• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Shubham - Ek Rakshak ya Bhakshak

Shubham

Member
358
2,151
123
Update 109

Pichle update tak aapne dekha tha ki kaise Shubham ko gyaan milta hai ki usne kitni galtiya ki hai aur vo ab apni inn do mushkilo se kaise azad ho sakta hai….. Usne jaana ki uski knowledge iss duniya ka liya behad kam hai aur iss kam jankari ka saath vo iss duniya mei nahi jee sakega…. Vo jo faisle leta tha vo faisle behad kam jankari aur behad kam soch ka saath leta tha jiski vajah se acha karne ka soch kar bhi vo galat kar deta tha…..


Ab aage:


Shubham: Jaisa usse aakrati se jankari mili thi ki vo agar khudko iss musibat se bachana cahata hai toh usse apni shaktiyo ko ikhata karke ek khudse alag karna hoga aur khudko ek samanye insaan mei badalna hoga….. Ek essa insaan mei jiske pass jaadu ka koi kan bhi shesh nahi raha ho….. Par usne ya bhi jana tha ki khudko uss roop mei badalne mei usse behad kadi mehanat karni padegi kyunki ya bilkul bhi aasaan nahi hai……


Khair vo phir dhyan mei baith gaya aur apni sabhi urja ko ek jagah lakar niyantrit karne ki koshish karne laga….. Kayi baar koshish karne ka baad bhi vo kamyab nahi hua iss bich Emrano na usse pucha ki vo karna kya cahata hai jiske jawab mei usne unhe bus yahi kaha ki vo apna kaam kar raha hai…..


Chaliye thodi der Shubham ko akela chod kar hum lo vapas chalte hai Land of Mountains and Rivers…


Yaha AS aur Alvace dono hi behad pareshan tha kyunki unhe khabar mil gayi thi ki Shubham Siyam ka yaha bhi nahi hai… Unn dono ko samajh nahi aaya ki achanak Shubham kaha chala gaya vo bhi essa bina kuch kahe…..


Alavce: Kahi Imosopher na kuch kiya….??


AS: Nahi Imosopher kuch nahi kar sakta hai kyunki Shubham ka saath Emrano hai ya baat Imosopher bhi janta hai…. Vo ya bhi janta hai ki Emrano uski duniya ki barik se barik achayi aur burayi dono janta hai….. Emrano ko ache se pata hai ki Shubham ko uski duniya se kaise nikalna hai aur kya chij vaha uska kuch nahi bigad sakti hai….. Essa mei vo itni badi galti nahi kar sakta hai…..


Alvace: Fir vo achanak shadi ka bich se kaha chala gaya…..


AS: Iska javab Aaliya se puchta hai….Vo iss waqt Shubham ka dimak ka saath judi hai, jiske jariye vo kahi bhi Shubham se baat kar sakti hai, islye shayad vahi humari madat kar sakegi…..


Alvace: Toh fir deri kis baat ki hai…. Usse baat karo aur pucho….


AS: Hmmm…. AS apne dimak ko Aaliya se jodhta hai aur usse sab kuch bata deta hai……


Aaliya: Mei usse baat karne ki koshish karti hu….. Ya kahe kar vo apni aankhe band karti hai aur Shubham se baat karne ki koshish karti hai, par koi baat kar nahi paati hai…. Kyunki vo khudko Shubham se jod nahi paa rahi thi…..


Aaliya: AS mei Shubham se khudko nahi jod paa rahi hu..... Mei abhi vaha aati hu kyunki aajse phele kabhi essa nahi hua ki mei usse jud na saki hu…..Mujhe kuch badi baat lag rahi hai…..


AS: Hmmm aa jao tum bhi….


Alvace: Kya hua, kaha hai Shubham.


AS: Nahi pata….. Vo bhi uss tak nahi pahuch saki…..


Alvace: Iska matlab Elika ko hi usse dhundna padega apne jaadu se…..


AS: Par abhi….


Alvace: Ha abhi…. Ya kahe kar vo Elika ko bula leta hai aur usse saari baat karte hai….


Elika: Alvace rukiya mera jaadu se abhi Shubham ka pata chal jayega…. Ya kahe kar vo Shubham ko dhoodna ka liya apni energy release karti hai….. Karib 1 minute mei hi uski energy laut kar aati hai……


Aaliya: Kaha hai Shubham…..


Elika: Pura pakka pata nahi par mujhe lagta hai vo kisi musibat mei hai…. Kyunki meri energy ek jagah se reflect ho kar vapas aa gayi….. Aur vo jisse reflect hokar aayi hai vo Shubham nahi hai bulki koi diwar si hai…..


Aaliya: Hume chal kar dekhna cahaiye….. Aur Charo uski baat maan vaha se gayab hokar nikal jaate hai…..


Jaise hi vo vaha pahuchte hai samne ka najara dekh Aaliya ka alawa teeno chauk jaate hai……


Aaliya: Ya toh koi ghar jaisa hai…. Chalo hum ander chal kar dekhta hai…..


Elika: Nahi hum isse chu bhi nahi sakte hai… Ya Brown Ash hai Aaliya…. Iska istemaal Emrano se khudko bachane ka liya kiya jaata tha…. Iske upar koi jaadu aur jadugar ka asar nahi hota hai….. Purane samaye mei Jadugaro ko iske ander kaid kiya jaata tha jiski vajah se vo kabhi bahar nahi nikal sakte tha….. Unhe bahar se hi bahar nikala jaa sakta tha aur vo bhi kisi insaan ka duwara ya fir essa vyakti jiska jaadu se dhur dhur tak ka vasta na ho….


Aaliya: Par Shubham yaha ander kaid kaise ho gaya…..???


AS: Iska javab sirf Shubham de sakta hai, aur hum usse baat nahi kar sakte hai…. Hume usse judne ka koi dusra tarika dhundna hoga…..


Aaliya: Hum kisi insaan ko bulaye toh…..


Elika: Par essa koi bhi iss duniya mei nahi milega…. Kyunki ab iss duniya se aam insaano ki prajati ko Emrano na barso purv hi khatam kar diya tha…… Yaha ab har maujood vyakti mei ek behad chota sa hi ansh hota hai par hota jarur hai jaadu ka jiski vajah se koi bhi isse bahar nahi aa sakta hai…….


Aaliya: Toh ab hum Shubham ko yaha se nikalega kaise…..???


AS: Iska hal bus ab usse khudko dhundna hoga, hum log bhi iss duniya mei usko dhoondta hai jo humari ismei madat kar sake….. Chalo…..


Sabhi vaha se nikal jaate hai……


Idhar Shubham kayi baar koshish karne ka baad bhi safal nahi hua tha…. Iss koshish se vo behad jada thak gaya tha aur usse behad thakan mehsoos ho rahi thi….. Usne kuch der ruk kar firse shuru karne ka socha.......


Shubham Chalo uss kitab ko hi padhta hu, thoda apna gyan hi bada lu….. (Man Mei) Kitab meri shiksha shuru karo…..


Kitab: Jee jarur….. Sabse pheli chij jo aapke gyan ko badhane ka liya hai vo aapse judi hai…. Aapko sabse phele ya jaana hoga ki sharir mei maujood sabhi shaktiya aapke sharir mei faili nahi hoti hai, bulki vo sabhi shaktiya aapke sharir ka kisi ek hisse mei hoti hai….. Sabhi shaktiyo ka vahi ek maatr istrot hota hai jaha se vo nikalti hai aur apke sharir mei alag alag jagah failti hai jaha se usse khudko badhane ki shakti milti hai…..


Islye yadi aap apne sharir ka uss istrot ko khoj le toh fir aap apni sabhi shakti aur urja ko samajh sakte hai aur unhe apne hissab se kaabu kar sakte hai….. Ab aapko jaana hai apne sharir ka istort ko toh usko dhundne ka ek behad saral upaye hota hai aapka dimak….. Aapka dimak sharir ka har hisse se juda hota hai, jiski vajah se aapka dimak sharir ka jiss hisse ko kaam karne ka aadesh deta hai vo turant kaam karne lagta hai essa hi aapke sharir mei koi bhi pareshani ya koi bhi nayi ya aam taur par nahi hone vali chij bhi usse turant pata chal jaati hai…. Islye aapko aapne dimak par focus karke usmei dhundna hai ki aapke sharir mei essi konsi jagah hai jo shakti ka istrot hai….. Usse jaan usko kaabu karna behad aasaan hai….. Aap issi se shuru kijiye ho sakta hai koi baat ban jaye……


Shubham: Iska matlab uss aakrati mei maujood mahila ko phele se hi pata tha ki mei ya nahi kar sakunga islye unhone phele shuruwat isse kari….. Kuch toh baat hai jiss tarah se vo mujhe bol rahi thi essa lag raha tha jaise vo pura haq se bol rahi ho, jaise vo mujhe sadiyo se janti ho…..


Chalo jab kuch unhone sikhaya hai toh vahi sahi…. Mei ab iss kitab mei di sabhi baato ko sahi se samajhne se shuruwat karta hu taaki mujhe koi pareshani nahi ho aur koi galat faisla na lu….. Uske baad vo fir aankhe band kar apne dimak mei jhakne laga…. Vo dhoodna laga uss baat ko jaha se usse apne sharir ki urja ka istort mil sake…..


Kaafi der mehanat ka baad aakhir meine ya jaan hi liya ki mera sampurn sharir mei jo urja raheti hai vo sabhi mera sharir mei dila ka pass sunhare rang ka moti hai vaha se nikalti hai….. Meine apna dhyan uss moti ki taraf bada diya, mei usse dhundna laga aur kuch samaye baad vo mujhe mila bhi…. Par ya moti behad chota tha jisse meine kabhi nahi dekha tha….. ABhi mei kuch harkat karta ki usse phele hi kuch awaj sunkar mei ruk gaya…..


Pheli Awaj, Ya awaj kitab ki thi…..


Kitab: Ab samaye hua hai aapko dusra gyan dena ka…… Iss sansaar mei maujood har manushye ko cahaiye vo samanye ho ya fir behad shakti shali, kuch samaye usse apne liya bhi nikalna cahaiye…. Jeevan mei kaam aur jimmedariya humesha hi aayegi aur jayegi aur jab tak aap jeevit ho aap unse nahi bach sakte ho….. Essa mei kabhi kabhi apne kaam aur jimmedariyo ko dhur kar apne liya aur apne nikat ka logo ka saath bitana cahaiye kyunki beeta samaye laut kar vapas kabhi aata nahi….. Vaise hi aapka nikatam kabhi ruth gaya toh vo kabhi lautega nahi……


Inn sabhi se upar apne liya samaye dena islye bhi jaruri hai ki jab aap apne liya samaye nikal khudko jaane ki koshish karte ho uss samaye aapko apne sharir se judi kayi chije pata chalti hai vahi yadi aap khudko samaye dena ki jagah bus mehaj har samaye kaam mei hi lage rahoge toh fir aap behad barik par behad kimati chije chod sakte ho jaise ya moti jo aap dhyan karte hua bhi sirf apne kaam ka liya sochne par kabhi isse dekh na sake…..


Shubham: Matlab ya hua ki ab tum mujhe mera har ache bura kaam mei bhi gyan dogi chalo acha hai….. Ya jaan kar acha laga….. Par filhaal mei isse nikal leta hu, vaise kya koi khaas tarika hai tumhare pass isse apne se aazad karne ka……


Kitab: Ha behad aasan tarika hai…. Ya Moti aapke sharir mei raheta hai islye aap isse jo kahega ya vahi karega….. Aap dhyan mei hi isse apne se bahar laane ki koshish kijiye, aapki baat sun kar ya khud hi aapke sharir se nikal jayega……


SHubham: Thik hai…. Aur ya kahe kar vo apne sharir ka andruni hisse mei kho gaya jaha vo Moti ko lagataar bahar aane ko kahe raha tha…. Uske iss baat se Moti ko koi farak hi nahi pada ulta vo aur jada ander chala gaya…… Ya kya hua, meine isse bahar aane ko kaha aur ya toh ander chala gaya…..


Kitab: Kyunki aap khudki energy ko control nahi kar rahe hai vo moti control kar raha hai…. Aap apni energy ko control karo aur ya moti apne aap aapki sabhi baato ko maane lagega…..


Shubham: Thik hai…. ya kahe kar vo apni shaktiyo ko apne hissab se moti ka bahar nikalne lagta hai…. Jaise jaise uski shaktiya moti se bahar aa rahi thi vaise vaise vo Moti bhi bahar nikalne laga tha…. Dekhta hi dekhta vo moti Shubham ka sharir se bahar aa jaata hai…..


Ab Shubham behad samane insaan ban gaya tha jiske ander Jaadu ka kan bhi nahi bacha tha kyunki vo saara magic uske ander se nikaal liya gaya tha….. Usne ab jab deewar par najar daali to usse ek darwaja dikh gaya bahar jaane ka jo usse phele jaadu hona ki vajah se nahi dikh raha tha…. Yahi Brown Ash ki khasiyat hoti hai…. Vo kissi jadugar ko apne samne kamzor bana deta hai kyunki vaha uske jaadu se jada usse illusions dikhta hai jinko vo samajh nahi paata hai aur khud bhi halke halke hallucination mei hota hai…..


Khair vo darwaje se bahar nikalta hai aur uske agle hi pal vo uss jagah se Brown Ash ki uss deewar ko girane lagta hai…. Jaise hi ek chota s ached usmei hota hai vo turant apne Moti ko yaad karta hai aur vo moti uss ched mei se nikal kar uske ander sama jaata hai…..


Ek baar firse Shubham aazad ho jaata hai aur apne purane roop mei aa jaata hai….. Vo ek baar fir bhakshak ka roop le leta hai…..


Emrano: Tumne ya sab kaise kiya aur kaha se sikha….. Tum phele ho jisne Brown Ash ko bheda hai…..


Shubham: Nahi…. Mei second hu…. Mujhe phele bhi koi hai jisne ya kiya hai….. Isse jada mujhc kuch nahi puchna aur na kahena….. Hum log abhi ka abhi SwarnNagri jaa rahe hai meri aage ki Black Magic ki shiksha ka liya…. Ab hum vo karega jo mei kahunga aur jaisa mei kahunga…..


Emrano: Thik hai…. Mujhe ismei koi pareshani nahi hai…..


Shubham: Mei Elika se jaane se phele mila bina nahi jaa sakta hu…. Mujhe usse sab batana hoga aur usse ya bhi samjhana hoga ki mera piche se usse kya karna hai…. Itna mujhe pata hai mera yaha se jaate hi Imosopher aur Draco iss duniya mei aatank macha dega aur essa mei inn logo ko savdhan hona hoga aur khudko chupa kar rakhna hoga…..


Vo vaha se gayab hokar Elika ko sandesh bhejta hai…. Elika Shubham ki awaj sun hi chauk jaati hai….


Elika: Shubham, tum Brown Ash se bahar kaise aaye….???


Shubham: Elika ya sab baato ka samaye nahi hai….. Tum mujhe apne Rajye ki seema par milo, mujhe tumse baat karna behad jaruri hai…..


Elika: Thik hai….


Elika aankh band karti hai aur vo vaha pahuch gayi thi…… Jaise hi vo samne dekhti hai Shubham usse apne samne hi dikhta hai… Uski halat behad achi nahi thi vo khudko behad kamzor mehsoos kar raha tha….. Usse dekh Elika ghabra gayi…..


Elika: Shubham tumhai kya hua hai….. Chalo ander chalte hai…..


Shubham: Elika abhi ya sab baato ka samaye nahi hai….. Meri Baat dhyan se suno, mei kuch samaye ka liya jaa raha hu sabse dhur jaha tum sabhi mei se koi bhi mujhe dhoond nahi sakega kyunki mera upar ek kawach aa jayega jiski vajah se mujhe tum sabhi mehsoos bhi nahi kar sakoge…..


Mera jaane ka baad Imosopher aur Draco iss duniya mei apna adhikaar badhane ki koshish karega….


Elika: Tum tension mat lo, hum unhe essa nahi karne dega…. Hum unka jamkar samna karega…..


Shubham: Nahi mei vahi batane yaha aaya hu…. Tum sabhi mei se koi bhi uske samne nahi jayega…. Vo jo bhi kare par uske samne mat aana….. Tum sabhi logo ko bhi ya baat samjha dena ki kuch bhi ho jaaye koi bhi unn dono ka samne nahi aayega…. Kyunki unn dono ki shakti behad bad gayi hai….. Tum dono mei se ek baar mei kewal ek ko sambhal sakti ho dono ko saath nahi islye behatar hai tum bhi dhur raho…..


Tumhari iss duniya ko meine apne suraksha kawach se dhak diya hai, iski vajah se vo yaha aakar bhi kabhi nahi aa sakega…. Tumhai humare sabhi logo ko yaha apni duniya mei surakshit rakhna hai…. AS ar Mariana ko bhi ya kahe dena ki vo dono bhi yahi rahega…..


Elika: Thik hai Shubham jaisa tum kahe rahe ho hum vaisa hi karega….Par….


Shubham: Bharosa rakho ya bhakshak hi iss sansaar ka sabse bada rakshak bankar aayega….. Aur jab tak mei na aa jau kuch bhi ho yaha se nahi nikalna….


Ya kahe kar vo vaha se gayab ho gaya kyunki ab aur der vo nahi kar sakta tha…. Usse sabse phele Simha se milna tha jo aage uski shiksha ko badhane vali thi…… Par vo gayab hokar Swarn Nagar pahuch paata hai ya nahi ya aage jaanega......


Shubham ka jaane ka dukh Elika ko tha par usse ya bhi pata tha ki uska jinda hona behad jaruri hai aur essa mei Shubham ka jaana jaruri tha…. Usne sabhi logo ko ya khabar de di ki Shubham gaya aur saath hi usne sabhi logo ko apni duniya mei bhi pravesh karwa diya….


Paristan duniya ki kalpana se bhi jada sundar aur khubsurat ek duniya jaha sab kuch essa hota hai ki bus aap apni aankhe aur palke jhapkana hi bhul jao….. Kya dekho aur kya nahi dekho ya sab mei hi aapka jeevan ulajh kar rahe jaata hai…. Par iss duniya ko dikhna ka saubhagya behad hi kam logo ko milta hai ya fir kahu ki milta hi nahi hai….. Har koi pariyo aur unki khubsurati ki baate karta hai par unhe dekh paana behad mushkil hai…. Aaj jab Elika apni duniya mei lekar sabhi ko aayi tab unhone asli Elika ka roop dekha the Fairy Queen ka roop…. Usse uss roop mei dekh ladko ka saath saath ladkiyo ki bhi aankhe jaise bus khul kar bahar aane ko betab thi…. Unhe vishwas nahi ho raha tha ki koi itna sundar kaise ho sakta hai……


Kuch samaye ka liya sabhi log bhul gaye tha ki Elika na unn logo ko yaha laane ka karan kya hai…..Sab bus paristan ya kahu Fairy World mei hi kho gaye tha….. Inhe bus iss duniya mei rahena deta hai.....


Idhar Shubham ka jaane ka pata Imosopher aur Draco dono ko laga kyunki Shubham ki energy ko koi mehsoos nahi kar paa raha tha…. Uske jaane ki khabar maatr se hi vo dono behad khush ho gaye kyunki unhe pata tha ki jab tak ab vo nahi hai unke pass yahi mauka hai iss duniya ko apne adhin karne ka…. Kyunki unki shakti ko koi nahi rok sakta hai….


Unki soch galat bhi nahi thi…. Iss samaye unn dono ko milkar rokne ka samarthya kisika pass nahi tha…. Agar dono mei se kisi ek se ek baar mei ladna ho toh fir uss paristhiti mei Elika unse na 19 padegi aur na hi 22…. Par agar Elika Satrangi Shaktiyo ko aazad kar deti hai toh fir ya samajh lo ki bus fir Elika unse 22 nahi bulki 100 hi padegi….. Par vo dono bhi ya jaante tha ki vo essa nahi karegi…..


Islye unn dono ka aatank iss duniya mei shuru ho gaya… Ek ek karke unhone behad saari duniya ko apne adhin kar liya aur vo aage bhi bad rahe tha…. Unka rukna ka kaam bilkul nahi tha……


After an year…..


Aaj pura 1 saal ho gaya tha Shubham ko gaye hua par iss ek saal mei kisine uska baare mei kuch nahi suna…..





Chaliye dekhta hai aage kya hota hai tab tak ka liya bane rahe kahani par…..


Special Notice: Friends I am not promising you ki mei aapko har din update dunga ya alternative de sakunga…..I will try to give as much updates as much I can, but kyunki mei apni jindagi mei behad uljha hua hu islye update dena mei deri ho jaati hai…. From Now I will continue story again…..
 

Avir

Well-Known Member
2,092
4,775
158
Update 108

Pichle update tak aapne dekha ki Shubham aur saath mei Emrano dono hi ek jagah fas jaate hai jaha ki sabhi deware Brown Ash se bani thi…. Unhe fasane vala koi Emrano ka hi dushman tha ya kon tha aur iska Emrano se kya dushmani thi ya sab aapne pada par isko khulkar aapko aage bataya jayega….. Vahi Alvace aur AS Shubham ko dhund rahe tha par vo unhe kahi nahi mila aur issi vajah se unhone usse dhundna ka liya Siyam ka yaha bheja apne ek aadmi ko…. Imosopher bhi achanak se mehsoos hui uss anjani energy ko dhundna ka liya apne logo ko bhej diya… Dekhta hai koi usse dhund bhi pata hai ki nahi…..


Ab Aage….


Shubham: Lagatar apne bhakshak roop mei rahena ki vajah se usse uss kamre mei behad pareshani ho rahi thi aur uska gussa bhi behad bad raha tha vahi jitna samaye vo apne bhakshak ka roop se bahar nikalta utna samaye vo behad jada asadharan ho jaata aur vo Kida usse nichod raha tha…. Inn sabhi baato se jaise vo behad jada hi pareshan aur behad jada chid chida ho gaya tha…. Usse ab behad gussa aa raha tha…..


Uska bus chalta toh vo agar abhi koi uske samne bhi khada hota toh usse khatam kar deta par fir bhi vo essa nahi kar sakta tha kyunki uska jaadu kaam kuch karta nahi usse nuksaan aur pahucha raha tha……


Emrano: Vo bhi Shubham ki essi halat dekh behad pareshan tha kyunki usse pata tha ki samaye behad kam hai aur ab unhe yaha se koi nahi bacha sakta hai jab tak ki bahar se koi aam insaan iss jagah ko khatam nahi kar deta….. Usse pata tha ki Shubham ka pass behad samaye nahi hai kyunki agar usne uss Kida ko nahi roka toh vo usko puri tarah se khatam kar dega aur usse apni bhakshak ki shaktiyo ko bhi abhi sikhna tha….. Jab usse kuch nahi samajh aaya toh usne bus Shubham ko shant karne ka liya usse dhyan lagane ka liya kaha aur apne ander apni sabhi urja ko mehsoos karne ka liya kaha…..


Shubham: Usse Emrano ki baat samajh nahi aayi ki usne essa kyu kaha par fir bhi karne ko ab kuch tha nahi aur yaha se nikalna uske liya behad jaruri tha par koi rasta tha nahi islye usne yahi karne ka socha…..


Usne apni aankhe band ki aur ek baar dhyan mei baith gaya….. Aaj dhyan mei bhakshak roop mei baithne par usse behad hi kam samaye mei apne sharir ki urja ko mehsoos karne laga….. Usse ya baat ab samajh aa rahi thi ki uska bhakshak roop uske samanye roop se jada shakti shali hai aur islye hi sabhi uske iss roop se darte hai…. Vo aankh band kiya bus apne man mei apni sabhi White aur Black Energy ka source ko mehsoos kar raha tha ki achanak ki usse ek baar firse khudke man mei do aankhe dikhi, jismei ek Laal thi toh dusri Safeed…..(Ya wahi aankhe hai jo Shubham ko sabse pheli baar Blue Dragon ki energy ko khudmei jodne ka baad dikhi thi….. Aur jinko dekh usse behad peeda bhi hui thi…..)


Vo unn dono aankho ko dekh raha tha ki ek baar firse usse dard hone laga apne ander par iss baar vo nahi ruka aur apna dard sehan karke unn aankho mei dekhta raha ki tabhi achanak jaise uska saara dard gayab ho gaya aur uske liya sab kuch tham gaya….. Bus usse apne pass ek hi chij ki anubhuti ro rahi thi vo thi vo safeed aur laal aankh…. Tabhi dekhta hi dekhta vo safeed aankh ki roshni behad tej ho gayi aur vo usse khichne lagi…..


Shubham uss roshni se khudko nikalne ki koshish karne laga par uss takat ka aage vo behad bebas aur behad laachar se mehsoos kar raha tha….. Vo uss safeed aankh ka ander khichta hua chala gaya aur kaafi der baad jab safeed roshni kam hui aur vo dekhna ka kabil hua toh jo usne dekha usse dekh vo behad jada shock ho gaya…..


Kyunki iss samaye vo ek behad bade maidan mei tha jaha dhur dhur tak sirf ghaas aur uss ghaas par lage alag alag rang birange paid pauda tha aur unn sabhi par unke rang ka saman hi phool lage hua tha…. Jaha tak najar jaati vaha tak sirf aur sirf usse yahi dekh raha tha par usse jada jo baat usse behad ajeeb lag rahi thi vo ya ki usse ya jagah apni si lagi jaise vo iss jagah se juda hua ho…..


Vo iss jagah ka baare mei jaane ka liya behad jada hi utsuk tha aur usse jada vo ya jaana tha ki vo yaha pahucha kaise kyunki magic toh ho hi nahi sakta tha…. Essa behad sawalo ka javab tha jinhe vo jaana cahata tha….. Abhi vo kisiko dhundna ki soch raha tha ki tabhi vaha ek safeed roshni aakar ruk gayi uske samne……(Isse yaha hum aakarati kahega) (Awaj ek ladki ya aurat ki thi)


Aakrati: Kaise ho Shubham, behad pareshan aur behad kamjor dikh rahe ho…..???


Shubham: Mei acha hu par kya aap janti hai mei kon hu…..???


Aakrati: Janti hu behad ache se janti hu aur itna janti hu jitna tumne kabhi khudko nahi jaana hai aur na hi shayad jaan sakoge….


Shubham: Agar essi baat hai toh aap ya bhi janti hogi ki mei pareshan kyu hu aur kamjor bhi….???


Aakarati: Janti hu vo bhi janti hu par tumse sunna cahati hu kyunki apni pareshani ko kisika saath baatne se humesha aapko thoda sukoon milta hai fir cahaiye samne vala phele se janta ho ya nahi…. Iss sukoon ka saath kabhi kabhi aadmi ko koi essa sujhav bhi mil jaata hai jisse aadmi apni musibat se nikal sakta hai…..


Shubham: Iska matlab ya hua ki aapko ya bhi pata hai ki meri pareshani khatam kaise hogi toh fir aap mujhe siddha siddha kyu nahi bata deti hai…..???


Aakarati: Duniya mei kisi bhi chij ko bina parishram ka paana par uss chij ki kadar aur kimat kabhi nahi raheti hai…. Jaise tumhai apni mili White aur Black Energy dono ki hi kimat nahi pata hai…. Kyunki inko paane ka liya tumne koi behad adhik prayas nahi kiya hai bus unko apne control mei karne ka liya kiya hai jo ki paane se kayi jada aasan tha…..


Jitni Shakti tumhare ander hai utni shakti ko paane ka liya yadi koi parishram kare aur fir unhe paaye toh uss insaan ko iss duniya mei kamse kam 1 crore saal se adhik jeena hoga uske baad bhi iss baat ka vishwas nahi hai ki vo itna sab kuch paa sakega par iss baat ka vishwas hoga ki jo sab kuch uske pass hoga uske samne koi kuch nahi hoga…..


Tum apni mili urjao ko aaj tak nahi samajh sake ho aur na hi unse puri tarah jud sake ho…. Indra, AS, Alvace, Glimo, Elika, Manthra aur inn sabse upar do naam Blue Dragon aur Emrano koi bhi tumhai tumhari urja se aaj tak nahi jod saka…..


Iske upar tumne Guru Trajang se shiksha na lekar unke bacho se shiksha le rahe ho jabki tumhai unse jo sikhne milta uska koi mol nahi hota…. Tumne Sword of Destruction ko khudse dhur kiya aur uske baad apne hi ek roop ko dharti bheja vaha se jaadu khatam karne ka liya taaki tum Dharti par jadu kar sako…..


Tumhai pata hai tumne apne jeewan mei har pal aur har kadam par galat faisle liya hai…. Apni aankho ka samne sab kuch hota hua bhi tum kuch dekh nahi saka bus apne man ki bhavnao ka saath sab kuch kar rahe ho jiski vajah se aaj tum yaha pahuch gaye ho…. Essi jagah jaha Kida aur Brown Ash dono hi tumhai puri tarah se khatam kar rahe hai….


Tumhai nahi pata hai tumne apne liya musibato ka pahad aur ambaar bana liya hai jiski vajah se tum bilkul aage nahi bad sak rahe ho aur jaha tha vahi ya usse piche hi jaa rahe ho…. Tumne bich mei apni shiksha chod behad galat kiya Shubham…. Tumhai apni saari shiksha ko purn karna cahaiye tha……


Tumhare dushmano ki ginti behad badi hai aur usmei se bhi do toh essa hai jinke baare mei tumhai shayad hi kuch yaad ho ya tum unhe bhul gaye ho par ek samaye vo dono bhi tumhare liya behad badi samasya bankar samne aayega jinka samna tumhai karne mei behad mushkil hogi…… Ya dekho vo Kida tumhare saath tumhare sharir mei kar raha hai…..


Ya kaheta hua uss Aakrati na Shubham ka samne uske sharir ka ander ka hisso ki ek chavi pesh kardi jisse dekh Shubham ko behad jhatka laga ki vo khud ya sab rokne ka liya kuch nahi kar sakta hai…..


Shubham: Aapko ya sab kaise pata….???


Aakrati: Abhi toh bataya tha ki jitna tumhai khudka baare mei jankar hai usse kayi guna jada mei tumhai janti hu…. Islye ya sawal chod do….???


Shubham: Toh thik hai aap mujhe bataye meine kya galat kiya….. Sword of Desruction ko khudse dhur karke kyunki agar Aaliya ko kuch ho jata toh fir kya karta, Place of Mountain and River ka logo ko vo keeda pura khatam kar deta tab tak mei vaha kya karta essa hi khada dekhta…..


Mera upar iss brahmand ki raksha ki jimmedari hai kyunki mei Rakshak hu iss brahmand ka…. Essa mei logo ki jindagi bachana mera phela kaam hai…..


Aakrati: Wah aaj badi Rakshak ki baate kar rahe ho vaise toh kabhi khudko Rakshak ka roop mei tumne nahi samjha…. Humesha tum yahi toh sochta ho ki mei ek aam insaan hu jisse ya supaer natural power mili hai aur jabardasti mei iss chij mei fas gaya jabki mei iske layak bhi nahi hu…..


Aur rahi tumhare faisle ki baat toh vo dono hi faisle galat tha kyunki vo dono faisle dimak ka saath nahi dil ka saath kiya gaye tha…. Jab faislo mei kewal dil hi raheta hai toh unn faislo ka sahi aur galat hone ka pata nahi chalta hai….. Kya tumne ek baar bhi Dream World mei jaane ki saari baate sochi thi, kya tumne kabhi bhi uss Kida ka baaremei puri jankari lena ki koshish ki thi….. AS, Alvace, Elika ya baaki tumhare saathiyo na jo tumhai baate batayi bus wahi baate tumne aankh band karke maan li…… Na jaane kitno na tumse kitni baar kaha hai ki kabhi kisipar aankh band karke bharosa nahi karna kon apna hai aur kon paraya tumhai ya bhi nahi pata hai abhi tak……


Ab tum kahoge ki unki baat nahi maanu toh saari jankari kaha se lu toh tumhai khud iss sawal ka jawab yaad hai….. Tumhare pass kuch essi kitabe bhi hai jinke jariye tum iss brahmand ka kisi bhi chij ki jankari le sakte ho, ya vahi kitab thi jo tumhai Willy ka saath uss Jadui gali mei phele books ka saath mili thi….


Shubham: Ha meine Sword chodi par mujhe ya bhi pata hai ki uske baare mei ek insaan janta hai jisse meine surakshit rakha hai taaki sahi samaue par mei jakar Sword ko vaha se nikal saku…… Uss samaye mera liya Aaliya ki suraksha hi sabse jaruri thi…..


Aakarati: Tumhari iss baat na mujhe bata diya hai ki tumhare ander gyan ki behad kami hai, tum abhi bhi iss duniya ko samajh nahi sake ho aur na hi jaan sake ho…….Ya tumhari galat soch hai kyunki jiss Dream World mei Aaliya thi vaha vo kabhi kaid hi nahi ho sakti thi fir cahaiye vo kahi bhi chali jaaye kyunki vo uss World ki asli Maharani hai jisne uss World ko janam diya hai uski beti hai vo…. Vo pura Dream World uski Maa ka dimak ki soch se bana hai jaha vo apne aur iss duniya ka har insaan ka sapno ko sambhal kar rakhna cahati thi….. Vo ek essi duniya ka nirman karna cahati thi jaha vo duniya ka har insaan ka sapne ko surakshit rakh sake par sahi samaye aane par vo unke sapno ka istemaal kar iss sansar ko surakshit kar sake….Islye usse vaha kaid karna behad dhur koi ek chot bhi nahi pahucha sakta tha…..


Dusri baat jaha vo jaa rahi thi agar vo usmei kud jaati toh vaha usse apni Maa ki vo sabhi yaade vapas mil jaati jo unse judi thi aur un yado ka saath usse apni Maa ki saare Jadu ki jankari bhi mil jaati jiski vajah se usse kisi bhi tarah ki dikat nahi aati ulta vo tumhai aage badne mei aur bhi jada madat karti…..Ya ek afwa thi ki jo bhi uss kuwa mei kud gaya vo kabhi vapas nahi aayega jabki vo jagah sirf aur sirf Aaliya ka liya banayi gayi thi taaki vo apni Maa ki yaado ko paa sake aur uske jariye usse sab kuch gyan mil sake….


Teesri baat tum jiss Sword ko vapas paane ki baat kar rahe ho tumhai ya andaja bhi nahi hai ki vo Sword kaha chali gayi hai…. Uss duniya se Sword vapas laane ki tumhari kabiliyat nahi hai, laana behad badi baat hai tum uss duniya ka mukhya dwar tak bhi nahi pahuch sakte ho aaj ki tarik mei kyunki tumhari Urja aur tumhara sharir ek nahi hai, jiski vajah se tum caha kar bhi vaha ka mukhya dwar ka magic nahi rok sakte ho aur usse bina roke aage jaana tumhare liya asambhav hai…. Jo bhi tumse ya kaheta hai ki tum ek pal mei iss duniya ko khatam kar sakte ho toh vo tumhai sahi toh kaheta hai par vo ya nahi janta hai ki tum essa karne mei kamyab nahi hoga kyunki tumhari Urja tumhari baat hi nahi sunti hai…..


Shubham: Mei ya samajh gaya hu ki meine koi kaam sahi nahi kiya hai aur aap iss baat se khush nahi hai…. Jo hua usse mei badal nahi sakta hu par unhe sahi karne ki koshish kar sakta hu par uske liya mujhe iss duniya se bahar nikalna hoga aur usse jada uss Kida aur Brown Ash ka ghar se jo ki impossible hai toh mei ya kar nahi sakunga……


Aakarati: Bus yahi kami hai tumhare ander, Gyan ki…. Ek baat yad rakho jiske pass gyan hai uske pass iss sansaar ki har samasya ka hal hai fir vo kitni bhi jatil kyu na ho…. Duniya mei log kaheta hai ki mehanat karne se safalta milti hai par yadi aap sahi disha mei mehanat nahi karoge toh sirf mehanat karoge par fal kuch nahi milega….. Islye sabse phele apna gyan badane ki koshish karo….. Ya kahena ka baad ek kitab uss urja se nikalti hai aur aasman mei hi ruk jaati hai…..


Ya kitab ab se har samaye tumhare ander rahegi jab bhi aur jaha bhi samaye mila isse yaad karo ya tumhare ander rahe kar hi har din tumhare gyan ko badayegi….. Har gujarte samaye ka saath tumhara gyan badega jiski tumhai ab aage aane vale samaye mei sabse jada jarurat hai…..


Ek baat aur yaad rakho ab tumhai sab kuch chod kar sabse phele Swarn Nagar jana hoga jaha tumhai apne Bhakshak hone ki shiksha milegi aur saath hi iss Kida ka hal bhi mil jayega….. Yaad rakho Emrano iss duniya ka bhakshak jarur tha par uske jeewan ka aakhri samaye mei vo bhakshak hi iss sansaar ka sabse bada rakshak tha jiski vajah se Imosopher jaisa Shaitaan itne samaye tak kaid raha islye apne Bhakshak ko bura samajhne ki jagah bus usse pura dhyan se sikho aur humesha man mei achayi rakho jisse tumhara bhakshak na tumhare upar kabhi haawi hoga aur na hi jo pareshani tumhai har pal mei gussa ki vajah se ho rahi hai vo hogi….


Aur rahi baat yaha se nikalne ki toh shayad tumne sahi se uss Alpha ki baat ko dhyan nahi diya tha…. Uss Brown Ash se tumhara Bhakshak roop ho ya dusra vo nahi nikal sakta hai kyunki unmei magic hai par agar tum kuch samaye ka liya apne sabhi jaadu ko samet kar unhe uss kamre mei maujood kisi bhi chij mei daal do toh tum ek behad samanye insaan ban jaoge Shubham aur uske baad vo Brown Ash tumhai nuksaan nahi pahucha sakegi aur ek baar tum bahar aa gaye toh tum bahar aakar bus kahi se bhi uss Ash ko saaf karo aur uske baad tumhari saari Urja firse tumhare ander aa jayegi…..


Par ya bata deti hu Urja ko ikhata karne mushkil hai kyunki tumhai dhyan lagaye behad samaye ho gaya hai…. Har din dhyan mei baitho isse tumhai apni Urja se judna mei behad acha mehsoos hoga aur tumhari Urja tumhara saath nahi chodegi…..


Shubham: Aapne mujhe itna sab kuch bataya par kyu aur usse badi baat aap kon hai aur vo aankhe…..???


Aakarati: Tum sirf abhi apni musibato aur gyan par dhyan do…. Har badte samaye ka saath jaise jaise tumhara gyan badega vaise vaise hi tumhai har chij samajh aa jayegi, ek baat aur agar tumhai apni kami sun bura laga ho toh fir tum aage nahi bad sakoge islye jo meine kaha hai uske liya pura sochna aur ho sake toh aane vale samaye ka faisla soch kar aur kewal dil se ya kewal dimak se nahi dono ko saath rakh kar karna…. Ab jaao….


Shubham: Kuch kaheta ya karta usse phele hi mei gayab ho gaya aur ek baar firse khudko apne man mei hi paaya jaha sabhi kuch ek baar firse vaisa hi tha ruka hua jaisa mei tha aur mera aankh kholte hi sab firse samanye ho gaya tha……


Shubham: Vo kon thi aur kya thi ya nahi pata par sirf itna pata hai ki unhone behad baate boli hai aur jo unhone mujhe samjhaya hai vo sach hai agar toh fir sach mei mujhc behad galtiya hui hai….. Khair abhi sab chod kar mei sabse phele apni urja ko ikhata karta hu……


Yahi soch vo ek baar firse dhyan mei baith gaya….


Aage agle update mei dekhta hai ki aakhir Shubham kya apni urja ko sahi se ikhata kar paata hai ya nahi aur saath hi idhar bahar duniya mei kya sab ho raha hai Shubham ka ek dum se chale jaane se…. Sab kuch aage kahani mei jaane ko milega…..


Stay Tunned….




Wese sahi hi kaha us aankh ne Shubham anhi tak bas Chutapiya hi karta aaya hai
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

Baadshah

Active Member
548
959
93
Mai hamesha hi aapke updates ka wait karta hoo .update kafi late bhi aate hai,nirash hoke yaha se lautna parta hai.umied hai aage se aap time nikal ke updates regular denge.
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in
Top