- 358
- 2,151
- 123
Update 109
Pichle update tak aapne dekha tha ki kaise Shubham ko gyaan milta hai ki usne kitni galtiya ki hai aur vo ab apni inn do mushkilo se kaise azad ho sakta hai….. Usne jaana ki uski knowledge iss duniya ka liya behad kam hai aur iss kam jankari ka saath vo iss duniya mei nahi jee sakega…. Vo jo faisle leta tha vo faisle behad kam jankari aur behad kam soch ka saath leta tha jiski vajah se acha karne ka soch kar bhi vo galat kar deta tha…..
Ab aage:
Shubham: Jaisa usse aakrati se jankari mili thi ki vo agar khudko iss musibat se bachana cahata hai toh usse apni shaktiyo ko ikhata karke ek khudse alag karna hoga aur khudko ek samanye insaan mei badalna hoga….. Ek essa insaan mei jiske pass jaadu ka koi kan bhi shesh nahi raha ho….. Par usne ya bhi jana tha ki khudko uss roop mei badalne mei usse behad kadi mehanat karni padegi kyunki ya bilkul bhi aasaan nahi hai……
Khair vo phir dhyan mei baith gaya aur apni sabhi urja ko ek jagah lakar niyantrit karne ki koshish karne laga….. Kayi baar koshish karne ka baad bhi vo kamyab nahi hua iss bich Emrano na usse pucha ki vo karna kya cahata hai jiske jawab mei usne unhe bus yahi kaha ki vo apna kaam kar raha hai…..
Chaliye thodi der Shubham ko akela chod kar hum lo vapas chalte hai Land of Mountains and Rivers…
Yaha AS aur Alvace dono hi behad pareshan tha kyunki unhe khabar mil gayi thi ki Shubham Siyam ka yaha bhi nahi hai… Unn dono ko samajh nahi aaya ki achanak Shubham kaha chala gaya vo bhi essa bina kuch kahe…..
Alavce: Kahi Imosopher na kuch kiya….??
AS: Nahi Imosopher kuch nahi kar sakta hai kyunki Shubham ka saath Emrano hai ya baat Imosopher bhi janta hai…. Vo ya bhi janta hai ki Emrano uski duniya ki barik se barik achayi aur burayi dono janta hai….. Emrano ko ache se pata hai ki Shubham ko uski duniya se kaise nikalna hai aur kya chij vaha uska kuch nahi bigad sakti hai….. Essa mei vo itni badi galti nahi kar sakta hai…..
Alvace: Fir vo achanak shadi ka bich se kaha chala gaya…..
AS: Iska javab Aaliya se puchta hai….Vo iss waqt Shubham ka dimak ka saath judi hai, jiske jariye vo kahi bhi Shubham se baat kar sakti hai, islye shayad vahi humari madat kar sakegi…..
Alvace: Toh fir deri kis baat ki hai…. Usse baat karo aur pucho….
AS: Hmmm…. AS apne dimak ko Aaliya se jodhta hai aur usse sab kuch bata deta hai……
Aaliya: Mei usse baat karne ki koshish karti hu….. Ya kahe kar vo apni aankhe band karti hai aur Shubham se baat karne ki koshish karti hai, par koi baat kar nahi paati hai…. Kyunki vo khudko Shubham se jod nahi paa rahi thi…..
Aaliya: AS mei Shubham se khudko nahi jod paa rahi hu..... Mei abhi vaha aati hu kyunki aajse phele kabhi essa nahi hua ki mei usse jud na saki hu…..Mujhe kuch badi baat lag rahi hai…..
AS: Hmmm aa jao tum bhi….
Alvace: Kya hua, kaha hai Shubham.
AS: Nahi pata….. Vo bhi uss tak nahi pahuch saki…..
Alvace: Iska matlab Elika ko hi usse dhundna padega apne jaadu se…..
AS: Par abhi….
Alvace: Ha abhi…. Ya kahe kar vo Elika ko bula leta hai aur usse saari baat karte hai….
Elika: Alvace rukiya mera jaadu se abhi Shubham ka pata chal jayega…. Ya kahe kar vo Shubham ko dhoodna ka liya apni energy release karti hai….. Karib 1 minute mei hi uski energy laut kar aati hai……
Aaliya: Kaha hai Shubham…..
Elika: Pura pakka pata nahi par mujhe lagta hai vo kisi musibat mei hai…. Kyunki meri energy ek jagah se reflect ho kar vapas aa gayi….. Aur vo jisse reflect hokar aayi hai vo Shubham nahi hai bulki koi diwar si hai…..
Aaliya: Hume chal kar dekhna cahaiye….. Aur Charo uski baat maan vaha se gayab hokar nikal jaate hai…..
Jaise hi vo vaha pahuchte hai samne ka najara dekh Aaliya ka alawa teeno chauk jaate hai……
Aaliya: Ya toh koi ghar jaisa hai…. Chalo hum ander chal kar dekhta hai…..
Elika: Nahi hum isse chu bhi nahi sakte hai… Ya Brown Ash hai Aaliya…. Iska istemaal Emrano se khudko bachane ka liya kiya jaata tha…. Iske upar koi jaadu aur jadugar ka asar nahi hota hai….. Purane samaye mei Jadugaro ko iske ander kaid kiya jaata tha jiski vajah se vo kabhi bahar nahi nikal sakte tha….. Unhe bahar se hi bahar nikala jaa sakta tha aur vo bhi kisi insaan ka duwara ya fir essa vyakti jiska jaadu se dhur dhur tak ka vasta na ho….
Aaliya: Par Shubham yaha ander kaid kaise ho gaya…..???
AS: Iska javab sirf Shubham de sakta hai, aur hum usse baat nahi kar sakte hai…. Hume usse judne ka koi dusra tarika dhundna hoga…..
Aaliya: Hum kisi insaan ko bulaye toh…..
Elika: Par essa koi bhi iss duniya mei nahi milega…. Kyunki ab iss duniya se aam insaano ki prajati ko Emrano na barso purv hi khatam kar diya tha…… Yaha ab har maujood vyakti mei ek behad chota sa hi ansh hota hai par hota jarur hai jaadu ka jiski vajah se koi bhi isse bahar nahi aa sakta hai…….
Aaliya: Toh ab hum Shubham ko yaha se nikalega kaise…..???
AS: Iska hal bus ab usse khudko dhundna hoga, hum log bhi iss duniya mei usko dhoondta hai jo humari ismei madat kar sake….. Chalo…..
Sabhi vaha se nikal jaate hai……
Idhar Shubham kayi baar koshish karne ka baad bhi safal nahi hua tha…. Iss koshish se vo behad jada thak gaya tha aur usse behad thakan mehsoos ho rahi thi….. Usne kuch der ruk kar firse shuru karne ka socha.......
Shubham Chalo uss kitab ko hi padhta hu, thoda apna gyan hi bada lu….. (Man Mei) Kitab meri shiksha shuru karo…..
Kitab: Jee jarur….. Sabse pheli chij jo aapke gyan ko badhane ka liya hai vo aapse judi hai…. Aapko sabse phele ya jaana hoga ki sharir mei maujood sabhi shaktiya aapke sharir mei faili nahi hoti hai, bulki vo sabhi shaktiya aapke sharir ka kisi ek hisse mei hoti hai….. Sabhi shaktiyo ka vahi ek maatr istrot hota hai jaha se vo nikalti hai aur apke sharir mei alag alag jagah failti hai jaha se usse khudko badhane ki shakti milti hai…..
Islye yadi aap apne sharir ka uss istrot ko khoj le toh fir aap apni sabhi shakti aur urja ko samajh sakte hai aur unhe apne hissab se kaabu kar sakte hai….. Ab aapko jaana hai apne sharir ka istort ko toh usko dhundne ka ek behad saral upaye hota hai aapka dimak….. Aapka dimak sharir ka har hisse se juda hota hai, jiski vajah se aapka dimak sharir ka jiss hisse ko kaam karne ka aadesh deta hai vo turant kaam karne lagta hai essa hi aapke sharir mei koi bhi pareshani ya koi bhi nayi ya aam taur par nahi hone vali chij bhi usse turant pata chal jaati hai…. Islye aapko aapne dimak par focus karke usmei dhundna hai ki aapke sharir mei essi konsi jagah hai jo shakti ka istrot hai….. Usse jaan usko kaabu karna behad aasaan hai….. Aap issi se shuru kijiye ho sakta hai koi baat ban jaye……
Shubham: Iska matlab uss aakrati mei maujood mahila ko phele se hi pata tha ki mei ya nahi kar sakunga islye unhone phele shuruwat isse kari….. Kuch toh baat hai jiss tarah se vo mujhe bol rahi thi essa lag raha tha jaise vo pura haq se bol rahi ho, jaise vo mujhe sadiyo se janti ho…..
Chalo jab kuch unhone sikhaya hai toh vahi sahi…. Mei ab iss kitab mei di sabhi baato ko sahi se samajhne se shuruwat karta hu taaki mujhe koi pareshani nahi ho aur koi galat faisla na lu….. Uske baad vo fir aankhe band kar apne dimak mei jhakne laga…. Vo dhoodna laga uss baat ko jaha se usse apne sharir ki urja ka istort mil sake…..
Kaafi der mehanat ka baad aakhir meine ya jaan hi liya ki mera sampurn sharir mei jo urja raheti hai vo sabhi mera sharir mei dila ka pass sunhare rang ka moti hai vaha se nikalti hai….. Meine apna dhyan uss moti ki taraf bada diya, mei usse dhundna laga aur kuch samaye baad vo mujhe mila bhi…. Par ya moti behad chota tha jisse meine kabhi nahi dekha tha….. ABhi mei kuch harkat karta ki usse phele hi kuch awaj sunkar mei ruk gaya…..
Pheli Awaj, Ya awaj kitab ki thi…..
Kitab: Ab samaye hua hai aapko dusra gyan dena ka…… Iss sansaar mei maujood har manushye ko cahaiye vo samanye ho ya fir behad shakti shali, kuch samaye usse apne liya bhi nikalna cahaiye…. Jeevan mei kaam aur jimmedariya humesha hi aayegi aur jayegi aur jab tak aap jeevit ho aap unse nahi bach sakte ho….. Essa mei kabhi kabhi apne kaam aur jimmedariyo ko dhur kar apne liya aur apne nikat ka logo ka saath bitana cahaiye kyunki beeta samaye laut kar vapas kabhi aata nahi….. Vaise hi aapka nikatam kabhi ruth gaya toh vo kabhi lautega nahi……
Inn sabhi se upar apne liya samaye dena islye bhi jaruri hai ki jab aap apne liya samaye nikal khudko jaane ki koshish karte ho uss samaye aapko apne sharir se judi kayi chije pata chalti hai vahi yadi aap khudko samaye dena ki jagah bus mehaj har samaye kaam mei hi lage rahoge toh fir aap behad barik par behad kimati chije chod sakte ho jaise ya moti jo aap dhyan karte hua bhi sirf apne kaam ka liya sochne par kabhi isse dekh na sake…..
Shubham: Matlab ya hua ki ab tum mujhe mera har ache bura kaam mei bhi gyan dogi chalo acha hai….. Ya jaan kar acha laga….. Par filhaal mei isse nikal leta hu, vaise kya koi khaas tarika hai tumhare pass isse apne se aazad karne ka……
Kitab: Ha behad aasan tarika hai…. Ya Moti aapke sharir mei raheta hai islye aap isse jo kahega ya vahi karega….. Aap dhyan mei hi isse apne se bahar laane ki koshish kijiye, aapki baat sun kar ya khud hi aapke sharir se nikal jayega……
SHubham: Thik hai…. Aur ya kahe kar vo apne sharir ka andruni hisse mei kho gaya jaha vo Moti ko lagataar bahar aane ko kahe raha tha…. Uske iss baat se Moti ko koi farak hi nahi pada ulta vo aur jada ander chala gaya…… Ya kya hua, meine isse bahar aane ko kaha aur ya toh ander chala gaya…..
Kitab: Kyunki aap khudki energy ko control nahi kar rahe hai vo moti control kar raha hai…. Aap apni energy ko control karo aur ya moti apne aap aapki sabhi baato ko maane lagega…..
Shubham: Thik hai…. ya kahe kar vo apni shaktiyo ko apne hissab se moti ka bahar nikalne lagta hai…. Jaise jaise uski shaktiya moti se bahar aa rahi thi vaise vaise vo Moti bhi bahar nikalne laga tha…. Dekhta hi dekhta vo moti Shubham ka sharir se bahar aa jaata hai…..
Ab Shubham behad samane insaan ban gaya tha jiske ander Jaadu ka kan bhi nahi bacha tha kyunki vo saara magic uske ander se nikaal liya gaya tha….. Usne ab jab deewar par najar daali to usse ek darwaja dikh gaya bahar jaane ka jo usse phele jaadu hona ki vajah se nahi dikh raha tha…. Yahi Brown Ash ki khasiyat hoti hai…. Vo kissi jadugar ko apne samne kamzor bana deta hai kyunki vaha uske jaadu se jada usse illusions dikhta hai jinko vo samajh nahi paata hai aur khud bhi halke halke hallucination mei hota hai…..
Khair vo darwaje se bahar nikalta hai aur uske agle hi pal vo uss jagah se Brown Ash ki uss deewar ko girane lagta hai…. Jaise hi ek chota s ached usmei hota hai vo turant apne Moti ko yaad karta hai aur vo moti uss ched mei se nikal kar uske ander sama jaata hai…..
Ek baar firse Shubham aazad ho jaata hai aur apne purane roop mei aa jaata hai….. Vo ek baar fir bhakshak ka roop le leta hai…..
Emrano: Tumne ya sab kaise kiya aur kaha se sikha….. Tum phele ho jisne Brown Ash ko bheda hai…..
Shubham: Nahi…. Mei second hu…. Mujhe phele bhi koi hai jisne ya kiya hai….. Isse jada mujhc kuch nahi puchna aur na kahena….. Hum log abhi ka abhi SwarnNagri jaa rahe hai meri aage ki Black Magic ki shiksha ka liya…. Ab hum vo karega jo mei kahunga aur jaisa mei kahunga…..
Emrano: Thik hai…. Mujhe ismei koi pareshani nahi hai…..
Shubham: Mei Elika se jaane se phele mila bina nahi jaa sakta hu…. Mujhe usse sab batana hoga aur usse ya bhi samjhana hoga ki mera piche se usse kya karna hai…. Itna mujhe pata hai mera yaha se jaate hi Imosopher aur Draco iss duniya mei aatank macha dega aur essa mei inn logo ko savdhan hona hoga aur khudko chupa kar rakhna hoga…..
Vo vaha se gayab hokar Elika ko sandesh bhejta hai…. Elika Shubham ki awaj sun hi chauk jaati hai….
Elika: Shubham, tum Brown Ash se bahar kaise aaye….???
Shubham: Elika ya sab baato ka samaye nahi hai….. Tum mujhe apne Rajye ki seema par milo, mujhe tumse baat karna behad jaruri hai…..
Elika: Thik hai….
Elika aankh band karti hai aur vo vaha pahuch gayi thi…… Jaise hi vo samne dekhti hai Shubham usse apne samne hi dikhta hai… Uski halat behad achi nahi thi vo khudko behad kamzor mehsoos kar raha tha….. Usse dekh Elika ghabra gayi…..
Elika: Shubham tumhai kya hua hai….. Chalo ander chalte hai…..
Shubham: Elika abhi ya sab baato ka samaye nahi hai….. Meri Baat dhyan se suno, mei kuch samaye ka liya jaa raha hu sabse dhur jaha tum sabhi mei se koi bhi mujhe dhoond nahi sakega kyunki mera upar ek kawach aa jayega jiski vajah se mujhe tum sabhi mehsoos bhi nahi kar sakoge…..
Mera jaane ka baad Imosopher aur Draco iss duniya mei apna adhikaar badhane ki koshish karega….
Elika: Tum tension mat lo, hum unhe essa nahi karne dega…. Hum unka jamkar samna karega…..
Shubham: Nahi mei vahi batane yaha aaya hu…. Tum sabhi mei se koi bhi uske samne nahi jayega…. Vo jo bhi kare par uske samne mat aana….. Tum sabhi logo ko bhi ya baat samjha dena ki kuch bhi ho jaaye koi bhi unn dono ka samne nahi aayega…. Kyunki unn dono ki shakti behad bad gayi hai….. Tum dono mei se ek baar mei kewal ek ko sambhal sakti ho dono ko saath nahi islye behatar hai tum bhi dhur raho…..
Tumhari iss duniya ko meine apne suraksha kawach se dhak diya hai, iski vajah se vo yaha aakar bhi kabhi nahi aa sakega…. Tumhai humare sabhi logo ko yaha apni duniya mei surakshit rakhna hai…. AS ar Mariana ko bhi ya kahe dena ki vo dono bhi yahi rahega…..
Elika: Thik hai Shubham jaisa tum kahe rahe ho hum vaisa hi karega….Par….
Shubham: Bharosa rakho ya bhakshak hi iss sansaar ka sabse bada rakshak bankar aayega….. Aur jab tak mei na aa jau kuch bhi ho yaha se nahi nikalna….
Ya kahe kar vo vaha se gayab ho gaya kyunki ab aur der vo nahi kar sakta tha…. Usse sabse phele Simha se milna tha jo aage uski shiksha ko badhane vali thi…… Par vo gayab hokar Swarn Nagar pahuch paata hai ya nahi ya aage jaanega......
Shubham ka jaane ka dukh Elika ko tha par usse ya bhi pata tha ki uska jinda hona behad jaruri hai aur essa mei Shubham ka jaana jaruri tha…. Usne sabhi logo ko ya khabar de di ki Shubham gaya aur saath hi usne sabhi logo ko apni duniya mei bhi pravesh karwa diya….
Paristan duniya ki kalpana se bhi jada sundar aur khubsurat ek duniya jaha sab kuch essa hota hai ki bus aap apni aankhe aur palke jhapkana hi bhul jao….. Kya dekho aur kya nahi dekho ya sab mei hi aapka jeevan ulajh kar rahe jaata hai…. Par iss duniya ko dikhna ka saubhagya behad hi kam logo ko milta hai ya fir kahu ki milta hi nahi hai….. Har koi pariyo aur unki khubsurati ki baate karta hai par unhe dekh paana behad mushkil hai…. Aaj jab Elika apni duniya mei lekar sabhi ko aayi tab unhone asli Elika ka roop dekha the Fairy Queen ka roop…. Usse uss roop mei dekh ladko ka saath saath ladkiyo ki bhi aankhe jaise bus khul kar bahar aane ko betab thi…. Unhe vishwas nahi ho raha tha ki koi itna sundar kaise ho sakta hai……
Kuch samaye ka liya sabhi log bhul gaye tha ki Elika na unn logo ko yaha laane ka karan kya hai…..Sab bus paristan ya kahu Fairy World mei hi kho gaye tha….. Inhe bus iss duniya mei rahena deta hai.....
Idhar Shubham ka jaane ka pata Imosopher aur Draco dono ko laga kyunki Shubham ki energy ko koi mehsoos nahi kar paa raha tha…. Uske jaane ki khabar maatr se hi vo dono behad khush ho gaye kyunki unhe pata tha ki jab tak ab vo nahi hai unke pass yahi mauka hai iss duniya ko apne adhin karne ka…. Kyunki unki shakti ko koi nahi rok sakta hai….
Unki soch galat bhi nahi thi…. Iss samaye unn dono ko milkar rokne ka samarthya kisika pass nahi tha…. Agar dono mei se kisi ek se ek baar mei ladna ho toh fir uss paristhiti mei Elika unse na 19 padegi aur na hi 22…. Par agar Elika Satrangi Shaktiyo ko aazad kar deti hai toh fir ya samajh lo ki bus fir Elika unse 22 nahi bulki 100 hi padegi….. Par vo dono bhi ya jaante tha ki vo essa nahi karegi…..
Islye unn dono ka aatank iss duniya mei shuru ho gaya… Ek ek karke unhone behad saari duniya ko apne adhin kar liya aur vo aage bhi bad rahe tha…. Unka rukna ka kaam bilkul nahi tha……
After an year…..
Aaj pura 1 saal ho gaya tha Shubham ko gaye hua par iss ek saal mei kisine uska baare mei kuch nahi suna…..
Chaliye dekhta hai aage kya hota hai tab tak ka liya bane rahe kahani par…..
Special Notice: Friends I am not promising you ki mei aapko har din update dunga ya alternative de sakunga…..I will try to give as much updates as much I can, but kyunki mei apni jindagi mei behad uljha hua hu islye update dena mei deri ho jaati hai…. From Now I will continue story again…..