If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
Pichle update mei aapne dekha ki Shubham ko uss samundar mei ghusne ka saath hi chunauti ka samna karna padhta hai aur chunauti ka ya daur behad hi chota aur saral tha, aage jaha vo jaane vala tha vo the Protector World…. Iss World mei hona ka baad aapke saath kab kya ho jaaye aapko nahi pata tha…. Khair Shubham na Protector World ka ander jaane ka rasta dhund nikal liya tha aur vo uske liya nikal gaya….. Vahi dusri taraf Zainabiya ka safar bhi shuru ho gaya tha vahi se jaha se Zainabiya ki jindagi mei nafrat aur krodh ka pal shuru hua tha….
Ab Aage….
Chaliye dekhta hai ki Marium ka Mehal mei kya chal raha hai…..
Sabhi log youdh maidan se vapas laut aaye tha….. Nagar mei bhavya swagat ka baad Mehal mei unke liya sahi bhoj ka prabandh kiya gaya tha aur sabhi log uss bhojan ka anand le rahe tha….. Sabhi ka bich kaafi samaye tak baate hui aur sabhi na khana pura kiya uske baad AS, Alavce, Mariana aur uske saath aayi saina sabhi vapas laut gaye tha…
Ab Mahal mei bus Willy and Friends hi tha…. Sabhi log aaj behad samaye baad ek saath baithe tha aur aapas mei baato ka daur chal raha tha…. Aaj kafi samaye baad sabhi ko ek saath aur thoda shanti se baithne ka mauka mila tha…. Sabhi baato mei lage hua tha ki aakhir kaar Nisham ka sabar tut gaya aur usne Willy se sawal puch hi liya….
Nisham: Willy tera pass itni saari powers kaha se aayi…. Tu achanak itna strong kaise ho gaya….???
Willy: Nisham mei jhut nahi kahunga aur pura sach mei bata nahi sakta hu abhi ka liya….. Par kyunki ya sawal pucha gaya hai toh iske liya bus yahi kahunga ki ya sabhi powers mera ander phele se maujood thi jo mujhe meri Mom se mujhe mili hai, par inka baare mei na mujhe aur na hi kisi dusre ko kuch pata tha kabhi unke alawa….
Achanak mujhe ya kyu mil gayi ya inhe release kyu kiya gaya toh iska sahi jawab kuch samaye baad, yaani bilkul sahi samaye par sabhi ko ek saath mil jayega aur vo bhi bina mera kahe….. Islye tab tak tum sabhi ko iske liya intezar hi karna hoga…..
Sabhi ko pata tha ki agar baat batane vali hoti aur Willy bata sakta tha toh vo jarur bata deta par shayad kuch vajah se vo pura nahi bata raha hai islye unhone aage usse iske liya koi sawal nahi kiya…. Par vaha ka mahool jo thoda bhari ho raha tha usse halka karne ka kaam Iszy na kiya…..
Iszy: Acha Willy aur Marium tum dono batao ab kab kar rahe ho shadi, hume bhi shadi mei khichayi karne ka mauka mile….
Iszy ki baat par Marium toh sharma gayi par Willy nahi, vo bhi Iszy ki mansha samajh gaya tha islye usne bhi mahool ko thoda halka karne ka liya Iszy ki baat ka jawab diya…..
Willy: Yaar Iszy iska toh pata nahi par mei toh kal hi kar leta hu shadi bus tu mujhe shadi ka liya koi sundar aur sushil Rajkumari dhund kar de de…..
Marium: Willy ki baat se turant hi bhadak kar, acha toh mei sundar aur sushil nahi hu….. Ruk tu batati hu…..
Willy: Dekhlo Dekhlo iski jaisi ladki se kon shadi karega jo kab aag ugalne lag jaaye….. Shadi ka baad toh ya mujhe maar maar kar behaal kar degi….. Bachao, Bachao koi toh bachao…….
Marium: Vo Willy ko masti mei marne lagti hai….. Aur Willy bhi natak karne lagta hai…. Sabhi log iss hassi majak mei shamil hokar koi Willy ko marne ka natak karta hai toh koi bachane ka….. Essa hi sabhi log saath kuch samaye beeta kar apne apne kamre mei chale jaate hai…. Bus Willy aur Iszy hi rahe jaate hai saath……
Sabhi ko pata tha ki inn dono ka bich dosti behad gheri thi aur ek dusre ka saath ya dono kaafi samaye akela beetana pasand karte tha aur aaj jab itne samaye baad mila hai toh ek dusre ka saath baith baate karne lage tha….. Dono iss samaye Willy ka kamre ki khidki ka pass baithe tha aur bahar aasman mei nikal rahe Chand ki taraf dekh rahe tha…..
Willy: Kya hua Iszy, kis baat se itna pareshan hai tu…..???
Iszy: Pareshan nahi bus chinta hai yaar Shubham ki….. Na jaane vo kaha gaya hai, kis haal mei hai, apne aapko sahi se sambhal bhi paa raha hai ya nahi…. Kahi khudko kuch kar nahi liya ho usne apni shaktiyo ko na sambhal paane par…… Essa behad sawal ghumta raheta hai yaar…… Tera aane se phele tum dono ka liya tha par tujhe vapas dekh aadhi pareshani khatam ho gayi thi…..
Willy: Tu jada pareshan mat ho…. Shubham bilkul thik bhi hai aur vo apni shaktiyo ko bilkul sahi roop se sambhal bhi liya hai aur vapas laut bhi aaya hai……
Iszy: Kya….?? Kaha hai vo abhi aur tujhe kaise pata ya sab…..???
Willy: Iss waqt kaha hai ya mujhe nahi pata hai par vo vapas laut aaya hai iska pata hai…… Tujhe yaad hai aaj jab vo Shaitan nikal kar aaye tha aur fir aasman mei ek chaaya dikhti thi suraj ka samne jisne unn dono Shaitano ko maar diya tha…..
Iszy: Ha yaad hai….. Na jaane vo konsa shaitan tha jisne apne hi saathiyo ko maar diya tha…..
Willy: Vo koi Shaitan nahi bulki Shubham hi tha….Shubham hi malik hai unn jeevo ka jinhe koi nahi maar sakta hai……
Iszy: Tu kuch bhi bol raha hai Willy…. Shubham ka pass pankh thodi tha aur jo aasman mei tha uske pass pankh tha……
Willy: Iszy Shubham ka pass pankh tha nahi par ab jarur hai kyunki uske ander ki Black Energy ka release hota hi uske sharir se ya Pankh bhi nikal kar aaye hai….. Uske pankh bilkul White colour ka hai kyunki uski black energy ka saath kuch behad khaas aur behad hi khatarnak White Energy bhi thi jinhe behad lambe samaye se Black Energy ka maya se roka hua tha, jaise hi Black Energy release hui uske saath hi vo maya bhi khatam ho gayi aur aazad ho gayi vo White Energy aur ussi energy se bane hai vo White Pankh…..
Iszy: Acha chal maan liya ki job hi tu kahe raha hai sach hai toh fir vo humare samne kyu nahi aaya, aur inn sabhi se badkar tujhe kaise pata….???
Willy: Sabse phele toh mujhe islye pata hai Iszy kyunki meri Energy ka behad bada source Shubham hi hai……. Vo mujhe kahi se bhi mehsoos kar sakta hai aur jaan sakta hai ki mei kaha hu aur yahi mera saath bhi hai par mei sirf tabhi kar sakta hu jab vo mujhe essa karne de…..
Dusri baat ya ki vo humare samne kyu nahi aaya toh iss waqt vo kuch behad badi takat ka piche laga hua hai jisse usne hassil karke bhi kho diya hai tha….. Ab ek baar firse vo usse hassil karne mei laga hua hai aur jaldi hi vo usse hassil karne gaya hai….Vo usse hassil karke hi vapas lautega….
Vo kya hai mujhe nahi pata, aur iss waqt vo kaha hai ya bhi nahi pata kyunki iss waqt mei usse mehsoos nahi kar sakta hu…. Par bus yahi pata hai ki vo iss duniya mei laut aaya hai……
Iszy: Toh kya Elika bhi ussi ka pass gayi hai…..???
Willy: Ya toh pata nahi…….
Iszy: Aur Kairo ka kya….??? Vo phele bhi humare khilaf tha aur ab behad shakti shali hokar lauta hai essa mei vo tera aur Marium ka bich jarur aayega…..
Willy: Kairo ya ek behad dilchasp insaan hai Iszy….. Meine apne pura ek saal ka samaye mei behad kuch sikha hai par Kairo meri samajh se aage hai…. Uski shakti aur vo dono behad badal gaye hai..... Meri aur Kairo ki shakti dono hi ek level ki hai par usse kuch chije mujhe jada pata hai…… Rahi baat Marium aur Mera bich aane ki toh ab vo koi behad badi problem nahi hai kyunki Kairo ki jindagi mei Marium ka liya koi jagah nahi rahi hai…..
Kairo ko koi aur mil gayi hai aur dono na shadi bhi karli hai…. Dono apni duniya mei khush bahut hai par Kairo aaj bhi apne uss din ki bejjati nahi bhula hai jo uske saath Fairmount ka uss pratiyogita ka samaye hua tha….. Vo iss baat ka badla lena hi aaya tha uss din bhi par uss din Shubham vaha nahi tha….. Vo kal bhi Shubham se dushmani kiya hua tha aur aaj bhi hai…..
Iszy: Toh kya Shubham ko usse khatra hai…..???
Willy: Ha bhi aur na bhi…… Shubham ko marna Kairo ka bus mei nahi hai par uske har kaam ka bich badha banana aur usse sidhe roop se na sahi par dusre roopo mei vo behad pareshan kar sakta hai islye usse bachne ki jarurat jarur hai par sirf Shubham ko baaki hum sabhi se usse koi matlab nahi hai ab…..
Abhi inki baat chal hi rahi thi ki tabhi ek behad bhayanak chikh aur dard ki awaj sunayi deti hai….. Ya awaj itni tej thi ki jaise ya awaj bilkul aapke kaan mei hi kari gayi ho…. Iss awaj ko sun jaha Iszy apne kaan band kar leti hai vahi Willy turant apni jagah se khada hota hai aur khidki se dekhna lagta hai aasman ki taraf…….
Aapne pichli baar dekha ki kaise Nalini aur Elika dono hi mare hua logo ki duniya mei pahuch gayi thi, jaha Nalini ka har badhte kadam ka saath vaha ki sabhi buri aur negative energy uske ander sama rahi thi aur aakhir mei Nalini aur Elika ka samna hua Zainabiya se….. Jaha Zainabiya unhe kuch nahi kar saki aur na unn dono mei se kisine unhe kuch karne ki koshish ki…. Kuch samaye baad Zainabiya vaha se gayab ho gayi…..
Ab dekhta hai vaha kya ho raha hai…..
Nalini: Uske vaha ka singhasan par baithte hi jo ghost world mei log abhi kuch der phele unhe marne ki koshish kar rahe tha vo turant ruk jaate hai….. Vahi uss Singhasan par baithe hi Nalini ko ek behad tej jhatka lagta hai aur vo do shank a liya behoshi si halat mei ho jaati hai…..
Uski essi halat dekh vo Danav abhi aage bad raha hota hai ki Elika usse ishare se rok deti hai…..
Elika: Uske pass jaane ki bhul bhi mat karna….. Varna tum sadiyo ka liya ek essa andhera mei kho jaoge jaha se nikalna ya tumhare malik ka nikalna bhi namumkin hai….. Islye isse dhur raho jab tak vo hosh mei nahi aa jati hai…..
Danav: Par ya hai kya….???
Elika: Nalini….. Ya naam hai jo iss singhasan par baithi hai….. Shayad tumhai pata ho iske baare mei agar mei tumhai iska pichla naam batu toh….. Iska pichla naam hai Nimbasa……
Danav: Ya naam sun vo apni jagah se aur 10 kadam piche ho gaya…… Kya tumhai yakin hai ki iska naam Nimbasa hi hai…..
Elika: Mujhe yakin karne ki jarurat nahi hai…. Iss sansar mei mujhe pura man aur sneha bhav se Didi kahena vali kewal Nimbasa hi thi….. Vo akeli hi thi jisse mei badi hokar bhi har chij mei choti hi thi….. Jisne mujhe Jadu ka uss shikhar par pahucha diya jaha shayad usse hona cahaiye tha…..
Vo thi toh meri Choti Bhen par meri khushiyo aur meri kamyabi ka liya usne apna sab kuch tyag diya tha….. Jo humla mujhe maut dena ka liya hua tha uss humle ko apne upar lekar usne mujhe bachaya aur mujhe apna sabhi gyan de diya…. Islye mujhe pata hai ki ya kon hai…..
Danav: Vaise kya sach mei Nimbasa na jo apne charo taraf kawach banaya tha tumhai bachane ka liya vo purn roop se sach hai…..???
Elika: Uss danav ki taraf dekh kar…. Ha vo bilkul sach hai….. Nimbasa ka baare mei har baat utni hi sach hai jitna iss duniya mei Suraj ka aur Chand ka asmaan mei hona…..
Abhi inki baat chal rahi thi ki achanak hi Nalini ki aankhe khul jaati hai aur vo turant uss singhasan se uth jaati hai aur apne dono haatho ko aasman ki taraf kar deti hai……
Elika: Nalini ka essa karte hi vo apni aankhe band karke khudko aur uss Danav ko vaha se lekar usse kaafi dhur jakar khadi ho jaati hai…..
Tabhi aasman se ek aag ka gola jo dikhne mei hi laal aur peeli roshni ka nahi bulki bilkul kaali roshni ka tha aur usmei se neeli aag ki lapte nikal rahi thi….. Vo gola aakar siddha Nalini ko lagta hai aur vo uske lagte hai uss vatavaran mei ek behad jor ki dard aur peeda ki awaj gunj jaati hai…… Nailini uss gola ka lagta hi dard se chikhne lagti hai…. Uske chikhne ki awaj iss prakar tej thi ki ya awaj sansar ka har kone mei sunayi di jaa rahi thi……
Ya vahi awaj hai jo Willy aur Iszy na bhi suni thi jisse sun Willy khidki mei aa gaya tha aur aasman mei dekhna laga tha….
Dusri taraf uss gola ka dard se tadapte hua Nalini ka charo taraf ek behad bade aur behad jada adhik kaale colour ka ghera banane laga tha jiske ander Nalini dikhna band ho gayi thi….. Vo ghera har par aur har shan ka saath aur bhi adhik kaala hota jaa raha tha aur saath hi ucha bhi…..
Danav: Ya kya ho raha hai aur Maharani kaha gayi…..???
Elika: Jo ho raha hai aur jo tum dekh rahe ho bus vahi sab sahi hai…. Nalini uske ander hi hai aur jaldi hi nikal kar bahar bhi aayegi jab ghera khatam ho jayega….. Par tum apne ko shant rakho aur galti se bhi uss ghera ki taraf kadam mat bada dena varna tum bhi uss ghera mei sama jaoge…… Jiske baad kya hoga ya koi nahi janta hai…..
Karib 10 minute tak vo ghera badhta raha aur kaala hota raha, aur aasman ki taraf badh raha tha….. fir achanak hi vo saara ghera jamin se khatam hota hota aasman mei ek jagah ikhata hone laga aur fir teji se aakar Nalini ka sharir mei sama gaya…..
Nalini: Uss kaale ghera ka khudmei samate hi uski aankhe ek shan ka liya kaali hui aur fir turant hi samanye ho gayi aur vo bilkul shant ho gayi aur uss jagah ho rahi sabhi ghatnaye bhi shant ho gayi…..
Nalini: Sab shant hota hi usne apne haatho ko aage karke apni iss duniya mei jitni bhi buri aatmaye thi usne unn sabhi ko kaid kar diya aur jitni bhi achi aatmaye thi iss duniya ki unhe na sirf kaid se azad kiya bulki unke upar hua sabhi julm ki peeda se unhe mukt kar diya….
Sabhi saaf aatmaye ek baar firse behad prasan ho gayi aur saath hi sabhi ka sabhi na Nalini ka behad aabhar bhi kiya….. Kuch der apne logo ka bich rahe kar Nalini Elika aur uss Danav ka pass pahuch gayi……
Nalini: Did mujhe aakhir mei vo vapas mil gaya…..
Elika: Uski hakdar tum hi ho aur humesha tum hi rahogi…. Vo tumhai milna hi tha ya baat toh tumhai Maa na vachan hi diya tha……(Yaha ek baat clear kar raha hu, Maa ka matlab Elika ki Maa nahi bulki Shubham ki Maa se hai…..)
Nalini: Vaise mei aapko kuch batau….???
Elika: Batao…..
Nalini: Aapn isse kahe rahi thi na ki ya uss ghera mei fas jaata toh vaha se iska malik bhi isse nahi nikal sakta tha….. Par ab essa nahi hai….. Shubham ab uss duniya se pal bhar mei nikal sakta hai……
Elika: Kya…..????? Iske maltab uski vo White Energy bhi azad ho gayi hai jisse black energy se kaid kiya hua tha…..
Nalini: Ha Didi…. Tabhi toh unhe safeed Pankh bhi mil gaye hai……
Elika: iska matlab subha youdh ka maidan mei jisne sab kuch pal bhar mei khatam kiya tha vo koi aur nahi bulki Shubham hi tha….
Nalini: Ha….
Iske baad inke bich ka kuch kuch baate hui jinka jikar aage hoga……
Ab chalte hai Imosopher ka pass…… Nalini ka chikhne ki awaj Imosopher ki duniya mei bhi saaf sunayi di gayi thi…… Toh dekhta hai uska kaisa reaction raheta hai……
Imosopher: Jaise hi uski duniya mei iss chikh ki awaj sunayi padi uske muh se apne aap nikal gaya…… Nalini…..
Idhar Imosopher ka muh se Nimbasa ka naam nikala aur udhar uske samne ek Shaitan aa gaya…. Isse yaha par S1 kahe kar likhunga…..
S1: Ya Nalini kon hai mera aaka…..???
Imosopher: Tumhare aane ka samaye bhi behad kharab hai….. Tum aaye bhi toh tab jab humne naam liya toh bhi kiska Nalini ka….. Ya koi aur nahi bulki Nimbasa hai….
S1: Kya aap ussi Nimbasa ki baat kar rahe hai jisne apne safeed jaadu se ek essi kaali duniya banayi jismei yadi koi ek baar ghus jaaye toh vo kabhi bahar nahi nikal sakta hai…..
Imosopher: Bilkul sahi samjhe ho tum….. Ya vahi Nimbasa hai…..
S1: Par aapne toh usse maar diya tha na…….???
Imosopher: Ya baat bhi utni hi sach hai jitni ya ki uska firse janam hua hai…. Nimbasa ka kathin parishram aur uske tyag bhag na usse firse janam lena ka mauka diya hai…. Par pichli baar se iss baar ek antar hai….. Pichli baar jaha vo safeed jaadu ki behad takatwar jadugar thi vahi iss baar vo kaale jaadu ki behad takatwar jadugar hai….. Par abhi bhi uski soch vahi hai jo phele hua karti thi…..
Khair ya sab par tum jada mat socho….. Tumhai mera ek kaam karna hai islye meine tumhai bulaya hai…..
S1: Aadesh kare….???
Imosopher: Mei kuch samaye ki avdhi ka liya kahi jaa raha hu….. Vaha mujhe thoda samaye lagega tab tak tum apni iss duniya mei baith hawan karoge aur uss hawan kund mei apni sabhi shaktiya daal doge…. Yaad rahe iss hawan ka shuru hota hi na tum uth sakoge bina uske pura hua aur na hi koi dusra bich mei aa sakega…..
Tum iss hawan mei baithne se phele apne sabhi saathiyo ko ikhata karke humare iss rajye ki sabhi seemao par bhej dena aur unhe kahena ki jab tak tum unhe aadesh nahi doge koi apni jagah se kahi nahi jayega….. Fir cahaiye koi shatru unhe maar hi de par unmei se koi bhi na jagah chodega aur na hi apne shastra ka istemaal karega……
S1: Jo aagya….. Jaisa aapne kaha hai mei sabhi ko samjha kar sabhi ko humari duniya ki seema par bhej deta hu chaaro dishao mei……
Imosopher: Thik hai….. Jao abhi ka liya tum…..
Iske baad S1 gayab ho jaata hai……
Imosopher: Apni aankhe band karta hai…… Draco mujhe tumhari jarurat parso hogi…..
Draco: (Jo apne Mahal mei tha usse ya awaj sunayi deti hai….) Thik hai…..
Imosopher: Mujhe pata hai tum laut aaye ho Shubham aur iss baar phele se bhi jada khatarnak hokar aaye ho….. Chalo acha hai abhi tak toh tumhare saath khelna mei maza bhi nahi aa raha tha par ab aayega maza….. Ab tumhara samna hoga Imosopher ka asli roop se….
Bhai c he kya 2 sal purane update ko quote karke very nice likh rha he Abe itna hi faltu time he to ludoo khel le teri wagah se kitne logo ne thread open kiya hoga c and M and C moron
Pichle update tak aapne dekha ki kaise Willy Iszy ko apne se judi baate batata hai aur saath hi vo usse Shubham ka baare mei bhi bata deta hai ki vo vapas apni kaali takat lekar laut aaya hai par saath hi vo usse ya bhi samjha batata hai ki vo iss waqt behad dhur hai sabhi ki pahuch se…. Vo iss waqt essi jagah hai jaha koi nahi usse dhund sakta hai….. Idhar Nalini aur Elika jo Ghost World mei tha vaha Nalini ko kuch powers uss jagah ka singhasan par baithne ka saath hi milti hai….. Nalini jisko sabhi log Nimbasa ka naam se jada jante hai sabhi ko iss baat ka pata chal jaata hai ki Nimbasa vapas laut aayi hai….. Imosopher ko Nimbasa ka aane ka pata chal jaata hai aur saath hi usse ya bhi pata chal jaata hai ki Shubham bhi vapas laut aaya hai….. Vo apne hi ek Shaitan jisse hum S1 kaheta hai usko bulata hai aur usse sab kuch baate samjha deta hai…..
Ab aage….
Iszy: Willy ya kya hai aur koi itna bhayanak tarah se kaise chikh sakta hai…..???
Willy: Ya chikh iss baat ka sandesh de rahi hai ki iss duniya mei ab hum jaise aam logo ka samaye khatam ho gaya hai…..
Iszy: Kya….???? Kya matlab hai tumhara…..???
Willy: Iss chikh ka matlab hai iss duniya ka sabhi vo jadugar jinke marne ka baad bhi unka naam ka prabhav iss duniya mei chalta tha aur jinhone iss duniya mei kayi essa karnamei kiya hai aur essi shaktiya hassil ki hai jinka thod sirf unke mukable ka hi jadugar ka pass ho sakta hai….. Mera aur tumhare jaise logo ki prajati ko vo apni aankho ka ek ishare se khatam kar sakte hai essi takat ka maliko ka iss sansaar mei punah aagman ho gaya hai……
Iszy Willy tu mujhe dara raha hai…. Saaf saaf bolna…..???
Willy: Usko dekh muskurata hai….. Iszy ya chikh jiski hai uska naam hai Nimbasa urf Nalini….. Nimbasa ya naam iss sansaar ka unn Mahan aur sabse khaas jadugaro ka saath liya jaata hai jinhone iss sansaar mei apni mehanat aur lagan se kuch essa hassil kiya hai jiska thod iss sansaar mei namumkin ka barabar hai……
Nimbasa vaise toh ya ek behad samanye duniya ki behad samanye ladki hua karti thi par ek mahan rishi ka aakhri samaye mei jab unhe aakhri kuch bunde paani ki cahaiye thi uss samaye Nimbasa na hi unn rishi ko paani pilaya….. Rishni na uss ladki ka man mei jhak kar dekha toh paaya ki uss ladki ka dil behad komal aur behad saaf hai…. Bus yahi baat unhe pasand aa gayi aur unhone marne se phele apne jeevan ki sabhi arjit shaktiya aur unn sabhi se upar unki khator tapasya se arjit unka gyan sab kuch unhone uss ladki ko de diya…..
Unhone uske sar par haath fer usse Elika ka pass jaane ko kaha aur unke pran chale gaye…. Nimbasa na unn Rishi ka sharir ko jamin mei ek jaga dafna diya aur uss jamin ka char taraf usne behad sunadar aur khubsurat phool laga diya…… Nimbasa na unke samne apne haath jod unhe dhanyawad diya jo bhi unhone usse diya aur uske baad apni aankhe band kiya hi Elika ko yaad kiya…..
Elika jisse Rishi ki maut ka pata chal gaya tha usse unki urja se aaye sandesh ko samajh vo turant uss jagah pahuch gayi jaha se sandesh bheja gaya tha aur vaha jab usne Nimbasa ko dekha toh usse samajh aaya ki Rishi na usse apna sab kuch de diya tha….. Elika na uss ladki ko apni choti bhen ka roop mei swikaar liya aur usse lekar apni duniya yaani Paristan chali gayi….
Paristan ko dekh Nimbasa behad khush hui par usse jada usse ek pariwar ka sneha mila jisse uski khushi ka koi thikana nahi tha…. Elika aur Maharani na Nimbasa ki shiksha shuru karwa di…. Kyunki Nimbasa mei Rishi ki shaktiya thi issi vajah se uske ander dhyan aur kisi bhi jiss par purn dhyan dena ki kala bhi thi…. Usne behad jaldi vo sab sikh liya jo uske jeevan mei shaktiyo ka istemaal karne ka liya jaruri tha…. Jab usne sab jaruri baate sikh li uske baad toh vo kabhi nahi ruki aur bus unn jaruri baato ko dhyan rakh usne khudse hi nayi nayi chije sikhi aur karne lagi…. Waqt nikalta gaya aur Nimbasa ki shaktiya aur uska jaadu behad shaktishali hote gaye….. Par inn sabke bich usne kabhi bhi Elika aur Maharani ka saath kabhi essa vyavhaar nahi kiya ki unhe koi peeda pahuche bulki vo unn dono ka saath iss tarah raheti thi ki vo unki rakshak hai aur unko musibat se dhur rakhna uska ek maatr lakshaye tha…..
Ek din usne ek behad prachin jaadu ka baare mei Paristan ki kitabo mei pada….. Vo jaadu itna parachin aur iss tarah ka agyaat tha ki aaj tak iss duniya mei kabhi kisine usse na toh kiya tha aur na hi kabhi koi usse samajh saka tha…. Bus kitabo mei uske baare mei bataya gaya tha par logo ka maana tha ki essa jaadu kabhi hua hi nahi hai aur ya bus bakwas hai….. Nimbasa na jab uss jaadu ka baaremei sab padh liya tab usse laga ki nahi usse ya jaadu karna hai….. Usne kayi prayas kiya par vo safal nahi ho saki…. Apne asafal prayas se vo behad dukhi hui…. Par usne man mei vo baat abhi bhi thi ki usse vo karna hai….
Usne ek baar fir uss kitab ko padha jismei aakhir mei likha tha ki ki iss jaadu ko karne ka liya vyakti ka man, dimak aur uski sabhi urja na sirf sab ek honi cahaiye bulki uss vyakti ka dhyan ya concentration itna jada hona cahaiye ki yadi ko uske sharir ka aar paar talwar bhi nikal de toh usse vo mehsoos nahi ho aur uske sharir se uski aatma bhi uska saath na chod sake uski icha ka bina……
Ya baat padhne ka baad usne faisla kiya ki vo ek behad ekant jagah jayegi jaha koi nahi hoga usse pareshan karne vala aur islye usne Elika aur Maharani se aagya li aur vo chali gayi…. Usne Paristan ki purvi sima ki pahadiyo mei ek jaadu kiya aur uss jagah ko apne adhin kar liya jiski vajah se ab vaha na koi kabhi aa sakta tha aur na koi ander se bahar jaa sakta tha…..
Vaha pahuch usne ek baar fir book mei diya gaye sabhi nirdesho ka palan karna shuru kiya aur aakhir mei vo dhyan mei leen ho gayi….. Karib 28 saal ka samaye laga usse, inn 28 saalo mei uska dhyan bus ussi jaadu ki taraf tha jo vo karna cahati thi…. Inn 28 saalo mei ek shan ka liya bhi vo dhyan se vapas nahi lauti bus vo lagatar dhyan mei aur gherayi mei jati gayi jati gayi aur jati gayi….
Vo dhyan mei uss gherayi tak chali gayi ki jo jaadu vo karna cahati thi vo uss jaadu ka bicho bich khadi thi aur uske chaaro taraf vo jaadu ho chukka tha…. Dhere dhere uss jaadu ki urja usmei samane lagi aur saath hi samane lagi vo sabhi logi ki shaktiya jinhone uss jaadu ko karne ka behad prayas kiya par vo usmei kabhi safal nahi hua aur humesha ka liya iss jaadu mei kaid ho gaye tha……
Aakhir apne maksad mei kaamyab hokar hi vo maani aur fir vo vapas Paristan gayi…. Elika aur Maharani usse vapas vaha dekh behad khush hua par paristan mei ek dur desh ka Raja aur unke putr aaye tha jinhe Maharani na bulaya tha…. Unka putr na Nimbasa ka majak uda diya jismei usne ya kahe diya ki jiss jaadu ki vo baat kar rahi hai essa jadu iss sansaar mei kabhi nahi ho sakta hai…. Apni kadi mehanat ka apmaan usse bardash nahi hua aur usne apni aankhe band kar kuch shabd kahe aur pura paristan hi uske jaadu mei ghera gaya aur sabhi vaha pahuch gaye tha jo uska jaadu tha…..
Uss jaadu ko dekh sabhi ki aankhe fatti ki fatti rahe gayi aur sabhi ko dar ka saaye nag her liya…. Vahi Nimbasa par krodh behad hawi hone laga tha par Elika na samaye raheta usse shant kiya aur saath hi usse jaadu ko khatam kar unhe maaf karne ka liya bhi kaha…..
Nimbasa jiske liya Elika uski badi bhen thi vo usse mana nahi kar saki aur usne sabhi ko vapas apni duniya mei le aayi….. Idhar maharaj aur unke putr ka toh dar se behad bura haal tha aur vo log ulte pair laut gaye….. Ya baat aag ki tarah sansaar mei fail gayi aur Nimbasa ka naam sansaar ka sabse takatwar jaadugaro mei shumaar ho gaya……
Iszy: Willy vo jaadu konsa tha aur agar essa tha toh fir vo kaha chali gayi thi…..???
Willy: Iszy uss jaadu ko black hole kaheta hai….. Ek essi duniya jaha kewal andhera hi andhera hota hai, vaha prakash kabhi nahi pahuch paata hai aur iss vajah se aapko kabhi pata nahi chalta hai ki aap uss jagah se kaise bahar nikalo…. Black hole ek essa andhera ghera hai jismei jo bhi kabhi gaya hai laut kar nahi aaya hai bulki vo vaha jakar apni sabhi urja Nimbasa ko de deta hai…
Nimbasa kahi nahi gayi thi uski maut ho gayi thi….. Jiss samaye iss sansaar mei Satrangi Shaktiyo ko paane ka youdh prarambh hua tha uss waqt Elika par hua ek humle se usse bachane ka liya Nimbasa na apne sampurn shaktiyo ko ek kar Elika ka chaaro taraf ek suraksha kawach bana diya tha jisse takra kar vo humla toh bekaar ho gaya par saath hi Nimbasa ki sabhi shaktiya bhi usse chin gayi thi….. Bina shaktiyo ka Nimbasa fir samanye ho gayi aur uss youdh mei uski jaan chali gayi thi…..
Par apne bina swarth ka jeevan jeena ki vajah se Nimbasa ki ruhu ek sharir se nikal kar dusre sharir mei chali gayi aur fir vo vapas laut aayi Nalini bankar….. Nalini jo swarndesh ka Maharaj ki ek lauti putri hai vahi Nimbasa hai aur usko uski urja vapas Shubham na de di hai…. Uss youdh mei jo uski shaktiya samapt ho gayi thi unhi shaktiyo ka kuch kano se Maharani (Shubham Mom) na unhe vapas jeevit kar diya aur unhe Nimbasa ka punhe aagman ka liya aasman mei chupa diya…. Jiss din vo laut kar ghost world pahuchegi aur vaha apna rajye isthapit karegi bus uss din usse vo sabhi shaktiya vapas mil jaani thi aur essa hi hua hai aaj….. Ek baar fir Nimbasa ka aagman ka matlab hai achayi aur burayi ka bich ki jung ka aagas hone vala hai jismei sirf vahi log bhagedaar banega jinmei khaas baat hai…..
Iszy: Iska matlab hum sabhi…..
Willy: Bilkul Iszy….. Hum sab hiss youdh ka hissa nahi banega…… Tumhai yaad hai tumhare Pita na ek baar hum sabhi se tumhari shadi ka samaye kaha tha ki jab youdh ka samaye aayega tab sirf youdh achayi aur burayi ka bich hoga…. Iss duniya ki do maha shaktiyo ka bich hoga aur uss youdh mei hum jaise aam logo ka koi kaam nahi hoga….
Unka matlab yahi sab se tha…. Unka matlab yahi tha ki iss youdh mei bus duniya ki vo Maha shaktiya ladegi jo achayi aur burayi ki behad badi pratik hai…. Baaki sabhi iss youdh se dhur hi rahega….. Tum isse andaza laga lo ki iss youdh mei AS aur Mariana Madam jaise logo bhi shamil nahi ho sakega ………
Iszy: Iska matlab youdh mei jo bhi hoga vo apne aap mei ek behad uche darje ka log hoga…..
Willy: Bilkul Iszy unka darja aur unki kala kuch essi hogi jiske baare mei sirf sansaar mei logo na suna hoga par kabhi dekha nahi hoga…. Par iss youdh ka shuru hone mei abhi samaye hai…. Kyunki abhi dono taraf ka youdha pura nahi hua hai….. Iss youdh mei sab kuch daav par hoga achayi aur burayi ka….. Jo bhi harega vo sab kuch haar jayega……
Chaliye dosto inki baato ko yahi chod deta hai aur hum chalte hai ek din baad yaani parso ka samaye jab Imosopher na Draco ko bulaya tha madat ka liya…..
Imosopher: Vo aaj apni duniya se kahi jaane vala tha aur saath hi usne apni duniya mei ek hawan bhi karne ko kaha tha apne saath yaani S1 se….. Vo usse yaad karta hai toh turant hi S1 uske samne prakat ho jaata hai……
S1: Pranam Malik…..
Imosopher: Kya tumne apne sabhi aadmiyo ko sema par bhej diya hai aur saath hi unhe samjha diya hai na ki cahaiye kuch bhi ho jaaye vo sima se khudko na dhur karega aur na hi kisi tarah ka shastra uthayega…. Unhe bus sima par khade rahena hai aur kuch nahi karna hai……
S1: Ji malik, aapne jaisa mujhe karne ka liya kaha tha meine bilkul vaisa hi kar diya hai….. Meine sabhi ko sab kuch na sirf samjha diya hai bulki unhe ya bhi bata diya hai ki yadi kisine bhi galti kari toh unka sar unke dhad se turant alag ho jayega aur uski ruhu ko malik kaid karke behad tadpayega……
Imosopher: Behad ache S1…. Mujhe pata tha tum apne aadmiyo ko sambhal loge….. Aur kya tum hawan mei baithne ka liya tayar ho….???
S1: Jee malik mei hawan mei baithe ka liya tayar hu….. Mei apni sabhi urja ko uss hawan kund mei daal dunga……
Imosopher: Vo apna haath aage karta hai aur vaha ek hawan kund aa jata hai……
Imosopher: S1 tum iss kund ka aage baith jaao aur iss hawan kund ka samne se hilna nahi….. Ek samaye aayega jab ya kund apne aap jal uthega aur ussi samaye tumhai apni sabhi urja ko iss kund mei sama dena hai….. Iss kund se ek adrashya urja nikalegi jo dhere dhere sabhi taraf failne lagegi aur vo sab kuch apne giraft mei le legi jiski vajah se na koi ander se bahar aur na bahar se koi ander aa sakega……
Tumhare ya hawan mera vapas lautne ka saath hi khatam hoga aur agar ya tum iss hawan ko pura kar sake toh vapas aakar mei tumhai uphaar mei vo dunga jiski tumne kabhi kalpana bhi nahi kari hogi….. Par agar tumne koi bhi galti kari toh yaad rakhna tumhai vo saja milegi jiski bhi tumne kabhi kalpana nahi kari hogi……
S1: Malik mei aapko nirash nahi karunga….. Aapki icha anusaar hi ya hawan purn hoga aur aap iske purn hone par behad prasan bhi hoga ya mera wada hai aapse…..
Imosopher: Toh thik hai ab mei chalta hu….. Aur ya kahe kar vo gayab ho jaata hai aur vahi S1 bhi turant hawan ka samne jakar jamin par baith jaata hai……
Imosopher gayab hokar vaha pahuch jaata hai jaha se uska safar shuru hone vala tha….. Vo jab vaha pahuchta hai toh usse vaha Draco phele se hi maujood dikhta hai…..
Draco: Toh tum tayar ho Imosopher….???
Imosopher: Ha tayar toh hu par usse phele mujhe tumhai kuch dena hai….. Ya kahe kar vo apne haath ko Draco ka sar par rakh deta hai….. Jaise hi uska haath sar par jaata hai uski aankhe puri kaali ho jaati hai aur uske haatho se behad adhik maatra mei kaali urja nikal rahi thi jo Draco ka sharir mei sama rahi thi….
Kuch der baad Imosopher apna haath uske sar se hata leta hai….. Haath ka hatte hi Draco Imosopher ko dekhna lagta hai……
Imosopher: Jada chaukne ki jarurat nahi hai….. Ya urja tumhai behad kaam aayegi aur islye ab tumhai behad kada parishram karna hai jisse tum inhe kaabu mei kar sako…. Yaad rahe Nimbasa laut aayi hai iska matlab saaf hai ki youdh ki tayari ho rahi hai aur uske liya jaruri hai ki hum bhi tayari shuru karde….
Aur kyunki iss youdh mei tum mera sabse pasandita saathi ho islye mei cahata hu ki tumhari urja aur shaktiya har pal ka saath badhti rahe iske liya jaruri hai tum meri di gayi shaktiyo ko na sirf kaabu karoge bulki aajse hi tum duniya ka rajyo ko jeetna ki caha chod bus har roj hawan karoge aur apne sharir ki band aur chupi urja ko jagrat karoge…..
Mera aane tak tumhai ya karna hoga aur yaad rahe iss baar ek chuk aur tumhara astitv Shubham se phele mei hi iss sansaar se khatam kar dunga….. Iss baat ko bhulna mat……
Draco: Aaj pheli baar usse Imosopher ka asli roop dikh raha tha aur usne bus apni moun swikrati de di…..
Imosopher: Vo apne gale se ek tabij nikalta hai aur usse vahi jamin par cho deta hai…….
Draco: Imosopher ka dekha dekhi vo bhi yahi karta hai……
Jaise hi dono tabij jamin par pahuchte hai dono ek dusre ki taraf khiche chale jaa rahe tha apne aap aur ek pal mei hi dono judkar ek ho gaye…… Unke ek hote hi vaha ki jamin kapne lagi aur tabhi unke samne ki jamin dhasne lagi aur jamin se nikal kar upar aane laga ek gate……
Uss gate ka purn roop se bahar aate hi vaha prakat ho gaye do kaale libas pahane hua do aadmi…..
Aadmi 1: Kon ho tum aur tumne iss duniya ko kyu bulaya hai….???
Imosopher: Mera naam Imosopher hai aur mei iss duniya mei jaana cahata hu…..
Aadmi 2: Tum jante ho na iss duniya mei job hi gaya hai uska lautna na mumkin hai…..
Imosopher: Janta hu par fir bhi mei jana cahata hu aur na sirf jana cahata hu bulki mei yaha se laut bhi aaunga…..
Aadmi 1: Toh thik hai….. Ander jaane ki chabi hume do…..
Imosopher: Vo uss ek hua tabij ko utha kar Aadmi 1 ka haath mei vo de deta hai…..
Aadmi 1: Vo iss tabiz ko apne haath mei rakh apni aankhe band karta hai aur kuch bolne lagta hai….. Fir achanak apni aankh kholta hai….. Apna haath do…..
Imosopher: Vo apna haath usse pakda deta hai….
Aadmi 1: Jaise hi vo Imosopher ka haath pakadta hai Imosopher dhere dhere uske uss haath mei samane lagta hai jiss haath mei vo tabiz pakde hua tha aur dekhta hi dekhta Imosopher gayab ho jaata hai aur vo tabiz bhi……
Aadmi 2: Vo apni aankhe band karta hai aur dekhta hi dekhta vo darwaja fir gayab ho jaata hai aur saath hi Draco bhi…..
Idhar Imosopher gayab hota hai aur udhar Imosopher ka Mahal mei jaha S1 baitha tha hawan ka samne achanak hi uss hawan ki aag jal uthti hai….. Hawan ki jalti aag ko dekh S1 turant apni sabhi urja ko apne haath mei ikhata karta hai aur usse uss hawan kund mei daal deta hai……
Hawan kund mei unn kaali takato ka pahuchte hi uss kund ki agni behad tej jalne lagti hai aur dhere dhere vo neeli hone lagti hai….. Dekhta hi dekhta jab vo purn roop se Neeli ho jaati hai toh usmei se kuch kuch neeli roshni sabhi dishayo mei failne lagti hai aur idhar vo S1 apni aankhe band kiya uss hawan ka aage baitha tha aur vo hawan kund ki agni lagatar uss S1 ki urja ko uske sharir se chus rahi thi…… S1 kamzor hota jaa raha tha par fir bhi vo bilkul vahi jama baitha tha……
Chaliye dosto aaj yahi rukte hai aur kal ka update mei dekhiya aage hota kya hai……??? Till then see ya and bye….