- 105
- 195
- 44
Nice and superb update....UPDATE 4
Namrata:-Megha ab yeah gaon kabhi nhi aa payegi,jo uske dost hai school ka sath sab chut jayega isliye naraz ho gyi hogi
Shreyas:-In garibon ke liye naraz ho rahi hai,ise bade bade uske dost banege dekhna in sab ko bhul jayegi
Namrata jab apni pati se yeah baat sunti hai bahut naraz ho jati hai admi kitna bhi bada ho jaye kabhi bhi uska ghamand nhi karna chahiye yeah bhi nhi bhulna chahiye who khud kahan se hai lekin shreyas ko ghamand ho gya hai apni kamyabi ka Ise Namrata naraz hai
Namrata:-Mai Megha ko dekhkar ati hun tab tak aap fresh ho jaiye……
Ab AAGE......
Namrata Megha ke kamre mai jate hue,jab who pahuchti hai dekhti hai Megha Apne takiye mai muh chupakar fufak fukar ro rahi hai,jab use rota hua dekhti hai Namrata uske pass jakar bagal mai baith kar Megha ka chehra apni aur karti hai uske anshu pochti hai,puchne lag jati hai
Namrata:-Bitiya,itna kyu ro rahi ho,apni maa ko nhi bataogi,tumhe toh pata hai na mai aur tumhare papa tumhare ankh mai anshu nhi dekh sakte.
Megha kuch nhi bolti sirf itna hi bolti hai
Megha:-Kya hamara jana jaruri hai maa,mai yahan rehkar kyu nhi pad sakti,idhar bhi toh achi padai hoti hai.
Namrata:-Beta,idhar suvidhayein kam hai,tumhe toh doctor banna hai na,dusron ki madat karni hai,jo yahan rehkar puri nhi ho sakti beta,iske liye tumhara saher mai jakar ache schoolon mai padkar achi se achi shiksha prapht kar sakti ho.
Megha:Par Maa ayush idhar akela ho jayega,uska toh koi dost bhi nhi hai idhar,mujhse hi has khelkar baat kar liya karta tha,ab mai chali jaungi uska kya hoga,bechara udas ho jayega yeah bolkar phir se megha ke ankh mai anshu aa jate hai.
Namrata sab Samaj Gyi thi,megha ke dil mai ayush kitna zaruri hissa ban gya hai,Ayush ko usne dekha hai,bahut mehnati aur bahut ache sanskar hai uske jo uske maa se mile hai,Lekin Namrata mazbur hai kuch kar nhi sakti hai,na chahte hue bhi use seher jana hi padega unki beti ki bhabishya ka jo sawaal hai,megha ko samjhate hue bolti hai
Namrata:Beta,Kabhi Na Kabhi us insaan ko chorkar jana hi padta hai jo humare sabse karib hota hai,beta agar uske ghar ki halat thik hoti uski maa use bhi seher mai hi padati uski maa ki janti hogi yahan gaon mai bhavishya nhi hai lekin mazbur hai,tumhe yeah mauka mila hai use hath se jane mat do beta,khub mehnat karke padai karna Ayush tumpar garv kar sake.
Megha:Maa,mai janti aap aur papa mere liye kabhi galat faisla nhi le sakti,yeah bhi samajti hun meri bhavishya udhar seher mai hai,par maa ayush ki chinta lagi rahegi mujhe humesha,bichara kaise rahega,kya karega,parso uska janamdin hai tab tak hum nhi ruk sakte,kam se kam akhri baar uska janamdin bana lun.
Namrata:-Nhi beta,tumhare papa ka kaam bahut bad gya hai,ek bhi din ki bhi unhe fursat nhi hai,woh toh mazburi mai idhar aye hai,hum sab ko apne sath le ja sake,par tum use kal akhri baar mil lena aur use tohfa dena jab us tohfe ko dekhega use yaad ayega.
Megha:-Kya dun maa mai ayush ko,sab itni jaldi ho gya kuch kharid nhi payi mai uske liye.
Namrata:-Beta.mujhe malum hai,ayush ke liye mere pahile se hi kuch rakha hai,ruko mai abhi lakar deti hun
Namrati megha ke kamre se nikalkar,who tohfa lane jati hai,thodi der ke baad woh tohfa lakar deti hai ek chote sa box tha,megha jab kholkar dekhti hai woh shock ho jati hai yeah koi mamuli sa tohfa nhi tha apni maa se puchti hai
Megha:Maa yeah toh wahi locket hai aap itne salon se sambhalkar rakhi hai,yeah toh nanaji ne diya hai toh aap kaise yeah de sakti hai
Namrata:Beta,aise hi locket tere gale mai hai,jo tere gale mai hai woh sherni ka hai,jo humesha dusron ke baron mai sochta hai,logon ki har kisam ki madat karta hai,jo mai ayush ko de rahi hun who prince of lion ka locket hai jo humesha dusron ki raksha karta hai,ek king ki tarah rehta hai,papa ne mujhe do locket diye the ab yeah unke pass kaise aya woh toh mai nhi janti yeah locket ki ek khasiyat hai yeah apna malik khud chunta hai isne na mujhe chuna na hi tumhare papa ko,nhi mere papa aur mummy ko chuna jab yeah unke pass tha unhone mujhe sambhalkar rakhne ke liye de diya isliye maine ise sambhalkar rakha jab tum hui maine tumhe pehnaya isne tumhe chun liya,jab yeah kisi ko chunta hai locket se ek kiran nikalkar ati hai ise pata chalta hai locket ko apna malik mil gya,jitna maine ayush ko dekha uske bare mai suna hai mai yakin se keh sakti hun yeah locket ayush ko apna malik banayega.Beta yeah locket tab tak nhi utharega jab tak uska malik na chaye aur haan humesha yeah locket apne malik aur uske parivaar ka suraksha karega,use humesha sahi rashta dikhayega.
Megha:-Yeah toh bahut badiya tohfa hoga ayush ke liye mai nishchit hokar padai kar sakti hun mujhe uska tension bhi nhi hoga,mujhe humesha yakin rahega woh kidhar bhi rahe yeah locket humesha uski suraksha karega,par maa agar locket ne ayush ko apna malik nhi chuna toh.
Namrata:-Megha,mai yakin ke sath keh sakti hun yeah usi ko apna malik chunega,tu bas use pehna de phir kamal dekhna agar nhi chunega toh mujhe lakar wapas de dena thik
Megha:-Thik hai maa jaisa aap thik samjhe kal mai use pehna dungi
Namrata apne man mai sochte hue bolti hai beta yeah locket ki ek aur khasiyat hai ek dusre ke hone ka ehsaas humesha karayega kabhi ek dusre ko alag nhi hone dega,yeah sab samajne ke liye tum bahut choti ho,badi hogi apne aap samaj jaogi,ho na ho ayush hi woh ladka hai jisko yeah locket chunega dekhte hai mai sahi hun ya galat.
Namrata:-chal ab bahut batein ho gyi mai niche tera khane mai wait kar rahi hun jaldi aa.
Megha:-Ji maa abhi ayi………..
Thodi der mai dining table par Namrata,Shreyas,Megha baithi hai sab ka khana ho gya hai
Shreyas puchta hai
Shreyas:-Toh laddo tumhari narazgi khatam ho gyi ki nhi,dekho tumhare ache ke liye hum log yeah sab kar rahe hai
Megha:-Haan papa,meri narazgi khatam ho gyi mujhe koi shikayat nhi hai,maa ne mujhe ache se samjha diya,par mai akhri baar school jana chahti hun ek akhri baar apne sab doston se,teacher se milna chahti hun,please mana mat kijiyega
Shreyas:-Thik hai beta,jaise tumhari marzi,waise bhi ham kal shaam ka train hai tum akhri baat school ja sakti ho,tumhari school se leaving certificate bhi toh lena hai,tumhari maa kal jakar woh le ayegi
Megha:-Thankyou papa I love You so much
Shreyas:-I love you too beta
Namrata:-Manaya maine tujhe,love you sirf papa ko,meri koi value hai kin hi,meri toh kisi ki kadar nhi hai
Megha:-Nhi maa,sorry,I love you meri pyari achi wali mummy
Namrata:-I love you too beta,chal jaldi se so ja kal tujhe school bhi jana hai
Megha:-Haan Maa mai abhi jati hun good night papa,good night maa
Shreyas aur Namrata dono ek sath bolte hai good night beta……….
Thank YouNice and superb update....