• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Horror Sauda (deal of life) | exclusively for xforum | written by Love 1994 |

Dev the lover

Well-Known Member
3,316
14,239
159
Update 1 (journey start)

Chatrpati shivaji Maharaj Terminus MUMBAI,

Bhale hi sari duniya Mumbai ko sapno ka shahar bolti hai. lekin sabke sapno ko sakar karne ki shurwat yaha aane ke baad hi hoti hai.
aisa mera manna hai.

Kyu ki yaha aane wale hajaro logo ke dilo me ise dekh ke ek urja bhrti hai.
Jese wo sabko keh raha ho ki

"dekho tum sab ke liye mai salo se yaha khada hu, din rat apna kaam kar raha hu bas tumhare sapne pure ho isliye, aur hamesha rahunga ab ye tum sab pe hai kya tum apne sapno ko sakar karne ke liye aise hi dte rehte ho ki nahi."

CST ki baat sun wo hajaro musafir apne sapno ko sakar karne apne apne raste nikal padte hai.

wese hamari story yaha apne sapno ko sakar karne aaye huwe aise hi ek ladke, aadmi ya aurat ki nahi hai.
Balki yaha platform no. 3 pe khade kuch dosto ki hai jo apne diwali vacation pe bahar jaa rahe hai.:D


"sona tum ek baar fir use call karke dekho yaha train chutne wali hai aur pata nahi ye arjun kaha reh gaya."

ye sanjay tha jo platform pe khada yaha waha najar ghumte huwe apni girlfriend sonali se bol raha tha.

Sonali - "abhi to call kiya tha wo bola ki use kuch kharidna hai ajayega 10min me."

Sanjay - "5min me train ayegi aur ye sahab 10min ka bole hai.
Iska har time yahi rehta hai ya to ye kabhi ayega nahi aur agar ayega bhi to aise,
Iske chakkar me lagta hai hamari bhi train chut jayegi."

Sanjay ko ab arjun pe thoda thoda gussa aane laga tha.
Kyu ki college ke baad jab bhi aisa koi plan banta tha usme arjun kabhi nahi aaya tha.
Aur ab 3sal ho gaye they tab jake arjun kisi trip ke liye mana tha. Lekin ab bhi wo waha time pe nahi aaya tha.

Thodi der me train ke platform pe aane ki announcement bhi hojati hai. Lekin abhi tak arjun nahi aaya tha.
Jisse is baar sonali ke pass bethi reema bol padti hai.

Reema - "yaar mujhe nahi lagta ki wo is baar bhi aane wala hai.
Ham khamkha uska wait kar rahe hai."

Reema ki baat sunke sonali use jawab deti hai
Sonali - "aisa nahi hai reema wo zaroor aayega,
Infact arjun ne hi mujhe call karke bola tha ki koi achhi trip plan karne ko"

Sanjay - "wo sab to thik hai lekin train arahi hai aur wo abhi tak nahi aaya ab kya kare?"

Sanjay ki baat ka jawab is baar reema ka mangetar deta hai. jo kab se chup chap betha inki bate samjhne ki koshish kar raha tha.

Amar - "mere khayal se to hame jana chahiye
Kyu ki ek admi ke wajah se ham apni vacation to barbad nahi kar sakte."

Amar ki is baat pe koi kuch bola to nahi lekin sonali ko gussa aaya tha.
Aur agar wo uske bestie ka mangetar naa hota to wo use ab tak kuch naa kuch bol bhi deti.

Abhi train aagai thi aur dhire dhire platform pe rukne lagi thi ki tabhi reema ko koi call aata hai is liye wo unse thoda baju me jati hai

Aur idhar sanjay, arjun ko ek baar fir call karne ke liye sonali se bolne hi wala hota hai ki unke pichese arjun ki awaj aati hai

Arjun - "oye tum log abhi bhi shant kese ho,
Mujhe laga tha ki mere deri se aane pe tumhari ladai shuru hogai hogi."

Arjun ki awaj sunke sanjay aur sonali piche dekhte hai. To waha arjun apne pith be bag latkaye niche jhuk ke apne ghutno pe hath rakha huwa apni sanse sambhal raha tha.
Shayad wo dur se daudte huwe waha tak aaya tha.
Khair 3-4baar jor jor se sans lene ke baad arjun sida khada hota hai.

Wo pure 2.5 saal baad apne dosto ke samne khada tha,
Jisse sonali aur sanjay use dekhte rahe. Pehli nazar me to wo use pehchan nahi paye they kyu ki arjun ka wait pehle ke mukable thoda badh gaya tha aur sath hi usne dadhi bhi badhai thi to use pehchana thoda mushkil tha.

Arjun - "abe ab kya mujhe hi dekhte rahoge, chalna nahi hai kya?"

Uske bolne se sanjay aur sonali hosh me aate hai
Arjun abhi aage badh ke sanjay se gale mil raha tha ki sanjay uske pet me ek mukka rakh deta hai.

Arjun - "abe sale maar kyu raha hai. Pagla gaya hai kya?"

Sanjay - "lawde mai nahi tu pagla gaya tha jo itne din gayab tha hamse."

Aur fir ek aur mukka use marne wala hota hai ki arjun usko pakad leta hai

Arjun - "abe jitna marna hai maar lena pehle train to pakad warna mere naam se fir chillayega."

Uski baat sunke sanjay ruk jata hai. Fir sonali aur sanjay usse gale milte hai aur apne bag uthane lagte hai aur sath hi Amar bhi apne aur reema ke bag uthane lagta hai, jise dekh kar arjun bolta hai.

Arjun -"ye kon hai?"

Reema - "ye mera fiance hai."

Reema ko waha dekh ke arjun thoda chonk jata hai, lekin jaldi hi sambhal ke apna hath Amar ke taraf badha deta hai.

Arjun - "hi, mera naam arjun hai."

Amar - "hi arjun my self Amar"

Iske baad wo sab apne bag utha ke train me chadhne lagte hai.
Pehle reema aur amar andar jate hai fir sanjay
Uske piche sonali thi jise arjun rok deta hai.

Arjun - "ye yaha kya kar rahi hai."

Sonali - "yaha kya kar rahi hai matlb tumne hi to bola tha ki sara group sath jayega to maine ise bhi bula liya."

Arjun - "ha to maine group bola tha naa ise thodi bola tha. Ye kab thi hamare group me"

Sonali - "ab mai kya karu baki koi aane ko tayyar nahi tha, isliye maine ise bula liya.
Wese bhi ham tino waha jake kya karte"

Arjun - "are meri jaan kya karte ka kya matlb hai tu, mai aur tera boyfriend mast 3some karte waha 2din tak ek dam maza aajata"

Arjun ka itna kehna tha ki sonali 2mukke uske baju pe rakh deti hai.

Sonali - "kamine tu bilkul badla nahi naa,
Jaa apni ex. Aur uske fiance ke sath 3some karle."

Itna keh ke sonali train me chadh jati hai.
Uske piche arjun bhi aajata hai.


To be continued....
Update padhkar laga jaise kuch aacha likhaa hai kuch tamiz sai shururwat ki hai aur rahi baat cononvo ki toh usske kaafi had tak real hi rakaha hai normal jaisa hota bhi kyu pure group kaa late latif mai hi thaaa
Par arjuj bhaiya kyu late latiff hai hume yeh nahi pata
Aur haa bhul jada real bhi nahi hai pura toh nahi waise amairo mai hoga woh threesome wala majak karkete rahate hai aur naa jaane cake kaa bhi kaya kaya bana ke chusate bhi hai
Waise aate hi Etnai connection jod de bus aage khichadi naa banana baaki toh tuh kaya hai mai janata hi hu bhai Joh bhi higa paayre review aur gaali khaayega woh bhi Kyu YTJH (yeh tuh janata hai )
Waise pichali story ki tarah yaha bhi ess Amar chutiya hai Aur jalanai bhi caahiye jab pata chale jisko aapnai book kiya hai woh phele hi kahi aur chanda dekar aayi hai
Abb train mai kaya hogaa yeh aage dekhana hai



 

zopion

Happiness of life : to love & be loved
7,611
19,658
143
Hey guys,

Bahut se log mujhe jante hai aur wo kyu ye batane ki jarurat nahi padegi :D

Toh har baar ke tarha mai fir hajir hu ek new story leke jo bahut hi majedar hai
Haa aap log bologe ki har baar yahi bolke story start karta hai aur aage update nahi deta
I know kafi baar kar chuka hu mai lekin is baar aap aur mai haa aap aur mai ghar me bethey bore ho rahe hai lekin ye sab ke liye jaruri bhi hai ki ham ghar me rahe

Haa lekin bore hona ye kuch thik nahi hai
Mere khas dost lover of darkness bhai ne bola hai ki

"aise samay me ye ham writer's ka farj banta hai ki ham aap ke entertainment ka khayal rakhe"
Wo khud bhi 16hr duty kar rahe hai aur roj apni story pe update bhi de rahe hai mai dil se unko is forum pe apni story aur bahar asal jindagi me wo jo kaam kar rahe hai uske liye dil se salute karta hu
Aur ye meri new short story puri tarha unhe dedicate karta hu

Ab aate hai story pe to ye ek short story hai jiske mushkil se 10 update ya usse kam update honge
Toh aap sab ke comments ka intazar rahega



Ek baar firse kehna chahunga ki Stay home stay safe
:congrats: dear for starting new thread
waise apke vichar kafi ache hain aur topic bhi mera fav yani ki horror hai :thumbup:
let's see ap apne readers ko dara pate ho ya nahi :hehe:
bhai apni ye wali story jarur puri karna
 

Rahul

Kingkong
60,514
70,679
354
Update 1 (journey start)

Chatrpati shivaji Maharaj Terminus MUMBAI,

Bhale hi sari duniya Mumbai ko sapno ka shahar bolti hai. lekin sabke sapno ko sakar karne ki shurwat yaha aane ke baad hi hoti hai.
aisa mera manna hai.

Kyu ki yaha aane wale hajaro logo ke dilo me ise dekh ke ek urja bhrti hai.
Jese wo sabko keh raha ho ki

"dekho tum sab ke liye mai salo se yaha khada hu, din rat apna kaam kar raha hu bas tumhare sapne pure ho isliye, aur hamesha rahunga ab ye tum sab pe hai kya tum apne sapno ko sakar karne ke liye aise hi dte rehte ho ki nahi."

CST ki baat sun wo hajaro musafir apne sapno ko sakar karne apne apne raste nikal padte hai.

wese hamari story yaha apne sapno ko sakar karne aaye huwe aise hi ek ladke, aadmi ya aurat ki nahi hai.
Balki yaha platform no. 3 pe khade kuch dosto ki hai jo apne diwali vacation pe bahar jaa rahe hai.:D


"sona tum ek baar fir use call karke dekho yaha train chutne wali hai aur pata nahi ye arjun kaha reh gaya."

ye sanjay tha jo platform pe khada yaha waha najar ghumte huwe apni girlfriend sonali se bol raha tha.

Sonali - "abhi to call kiya tha wo bola ki use kuch kharidna hai ajayega 10min me."

Sanjay - "5min me train ayegi aur ye sahab 10min ka bole hai.
Iska har time yahi rehta hai ya to ye kabhi ayega nahi aur agar ayega bhi to aise,
Iske chakkar me lagta hai hamari bhi train chut jayegi."

Sanjay ko ab arjun pe thoda thoda gussa aane laga tha.
Kyu ki college ke baad jab bhi aisa koi plan banta tha usme arjun kabhi nahi aaya tha.
Aur ab 3sal ho gaye they tab jake arjun kisi trip ke liye mana tha. Lekin ab bhi wo waha time pe nahi aaya tha.

Thodi der me train ke platform pe aane ki announcement bhi hojati hai. Lekin abhi tak arjun nahi aaya tha.
Jisse is baar sonali ke pass bethi reema bol padti hai.

Reema - "yaar mujhe nahi lagta ki wo is baar bhi aane wala hai.
Ham khamkha uska wait kar rahe hai."

Reema ki baat sunke sonali use jawab deti hai
Sonali - "aisa nahi hai reema wo zaroor aayega,
Infact arjun ne hi mujhe call karke bola tha ki koi achhi trip plan karne ko"

Sanjay - "wo sab to thik hai lekin train arahi hai aur wo abhi tak nahi aaya ab kya kare?"

Sanjay ki baat ka jawab is baar reema ka mangetar deta hai. jo kab se chup chap betha inki bate samjhne ki koshish kar raha tha.

Amar - "mere khayal se to hame jana chahiye
Kyu ki ek admi ke wajah se ham apni vacation to barbad nahi kar sakte."

Amar ki is baat pe koi kuch bola to nahi lekin sonali ko gussa aaya tha.
Aur agar wo uske bestie ka mangetar naa hota to wo use ab tak kuch naa kuch bol bhi deti.

Abhi train aagai thi aur dhire dhire platform pe rukne lagi thi ki tabhi reema ko koi call aata hai is liye wo unse thoda baju me jati hai

Aur idhar sanjay, arjun ko ek baar fir call karne ke liye sonali se bolne hi wala hota hai ki unke pichese arjun ki awaj aati hai

Arjun - "oye tum log abhi bhi shant kese ho,
Mujhe laga tha ki mere deri se aane pe tumhari ladai shuru hogai hogi."

Arjun ki awaj sunke sanjay aur sonali piche dekhte hai. To waha arjun apne pith be bag latkaye niche jhuk ke apne ghutno pe hath rakha huwa apni sanse sambhal raha tha.
Shayad wo dur se daudte huwe waha tak aaya tha.
Khair 3-4baar jor jor se sans lene ke baad arjun sida khada hota hai.

Wo pure 2.5 saal baad apne dosto ke samne khada tha,
Jisse sonali aur sanjay use dekhte rahe. Pehli nazar me to wo use pehchan nahi paye they kyu ki arjun ka wait pehle ke mukable thoda badh gaya tha aur sath hi usne dadhi bhi badhai thi to use pehchana thoda mushkil tha.

Arjun - "abe ab kya mujhe hi dekhte rahoge, chalna nahi hai kya?"

Uske bolne se sanjay aur sonali hosh me aate hai
Arjun abhi aage badh ke sanjay se gale mil raha tha ki sanjay uske pet me ek mukka rakh deta hai.

Arjun - "abe sale maar kyu raha hai. Pagla gaya hai kya?"

Sanjay - "lawde mai nahi tu pagla gaya tha jo itne din gayab tha hamse."

Aur fir ek aur mukka use marne wala hota hai ki arjun usko pakad leta hai

Arjun - "abe jitna marna hai maar lena pehle train to pakad warna mere naam se fir chillayega."

Uski baat sunke sanjay ruk jata hai. Fir sonali aur sanjay usse gale milte hai aur apne bag uthane lagte hai aur sath hi Amar bhi apne aur reema ke bag uthane lagta hai, jise dekh kar arjun bolta hai.

Arjun -"ye kon hai?"

Reema - "ye mera fiance hai."

Reema ko waha dekh ke arjun thoda chonk jata hai, lekin jaldi hi sambhal ke apna hath Amar ke taraf badha deta hai.

Arjun - "hi, mera naam arjun hai."

Amar - "hi arjun my self Amar"

Iske baad wo sab apne bag utha ke train me chadhne lagte hai.
Pehle reema aur amar andar jate hai fir sanjay
Uske piche sonali thi jise arjun rok deta hai.

Arjun - "ye yaha kya kar rahi hai."

Sonali - "yaha kya kar rahi hai matlb tumne hi to bola tha ki sara group sath jayega to maine ise bhi bula liya."

Arjun - "ha to maine group bola tha naa ise thodi bola tha. Ye kab thi hamare group me"

Sonali - "ab mai kya karu baki koi aane ko tayyar nahi tha, isliye maine ise bula liya.
Wese bhi ham tino waha jake kya karte"

Arjun - "are meri jaan kya karte ka kya matlb hai tu, mai aur tera boyfriend mast 3some karte waha 2din tak ek dam maza aajata"

Arjun ka itna kehna tha ki sonali 2mukke uske baju pe rakh deti hai.

Sonali - "kamine tu bilkul badla nahi naa,
Jaa apni ex. Aur uske fiance ke sath 3some karle."

Itna keh ke sonali train me chadh jati hai.
Uske piche arjun bhi aajata hai.


To be continued....
bahut achchi suruaat bahut achchi kahani bahut achcha update aur bahut achcha plot..magar ye writer bilkul achcha nahi hai yaal:cry:agar story bich me ruki to fir dekh lena is baar:bat:
 

Love 1994

1000 years of death jutsu
Supreme
14,851
13,429
229
 

Siraj Patel

The name is enough
Staff member
Sr. Moderator
137,065
114,138
354
:applause: :applause:
Behad Shandar Starting hai kahani ki > aur Jis Tarah Se story mein Arjun ka role dikh raha hai usse To Yahi lagta hai isme hero Vahi hoga, Na Ki Har Bar Ki Tarah isme koi Aakash hai.. :D > Sonali aur Arjun ki Baton Se Lag Raha Hai inke beech bahut Raasleela ho chuki hai > aur Kahani ke starting ko Dekhte Huye lagta hai isme flashback bhi dekhne ko milega > Arjun or Reema ka kya Chakkar hai jo is strip Mein uska Aana Arjun ko Pasand Nahi Aaya ... Khair inka jawab to samay hi dega..
Anyway Agaz bahut badhiya hai..
Waiting 4 next_____
 

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Moderator
34,272
150,922
304
Waiting...
?
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Iron Man and Lawde

Love 1994

1000 years of death jutsu
Supreme
14,851
13,429
229
Kahani shuru to hui sahi se :p: title se lag raha hai ke horror thriller type hai aur ye doston ka grp ja raha vacation pe ab kahan ja raha hai ye to pata nahi lakin writer ke confidence ko dekh ke lag raha hai ke kuch majedaar hone wala hai

Let's start the bakchodi :D

:applause:
:thanks: for your previous review

Bahut kuch majedar hoga bas dekhte jao:D
 
  • Like
Reactions: Aakash.

Love 1994

1000 years of death jutsu
Supreme
14,851
13,429
229
Superb starting bhai... ?
:thanks: for your previous review
 
  • Like
Reactions: Aakash.
Top