- 201
- 577
- 109
shukria bhai log.. keep supporting.. story me kuchh pasand na aye to bhi bata dena taki use sudhar saku..
abhi thoda time lagega.. i promise update aj sham tak ya raat tak aa jayega.. i have some important pending work to finish.. sorry for making you waitingUpdate
Interview badhiya liye shilpi ne pr ye Krishna Thodi suspicious lagi mujhe, dekhte hai kya hota hai aage superb update bhai sandarupdate 02 interview and new entry
thodi der bad shilpi khud ko sambhalti hai and dininng table se uth kar apne room me chali jati hai.. thodi hi der hui thi ke uska phone ring hua jo uski secretary ka tha..
intro..
riya secretary and friend of shilpi.. age 22.. sharp mind and advice ki dukaan.. kabhi kabhi esi advice deti hai ki samne wala banda uske aage hath jodne par majbur ho jaye...
riya : hello madam.. good day.. mene apko just ye yad karane ke lie call kia tha ki aaj company me interviews hai joki apko lene hai.. so ap jaldi aane ka try kario..
shilpi : yes i remember.. tum thodi der sambhal lena mai ghar se nikal hi rahi hu..
shilpi office ke lie ready ho kar nikal gai apni car le kar.. uske akho ke samne aaj morning me jo bhi hua wo bar bar aa jata tha.. uski life ka sabse khubsurt lamha jiske lie wo aaj tak tarasti aai thi.. bar bar uske face par smile aa jati thi.. thodi der me wo company pahoch chuki thi..
S & S ROBOTICS PVT. LTD shivam ke dad ki company thi jise shivam and shilpi ne apni mehnat se world me number 1 par pahochaya tha.. wo smile ke sath gate se enter hui.. wese to wo hamesha smile ke sath hi company me jati thi par aajki bat alag hi thi.. wo building ke 5th floor par bane apne cabin me ja pahochi.. waha par do tables the.. jisme se ek par shivam and dusre par shilpi ke nam ki name plate lagi hui thi.. thodi der bad riya cabin me aai.. she saw ki shilpi kuchh sochte hue man hi man muskura rahi thi.. riya ne uske samne chutki bajai fir bhi usko pata nahi chala.. usko hilaya fir bhi no reply.. usne dekha ki table par garm coffee ka cup pada hua hai.. riya ne kuchh socha fir usne shilpi ka hath pakda and uski ungli cup me dal di jisse shilpi hosh me aa gai.. jese hi use hosh aaya wo gusse me riya ko ghurne lagi..
riya ne haste hue puchha, ''wah madam ji aaj suraj kaha se nikla hai jo apko itna jagaya kitna kaha par ap suni hi nahi.. kuchh naya hua hai kya? kahi shivam sir ne propose to nahi kar dia??.. '' use malum tha ke shilpi shivam ko dilo jaan se pyar karti hai.. shilpi ne sharmate hue smile pass kari par kuchh nahi kaha..
riya : aaye haye.. dekho to sahi.. hamari laado kese sharma rahi hai? ye chaand sa mukhda aaj tamatar q bana hua hai? bata na kya hua ? kahi usne I LOVE YOU to nahi bol dia?? par shilpi ne kuchh reply nahi dia ye dekh kar riya shilpi ko jyada pareshan karne lagi.. aakhir tang aakar shilpi ne sari bat batadi and firse sharmane lagi..
riya : wah ab lagta hai jald hi i love you bol dega wo tujhe.. shipli bas smile kar ke reh gai..
riya : ab sharmana chhod and ready ho ja interviews ke lie sare candidates aa chuke hain.. shilpi ne use turn by turn sab ko bhejne ko kaha..
riya bahar aa gai and wo bari bari sare candidates ko bhejne lagi.. and thodi der bad uske hatho me ek resume aaya jispe nam likha tha.. KRISHNA SHARMA.. naam lete hi ek 26saal ki ladki khadi hui and riya ne use shilpi ki cabin me bhej dia.. shilpi ne use dekha ki wo usi ki age ki sundar par simple pehnave wali ladki thi.. shilpi ne uski file li and interview start kia..
shilpi : so miss krishna tell me about yourself.. what is your biggest fear.. yahi style tha shilpi ka .. uske sawal alag hi level ke hote the and isi lie usko face karna shayad har candidate ke lie mumkin nahi hota tha.. par shayad aaj usko koi uski takkar ka milne wala tha..
krishna : my fear is losing control over myself bcs i know what i am and why i am..
shilpi was bit impressed and usne kuchh aur sawal puchhe.. then she asked her last question..
shilpi : what makes you mad like never ever?
krishna : i cant tell..
shilpi ne usko jane ko kaha and usko ye bhi bola ki if she iis selected she will be informed.. uske answers quite normal hi the par shilpi ko lag rha tha ki kuchh to khas tha usme..
usko pata nahi tha ki uski company me employee nahi ek toofan aane wala hai jo shayad sab badal dega..
I am waitingupdate coming soon..