• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Sher o Shayari ki Duniya

PARADOX

ଗପ ହେଲେ ବି ସତ
6,068
3,447
189
अच्छा है ना..
कुछ नजदिकियाँ ख्यालों में ही रहे...
ख्यालों में ही वादाखिलाफी रहे.....

यूँ ही दूरियाँ रहे नजदिकियों के साथ...
अच्छा है,

कह कर भी , कुछ अनकहा सा रहे :love:
Superb
 

LoveStar

प्यार का देवता
557
1,314
139
Roz Jeeta Hun Roz Marta Hun,
Zulm Khud Apne Saath Karta Hun,
Bheed Mein Kho Gaya Hun Kahi Shayad,
Apna Chehra Talash Karta Hun,
Main Hi Mujrim Main Hi Munsif Hun,
Isliye Shayad Faisle Se Darta Hun,
Samna Ho To Apna Sar Jhuka Lunga,
Peeth Peeche To Main Mukarta Hun,
Waqt Bhi Kis Tarah Meherbaan Hai,
Na To Hasta Na To Aah Bharta Hun,
Gungunayi Nadi Mere Khayalo Ki,
Raah Se Uski Jab Guzarta Hun,
Apne Paaon Mein Baand Kar Manzil,
Main Safar Yun Tamam Karta Hun.
 

PARADOX

ଗପ ହେଲେ ବି ସତ
6,068
3,447
189
Roz Jeeta Hun Roz Marta Hun,
Zulm Khud Apne Saath Karta Hun,
Bheed Mein Kho Gaya Hun Kahi Shayad,
Apna Chehra Talash Karta Hun,
Main Hi Mujrim Main Hi Munsif Hun,
Isliye Shayad Faisle Se Darta Hun,
Samna Ho To Apna Sar Jhuka Lunga,
Peeth Peeche To Main Mukarta Hun,
Waqt Bhi Kis Tarah Meherbaan Hai,
Na To Hasta Na To Aah Bharta Hun,
Gungunayi Nadi Mere Khayalo Ki,
Raah Se Uski Jab Guzarta Hun,
Apne Paaon Mein Baand Kar Manzil,
Main Safar Yun Tamam Karta Hun.
nice
 
  • Like
Reactions: LoveStar

LoveStar

प्यार का देवता
557
1,314
139
Wo Kahti Thi Teri Shayri Tujhe
Kuchh Nahi De Payegi…
Teri Bhi Sari Zindagi Bas Rote Huye
Nikal Jayegi…
Kash Use Mere Rone Ki Wajah Ka
Kabhi Ehsas Hua Hota…
Agar Wohi Sath Na Chhodti Mera To
Mai Is Qadar Kyu Rota…
Ye Shayri Hi Mujhe Ek Nayi Pehchan
Degi…
Jin Paro Ko Kat Diya Tune Ye Mujhe
Nayi Udan Degi…
Mai Apne Alfazo Se Ab Kisi Ka Dil
Jeet Leta Hu…
Khud Ka Dard Auro Se Bant Kar
Dusro Ko Khush Kar Deta Hu…
Teri Na Maujudgi Ka Asar Ab Bhi
Bahut Padta Hai Mujhpe…
Dekh Ek Teri Nafrat Ke Badle Kitne
Logo Ka Pyar Umadta Hai Mujhpe…
 

LoveStar

प्यार का देवता
557
1,314
139
Kabhi Tum Mujhe Kareeb Se Aake Dekhna
Aise Nahi Zara Or Pass Aake Dekhna
Main Tumse Kitna Pyaar Karta Hu
Mujhe Kabhi Seene Se Laga Kar Dekhna
Main Tujhe Ashkon Ki Kataar Me Nazar Aaunga
Meri Yaad Mein Kabhi Aansun Baha Kar Dekhna
Meri Ghazal Padh Kar Bhi Tum Par Asar Na Ho
To Logo Ko Meri Ghazal Suna Kar Dekhna
 

Romeo 22

Well-Known Member
9,734
5,415
189
:welcome: Everyone and thanks for posting :love:
 
  • Like
Reactions: LoveStar

Romeo 22

Well-Known Member
9,734
5,415
189
ऐ मुझ को फ़रेब देने वाले
मैं तुझ पे यक़ीन कर चुका हूँ
..
 
Top