• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy shivam.. the warrior..

Shanu

Deadman786
6,102
16,911
188
sorry bhai log for very very late update .. abhi abhi main rid ki haddi ki chot se recover hua hu
Koi baat nahi bhai โ˜บ๏ธ ๐Ÿ˜Š
 

spritemathews

Well-Known Member
3,469
7,293
158
Excellent update bhai โ˜บ๏ธ ๐Ÿ˜Š
 

spritemathews

Well-Known Member
3,469
7,293
158
sorry bhai log for very very late update .. abhi abhi main rid ki haddi ki chot se recover hua hu
Take care of your health
 

rebellover

Member
201
577
109
39. apno ka badla

Wo call leo ka tha, usne kaha, โ€˜โ€˜ hello mister rebel. I hope aap janna chahte honge ki main kaun hu jisne aapko call kia hai. Apko ek photo and location bhej raha hu agar ap apni pyari behan ki salamati chahte hain to jaldi se location pe aa jao.โ€™โ€™ Call cut hone ke turant baad hi shivam ke phone me ek video aata hai, shivam jese hi video open kia use video me riya ka chehra dikhai de raha tha aur uske dono gaal par 5 5 unglio ke nishan saaf saaf dikhai de rahe the. Shivam ne usi number par call kia and gusse se dahadte hue kaha, โ€˜โ€˜ bahot badi galti kardi tumne meri family par nazar daal kar. Main aa raha hu tere paas and bata dena apne boss umesh ko ki uski maut uske paas aa rahi hai.โ€™โ€™

Shivam ne apna bracelet pehna aur suit up kar ke leo dhwara bheji gai location ke lie nikal pada aur karib 5minutes me hi wo ek villa ke samne ja pahocha usne Jarvis ki madad se land hone se pehle hi scan kar lia. Villa me kariban 5ninjas the aur villa ke living room me leo wine pite hue betha hua tha. Leo soch raha tha ki shivam akela hi aayega par wo 101% galat tha. Shivam ne villa se dur land ho kar armour ko invisible mod pe daal dia aur villa me enter ho gaya. Shivam ke pas armour ke alawa do ninja swards bhi thi, shivam pith par swards taange andar aa gaya, usne man hi man tay kia tha ki aaj wo apne gusse ke bandh ko khulla chhod dega.

Jese hi shivam villa me enter hua use leo un 5ninjas ke sath maujud tha. Shivam ne gusse me ubalte hue kaha, โ€˜โ€˜ kaha hai meri behan riya. Agar use kuchh hua to tum sab ko zinda gaad dunga.โ€™โ€™ Jawab me leo ne devil smile dete hue kaha, โ€˜โ€˜ dikha dunga tumhe tumhari pyari behan par pehle tumhe in 5ninjas ko harana hoga.โ€™โ€™ Shivam ne jawab me kuchh nahi kaha bas apni swards nikal li jiske turant baad un 5 ninjas ne use gher lia and ek sath hamla kar dia par unke kisi bhi hamle ka us par koi bhi asar nahi ho rha tha and luckily shivam ka bracelet bhi invisible mode pe tha so un sab ko kuchh samajh nahi aa raha tha. Kuchh hi der me shivam ne un sab ko ghayal kar ke gira dia tha. Kisi ka hath kat gaya tha to kisi ka pair to kisi ke body pe har jagah ghav lage hue the and sabhi ninjas niche zamin par pade tadap rahe the.

Leo shivam ki esi fight dekh kar chaunk gaya tha ki tabhi villa ke bahar se dhamako ki awaz sunai dene lagi aur kuchh hi der mein villa ka main door toot kar andar ki or gir gaya. Leo ne dekha to use shilpi and pallavi hath me swards lie khadi dikhai di, leo kuchh kehta ya kar pata ki tabhi ek arrow uske kandhe me lag gaya. Arrow chalane wali aur koi nahi sayesha hi thi, sath me kriti aur pragya bhi maujud thi. Sab ke chehre par maut nach rahi thi, leo ne dard me karahte hue wo arrow nikalne laga ki tabhi ek shurican uske dusre kandhe par jaa laga. Shivam ne leo ke pas ja kar uska ek hath pakda aur jad se ukhad dia aur chillate hue kaha, โ€˜โ€˜ isi hath se tune meri beti ko chhua tha na.โ€™โ€™leo dard me chillane laga. Tabhi shilpi uske pas aai aur usne leo ke kandhe me ghusa arrow nikala aur bari bari leo ki aakhe fod di. Baki sab ne bhi leo ka ese hi bura haal kia fir shivam ne leo ke phone se umesh ko call kia aur loud speaker par rakhte hue kaha, โ€˜โ€˜ koi zarurat nahi hai tere aadmio ko bhejne ki. main aa raha hu apni maa ko chhudane aur tujh jese haiwan ko khatam karne. Just wait to face the wrath of shivam rohan shah aka rebel.โ€™โ€™

Idhar umesh ko shivam ki awaz sunkar pata nahi kyu par life me pehli baar dar lag raha tha. Use kahi na kahi yeh awaz suni hui lag rahi thi, par jese hi usne shivam ka pura naam suna uski rooh ek pal ke lie dar se kaanp gai. sach kaha hai ki har insaan ko uske karmo ka fal kabhi na kabhi bhugatna hi padhta hai, kuchh esa hi umesh aur uska sath dene walo ke sath hone wala tha. Wo call par koi jawab deta tabhi use leo ki aakhri chikh sunai di, shivam ne uska gala kaat dia tha, jisse dar ke umesh ke hath se phone chhut kar niche farsh par gir gaya.

Kismat se karuna sidio par hi khadi thi aur umesh call pe loud speaker pe hone ki wajah se usne shivam ki awaz sun li thi aur wo khush bhi thi ke uska beta use chhudane aa rha hai. Usne wahi khade ho kar kaha, โ€˜โ€˜ sun li mere bete ki dahad ! tere sare paapo ka nyay karne, tere samrajy ka ant karne aa raha hai mera beta. Agar bacha sakta hai to bacha le apne aapko.โ€™โ€™ Yeh kehte hue karuna ki aakho me dard aur khushi dono ke mile jhule bhav saaf saaf dikhai de rahe the. Umesh ko gussa to bahot aaya par usne chup rehna hi sahi samjha.

Idhar leo ko marne ke baad shivam aur team ne pura villa chhan lia par riya mili nahi tabhi shilpi ko yaad aya ki riya ka jo video aaya tha usme jo room tha uski diwar pe heeran ka photo laga hua tha. Shilpi jaldi se room ke darwazo ko khol kar dekhne lagi ki tabhi use ek room me riya bandhi hui mili jab riya ke karib ja kar shilpi ne dekha to paya ki wo behosh hai aur uske mathe se khoon beh raha hai. Shilpi ne jaldi se ek kapde ka lamba tukda lia aur uske ghav par bandh dia, jese hi riya ko shilpi ka sparsh mehsus hua usne dhire se aankhe kholi aur shilpi ko dekh kar MAA kaha aur fir se behosh ho gai. Riya ki yeh halat dekh kar shivam aur baki ke logo ke dil ke maano hazar tukde ho gaye ho esi haalat ho gai. Shilpi ne jaldi se riya ki rassiya chhodi aur use godi me utha kar bahar jane lagi usne pragya kriti aur sayesha se kaha, โ€˜โ€˜ in sabhi haiwano ki body par acid daal do aur fir villa ko bomb se uda do. Inme se koi bachna nahi chahieโ€™โ€™ ye kehte hue shilpi ki aakho me aasu aur gussa saf dikhai de raha tha.

Thodi hi der me villa blast ki wajah se aag ki lapeto me jal raha tha aur sab riya ko le kar hospital ke lie nikal chuke the. Thodi hi der mein sab hospital pahoch chuke the thodi hi der me riya ko icu me le jaya gaya. Kuchh hi der mein icu ka darwaza khula aur doctor bahar aaye aur kaha, โ€˜โ€˜ gabhrane ki koi baat nahi hai. Miss ke chehre par thappad marne ki wajha se soojan aa gai hai aur sir pe chot serious nahi hai bas thoda dhyaan rakhna padega. Aap chaho to kal unhe ghar le ja sakte ho.โ€™โ€™ Itna keh kar doctor chala gaya, kuchh hi der mein riya ko special ward me le jaya gaya. Pallavi ne shivam se kaha, โ€˜โ€˜ agar tum mujhe sach me apni maa mante ho to mujhse waada karo ki jiski bhi wajah se riya ki esi halat hui hai use tum zinda nahi chhodoge. Jitna dard usne karuna aur riya ko dia hai usse 1000guna dard use doge.โ€™โ€™ Shivam ne jawab me kuchh nahi kaha bas haan me apna sar hila dia.

Shivam ne ward se bahar nikalte hi pari ko singhaniyas aur unke sathio ke bare mein with their current locations pata lagane ko keh dia, ab rebel ka asli ya yu kahe ki ab tak ka sabse bhayanak kehar barasne wala tha uske sab dushmano par. Kuchh hi der mein pari ne sab information shivam ke phone me transfer kar di. Raat ke 12bajte hi shivam rebel ka armour pehan kar pahoch gaya pehli location par ja kar bhayanak tabahi macha di, jisse umesh ka arabo ka nuxan ho gaya, dekha jaye to shivam ka main plan umesh ko usi jagah bula kar maarne ka tha jaha par usne shivam ki family ki hatya ki thi. Aise hi kuchh hi dino me shivam aur uski team ne umesh ne firse khada kia hua business empire nearly 50% tak tabah kar dia tha.

Umesh ab puri tarha apna control kho chuka tha. Wo jald se jald pata lagana chahta tha ki rebel kon hai, karuna ne use hint to de di thi par wo 100% sure hona chahta tha, Is lie usne singhaniyas ko bali ka bakra banana ka decision lia. Uska yeh move risky to tha par wo is baar majbur ho chuka tha. Singhaniyas ka luck esa tha ki shivam ne rashi aur uske psycho bhai ko wapas unke ghar bhej dia tha par unki physical aur mental condition esi thi ke wo door ke khulne ki awaz sun kar bhi kaanpne lagte the.

Kuchh din baad singhaniyas ke ghar ek aadmi deal karne aane wala tha, aur uske sath singhaniyas ko umesh ke behalf me deal karni thi and wo deal ek jungle area me hone wali thi. Jarvis ne shivam ko is bare me turant hi bata dia, jisse shivam ke face par ek ajeeb smile aa gai usne shilpi ko bata dia ki aaj singhaniyas ki life ka aakhri din hoga. Shivam and shilpi deal hone ke time se ek ghante pehle hi us jagah pahoch gaye aur ek ped ke upar chadh gaye. Un dono ke pas hamla karne ke lie sabse khatarnak arrows the jinhe shoot karne par esa bhayanak blast hota tha ki agar kisi insan par shoot kia jaye to us insan ki haddia bhi na mile.Kuchh der baad hi puri singhaniya family car me waha pahoch gai aur wo log umesh ke aadmi ka intezar karne lage. Jarvis aur pari ne waha chhupaye gaye cctv cameras aur satelites ko is tarha se hack kia tha ki jaha par wo log the waha ki koi footage kabhi bhi kisi ko nahi milne wali thi.

Khair kuchh der bad umesh ka aadmi aa pahocha ek mini truck me, jisko wo khud drive kar raha tha.us truck me arabo rupiyo ke drugs aur weapons bhare hue the jiske bare mein Jarvis ne us truck ko scan karke bata dia tha. Jese hi singhaniyas ne truck ki chabi us aadmi se li tabhi ek shurican sanjay ke gale ko chirta hua us aadmi jiska naam rushabh tha uske sine me ja laga, jiski wajah se sab dar ke mare chaunk gaye khas kar rashi aur harsh. Harsh ne darte hue kaha, โ€˜โ€˜ wo aa gaya.. rebel aa gaya..โ€™โ€™ itna keh kar wo dar ke mare behosh ho gaya. Jese hi dono behosh hue shivam aur shilpi jump kar ke ped par se niche aa gaye aakho me beshumar gussa lie.

Dono aate hi singhaniyas par toot pade kuchh hi der me sab gunde zamin par gire pade the, rushabh aur singhaniyas family ki halat esi ho gai thi ke wo hil bhi nahi pa rahe the. Shivam chalte hue singhaniyas ki or gya aur shamsher ki thuddi par apni sward rakh kar kaha, โ€˜โ€˜ bahot paap kie hain tune aur teri family ne. par aaj tum sab ko tum logo ke paapo ki saza milegi. Itna keh kar wo shamsher, aur harsh par toot pada aur kuchh hi der me dono ke hath pair kat ke gir gaye aur dono dard ke mare chillane lage. Dusri taraf shilpi ne bhi nidhi aur rashi ki halat kharab kar di thi usne dono ke chehre ko esa bigaad diya tha ki dekhe bhar se ghin aa jaye. Shilpi ne ek hi baar me dono ki gardan uda di aur use uske baki ke sharir ke sath us mini truck ke andar daal dia aur baki logo ke sath bhi wesa hi kia, aur baad me us truck me se weapons nikal kar side par rakh die aur truck me bomb plant kar dia aur uski range se dur aa kar bomb blast kar dia, the game was finished finally.

Kuchh der baad sab ghar aa gaye par shivam jese hi ghar me enter hua wo ghutno ke bal beth kar rone laga. Sab chaunk gaye shivam ki yeh halat dekh kar chintit ho gaye bas shilpi janti thi ke shivam kyu ro raha hai. Usne shivam ke pas jaa kar ghutno ke bal bethte hue gale laga lia, shivam uski baaho me aa kar aur bhi buri tarha se rone laga aur kaha, โ€˜โ€˜ maine aaj apne pariwar ki maut ka aadha badla le lia. Maine maar dia un darindo ko.โ€™โ€™ Wo bahot der tak uske gale lag kar rota raha, sach kahe to dono hi ro rahe the.

Kuchh der baad shilpi ne pallavi se isharo me kuchh kaha aur shivam ka hath pakad kar use room me le gai. Room me aa kar shilpi shivam ko le kar bed par beth gai par shivam shilpi ki god me sar rakh kar so gaya uska hath pakad kar, wo so to gaya tha par uski aakho se bahot der tak aasu behte rahe. Room ka door khula hua tha aur baki ke family members ye emotional scene dekh rahe the, sab ki aakhe nam thi par sab ke dilo ek sukoon bhi tha ki koi to hai jo shivam ke sath har dard har khushi me uske sath khada rahega. Kuchh der baad sab room apne apne room me raat hone ki wajah se sone chale gaye. Morning me jab shilpi ki nind khulti hai to wo dekhti hai ki shivam use pichhe se hug kar ke soya hua hai. Shilpi jab uth kar jane ka try karti hai to shivam nind me hi uska hath pakad leta hai aur kehta hai, โ€˜โ€˜ please mujhe chhod kar mat jao. Nahi ji paunga tumhare bina.โ€™โ€™ Yeh alfaz usne nind me kahe the par uski awaz me kafi gehrai thi aur nind me hi uski aakho se aasu ka ek katra beh chala. Shilpi ki aakhe bhi ek pal ke lie nam ho jati hai wo fir se let jati hai aur use apni baho me sula deti hai. Riya dono ko dekhne ke lie aai thi par usne bhi shivam ke muh se nikle shabd sun lie the so usne socha ki aaj ke lie shivam ko rest ki zarurat hai so usne company ke H.R ko call kia and aaj ke din ke lie puri company me holiday declare karne ko keh dia.

Khair thodi der bad shivam ki nind khuli to usne paya ki wo shilpi ki baho me so raha hai aur shilpi chehre par ek pyari si muskan lie uske mathe par hath fira rahi hai. Shivam apne dard se thoda sa hi sahi par bahar aa chukka tha usne shilpi ke hath ko pakda aur us hath par kiss kar dia, jese ki wo kehna chah raha ho ki I love you wifey. Shilpi ne reply me usko hug kia aur use ek chhota par pyar se bhara lip kiss kia. Thodi der baad dono ready ho kar niche aa gaye par shivam ne shilpi ka hath abhi bhi nahi chhoda tha, jisse saaf pata chal raha tha ki use emotional support ki kitni zarurat hai. Niche dining table pee sab bethe hue the, riya pallavi pragya kriti aur sayesha.

Sab shivam ki ye harkat dekh kar man hi man muskura rahe the. Shivam chair par beth gaya, jesa usne pehle hi decide kia tha pallavi head of the family ki chair par bethi hui thi unke left me shivam, shivam ke baju me shilpi, shilpi ki baju me riya aur pallavi ke right side me pragya, kriti aur sayesha bethe hue the. Nashta karne ke baad shivam company jana hai yeh keh kar khada hi hua tha ki riya ne use bataya ki usne aaj company me holiday declare kar dia hai so aaj company bandh rehne wali hai, shivam iska reason janta tha actually samajhta tha is lie usne kuchh nahi kaha aur lab me chala gaya. Wo janta tha ki uska dushman kitna khatarnak hai is lie use idea aya ki agar kabhi esa ho jaye ki Jarvis aur pari dono hi kuchh waqt ke lie shut down kar sakta hai is lie usne ek naya a.i system banana ka socha, par usne Jarvis ko strict instructions de die ki wo is naye a.i ke bare me kisi ko na bataye, Jarvis ne new ai banana shuru kar dia bas intezar tha to ai ke ready hone ka.

Khair subeh ka waqt bit gaya aur dopehar ke khane ka time ho gaya. Shivam bhi lab se bahar aa chukka tha aur lunch kar ke room me chala gaya, is waqt uske chehre par dard nahi tha bas ek junoon dikh raha tha jo saaf saf uske irade bayan kar raha tha. Usne sab family members ko message kia ki wo lab me aa jaye sab uska message padh kar bina kuchh kahe lab me aa gaye. Kal raat pari aur Jarvis ne mil kar ek naya a.i bana lia tha, jese hi sab lab me enter hue tab ek nai awaz sunai di jo ki Jarvis aur pari ki nahi thi. Shivam ne sab ka confusion dur karte hue kaha,โ€˜โ€˜yeh mera banya hua naya artificial intelligence system hai aur iska nam Friday hai. Hamara dushman koi kamzor insaan nahi hai and use harana itna asan nahi hai, ho sakta hai ki wo Jarvis aur pari ko kuchh waqt ke lie bandh kar de aur wo waqt esa ho ki hume in dono ki sabse jyada zarurat ho. Is lie maine ise back up ke lie banaya hua hai.โ€™โ€™ Itna keh kar shivam sabka data Friday ki system me feed karta hai jisse sab ke pas ab Friday ka access tha.

Is taraf jese hi umesh ko malum pada ki shivam ne singhaniyas aur uske aadmi rushabh ko maar ke jala dia hai wo gusse me pagal ho jata hai aur khud ke hi aadmio ko goli maar deta hai aur baad me wine pine lagta hai. Wo kisi ko call karta hai aur kehta hai โ€˜โ€˜ main aa raha hu india, jung ki taiyari karo. Bahot nuxan pahochaya hai rebel ne hume. Ab hamari bari hai use nuxan pahochane ki.โ€™โ€™ Shivam ne us din leo ke phone se jo call kia tha usse use pata chal chukka tha ki shivam hi rebel hai. Par jo kuchh bhi hua tha usse pata chal chuka tha ki shivam se jung ladna itna asan nahi hoga, agar ladna hai to kapat kar ke hi ladna hoga.

Idhar shivam bhi ready tha apne dushman ke sath aakhri jung ladne ke lie puri tarha se taiyar tha, usne apni taraf se puri taiyari kar li thi. Ab uske pas apni khud ki team bhi thi aur advanced weapons bhi, aur agar kuchh ho jaye to back up bhi tha, use ab bas intezar tha us pal ka jab uska samna umesh se hoga. Wo living room me beth kar tv dekh hi raha tha ki use Krishna ka call aata hai jo use batati hai ki do mahine baad use meting attend karne ke lie aana hoga.

Is taraf umesh delhi aa chukka tha. Wo shivam ke dhwara kia gaye call se jaan chukka tha ki wohi hai jo badla le raha hai par wo yeh nahi samjh pa rha tha ki wo uska mukabla kese kare, aur sabse bada sawal ye tha ki shivam ko kese pata chal jata tha ki uski deals ke bare me har baar kese pata chal jata tha. Wo yeh sab pata karne ke lie apni gang me bache hue aadmio ko ikattha kar ke kisi ko lane bhej deta hai aur jab wo log wapas aate hain to wo insaan aur koi nahi Natasha hi thi jise usne shivam ki info. Nikalne ke lie keh dia tha. Fortunately wo shivam ki kaid se kisi tarha nikal aai thi jiske bare me shivam ko malum nahi tha. Jab Natasha umesh ke pas pahochi tab uska wo face barso se bimar ho esa lag raha tha.

Umesh ne use betha kar puchha, โ€˜โ€˜ kya tum rebel aka shivam se badla lena chahti ho? Agar haan to tumhe fir se meri help karni hogi taki hum uske bare me, uski strengths ke bare me sari info. Nikal kar uska kissa khatam kar sake.โ€™โ€™ jawab me Natasha kuchh der tak chup rahi aur fir kaha, โ€˜โ€˜ rebel ka asli naam shivam sharma hai aur wo insaan ka beta hai jisko tumne karuna ke chakkar me uski family ke sath maar dia tha.โ€™โ€™ Umesh uski baat sun kar sawalia nazro se uski taraf dekhta hai Natasha apni baat aage badhate hue kehti hai, โ€˜โ€˜ uske pas Jarvis nam ka ek a.i system hai jiski help se wo sab chizo ke bare me pata laga leta hai. Aur luckily maine usko shutdown karne ka rasta bhi khoj lia hai, bas hume kese bhi kar ke mere banaye hue virus ko shivam ke computer system me dalna hoga.โ€™โ€™

Jarvis umesh aur Natasha ki yeh baat chit sun leta hai aur shivam aur team ko unki planning ke bare me bata deta hai, par umesh ki planning sun kar sab ke chehre par ek smile aa jati hai kyu ki umesh anjaane me hi wo kar raha tha jo shivam chahta tha. Shivam ne Jarvis ko order dete hue kaha, โ€˜โ€˜ apni system ko ese upgrade karo ki tumhe chah kar bhi koi shutdown na kar paya, na sirf tum balki pari aur Friday ko bhi koi hack na kar paye, and one more thing hamare sare weapons ko update karo. Is bar ki jung aakhri jung hone wali hai hamare dushman ke sath.โ€™โ€™ Din bitne lagte hain aur wo din aa hi jata hai jab umesh ki gang thodi bahot ready ho chuki thi, par sabse buri baat unke lie ye thi ki bahot baar try karne ke baad bhi Natasha Jarvis ko hack nahi kar paai thi, Jarvis ke system me apna virus dalne ke baad bhi. Ab situation esi thi ke umesh ab shivam ke mukable me bahot kamzor pad chukka tha.

Shivam ne umesh ki current location pata kar li thi aur use pata chal chukka tha ki umesh karuna maa ko bhi apne sath delhi le aaya tha, jisse shivam ka maksad aur badla pura hone ka 100% chance tha. Shivam ne apni strategy bana li thi, use bas intezar tha to bas umesh ke samne aa kar hamla karne ka, aur nasib ko kuchh esa hi manzur tha umesh ne rohan ki death aniversery par hi hamla karne ka plan kia tha, jo ki do din baad hi thi.

Dekhte hi dekhte wo din aa hi gaya, dono ready the jung ladne ke lie par koi bhi relax feel nahi kar raha tha. Jese hi raat hui Jarvis ne bata dia ki umesh apne 50aadmio ke sath ghar ki or aa raha hai. Fortunately shivam ka ghar ese area me tha jaha ka area jungle type ka tha, is lie colletaral damage hone ka koi risk nahi tha. Jese hi umesh ghar ke 50meter ki range me pahocha wese hi kahi se uski cars par misile se hamla hua, jisne umesh k ek hi baar me 20 aamio ko jala kar maar dia, and un 20gang members me Natasha bhi shamil thi. Umesh ne kabhi bhi esa attack expect nahi kia tha, use apne un 20aadmio ki chikhe hi sunai de rahi thi.

Thodi der baad use kisi ki aahat sunai di, jab umesh ne palat kar dekha to shivam ko apne pichhe khada hua paya, jiski aakho me gussa aur badla lene ka junoon saaf dikhai de raha tha.umesh ne use dekh kar apni gun nikal kar shivam par goli chalani chahi par shivam ne lat mar kar usne wo gun dur fenk di.umesh ab nihattha tha shivam ne uske face par ek zordar punch mar dia jiski wajah se wo sidha gadi se takra gaya. Use maar khata dekh kar uske aadmi car se bahar aa gaye aur jese hi shivam ki or badhe kahi se un sab par ek sath arrows ki barish hone lagi kuchh hi der me sare gunde bahot hi buri tarha se ghayal ho kar niche gir gaye. Us time shivam ka dhyaan kuchh second ke lie hata hi tha utne waqt me umesh ne karuna maa ko car se bahar nikala aur unke sar par gun point ki aur shivam ko gusse me dhamki dete hue kaha, โ€˜โ€˜ apne sathio se kaho ki hathiyar daal de warna main karuna ki jaan le lunga.โ€™โ€™ Jawab me shivam ne kuchh nahi kaha bas ek smile di, jese hi shivam ne smile pas ki pichhe se pallavi ne baseball bat se umesh ke sar par war kar dia jiski wajah se umesh ka balance bigad gaya aur wo gir gaya.

Shivam ne aage badh kar karuna maa ka hath pakda aur unhe apne pichhe karte hue kaha, โ€˜โ€˜ aaj tera ant tujhe yaha fir se le aaya hai. Par main tujhe itni asan maut nahi dunga, tujhe usse bhi jyada tadpaunga jitna tune mere pariwar ko tadpaya hai.โ€™โ€™ Itna keh kar shivam ne uske pair par laat mar di jiske wajah se uska ghutna toot gaya aur umesh ki chikh gunj uthi. Shivam ne uski dusri taang ke sath bhi esa hi kia fir use ghasitte hue apne ghar me le gaya aur living room me fenk dia.

Itna karne ke baad usne kaha, โ€˜โ€˜ yaad hai ye jagah jaha tune saalo pehle mere pariwar ki nirmam hatya ki thi aur meri karuna maa ko utha kar le gaya tha.โ€™โ€™ Shivam ki baat sun kar jaha umesh khauf ke mare aur apni maut ko apne samne khada dekh kar thar thar kanp raha tha aur thik usi time karuna maa ki aakhe nam ho chuki thi us khaufnak manzar ko yaad kar ke.

Shivam ne uski or talwar fenkte hue kaha, โ€˜โ€˜ main tere jesa kayar nahi hu jo kisi nihatthe par var karu, dam hai to lad mujhse.โ€™โ€™ Shivam ki lalkar sun kar umesh apni taange tuti hone bavajud khada hua aur usne shivam ki fenki hui talwar utha ki aur dard me ladkhadate hue uski or badha. Shivam ne devil smile di aur umesh ke dwara kia gaya vaar dodge kia aur uski pith par zordaar punch maar dia jo ki umesh ki spinal cord ke bicho bich laga jisse wo bhayanak chillaya jese ki uski reed ki haddi toot gai ho. Shivam fir bhi nahi ruka usne umesh se kaha, โ€˜โ€˜ chilla aur zor se chilla.teri yeh dard bhari chikhe meri family members ki aatma ko shanti degi.โ€™โ€™

Shivam ki baat sun kar umesh ka para chadh gaya usne apne aap ko sambhala aur talwar utha kar shivam pe war karna chaha par shivam ne apni sward se uske hath par war kia jiski wajah se uske hath ki nas kat gai aur khun behne laga. Dono ki fight chalti rahi kuchh hi der me umesh aur uske aadmi ghayal ho kar niche pade the aur aakhri saans le rahe the. Shivam ne apni sward karuna maa ki or badha di aur kaha, โ€˜โ€˜ ye lijiye maa. Le li jiye aadi aur kishan mama ki maut ka badla. Yeh mujhse jyada aapka gunehgar hai, khatam karie is haiwan ko.โ€™โ€™ Shivam ki baat sun kar karuna maa ki aakho me nami chha gai aur unke samne wo sare dard bhare lamhe dikhai dene lage jisse unka gussa jwalamukhi ki tarha jag gaya.

Unhone umesh ki or apne kadam badhaye jise dekh kar umesh gid gidane laga, โ€˜โ€˜ please mujhe maaf kar do. Mujhe mat maaro.โ€™โ€™ Par karuna maa ne kuchh nahi kaha aur uski body par war pe war karne lagi jese ki wo itne saalo se dabaya hua gussa ek hi pal me nikal dene wali ho. Kuchh hi der me umesh lahu luhan ho kar gir gaya, karuna maa ne use uske baal pakad kar use khada kiya aur uska gala kaat ke fenk dia aur fir ghutno ke bal beth kar bahot buri tarha se rone lagi. Shivam unke pas gaya aur unhe ghutno ke bal beth kar unhe gale laga lia jiske baad dono hi fut fut kar rone lage. Bahot hi emotional scene tha barso baad maa bete mil rahe the.

Thodi der baad rone ke baad shivam ne karuna maa ka hath pakda aur apni family ke pas le aaya. pallavi ne jese hi karuna maa ko dekha wo rote hue unke gale lag gai aur dono khushi ke mare rone lagi. Thodi der baad sab sab ghar se bahar aaye aur car me beth gaye jese hi unki car thodi dur aaye us ghar me blast hua aur umesh aur uske sathi jal ke rakh ho gaye aur usi ke sath uska ant hua, aur shivam ka badla pura ho gaya par koi nahi janta tha ki aage kya hone wala hai.Shivam apni family ke sath apne naye wale ghar me aa gaya jo usne kuchh time pehle hi kharida tha, aur purane ghar se sara saman naye ghar me shift karwa lia tha.

Sab ghar me enter hue ghar ke entrance gate ke pas likha hua tha KARUNA NIVAS. Karuna maa apne naam ghar ke entrance par dekh kar bahot khush ho gai. Shivam sab ke sath ghar ke andar enter hua, ghar andar aur bahar dono taraf se bahot khubsurat tha. Jab karuna maa ne shilpi ko dekha to wo chaunk gai kyu ki uski maang me sindur aur gale me mangalsutra tha jise dekh kar unke man me ek khayal aaya jise soch kar wo man me hi khush ho gai unhone confirmation karne ke lie shivam ki or dekha to shivam ne khade ho kar shilpi ke pas khade ho kar kaha, โ€˜โ€˜ maa ye hai apki bahu shilpi.โ€™โ€™ Itna keh kar dono ne ek sath kauna maa ke pair chhue jawab me karuna maa ne dono ko gale laga lia. Yeh sab ki life ki new shuruat thi jisme aage kya hone wala tha wo koi nahi janta tha.


End of phase one
 
Last edited:

Shanu

Deadman786
6,102
16,911
188
Excellent update bhai โ˜บ๏ธ ๐Ÿ˜Š
 

rebellover

Member
201
577
109
Excellent update bhai โ˜บ๏ธ ๐Ÿ˜Š
Bade bhai.. Kuchh dino me story ka phase 2 shuru kar dunga jo ki story ka last part hoga and use khatam karne ke baad baaki ki adhuri stories pe dhyan dunga.. I hope aap sab ko pasand aaye phase 2..
 

Shanu

Deadman786
6,102
16,911
188
Bade bhai.. Kuchh dino me story ka phase 2 shuru kar dunga jo ki story ka last part hoga and use khatam karne ke baad baaki ki adhuri stories pe dhyan dunga.. I hope aap sab ko pasand aaye phase 2..
Ok bhai intezar rahega ......2 phase ka
 

SK573khan

New Member
58
342
54
Nice update
 
Top