Update 98
Pichle update tak aapne dekha ki Shubham aane vale samaye ko lekar pareshan tha, vahi Alvace aur AS dono hi Aaliya, Noora aur Pilaso ko lekar pareshan tha….. Dusri taraf Noora aur Indra ka bich baat hoti hai, jismei ya baat pata chalti hai ki Noora Shubham ko nahi Badshah (Nitin) ko bewakuf bana rahi hai aur vo bhi Elika ka kahane par…
Ab Aage…..
Place: Paristan…
Yaha Elika aur Nancy Minora ko ussi kaid mei chod kar ek baar firse pahuch gayi Paristan ka Mahal ka ander aur iss samaye dono hi vishesh manthana kaksh mei baithi hui thi….
Elika: Aaj job hi kuch usne Minor aka mastikash se nikal kar dekha, usse dekh vo kuch vichalit ho uthi, usne essa kya dekha ya kuch samaye mei samne aa hi jaayega...... Par issi vajah se vo kuch pareshan si baithi hui thi….
Nancy: Elika kya baat hai, kabse dekh rahi hu tu Minora ka dimak mei jhakne ka baad se kaafi bechain hai…. Koi pareshani hai toh bata na….
Elika: Nancy meine uske dimak mei kuch essi tasveera dekhi hai jinko vaha nahi hona cahaiye tha….. Aur usse bhi badi pareshani ki baat ya hai ki Minora ka dimak ko mei puri tarah nahi dekh saki hu, kuch hisse mei meri shakti pravesh hi nahi kar saki….
Nancy: Kya par ya kaise ho sakta hai….??? Teri shakti ka aage Minora ki shakti toh kuch bhi nahi hai…..
Elika: Ya kaam minora ka nahi kissi behad khatarnak jaadugar ka hai, kyunki uske jaadu ko agar meine thodne ki koshish kari toh Minora ki saari yaade khatam ho jaayegi aur saath hi uski maut bhi…. Usse thodne ka baad bhi mujhe kuch nahi milega….
Nancy: Par itna shaktishali jaadu kon kar sakta hai…..??? Aur essa kya chupane ka liye ya kiya gaya hai…..??
Elika: Kon aur kyu dono ka javab nahi hai aur yahi hume pata karna padega….
Nancy: Aur vo tasveer, usmei tune kisko dekha jot ere hisab se nahi hone cahaiye tha….??
Elika: Pilaso aur meri Maa dono ko….. Mujhe samajh nahi aa raha hai ki dono hi Minaro ko na sirf jante hai bulki usse kissi vishey mei baat kar rahe tha….
Nancy: Par Elika essa bhi ho sakta hai na ki vo dono usse kuch samjha rahe ho….
Elika: Ho sakta hai, par mujhe kuch aur baat lag rahi hai…. Ab iska javab vo dono hi dege…… Par ek shaksh aur hai aur uska hona humare liye khatre ki sui ki tarah sanket kar raha hai…. Maharaj Zomata (Kairo’s Father)….. Unke nagar mei Minora ka milna aur Minora ka Zomata ka mehal mei aana jana kuch badi anhoni ki taraf sanket kar raha hai….
Elika: Vo do Pariyo ko awaj deti hai….(Unhe Pari 1 aur Pari2 likhunga) Ya dono Pariya hi paristan ki behad khaas aur hunarmand jasoos hai…. Dono hi Elika ka samne aati hai…..
Pari1 aur Pari 2: Rani pari ko humara pranam…..
Elika: Tum dono ko ek khaas kaam karne ka liye Paristan se dhur jaana hoga…. Ya kaam behad khaas aur jaruri hai……
Pari 2: Rani Pari hum humari puri koshish karege ki hum iss kaam ko pura kar sake…. Hume khushi hogi aapki sewa karne mei…..
Elika: Apni aankhe band karke dono ka sar par haath ferti hai, jisse dono ko hi samajh aa jata hai ki unhe kya karna hai…. Ek baat dhyan rahe tum dono ka jab bhi lage ki tum behad bade sankat mei fas gayi ho manmei keval ek baar yaad karna, tumhari madat ka liye mei aur baaki sabhi log turant pahuch jaayega….
Pari 1: Jee Rani Pari….
Elika: Ab tum jaa sakti ho….
Dono vaha se gayab ho gayi….
Nancy: Ab tu abhi kuch batayegi toh hai nahi, islye mei chali ab Paristan ko ghumne….. Kitna samaye ho gaya hai yaha ghume hua….. Aur vo vaha se nikal gayi…..
Uske jaane ka baad Elika firse apni hi soch mei kho gayi….. Vo kuch jarur soch rahi thi….
Tabhi vaha pahuch gaya Shubham…..
Shubham: Vaha pahuch kar mei Elika ko dekhne laga, jisse mere vaha hone ka bilkul ehsaas nahi tha…. Vo toh apni hi duniya mei khoyi hui thi, jisse dekh mujhe kuch bura hone ki aashanka hui…. Par mei janta tha ki Elika mujhe kuch nahi batayegi …. Mei cahata toh uske dimak mei jhaak leta par fir ek dusre par jo bharosa hai uska kya hota…. Jo chij pyar ka rishte ki buniyad hoti hai agar vahi kamjor ho jaaye toh fir aapke aur aapke partner ka bich ka pyare rishte mei dhere dhere darar aane lagti hai aur vo rishta makan ki kamjor neev ki tarah kabhi bhi gir sakta hai….
Mei apni gati se Elika ka piche gaya aur piche se usse apni bahao mei bhar liya….
Elika: Achanak khudko kissi ki bahao mei pakar shock ho gayi, par jaise hi usse ehsaas hua ki uske piche mei hu vo firse normal ho gayi…..
Elika: Tum kab aaye aur yaha kaise….??? Mujhe hi bula liya hota….
Shubham: Kabka aa gaya hu mei toh par tum apni hi soch mei vyast thi…. Kissi baat par gheri manthana kar rahi thi….. Ab mei puchunga toh tum usse huma dogi jisse behatar hai ki mei nahi puchta hu….
Dusre saval ka javab bula toh leta par fir mujhe apni mohobat ka saath iss khubsurat duniya ko dekhne ka mauka hi kaha se milta….
Elika: Kya baat hai, aaj iss duniya ka rakshak ko samaye mil gaya kya apne liye aur apno ka liye….?? Varna mujhe toh laga tha ki bus ab iss jeevan mei tumhare saath hokar bhi tumse dhur hi rahena padega…. Ya baat usne kuch ruthe hua swar mei kahi thi….
Shubham: Elika ko ghuma kar apne samne karte hua, janta hu saath hokar bhi hum dhur hai, par iss maan mei ek dar hai Elika…. Jiss raste par mei chal pada hu vaha har samaye koi na koi mera dushman tayar hai aur iss mauke ki talash mei hai kab usse mauka mile aur vo mere par humla karde…. Khudpar hua humla ko toh sambhal lunga par kisi apne ko agar koi nuksaan hua toh khudko sambhalna mushkil hai….
Tujhc kuch chupa nahi hai, jitna mei janta hu usse kahi guna tujhe hai pata…. Vo din dhur nahi jab mei ek hawan mei badal jaunga…. Iss duniya ko mujhc koi nahi bacha sakega…… Darta hu kahi apni hawaniyat mei kahi kissi apne ko nuksaan na pahucha baithu….
Elika: Muskurate hua, baaki ka pata nahi par mujhe toh ya baat humesha se hi pata hai ki tumhara rasta kya hai aur manjil bhi…. Jiss din tumse pyar hua tha uss samaye ya bhi pata tha aage ki manjil mushkil hogi….. Mujhe khudki kamjori nahi takat samjho…. Tumhare har mushkil samaye mei humesha khudke pass aur saath paaoge……
Shubham: Mahool thoda senti hone ki taraf bad raha tha, ary mei bhi kaha ya baate lekar baith gaya…. Vaise tum badi kharab ho…. ??
Elika: Kyu meine kya kara….??
SHubham: Itne sundar Paristan mei raheti ho…. Saari duniya jiski khubsurati ki tarif karti hai, jisse ek baar dekhna duniya ka sapne jaisa hai tum vaha ki Maharani hone ka baad bhi mujhe kabhi bhi na yah aka liye bulaya aur jab aaj mei aa gaya khudse hi toh bhi mujhe iss duniya ko ghumane ki jagah shikayat lekar baith gayi….
Elika: Toh ismei konsi badi baat hai…. Neele Unicorn ka malik ho tumhare liye koi bhi jagah ghumna konsi badi baat hai…. Ek shan mei paristan ko ghum kar aa jao….
Shubham: Jee nahi, mei ek aam insaan ki tarah tumhare saath ya jagah dekhna cahata hu …… Ab tum apna ya pariyo vala roop badal lo aur chalo…..
Elika: Nahi yaar mujhe kuch kaam hai….
Shubham: Mei kuch nahi sunne vala…. Agle do din tum aur mei koi kaam nahi karne vale hai….Ab cahaiye ya brahmand khatam ho jaaye ya fir Imosopher youdh ka liye aa jaye…. Hum koi kaam nahi karne vale hai….
Elika: Acha ji toh sab soch kar aaye ho….. Chalo do din tumhare saath bhi bita lete hai…. Dekhte hai aakhir kya kya plans banaye hai….
Shubham: Hmm toh chalo hum sabse phele Paristan se shuru karte hai…. Par uske liye tumhai aur mujhe dono ko apna huliya badalna hoga varna tumhare log tumhai dekh kuch satark se aur kuch dil khol kar enjoy nahi kar sakege….
Elika: Jo hokum mere aaka…. Aur Elika na apni chadi ghuma di…. Hum dono ka roop badal kar ek dum normal logo jaisa ho gaya….
Shubham: Ab sahi hai…. Paristan ghumane ki jimmedari tumhari hai….
Elika: Toh fir yaha par thodi dhur ek behad hi khubsurat sa jharna hai…….
Shubham: Thik hai chalo….
Hum dono vaha se gayab hokar pahuch gaye Paristan ka sabse khubsurat jharne ka karib……. Ya jagah sahi mayne mei ek behad hi khubsurat jagah thi...... Uss jagah chaaro taraf bus haryali hi haryali thi…. Vaha alag alag rang birange phool bhi lage hua tha…. Jharne ka paani ka girne se vaha ek behad ek behad madhur awaj ho rahi thi….. Uss jharne ka kinare par kuch chote chote khargosh ka bache ghum rahe tha, uchal khud kar rahe tha…. Vahi unse kuch dhur sundar sundar sona se chamakte hua heran uss jharne se paani pee rahe tha…. Unka ek pura jhund tha jismei bade se lekar chote heran bhi tha…..
Shubham: Uss jagah ko dekh mei bus mantr mugdh ho gaya kyunki essi jagah mei kabhi dekhi nahi thi…. Dil caha raha tha ki bus yahi baith jaau aur humesha humesha ka liye yahi ka hokar rahe jaau……
Elika: Kuch der mujhe bus uss jagah ko niharte hua dekhne lagi….. Kuch samaye baad, kaisi lagi ya jagah…..
Shubham: Ek dum adbudh aur lajawab hai ya jagah toh…. Sach kahte hai Paristan ko swarg ka saman sunder hai…. Aur Paristan ki pariya bhi….
Elika: Acha ji toh ab tumhara dhyan sabhi Pariyo par aa gaya hai….. Dekh rahi hu kuch badle badle se lag rahe ho…..
Shubham: Bus essa hi samajh lo…… Pichle safar na ya samjha diya hai ki jeevan ka koi bharosa nahi….. Kab kisse kya ho jaaye ……. Islye Jeevan ka chote chote palo se khushiyo ko batorte raho.......
Elika: Chalo der aaye durust aaye…. Aakhir tumhai ya samajh aa gaya ki jeevan mei har chij ki jarurat hai……
Shubham: Chalo na paani mei masti karte hai……
Elika: Nahi mei yahi dhur hi achi….
Shubham: Jaisi tumhari icha…. Aur ya kaha kar mei Paani mei khud gaya…. Paani mei khudte hi mei shock hua kyunki yaha ka paani halka halka garam hai…. Jiske ander dubki laga kar mujhe behad aram mil raha tha……. Elika tum bhi ander aa jao.....
Elika: Nahi mei esse hi achi hu….
Shubham: Meine apni speed ka istemaal kara aur usse utha kar paani mei faik diya….
Shubham: Paani mei puri bhigne ka saath hi jaise vo chamakne lagi…. Usse dekh essa lag raha tha ki jaise taare jamin par aa gaye ho…. Uski khubsurati aur bhi adhik dikhne lagi….
Elika: Mera khudko essa dekhne se sharmane lagi, jiski vajah se uske gore gore gaal ek dum laal pad gaye…. Essa kya dekh rahe ho….??
Shubham: Kuch nahi, bus apni aankho ka samne din mei taare ko chamakte hua dekh raha hu……
Elika: Usne apni aankhe band karke khudko vapas paani se gayab karke bahar nikal gayi aur firse vo normal ho gayi…. Vahi dusri taraf mei kuch der paani mei baitha raha aur khud uss garam garam paani ka maza leta raha…. Ya paani jaise mere sharir ka har muscle ko ek tarah se shanti de raha tha…. Jo bhi dard aur thakan thi vo gayab hoti si lag rahi thi…..
Kuch der ka baad mei Paani se bahar nikala….. Aur vahi pass mei ek paid ka niche hum dono baith gaye….. Iss samaye mera sar Elika ki goudi mei tha aur vo mere baalo se khel rahi thi vahi mei upar muh karke bus usse dekh raha tha…..
Elika: Kaisa laga paani mei naha kar….??
Shubham: Behad acha, essa laga jaise ki mere sharir ki saari thakan hi khatam ho gayi ho…..
Elika : Vo toh hona hi tha…. Ya ek khaas jharna hai….. Iske paani ki yahi visheshta hai…. Jo bhi ek baar iss Paani mei dubki laga le, toh uske sharir ki saari thakan pal bhar mei hi khatam ho jati hai….. Vahi yadi koi Paristan ka bashinda iss jharne mei dubki lagaye toh uski kamjor padi sabhi takat usse vapas mil jaati hai….
Shubham: Aur jo tum chamak rahi thi….??
Elika: Suraj ki roshni mei ya paani hum sabhi Pariyo ka sharir ko esse hi chamka deta hai…. Uss samaye hum kissi taare se kam nahi lagte hai….
Shubham: Hmm, vaise Elika ek baat batao, tum Paristan ki Rajkumari thi, duniya mei koi essi chij nahi hogi jisse tumne caha ho aur vo tumhai nahi mili ho….. Toh kya ya sach hai ya fir kuch essa bhi hai jo Paristan ki Rajkumari ko nahi mil saka ho…..
Elika: Kuch muskurate hua, mei Paristan ki Rajkumari thi iska ya matlab nahi tha ki mujhe sab kuch apni icha se mila ho…… Ulta iske behad nuksaan mujhe uthane pade hai bachpan mei….. Mei kahi aa nahi sakti thi, jaa nahi sakti thi…. Har samaye mujhe ya dhyan rakhna hota tha ki mei Pariyo ki Rajkumari hu islye mei kuch bhi apni icha ka nahi kar sakti thi…..
Shubham: Acha essa hai toh aaj tum bata do essa kya karna cahati thi tum jisse tum ek Rajkumari ki vajah se nahi kar saki….
Elika: Essi behad saari chije hai, par sabse jada meine jo miss kara hai vo hai Swar Nagar ka haat…..Vo duniya ka sabse bada haat lagta hai jaha alag alag tarah ki chije milti hai, aur usse badkar vaha behad hi alag alag tarah ki khane ki chije bhi milti hai……
Shubham: Toh fir ya hum pahuch gaye tumhari pasand ki jagah….. Aaj tum ek Rajkumari ya Maharani nahi ek dum aam ho, ghumlo…..
Elika: Humari palak jhapakte hi badly hui jagah dekh uske hosh hi ud gaye….. Par fir usse samajh aa gaya ki ya kaise hua…. Vo turant hi uth khadi hui aur uss haat ko esse dekhne lagi jaise vo koi sapna dekh rahi ho….
Shubham: Uske pass jakar mei usse jor se ek baar pinch kar deta hu…..
Elika: Aaaahhhh essa kyu kara….??
Shubham: Toh aur kya karta, tum toh esse iss jagah ko dekh rahi ho jaise koi sapna dekh rahi ho toh tumhai hosh mei toh laana hi padega na….
Iske baad hum dono hi vo jagah ghumne ka liye chal diye.... Elika har chij ko bade chaav aur khushi se dekh rahi thi…. Har dukan har jagah vo sabhi tarah ki chije bus dekhne mei hi lagi thi….. Meine itne lambe samaye mei usse kabhi itna khush nahi dekha tha jitna khush vo iss samaye thi….. Humne kaafi saari jagah ruk kar bahut kuch khaya aur usmei sabse khaas jo usse pasand aaya tha vo tha gola…. Jee baraf ka gola jismei alag alag tarah ka colour ka sharbat dale hua hote hai….
Aur esse hi humare 2 din hassi khushi mei nikal gaye pata bhi nahi laga…. Khushi ka din kitni jaldi beet jaate hai uska pata kissiko nahi chalta hai bus essa hi kuch yaha bhi tha….. Ab aaj vo din tha jab mei Saaye ki duniya mei saaye se mukabla karne jane vala tha……
Place: School
Aaj Subha hi Elika ka saath samaye beeta kar mei vapas school aaya tha aur apne jaane ki tayari kar raha tha….Tabhi mere kamre mei Alvace aaye….
Alvace: Shubham tum akele jaa rahe ho ya faisla sahi nahi hai…. Tum jante ho vo duniya puri andhere se gheri hui hai, jiski vajah se Saaye ki shakti phele se kaafi adhik hogi….. Uske upar se tumhari Black Enery abhi develop nahi hui hai aur na hi tumhai usse jude koi magic aate hai…..
Shubham: Alvace aapki chinta kuch samajh nahi aa rahi hai…. Kyunki ya toh aap bahut ache se jante hai ki meri shaktiya kitni adhik bad gayi hai….. Esse mei Kaalo duniya mei bhi unhe koi nahi rok sakta hai, ulta uss Duniya mei andhere mei toh meri Black Energies behad jaldi grow karegi aur jab ek baar mere ander ka Bhakshak jaag gaya toh fir uss Saaye jaise kitne hi kyu na ho vo mujhe sambhal thodi sakege…..
Alvace: Tum samajh nahi rahe ho, Saaye ki aadat hai piche se humla karne ki, vo jarur kuch na kuch tayari karke hi baitha hoga…..
Shubham: Acha hai aur karke bhi rakhni cahaiye, varna vaha ka mera adventure khaas kaise hoga…..
Tabhi humari baat ka bich vaha Elika, mere baaki sabhi dost including Noora aur Mathira aur Aaliya bhi pahuch jaate hai….. Par vaha ek shaksh aur bhi tha jisse dekh mei shock ho gaya….. Kyunki meine uske yaha hone ki nahi sochi thi…. Vo tha Zooma…..(Yes friends ya Fair Mount vale sabse bade ladake mei se ek tha…)
Shubham: Tum sab yaha kya kar rahe ho….?? Willy aur Marium tum dono toh Magical City ki raksha kar rahe tha na…. Aur Iszy tere rajye mei toh phele hi pareshani behad hai, tu yaha kyu aa gayi….
Willy: Tujhe kya laga tha akele akele saare maje le lega…… Jab dekho tab akele gayab ho jaata hai kahi bhi, aur khud hi akele akele sabhi se ladne ka maza leta raheta hai….
Iszy: Mere Rajye ki pareshani ka liye mei kyu pareshan hu, ya kaam Pitaji aur duniya ka Rakshak ka hai…. Aur vaise bhi Pitaji ko Rakshak ka sandesh mil chukka hai ki vo jaldi vaha pahuch jaayega…..
Shubham: Yaar tum sabhi kyu apni jaan khatre mei dalte ho, ya kaam mera hai mujhe hi pura karne do….
Tabhi piche se AS bhi aa gaye……
AS: Shubham tu bhul gaye kya ki Maharani Indra na humesha yahi toh sikhaya hai ki yodh kabhi akele na lade jaate hai aur na hi jeete jaate hai….. Aur yaha toh essa yodh hai jiski vajah se sabhi ko aage ka liye behad kuch sikhne ko milega…. Yaha ya training kar sakte hai aage ki…..
Shubham: AS aap bhi, jabki aapko pata hai na ki Saaye ki duniya mei inn sabhi mei se koi bhi saaye ka logo se nahi lad sakta hai kyunki unse ladne ka liye sabhi ko saaye mei badalna hoga jo ya nahi kar sakte hai…..
AS: Vo badal nahi sakte hai toh kya hua, tum toh unhe badal sakte ho…. Tum apni shakti ka kavach inn sabhi ko pehana sakte ho jiske baad ya pareshani bhi khatam….
Aakhir mei mujhe bhi unn sabhi ki baat maani padi aur hum nikal gaye Saaye ki duniya mei, humare dushmano ki list ko choti karne…. Abhi hum sabhi uski duniya mei pahuch gaye tha…..
Rimjhim:Ya kaisi jagah hai, yaha sabhi taraf sirf andhera hi andhera hai….. Na log dikh rahe hai aur na hi koi aur chij….. Bus kuch dikh rha hai toh sirf andhera ya fir vo minar..........
Mathira: Rimjhim yahi hai saaye ki duniya aur Kaali takat ka samrajye ki sabse choti jagah yaha se Imosopher ka raajye shuru hota hai…. Iske aage ki saari duniya hi Kaali hai….Jaha Suraj ki roshni bhi kabhi nahi nikalti hai…..
Tabhi waha ek awaj aati hai….. Ya awaj Saaye ki thi……..
Saaya: Aa gaye rakshak….. Bada Intezar karaya tune milne ka liye…... Ary wah apne saath auro ko bhi laaya hai mere haatho marwane ka liye….. Bahut ache
Nisham: Ary yaar ya awaj kaha se aayi, yaha toh dhur dhur tak kuch dikh hi nahi raha hai…..
Nancy; Duffer andhere mei kabhi saaya dikhta hai kya jo tujhe yaha koi saaya dikhega….
Shubham: Ya awaj uss minar se hi aa rahi hai….. Abhi yaha nahi hai koi bhi…..
Shubham: Aa toh gaya, par tu toh bada darpok nikala jo vaha itni dhur uss minar se baat kar raha hai, jabki mei toh tere samne hi khada hu yaha….
Saaya: Lo tumhai ya icha bhi puri kar deta hu….
Aur ya kaha kar vo saaya mere samne aa jata hai….
Shubham: Apni aankhe band karke mei sabhi ka upar apne Laal Pathar ki shakti ka kavach bana deta hu jiski vajah se vo sabhi bhi ab Saaye ko dekh sak rahe tha…..
Jaise hi sabhi na samne dekha sabhi ka muh khula ka khula rahe gaya….. Kyunki samne karib 10000 ka upar saaye haatho mei hathiyar liye khade tha….
Jhiku: Itne saare, inse hum kaise ladega……
Saaya: Hahahahah, abhi toh tumne sirf samne dekha hai, jara apne upar bhi dekho…..
Jaise hi sabhi na upar dekha iss baar toh bus aankhe hi bahar aane ko ho gayi thi….. Kyunki humare upar behad hi bade bade vulture ghum rahe tha aur unke upar baithe tha saaye…… Par ya sab dekh kar Mathira aur Elika dono ka cehare par muskan thi….
Mathira: Wah humare swagat ka liye itni tayari…. Behad bhaye hai tumhai humara jo itne se logo ka liye itno ki jarurat pad gayi tumhai…… Chalo koi nahi tumhara vishwas tutne nahi dega…..
Saaya: Bahut ache, Guru Trajang ki tarah unki shishya ko bhi apne gyan par behad abhiman hai…. Chalo abhi koi kuch kare, usse phele ek aakhri taufa toh dekh lo….
Essa kaha kar Saaye na ek haath hawa mei uthaya….. Uske essa karte hi piche se do saaye kissi ko pakad kar laa rahe tha….. Jab vo samne usse lekar aaye toh saaye na ek choti si agni prajvalit kardi…. Jaise hi uski shakal samne aayi, abki baar toh jaise sabhi ka sabhi apni jagah se uchal hi pade….. Kyunki aapko toh pata hai ki Saaye ka pass Elika (Actual Kimya jisne Elika ka roop le rakha hai….) Iski vajha se Mujhe Elika, Nancy aur Aaliya ko chod sabhi bus sadmei chale gaye…..
Avantika: Ya kya hai, do do Elika…. Ab ismei asal konsi hai aur nakli konsi hai…..
Saaya: Kya hua, ab kuch nahi bolega….. Janta hai tere saath jo ya Rajkumari Paristan bane ghumti hai vo koyi aur nahi meri beti hai…. Jisko meine hi tere piche lagaya tha…..
Shubham: Ab tujhe kya hi bolu, chal kuch dikhata hu…… Nancy jisse tu laayi hai bottle mei jara usse bahar dikhana toh sabhi ko…..
Iss baar jhatke ki baari Elika aur Nancy ki thi….. Kyunki unn dono ko yahi lag raha tha ki mujhe kuch nahi pata hai….
Shubham: Ary Elika, Nancy esse mat dekho….Nikalo toh sahi…..
Elika: Usne bottle ka dhakan khol diya…. Jaise hi usne dhakan khola vaha ek aur Elika aa gayi…….. AB vaha teen teen Elika thi….. Tesri Elika ko dekh kar ab bachi Aaliya bhi shock mei pahuch gayi thi….. Bus bach gaya tha toh vo sirf mei tha jisse koi shock nahi laga…….. Essa kaise hua iske liye chalte hai thoda past mei……..
Flash Back…
Aapko yaad hoga ki jab mei Dream World ka baad vapas school aaya tha toh uss shyam ko meine Aaliya ka sar ka upar haath fera tha jiski vajah se vo nind mei khoti chali gayi thi aur uss samaye Shubham na Elika ko kaha tha ki ab agar tum nahi soyi toh mujhe tumhare upar bhi magic karna hoga….
Jiske javab mei Elika na kaha tha ki tumhara koi zaadu nahi chalega….. Tum mujhe jaadu se nahi sula sakte ho…..
Bus yahi vo samaye tha tab meine kuch ajeeb se cehare banaye tha par khudko normal karke uske baad apne kamre mei ghus gaya tha….. Aur vaha apne roop banaye….. Unn sabhi roopo mei se Shubham 1 ka kaam tha Elika ka upar najar rakhna, kyunki mujhe bus yahi pata tha ki jo Elika saath hai vo Saaye ki beti hai…..
Uss shyam hi Elika Shubham 8 aur Aaliya ko chod kar kahi gayi thi, uss samaye mera sandhey vishwas mei badal gaya ki ya Elika nahi hai aur Shubham 1 ko Elika ka picha kara, aur iske baad Elika aur Nancy ka bich ki saari baate hue pata hi hai…..
Flash Back Ends….
Saaya: Apne samne teen teen Elika ko dekh ab toh uske bhi hosh ud gaye…. Kyunki uske hissab se ek Original aur ek uski beti hone cahaiye toh fir ya tesri kon hai…..
Shubham: Kya hua ab kaha gayi teri vo hasi…. Tujhe kya laga tha ki saari yojana tu hi bana sakta hai baaki sabhi toh yaha bus esse hi aa gaye hai…. Ab bata konsi hai teri beti….
Saaya: Meri beti koi bhi ho mujhe farak nahi padhta hai….. Cahaiye tune usse maar hi kyu na diya ho…. Kyunki mujhe toh bus ya Rajkumari cahaiye thi, jo ki mere pass hai….. Ab mujhe kuch nahi cahaiye……
Shubham: Hahahahahahaha……. Kimya apne asli roop mei aa jao…..
Mere esse kahete hi Kimya jo ki saaye ka pass thi vo apne asli roop mei aa gayi….
Saaya: Apne samne Kimyo ko dekh vo baukhla gaya….. Usse khudki haar bardash nahi hui….. Kyunki usne Elika ko bandhi bana hua soch kar behad saari chaal soch rakhi thi jo ki sabhi bekar ho gayi…..
Shubham: Ya le ya rahi teri Beti…… Aur meine Elika ki taraf dekha jo humare saath aayi thi….. Usne ek magic ka use kara aur jisse Nancy aur Elika lekar aayi thi uss Elika par chod diya aur dekhte hi dekhte vo apne asli roop mei aa gayi…….
Saaya: Jaisa ki Alvace na kaha tha ki vo pith piche chura ghusane mei mahir hai, toh bus essa hi kuch usne karne ki sochi…. Usne Kimyo ko maarne ki koshish kari iss bich, par bechara kuch kar nahi saka kyunki meine phele hi Kimya ka chaaro taraf apna suraksha kavach bana diya tha….. Saaya ka vaar khali gaya…..
Shubham: Tu apni harkat se kabhi baaz nahi aayega ya mujhe phele hi pata tha, islye meine isse phele hi apne suraksha ka ghere mei kaid kar diya tha….. Ab isse thodna tere bas mei nahi hai….. Ab tere liye behatar yahi hoga ki tu haar maan le varna tera haal behaal ho jayega…..
Saaya: Nahi kabhi nahi…..Tujhe kya laga ki tu jeet gaya hai…. Yaha itno ka bich se tu jinda nahi jaa sakta hai…
Aur iske saath hi shuru ho gaya humare bich ladayi…. Iss ladayi ka dauran mei Saaya se aur Elika Saaya ki beti se lad rahi thi….. Vahi Mathira akele hi aasman mei unn Vultures aur unke upar saayo se lad rahi thi…. Vo akele hi unke upar bahut bhari pad rahi thi……
Par yaha niche mere dost baaki sena se lad rahe tha….. Pheli baat toh vo saaye ki sankhiya behad adhik thi, dusri baat yaha Ghana andhera tha jiski vajah se na sirf Saaye ki sena adhik shakti shali thi, bulki unko andhere mei dekhne mei kuch pareshani ho rahi thi….. Aur issi vajah se mere dost yaha thoda kamjor najar aa rahe tha…..
Shubham; Elika tum baaki ka saath iski Sena ko sambhalo….. Inn dono ko mei dekhta hu…..
Elika: Thik hai…. Aur vo bhi baakiyo ka saath Saaye ki sena se ladne lagi….. Dekhte hi dekhte yodh behad ghamasan ho gaya tha….. Par iss bich Saaya apni harkat se baaz nahi aaya…. Usne mera dhyan khudki beti ka saath ladne mei laga kar, khudne piche se Aaliya ka upar humla kar diya….
Kyunki Aaliya abhi puri tarah tayar nahi thi, bus issi vajah se vo samajh nahi saki Saaye ka war ko aur saaye na Aaliya ko ghayal kar diya….
Jaise hi Aaliya ghayal hui, uske saath hi mere sharir par bhi thik ussi ek dard sa utha…..Uss dard ki vajah se mera dhyan Saaye ki beti se thoda hata aur vo vaha se bhag nikali….. Kyunki vo mujhc kaha tak yodh karti….
Idhar Saaye na Aaliya ka ghayal hote hi uske upar dusra humla karne ki koshish kari, par jab tak vo iss koshish mei safal hota meri najar uske upar pad gayi aur meine usse vahi rok diya….. Aur apne magic se usse dhur faik diya….
Shubham: Aaliya ko ghayal dekh mujhe na jaane kya hone laga….. Mera sharir apne aap jhatka khane laga…. Essa lag raha tha ki jaise koi bahar aane ko betab ho raha hai aur vo sabhi ko Dhaka dete hua bus bahar nikalne ki koshish kar raha hai…..
Ussi samaye Elika aur Mathira dono ki hi najar mere upar padi aur jaise hi dono ki najar mere upar padi dono ka gala sukh gaya…. Kyunki meri aankho ka jo Sclera (The White Portion of Eye) ek dum kaali ho gayi thi aur vahi jo aankho ka pupil hota hai vo Neele se ek dum Laal ho gaya tha…. Mujhe dekh dono samajh gayi ki ko nahi hona cahaiye tha vo ho gaya….
Idhar mei Aaliya ko dekh raha tha, par mera sharir saath nahi de raha tha….. Mujhe khudko jhatke lagne laga…. Par do minute ka ander sab kuch shant ho gaya…. Ab mei puri tarah se badal gaya….. Jaha phele mere uparsunhare colour ka kapde tha, ab vahi kapde badal kar ek dum Kaale ho gaye tha…. Mere haath mei apne aap ek stick aa gayi aur uske upar ek bada sa Crystal tha…..
Idhar Saaya mujhe maarne ka liye aage bada…. Par jaise hi mei Kaale kapdo mei badla uski jaan halak mei hi rahe gayi…… Usse samaj hi nahi aaa ki ya kya ho gaya….. Uske saare paase ulte kaise pad gaye…..
Idhar meine Aaliya aur uske saath hi sabhi ko vaha se gayab kar diya….. Vo sabi uss grah se gayab ho gaye tha aur Aasman mei hi khade niche kya ho raha hai dekhne lage…..
Willy; Elika ya achanak se Shubham ka kapde kaise badal gaye aur hum bhi yaha kaise aa gaye……???
Elika: Hume achanak se nahi, hume Shubham na uss grah se bheja hai, kyunki ab vaha vo aa gaya hai vo behad nirdaye hai aur andhera uska dost…..
Siyam: Par vo akele kaise unhe sambhalega…..???
Mathira: Ab vo akela bhi behad hai inn sabhi ka liye….
Willy: Par ya hua kaise aur kyu…..???
Elika: Willy Shubham ka pass Black Energy bhi hai aur vo White Energy se kayi gunna jada strong hai uske ander par abhi uski Black Enery ko usne dhyan nahi diya hai jiski vajah se vo abhi tak shant thi, par aaj jaise hi Aaliya ka upar humla hua uska gussa aur dukh na uski uss Energy ko kahi na kahi jaga diya….. Aur vo nikal kar bahar aa gayi….Ab Shubham ek dum alag hai, ya roop alag hai aur behad shakti shali…. Iske samna karna behad mushkil hai……
Vahi dusri taraf Saaye ka grah mei Saaya aur uske sabhi log mere achanak se badle roop se dar gaye….. Saaye aur baaki sabhi ko ya behad ache se pata tha ki Rakshak ka ek roop aur hai, par unhe ya nahi pata tha ki ya roop esse unke samne aa sakta hai…..
Idhar mere ander Black Energy puri tarah se hawi ho gayi thi….. Black Energy na meri soch aur meri samajh dono ka upar hi apna kabza jama liya tha aur uske fal swaroop hi mere sharir se aag nikalne lagi….. Mera pura sharir hi aag ki lapto mei badal gaya aur ab mei essa dikhne laga tha jaise ki mein khud ek aag hu sharir vagerea kuch hai hi nahi…..
Iss naye roop na ek minute ka bhi samaye nahi lagaya aur Saaye ka sabhi logo ka upar aag ka humla karna shuru kar diya….. Aasman mei ud rahe Black Vultures bhi mujhe dekh aur mere humle ko dekh vaha se bhagne lage….. Saaye ka pura grah mei bus aag hi aag lagne lagi….. Saare log bus ab apni jaan bachane ki koshish kar rahe tha…..
Par mere iss roop se bachna unke bus mei nahi tha….. Har taraf bus aag hi aag ki vajah se Saaye ka sabhi log uske ander jhulasne lage…. Vahi Saaya apni jagah par bus khada khada dekhne laga…… Vo ab kya kare usse samajh nahi aa raha tha….. Mei dhere dhere uski taraf bada aur uske pass pahuch kar usse gale se pakad kar vaha se gayab ho gaya aur upar asman mei le gaya……
Shubham: Dekh teri ek galti ki saja…..Aaj tere lalach aur dhoke ki duniya ka anth aa gaya….. Aaj tujhe samajh aayega ki tune Trasa se haath milakar kitni badi galti kari hai…. Vo dekh udhar teri beti aur tera Pariwar iss aag ki lapto mei kaise jal rahe hai…..
Saaya: Vo bus dekhne laga par kuch kaha nahi…..
Shubham: Ab tera aur iss grah ka samaye khatam hua…… Aaj Imosopher aur Trasa ko meri taraf se ya taufa aur ya kaha kar meine ek jhatke mei uski gardan ko pakad kar uske sharir se khick kar nikal diya….. Uski gardan ko jab meine khicha shuru kiya toh uski chikh nikal gayi jo uss pure vatavaran mei phel gayi….. Iss chikh ki awaj duniya ka har rajye aur har vyakti na suni hogi…..
Vahi asman mei khade hokar dekh rahe mere mei Jhiku, Rimjhim. Aaliya, Marium, Nancy, Tayon sabhi ki bhi uske saath ek jordar chikh nikal gayi…… Unhone kabhi ya nahi socha tha ki Shubham bhi kabhi essa karega….. Vahi Elika aur Mathira dono hi ek dusre ki aankh mei dekh rahi thi, jaise bol rahi ho ya toh bus shuruvat hai….. Aage na jaane kya kya hoga…..
Idhar meine uss Saaye ki gardan jab khick li toh uske sharir se fountain ki tarah khoon nikala aur vo mere upar hi girne laga, apne sharir par usse mehsoos kar mei man se behad prasan ho gaya…… Meine uske sar ko vahi se dhur phek (Throw ) diya aur uske sharir ko vapas ussike grah mei vahi hawa se daal diya…..
Par mei yaha shant nahi hua aur apni aankhe band karke meine apne haath aage kardiye….. Mere haath aage hote hi mere haatho se ek kaali aur laal mili juli roshni nikali aur uss grah ka upar padhne lagi aur dekhte hi dekhte sabhi jagah ek bhayanak visphot ki awaj gunj gayi….. Aur vo grah vahi khatam ho gaya…..
Uss grah ka tukde pure vaayu Mandal mei phelne lage….. Iss Visphot ki awaj sabhi na Suni hogi bahut se log aasman mei ya drishye dekh rahe tha…. AS, Alvace bhi vaha pahuch gaye tha…. Unhone jaise hi mujhe dekha unhe bhi shock laga ki ya itni jaldi kaise ho gaya…..
Vahi mei uss visphot ka baad behad khush ho gaya aur jor jor se hasne laga….. Haste Haste na jaane kab meri aankhe band ho gayi aur mei behosh hokar girne laga….. Vahi Dusri taraf uss Saaye ka sar jo meine dhur pheka tha, vo vaha se Maharani Trasa aur Imosopher ka Rajye mei jaa gira….
Imosopher ka logo mei kuch aapas mei baate hone lagi, vahi Imosopher ka cehare par ek muskaan aa gayi.....
Imosopher: Welcome Back Brother….. Kabse tumhara hi intezar tha….. Aaj tumhai vapas ussi roop mei dekh behad khushi hui…….
Trasa: Aakhir humari mehanat kaamiyab hui……. Aaj sadiyo baad uski ya jhalak dekh dil khush ho gaya……
Imosopher: Alvace, AS ab shuru hoga asli khel…… Bus issi dun ka intezar tha mujhe……Aur ya kaha kar Imosopher jor jor se hasne laga…..
Trasa: Jaao saare nagar mei ya khabar de do, aaj ki raat Nagar jashan manayega…..
Chaliye dosto aaj ka liye hum yahi rukte hai….. Imosopher aur Trasa ki khushi ka kya karan hai ya jaane ka liye bane rahe aap sabhi……..
Stay Tunned………
Awesome update bhai
Shubham ka Naya Roop bahut khatarnaak hai
Shubham kaise khudko sambhalega
Imospher aur trasha kyu itna khush hai dekhna padega
Waiting for the next update