Episode:39
natasha ka QUEEN ke roop me khul kar saamne aaya uske liye, uske parivar ke liye achha nahi hua tha.
natasha jaan gayi. ab uske parivar ke liye khatra badh jayega. jabki woh aisa nahi chahti thi. par experience na hone ke kaaran woh galti kar bethi thi.
ab firse koi aur galti nahi karna chahti thi. pehle hi barson se apne parivar se door rahi thi. sath me sanjana bhi sabse door ho gayi thi.. ab jaise halat ban chuke the, woh apne parivar ke kisi sadasy ko khona nahi chahti thi.
QUEEN ko paane ke liye, apne under lene ke liye dushman kuchh bhi kar jaate.. uske kisi bhi payare ko apni custody me leke usay majbur kar sakte the..
josh me aate hue usne ek galat kadam utha liya tha. ab koi aur galat kadam nahi uthana chahti thi.
raat hui toh natasha QUEEN bankar, invisible hokar pure area ko search karne lagi. usay pata chala, kai ORG ke agents aur gunde uske ghar par nazar banaye hue han.
matlab....
ek baar firse usay koi khona nahi chahta tha. ORG wale nahi chahte nahi chahte the. QUEEN na kahen toh natasha ek baar firse unki nazron se ojhal ho sake. woh na sahi toh uske parivar ka hi koi sadasy unke kabze me aa jaye.. pehle shoes wala matter tha toh ab invisibility ke chalte sab uske piche pad gaye the.. shoes dwara QUEEN ud sakti thi. toh invisibility usne kaise prapt kari.. sabke liye ye baat sabse badi value rakhti thi.
matlab udne se bhi khaas chij thi. kisi ko dikhaai na dena..
natasha ke liye badi azmayesh khadi ho gayi thi.. apne parivar ko bachane ke liye usay badi mehnat ki zarurat thi..
yahan badli situation dekh kar woh kuchh ghabra bhi gai thi. sab sochte hue usay pasina aane laga tha.
ek galti.......
uske parivar ka koi na koi sadasy ya toh maara ja sakta tha. ya fir dushmano ke kabze me ja sakta tha. ab dushman itne the toh sabko jaan pana mumkin bhi nahi tha..
badi himmat ke sath QUEEN ne apni feelings par kaabu paaya aur pure area ko search karke wahan maujud gangsters ko khamoshi ke sath khatam karne lagi.. badi saavdhani barat rahi thi QUEEN..
ek ghatne me hi woh aas paas ke sabhi gundon ko khatam kar chuki thi. fir wahan se cctv cameras ko bhi tod phod kar woh kai gaadiyon me apne parivar ko sath liye wahan se nikal padi..
jab cctv par QUEEN ka hamla hua toh QUEEN dikhai nahi de rahi thi.. aise samay par un cameras dwara nazar rakhe hue ORG aur gangsters wale hadbada gaye..
jitni der me woh sab saavdhan hue.. jitni der me woh sab apne admiyon ko check karne me lage rahe.. jitni der me naye admiyon ko mission par lagaya gaya.. QUEEN sabke sath wahan se furrr ho chuki thi..
ek badi galti ke baad QUEEN ne dusri galti nahi kari thi.. badi safai se apne parivar ko sabse bacha kar le gayi thi..
itni jaldi woh india se nikal nahi sakti thi. aise hi apne parivar ko island par nahi le sakti thi. special plane lejana padta aur fir wahan plane ke liye landing place bhi nahi thi.. plane se jane par woh sabki nazron me aa jati..
ye baat badi khatarnak thi...
ab samudri raste se hi le jaya ja sakta tha. uske liye bade major plan ki zarurat thi. par ab QUEEN koi galti nahi karna chahti thi.. sukun se sab kaam karna chahti thi..
shahar se bahar ek haveli me sabko lekar woh pohnch gayi.. haveli usne pehle hi search kar li thi.. ab woh kisi had tak relax thi..
sanjana ne uske sath jaane se inkaar kar dia tha.. usay apne hi desh me rehna tha. apne hi desh ki seva karni thi. apne hi desh ke croro zarurat mando ke dard ko bantna tha..
sabne bohut kaha par...
sanjana : mummy! mujhe kuchh nahi hoga. jaise MAA ne ab tak meri raksah ki ha. jaise ab mujhe aap sab se milaya ha. vaise hi aage ki life me meri aap sabse jude rehte hue hi beetegi. ab desh ko, dharam ko meri zarurat ha toh main swarthi nahi ban sakti maa.
mujhe jab tak jeena ha, apne liye nahi, aapke liye sabke liye, desh bhar ke lakhon croro masoomo, bakaso aur lacharon ke liye jeena ha. mera asal safar aur laksh toh ab shuru hua ha maa. SANJANA MAA mujhe aise hi nahi bana dia gaya ha. ye sab MAA ki kripa ha. desh ko aise samay par zarurat bhi ha ek MAA ki.. aap sab mujhe mil gaye, meri zarurat aur har chah puri hui. aise hi aap sab ko main aur didi bhi mil gaye han toh aap sab ke dilon ko bhi sukun mil gaya ha. aap sab ke dilon ka dard bhi khatam ho gaya..
ab MAA ne hum sab ko sukun wali life jeene ko di ha. toh jinki life me sukun nahi ha. unke liye bhi toh kuchh hona chahiye na..
sanjana ne bade pyar se ye shabd bole the. aur aise bole the. sab sun aur samjh kar parsann hue..
mummy : sahi kaha tumne sanjana beti.. main bhi swarthi hokar sochne lagi thi. mujhpar toh MAA ne sabse badhkar kripa kari ha. main toh jaanti bhi nahi thi. meri beti zinda bhi ha. aise me MAA ne tujhe mujhe lauta kar woh khushi di, jiski kabhi maine kalpana bhi nahi ki thi. tum jio apni zindagi beti.. sach kaha tumne.. desh me aur bhi kai maayen preshanhaal han. jaa unke preshaniyan door kar. kisi ke jigar ka tukda usse door ha toh usay uski maa se mila kar us maa ko sukun de.. usay sukh de, uski zindagi me bhi hamare jaisi khushiyan aayengi toh mujhe aur sabko behad khushi hogi. MAA ne aaj tak tumhari raksha kari ha. tumhe itna bada mukam bhi dia ha toh aage bhi MAA tumhari raksha karegi aur tere mukam ko badhayegi..
sab sunkar aur bhi parsann hue.. sab kuchh na kuchh bolne lage..
QUEEN meethi nazron se sanjana ko dekh rahi thi... woh janti thi, uske jaise sanjana ki life me seedhi nahi hone wali.. jitni khushiyan mil rahi han. utni hi kathnaiyan bhi aane wali han. par sab uparwale ke aashirvad se achha hi hota chala jaayega. us maksad me unhe safalta milti jayegi..
sanjana baaten karti hui apne dada ji ke ghutno se lagi bethi hui thi... bethe bethe hi uske mann me jaane kya aaya tha woh baaten karte karte apne dada ke ghutmo ko bhi masalti gayi thi.
dada jo uski baaten sun rahe the. woh apne andar energy si badhte hue mehsus kar pa rahe the.. sanjana aur uski maa ki baaten khatam hui toh woh uthe aur sanjana ko bhi thaam kar khada kar dia..
sab dekh kar heran hue toh dada ne sanjana ke mathe ko chum kar gale se laga liya.
sab khushi se cheekh pade the..
dada ji theek ho gaye the..
sanjana bhi dekh kar heran ho gai thi. woh bhi badi khush dikhne lagi thi.
dada : tum sach me KALI MAA ka avtaar ho sanjana beti.. tumhara janam zarur kisi bade karye ke liye hua ha. ab main kuch kuch un mahaan gyani ki baaton ka arth samjh raha hon. bohut si baaten tab jo meri samjh me nahi aayi thi. ab aa rahi han.
parivar ke bade bhi mahaan gyani ki baaton ko yaad karne lage.. unhe bhi lagne laga tha. QUEEN aur SANJANA ka unse door hona kisi bade maksad ke liye tha..
sab ko asli khushi prapt hone lagi. sab khud ko andar se mehakta hua mehsus karne lage...
sanjana agli subah sabse juda hokar wahan se bohut door ke ek bade mandir ki or nikal padi thi. usay apni koi chinta nahi thi.. uski raksha karne ke liye MAA KAALI uske sath thi...
QUEEN bhi apne parivar ko safely mumbai lejaane ka intezam karne lagi.. woh ek genius ladki thi. pehle din apne parivar se milne ke chalte hue dimag se soch nahi paayi thi. ab woh ek ek baat par bohut dhayan de rahi thi.. ek ek point par bohut achhe se vichar kar rahi thi...
raat woh apne island par bhi ek chakkar laga aai thi. wahan se kuchh saman bhi woh le aai thi..
{::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::}
live streaming ke kaaran ek baar toh puri dunya me tahalka mach utha tha.
SANJANA MAA ne school me jo kiya tha. us kaaran dunya bhar me charcha hone lagi thi. SANJANA MAA Ko ek brave girl ka naam dia gaya tha..
wahin baad me SANJANA MAA aur narasha bachpan se hi apne parivar se door rahi han. sab jaan kar heran hue the..
asal herangi toh tab badhi thi. jab pata chala tha. NATASHA hi QUEEN ha..
wahin jab SAMRAT bhi wahin maujud paaya gaya toh aur bhi tahalka mach utha.. puri dunya ki nazren india par lag gayi thi..
puri dunya india ke teen STRANGERS ko live dekh aur sun rahi thi..
SANJANA MAA ka bhayanak roop kuch kuch sab live dekh chuke the. par SAMRAT ne jaisa khel minister aur narain mishra ke mote ke sath khela tha.. dekh kar jo jahan betha hua tha. apni pant geeli kar gaya tha..
bohut se ab bhi ise sach nahi maan rahe the. sab ise koi bohut badi game bhi bol rahe the..
bohut se SAMRAT ke liye pagal ho uthe the. woh sochne lage, SAMRAT unhe mil jaaye toh unki life set ho jayegi.. woh dunya ke KING ban sakte han..
HAHAHA...
SAMRAT yaani ki king ko apne wash me karke khud KING banne ka soch rahe the.
SAMRAT toh khud dunya ka bana banaya king tha...
wahin RPO ka pura structure komal ne bigad kar rakh dia tha. unke political se jude hue kuchh logon ne kuchh alag alag kisam ke bayan zarur diye the. par zayada baat nahi kari thi..
BAO wale khul kar nahi bole the.. woh apne hi kisi plan par charcha me lage hue the..
underworld hamesha ka lalchi raha ha.. woh sanjana, natasha ya fir samrat teeno me se jo bhi mil jaaye. usay sath milkar aur bhi powerfull banne ki sochne lage the..
bohut se QUEEN's house par nazar banaye hue the..
baad me...
jab QUEEN ne apna khel khelte hue safely sabki nazron se bachate hue apne parivar ko kahin le gai thi. woh sab hath malte reh gaye..
kahin to koi ye bhi bola tha..
SAALA QUEEN KO KAISE KOI APNE KAABU ME KAR SAKTA HA.. WOH TOH KISI KO DIKHAI HI NAHI DETI.
india khush bhi tha aur nahi bhi..
bohut se indian khush the toh kuchh ki raton ki ninden udi hui thee. woh apne liye khatra mehsus karne lage the.
SAMRAT...
QUEEN....
SANJANA MAA....
in teeno se kaise bachenge.. teeno ke khul kar saamne aane ke bad bure log bure karam khul kar nahi kar sakte the...
{::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::}
Devdhar Palace ka security chief desh ke halat dekh kar preshan ho gaya tha..
devdhar toh khud chaap me laga hua tha. security chief ko ladkiyon ke intezam ka bola hua tha.. par SAMRAT ke aa jane se sara khel bigadne laga tha.. chief kisi se mashwara bhi nahi kar sakta tha..
sab usse niche the.. devdhar usse upar tha. uska malik tha. shaitani takto ka maalik tha.. wahi usay koi best mashwara de sakta tha.. par woh apne chaap me magan tha. chaap chhod kar chief ko koi salah nahi de sakta tha..
ab bechara chief jitna dimag rakhta tha.. utna hi uska upayog kar sakta tha..
desh bhar me kai supplliers ke paas se ladkiyon ko police ne recover kar liya tha.. ab SAMRAT aa gaya tha toh kaise aur ladkiyon ko kidnap karke palace me laaya jaaye.
ye soch kar chief behad pareshan tha..usay koi sujhaao nahi mil raha tha..
raat ke 1 baje usne PM ko call ki..
PM toh number dekh kar foran hi uth betha.. abhi abhi woh kuchh der sastane ke liye leta tha.. din bhar desh me jo jo hua tha. uspar bol bol kar woh bohut thak gaya tha..
devdhar ke security chief ka number dekha toh ghabra gaya..
saala ek PM hokar ghabra gaya tha.
kya karta.. devdhar ki dehshat thi hi itni.. devdhar saala bade bade netao ko apni kaali shakiyon se dara chuka tha..
PM : jjj...ji..ji
chief ghusse se : dekho PM.. mujhe kisi bhi haal me apne maalik ka kaha pura karna padta ha.
PM : mm..main matlab nahi samjha aa..aapka sir!
chief : jitni bhi ladkiyon ko aaj ke din recover kiya gaya ha.. woh sabki sab mujhe chahiye.. un ladkiyon me se mujhe kuchh ladkion ki fori zarurat ha. mujhe matlab mere maaalik ko.
PM : par aap ko un ladkiyon se kya lena ha.
chief : prashn mat utha kutte.. jitna kaha ha utna kar.
PM ko bada ghussa aya. par woh kuchh bol nahi sakta tha. kaise bolta. devdhar uske sath sath uske pure khandan ki gardane uda deta.. 2 4 live show PM dekh bhi chuka tha. devdhar kitna bada darinda ha. woh bohut achhe se janta tha. isliye devdhar ke security chief ki baaten aur gali bhi sehn kar gaya.
PM : desh bhar me SAMRAT ki jai jai ho rahi ha. woh kahin bhi pohnch jata ha. zarur woh sari ladkiyan bhi usi ke kaaran mili hongi police walun ko.
chief PM ko gaali dete hue : tu firse ulta bolne laga.
PL : iske siva mere paas bolne ko kuchh ha bhi nahi.. main janta hon, maine orders de bhi diye toh bhi kuch nahi ho payega.. SAMRAT ke qahar ko sabne live dekh liya ha. ab aapki nahi manta toh marta hon. manta hon toh bhi SAMRAT mujhe nahi chhodega..
fir jaise woh mann me koi faisle lete hue : aapko kal tak jawab mil jaayega..
PM ne call disconnect kari aur mobile off kar dia...
woh sochne laga : devdhar kali shakiyon ka maalik ha. mere sath sath mere pure parivar ko maar sakta ha. main desh ka gaddar bhi nahi hon. bas devdhar ki kali shaktiyon se dar gaya hon.
nahi mujhe ab nahi darna chahiye.. main na toh buzdil hon aur desh ke against jane wala vyakti. parivar se bhi badhkar ha desh.. devdhar shaitani takton ka maalik ha toh kya hua..
jaisi POWER me ab SAMRAT, QUEEN aur SANJANA MAA aa gaye han. zarur woh sab milkar devdhar se nipat sakte han..
PM ye baat sochte hi harkat me aa gaya.
kuchh der me PM ka bayan tv par dikhaya ja raha tha.
"SAMRAT..QUEEN..SANJANA MAA aap ko aapke desh ke pradhan mantri ka namaskar.. ab se pehle maine khul kar aap sab ke baare me nahi bola.. khul kar bolta toh bahri deshon ke bade bade neta mera bolna hazam nahi kar paate.. par ab mujhe kisi ki koi parwa nahi ha..
ek maamle me main kuchh dar gaya tha..
bada ajib lag raha hoga aap sabko sunkar.. par ye sach ha.. PM hote hue bhi main dar gaya tha.
mera darna banta ha....
dar toh har insan ke andar hota ha. koi khud ke liye darta ha toh koi apne parivar ke liye.. main bhi dar gaya tha. jahan mujhe apni jaan ki bhi chinta hui thi. wahin mujhe parivar ki chinta satane lagi thi. apne desh ke croro logon ki chinta satane lagi thi.
parr...
ab mera dar ja chuka ha. meri jaan jati ha toh jaaye, mera parivar marta ha toh mar jaaye.. main apne hi desh ki bahu betiyon ki izzat ke sath, apne desh ke masoomo ki zindagiyon ke sath kisi ko khelta hua nahi dekh sakta..
mere desh ka koi sanik buzdil nahi ha. haan dushman kahin kahin bohut badhkar han. jinke rehte kaiyon ki himmat jawab de jaati ha. aisa hi ek dushman aur bhi ha hamare desh me..
Devdhar...
devdhar ke baare me adha desh janta ha. woh kali shaktiyon par raj karne wala ek dusht papi ha. kuchh der pehle uske security chief ka fone aaya tha mujhe. in teen dino me jinti bhi ladkiyon ko mere desh ke bahadur sipahiyo ne apni jaan par khel recover kiya ha. devdhar ka chief un ladkiyon ko apne paas lene ki bol raha tha.
main PM hote hue bhi ek aam insan bhi hon. devdhar jaise kaali shaktiyon wale ke sath main nahi lad sakta..
SAMRAT...
SAMRAT, QUEEN aur SANJANA MAA se main kehta hon... devdhar jaise paapi se lad kar desh ki raksha karo.. jo masoom bachhe apne parivar ko wapis mile han. jo meri betiyan apne ghar me wapis lauti han. unhe firse unke apnu se door mat hone dena.. main nahi jaanta aage kya hone wala ha. main nahi janta tha devdhar ka chief kyun mujhse ladkiyon ki demand kar raha tha.
par itna zarur samjh gaya hon. devdhar paapi ha.. kali shaktiyan paane ke liye kuchh bhi kar sakta ha. isliye main hath jodta hon SAMRAT,QUEEN aur SANJAMA MAA ke aage.. mere desh ke bachhu ki aur betiyon ki raksha karo..
PM ki ankhen nam ho gai thi..
wahin jo jag rahe the. jo sun rahe the, sab PM ki baaten sunkar shocked ho gaye. devdhar ke baare me kaiyo ne bohut sun rakha tha. par devdhar itna khatarnak bhi ho sakta ha. kisi ko andaza nahi tha..
PM ki speach baar baar har channel par live dikhai ja rahi thi.. jin jin gharon se bachhe aur ladkiyan kidnap hui thi. woh sab preshan ho gaye.. mann me SAMRAT ko help ke liye bolne lage..
bhagwan ko bhi yaad kar rahe the.. par jaise roop me SAMRAT saamne aaya tha.. usi ko hi bhagwan bhagwan ka autaar kar pukarne lage the..
wahin security chief baazi palatte dekh kar thar thar kaanpne laga.. ghusse se nahi apni maut ki aahat pa kar woh thar thar kaaanp raha tha... usne socha PM se bol kar, usay darra dhamka kar ladkiyon ko firse apne under le sakega..
par hua iske ulat...
woh apne sar thaam kar betha reh gaya.. woh sochne laga, ab toh devdhar jaise hi chaap se uthega.. lakdiyon ki demand karega. ladkiyan puri na dekh kar uska sar kaat dega..
chief PM ki speach sunkar kai baar apni gardan katte hue dekh chuka tha.. itna moot uske ling se nahi nikla tha. jitna pasine uske pure badan se nikal chuka tha..
{::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::}
main ek gaadi me betha haveli se kuchh doori par tha.. din ke 4 baje ka time tha...
driving seat par betha main THAKUR DAKSH SINGH badle hue face ke sath tha.. jaise hi gaadi haveli se 2km ki doori par pohnchi toh rupali ko firse naagin ke roop me le aaya main.
richa uske sath hi bethi hui thi. ab tak woh kuchh bhi nahi samjh paayi thi. woh nahi samjh paai thi. uski maa kyun kabhi meri ghulam ban jaya karti thi toh kabhi ek naagin bankar zehreele shabdo se mujhpar chad daudti thi..
janti thi toh bas itna keh main kaala jadu janta hon. usi kaaran aisa sab kar pa raha hon..
rupali hosh me aai toh idhar udhar dekhne lagi
rupali : richa hum kahan ja rahe han.
richa ne apni maa ko dekha aur moh kar boli
HAVELI..
rupali ghabra kar : kyaaaaaaa..?? nahi.. daksh gadi wapis modo, mujhe haveli nahi jana ha.
daksh : kyun..?? wahan kosna tujhe sooli par latkaya jaane wala ha.
rupali : wahan payal hogi.. wahan raja thakur hoga..
daksh : HAHAHA! dar gayi kyaaa..??
rupali ghusse se : darrr! ek baar mujhe mere parivar me laut jaane do.. mujhe kuchh din ki chhoot de do.. fir tujhe dikhaaongi main, darr kis bala ka naam ha. fir dikhaongi main tujhe. main darr rahi hon ya tum darr rahe ho..
daksh : jahan jaa rahi ho, wahan tujhe tere parivar ko bhi dekhne ka moka milega.
rupali ke sath sath richa bhi jhatke kha gayi.. rupali ka naagin roop ekdumm se jaise badlon ki oot me ja chhupa tha..
daksh : HAHAHA! richa tumhara darna nahi banta.. haveli pohnch kar tujhe sabat karne ka moka diya jaayega. tujhe kuchh aisa karne ko bola jayega, jise tu kar nahi paayegi. agar tu woh sab kar gayi toh tujhe main apne jantar manter me liye bina hi apni ghulam maan lunga..
richa bethi bethi thar thar kaanpne lagi. usay andaza ho gaya tha. main zarur kuchh bhayanak kaam usse karwane wala hon..
rupali toh bas badbadaye ja rahi thi.. mera parivar bhi haveli par pohncha hua ha.. nnn..nahi...nahi..nahi aisa nahi ho sakta.. aisa nahi hona chahiye.. aisa hua toh fir..fir toh sab.. fir toh sab khatam hoke reh jaayega.. kaise main daksh ke chungal se nikal sakungi.. nahi.. nahi.. mera parivar itna kamzor nahi ho sakta.. woh daksh ke chungal me kaise phans sakta ha..
rupali sadme jaisi halat me hote hue badbadane lagi toh main usay dekh kar hasne laga.. richa dari sahmi kabhi mujhe toh kabhi bahar dekhne lagti.. uski jeeb uske honto par aise chal rahi thi. jaise kuttiya garmi ki shiddat se bahaaal ho.. aur door door tak pani bhi na ho..
.
.
.
.
.
Aaj Ke Liye Itna Hi Mitro! Milte Han Agle Episode Ke Sath Jald Hi..
::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::