Episode:42
govardhan kon tha..
govardhan ka parivar raja thakur ke ilake me raha karta tha. us samay raja thakur ke pita ramakant thakur singhasan par birajman the.
govardhan ka parivar paise wala parivar tha. achha rahn sahn tha. ilake me khub izzat bhi thi unki. par govardhan ka pita dhake chhupe andaz me maze kar liya karta tha. uske dono bete bhi uske jaise hi bane..
govardhan ka ek bada bhai tha. jiska naam laxmikant tha..
laxmikant ne apne ilake ki ek ladki ke sath zabardasti kari.. usay dara dhamka kar chup bhi karwa dia.. woh bechari ladki gareeb thi, bohut zayada dar gayi thi. apne parivar ko ya fir ramakant thakur ko apne sath hue zulm baare nahi bata saki.
niyati ka khel..
ladki pregnant ho gai. ladki ki maa ko pata chal gaya. ladki se poocha toh woh usay dari hui lagi.. maa ne usay bade pyar se poochha toh rote hue ladki ne sab apni maa ko bata dia.. ladki ki maa ne apne pati ko bata dia..
ladki ke mata pita ramakant thakur ke paas ja pohnche. ro ro apna dukhra sunaya..
ramakant thakur bade ghusse me aa gaye.. laxmikanth aur uske parivar ko foran bulaya gaya. ilake ke sabhi badon ko bhi bulaya gaya.. wahin case ki sunwaai hui.. laxmikant aur uske mata pita inkar karte rahe. par ramakant ki gehri nazron ne sab jaanch liya tha. aisi aisi baaten karen, laxmikant apni baaton me phas gaya. sab jaan gaye, ladki ke pet me laxmikant ka hi bachha ha. ramakant thakur wahi sabke saamne laxmikant aur ladki ki shadi karwa di..
govardhan us samay shahar me padh raha tha. wahin karanveer bhi padhta tha.
ab ke raja thakur apne pita ke sath raha karte the.
raja thakur ki power ke aage laxmikant ya uska parivar sar jhuka gaya. par unhe raja thakur ka ye faisla manzur nahi tha.
woh kuchh kar nahi sakte the.
samay beeta aur ladki ne ek bachhi ko janam dia.. govardhan bhi is beech ghar ke chakkar lagata raha tha. usay bhi woh gareeb ladki pasand nahi aai thi. govardhan bhi ek ghattiya ladka tha..
baad me us ladki aur bachhi ki hatya karwa di gayi. ek saanp unke kamre me tabb chhod dia gaya tha. jab woh dono so rahi thi. jab saanp ne dono maa beti ko das liya toh pure parivar ne shor macha dia.. sabse aise bolne lage saanp ne dono ko das liya tha..
ramakant thakur ko khabar mili toh usne apne andaz se investigation kari. ramakant thakur ke sath the raja thakur.. dono ne milkar asal baat ka pata karwa liya.
laxmikant doshi sabat hua...
laxmikant ko wahin ek saanp dwara maut de di gayi.. laxmikant maara gaya.. bachhi aur ladki maut bohut bada paap tha.. raja thakur ke kehne par ramakant thakur ne govardhan ke parivar ka sara paise us ladki ke parivar ko de dia gaya.. uski do betiyan ek ek beta aur bhi the.. paison se unka kuchh bhala ho gaya.
govardhan ko khabar pohnchi toh woh bhi dauda dauda aaya tha. par tab tak uska sab kuchh khatam ho chuka tha. daulat uske parivar se chhin chuki thi. uska bhai maara gaya tha. govardhan ye sab sehn nahi kar paya. aur ramakant ke faisle ko galat karar de dia..
govardhan ne khub hungama machaya tha. ramakant thakur se woh is sab ka badla lega. aisa bolne laga.. us samay karanveer yahan par nahi tha..
govardhan aur uska parivar wahan se kahin aur chala gaya.
govardhan ke dil me ab badle ki aag jal chuki thi. woh kaise bhi karke raja thakur ya uske parivar se badla lekar hi dumm lega.. aisi usne kasam kha li thi..
karanveer se uski dosti thi. karanveer is ghatna se anjaan tha..
kuchh mahino baad karanveer ghar lauta.
govardhan bhi gupt rehte hue wahan pohnch gaya. karanveer nahi janta tha.. har basti me koi na koi bikao ladki hua karti ha. koi na koi paiso ke liye kuchh bhi kar jaya karti ha.
raja thakur ki basti ki ladkiyon ke ek ladki thi.. gauri.. gauri naam ki ladki pehle se hi govardhan ki gupt rakhel thi. jab bhi govardhan basti lauta karta tha. dono rang raliyan manaya karte the.
karanveer ko phansane me gauri ne govardhan ka sath dene ki haami bhar li.. gauri ko govardhan se maze to mil hi rahe the. paisa bhi mila toh woh inkaar nahi kar saki.
govardhan par jawani bhi toot kar aai thi. gauri bhi khub ras bhari thi. govardhan ke sath uski khub nibh rahi thi.
karanveer haveli pohncha toh govardhan aur uske parivar wali ghatna usay maloom nahi padi. sab uski padhai ko leke baaten karne lage. govardhan wala kissa sab bhule hue the. karanveer kuchh din rehta toh khud jaan jata..
agle din karanveer basti me nikla toh govardhan ko pata chal gaya. govardhan ne ek ladke se kah kar karanveer ko wahin bulwa liya.. wahan gauri bhi aa gai. us samay govardhan gauri ke sath masti kar raha tha. karanveer wahan govardhan ko maze karte dekh kar hasne laga.
govardhan ne karanveer ko bhi sath shamil hone ke liye bola toh karanveer heran ho gaya. karanveer inkaar karne laga. par kaise bhi karke govardhan ne karanveer ko gauri ke liye raazi kar lia..
govardhan janta tha, karanveer zayada sochne wala ladka nahi ha.. godardhan is baat par bhi khush tha. karanveer abhi uske baare me, uske parivar ke baare me kuchh nahi janta..
govardhan gauri ko ishara karke karanveer se kuchh der me aane ka bol kar nikal pada..
karanveer aur gauri baaten karne lage.. dhire dhire gauri bhi karanveer ke sath khulne lagi. gauri badi rasbhari ladki thi. ramakant thakur ke rehte karanveer ki himmat nahi thi. woh apne ilake ki kisi ladki ke sath maze kar sake. woh janta tha, galti se bhi pakda gaya toh saza badi sakht milegi usay..
par govardhan uska dost tha. gauri uski basti ki thi. woh samjha, sab razamandi se ho raha ha. isliye woh gauri ke sath aage badhne laga.. karanveer nahi janta tha, uske sath kya khel khela ja raha ha..
gauri aur karanveer aage badh paate.. usse pehle hi raja thakur wahan pohnch gaye.. usay deh kar karanveer ghabra gaya..
karanveer : bhai aap..??
karanveer ghabraya bhi aur heran bhi bada hua.. usay andaza hi nahi tha uska bhai wahan pohnch jaayega..
raja thakur ko karanveer ki rangeeniyo ki khabar raha karti thi. shahar ki baat aur thi, par yahan basti me.. raja thakur kaise apne bhai ko aise ghatiya kam karte dekh sakta tha.. karanveer nahi janta tha. par raja thakur hamesha karanveer par nazar banaye rakhta tha. aaj bhi uske do admi karanveer ke piche the..
jaise hi karanveer ko ek ladka govardhan ke paas le gaya. foran hi raja thakur ko khabar kar di gayi thi.
raja thakur : kisi ke rachaye shadayantr me phasne ja rahe the. kitni baar kaha ha tujhe.. hosh se kaam liya karo..
ye sunkar karanveer heran ho gaya..
gauri thar thar kaanpne lagi thi..
wahin govardhan kuchh fasle par us makan par nazar banaye hue tha. jaise hi usay raja thakur aate dikhe woh samjh gaya. uska plan fail ho gaya tha. woh foran wahan se bhaag lia tha.. usay ghussa toh boht aaya tha, raja thakur par.. par kar bhi kya sakta tha.
fir kabhi sahi.. aisa soch kar woh wahan se khisak lia tha.
karanveer : (shocked) shadayantr..??
raja thakur : haan! shadayantr!
raja thakur fir govardhan ke parivar baare sab batane lage.. karanveer sunkar dahal utha. laxmikant ki maut ka sunkar woh khud ko saanp se dasta hua mehsus karne laga tha. gauri ko dekh kar gauri ke sath shadi ka scene bhi woh pal bhar me dekh gaya tha..
karanveer raja thakur ko sorry bolne laga. usse gale milke thanks bhi kahne laga..
gauri raja thakur ke pairon me gir kar jaan bakhshi ki bheek mangne lagi.. karanveer ne gauri ko ek thokar maar kar door kar dia.. usay bada ghussa aa raha tha gauri aur govardhan par..
bad me raja thakur ne gauri ke parivar ko ghar aur khet ke paise dekar wahan se chalta kar dia tha.. yahan rehti toh kisi aur ke sath koi ghatiya khel khel jaati.
uske baad bhi govardhan baaz nahi aaya. woh apni sazishon me laga tha..
karanveer govardhan se bach ke rehne laga. dimag me kamm tha, power me nahi.. govardhan ne bhi fir kabhi karanveer ka saamna nahi kiya.. karanveer uske kaam ka tha.. ab direct toh woh kuch nahi kar sakta tha..
govardhan plan me badlaao le aaya..
usi gaon me reh rahe ek parivar ke door ke rishtedaron ko apne sath milaya.. unki ek beti thi rekha.. jo baad me karanveer ki pehli patni bani.. usay apne sath mila kar karanveer ke liye chara banaya jane laga.. rekha ko karanveer ke liye usi basti me rehne ko bol dia.. wahi reh kar karanveer par dore daalne ko bol dia.. is kam me rekha bohut aage thi.
rekha badi sundr ladki thi. karanveer uspar sach me hi lattu hone laga.. kuch aisi hi kalaon se bhari hui thi rekha..
is baat ke chalte ghar par karanveer ke sath sakhti barti jaane lagi. baat zayada galat bhi nahi thi. bas karanveer ko samjha hi sakte the. karanveer is baar raja thakur ya kisi ki bhi nahi sun raha tha. woh kisi bhi haal me rekha se shadi karna chahta tha. aisa hi rekha ne usay apni adaon me uljha liya tha..
par shadi toh woh nahi kar sakta tha. aisa koi bhi hone nahi de sakta tha.. vansh ko aage badhane ke liye saamne wala thakur ho ya na ho. par nasli khandan se zarrui hona chahiye.. aisa isliye tha, kyunki parivar ke sabse bade bete ko raja thakur banna padta tha. logon ki bhalai ke liye jeena marna padta tha.
aisa hi niyam purjavu ne banaya hua tha.
zamana badal raha tha. par raja thakur parivar me aisa koi badlaao nahi aa raha tha. karanveer baghawat par utar aaya.. aur rekha ke sath sab chhod chhad ke nikal pada..
govardhan ko adhi kamyabi mil gayi thi. par puri nahi mil paayi.. karanveer apne hisse ki daulat ko bhi thukra aaya tha. rekha se shadi kari toh baad me rekha ne bohut kaha, wapis laut kar apne hisse ki daulat wapis le le.. par karanveer mand budhhi hi nahi, adiyal tatto bhi tha. wapis nahi lauta.. rekha ke peeche govardhan tha. par rekha karanveer ko apni adaon me to phaans gayi. karanveer ko wapis laut kar apne hisse ki jayedad lene par majbur nahi kar saki.
agar aisa hota toh govardhan usi paise se raton raat ameer ho jata.. par yahan aa kar govardhan fail ho gaya..
govardhan ke kehne se rekha ne karanveer ko kuchh aisa khila dia.. jiske khane se 2 hi mahino me karanveer baap banne ki kshamta kho betha.. rekha aur uska parivar govardhan ke isharon par naach raha tha. rekha bhi maa banne ke liye tarah tarah ke logon se chudne lagi.. aisa usay govardhan ne bol dia tha. woh chahe toh kisi ke bhi bachhe ki maa ban sakti ha.
govardhan ko shakuntla mili toh govardhan ka khel badhiya se aage badhne laga. shakuntla budhhi me govardhan se badhkar thi. shakuntla randi nahi thi. par randiyon se badhkar dimag uske paas tha. govardhan aur shakuntla ka sath achha chala..
fir aisi chaal chali, shakuntla ki shadi karanveer se karwa di.. bina shadi ke karanveer shakuntla ke kabze me nahi aa sakta tha..
govardhan sala shadi nahi kar saka tha, fir bhi baap ban gaya tha. bina shadi ke hi woh apne asli bachhu ka baap bankar rehne laga.. aur ye baat shakuntla ke bachhe jo govardhan se the.. sab jante the. woh bhi un dono ke jaise hi bane.. sab milkar fir govardhan ke khel ko aage badhane lage..
sonali kuchh kam dimag wali thi. kam zahreeli thi.
rupali number le gayi toh uske liye plan bana kar usay raja thakur ki bahu bana dia gaya..
govardhan ke shakutla se teen bete the.. jinka zikr baad me aayega..
{::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::}
sonali bhi khun ke ansu ro rahi thi. woh soch bhi nahi sakti thi. uski ankhon ke saamne uske dono beton ko jaan se maar diya jaayega. woh bhi itne bhayankar andaz me. dono ke saron ke cheethde udaa diye the daksh ne.
sonali ek maa bhi thi. koi bhi maa apne jigar ke tukdo ka aisa haal nahi dekh sakti thi.
sonali ke andar rupali jitni sahn shakti nahi thi. rupali jitna zeher bhi nahi tha uske andar.. par thi woh bhi ek saanp ki beti, ek naagin ki beti.
karanveer ke bete (jo keh karanveer ka beta nahi tha) se mohabbat kar bethi thi. apne mission ko anjaam dene ke liye bhi usay shadi karni padi thi. badla bhi chahiye tha aur raja thakur ka paisa bhi.. isliye sab apni life maze se jeete hue khel me shamil rehte hue apne apne hisse ka kaam karte rahe..
uska pati uske parivar ke jaisa nahi tha. uske bete bhi uske pita ke jaise nahi the.
hote toh aise youn lacharon ki tarha se nahi marte.
ab mar chuke the toh sonali ke liye sahn karna mumkin nahi raha tha. jaise maut uske beto ko mili thi. woh pagal ho gayi thi. uske andar ka zeher bhi bhayankar had tak badhne laga. woh khunkhar andaz me ek ek ko dekhne lagi..
par aag toh aaj sab ke andar jal uthi thi.. jis jis ne daksh ko doshi maana tha. woh sab aaj badle vicharon ke sath khade the..
karanveer ke naam ke bete aur betiyan, unke bachhe ab apne anjaam ko soch kar chintit the.. jaise maut do ko mil chuki thi. unhe bhi aisi hi maut milegi. soch kar toh kaiyon ka moot hi nikal gaya tha..
raja thakur ke parivar ke sabhi sadaso ki halat bhi bohut buri thi.
jaisa sab hua tha. jaisa daksh ne kar dikhaya tha, jaise roop me daksh unke saamne aaya tha. kisi ke liye yakin karne layak nahi tha. daksh toh ek pyar karne wala ladka tha. pyar pana aur bantna uska dharam tha. ladna janta tha, sheron ki tarah jeena janta tha. par aisa toh woh kabhi nahi tha.. rupali wale matter ko side kar dia jaye toh daksh bohut khaas tha. par aisa darinda to woh nahi tha..
payal singh, rohini singh aur sab daksh ka darindgi wala roop dekh kar dehshat me aaye hue the..
payal singh, rohini singh daksh ke liye nafrat bhul kar daksh ke roop ko hi dekhti reh gai thi.. kaise daksh ne sabke saamne rupali ko randi bola, kaise usay sabke saamne zalil kiya.. kaise uske parivar ki pole kholi, kaise rupali ki bhabhi ko rupali ki bahan kaha.. kaise rupali ke bhanjo ke sar udaaye..
daksh ko aise roop me dekhne ka toh woh soch bhi nahi sakte the.
daksh shimuna aur rupali ke sath wahan se ja chuka tha. par sabke moh abhi tak khule hue the. sab ke sab jaise mahaul ke trance me the..
sonali aur kuchh dusre ro rahe the. raja thakur aur karanveer ek sath khade hue is sari situation par sadme me the..
bua, uska beta aur betiyon ki halat bhi bohut patli thi..woh bhi daksh ki darindgi dekh kar kaanp uthe the..
paridhi jo pehle daksh ko dekh ke khush thi. bad me woh bhi daksh ki daringdi dekh kar dahal uthi thi. par woh jald hi normal bhi ho gayi.. jo dekha tha, bohut bohut bhayankar tha... do do sar uske saamne hi udaye gaye the. woh ek ladki thi, nazuk dil wali thi. uske liye aise scene dekhna asaan baat nahi thi. par pehle bhi toh isse badtar scene dekh chuki thi..
apne bhai ko zaleel o khuwar hoke haveli se nikalte dekh chuki thi.. jaisa uska bhai ke sath hua tha. jaisa abb hua tha, paridhi ko ye sab pehle wali ghatna se bohut kam laga. woh jald normal ho gai. wo bohut zayada ghusse me bhi aa gai thi..
daksh jo shotgun wahin chhod gaya tha.. paridhi ne woh shotgun utha li.. paridhi ko aise roop me aate dekh kar sab firse heran hone lage..
sabki tantra tooti aur ab sab paridhi ko dekhne lage..
paridhi shotgun ko load karne ke baad ghumi aur apni maa, dadi aur payal singh ko dekhne lagi. paridhi ki ankhen nam thi. ek dard bhi tha.
paridhi : (cheekhti hui) sunaa aap sab ne.. sunaaaaa....aap...sab...ne.. ab aaya yakin mera bhai begunah tha.. usne koi gunah nahi kiya tha. hamari chachi woh nahi ha, jo dikhti thi.. woh plan se hamare parivar ke shamil hui thi. plan se hi sab kuchh karti chali gayi thi. us samay bhi kuchh aisa hi hua tha.. sunaa aap sab ne. us samay bhi kuchh aisa hi khel racha gaya tha. ek khel ka parda fash toh kar dia bhai ne.. rupali chachi ke khel ka parda faash main karungi...
paridhi ki baaten sunkar rohini singh aur payal singh ke sath sath dadi ka sar bhi jhutka chala gaya tha.. woh bhi ab samjh rahe the.
payal singh ke sath alka ki haveli me ek khel khela ja chuka tha. jisme woh bal bal bachi thi.. ab usay 100% yakin hone laga.. kuchhh toh gadbad thi...
paridhi ghumi aur shotgun ka rukh vinay ki aur kar dia.. vinay pehle hi payal singh ki maar ke kaaran lahulahan tha.. woh paridhi ko apni aur shotgun karte dekh kar ladkhada gaya. usay laga ab uska sar udne wala ha.
paridhi : boolll vinnnnnnnnayyy... main firse apne sawal ko nahi dohraongi. bol de.. jo bhi janta ha.. sabb bol de.. warrrrna....warna tera sar main bhi nahi rahega tere kandhun par...
paridhi aisi kabhi nahi thi.. gun chala leti thi. par aise khunkhar roop me woh kabhi nahi aayi thi..
vinay thar thar kaanpne laga : hhh..haaannn..haannnn...daksh ne koi galti nahi kari thi.. ww..woh..woh..woh nirdosh tha. sab planned tha..
paridhi ne sunkar sabko dekha.. sab ko firse shock laga tha. rohini singh ki ankhon se ansu bahne lage toh payal singh ka jhuka sar uthta chala gaya. woh jahan sharamsar thi, apne bhai par aarop laga kar usay rapist bol gai thi. ab sab jaan kar woh bhi chandi devi ke roop me aane lagi.. woh aage badhi aur ek gaurd se gun lekar vinay ko shoot karne hi wali thi..
paridhi ne ek hawai fire kar dia.. payal palat kar usay dekhne lagi.. payal singh ki ankhon me khun utar aaya tha..
pridhi : hahaha.. waahhhh kyaaa baat ha didi.. aap vinay ko saza dene ja rahi han.. vinay ko saza dengi, parachi, richa ya fir chacha ji ko saza dengi.. kis kis ko saza dengi aap.. in sab ko saza dengi aap... aap bhi toh saza paane walun ki list me shamil han.
payal singh ne suna toh gun uske hath se chhoot gayi.. woh wahin ghutno par gir padi.. uska mann hone laga woh cheekh cheekh kar itna roye, itna roye, dharti phat jaaye..
pehle jaise rupali aur sonali zameen par takren maar rahi thi. waise hi woh bhi takren maarne lage. aisa payal singh ka mann hone laga tha. rupali aur sonali toh khud ko sambhal gayi thi. par payal singh kaise khud ko sambhalti.. asli dard kya hota ha, aaj usay pata chal raha tha..
aisi hi halat rohini singh ki bhi thi.. woh ek maa thi. apne hi bete ko balatkari bol gayi thi. usay begunah hote hue bhi apni nazron se door hone ke liye bol gayi thi.
arjun singh aur daksh ke bhai aviraj, un dono ki ankhon me bhi ansu aa gaye. jhuke sar ke sath woh ansu bahane lage.. woh apna sar nahi utha pa rahe the. ab sach saamne aaya tha toh khun ke ansu rone lage the..
wahin bua aur uske bachhe khush the.. dadi ki halat bhi bohut kharab thi.. usay bhi apni soch bhi afsos hone laga tha.. kaise woh apne pote par itna bada aarop laga bethi thi...
arjun singh aage badha aur vikram singh ke saamne ja pohncha...
arjun singh : villlkrammm mere bhai ho kar bhi tum mere sath itna ghinona khel khel gaye..
arjun singh kuchh aur bolta.. paridhi bol padi...
paridhi : papa aap piche hat jayen. koi bhi sawal mat karen aap ya koi bhi..
arjun singh ne ghusse se paridhi ko dekha : tum apni had bhul rahi ho paridhi.. bohut bolne lagi ho tum aaj kal..
paridhi ne raja thakur ko dekha toh raja thakur kuchh nahi bole. woh khali nazron se paridhi ko dekhne lage... woh bhi toh bolne layak nahi rahe the.. woh bhi toh apni zindagi ki pehle aur sabse badi galti kar bethe the..
paridhi : us din bhi mujhe bolne nahi dia gaya tha papa. us din mujhe khul kar bolne ka moka diya jata toh aaj ye din na dekhna padta..
paridhi guard incharge se : mardon aur mahilaon ko alag khada kar dia jaaye.. mardon ke hath piche ko bandh diye jaaye.
foran hi hukam ki tameel ki jane lagi. kuchh der me mard alag aur mahilayo ko alag kar dia gaya..
wahin sab ne jaana govardhan ke baare me..
rekha ko sab bolna pada.. sari haqiqat kholni padi.
karanveer sab jaan kar khud par lanat bhejne laga.. umar bita di, ek randi ke liye. apne parivar se bhi door raha.. baap bhi na ban saka.. kitna zulm kiya tha usne khud par..
raja thakur ke pairon me gir kar usne apne sabhi gunahun ki maafi mangi.. raja thakur ki nazron me karanveer gunahgaar nahi tha..karanveer toh khud govardhan ke zulmo ka shikar hota aaya tha..
sab ka faisla baad me karne ke liye sabko wahan se bandi khane le jaya gaya.. haveli ke andar hi ek mini jail bhi bani hui thi.. aisa intezam bhi wahin maujud tha..
vinay, vikram singh aur parachi ko unki pehle wali jaga par bhej dia gaya...
wahan ab raja thakur aur parivar wale hi khade reh gaye the.. sab ek dusre ko dekhne ki taqat kho bethe the. koi sukun se tha toh bas paridhi aur bua parivar tha...
paridhi ne raja thakur ko ishara kiya.. raja thakur apne bhai karanveer ko sath liye haveli ki or badh gaye..
paridhi ne abhi tak ghutno par bethi payal singh ko dekha.. paridhi firse hass kar payal singh ka mazak udane lagii.. uske baad paridhi ne apni maa, dadi, papa aur bhai ko dekha..
jinke sar toh ab nahi jhuke the. par unki ankhen ab paridhi ki ankhon me dekhne ki taqat kho chuki thi... sab ke sab apni hi nazron me gir chuke the...
paridhi bua parivar ke sath milklar haveli ke andar jaane lagi...
rohini singh mann me.... paridhi tum behan hokar jeet gayi.. aur main maa hokar bhi haar gayi.. kitna atoot vishwas tha tumhara apne bhai par.. aur main ek maa hokar, woh bhi daksh jaise bete ki maa ho kar andhi ho gayi.. apne sher jaise bete par vishwas nahi kar paai.. kyun main bhul gayi thi. barson hi toh main daksh ko dekh kar kahti aai thi. bhagwan ne daksh ki maa bana kar mujhe dunya bhar ki daulat de di ha. daksh jaisa beta bhi toh kismat wali maaon ko milta ha.. kaash main mand buddhi na banti.. kaash main bhi paridhi ke tarah apne bete par vishwas banaye rakhti toh aaj main apne jigad ke tukde ki nazron me na girti.. ek maa hokar apne hi bete ki nazron ka ab main kaise saamna kar paaongi..
rohini singh ko laga.. jaise uske dil me nanha sa khanjar bar bar uske dil me chhed kar raha ha.. aisa hi dard uske dil me hone laga tha..
aisa hi haal arjun sungh aur aviraj ka tha.. jawan beta aur jawan bhai toh ideal hua karte han. ek baap ke liye beta jawan ho, kaabil ho, sanskaron wala ho. ek sher jaise kaleje wala ho. baap ka toh sar garv se itna uncha ho jata ha... kaise woh vishwas nahi bana paye the..
arjun singh bhi khun ke ansu rone lage..
abiraj ne direct daksh ko galat nahi kaha tha. par mana toh tha. uske liye fight toh nahi kari thi.. woh bhi khud ko kasurwar samjhne laga..
payal singh ki halat shayad rohini singh se bhi badtar thi.. uski ankhon se bohut kam ansu bah rahe the.. uske ansu toh uske dil par fir rahe the... dekhne wala ye kah sakta tha. payal singh ko apni zindagi ke sabse dard bhare palon se guzrna pad raha ha..
usay bhi ab daksh ke sath bitaya ek ek pal yaad aa raha tha.. ab woh khud ko galiyan de rahi thi. daksh jaise bhai ki behan hone par garv karne ki bajaye usay ek hawasi darinda bol dia tha.. payal singh hi thi. jisne daksh ke moh par thuka tha. itna toh alka bhi nahi bol paayi thi. jitna payal singh boli thi. itne thappad toh kisi ne nahi lagaye the daksh ke gaalon par, jitne payal singh ne lagaye the..
daksh ke sath bura bartao karte hue woh hosh me hi nahi thi. usay bada dukh hua tha, uska bhai itna cheap niklega. woh soch bhi nahi sakti thi. sab live bhi toh dekha tha usne .. kaise uspar yakin kar paati.. isliye woh sab kar guzri thi.. jo mann me aya tha bol gayi thi..
ab sab sach pata chala toh aise dard me aane lagi.. jo woh ya aur soch bhi nahi sakta tha..
payal singh uthi aur sab ko aise dekhne lagi.. jaise woh pagal ho chuki ho.. uski ankhon ke ansu bahar na bah kar andar bah rahe the.. sabko laga, jaise payal pagal ho gayi ho. payal sach me hi hosh mandon ki dunya ki ladki dikhai hi nahi de rahi thi.
payal singh apne pairon ko ghasitte hue haveli ke sabse veran area me jaane lagi.. uski himmat hi nahi ho rahi thi haveli ki aur jaane ki..
kaise woh daksh ka saamna kar sakegi..
ye chand shabd uske brainwa me bar bar ubharne lage.....
.
.
.
.
.
.
Aaj Ke Liye Itna Hi Mitro! Milte Han Agle Episode Ke Sath Jald Hi..
::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::
Bahut hi khatarnaak khel khela tha Govardhan ne aur shikaar bhi bilkul sahi chune the, pahle Karamveer aur baad mein Vikram. Ek mandbuddhi aur doosra lalchi. Magar kahte hai naa ho hota hai achche ke liye hota hai. Agar us din DK ke saath chachi waala kaand nahi hua hota to shayad ye Raaj kabhi khulta hi nahi aur Govardhan Raja Thakur ke poore parivaar ko khatam kar chuka hota.
Magar ab baaji palat chuki thi aur DK ab Samraat ban chuka hai aur uske saath uski 5 shaktisaali ardhaginiya bhi hai aur sabse uper to Shimi hai jo uske liye jaan de bhi sakti hai aur le bhi sakti hai.
Ab Raja Thakur ke poore pariwar ko pachtawa ho raha hai magar ab kuch ho nahi sakta kyonki us maasom Daksh ko to in logo ne khud hi maar daala aur ab jo saamne hai uske ander pyar khatam ho chuka hai. Bahut hi dhamakedaar update.