bada paise kama liya ha na tune.. kitne bachhu ko, beto ko betiyon ko tune apne parivar se door kiya ha. janta ha.. nahi janta tu.. bhul chuka ha tu sab.. chal tujhe ek sabaq deta ho main..
qatil ne vikas me moh me hath kar uski zuban khench di. puri zuban hi vikas me moh se alag hote hue qatil ke moh me aa gai.
"vikas tujhe ab main marne nahi dunga.. tu pal pal marega.. jitna paise tune kamaya ha na.. woh ab tere kaam nahi ayega. aayega toh keval tere ilaj ke liye. tu ab marega nahi.. tu pal pal tadpega apne bachu ke liye.. teri patni maregi toh tere bete, betiyan sada ke liye tujhse door ho jayenge.."
vikas jo apni zuban kho kar cheekh raha tha. apne anjaam ko jaan kar uski ankhon me iltija aa gayi.. woh aisa bhayanak anjaam apne liye nahi chahta tha..
mujhe uspar rehm toh aane se raha..
qaatil ne pehle vikas ko wahan se nikala.. usay ek jaga chhod kar abmulance ke liye call kar di..
wahin ek oonchi building ki chhat par chad kar qatil ne chhalang laga di..
khas kam jahan pak.....
usi raat maine vikas ke bachhu ke brain apne control me lekar wash kar diye.. unhe aisi medicine ke use karne ka order de dia.. jiske kaaran kuchh hi smay me unki yaaddasht chali jaati.
vikas ki patni bhi uske bure karmo ki sathi thi.. usay bhi apne trance me lekar maine kuchh din vikas ke deva karte rehne ke baad suicide ka bol dia..
vikas ka bhi ant ho chuka tha..
jitne bhi partners maine maare the. sabke dimag se maine zaruri info nikal li thi...
woh maine apne paas maujud ek paper par likh daali thi..
shimuna ko woh saari info de di maine.. shimuna firse usi imandar police me ghusi aur high level par matter ko laate hue major operation ki maang kari..
dekhte hi dekhte kuchh ghanton me senkdo bachhe, un thikano se baramd kr liye gaye..
media ne is baar bade achhe andaz me is sabhi ghatna ko live dikhaya tha..
ek hi din me pure desh me najaane kya kuchh ho gaya tha..
school wala matter.. terrorsits ko maar kar SANJANA MAA pure desh ko mil gayi thi..
SAMRAT india se ha, sab kaan kar bohut khush hue the..
wahin QUEEN bhi indian ha, ye jaan kar sab aur bhi khush hue the..
do din pehle bohut se bachhe aur ladkiyan mile the toh aaj ke din aur bhi kai masoom bete apni maaon ke paas ja pohnche the.. bohut si izzatdar betiyan apni izzat lutate se bach gai thi. woh apne parivar me shamil ho gai thee..
jahan bohut se dusht papiyon ka ant hua tha. wahin bohut si khushiyan bhi desh vasiyon ko mil gayi thi..
kul mila kar aaj ka din desh bhar ke liye surprising raha tha.
khushiyon se bharpur ban gaya tha..
charon aur khushiyan hi khushiyan pheli hui thee. pure desh me log jagah jagah khade hokar is baare me charcha kar rahe the..
toh bohut se tv ke saamne bethe hue live charcha sunkar apne apne vichar pesh karne me lage hue the..
aj ke jo kuchh bhi unhe dekhne sunne ko mila tha. woh kaiyo dino tak ke liye ek best topic bankar reh gaya tha..
dukh ke baad khushiyan milti han toh khushiyon ke baad dukh milte han....
jahan pura desh khusiyan mana raha tha.. wahin bohut se paapi palnning me lage hue the.. aise toh woh ji nahi sakte the. SAMRAT ka kuchh na kuchh toh karna hi tha...
minister mara tha...
dhananjay thakur mara tha...
narain mishra aur uske parivar ke mard mare the...
vikas mara tha, uske sath sath aur bhi bohut se vikas ke partners mare the.
ek partner ek oonchi imarat se kood kar mara tha..
bohut kuchh hua tha aaj ke din...
jinhe dukh pohncha hota ha. woh kisi ki khushi sehn nahi kar sakte.....
jitni khushiyan ek hi din me desh ko mili thi.. lagta tha. jald hi bohut se gham bhi unhe milne wale han...
jahan bohut se desh ke gaddar desh ke khilaf palnning karne me lage hue the..
wahin......
RPO jo komal par bohut zayada ghusse thi.. komal india se thi.. QUEEN aur SAMRAT bhi india se the..
komal ke sath sath QUEEN aur SAMRAT bhi RPO walun ke liye wanted ho gaye the.. woh bhi ab chain se nahi bethene wale the.
BAO ke do plane ke sath sath bohut se best agents bhi maare gaye the.. woh bhi bade dukh me the..
unhe bhi kisi karwat chain nahi tha.. woh bhi badla lene ke liye, apni power ko badhane ke liye planning me lage hue the...
india me ek hi din me jitne bhi bure log mare the.. woh direct ya indirect kisi na kisi ORG se jude hue log the.. aur ORG wale aisa loss sehn nahi kar pa rahe the..
jin jin ka bhi loss hua tha.. woh sab ke sab behad ghusse me aaye hue the...
sabka ghussa milkar ek bohut bade toofan ka roop dharan kar sakta tha...
.
.
.
.
.
.
Aaj Ke Liye Itna Hi Mitro! Milte Han Agle Episode Ke Sath Jald Hi..
::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::