• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance SHAURYA:EK VEER

Status
Not open for further replies.

dhparikh

Well-Known Member
10,400
12,008
228
UPDATE 3
Savitri apne ayush ki batein sunti uske ankhon mai anshu aa jate hai apni ankhon ka anshu pochkar bolti hai,

Savitri:-Bahut ho gya laad pyar chal jaldi uthkar taiyaar ho ja vidyalaye ke liye late ho raha aur mujhe bhi kaam par jana hai.

Ayush:-Ji maa

Ayush aisa bolkar komal ko apni maa ke hath mai de deta hai aur taiyaar hone jata hai……………….

AB AAGE..

Kuch samay baad Ayush taiyaar ho kar vidyalaye pahuch jata hai Ayush ka koi dost toh nhi hai,jis vidyalaye mai ayush padta hai usme sab amir log hi ate hai,Ayush ki maa bahut mehnat se paisa jama karke apne bete ko padati hai,Ayush apni maa ko pareshani main nhi dekhna chahta.isliye woh khelo mai bhaag leta hai,use mile puraskar aur paiso se vidyalaye ka fees bhar diya karta hai.

Pure Vidyalaye Mai Ayush ki ek hi dost hai jiska naam Megha Sharma hai woh apne mata pita ki ek lauti ladki hai,unke pitaji ka naam Shreyas sharma hai,jinka business Udaipur mai hai pahile inka business ache se nhi chal raha tha,megha ko gaon ke vidyalay mai pada rahe hai,Megha ki maa Namrata sharma ek house wife hai,badi naik vichar wali aurat hai kisi ke prati inke andar koi mel nhi hai sabko apna bana leti hai wahi adat unki beti Megha mai hai isliye usne Ayush se dosti ki hai,Megha ek sapna hai doctor banne ka jiske liye din raat padai karti hai phir bhi dusre number par ati hai,is baat se use kabhi taklif nhi hui kyuki who Ayush Sach mai ek genius hai.

Megha jabhi tiffin lati hai usme ayush ke liye bhi kuch na kuch lati hai bade pyar se use khilati hai,kam umar mai bhi in dono ke bich atut pyar ka bandhan jise abhi yeah anjaan hai phir bhi dono ke bich ki dosti bahut gehri hai,Ayush ki maa ko megha ne kabhi dekha nhi hai ek baar jarur milna chahti hai,itni taklif uthake ayush ko pada rahi hai yeah sab sunka bahut garv hota hai Ayush aur uski maa par.Ayush itni mehnat karta hai maa ki viswas ko kabhi tutne nhi deta hai.

Abhi Vidyalaye mai Ayush man lagakar pad raha hai,megha use chup chupkar dekh rahi hai uske ankh mai anshu bhi the aisa lag raha hai aj akhri baar ayush ko dekh rahi hai,Ayush jab uske dhyan megha par jata hai isharo mai puchta hai kya hua karke,Megha muskura deti hai bolti hai kuch nhi uske dil ka dard wahi samaj sakti hai woh nhi samaj nhi pa rahi who Ayush ko kaise bataye,Ayush kya react karega jab use malum padega

Ek Raat Pahile Megha kamre mai baithi thi,uski maa saman pack kar rahi thi,megha jab yeah sab dekhti hai apni maa se sawaal karne lagti hai

Megha:-Maa hum log kahi ja rahe hai kya?,jo samaan pack kar rahi ho

Namrata:-Megha,haan beta,aage ka sawaal tum apne pita se hi puchna abhi thodi der mai ayenge tumhe sab batayenge.

Megha:-kya pitaji seher se aa gye? Kab aye kidhar hai?

Namrata:-Kitna sawaal puchti hai,Abhi raste mai hai aa rahe hai,tab tak tu saman pack karne mai meri madat kar

Megha ko kuch samaj nhi aa raha tha apni maa ke kehne par unki madat karne lag jati hai

Thodi der mai Megha ke pitaji aa jate hai ate hi apni betiya ko awaaz dene lag jate hai

Shreyas:-meri ladli laado kidhar hai apne pitaji se milne nhi aogi

Jaise hi megha apne pitaji ka awaaz sunte hai Megha bhagkar apne pitjai ke pass jaati hai,Shreyas megha ko apni godi mai utha lete hai aur bolte hai

Shreyas:-Aj mai bahut khush hun meri pyari laado,mai tumhe sari khushiyan la ke dunga tumhe kisi bhi baat ki koi taklif nhi hogi.

Megha ko kuch samaj nhi aa raha tha,Namrata piche se aakar bolti hai

Namrata:AA gye aap,ate hi betiya ko godh mai lekar baith gyi,pani bhi nhi pucha hoga isne

Megha jab yeah sunti hai use apni galti ka ehsaas ho jata hai apne pitaji se bolte hue

Megha:Maaf kar dijiye pitaji,apse milne ke chakkar mai,apko pani puchna bhul gyi abhi jakar lekar ati hun

Shreyas:Meri pyari si laado,mujhe bura nhi laga,meri yeah pyari si gudiya hai na uska itna pyara chehra dekhkar mera sari thakavat du rho gyi.

Shreyas apne pass mai rakhe mitai ka dhabha rakhe hue use se ek mitai apni beti ko khilate hai,Megha pyar se mukura deti hai,

Namrata uthne mai pani lekar ati hai Shreyas ko dete hue bolti hai

Namrata:-Jara apni beti ke sawalon ka jawab de dejiye kabse bechari pareshan hai,hum log saman pack karke kahan ja rahe hai

Shreyas megha ko apni godi mai uthakar bolte hai

Shreyas:-Meri Pyari Laado ab tum aur tumhari mummy mere sath humesha ke liye Udaipur chal rahe hai,maine jo business chalu kiya tha usme ab kafi acha munafa ho raha tum log ke liye ek shaandar ghar liya hai Udaipur mai ab tum aur tumhari mummy mere sath udhar rahegi tum bhi bade bade logon ke sath padai karogi uthogi baithogi,bade se school mai tumhare liye baat ki hai wahan tum bahut shiksha paa sakogi,ab hum idhar kabhi nhi ayenge meri laado.

Megha jab yeah baat sunti hai use jhtaka lagta hai use toh samaj nhi aa raha hai use khush hona chahiye ya udas,Megha janti hai uske jane ayush ko dukh hoga aur dusra uska dost hi nhi hai apni dard use bata diya karta tha ab who kisko batayega

Megha apne papa se godi se utharkar bina kuch bole kamre mai jati hai udhar rone lagti hai

Shreyas jab apni beti ko udas dekhta hai apni patni se sawaal puchta hai

Shreyas:-Kya hua,megha khush nhi hai,mujhe laga bahut khush hogi jab mai use yeah baat bolunga par yeah toh naraz ho kar chali gyi

Namrata:-Megha ab yeah gaon kabhi nhi aa payegi,jo uske dost hai school ka sath sab chut jayega isliye naraz ho gyi hogi

Shreyas:-In garibon ke liye naraz ho rahi hai,ise bade bade uske dost banege dekhna in sab ko bhul jayegi

Namrata jab apni pati se yeah baat sunti hai bahut naraz ho jati hai admi kitna bhi bada ho jaye kabhi bhi uska ghamand nhi karna chahiye yeah bhi nhi bhulna chahiye who khud kahan se hai lekin shreyas ko ghamand ho gya hai apni kamyabi ka Ise Namrata naraz hai

Namrata:-Mai Megha ko dekhkar ati hun tab tak aap fresh ho jaiye……
Nice update...
 
  • Like
Reactions: Smith_15
105
195
44
Update mai kal deta hun likha Hua hun lekin ek do jagah kahani mai phasa hun usi ke bare mai soch raha hun umeed hai AAP mujhe maaf kar denge
 
  • Like
Reactions: parkas
105
195
44
UPDATE 4

Namrata:-Megha ab yeah gaon kabhi nhi aa payegi,jo uske dost hai school ka sath sab chut jayega isliye naraz ho gyi hogi

Shreyas:-In garibon ke liye naraz ho rahi hai,ise bade bade uske dost banege dekhna in sab ko bhul jayegi

Namrata jab apni pati se yeah baat sunti hai bahut naraz ho jati hai admi kitna bhi bada ho jaye kabhi bhi uska ghamand nhi karna chahiye yeah bhi nhi bhulna chahiye who khud kahan se hai lekin shreyas ko ghamand ho gya hai apni kamyabi ka Ise Namrata naraz hai

Namrata:-Mai Megha ko dekhkar ati hun tab tak aap fresh ho jaiye……

Ab AAGE......

Namrata Megha ke kamre mai jate hue,jab who pahuchti hai dekhti hai Megha Apne takiye mai muh chupakar fufak fukar ro rahi hai,jab use rota hua dekhti hai Namrata uske pass jakar bagal mai baith kar Megha ka chehra apni aur karti hai uske anshu pochti hai,puchne lag jati hai

Namrata:-Bitiya,itna kyu ro rahi ho,apni maa ko nhi bataogi,tumhe toh pata hai na mai aur tumhare papa tumhare ankh mai anshu nhi dekh sakte.

Megha kuch nhi bolti sirf itna hi bolti hai

Megha:-Kya hamara jana jaruri hai maa,mai yahan rehkar kyu nhi pad sakti,idhar bhi toh achi padai hoti hai.

Namrata:-Beta,idhar suvidhayein kam hai,tumhe toh doctor banna hai na,dusron ki madat karni hai,jo yahan rehkar puri nhi ho sakti beta,iske liye tumhara saher mai jakar ache schoolon mai padkar achi se achi shiksha prapht kar sakti ho.

Megha:Par Maa ayush idhar akela ho jayega,uska toh koi dost bhi nhi hai idhar,mujhse hi has khelkar baat kar liya karta tha,ab mai chali jaungi uska kya hoga,bechara udas ho jayega yeah bolkar phir se megha ke ankh mai anshu aa jate hai.

Namrata sab Samaj Gyi thi,megha ke dil mai ayush kitna zaruri hissa ban gya hai,Ayush ko usne dekha hai,bahut mehnati aur bahut ache sanskar hai uske jo uske maa se mile hai,Lekin Namrata mazbur hai kuch kar nhi sakti hai,na chahte hue bhi use seher jana hi padega unki beti ki bhabishya ka jo sawaal hai,megha ko samjhate hue bolti hai

Namrata:Beta,Kabhi Na Kabhi us insaan ko chorkar jana hi padta hai jo humare sabse karib hota hai,beta agar uske ghar ki halat thik hoti uski maa use bhi seher mai hi padati uski maa ki janti hogi yahan gaon mai bhavishya nhi hai lekin mazbur hai,tumhe yeah mauka mila hai use hath se jane mat do beta,khub mehnat karke padai karna Ayush tumpar garv kar sake.

Megha:Maa,mai janti aap aur papa mere liye kabhi galat faisla nhi le sakti,yeah bhi samajti hun meri bhavishya udhar seher mai hai,par maa ayush ki chinta lagi rahegi mujhe humesha,bichara kaise rahega,kya karega,parso uska janamdin hai tab tak hum nhi ruk sakte,kam se kam akhri baar uska janamdin bana lun.

Namrata:-Nhi beta,tumhare papa ka kaam bahut bad gya hai,ek bhi din ki bhi unhe fursat nhi hai,woh toh mazburi mai idhar aye hai,hum sab ko apne sath le ja sake,par tum use kal akhri baar mil lena aur use tohfa dena jab us tohfe ko dekhega use yaad ayega.

Megha:-Kya dun maa mai ayush ko,sab itni jaldi ho gya kuch kharid nhi payi mai uske liye.

Namrata:-Beta.mujhe malum hai,ayush ke liye mere pahile se hi kuch rakha hai,ruko mai abhi lakar deti hun

Namrati megha ke kamre se nikalkar,who tohfa lane jati hai,thodi der ke baad woh tohfa lakar deti hai ek chote sa box tha,megha jab kholkar dekhti hai woh shock ho jati hai yeah koi mamuli sa tohfa nhi tha apni maa se puchti hai

Megha:Maa yeah toh wahi locket hai aap itne salon se sambhalkar rakhi hai,yeah toh nanaji ne diya hai toh aap kaise yeah de sakti hai

Namrata:Beta,aise hi locket tere gale mai hai,jo tere gale mai hai woh sherni ka hai,jo humesha dusron ke baron mai sochta hai,logon ki har kisam ki madat karta hai,jo mai ayush ko de rahi hun who prince of lion ka locket hai jo humesha dusron ki raksha karta hai,ek king ki tarah rehta hai,papa ne mujhe do locket diye the ab yeah unke pass kaise aya woh toh mai nhi janti yeah locket ki ek khasiyat hai yeah apna malik khud chunta hai isne na mujhe chuna na hi tumhare papa ko,nhi mere papa aur mummy ko chuna jab yeah unke pass tha unhone mujhe sambhalkar rakhne ke liye de diya isliye maine ise sambhalkar rakha jab tum hui maine tumhe pehnaya isne tumhe chun liya,jab yeah kisi ko chunta hai locket se ek kiran nikalkar ati hai ise pata chalta hai locket ko apna malik mil gya,jitna maine ayush ko dekha uske bare mai suna hai mai yakin se keh sakti hun yeah locket ayush ko apna malik banayega.Beta yeah locket tab tak nhi utharega jab tak uska malik na chaye aur haan humesha yeah locket apne malik aur uske parivaar ka suraksha karega,use humesha sahi rashta dikhayega.

Megha:-Yeah toh bahut badiya tohfa hoga ayush ke liye mai nishchit hokar padai kar sakti hun mujhe uska tension bhi nhi hoga,mujhe humesha yakin rahega woh kidhar bhi rahe yeah locket humesha uski suraksha karega,par maa agar locket ne ayush ko apna malik nhi chuna toh.

Namrata:-Megha,mai yakin ke sath keh sakti hun yeah usi ko apna malik chunega,tu bas use pehna de phir kamal dekhna agar nhi chunega toh mujhe lakar wapas de dena thik

Megha:-Thik hai maa jaisa aap thik samjhe kal mai use pehna dungi

Namrata apne man mai sochte hue bolti hai beta yeah locket ki ek aur khasiyat hai ek dusre ke hone ka ehsaas humesha karayega kabhi ek dusre ko alag nhi hone dega,yeah sab samajne ke liye tum bahut choti ho,badi hogi apne aap samaj jaogi,ho na ho ayush hi woh ladka hai jisko yeah locket chunega dekhte hai mai sahi hun ya galat.

Namrata:-chal ab bahut batein ho gyi mai niche tera khane mai wait kar rahi hun jaldi aa.

Megha:-Ji maa abhi ayi………..

Thodi der mai dining table par Namrata,Shreyas,Megha baithi hai sab ka khana ho gya hai

Shreyas puchta hai

Shreyas:-Toh laddo tumhari narazgi khatam ho gyi ki nhi,dekho tumhare ache ke liye hum log yeah sab kar rahe hai

Megha:-Haan papa,meri narazgi khatam ho gyi mujhe koi shikayat nhi hai,maa ne mujhe ache se samjha diya,par mai akhri baar school jana chahti hun ek akhri baar apne sab doston se,teacher se milna chahti hun,please mana mat kijiyega

Shreyas:-Thik hai beta,jaise tumhari marzi,waise bhi ham kal shaam ka train hai tum akhri baat school ja sakti ho,tumhari school se leaving certificate bhi toh lena hai,tumhari maa kal jakar woh le ayegi

Megha:-Thankyou papa I love You so much

Shreyas:-I love you too beta

Namrata:-Manaya maine tujhe,love you sirf papa ko,meri koi value hai kin hi,meri toh kisi ki kadar nhi hai

Megha:-Nhi maa,sorry,I love you meri pyari achi wali mummy

Namrata:-I love you too beta,chal jaldi se so ja kal tujhe school bhi jana hai

Megha:-Haan Maa mai abhi jati hun good night papa,good night maa

Shreyas aur Namrata dono ek sath bolte hai good night beta……….

VAJRADHIKARI

Hello dosto
1,443
17,064
144

Super update hai bro mast
 
  • Like
Reactions: parkas and Smith_15
Status
Not open for further replies.
Top