Episode:33
natasha delhi me thi.
delhi pohnchi toh charon or school wali ghatna ko lekar sanjana ka hi zikr sunne ko mil raha tha. sunkar natasha ko bohut khushi mili..
woh bhi toh ek ladki hi thi. ek ladki ne akele khud ke dumm par sabhi terrorists ko maar kar hazaron bachhu ko bachaya tha. natasha ke dil me sanjana ke liye badi payare ehsasat jaagne lage.
natasha invisible thi. woh apni khandani kothi ja pohnchi. wahi kothi uski yaadon me thi. wahan pohnchi toh usay woh kothi veran dikhi. sabhi deewaren aisi kharab halat me thi. dekh kar natasha ke dil me bohut dard hone laga. natasha kothi ke andar pohnchi toh andar ka nazara dekh kar uska dil khun khun hone laga. puri kothi me grass itni badi badi thi. dekh kar lagta tha. barson se kisi ne kaati hi na ho.
natasha ko apne early 1.5 years ke sabhi scenes yaad aane lage. sath hi natasha ki ankhon se aansu bhi behne lage.
natasha dhime qadmo se chalti hui aage badhne lagi. jahan bhi uski nazar padti, koi na koi scene usay yaad aa jata. apne mummy ki god me hoti toh papa uske gaalon se khelte dikhte. usay pyar karte dikhte. uski mummy uske papa ko khushi se dekhti.
kitne khush the sab natasha ko pa kar.
kabhi natasha ko apne dada dadi dikhaai dete.. jo ek dusre se behs kar rahe hote natasha ko apni god me lene ke liye. kabhi chacha chachi apne bachhu ko bhul kar natasha ke liye ladte dikhai dete..
natasha saare manazar dekhte hue halki awaz me rone lagi. uske bhai uske chacha ke bete, uski bua ke bete, uske khaandan ke dusre sabhi log kaise uske liye paagal the. kitna pyar karte the usse.. natasha ke dil ka dard badhne laga.
sunsaan kothi me natasha ke kadmon ki awaz thi ya fir uske rone ki awaz.. natasha darwaze par pohnchi aur fir wahin beth kar zor zor se rone lagi.
"mummmmmmmmmmmmyyyyyyyyyy"
"paaaaaaaaaaapppaaaaaaaaaa"
"daaaaaaaaaaadddaaaaaaaaaa"
"daaaaaaaaaaadddiiiiiiiiii"
"chaaaaaaaaaachhiiiiiiiiii"
"chaaaaaaaaachhhuuuuuuuuuu"
"bhaaaaaaaaaaaaiiiiiiiiiii"
natasha apne pehle parivar ke marne par bhi itna nahi roi thi. jitna ab ro rahi thi. ansu the, rukne ka naam hi nahi le rahe the. sabhi drishy the hi itne strong. natasha ko ek ek scene aise dikhaai de raha tha. jaise abhi kuchh der pehle hi sabhi manazar kuch samay pehle ke hon.
kuchh der rone ke baad natasha uthi.. door ko chumti hui door kholne lagi. par woh lock tha. natasha ghum kar kothi ki back side par bani ek tooti khidki se andar ja ghumi.. andar ka haal bhi bohut kharab tha. deewaron par plaster toota hua tha. sabhi rooms ke darwaze toote hue the. ajib si smell aa rahi thi.
light ka intezam nahi tha. andar andhera tha. par suraj ki roshni kuchh kuchh andr pohnch rahi thi.
natasha puri kothi ko ghum fir kar dekhne lagi.. kuchh der me natasha ko ek aur se attraction aane lagi. woh smajh nahi payi.. natasha usi or jaane lagi.
kothi badi thi. bohut se rooms the.. ek room ke paas pohnchi toh toote door se andr ja pohnchi.
natasha ko andr ek almari dikhi.. almari lohe ki thi. natasha us almari ke paas gayi.. handle ko pakad kar khencha toh woh nahi khula gaya..natasha ne ghuma kar kholne ki koshish kari toh bhi nahi khula.. lock andr se jam tha.
natasha ko laga. is almari me uske matlab ka kuchh ha... natasha ne thoda sa piche ko hui aur pure zor se hatheli handle par maar di. fir handle ko ghumaya toh woh ghum gaya..
natasha ne pat khola toh purane zang lage door ke khulni ki awaz aai.. barson baad woh almari ka pat khula tha..
andar natasha ko ek album mila.. sath hi ek letter bhi tha..
natsha album aur letter utha kar wapis lauti.. kothi ke lawn ke paas aa kar woh ek jaga bethi aur album khol kar dekhne lagi. album dekh kar firse uski ankhon me aansu aa gaye..
album me uske pure parivar ki pics thee. natasha ek ek pic ko dekh kar uspar hath fer kar ansu baha rahi thi.
"aap sabki TARA laut aai ha"
"maa aapki TARA aapke dard ko khatam karne ke liye laut aai ha"
"papa aap apne jis dushman ko maar nahi sake.. aapki beti aapke us dushman ka sar aapke kadmon me phenkne ke liye aa gai ha.. us kutte ka sar aapke kadmon me phenk kar aap ki TARA aapse kahegi.. papa aapki beti aapki TARA laut aai ha, lijiye apne dushman ka sarr.. dushman ke sar ke sath sath aap apni beti ke milne ki bhi khushi manayen"
sabhi ki pics dekh kar natasha ne letter khola aur padhne lagi..
"TARA beti.. agar kabhi tum khud ko pehchan sako.. tumhe kabhi pata chale, tum hamari beti ho.. kabhi apne janam sthan par lauto toh ye jaan kar humse nafrat matt karna. hum apne dushman ki chaal ke aage fail hote hue tumhe khud se door jaane se nahi rok sake.. hum nahi jante the. hamara dushman itna neech bhi ho sakta ha TARA beti.. hum khud ko tumhara kasurwar maante han TARA beti.. hum hi tumhari raksha nahi kar paaye. tum toh hum sab ki ankhon ka Tara thi.. fir bhi hum tumhare liye kuch nahi kar paaye.
agar kabhi ye letter tumhe mile toh hamare dard ko smajh jaana. humen maaf kar dena. TARA beti hum sab aaj bhi tum se utna hi pyar karte han. jitna tumhare janam lene par tumse karte the. aaj bhi hum tumhare intezar me han. jab tak tum laut kar nahi aaogi. hamari zindagi ki sabhi khushiyan adhuri rahengi..
ek mahaan gyani ne kaha tha.. tum ek din zarur laut kar aaogi. us din se humen laga, jaise humen jeene ki aas mil gayi ho.. TARA beti tumse hi humne apni saanse jod li thi. tumhare chehre ko dekh kar hamara samay katta tha. tum nahi rahi hamare paas toh na hamara samay kata aur na hi kabhi chain ki nind aai.
ye letter aur album yahin chhod kar ja rahe han.. warna shayad hum aisa na karte.. hum toh soch bhi nahi sakte the. ek dedh saal ki bachhi ki yaaden bhi ho sakti han. par bhagwan ne hamare nasib me saare hi dard nahi likhe the.. khushiyan bhi likhi thee.. tum ek din laut kar aaogi. ye humen ek mahaan gyani ne bataya tha TARA beti..
tab se hamari nazren ghar ki chokat par hi lagi rehti han. pata nahi tum kab laut kar aaogi.. jaldi se laut aao TARA beti. is se pehle hamari ankhen band ho jaayen, laut aao TARA beti.. hamari aankhon ka TARA ho tum.. hamari ankhon ki roshni ho tum.. hum sab tumhare liye roz rote han. pal pal rote han.. aa jaao hamari ankhon ki roshni bankar TARA beti. isse pehle keh hamari ankhen hamesha ke liye band ho jayen..
natasha buri tarah se ro rahi thi. uske ansu us letter par gir rahe the. barson purana kagaz natasha ke ansu se bhig kar aur bhi kharab hone laga tha.
natasha kuchh der roti rahi...
fir ek jwalamukhi ki tarah phatt padne ko betab ho gayi..
natasha ab ek khunkhar bala ke roop ke roop me kothi se bahar nikal rahi thi.
letter par likhe address se woh jaan gayi thi. uska parivar ab kahan rehta ha. kyun ye haveli chhod kar woh yahan se chala gaya tha. ye bhi woh jaan gayi thi. ye kothi uske parivar ko puri puri security nahi de paa rahi thi. isliye sabhi ko yahan se jana pada tha.
natasha andhi toofan ki tarah shahar ki fizaon me fly karne lagi.. natasha ke andar ka jwalimukhi phatt padne ke liye tayyar tha..
sabse pehle natasha apni parivarik kothi pohnchi.. wahin ek naukarani usay dikhi.. natasha uske paas pohnch kar woh album aur letter us naukarni ke hath me thama kar boli.
"sabse bol do..TARA laut aai ha.."
natasha wahan nahi ruki thi. naukrani jo pehle dar gai thi. wahin TARA ke baare me jaan kar woh cheekhti hui andar ki or bhaagne lagi.
natasha ek 25 manzila imarat ke paas ja pohnchi.. imarat ke gird fly karte hue woh koi khuli khidki dekhne lagi. ek khuli khidki mili toh natasha andar ghusti chali gayi..
ye building uske pariwar ke dushmano ki thi.. natasha ko dikhaai diye jaane wale drishy me ye building bhi shamil thi. yahin natasha ko uske parivar se alag karne ke baad laaya gaya tha.. yahi se usay kahin aur le jaya ja raha tha. jab woh incidently apne purane mar chuke parivar se ja mili thi.
natasha apne dushman ke office ke saamne ja pohnchi.. puri takat ke sath door ko laat maar kar door ko hi tod dia.. andar bethe hue sabhi hadabada kar uth khade hue.
natasha andar parvesh karti chali gayi.. uske kadmon ki thak thak thak par andar bethe hue ghabra kar ek dusre ko dekhne lage.
{:::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::}
naukrani bhagti hui andar pohnchi aur sabko cheekh cheekh kar TARA ke baare me batane lagi.
kuch hi der me natasha ke parivar ki mahilayen wahin aa gai..
naukrani hanpte hue sab TARA Ki baat batane lagi. kaise TARA usay album aur letter thama kar gai thi. kya bol rahi thi, ye bhi bata dia naukrani ne.
sunkar natasha ki mummy toh girte girte bachi..
natasha mummy ne album aur letter liya aur chumne lagi. woh rone lagi thi.
TARA TARA bolne lagi thi. natasha ki chachi, dadi aur 4 bhabhiyan bhi wahin thee. chachi dadi bhi rone lagi thi. par bhabhiyan bechari is sab par yakin nahi kar pa rahi thi..
badi bhabhi ne ghar ke mardon ko call karke sab bata dia. mummy chachi aur dadi letter aur photo album dekh kar rone lagi thee.
ek naukrani ek wheel chair bhi ghaseette hue wahin le aai ti. wheel chair par natasha ke daddu bethe hue the.
woh bhi jaan gaye the.. unki ankhon se bhi ansu jaari the.
mummy unke pairon se lipat gayi. sar unke ghutno par rakh dia..
mummy : baba! hamari TARA laut aai ha.
baba : haan meri bachhi! bhagwan dukh deta ha toh sukh bhi deta ha. bhagwan jo bhi karta ha. hamare bhale ke liye karta ha. mujhe yakin tha, bhagwan humen hamari TARA zarur lautayega..
mummy : baba! TARA aa kar chali kyun gayi. woh mujhse milne kyun nahi aai. kya woh nahi janti uski mummy kitni betaab ha usay ek nazar dekhne ke liye.
baba : ro mat meri bachhi! jis andaz me woh aai ha. mujhe lagta ha, bhagwan ki uspar badi kripa ha. suna nahi ha kya tumne meri bachhi.hamari TARA dikhaai nahi di thi.
mummy : haan baba suna ha..
mummy dhire se boli.. woh ab heran hone lagi thi. TARA nazar kyun nahi aai thi naukrani ko. aur aise kaise woh kothi par aa gai thi.
bhabhiyan khusar phusar karne lagi.. woh ab bhi yakin nahi kar pa rahi thee.
dadi : hamari TARA bhagwan ka avtaar ha.. dekhna woh zarur kuch khaas karke lautegi.
baba : sahi kaha aapne bhagyawan..hamari TARA zarur kuch khaas karne gayi ha. shukar ha bhagwan ka. mere is dunya se jaane se pehle TARA laut aai ha.
mummy ne baba ke hathu ko chum liya
mummy : baba aise mat bolen. bhagwan hamari umar bhi aapko laga de. so saal aur jiyen aap..
usi pal ghar kar sare mard bhi wahin aan pohnche.. unhe jaise hi khabar mili thi. sab daude daude chale aaye the.
natasha bhai : daddu! abhi humen aapki bohut zarurat ha. hamari TARA ne bhi toh aapke sath samay bitana ha. aapko ghoda bana kar aapki peeth par beth kar aapko puri kothi me ghumana ha.
sabke honto par smile aa gayi..
mummy uthi aur apne bete ke gale se lag gayi : beta! hamari TARA laut aai ha.
natasha bhai : mummy! isi vishwas par toh hum ji rahe han. andhvishwash ha hamara hamari TARA ke liye. par atoot vishwash ha mummy! hamara hamari TARA ke liye. ek din woh zarur lautegi. ye mujhe bhi yakeen tha. sach kahun toh mujhe meri behen ki khushbu aane lagi ha.
mummy khush ho gayi. sab khush ho gaye. bhabhiyan kisi ke yakeen ko jhutla nahi sakti thee. aisi baat par yakin karna asaan nahi tha. baharhaal woh bhi sabko khush dekh kar bohut khush thee..
natasha papa bhi apne papa ke pairon me beth gaye. sath hi apni maa ka hath thaam liya.
papa : papa! aapko bohut bohut badhai ho. hum sab ki ankhon ki roshni hamari TARA laut aai ha. dekhna baba! TARA ke aate hi aap bhi ghode jaise ho jayenge. aap firse achhe ho jayenge.. ab bhagwan ne humen hamari khushiyan lautani shuru kar di han. toh sab achha ho jayega.
{:::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::}
natasha jis office me ghusi thi. woh office narain mishra ka tha. natasha ke parivar ke sabse bade dushman ka.
75 saal ka narain mishra aaj bhi 50-55 ka dikhai deta tha. uske sath uske do bete bete hue the..
natasha seedhi narain ke saamne ja pohnchi..
narain aur uske bete ko natasha dikhai nahi de rahi thi. woh kuch ghabra gaye the. kadmon ki thak thak ki awaz unke andar dehshat paida kar rahi thi. warna aaj tak ye sabhi kisi se dare nahi the.
natasha ne table par pada hua aish tray uthaya aur narain ke ghutne par de mara..
aaaaaaaahhhhhhhhhhhhhhh woh cheekh pada. uska ghutna chakna choor ho gaya tha. woh cheekha toh uske bete bhi dar ke maare cheekh pade.. unhe bass aish tray hi uthta aur narain mishra ke ghutne par padta dikhaai diya tha..
natasha : QUEEN! naam toh suna hi hoga..
natasha khunkhar lehje me boli
narain ka bada beta : kk...kon QQ...QUEEN..??
natasha : HAHAHAHA bhul gaye kyaaaaaaaa.. din hi kitne hue han, QUEEN wali news ko.
news wali QUEEN baare to puri dunya jaan chuki thi. ab tak narain aur uske bete ise sach nahi maan rahe the.
narain bhi apna dard bhul kar QUEEN ke naam ki dehshat me aane laga.
narain : maine aapka kya bigada ha QUEEN.. mere sath aisa saluk kyu kar rahi han aap..
natasha : woh toh tujhe batana hi padega narain.. yaad kar, barson pehle tumne ek bachhi ko uske parivar se alag kar dia tha. usay uske parivar se door karke tum isi building me laaye the naa.. yaad ha ya bhul gaye ho tum narain mishra..
narain ke saamne film si chalne lagi.. kaise bhul sakta tha woh. ek hi toh bachhi ko woh is building me laaya tha. jise ek kothe wali ke hawale karna chahta tha. par kar nahi paya tha. woh bachhi uske admiyon ke chungal se nikal kar jaane kahan gum ho gai thi.
narain : tt...tumm...wohh..
natasha ne aish tray narain ke dusre ghutne par maar dia..
natasha : haan mai hi wahi bachhi hon. tum jaise ghattiya log bhi is dunya me hote han bhala. bematlab ka badla lene ke liye tumne ek masoom bachhi ko uske parivar se door kar dia.
narain ka beta ghanti bajane wala tha. par natasha ne aish tray uske sar par maar dia. woh wahin ludhak gaya.
natasha : mere paas samay nahi ha.. mujhe jald hi apne parivar se ja milna ha. aur tum sabb ka bhi wahin countdown hoga..
natasha teeno ke sar par maar kar teeno ko behosh karne lagi.. abhi teen hi mile the natasha ko. yahi bade dushman the. inke bete bhi natasha ke bhaiyo se dushmani me bohut aage nikal chuke the. natasha ne unhe baad me dekhne ka soch liya.
natasha teeno ko baari baari us kothi se kuchh doori par ek veran jaga par le jane lagi.. aisa karne se pehle woh achhe se cctv record ko khatam kar gayi thi.
ek gaadi ka arrange karne ke baad woh visible hui aur gaadi me teeno ko daal kar nikal padi apne parivar se milne ke liye.
{:::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::}
natasha ki bua ka pura parivar bhi wahin aa gaya tha. khandan ke aur bhi kai wahin aa gaye the. sabko khabar kar di gayi thi. TARA jald lautne wali ha. aisa sabko bata dia gaya tha.
kothi par mele ka sa mahaul ban gaya tha. natasha ke sare bhai bade khush the. un sab ki ikloti behen aaj mil gayi thi. unki jaan unki behen kuch der me laut rahi thi.
{:::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::}
sanjana school principal ki gadi lekar apne parivar se milne ke liye nikal padi thi.
usse aur sabar nahi ho raha tha. parivar delhi me tha. kuchh hi doori par unki kothi thi. kaise sanjana aur time waste karti.
badi speed ke sath woh gaadi daudati hui apne parivar ke paas pohnch rahi thi.
kuch der me sanjana ek badi kothi par ja pohnchi.. sanjana ko dekh kar gate keeper ke sath khade hue ek guards ke moh se nikla
"SANJANA MAA"
sunkar foran hi gate keeper ne gate khol dia.. wahin se andar kothi ke andar SANJANA MAA ke baare me bhi bol dia.
SANJANA MAA aayi ha kothi par.. jaan kar sab milne ke liye bahar aane lage. kuch hi der me sanjana pure desh me famous ho gai thi. uski news sabhi ne suni thi. video bhi viral ho gai thi. jisne news nahi dekhi thi. woh mobile me video dwara sanjana ko jaan gaya tha..
sanjana gaadi andar le gayi.. porch me gaadi khadi karke sanjana badi betabi ke sath door khol kar bahar nikli..
badi mushkil se khud par kaabu banaye hue thi..
sanjana ke saamne bohut se log the. sanjana itne logon ko dekh kar heran ho gai. kya ye sab uska parivar tha. sanjana soch kar heran ho gai thi.
sab sanjana ko dekh kar khush ho gaye.. SANJANA MAA badbadne lage..
wahin sanjana ek ek ka chehra dekhne lagi. sanjana ki nazar fir ek chehre par thehar gayi.
us chehre ko dekhte hi sanjana ki ankhon se ansu bahne lage. sab sanjana ke ansu dekh kar heran ho gaye. sanjana ke lab thartharane lage the.
koi kuch bolta. usi samay gate khula aur ek aur gaadi andar dakhil hui.. andar aane wali gaadi ki female driver regular horn baja kar sabka dhayan apni aur akarshit kar rahi thi.
sanjana bhi khud par kaabu pa kar gaadi ki or dekhne lagi.. gaadi door khula aur ek ladki bahar nikli.
ladki ke chehre ko dekh kar wahin khadi ek aurat cheekh padi...
"TAAAAAAAAAAARRAAAAAAAAAAAAAAAAAAAA"
aane wali natasha thi aur usay pukarne wali uski mummy.. mummy natasha ko dekh kar bhaagne lagi toh sab bhi natasha ko dekh kar bhaag khade hue.. natasha ki surat apni maa se bohut milti thi.
jaise hi paas pohnche.. natasha ne apne hath utha kar sabko rukne ko bol dia...
natasha : HAAN! main hi TARA hon. aap sabki TARA.. kisi se bhi milne se pehle mujhe ek kaam karna ha.. aap sab plz piche khade ho jaayen..
.
.
.
.
.
.
Aaj Ke Liye Itna Hi Mitro! Milte Han Agle Episode Ke Sath Jald Hi..
::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::