Kumutra ko raziya ke jane ke bad kuchh bhay jesa abdesha huaa. Uski chudele jo nangi hokar gol or trikon aakar ki rachna bana kar bhavisya dekh rahi thi. Unhe pata chala ki dhima ke bete ki jan khatre me he. Or yadi uski shadi ho jae to jan bach sakti he. Ek chudel ko raziya or dhima ko khabar dene ko kaha.
Subah to ho chuki thi. Fir bhi dhup nahi thi. Vo chudel aam gramin aurat ka roop liya or gav me aai. Gav vale kaiyo ne us aurat ko dekha. Vo soch rahe the ki ye aurat kon he. Fir us aurat ke sath raziya dhima or un ke bete ko jate dekha. Bina kisi se kuchh kahe vo gav se nikal gae. Logo ke man me shak ki shanka to janam le li thi. Par raziya or dhima ki achhai unke virudh kuchh galat sochne nahi de rahi thi.
Vo teeno vahi kumurta ke ghar pahoch gae. Dhima to kai sal pahele ye jagah aa chuka tha. Kyo ki use yaad tha ki yahi usne kumurta se shadi ki thi. Or raziya kuchh ghanto pahele hi gai thi. Fir bhi jagah badli hui thi. Magar sirf ek hi chij purani thi. Vo ped. Dhima chalte hue vo ped ke pas pahocha. Uske pichhe apne bache ko lekar raziya bhi pahochi.
Tabhi dono ko kumurta ki aavaj sunai di. Par vo dikhai nahi di.
Kumurta ; ye ped yaad bhi he??
Raziya or dhima dono charo taraf ghum ghum kar dekhne lage. Par kumurta kahi dikhi nahi. Fir dobara kumurta ki aavaj aai.
Kumurta ; ha ha tumhe kaha yaad hoga. Aa gae meri shotan ko lekar.
Dhima hasta he. Vo janta tha ki ek biwi dusri biwi se jal rahi he.
Dhima ; (smaile) yaad he muje. Hamne yahi to shadi ki thi. Vese raziya bhale tumhare lie shotan ho. Par mere lie to meri biwi he. Jesi tum vesi ye.
Raziya bhi mushkura hi rahi thi. Kyo ki vo samaz chuki thi ki kumurta bas dhima ko tang kar rahi he. Fir bhi thodi si jalan jarur thi. Kumurta bhi to kai salo se apne pati ka pyar pane ke lie betab thi. Use bhi dhima se sacha pyar tha.
Kumurta ; chalo ham pati patni he tumhe ye to yaad he.
Dhima ; tum samne kyo nahi aa rahi. Samne aao na.
Kumurta hasne lagi.
Kumurta ; dekh rahi he rajjo. Dekh swad badalne ki kitni jaldi he. Ab tumse dill bhar gaya. Tabhi muje bar bar bula rahe he.
Raziya bhi haske kumurta ka sath deti he.
Raziya ; (smaile) ha didi tum sahi kahe rahi ho. Tabhi dekho ab tumhare pas aa gae. Fir koi or mil jaegi to.. ....
Dhima ne raziya ki bat kati. Or thoda jor deke bola.
Dhima ; are muje kisi or ki jarurat nahi. Mera dill tum dono me se kisi se bhi nahi bharega. Ab kumurta samne aao.
Kumurta ; kya tumhe meri kasham yaad nahi. Ab batao tumhare bete ka kya name he.
Tabhi raziya bich me bol padi.
Raziya ; tumhi name rakho na didi. Aap jo rakhoge vahi name hoga.
Kumurta ; me??? Aachha thik he. Par meri dono betiyo ke name tuje rakhne honge.
Raziya mushkurati he. Or ha me gardan hilati he.
Kumurta ; ye bahadur or sahsi hoga. Bilkul hamare pati jesa. Islie aaj se dunya ise veer ke name se janegi.
Raziya or dhima apne bete ke samne mushkura ke dekhte he.
Raziya ; (smaile) veer... Bahot pyara name diya he.
Tabhi ek chudel kumurta ki dusri beti ko jamin par hi uske samne rakh diya. Or bade ped se ulti utarti hui ek bachi niche chhipkali ki tarah aane lagi. Us bachi ke muh me kabutar mara huaa tha. Or muh par khoon bhi laga huaa tha. Vo kumurta ki paheli beti thi.
Raziya ; ye bahadur he. Ye apne aap me ek ajuba he. Is lie ye karishma he. Or ye dusri. Kubhshurat or chachal. Sath ye sharati bhi he. Iska koi sabd to mere pas nahi he. Is lie ye tannu he.
Kumurta ; tanya kesa rahega???
Raziya ekdam se khush ho gai.
Raziya ; (sock smaile) ha ha ha tanya..... Karishma taniya. Taniya karishma.
Tabhi ek chudel aai. Uske hath me kala dhaga tha. Usne teeno bacho ke pau apas me bandh diye. Or ek katori inshan ka khoon lai. Mantra bolte hue usne khoon ke chhite teeno bacho pe chhidak diye.
Chudel ; ab ye teeno apas me joda he. Magar ye teeno ka eksath milan bahot kam hoga. Koi ek hamesa dur hoga.
raziya dhima dono ke chahere par mushkan fel gai.
Raziya ; (smaile) mubarak ho didi. Ab to hamara rishta or bhi gahera ho gaya. Ab jaldi se muje gale lagao.
Chudel ; vo dekho rani aa rahi he.
Raziya or dhima dono ne us taraf dekha. Kumurta khubshurat unhe dikhai di.
Raziya or dhima dono ke chahere ki mushkan or gaheri ho gai. Lekin dhima ki to jese shanse hi ruk gai. Vo bas pyar bhari gaheri najro se kumurta ko dekhta hi raha. Kumurta ki najre bhi dhima se mili. Or vo jese sharma si gai.
Hawa tez chalne lagi. Kumurta unki taraf aati hui. Hawa me uske bal or saree lahera rahi thi. Vo aai or sidha dhima ke gale laga li.
Kumurta ; maf karna meri kasham ki vajah se tumhe bahot intjar karna pada.
Dhima ; (bhavuk) mafi mat mango kumurta intjar to tumne bhi kiya he. Vese tum aaj bhi bilkul vesi hi lagti ho. Khubshurat.
Raziya pas khadi mushkura rahi thi. Kumurta to dono hatho ko dhima ki kamar me lapete uski baho me thi. Usne ek hath se raziya ko kamar se jakda or apne or dhima se khich ke sata liya. Ab teeno ne ek dusre ki baho me aa gae.
Dhima ; tum dono me se koi ek mera dill he. Or dusri us dill ki dhadakan.
Dhima ne pahele kumurta ke hotho ko chuma. Kumurta ki to ankhe hi band ho gai. Vo bhi bhavuk ho gai. Fir raziya ko chuma.
Raziya ; (smaile) kash shusi bhi yaha hoti.
Kumurta ka ekdam se matha thanka.
Kumurta ; (sock) kya vo tumhare ghar nahi he???
Raziya ; (aavaj me nami) nahi mene use gav ki ek aurat ko dhudhne ke lie bheja he.
Kumurta jor se chilai.
Kumurta ; (gussa) tumhara dimag to kharab nahi he. Vo tumhare bete ki rakhvali ke lie thi.
Tabhi ek chudel hawa se utri. Uske chahere par gambhirta thi.
Chudel ; (sock) shusumi ko khopdi baba ne kaid kar liya.
Kumutra bahot gusse me aa gai.
Kumurta ; (gussa) raziya apne bete ko sambhalo.
Lekin ek chudel bich me bol padi.
Chudel ; abhi nahi. Dhup tez he.
Kumurta gusse me jor se chikhti he.