If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
Pichle update tak aapne dekha ki Shubam apne dusre lakshay par jata hai aur jaha vo ek nayi chij sikhta hai, jiske jariye vo ab agni ki uss usham taap ko bhi seha sakta hai jiske ander Loha bhi shan bhar mei pighal jaaye, saath hi usse dusre rahasiye ka bhi pata chal gaya…. Jiske baad Shubham pahucha Land of River and Mountain…..
Ab Aage….
Shubham: Jaise hi mei Land of River and Mountain gaya saari jagah jaise bhukamp aa gaya ho, vahi mujhe apne ander badi bechaini si lag rahi thi, mujhe essa lag raha tha jaise mere sharir ka kuch hissa mujhce alag hua ho gaya hai tha aaj vo mujhe vapas mil raha hai…… Mai ya samajh gaya tha ki ho na ho mujhe essa Neele Dragon ki vajah se hi mehsoos ho raha hai…. Meine apni aankhe band karke, thoda intezar karo tumse milne jaldi hi aaunga…..
Meri baat khatam hone ki deri thi ki aasman mei tej bijali kadakne lagi aur dekhte hi dekhte Land of River and Mountain mei behad hi tej baarish hone lagi……. Vaha maujood sabhi log bina mausam ki baarish ko dekh achambe mei pad gaye, kyunki aaj tak vaha kabhi bina mausam barish nahi hui thi…..
Sabhi Mantri Mahal mei Maharaj ka samne iss samaye par upasthit tha, aur apne Rajye mei aayi itni badi vipada se rajye ko azad kaise karaya jaaye iski manthana kar rahe tha, iss bina mausam ki barish ki vajah se Raja aur Iszy dono ka cehare khil gaye…. Vahi sabhi Mantri unhe dekh kar samajhne ki koshish karne lage ki Raja aur Rajkumari kis baat par itna prasan ho rahe hai…..???
Mantri: Maharaj aap iss bina mausam ki barish ko dekh khush ho rahe hai, jabki humare rajye mei aajse phele kabhi essa nahi hua……???
Maharaj: Hum jante hai Mantri ji, par humari khushi ka karan dusra hai….. Ya bin mausam ki barsat iss baat ka sandesh de rahi hai ki humare Rajye ki khoyi hui sundarta aur khyati ek baar punha laut aayegi, kyunki humari dharti par aaj Rakshak aa gaye hai jo hume iss sankat se mukti dilayega…… Ya bin mausam ki barish Neela Dragon na ussi khushi mei kari hai…..
Mantri: Kya Rakshak, par Maharaj…..
Maharaj: Mantri ji, aap bus jaaye aur Rakshak ka swagat ki tayari kare….. Aaj hum cahate hai ki saare nagar vale humari duniya ka Rakshak ko na sirf dekh le, saath hi saath unke man mei jo ek chote se kone mei Imosopher ka bhaye jagah banana laga hai usse bhi humesha humesha ka liye samapt kar diya jaaye…..
Mantri: Jaisi aapki aagya….
Idhar mei api jagah se Mahal ki disha mei aage bad gaya, kyunki Mahal mujhc jada fasle par nahi tha aur mei apni aankho se Mahal ko dekh sakta tha….. Neela Unicorn ki madat se Mehal pahuchne mei sirf itna hi samaye laga jitna ki ek baar aankh band karke kholna mei….. Jaise hi mei Mahal ka mukhya darwaje par pahucha toh mere samne Iszy aur uska Pita dono hi tha aur unke saath mere sabhi dost aur Mahal ka sabhi Mantri bhi…..
Maharaj: Rakshak aapka iss choti si nagari mei swagat hai….. Maaf kijiyega aapke swagat ka liya iss samaye humare pass kuch nahi hai…….
Shubham: Pranam Maharaj, aap essa kahe kar mujhe sharminda kar rahe hai…. Kyunki iss khubsurat aur atyant lubhane wali duniya ki raksha ka dayatv mera hi tha jisse mei sahi se nibha nahi saka, par aapse aur aapke sabhi logo se wada hai mera ki unhe unki vahi sundar aur man ko bhaa jaane vali duniya ek baar firse unhe milegi….
Maharaj: Huma iss baat par koi sandhaye nahi hai Rakshak…. Aap ander aaye…..
Shubham: Abhi nahi Maharaj, abhi iska samaye nahi hai…. Abhi jisne bulaya hai usse milu aur jiska aakhri samaye aa gaya hai usse bhi thodi mulakat ho jaaye uske baad hum sabhi behad aram se aapke athiti satkar ka anand lega….. Abhi mujhe aagya de….
Iszy: Hum bhi chalega saath mei…..
Maharaj: Nahi Beta, vaha sir inke alawa koi kadam nahi rakh sakta hai…. Aur aap saath gaye toh ho sakta hai Neela Dragon inhe kabhi mila hi nahi…. Iske chalte inhe akele hi jaana hoga….. Rakshak hum sabhi aapka intezar karega…. Aap phele jo jaruri hai usse purn kare….
Shubham: Aankh band karne ka saath hi vo vaha se gayab ho gaya aur pahuch gaya uss pahadi ka pass jaha se usse aage jana tha….. Kya hua dost tum aage kyu nahi chal rahe ho….???
Unicorn: Mei iss pahadi par nahi jaa sakta hu…. Yaha se har kadam tumko hi aage badana hai…. Jaisa Maharaj na kaha tha, Neela Dragon sirf tumse milna cahata hai aur uski icha ka virudh koi usse nahi mil sakta hai iss sansar mei…..
Shubham: Hmmmm, toh Neela Dragon ki icha ka sabhi samaan karte hai, par essa kyu…..???
Awaj: Hahahaha, iss duniya mei koi kissi ka samaan nahi karta hai…. Iss duniya mei sabhi log darte hai aur usse hi izzat deta hai…Neela Dragon se ya saari duniya darti hai aur issi vajah se uski icha ko sabhi mante hai…..
Shubham: Toh tumhara kahane ka matlab hai ki iss duniya mei jo log mujhe samaan deta hai, vo islye kyunki mei takatwar hu…. Islye nahi kyunki mei acha hu….
Awaj: Bilkul sahi, tum khud socho jab tak school mei tumhare saathiyo ka alawa kissi ko ya pata nahi chala tha ki tum kya ho kon tumhai apne barabar samajhta tha…. Essa iss duniya mei humesha se hota aaya hai…. Log Bhagwan aur Shaitan dono ka samne mastak tikate hai par apne lalach aur unke dar se, na ki unke samaan mei….
Log bhagwan ko bhi toh laalach hi deta hai, mera ya kaam karde mei tujhe itne ka Prasad chadaunga, mei tera mandir banwa dunga and etc etc…. Agar tum sache man se bhagwan ko mante ho toh phir cahaye tumhai dukh mila ya fir khushi par tum dono hi paristhiti mei bhagwan se bharosa nahi khoge…. Essa hi shaitan ka saath hai….Ha par kuch essa bhi hota hai, jo iss kaarye ko puri nishtha se karte hai aur vo sache aur ache hota hai…..
Shubham: Sach mei yaar, tum kon ho mei nahi janta par tumhari soch sach mei behad unda hai…. Tum behad acha aur saaf sochte ho…..
Awaj: Chalo ab samaye mat kharab karo aur Neela Dragon ki pahadi par kadam rakho….
Shubham: Meine jaise hi uss pahadi par apne kadam rakhe uske saath hi kahi dhur se udhta hua mera armour aa gaya aur mere sharir par apne aap aakar set ho gaya…. Usse dekh mera cehare ki muskurahat bad gayi, kyunki ya baat mujhe awaj na bata di thi ki armor mere sharir par apne aap aa jayega…..
Kuch dhur chalte hi mei gayab ho gaya aur pahuch gaya uss pahadi mei bani ek gufa mei…. Ek essi gufa jiske ander jaane ka rasta itna chota ki uske ander se chiti ka jaane mei pareshani ho, aur ander se itni badi ki dekhna vala bus dekhta rahe par samajh na sake ki iska anth kaha hai….
Gufa ka ander jab meine charo taraf dekha toh vaha par sabhi taraf bus Kaali aur Neeli Roshni faili hui thi… Ya roshni aur kuch nahi Neela Dragon ka duwara banaya gaya do bhaag tha uss gufa ka ander….. Jaha ek taraf uski White Energy ki shaktiya thi aur dusri taraf uski Black Energy ki shaktiya thi…..
Abhi mei unhe dekh raha tha ki achanak mere samne ek Behad Vishal Dragon na jaane kaha se udhta hua aaya…. Usse dekh ek baar mei chauka aur picha hua…. Vo Dragon mera samne aakar utra aur usne apna rooj badal kar ek insaan ka kar liya….
Dragon: Shubham mujhe sadiyo se tumhara hi intezar tha…. Tumhari Maa na meri jaan bacha kar mujhpar jo ehsaan kiya tha, uske chalte ab samaye aa gaya hai ki mei unki aakhri icha ko puri karu aur uske baad apne jeevan ko tyaag saku….
Shubham:Kya meri Maa na aapke samne apna praan diya tha….
Dragon: Ha inhi haatho mei tumhari Maa na apni jaan di thi… Vo behad hi nek dil thi….. Jab saari duniya dragon ko khatam kar rahi thi, uss samaye tumhari Maa na mujhe ek chota se bache mei badal diya aur khudka saath rakha…. Jab mei bacha bana uske baad unhone mujhe vahi samaan diya jo ek Maa apne beta ko deti hai… Har samaye mere aage piche ghumti thi aur mujhe khush rakha karti thi…..
Shubham: Sabhi meri Maa Trisha aur Nabila ka liya yahi kahate hai….
Dragon: Shubham tumhai abhi gyan ki jarurat, tumhai jaldi se jaldi ek safar par jaana hoga……
Shubham: Kaisa safar…..???
Dragon: Iss safar ki shuruvat mei tum apna pichla sab bhul jaoge….. Agar tum aakhir tak pahuch gaye toh tumhai sab yaad aayega aur agar nahi toh tum kabhi bhi apna pichla nahi yaad kar sakoge….
Shubham: Vaha mujhe kya milega essa….??
Dragon: Yaade jo tumhare liya behad mehatpurn hai, jisse tumhai gyan milega…… Meri ek baat humesha yaad rakhna, kabhi ya mat sochna ki tum sabse mahir ho aur tumhai kuch sikhne ki jarurat nahi…… Humesha sikhne ki laalsa rakhna aur humesha gyan dena vala ka samne aadar se apna sir jhukana…. Kyunki koi na koi gyan kabhi na kabhi tumhare jeevan mei kaam jarur aayega…..
Shubham: Mei iss baat ko humesha yaad rakhunga….
Dragon: Ab samaye aa gaya hai jo tumhara hai usse tumhai vapas saupne ka…… Aur ya kaha kar Dragon ek baar firse apne vikral roop mei aa jata hai aur apne muh se aag mere upar barsane lagta hai…. Uske muh se nikali aag mujhe koi hani pahucha rahi thi, par uske alawa uss pahad aur vaha ki har chij puri tarah uss aag ki vajah se pigal rahi thi…. Pahad ka bade bade chatan aur vaha ka paid paude sab kuch khatam ho raha tha…. Sab kuch uss aag se nikali garmi se hi pighal raha tha…..
Vahi dusri taraf Mahal mei maujood sabhi log mere jaane ka baad se hi uss disha mei hi dekh rahe tha jaha ka liya mei nikala tha…. Unhone mujhe jaate nahi dekha kyunki mei Unicorn ki madat se palak jhapakte hi vaha pahuch gaya tha, par unhe ya pata tha ki mei kis disha mei hu…..
Vo sabhi bade dhyan se uss taraf dekh rahe tha…. Kaafi der baad unhe vaha se behad hi adhik maatra mei dhua nikalta dikha aur vaha ki sabhi chije khatam hote dikhi, jiski vajah se vaha maujood kuch ko meri chinta satane lagi….
Iszy: Pitaji ya kya ho raha hai….??? Vo puri jagah toh jal rahi hai aur vaha ki sabhi chije bhi pighal rahi hai….???
Maharaj: Beta ya sab Dragon ki vajah se hai…. Dragon apni saari shaktiya Rakshak ko de raha hai, jiske chalte uski urja ki garmi ki vajah se vo saari jagah pighal rahi hai….
Willy: Toh usse Shubham ko kuch nuksaan nahi hoga kya….??
Maharaj: Nahi Rajkumar Wilson, unke armor uss saare taap ko apne ander samet lega, aur uss taap se hi armor ko vo shakti milegi aur vo puri tarah Rakshak ka sharir ka abhin hissa ban jaayega jisse unse juda nahi kiya jaa sakega….
Uss Armor par duniya ka behad bade bade jaadugaro ka humlo ka asar hoga uska alawa koi usse kabhi bhed nahi sakega…. Aap aur mei kitni bhi koshish karle, par humara koi humla unhe chu nahi sakega…..
Iszy: Iska matlab ab ladayi ka samaye nikat aa gaya hai…. Hum sabhi ko uske liya behad mehanat karni padegi….
Maharaj: Muskura jaate hai….
Iszy: Pitaji aap muskura kyu rahe hai….???
Maharaj: Beta jiss yodh ki tum baat kar rahi ho na uss yodh mei hum sabhi mei se koi kissi kaam ka nahi hai…. Vo yodh do behad Mahan shaktiyo ka bich hoga…. Unn do shaktiyo ka samne hum dhool ka uss karn ka saman hai jo humesha hawa mei raheta hai, par khudki chaap chodne mei saksham nahi hota hai jab tak usse hawa apni gati aur shakti pradan nahi karde, par fir bhi vo akela kuch nahi kar sakta hai, usse uss samaye bhi apne jaise aneko karn ki jarurat padhti hai….
Bus uss yodh mei bhi Shubham aur Imosopher naam ki do behad badi shaktiya aapas mei ladegi…. Hum sab bus darshak ka saman vo najara dekhega aur yahi prathna karega ki achayi ki burayi par jeet ho…. Sach ki jhut par….
Unki baat khatam hota hi jaha Willy ka dosto ka muh khul kar latak gaya, vahi Elika Alvace aur AS bus muskura diya….
AS: Maharaj aaj bhi aapke vyaktitv mei koi badlaav nahi aaya hai…. Jab aap shiksha grahan kar rahe tha tab bhi aapki soch humesha sabhi se alag thi aur aaj bhi……. Aapne sadgi ka saath ya baat kahe di ki yodh mei sab daav par laga hoga, par nuksaan sirf juva khelna vale ki jeet haar par nahi uska karm par hoga….
Willy: AS par hum Shubham ko akele nahi ladne dega, hum uska saath aakhri samaye tak dega….
Elika: Willy tum Maharaj ki baat sunkar samjhe nahi, Maharaj na hume dhool kaha hai aur Shubham ko hawa…. Shubham agar hum sabhi ko apni urja dega toh hum uske liya ladega aur agar nahi toh iska matlab hai ki vo cahata hai ki hum uski madat yodh mei na rahe kar kare…. Hum har haal mei uske saath hoga….
Baat yaha khatam jarur ho gayi thi, par Willy ka man mei kuch khatak gaya tha….. Usse Elika aur Maharaj ka javab mei behad antar dikh gaya tha…. Vo ab bus ya jaana cahata tha ki aakhir essa kya hai jo baaki kissi ko nahi bataya jaa raha hai aur kyu….??? Iss kyu ka javab ko jaane ka liya Willy aage kya kya karega ya dekhna padega, par usse phele hum log vapas chalte hai Shubham ka pass…..
Kaafi samaye tak Dragon mere upar apni shakti ko chodta raha aur aakhir mei vo ek baar firse aam insaan ka roop mei badal gaya….
Dragon: Tumhara armor ab tayar hai, ab tumhare upar kissi tarah ka chote mote jaadu aur hathiyaro ka asar nahi hoga…. Ab jab tak behad takatwar humla nahi hota tumhare upar tab tak tumhare iss armor ko koi bhed nahi sakega….
Shubham: Mei kuch puchu….???
Dragon: Ha….
Shubham: ABhi abhi tumne mujhe kaha tha ki jo tumhara hai usse tumhai dena ka samaye aa gaya hai, iska kya matlab tha…. Kyunki tumhari sabhi shakti meri kaise ho sakti hai, ya toh tumhari thi jo galti se tumhai mil gayi thi….
Dragon: Nahi meri Shaktiya White aur Black Dragon ka khatam hota hi samapt ho gayi thi…. Mujhe ya takat tumhari Maa na di thi aur mujhe iss duniya mei chupne ko kaha tha, taaki sahi samaye par tum aur mei mil sake aur mei tumhai jo tumhara hai vo de saku….
Shubham: Par sabhi log toh tumhare baare mei kuch aur hi kaheta hai….
Dragon: Kyunki unhe sach kabhi nahi bataya gaya tha…. Tumne iss duniya aur iske raaj ka baare mei aaj tak jo bhi pada aur suna hai vo sab kuch sach nahi hai…. Tumhai sach ko dhundna hoga aur apni aankhe humesha khol kar rakhni hogi kyunki yaha sab tumhari jaan ka piche pade hai….
Shubham: Par….
Dragon: Ab kuch nahi bol sakunga mera samaye khatam hua…. Tum bhi jao, ya jagah humesha ka liya khatam ho gayi hai…. Aur iske saath Dragon vahi par raakh mei badal jaata hai aur saath hi mei bhi gayab ho jaata hu….
Jaise hi mei piche mud kar dekhta hu, toh bus dekhta rahe jaata hu kyunki vaha koi pahad ya usse judi koi chij nahi bachi thi, bus ab vo puri jagah ek dum khaali thi…..
Unicorn: Dost humare pass samaye nahi hai, hume jaldi hi uss Kida ko khatam karna hoga varna ya jagah humesha ka liya barbad ho jayegi….
Shubham: Ha dost, par uske phele mujhe koi jagah cahaiye jaha shanti ho aur mei kuch der dhyan laga saku….
Unicorn: Ya lo, hum pahuch gaye…. Iss jagah koi nahi hai, na Hawa aur na hi koi aur chij jo tumhai pareshan kare ya tumhare dhyan mei baadha bane….
Shubham: Shukriya…. Aur uske baad mei dhyan mei baith gaya…. Mere dhyan mei jaane ka karan tha ki Neela Dragon ki energy armor ka saath mei apne ander mehsoos kar raha tha aur vo urja behad jada halchal kar rahi thi…. Vo bilkul bhi shant nahi thi, jiski vajah se unhe shant karne ka liya mujhe dhyan mei jaana pada….
Shubham: Dhyan mei jaane ka baad mujhe apne ander bahut kuch dikh raha tha…. Iss baar mere ander mujhe aneko tasveer dikh rahi thi jo ki bilkul dhundhali thi, vo saaf nahi thi….Mei unhe nahi dekh paa raha tha, par tabhi unn tasveero ka bich mei se mujhe chaar aankhe dikhi…..
Do behad safed thi aur do behad Laal… Mei unn dono aankho ko nahi dekh paa raha tha, kyunki unko dekhne se hi mujhe apne ander dard uth raha tha…. Vo dono aankhe bus mujhe ghur rahi thi, par mei dono ko ek jhalak dekhta aur uske baad apni aankhe niche kar leta kyunki uss ek jhalak maatr se mujhe itna dard ho raha tha ki mujhe essa lag raha tha jaise koi mujhe ander khich raha hai aur sharir ka maas uss khichaav se dhere dhere fatne laga hai…. Dard har nikalte pal ka saath mujhe aur bhi jada mehsoos ho raha tha…..
Awaj: Unn dono aankho ki taraf mat dekho, ya samaye unn aankho ka samna karne ka nahi hai…. Tumhai bus apne ander Neela Dragon ko dhundna hai, unn aankho ka samne jhuk kar man ki gherayi mei jao…. Unka samna karna ka samaye jald aayega…..
Shubham: Awaj ki baat maan kar mei bilkul unke samne apna sir jhuka diya…. Jaise hi meine sar jhukaya vo aankhe dhere dhere mujhc dhur hona lagi aur mei apne hi ander aage badne laga…. Jab mei apna aakhir mei pahuch gaya toh mujhe vaha do chij dikhi…. Ek tha Neela Dragon aur dusri chij thi vaha par ek safed aur laal roshni ka pinjare mei kaid ek aadmi jo bus mujhe har samaye dekha jaa raha tha, aur meri aankhe bhi usse nahi hat rahi thi…. Vo mujhe kuch apna sa mehsoos ho raha tha, mei uski taraf kadam badhane laga tha ki
Awaj: Usko chodo aur Neela Dragon ko chu kar dhyan ko khatam karo…. Ya samaye Neela Dragon ki shaktiyo ko shant karne ka hai….
Shubham: Par mujhe vo apna sa lag raha hai, mujhe usse kaid se azad karana hoga….
Awaj: Shubham abhi nahi, jaldi Neela Dragon ko chu kar uski shakti shant karo varna ya planet tumhari urja ka bhar se khatam ho jaayega…..
Shubham: Meine awaj ki baat maan kar jaise hi Dragon ko touch kara, Dragon ka heart nikal kar ek locket ka roop mei mera gale mei aa gaya aur mera dhyan tut gya…..
Awaj: Iss locket ka matlab hai Dragon ki urja tumhari hui…. Ab vo jaisa tum cahaoge vaisa hi karegi…. AB vapas chalo….
Shubham: Ha chalo…. Unicorn hume chalna hoga…..
Unicorn: Kaha…??
Shubham: Ary Land of River and Mountain aur kaha….
Unicorn: Hasne lagta hai, tumhara dhyan se nikalte hi hum vaha pahuch gaye tha….
Shubham: Acha toh tum ab mujhe satane lage ho, ruko iss kida se nipat lu fir tumhai dekhta hu……
Unicorn: Hahaahaha, tum mujhe nahi pakad sakte…..
Shubham: Vo tumhai pata chal jaayega…. Abhi Mahal chalo….
Hum Mahal pahuche jaha sabhi maujood tha….
Shubham: Maharaj aapko apne sabhi logo ka saath ya jagah chodkar jaana hoga…..
Maharaj: Hum samjhe nahi….
Shubham: Maharaj aapko aapke logo ka saath ya jagah chodni hogi jab tak ya jagah puri tarah aapki icha ka anuroop nahi ho jaati hai….
Maharaj: Par hum log jaayega kaha….?? Itna logo ka ek saath ek jagah par jaana sambhav nahi hai…. Koi rajye kiska liya tayar nahi hoga…..
Shubham: Sahi kaha, par agar mei aapko vaha chod du jaha kissi rajye ka raaj nahi aur na hi aapko aur kissi aur ko vaha rahene mei koi dikat hogi….
Maharaj: Fir hume koi dikat nahi hai….
Shubham: Thik hai fir aur ya kaha kar mei apni aankhe band karta hu aur apne haath ko aage karta hu, jiski vajah se vaha ek darwaja ban jaata hai….. Maharaj aapko aur aapke sabhi logo ko iss darwaje se dusri jagah jaana hai….. Jaise hi sab kuch sahi hoga ya darwaja khul jaayega aur aap vapas apne logo ka saath yaha aa sakte hai….
Maharaj: Thik hai…. Chaliye sabhi hume dusri duniya mei jaana hai…… Ek ek karke sabhi log vaha se chale gaye…. Ab sirf vaha par AS, Alvace, Elika aur mera dost bache tha….
Iszy: Tune kya socha hai iske liya…..???
Shubham: Batata hu, par usse phele tum sabhi ko ek baar firse yaha se dhur jaana hoga…. Mera essa kaheta hi gate ek baar firse khula aur ek tej Hawa ka saath vo sab uss gate se paar ho gaye aur gate ek baar firse band ho gaya….. Kyunki ya kaam mujhe akela hi karna tha….
Shubham: Ab samaye aa gaya hai ki Draco tumhare iss shakti ka samapan ka….. Aur iske saath hi mera hoth hila aur dekhte hi dekhte uss puri jagah ko ek safaid chadar na dhak diya…. Ya chadar koi samane chij nahi thi…. Iska istemaal se vatavaran mei maujood Hawa aur nami ko bandh diya jaata hai, jiski vajah se uss jagah ki koi bhi jeev jantu nahi jee sakta hai…. Logo ko saas lena ka liya hawa nahi milti hai.....
Iss najare ko mera alawa koi aur bhi dekh raha tha, ya tha Draco aur Zanabiya….
Zanabiya: Ya kya kar raha hai…. Pagal toh nahi ho gaya hai na ya….
Draco: Zanabiya usse pata hai ki Kide ko kaise maare…. Iss chadar ki vajah se Nami kam hone lagegi aur Kida Kamjor hone lagega kyunki sadi hui chijo se hi usse apni takat milti hai aur saath hi usse saas lena ka liya apne vastavik roop mei aana hoga aur usse sirf uske vastavik roop mei hi maara jaa sakta hai….
Zanabiya: Iska matlab ki humara ya humla bhi bekar jaayega….???
Draco: Ha bhi aur na bhi…..
Zanabiya: Matlab….???
Draco: Dekhti jao, sab samajh aa jayega…..
Vahi dusri tarah Kida hawa mei se hoti nami ki kami ki vajah se pareshan hone laga aur uss jagah ka saare paani ko vo phele hi nashth kar chukka tha aur ab koi essi jagah nahi bachi thi jaha se vo apne ko takat de saka, jiski vajah se usse apne asli roop mei aana pada…..
Kida: Kon ho tum aur kyu mera maarg mei aa rahe ho…. Mei tumhai bhi sada dunga….
SHubham: Mei vo hu jisne teri maut ka farman banaya hai….
Kida: Hahahahahah, tujhe lagta hai pata nahi mei amar hu….. Mujhe marne vala iss duniya mei koi nahi hai….
Shubham: Mujhe essa nahi lagta hai…. Aur ya kaha kar mei Teer Kaman ko nikal leta hu, jo meine Roop Nagar ka yaha se hassil kiya tha….
Kida: Uss Teer Kaman ko dekh uske hosh ud jaate hai…..
Shubham: Kya hua ab koi dialog nahi maarega aur na hi tujhe hassi aa rahi hai….
Kida: Tujhe ya kaise mila….. Iska istemaal karne vala aur uski shakti humesha humesha ka liya khatam kardi thi mera malik na…..
Shubham: Ya sawal jab mei Draco ko tere pass bhejunga tab usse puch lena….. Par filhal tera samaye khatam…. Aur ya kaha kar mei humla kar deta hu…. Mera humla karte hi teer teji se jakar usse lagta hai aur vo vahi dhua dhua ho jaata hai….
Vo dhua dhere dhere upar jaane lagta hai, par fir achanak se vo ek teer ka roop lekar teji se aakar mujhe lagta hai…. Jiski vajah se mujhe jhatka lagta hai, par mei firse khudko sambhal leta hu…..
Vahi dusri taraf Zanabiya aur Draco dono dekh rahe tha…..Jaise hi teer mujhe lagta hai Draco khushi se hasne lagta hai…..
Draco: Hahahahahaha….. Ab hume koi nahi maar sakta hai…. Ab humara iss duniya par raaj hoga….
Zanabiya: Ya kya hua, ya teer kya tha aur tum itna khush kyu ho…. Shubham abhi jinda hai….
Draco: Meri Jaan ya khushi ka hi samaye hai…..
Draco: Ya Kida mar jarur gaya hai, par vo abhi bhi jinda hai…. Ya teer jo laga hai uska matlab yahi hai ki vo Shubham ka sharir mei ghus gaya hai aur vo uske sharir ko ander se sadane lagega….. Ab agar usse isse khudko bachana hai toh usse Bhakshak banana padega ya fir uss Shakti ko dhundna padega jisne uss Kida ko Shakti di thi, par usse shakti ko gayab hua jamana ho gaya hai aur usse dhundna ka rasta kisiko nahi pata…. Aur ek baar Shubham Bhakshak ban gaya toh fir vo Bhakshak ka roop mei hume kabhi nahi maar sakega aur Bhakshak ko control vo kabhi nahi kar sakega….
Zanabiya: Maan gayi tu sabse bada kamina hai….. Aakhir kaar tuna usse apne jaal mei fasa hi liya….
Chaliye Dosto aaj yahi rukte hai aur aage dekhta hai ki kya sahi mei Draco na Shubham ko fasa liya hai ya fir Shubham ka pass isse bach nikalne ka koi tarika hai...... Jaane ka liya bane rahe aapki apni kahani par.....
Pichle update mei aapne dekha ki Shubham ko Land of River and Mountain se dragon se power milti hai, Shubham vaha ka kida ko samapt kar uss jagah ko uske aatank se bacha leta hai.....
Ab Aage....
Shubham: Uss Kida ka marne ka baad mei uss White chadar ko ek baar firse gayab kar deta hu, aur uske baad sabhi ko vapas unki duniya mei bula leta hu…. Sabhi vapas uss duniya mei aate hai, par kuch tha jo mujhe maarne ka irada se ghur rahe tha…..
Maharaj: Rakshak ya jagah toh phele jaisi hi hai, iske ander kuch bhi nahi badla hai…..
Shubham: Badla hai Maharaj…. Aapki pareshani khatam ho gayi hai, bus ek aakhri kaam baaki hai jiske liya mujhe Queen of Magical City ko bulana hai….
Aaliya: Par hum toh bina bulaye aa gaye hai…… Iss samaye Aaliya na Queen of Magical City ka shahi kapde pehane tha, jiski vajah se behad choti aur pyari lag rahi thi….
Maharaj: Queen of Magical City aapka humare desh mei swagat hai…. Aap humare nimantran par yaha aayi ya humare aur iss rajye ka liya badi khushi ki baat hai….
Aaliya: Pranam Maharaj, aapne hume bulaya ya humare liya behad badi baat hai….. Vaise bhi Magical City ka ithiaas mei aapke aur humare purvajo ka bich humesha se behad ghanisht sambandh rahe hai…. Hum aage bhi yahi sambandh lekar jaana cahaiyega….
Maharaj: Jee Jarur…..
Aaliya; Ha ab bolo kya kaam hai mujhc…..
Shubham: Ab apni Power of Creation ka use karke iss jagah ko phele jaisa kar do…
Aaliya: Par uske liya mujhe vo kaisa dikhta tha ya toh batao….
Shubham: Ha ruko…. Iszy humare haath pakad lo….
Iszy: Usne haath pakad liya…. Uske haath pakadte hi mere honth hilne lage jiski vajah se Iszy ka dimak mei jo image thi vo mere dimak mei dikh gayi aur vahi Aaliya ko bhi dikhne lagi…. Puri image ache se dekhne ka baad mei Iszy aur Aaliya alag hua…..
Aaliya: Humse kuch dhur jakar usne kuch mantr bole aur vo hawa mei udti chali gayi aur saath hi uske sharir se lagatar Green and Blue Energy nikalne lagi…. Ya Energy sabhi taraf failne lagi aur dhire dhire hi jo jagah puri tarah banzar ho gayi thi vo ek baar firse hari bhari ho gayi thi aur jo nadiya sukh chuki thi unke ander ek baar Paani ka bahav dekhne laga…
Land of River and Mountain ka sabhi log apne nagar ko vapas phele jaise hi sundar hota dekh behad khush hone lage…. Aaliya bhi apna kaam karke vapas normal ho gayi thi…. Par abhi bhi ek kaam baaki tha aur vo tha logo ka ghar jo kaafi jada buri halat mei tha iss samaye….
Shubham: Glimo kya tum yaha ka logo ka ghar ek baar firse puri tarah phele jaise kar sakte ho….
Glimo: Abhi karta hu…. Aur ya kaha kar usne ek chutki bajayi aur sabhi ka ghar bhi phele ki tarah hi ho gaye…..Ab uss jagah ka Maharaj, Iszy aur baaki sabhi nagar ka logo ki khushi ka koi thikana hi nahi raha…. Sabhi behad khush dikhayi de rahe tha…..
Maharaj: Rakshak, Queen of Magical City aur baaki aap sabhi ka behad behad dhanyawad…. Aap logo ki vajah se ek baar firse hume humara ghar rahene ka liya mil gaya…. Varna hume laga tha ki hum fir kabhi apne ghar ko essa nahi dekh sakega…..
Aaliya: Maharaj ya sab sochna chodiya aur abhi ya samaye khushi ka hai, kyunki aaj ek baar firse nagar phele jaisa ho gaya hai aur fir Rajkumari Isabella ka swayambar mei bhi keval 3 din hi shesh rahe gaye hai, jiske chalte aapko behad tayari bhi karni hai…. Issi liya aap hume ya sukhriya kahana chodiya aur baaki tayari kare…. Aur hume bhi aapki madat karne ka mauka de…..
Maharaj: Nahi nahi aapne phele hi behad madat kari hai, ab aap log humare nagar ka athiti satkaar ka anand le aur baaki sab kuch humare upar chod de…. Baki hum khudse kar lega…..
Maharaj: Mantri ji, sabhi ko Mahal mei lekar chaliye aur sabhi ka rahene ka ache se bandobast kariye…. Sabhi ko kissi bhi tarah ki pareshani nahi honi cahaiye…..
Hum sabhi ko vaha se sahi sawari mei bithaya gaya aur uske baad hume Mahal lekar jaya gaya…. Mahal mei Mantriji na AS, Alvace, Pilaso, Glimo sabhi ko niche ka kamre diye vahi hum sabhi dosto ko Iszy apne saath apne kamre juda kamro mei lekar chali gayi….
Iszy: Ya hisa Mahal ka sabse surakshit hissa hai…. Yaha meri icha ka bina koi nahi aata hai, islye yaha hum sabhi apni icha ka hissab se rahe sakte hai….
Elika: Aur na hi humari awaj kissi ko sunayi degi….. Meine iss jagah ko magically protect kar diya hai jiski vajah se humari yaha ki awaje koi nahi sun sakega aur kisi ka aane ki khabar hume mil jaayegi….
Siyam: Huma ya sab karne ki jarurat kaha hai par…. Hum konsa yaha koi secret baate karne vale hai….
Willy: Shayad karne vale hai…. Actually Siyam aur Shubham tum dono ka alawa baaki sabhi ko pata hai ki hum yaha essa secretly kyu mil rahe hai….
Elika: Shubham Iszy cahati hai ki swayambar mei yodh kala ka pradashan hoga…. Jo sabhi Rajkumar aayega unhe apna yodh kaushal ka unhar dikhana hoga……
Shubham: Apni baat aage badao….. Ya adhuri baat hui….
Nancy: Iszy cahati hai ki sabhi Rajkumar ka samne uski taraf se chunauti tum doge…. Unn sabhi ko ladna hoga tumse aur agar vo tumhai hara sake toh Iszy ki Shadi usse karwa di jaayegi….
Siyam: Par ya galat hoga na, mera matlab hai ki hum sabhi Rajkumar akele chodo ek saath milkar bhi Shubham ko hara nahi sakega…. Toh fir iss swayambar ka matlab hi kya raha…..
Shubham: Siyam ya baat abhi puri nahi hui hai….Ya sab bhumika bana kar baat kar rahe hai tukde mei jisse ya hume fasa rahe hai…. Inki baat puri hone do…..
Shubham: Ha tum log aage bolo….
Elika: Jab Siyam tumse ladega uss samaye tumhai Siyam se har kar usse jeetana hoga…. Taaki inn dono ki shadi mei kissi tarah ka bich mei rukawat nahi utpan ho….. Idhar Elika ki baat khatam hui udhar Siyam gusse mei khada ho gaya….
Siyam: Ya behuda baat tum sabhi ka dimak mei aayi kaise aur Willy meine kabhi nahi socha tha ki tum bhi iss ghatiya baat ka liya inka saath doge…. Ya jitna sach hai ki mei Iszy se behad pyar karta hu aur uske alawa shayad hi kissi se shadi kar saku, utna hi sach ya bhi hai ki mei iss tarah ki galat tarike se karayi hui pratiyogita ka hissa nahi banuga……
Agar Iszy aur mera Vivah hona likha hai toh fir vo jarur hoga aur agar nahi likha hai toh fir koi baat nahi…. Par apne maan samaan aur sabse badi baat khudki najar mei jhuk kar mei ya sab nahi kar sakta hu…. Mujhe maaf kardo, agar koi bhi dost Iszy ka liya lada toh swayambar mei bhaag nahi lunga…..
Shubham: Siyam mei tumse sehamat hu…. Yaar tum logo ka dimak kharab ho gaya hai kya….??? Elika Willy tum dono inhe rokne ki jagah inka saath de rahe ho…. Ek baar soch kar dekho agar kabhi galti se ya baat kissi ko pata chal gayi toh kya hoga…. Maharaj ka baaki raajyo ka samne maan samaan sab kuch khatam ho jayega, itne saalo se jiss insaan ka sar Imosopher apne napak irade se nahi jhuka saka uss insaan ka sar logo ka samne bina unki galti ka bhi jhuk jayega….
Siyam: Shubham mujhe ghar chod do, mei 3 din baad Pitaji aur Mataji ka saath hi aaunga….
Marium: Siyam suno toh…..
Siyam: Nahi Marium abhi nahi…. Mujhe abhi jaane do…. Shubham mei chalne ko tayar hu….
Shubham: Meine aankhe band kari aur hum dono Siyam ka Mahal ka bahar khade tha…..
Shubham: Siyam abhi nahi dost par vada raha aaj raat ka khana tumhare pariwar ka saath hi hoga….
Siyam: Koi baat nahi mei samajh sakta hu…. Par raat ka bhojan par tumhari pratiksha karunga….
Shubham: Siyam jo baate abhi hui hai unhe dilse mat lagana, tum jante ho Iszy na ya sab kuch bus islye kiya kyunki vo tumhai khona nahi cahati hai….. Tum jante ho apni Maa ko jaldi kho dena ka baad vo bachpan se hi kaise rahi hai…..
Siyam: Ha Shubham, tum chinta mat karo mei kuch galat nahi karunga…. Bus Iszy ka dhyan rakhna, 3 din baad mujhe shadi karni hai aur vo bhi ussi se…. Fir cahaiye kitni badi hi chunauti kyu na aa jaye….
Shubham: Hmmmm, chalta hu ab mei….
Iske baad Shubham ek baar firse Land of River and Mountain pahuch gaya siddha apne kamre mei, kyunki vo abhi behad thaka hua mehsoos kar raha tha aur usse aram ki jarurat thi, islye vo apne bed par aakar late gaya aur uski aankh lag gayi….
Uski nind kaafi samaye baad khuli apne kamre se nikal kar jab bahar ka haal dekha toh mera hosh udd gaye ki ya sab kaise hua, kyunki aajse phele mei kabhi itna nahi soya tha….Par fir mujhe laga ki Dragon powers ka baad mujhe thoda rest ki jarurat ki vajah se mujhe essa mehsoos hua hoga…. Islye meine uss baat ko vahi chod diya aur chal diya vapas Siyam ka Rajye….
Mai Mahal ka bahar abhi kadam hi rakhe tha ki vaha ka mausam badalne laga aur vaha Baraf baari hona lagi… Par vo behad hi samanye tarike se ho rahi thi… Meine phele kabhi essa baraf baari nahi dekhi thi…. Mujhe ya pata tha ki baraf baari hoti hai, par ya nahi pata tha ki vah jeevan bhi sambhav hota hai….
Khair mei aage bada toh darban na mujhe rok diya…..
Darban: Kon ho tum aur ander kaha jaa rahe ho….??
Shubham: Mei aapke Rajkumar ka dost hu aur unse milna aaya hu…. Unhone hi mujhe nimantaran diya hai, aap unse baat karke dekha….
Darban: Usne apne pass se na jaane kya nikala aur usse jor se baja diya…. Uski awaj behad hi sunder and mantramugdh karne vali thi….. Vo usse behad lambe samaye tak bajata raha….
Shubham: Jaise hi usne ya band kiya mera upar phoolo ki varsha hone lagi….. Mei uss varsha ko dekh raha tha ki itne mei mera piche behad se log aa gaye tha, jiske ander uss Rajye ka chote Bade sabhi tarah ka log tha aur sabhi apne niche ek pair par baithe tha aur unka sar jhuka hua tha…..
Vahi RajMahal se Maharaj, Unki Patni, Siyam ki dono choti Bhena aur Siyam apne Mahal ka Mantriyo aur Senapati ka saath aa gaya tha….. Mujhe vaha dekh Maharaj na bhi apna sar jhuka diya aur vo bhi apne ek pair par jamin par baith gaye aur unka dekha dekh unke Mahal se aaye sabhi log…..
Shubham: Ya sab kuch bahut jada lag raha tha mujhe….. Meine apni awaj ko tej karke sabhi se khade hone ko kaha tab kahi jakar vo sab khade hua…..
Maharaj: Rakshak aapka iss chota se Rajye mei swagat hai….
Shubham: Pranam Maharaj aapka behad sukhriya….. Par aap mujhc bade hai aur saath hi ek Maharaj bhi aapko iss prakar mera samne nahi jhukna cahaiye….
Maharaj: Rakshak ya sab aapke liya nahi aapke karye ka samaan hai…. Jo kaam aap kar rahe hai ya uske samaan ka liya hai…… Khair chodiya ya sab baate humari Praja aapse milna cahati thi, issi vajah se aaj sabhi log yaha upasthit hai….
Shubham: Apne haath aage kiya aur mera haatho se roshni nikal kar sabhi ka upar girne lagi…. Jaise Jaise roshni girne lagi sab log ka sharir tadapne lage aur sabhi ka sabhi vahi behosh hokar girne lage sirf Maharaj ka logo ko chod kar…..
Siyam: Ya sab kya hai…. Aur inn sabhi ko kya hua hai…..???
Shubham: Ya sab behosh ho gaye hai aur abhi firse kuch shan mei vapas uth jaayega…. Aur inhe behosh meine kiya hai….
Siyam: Kyu….???
Shubham: Kyunki ya sab Ramida naam ki bimari se grasit tha Siyam…. Aaj jab tumhai mei yaha chodna aaya tha uss samaye mujhe ya baat ka pata chala tha….
Siyam Sister 1: Par ya kaise bimari hai aur fir huma kyu nahi hui….???
Shubham: Ramida Machliyo ki ek prajati ka naam hai jo ki iss grah ka purv mei paayi jaati thi…. Purv mei ek behad hi vishaal kaaye Jalashaye hai jaha inki prajati raha karti thi…. Vo jalashaye purane jamane mei kabhi bhi istemaal nahi kiya jaata tha issi ki vajah se kyunki inn machliyo ka sharir se ek essa padharth nikalta hai jiske chalte vo samporn paani ko jaharila bana deta hai aur vo zeher dhire dhire karke insaan ka sharir ka har ang ko kharab karta hai aur aadmi tadap tadap kar marta hai…..
Tum sabhi ko ya Bimari islye nahi hui kyunki iss bimari ki dawa tumhai samaye par khane mei mila kar khilayi jaa rahi thi…. Rajye ka dhani logo se behad moti rakam lekar hi unhe ya dawa dee jaati thi sahi kaha na Mantri Ji meine….. Baaki jo nirdhan tha unhe ya dawa nahi mil rahi thi….
Sabhi log Mantri ko dekhna laga aur uske maathe se pasina chutne laga…. Ab bechara kahe bhi toh bhi kya kahe, kyunki uske samne khade insaan ko dekh usse samajh aa gaya tha ki vo jhut nahi bol sakta tha…..
Maharaj: Senapati isse kaal kothri mei daal do….. Isko saja subha darbar mei dega……
Senapati: Vo Mantri ko utha kar kaal kothri mei le gaye….
Idhar humari taraf bhi sabhi log dhere dhere karke uthna laga aur vo sabhi ab khudko behad acha mehsoos kar rahe tha…. Kuch log jo isse grasit tha unhone jab khudko thik paya toh vo samajh gaye ki ya sab kuch mera kiya hai, bus fir kya tha sabhi ka sar ek baar fir jhuk gaye aur mera dhanyawad karne laga….
Shubham: Aap sab khade ho jaaye…. Meine kuch anokha nahi kiya hai, ya mera kaam tha aur yahi meine kiya… Ab aap sabhi se neevadan hai ki aap sabhi apne apne ghar jaaye aur aaj ki dawat jo aap sabhi ka ghar par meri taraf se hai uska anand apne pariwar ka saath hasi khushi le…. Ya kaha kar meine ek baar firse haath aage kiya, kuch rays sabhi taraf nikal kar gayi aur sabhi jagah aaj sahai dawat ka intezam ho gaya….
Sabhi log ek baar firse mera samne sar jhuka kar chale gaye….
Maharaj: Aayie hum bhi ander chalte hai….
Shubham: Aap log chaliye, mei aur Siyam bus kuch shan mei vapas aate hai…. Ramida Machli ko vapas uska isthan pahucha kar aur saath hi aapke jalashaye ko fir se drust karke….
Maharaj: Jee jarur….
Iske baad mei aur Siyam vaha se gayab hua aur vaha pahuche jaha jalashaye tha….. Meine haath aage kiya toh Paani ki ek lehar uthi aur ussi mei Ramida Machli bhi aa gayi meine usse jaadu se vaha se hawa mei rok kar uske jalashaye mei jaha vo paayi jaati thi vahi pahucha diya…. Saath hi kuch rays meine unn paani mei bhi chodi jiski vajah se ya jal jo dushit ho gaya tha usse ek dum swach kar diya tha meine…..
Shubham: Chale….
Siyam: Bus itna samaye ka liya hi aaye tha kya yaha….??
Shubham: Tohh tujhe kya har jagah thrill cahaiye kya…. Thoda mera bhi soch bor ho jaata hu yaar mei ya thrill karke…. Ab shanti se chal chalte hai hum log…. Iske baad hum dono hi Mahal mei ghus gaye…. Jaha sabhi log baith kar humara hi intezar kar rahe tha….
Humare vaha pahuchne ka saath hi sabhi log khane ka liya baith gaye…. Khana behad hi laziz tha aur sabhi logo na usse behad hi chaav se khaya…. Usse badi baat Siyam ka Pariwar ka logo na behad aadar ka saath khana khilaya jo ki aur bhi jada dil khush kar gaya…. Khair Khana khane ka baad Maharaj aur baaki sabhi chale gaye apne apne kaksh mei aur rahe gaye mei aur Siyam….
Siyam: Iszy kaisi hai….???
Shubham: Khud hi puchle chalkar….
Siyam: Nahi yaar, ab mulakat swayambar mei hi hogi…..
Shubham: Acha toh fir mei bhi chalta hu…. Kisi se abhi mulakat karna jaruri hai toh usse mil leta hu….
Siyam: Thik hai…. Apna dhyan rakhna aur ya kaha kar vo gale lag gaya.
Shubham: Ary Ary tu bada bhavuk ho raha hai…. Koi baat hui hai kya….???
Siyam: Nahi yaar, bus essa hi man hua gale lagane ka toh laga liya….
Shubham: Chal chal nautanki….Chal chalta hu… Parso milta hai…. Aur ya kaha kar mei gayab ho gaya aur pahucha siddha Elika ka kamre mei, jo iss samaye samne bed par laiti thi, par uski aankhe ek dum khuli thi aur vo kuch soch rahi thi…. Mei bhi behad dhere se aur chup chap uske pass jakar lait gaya aur usse dekhna laga…. Mujhe usse essa dekhta hua apni 5 minute hi hua tha ki….
Elika: Essa kya dekh rahe ho… Isse phele kabhi nahi dekha hai kya….???
Shubham: Dekha toh hai, par iss tarah gehan chintan karte hua nahi….. Vaise tumhai kaise pata chala ki mei yaha aa gaya hu….
Elika: Iss baar vo bhi meri taraf ghumte hua, tabhi jab tum kamre mei aaye tha….
Shubham: Kuch bhi, agar tumhai phele hi pata chal gaya tha toh tum boli kyu nahi kuch….???
Elika: Kyunki mei uss samaye kuch soch rahi thi….
Shubham: Ab fasi tum…. Tum jab soch rahi thi toh tumhai ya kaise pata chala ki mei aaya hu….
Elika: Muskurate hua, mei nahi tum bhul gaye ho ki mei Paristan ki Rani hu aur usse bhi badi baat mera ander Satrangi Shakti hai, jiski vajah se mujhe har samaye ya aabhas ho jaata hai ki mera aas pass koi White Energy ya Black Energy hai ya nahi…. Aur fir tumhari Energy itni jada hai ki isse toh koi bhi mehsoos kar sakta hai….
Shubham: OOOohhh ha ya toh mei bhul hi gaya tha….
Elika: hmmm, khair ya sab chodo aur ya batao ki tum itni jaldi mei yaha kyu aaye ho…..???
Shubham: Ha aaya hu na…. Ek khaas mehmaan ka khatma karna hai…. Mujhe laga uska khatma karne mei tumhai maza jada aayega….
Elika: Kiski baat kar rahe ho…??
Shubham: Nicaroo…. Aaj Nicaroo aur unke logo se iss duniya ko azad kar deta hai…. Vaise bhi ab Sword of Destruction rahi nahi jiski rakhwali ka liya unhe rakha gaya tha…..
Elika: Hmm tum sahi kaha rahe ho…. Aur vaise bhi vo humare liya bich bich mei badha bankar aayega isse badiya hai ki uska khel yahi ek hi baar mei puri tarah se khatam kar diya jaaye….
Shubham: Toh fir der kis baat ki…. Chalo fir chalte hai aur ya kaha kar meine Elika ka haath pakada aur hum dono gayab hokar pahuch gaye Nicaroo ki duniya mei…..
Chaliya ab aapko inki duniya aur unse judi kuch jankari de deta hu….
Nicaroo vaise toh andhera ka samrajye ka ek behad chota aur mamuli sa piyada tha….. Iska aur iske logo ka kaam keval andhera ka aakao ka liya logo ko marne aur darane ka tha…. Meine jaisa phele bataya tha ki ya log Sword of Destruction ka rakhwale tha par kuch samaye phele inhone dhoka kiya aur Sword ko galat haatho mei dena ki koshish kari par ya kamiyab nahi ho saka aur islye inhe Magical City se nikal diya gaya….
Ab baat karu jaha ya raheta hai uss jagah ki toh baat ya hai ki ya andhera ki duniya ka log hai toh jaha ya log raheta hai vaha par chaaro taraf humesha ghor andhera hi andhera raheta hai..... Yaha suraj ki roshni nahi hoti hai aur sabhi taraf bus baraf hi baraf jami hui raheti hai…. Yaha ka tapman mei humesha thandak raheti hai….
Par iss jagah ki sabse badi khasiyat ya hai ki iss jagah par ek khaas podha paya jaata hai jo puri tarah se baraf ka hi hota hai…. Dekhna mei essa lagta hai ki koi kaanch ka podha hai par asal mei vo baraf se bana hota hai…. Iss Podha ki khasiyat ya hoti hai ki ya jiss banzar jamin ka ander milta hai ya uss banzar jamin ko puri tarah se upjay kar deta hai…..
Khair vapas kahani par aate hai…. Jaise hi hum Nicaroo ki duniya mei pahucha toh vaha ka mahool aur vaha ki tayari dekh hum behad khush hua….. Kyunki Nicaroo ka sabhi log hume jaha hum utare tha uske dono taraf khade mila…. Vaha ka sabhi logo ka sar jhuka hua tha….
Elika: Toh Nicaroo na humare aane ki puri tayari kar rakhi hai…. Chalo acha hai thodi samajhdari toh hai usmei….
Shubham: Kahe nahi sakte hai…. CHalo chalkar dekhta hai ki aakhir itna logo ko humare swagat mei khada karne ka udeshya kya hai…..
Hum dono chalte hua Nicaroo ka uss bhawan mei pahuch jaate hai jaha vo Darbar mei apne sabhi logo ka saath baitha tha….. Hume ander aate dekh Nicaroo apni jagah se khada ho gaya aur apne Singhasan se utar kar humare pass pahuch gaya…..
Nicaroo: Dhanye ho bhaag humare ki aap yaha aaye…..
Pichle update mei aapne dekha ki Siyam ka rajye mei aayi vipada ko khatam karke Shubham Elika ko saath lekar pahuch jaata hai Nicaroo ki duniya mei.....
Ab Aage.....
Shubham: Kya baat hai apni maut se phele tumhara dimak kharab ho gaya hai kya……???
Nicaroo: Hahahahaha tum mujhe kaise maroge shayad tum bhul gaye ho ki mujhe marne ka liya tumhai bhakshak banana padega kyunki mei White Light Source ka Dharak hu…… Aur agar tum bhakshak ban gaye toh fir tum vaise hi mera jaise ho jaoge toh fir mujhe marne ka khayal hi nahi rahega……
Yaha Nicaroo ki baat sun Elika aur Shubham dono hi ek dusre ko dekhna laga, do minute tak ek dusre ko dekhna ka baad dono jor jor se hasne laga…. Unn dono ko essa haste hua dekh Nicaroo aur uske darbar mei maujood sabhi log ek dum shant ho gaye aur unhe hi dekhna laga…..
Karib 5 minute tak essa hi haste rahe dono, uske baad Elika na badi mushkil se apni hassi ko roka…..
Elika: Tu kitna bewakuf hai Nicaroo…. Tujhe nahi lagta hai kya ki hum log yaha itni dhur teri duniya mei ya sapna lekar aaye hai ki hum tujhe maut ka ghat utar kar hi jaayega toh humne ya nahi jaana hoga ki tujhe kaise kaise khatam kiya jaa sakta hai…..
Khair koi baat nahi teri ya jigyasa mei jaldi hi khatam kar dungi ki hum tujhe kaise maarega, par usse phele jara mei tera logo ka saath ek game khel leti hu, tu jaa aur jakar uss Singhasan par baith jaa kyunki tera pass kuch hi pal baaki hai….. Apne aakhri samaye se phele tu ek aakhri khel dekh le…..
Nicaroo: Elika ki baat sun usse gussa toh behad aaya par vo kuch kar nahi saka, kyunki usse phele hi Shubham na usse utha kar ek baar firse uske Singhasan par baitha diya tha….
Elika: Shubham tu bhi apne liya achi jagah chun kar baith jaa…. Taaki mei khel ka niyam sabhi ko puri tarah se bata du, baad mei koi ya nahi kahe ki yaha kisi prakar ki beimani hui hai…..
Shubham: Elika ki baat sun mei chup chap jakar ek jagah dekh baith gaya…..
Elika: Toh chaliye ab game shuru karte hai….. Game bada hi simple hai….. Nicaroo mei sirf ek jaadu karungi, tumhari iss puri duniya mei jitna bhi log basa hai vo apni saari urja laga kar, cahaiye tum bhi uske ander shamil ho sakte ho mera jaadu ko rokna hoga…..
Agar unhone rok diya toh inaam swaroop unn sabhi ki jaan bach jaayegi aur agar essa nahi hua toh vo sab maare jaayega….. Thik hai Nicaroo jara mei bhi toh dekhu ki tumne apne logo ko kitna shaktishali banaya hai…..
NIcaroo: Huma manjur hai….
Elika: Ya hui na baat….. Toh fir shuru karte hai….. Essa kahe kar Elika na apne haath aage kiya aur uske haatho se ek safaid roshni nikalne lagi jo kuch dhur jaakar ek khali jagah mei ikhati hona lagi….. Dekhta hi dekhta ek behad bada gola uss energy ka ban gaya uss jagah….. Energy ka gola ka size dekh Elika ka cehare par ek muskaan aayi aur usne apne haath piche khich liya…..
Uske hatho ko piche khichte hi uss energy ball mei se thodi energy aasman mei jakar gayab ho gayi…. Sabhi bus dekh rahe tha ki aakhir Elika na kiya kya hai….. Abhi sabhi bus dekh hi rahe tha ki itni der mei hi aasman mei tej tej bijaliya kadakna lagi aur vahi uss jagah par behad tej hawa chalne…..
Hawa ki gati itni adhik thi ki jo bhi samne aaye vo usse apne saath uda rahi thi, chaaro taraf bus tej bijaliya aur hawa hi beha rahi thi…. Charo disha ka rukh keval aur keval Elika ka duwara choda gaye apni energy ball ki taraf hi tha, sabhi dishao se Hawa behati aur uss energy ball mei aakar vo khatam ho jaati….(Isse aap essa samjhe ki East ki hawa West ki taraf vahi West ki Hawa East ki taraf….. North ki South direction mei aur South ki North Direction mei….) Kul Milakar Elika ka duwara chodi gayi energy ek Kendra bindu tha jaha par sabhi hawa aakar ruk rahi thi….
Abhi sab uss bhayanak hawa ko rokna aur usse nijaat paane ki koshish kar hi rahe tha ki aasman mei kadakti bijaliya uss jagah par girne lagi, aur jo bhi unn bijaliyo ki chapat mei aa raha tha uska bachna namumkin tha…. Har taraf bus khauf ka manjar banane laga tha….. Vo sabhi log badi mehanat aur koshish kar rahe tha apne aapko iss humle se bachane ka liya, par ya unn sabke ek saath hone ka baad bhi na mumkin sat ha aur uska karan ek hi tha ki vo sab Elika ki energy ka aage kuch bhi nahi tha….
Duniya mei White Energy ka sabse bada Pratik maane jaane vali Pariyo ki Maharani thi vo aur iss vajah se uski thodi si energy ka mukabla karna bhi unke bus ka nahi tha..... Yaha Nicaroo ka log uss aafat se juj rahe tha, vahi Nicaroo apne Singhasan par behad aram se baitha tha jaise usse iss baat se koi farak nahi padh raha tha….. Vo bus vahi baithe baithe apne logo ki ya halat dekh raha tha jo ki kuch ajeeb sa lag raha tha…..
Karib 10 minute tak toh vo essa hi dekhta raha par uske baad usne apne haath aage kiya aur uske haath se rays nikali, jo siddha jakar Elika ka duwara chodi gayi Energy ball ka upar giri aur dekhta hi dekhta uska magic jo Hawa aur Bijaliyo ka tha vo khatam ho gaya…..
Nicaroo ka duwara essa hona par uske log behad khush ho gaye aur vo uski Jai Jai karne laga….
Nicaroo: Toh Maharani Paristan bus itna hi dum tha aapme…. Ya toh humari shakti ka ek chota se hisse hi ruk gaya…..
Elika: Nicaroo ki baat sun uske cehare par ek behad hi rahasyamei muskaan khil gayi….. Uss muskaan ko dekh mera saath saath vaha maujood har koi usse bus essa dekh raha tha jaise koi behad anokhi chij dekh li ho…..
Elika: Nicaroo mei sochti thi ki sirf tumhare log hi kam akal hai, par tum mei behad dimak hai islye tum inn logo ka upar raaj kar rahe ho, par aaj tumne mera maana ek shan mei hi galat sabit kar diya…. Tumne kahane se phele itna bhi nahi socha ki agar meine chunauti rakhi hai toh kuch toh socha hi hoga, kyunki mei tumhare logo ko essa hi toh chodna vali nahi hu….
Udhar dekho, jo tumhai khatam hota lag raha hai na uska ek naya roop dekhoge tum….. Abhi Elika na itna kaha tha ki ek baar firse Hawa aur Bijalli kadakna lagi aur vo bhi iss prakar ki vaha maujood har aadmi ander tak sehar gaya kyunki unka vage behad hi adhik tha, iss baar toh vo phele se bhi bada ho gaya tha aur pichli baar ek chij jo nahi hui thi ab vo bhi ho rahi thi aur vo thi Nicaroo ka logo ka chikhne aur chilane ki awaje….
Elika: Bewakuf mei ya baat achi tarah se janti thi ki inn sabhi ko mei ya koi aur nahi maar sakta hai, inhe agar mujhe marna hai toh inhi ki shakti ka istemaal karna hoga aur islye hi meine ya khel khela, mujhe pata tha tu josh mei apne hosh kho baithega, meri ya jo urja hai na ya na sirf teri bulki tera sabhi logo ki urja job hi iske upar istemaal ho rahi hai usse apne andar sokh rahi hai…..
Tumhari khudki buri urja isse aur bhi jada shakti de rahi hai aur ab issi ki vajah se na tu aur na hi tera koi bhi aadmi bach sakega…. Aur agar fir bhi maan lo bach gaya toh bhi uska jeevan itna bura hoga ki vo yahi duwa karega ki usse jinda chodna se acha hai ki maut hi mil jaaye…..
Idhar Elika ki baat khatam hui aur udhar dekhta hi dekhta Nicaroo ka sabhi log uss tej hawa mei udta hua Elika ka Energy ball mei samate jaa rahe tha aur sabhi ka bus chikhne aur chillane ki awaje aa rahi thi aur inhi sabhi ka bich agar koi bacha hua dikh jaaye toh uske upar aasman se giri bijali apna kehar dhaa rahi thi…..
Dekhta hi dekhta kuch hi shan ka ander Elika na uss pura ilake ko banzar bana diya, jaha par na koi banda tha aur na hi koi banda ki jaat, hum teeno ko chod kar….. Vaha bus mei ELika aur Nicaroo hi bache rahe gaye tha….. Elika ka Energy ball abhi bhi lagatar ussi tarah ghum raha tha…….
Nicaroo: Apne logo ki essi halat na usse ek shan ka liya ander se purn roop se dara diya tha, par fir bhi usne khudko sambhala aur hum dono ka samne khada ho gaya….. Ab intezar kis baat ka hai, mei marne ka liya tayar hu…..
Shubham: Itni bhi jaldi kya hai…..??? Marna toh tujhe hai hi, par usse phele mera sawal ka javab nahi dega…..
Nicaroo: Kaisa sawal…..???
Shubham: Vahi behad sadharan sa sawal….. Sword of Destruction ki rakhwali karte karte tuna uska khilaf hona ka faisla kyu kiya….???
Nicaroo: Mera sawal sun vo muskurane laga….. Mei janta tha ek na ek din tum mujhc ya sawal jarur puchoge…. Aaj jab tumne mujhc ya sawal pucha hai aur mei apne jeevan ka aakhri padav par hu jaha se mujhe pata hai ki aage mei bach kar kaise bhi nahi jaa sakta hu, toh mei tumhai ek essi chij deta hu jisse agar tumne apne jeevan mei kabhi suljha liya toh fir tumhai meri asliyat ka pata chal jaayega……
Usne apne haath aage kiya, toh uske haath mei ek red colour ka ball aa gaya…..
Nicaroo: Ya hai vo raaj jisse tumhai khud suljhana hai, yadi tum essa karne mei kamyab hua toh tumhai behad kuch samajh aayega…..Isse suljhane ki yukti tumhare janam ka samaye se hi judi hai, tumhare alawa isse koi nahi suljha sakta hai…..
Shubham: Meine Nicaroo ka duwara diya gaya ball apne pass rakh liya…. Usse chuta hi mujhe kuch ajeeb sa laga par phir bhi mei shant raha….
Nicaroo: Jaise hi meine usse ya ball liya vo khud vaha se gayab hokar uss Energy Ball ka pass pahuch gaya jisse Elika na banaya tha, uske ander usne apni saari energy daal khudko uske ander sama diya…. Jaise hi vo uske ander gaya Energy Ball behad tej tej ghumne laga par shan bhar ka ander hi vo ek dum shant ho gaya…..
Shubham: Mei Nicaroo ka duwara diya gaye iss ball aur uske duwara kiya gaya kaam dekh sochne par majbur ho gaya tha ki aakhir ya acha tha ya bura….. Mein abhi bhi bus yahi soch raha tha ki Nicaroo ki baat se essa kyu pratit hota hai ki Sword of Destruction mera liya behad buri hai…. Kuch toh hai jiska mujhe abhi pata nahi hai aur uske baare mei mujhe jald se jald jaana hoga….
Idhar mujhe apne khayalo mei khoya dekh Elika na kuch der toh intezar kiya, par uske baad usne hi mujhe apne khayalo se bahar nikal kar hakikat ki duniya mei vapas lautaya…..
Elika: Shubham iss Energy ball ko tumhai apne ander samana hoga…. Kyunki iske ander White aur Black dono tarah ki energy hai iski vajah se isse mei nahi apna sakti hu…. Tum dono energy ka dharak ho islye tumhai isko paane mei mushkil ka samna nahi karna padega….
Shubham: Ha thik hai…. Essa kaha kar meine apne haath aage kiya aur vo energy ball dhere dhere mera ander samane laga aur kuch minute mei hi vo puri tarah se gayab ho gaya….. Usko apne sharir mei jaate hi mujhe behad kamjori ka ehsaas hua…. Mujhe samajh nahi aa raha tha ki ya mera saath sab kya ho raha hai……
Elika: Shubham ka sharir ki kamjori ka ehsaas mujhe bhi hua aur mujhe ya jaan kar aur bhi jada shock laga kyunki Black aur White Energy dono ki energy ko sambhalne ka baad uske sharir mei essi choti choti energy ball ka koi asar hona hi nahi cahaiye…..
Elika: Shubham tumhai koi pareshani hai toh batao….??
Shubham: Elika mujhe samajh nahi aa raha hai, aaj din ka samaye se hi mujhe behad pareshani ho rahi hai…. Mei khudko behad kamjor mehsoos kar raha hu, jabse uss kida ko haraya hai mujhe apne ander har badhte pal ka saath behad jada kamjori mehsoos ho rahi hai….
Elika: Par essa kaise ho sakta hai…..??? Kya tumne uss kida ko marne ka liya apne black magic ka use kiya tha kya….???
Shubham: Nahi….. Usse marne aur harane ka liya mujhe kuch nahi karna pada…. Usse toh meine badi aasani se apne teer Kaman se hi maar dala tha….
Elika: Ho sakta hai tumhari Black Energy ka aazad hona ki vajah se tumhai koi pareshani ka samna karna pad raha ho…. Chalo chal kar rest karo…. Subha tak sab sahi ho jaayega…..
Iske baad Shubham aur Elika dono vaha se nikal gaye…..
Idhar Dharti par ek alag hi rayta faila hua tha…. Yaha Shubham ka dushman jinmei Imosopher ka khaas, Raja, aur ek agyat vyakti bhi shamil tha jo ki Shubham aur uske pariwar ko haani pahuchana cahate tha…. Iss samaye Raja aur Agyat vyakti dono hi saath tha aur dono hi Shubham ka ghar par maujood tha…. I
Raja: Ha toh batao tumne kya plan kiya hai….???
Agyat Aadmi: Plan behad simple hai, huma sabse phele Shubham ko hi raste se hatana hoga…. Par kyunki na vo dharti par ko jaadu kar sakta hai aur na hi tum….
Raja: Janta hu, ya sab uss Rishi ki vajah se hua hai…. Agar uss rishi na essa nahi kiya hota toh ya dharti ka niwasi humare gulam hota…. Na jaane ab kam vo bandhan tutega jiski vajah se hum yaha jaadu nahi kar sakte hai….
Agyat Aamdi: Tum galat soch rahe ho, hum nahi tum jaadu nahi kar sakte ho, mei kar sakta hu…. Islye Shubham ko khatam karne ka kaam mei hi karunga…. Mei uske dimak ko apne kabja mei karke usse vo karwaunga jo usne kabhi apne sapno mei bhi nahi socha hoga…..
Raja: Jo bhi karna hai jaldi karo, mujhc ab aur intezar nahi hota hai….
Tabhi vaha par vo aata hai Imosopher ka khaas, jisse dekh Raja ki aankhe badi ki badi hi rahe jaati hai, par essa hi kuch haal uss agyat aadmi ka bhi tha…… Vo bhi apne samne aaye aadmi ko dekh phele toh behad shock mei gaya par fir turant hi apne hosh sambhal kar vo apni jagah se khada hua aur uss aadmi ka samne sar jhuka kar baith gaya uske samaan mei…….
Raja: Gujral tum yaha kaise….??? Tumhai toh Shubham na uss din uss factory mei maar diya tha na…….???
Gujaral: Raja ki ya baat sun vo jor jor se hasne laga…… Bewakuf tujhe kya laga ki Gujaral ko maut dena itna aasan hai….. Mujhe marne ka liya na tera jaise hazaro bhi aa jaye toh bhi vo mera kuch nahi bigad sakte hai…..
Aagyat Aadmi: Malik aap yaha, meine aapko saari duniya mei dhunda par aapka koi pata hi nahi chala mujhe….
Gujaral: Kaha se pata chalta, uss rishi ki vajah se mei yahi fas kar rahe gaya…… Mei Shubham ko janam dena vali shakti ka picha karte karte yaha tak aaya tha, par jaise hi mei yaha aaya uss Rishi na yaha bandhan laga diya, jiski vajah se mei apni sabhi shaktiya yaha kho baitha aur mei yaha ek sadharan insaan ka roop mei jeena laga….
Gujaral: Par ya acha hua ki tu yaha aa gaya Kalarud…. Ab tu yaha ki khabar aaka ko pahucha sakta hai aur mei unke duwara unka koi bhi sandesh paa sakta hu…… Vaise mera malik (Imosopher) kaise hai….???
Agyat Aadmi: Malik aazad ho gaye hai aur ab phele se bhi jada shakti shali bhi….. Vo bus sahi samaye ka intezar kar rahe hai….
Gujaral: Thik hai, par ek baat meri kaan khol kar sunlo tum log….. Tum dono mei se koi bhi abhi Shubham ko koi nuksaan nahi pahuchayega….. Tum abhi sirf uske upar najar rakho……
Raja: Kyu….??? Huma usse jinda rakhne se koi fayda nahi hai….
Gujaral: Moti buddhi tujhe jitna kaha jaaye utna hi kar samjha na…… Iss samaye vo iss duniya ka uss bandhan ko khoj raha hai jiski vajah se humari shaktiya kaam nahi kar rahi hai…. Agar ek baar vo uss tak pahuchne mei kamyab ho gaya toh hum sabhi ki shaktiya vapas aa jayegi aur uske baad usse nuksaan pahuchane mei huma bilkul bhi pareshani ka samna nahi karna padega…. Islye jo meine kaha hai tum sabhi bus yahi karo…..
Idhar dusri taraf dharti par Shubham 5 bilkul man laga kar usse mila kaam ko pura karne mei laga hua tha…. Unse Mathira ka duwara diya gaye naksho aur khabro ka saath saath Professor Iyer ka duwara di gayi jaankari ko ikhata karke apni khoj shuru kari thi…. Vo sabhi baato ko aur phelu ko sochte hua aage bad raha tha aur issi vajah se vo kaafi samaye se apne ghar se dhur hai….. Usne apne ghar pa bata diya ki vo kisi research project ki vajah se kuch samaye ka lya bahar jaa raha hai iss vajah se vo ghar nahi aayega…. Uska research project aur kuch nahi uss bandhan tak pahuchna hi tha…..
Prof. Iyer ka Pita duwara batayi gayi jagah Shubham5 ko uske sehar se dhur Rajasthan ka ragistan mei le aayi thi….. Shubham5 ka liya ya jagah bilkul anokhi thi kyunki usne iss tarah ka registan phele kabhi nahi dekha tha…..
Usne uss registan mei kaafi samaye bitaya par usse jab kuch bhi nahi mila aur kuch samajh bhi nahi aaya ki vo aage kaise aur kaha bade, toh usne registan ka pass ka sehar mei hi therna ka socha….. Vo uss sehar mei rahe kar inn registano ka baare mei kuch baate jaane ka ichuk tha, issi vajah se sehar mei pahuchne ka kuch samaye baad hi vo idhar udhar logo se unn registan aur usse judi koi anokhi baato ka baare mei jaane ka liya nikal gaya…. Usse essi umeed thi ki jaldi hi usse essa kuch milega jo usse aage uske raste par badhne mei madat karega…… Essi hi soch lekar vo pahuch gaya uss sehar ki sabse purani library mei jaha itihaas ki kayi kitabe hai…. Unn kitabo mei se kuch kitabe lekar vo baith gaya uss registan ka baare mei jaane ka liya…..
Chaliya inhe yahi chodta hai aur hum chalte hai Land of River and Mountain par dekhta hai yaha ka raat mei kya haal hai….. Iss samaye yaha ka mehal mei sabhi log chain ki nind so rahe hai, Elika aur Shubham bhi Nicaroo ka khatma karke aa gaye tha aur apna apna kaksh mei iss samaye aaram kar rahe tha….
Tabhi achanak ek awaj hoti hai Willy ka kamre mei…. Kamre mei hui awaj ki vajah se Willy ki aankhe turant hi khul jaati hai aur vo ek dum se uth kar bed par baith jaata hai….. Uske haath uske pass mei pada dagger par majbooti se kas chukka tha, usse koi bhi dikhta toh uske haath se vo khanjar nikal kar siddha samne vale ko upar pahucha deta…..
Willy:Usne bed se utar kar idhar udhar dekha toh paya ki uske kamre ki kidki khuli hai uske dusri taraf dewar ka pass maujood maze par rakha glass niche gira hai…. Unse dhyan se dekha toh usse vaha par ek kagaz bhi roll kiya hua dikha…. Usse dekh uske man mei ek shanka na janam liya aur usne behad shigrata se usse uthaya aur usse khol kar padhne laga…..
Kagaz: Willy agar tum ya jaana cahate ho ki tumhara picha kon kar raha hai toh mujhe aakar iss Mehal ka dakshin disha mei maujood chat par milo….Vaha tak pahuchne ka nirdesh iss kagaz ki ulti taraf maujood hai…..
Willy: Kagaz par likhe sandesh ko padh Willy na turant hi apne Kaman ko uthaya aur saath hi apne dagger ko apne kapdo mei daal aur fauran hi kamre se bahar nikal gaya bina kuch aage ka socha aur na hi viprit paristhiti ka liya kuch socha……
Chaliye dosto dekhta hai ki aakhir humare dosto aage kya hota hai……Deri ka liya shama cahata hu par Pariwaar mei ek saath do logo ki behad seriously tabyat kharab hona ki vajah se mujhe vapas aane mei samaye lag gaya…..
Par ab aap logo ka saath juda rahunga aur koshish karunga har din update de saku…..
Pichle update tak aapne dekha ki Nicaroo ki maut ho gayi par jaane se phele usne ek ball uske pass chod diya jiske ander kuch raaj tha jinka pata uske khulne ka baad hi chalega, vahi Shubham ka upar humla kiya Kida na Shubham par apna asar dikhana shuru kar diya tha…. Dusri taraf dharti par Shubham 5 uss jagah ko dhundne ki koshish kar raha hai jiski vajah se Dharti par magic hona sambhav ho sake, vahi uske saare dushman ek hokar uske upar humla karne ki pratiksha mei hai…..
Ab Aage….
Willy: Usne jaise hi paper par padha, usne apne hathiyaar saath liya aur vo apne kamre se nikal gaya…. Vo apne kamre se bahar nikal kar, aur uss paper par bane raste ko follow karte hua aage bad raha tha, dakshin disha ki chat par pahuchne ka liya jo rasta kagaz dikha raha tha vo thik ussi ki taraf bade chala jaa raha tha…..
Karib 10 se 20 minute ki lagatar safar ka baad Willy Dakshin disha ki uss chat par pahuch saka jaha usse iss samaye pahuchna tha…… Jab vo chat par pahucha toh usne chaaro taraf dekha par usse vaha koi najar nahi aaya, usne apne haath apne Kaman par kas liya aur uska teer uske Kaman par chad chukka tha, bus deri thi toh usse chodne ki aur essa hota hi uska teer apne lakshay ki taraf bad jaata.....
Abhi Willy sabhi taraf dekh raha tha ki achanak uske piche usse kisi ka hona ki aahat hui, usne bina ek shan bekar kiya usne turant piche ghum uss aahat ki disha mei usne apna teer chala diya…. Teer uske Kaman se nikalta hua teeji se ek taraf bad gaya….
Teer jiss taraf bad raha tha uss taraf ek aurat khadi thi, jisne doodh ki tarah safeed kapde pehana hua tha….. Teer badi teji se uss taraf bad raha tha jisse dekh jaha uss aurat ka cehare par ek muskaan thi, vahi Willy ka cehare par dard….. Vo soch raha tha ki aakhir usne ya teer choda hi kyu, vo bus bina palke jhapkaye dekh raha tha aur saath hi dua kar raha tha ki uska teer uss aurat ko na lage…..
Par aaj tak essa hua hai kya ki teer apne lakshaye ka liya nikala ho aur uske bich mei koi badha na aayi ho toh vo apne lakshay tak nahi pahucha, thik essa hi ya teer bhi apne lakshay ki taraf bad raha tha, teer bilkul uss aurat ka karib pahuch gaya aur vo bus usse lagne hi vala tha ki ussi shan Willy ki aankhe band ho gayi kyunki vo iss pal ko nahi dekh sakta tha….
Vahi jaise hi Willy ki aankhe band hui, vo teer uss Mahila ko lagne se phele hi hawa mei hi ruk gaya, uss Mahila na apne haath aage badaye aur uss teer ko pakad kar uski disha ko badal diya aur khud apni jagah hi khadi rahi…. Ya sab Willy nahi dekh saka kyunki uski aankhe band thi….. Vo teer ek baar fir teji se aage bada aur jakar siddha uss Mahal ki deewar ka laga………
Idhar Willy na jab ek minute tak jab koi awaj nahi suni toh usne apni aankhe kholi samne ka drishya dekhna ka liya….. Usne samne jab dekha toh uski aankhe badi ho gayi aur cehare par hairani ka bhav chaa gaye….. Vo bus apalak uss drishaye ko dekh raha tha, kabhi vo samne khadi aurat ko dekh raha tha aur kabhi apne duwara choda gaye teer ko….
Aurat: Essa kya dekh rahe ho Willy....??
Willy: Maa mujhe maaf kardo, meine bina piche dekha hi teer chala diya, par aapne ya kaise kiya….???
Aurat: Iss tarah, aur unhone apne haath aage kiya aur vaha ek screen jaise chalne lagi jisse dekh Willy pura ka pura hil gaya….. Usne apni Maa ko iss prakar jaadu karte na kabhi dekha tha aur na hi usne suna tha ki uski Maa iss prakar ka jaadu kar sakti hai….
Willy: Usne jab sab dekh liya toh apni Maa ki taraf dekhna laga….. Usse samajh nahi aa raha tha ki vo kaha se baat shuru kare…..
Willy’s Mom: Willy mei janti hu tum kya puchna cahate ho, mei khud bhi tumse baat karne aayi hu…. Willy tumhai yaad hoga meine tumse kaha tha ki ek samaye essa aayega jab tumhai apni jindagi ka ek maksad milega aur uss maksad ka liya tumhai ek jagah jaana hoga jaha se tumhai apne maksad mei aage badne mei madat milegi…..
Willy: Ha Maa aapne kaha tha, aur aapne kaha tha ki aap mujhe sahi samaye par batayegi ki mujhe kya karna hoga….. Par Maa abhi toh mujhe mera maksad hi nahi mila hai….
Willy’s Mom: Beta sab kuch apni jagah ho raha hai, khair ab samaye aa gaya hai…. Willy ab meri baat dhyan se sunna mei tumhai jo abhi batane jaa rahi hu uske baare mei tum kisiko kabhi kuch nahi kahoge, fir cahaiye vo tumhare dost ho ya Marium… Tumhai ya baat sabhi se chupa kar rakhni hogi….
Willy: Maa aap essi konsi baat batane vali hai, aur usse phele aap mujhe ya bataye ki aapko ya jaadu kaha se aa gaya…. Meine toh suna tha ki aapko keval healing magic hi aata hai…..
Willy’s Mom: Beta mei tumhai vahi batane vali hu….. Mujhe ya sab kuch kayi saalo se aata hai bus antar ya hai ki iska istemaal mei sirf tab karti hu jab kisiko iski behad jarurat ho aur vo bhi essa ki koi mujhe pehachan na saka ki ya kisne kiya hai…. Kyunki ya shaktiya behad khaas hai jinke baare mei har kisiko bataya nahi jaa sakta hai…..
Meine ya kaha se sikhi toh ya ek purani ghatna hai….. Ya baat unn dino ki hai jab mei tumhare Pita ka saath shadi ka baad pheli baar shikar par gayi thi, uss samaye hum log shikar karne ka liya jiss jungle mei gaye tha vo jungle behad hi bada aur behad hi ghana, essa jungle meine apne pura jeevan mei phele kabhi nahi dekha tha…. Uss jungle mei shikar ki talash mei hum apne dal ka saath behad andar tak jaa pahuche….
Uss samaye huma uss ghane jungle mei shikar toh kahi nahi mila par huma mila ek kimti pathar, ek essa safeed chamakta hua pathar jisko dekh mei bus usmei hi kho gayi… Yahi haal tumhare Pita ka bhi tha, vo bhi usse dekha bus usmei hi kho gaye….. Kaafi samaye us pathar ko niharne ka baad tumhare Pita na vo pathar mujhe saup diya, jisse meine apne gale mei apni maala mei daal humesha apne pass rakh liya……
Par uss din se hi mujhe har raat ajeeb ajeeb se sapne aane laga, mujhe sapno mei har taraf safaid roshni dikhna lagi, aur uss roshni mei se ek aurat har roj nikal kar aati aur mujhe apne paas bulati aur apne saath chalne ko kaheti….. Har raat sapne mei vo mujhe ussi jungle mei lekar jaati jaha mujhe ya pathar mila tha….. Shuru ka kuch din toh meine isse najarandaaz kiya, par ek raat mera sapne mei uss aurat ki jagah ek dusri aurat aayi, jisse dekh mujhe essa ehsaas hua jaise ki mera man se saara bhoj utar gaya ho, mera jeevan ka lakshay mujhe mil gaya ho…..
Uss aurat na uss din sapne mei mujhe uss pathar aur usse judi kayi baate batayi aur saath usne mujhe ya bhi bataya ki ab mei cahakar bhi uss pathar se khudko alag nahi kar sakti hu….. Itna hi nahi meri aane vaali saari pidi bhi a buss pathar se jud chuki hai, jiski vajah se sabhi ko sahi samaye par taraf badna hoga jiss taraf mujhe aana hoga…….
Meine usse behad samjhaya ki mei essa nahi kar sakti, mei apne Pati se dhur nahi rahe sakti toh, usne mujhe iska ek upaye bataya aur vo upaye ya tha ki har raat vo mujhe lena aayegi, aur uske saath uski duniya mei jakar jo kuch bhi vo mujhe sikhana cahati hai mei vo sikhu aur uska abhyaas karu….. Aur har subha ki pheli kiran se phele vo mujhe vapas Elf chod degi…..
Kyunki meira pass koi dusra rasta nahi tha islye meine uski ya baat maan li, phir agle din hi vo mujhe lena aayi aur mei uske piche holi…. Jab hum vaha pahuche aur uske mujhe ya sab safeed shaktiyo ka istemaal sikhana shuru kiya toh mujhelaga ki mujhe yaha aakar hi ya sikhna cahaiye tha par shayad meine galti kardi thi aur ab mei usse badal nahi sakti thi….. Essa sikha meine ya sab kuch…..
Ab tumhari baari hai Willy tumhai ab unke jungle mei jaana hoga aur unke duwara di jaane vali shiksha ko na sirf grahan karna hoga, bulki tumhai vaha shapat bhi leni hogi…. Yaad rahe tumhai vaha apna purn man laga kar sab kuch sikhna hoga, kyunki ek bar jab tum sikhna shuru karoge uske baad tum jab tak vo tumhai jaane ki anumati nahi de deta tab tak tum vaha se aa nahi sakte ho…..
Willy: Thik hai Maa, mei jaldi hi chala jaaunga….. Vaise bhi abhi mujhe ya pata lagana hai ki aakhir vo kon hai jo humara picha kar raha hai, aur saath hi iss samaye Shubham aur baaki sabhi dosto ko mera saath ki jarurat hai…. Islye mei essa hi nahi jaa sakta hu….
Willy’s Mom: Tumhai abhi hi jaana hoga Willy…. Vaise bhi tum jisse dhundne ki koshish kar rahe ho vo ya rahi…… Unke essa kaheta hi Willy ka bagal mei ek mahila aur aa khadi hui…. Beta isse meine hi tumhare aur tumhare sabhi dosto ka upar najar rakhne ka liya bheja tha…. Ya bhi meri tarah unn sabhi mei se ek hai…..
Rahi baat Shubham aur tumhare dosto ki madat ki, toh Willy Shubham aur Elika apne aapmei vo do assem taqat ka bhandar hai ki unhe tumhari madat ki jarurat nahi hai….. Unka koi kuch nahi bigad sakta hai….. Par fir bhi mujhe pata hai tum nahi manoge islye mei tumhai ya vachan deti hu ki jab tak tum apni shiksha puri karke nahi lautoge uss samaye tak tumhare sabhi dost ka mei dhyan rakhungi…. Mei unki dhaal bankar humesha rahungi…..
Willy: Thik hai Maa, jaisa aap kahe…. Bus mei Marium se milkar aata hu….
Willy’s Mom: Nahi beta, tum bus abhi jaa rahe ho…. Meine tumse kaha na tum abhi kisiko kuch nahi bata sakte ho…. Ab tum bus yahi se jaa rahe ho…. Isse lekar jaao…. Unke essa kaheta hi uss dusri aurat na Willy ka haath pakda aur vo dono vaha se gayab ho gaye…..
Yaha dusri taraf Shubham aur Elika Nicaroo ka khatma karke jab vapas Land of River and Mountain aaye toh vaha ek behad bada surprise unka intezar kar raha tha….. Unn dono ka vaha pahuchte hi dhur aasman se kahi do bada bada haar aaye aur unke galo mei jaa dala…. Ya haar koi samanye phool ka haar nahi tha, bulki ya dono haar hadiyo ka tha….
Elika aur Shubham dono hi achanak hua iss prakar apne gale mei essa haar aane se ekdum chauka gaye…. Unhe samajhe hi nahi aaya ki ya sab kya ho raha hai…. Unhone idhar udhar dekha toh bhi unke kuch dikhayi nahi diya….. Tabhi vaha achanak samne koi aaya……
Elika: Apne samne khada shaks ko dekh uski aankhe badi badi ho gayi aur uske muh se sirf ek hi shabd nikala……. Imosopher….
Pichle update tak aapne dekha ki kaise Willy ki Mom na aakar Willy ko ek agyat jagah bhej diya hai, jaha usse behad kuch sikhna hai…. Vahi dusri taraf Shubham aur Elika jab donoNicaroo ko maar kar vapas aate hai toh unka samne prakat hota hai Imosopher…. Jisse dekh Elika shock ho jaati hai….
Ab Aage…
Elika: Apne samne khada shaks ko dekh uski aankhe badi badi ho gayi aur uske muh se sirf ek hi shabd nikala……. Imosopher…..
Shubham: Jaise hi meine Elika ka muh se Imosopher ka naam suna mei uski taraf dekhna laga, jaise puch raha hu ki kya yahi hai Imosopher jo mujhc dushmani rakhta hai…..
Imosopher: Ary wah Maharani Paristan, aaj itne saalo baad bhi aap na mera naam aur na hi mera cehara bhuli hai…. Iski umeed meine toh kabhi nahi kari thi, par fir bhi aapke iss pyar aur sneha ka mei shukra gujar hu….
Imosopher: Vaise mei yaha iss samaye asal mei tumse milne aaya tha Shubham….. Itne samaye se tum aur mei dono hi ek dusre ka dushman hai par na tumne kabhi mujhe dekha aur na hi meine tumhai….. Meine tumhai dekha bhi par aamne samne se dekhna ki baat hi kuch alag hoti hai…. Vaise samne se tumhai dekh behad khushi hui, aaj barso baad kisi essa ko dekha hai jisse dekh dil ko sukun mila hai…. Naa jaane tumhai dekh mujhe essa kyu mehsoos hota hai jaise mei apne chota bhai se mil raha hu…… Vo bhi bilkul tumhari hi tarah dikhta tha aur uska swabhav bhi bilkul tumhari tarah hi tha……
Par ek din na usse kya hua ki usne mujhc jhagda kar liya aur mujhc sabhi rishte khatam karke mujhe chod kar chala gya…. Uss din ka baad se meine usse kabhi nahi dekha….. Islye aaj tumhai dekh behad sukoon mila…..
Shubham: Imosopher, ho sakta hai ki meri shakal tumhare bhai se milti ho, par ya baat dhyan rakhna ki tumhare bhai aur mujhmei behad antar hai….. Vo kaali shakti ki duniya ka tha aur mei safaid shakti ki duniya….
Imosopher: Meri baat sunkar vo jor jor se hasne laga….. Pata hai meine yahi socha tha aur yahi sach bhi nikala…. Mujhe humesha se umeed thi ki AS aur baaki koi bhi tumhai kabhi sachayi se avgat nahi karayega aur yahi hua yaha bhi…. Inhone tumhai sachayi nahi batayi…..
Imosopher: Maharani Paristan aapne bhi apne pyar ko andhera mei rakh ya sab kaam kiya…. Aapse toh ya umeed nahi ki thi…… Meine toh socha tha ki aap apne pyar ko sab sach bata kar uske upar bharosa dikhayegi par aapne toh iske upar ek shan ka bhi bharosa nahi kiya…. Essa kyu kiya aapne….??
Elika: Imosopher ki baat sun uske cehare ka rang hi udd gaya… Usse samajh hi nahi aaya ki vo ab iss baat ka kya javab de….. Vo janti thi ki sabhi na Shubham se behad si baate chupaye rakhi hai aur issi vajah se agar aaj uske samne ya raaj khula toh behad kuch jo unhone soch rakha tha vo sab kuch badal jaane vala tha…..
Imosopher: Ary aap kuch kaheti kyu nahi Maharani Ji….. Javab dijiye, bataye ki aakhir aapne essa kyu kiya….???
Elika: Imosopher ki baat ka javab dena ki jagah usne apne haath aage kiya aur ek energy uske haatho se nikal kar Imosopher ki taraf bad gayi…..
Idhar Imosopher Elika duwara chodi gayi Energy ko dekh bus muskura diya…..
Imosopher: Jaise hi vo energy uske pass pahuchi usne usse apne haath mei hi kaid kar liya aur uske upar apni energy ka ek kan daal usse Elika ki taraf chod diya….. Jaha phele Elika ka duwara choda gaya energy ball White tha, vahi ab vo puri tarah black ho gaya tha……
Elika abhi usse bachne ka liya kuch karti usse phele hi vo energy ball aakar Elika ko laga…. Jiski vajah se Elika ko ek tej jhatka laga…. Uske sharir mei ek kapkapi si doudh gayi…….
Imosopher: Maharani itne saalo mei bhi aapmei kuch nahi badla hai…. Phele ka bhati hi aap aaj bhi musibat aur gusse mei apna niyantaran kho baithti hai….. Issi vajah se pichli baar bhi aapko maut ka samna karna pada tha aur aaj bhi aap essi paristhiti bana rahi hai, par koi nahi agle kuch samaye tak aapka sharir aapka na raha…. Ya aape isharo par kuch nahi karega aur na hi aap yaha se hil sakti hai…. Ab Aap hum dono ko disturb nahi kar sakti hai…..
Imosopher: Ha toh mei kya kahe raha tha Shubham….. Ha yaad aaya…. Chalo ek kaam karte hai mei hi tumhai apne Bhai ka vishaye mei phele kuch baate vistar se batata hu ki vo kaisa tha aur kya tha, uske baad mei tumhai bataunga ki kaise tumme aur usmei samanta hai…. Par usse phele hum dono baithne ka praband kardu, mujhe jada der khade rahena pasand nahi hai….
Ya kaha kar Imosopher apne haath aage karta hai, toh vaha jamin se hi do hadiyo ka kankal se bani hui do kursiya aa jaati hai…. Jismei ek par Imosopher baith jaaata hai….. Par mei khada hi raheta hu….
Imosopher: Ary yaar baith bhi jao, ya tumhai koi nuksaan nahi pahuchayegi aur na hi mei yaha tumhai kuch nuksaan pahuchane aaya hu…. Mei bus tumhai yaha kuch sach batane aaya hu jinka tumhai pata hona behad aavashak hai…..
Imosopher ki baat sunkar mei bhi uske bagal mei rakhi kankalo ki bani kursi par baith jaata hu…. Baithe ka baad mei uski taraf dekhta hu, toh vo mujhe khudki taraf dekhta hua hi najar aa raha tha….
Imosopher: Chalo ab mei tumhai apne bhai ka ek parichaye deta hu, ek essa parichaye jisko sunne ka baad tumhai samajh aayega ki mera bhai kaisa tha…. Iss duniya mei do shakti thi, ek thi safed aur ek thi kaali…. Duniya mei logo ka liya safed shakti achayi ka pratik thi, vahi kaali shakti burayi ka pratik thi….Iss duniya ka logo mei kaali shakti ka liya behad grahna thi aur uska karan tha mera bhai…. Iss duniya ka sabse takatwar aur behad khatarnak…… Usse log Maut ka farishta aur Shetan ka waris kahe kar bhi bulate tha….. Uske kadam jiss jagah pada uss jagah ka barbad hona nischit tha….. Usse iss duniya mei do sabse jada grahna sirf ek chij se thi aur vo thi logo ki Kaali shakti ka prati grahna…. Vo uss har kisiko maut ka ghaat utar deta jo Kaali shakti ka anadar karta…..
Iss pura brahmand mei koi essa nahi tha jo uske samna kar sake, yaha tak ki mei bhi nahi…. Mera shashan aur meri iss duniya par raaj ki neev usne hi rakhi…. Mera liya duniya ka har bura se bura karm usne haste khelta kar diya aur sirf islye kyunki mei uska bada bhai tha aur vo meri kisi baat ka ulanghan nahi karta tha….. Meine uske jariye aneko logo ko maut di aur unki shaktiyo ko apne adhin apna gulam bana liya…..
Iss bich vo nirantar Shetan ko khush karta aur uske badle mei usse kayi nayi nayi Kaali Shaktiya milti jinke baare mei na meine aur na hi iss pura brahmand mei maujoot kisi jeevit vyakti na suna hoga…. Essa hi har din badti Kaali taqat ki wajah se uska krodh bhi badne laga aur issi vajah se vo ek safar par nikal gaya jaha uska lakshay tha iss brahmand ka sabhi graho aur unn graho mei maujood sabhi logo par keval Kaali Shakti ka samrajye ho….. Log Kaali Shaktiyo ka prati samaan dikhaye aur uske aage jhuka…….
Ya baat hui mera Bhai ki…. Ab mei tumhai batata hu ki tum aur vo ek kaise hai….. Toh tumhai ya toh pata hi hai ki tumhare ander ek awaj hai aur uss awaj ki vajah se tumhai gussa bhi adhik aata hai…. Jisse ya sab kaheta hai ki ya tumhara bhakshak roop hai….. Sahi kahe raha hu na mei…..
Shubham: Imosopher ka muh se apne liya itni jankari sun mei shock hua, aur mujhe samajh hi nahi aaya ki aakhir isse mera baare mei ya sab kaise pata chala….
Imosopher: Ary Ary essa mat socho ki mujhe kaise pata chala, uska karan bhi bata dunga tum itne chintit mat ho…. Mera chota bhai mujhe chintit pasand nahi hai…. Mei uski har chinta ko dhur kar dunga tumhari mera chota bhai…. Phela ya toh jaan lo ki sambandh kya hai…..
Asal mei jo tumhare ander ki awaj hai vo koi aur nahi mera chota bhai hai…. Vahi bhai jisse mei behad prem karta tha aur jo mera liya iss duniya mei sab kuch tha…. Ab dusri baat ki mujhe kaise pata chala toh ya bhi bata deta hu….. Tumhari Maa na jiss Rishi ko tumhare janam ka liya jo istrot diya tha, asal mei vo koi rishi nahi meri Maa thi, aur unhone tumhari Maa ka istrot mei mera bhai ka jeevan kan bhi mila diya jiski vajah se tumhare ander dono ki shaktiya hai…..
Tumhare upar burayi achayi se jada bhari hai aur uska karan hai Nabila aur mera bhai ka janam karn jo ki tumhari Maa ka achayi ka karn se behad jada hai aur issi vajah se tum achayi ka pratik se jada burayi ka pratik ho…. Issi vajah se sabhi log darte hai ki kahi Kaali shaktiyo ka purn roop se gyan prapt kar tum agar bhakshak ban gaye toh iss duniya ka sarvanash hona se koi nahi bacha sakta hai…..
Imosopher: Ab tum soch rahe hoga ki ya toh mera fayda ka sauda hai, agar mei tumhai ya nahi batata aur agar tum Kaali shaktiya sikh jaate toh tum mujhe kabhi nahi Maar sakte tha kyunki tum bhakashak ban jaate toh meine tumhai ya sab kyu bataya…..???
Chalo ya bhi bata deta hu….. Asal mei na itne saalo baad kaid se azad hua toh pata chala ki mera koi dushman na janam liya hai aur vo dushman koi aur nahi tum tha…. Mujhe shuru shuru mei toh laga tha ki tum toh bache ho tumhai mei essa majak majak mei hi khatam kar dunga aur apne jeevan ka sabhi shatruo ka khatma kar dunga, par jaise jaise tum sikhte gaye vaise vaise tumhari buddhi ka mei deewana ho gaya…. Kitni safayi se tumne Nicaroo, Draco aur Zainabiya ko unke apne hi khel mei ghumana shuru kiya aur ab jaldi vo samaye dhur nahi hai jab tum unn sabhi ko maut bhi de doge…..
Bus tumhari inn sabhi chalo aur kuch karne ka junoon na mujhe majbur kar diya ki mei aaj yaha aake tumhai sachayi se parichit karwau taaki tum kuch galat faisla lekar mera raste se nahi hat jao…. Mei cahata hu ki humare bich ka khel jo abhi tak hum alag alag aur dhur baithe maidan mei khel rahe tha usse ab thoda samne se aur ek hi ground mei khela taaki ya jaan sake ki aakhir kon kitna badiya hai….. Kya kaheta ho…..???
Shubham: Bus ho gaya ya kuch aur kahena baaki hai….. Agar tumne apni kahani puri karli ho toh mei kuch kahu…..
Imosopher: Mera iss tarah ka javab ki shayad usne umeed nahi ki thi, issi vajah se usne mera javab sun thoda chaukne ka bhav dikhaya par usse jaldi hi chupa liya…. Ha kaho….
Shubham: Sabse phele kahena se phele kuch kaam kar leta hu….. Meine apne haath aage kiya aur mera haath se ek roshni nikal kar Elika ka sharir par giri…. Uss roshni ka Elika ka sharir ko chuta hi uske sharir mei ek baar firse jaan aa gayi…. Vo ek baar firse puri tarah swasth ho gayi…..
Ab meri baat dhyan se suno tumhai lagta hai ki tum yaha aaye ho, jabki sach ya hai ki tum yaha laaye gaye ho……
Meine abhi bus yahi kaha tha ki vaha maujood Elika aur Imosopher dono ka kaan khada ho gaye tha…. Yahi nahi unhe vishwas nahi ho raha tha ki mei ya kya kahe raha hu…. Meri baat sunkar Imosopher behad azeeb bhav de raha tha….
Shubham: Essa chaukne ki jarurat nahi hai kyunki jo tumne suna hai vo purn roop se sach hai iska vishwas mei tumhai dilwa deta hu….. Tum yaha apne marji se nahi apni Maa ka kahena se aaye ho na…. Tumhai yaha bhejna vali koi aur nahi tumhari Maa hi hai na, jisne tumse ya kaha tha ki jao aur jakar Shubham ko apne chota bhai ki kahani sunao jiski vajah se uske man mei kuch dar banega…. Ho sakta hai vo tumhare bhai ki jo uske ander hai aur uski madat kar raha hai tumhai harane mei aur usse tumse kushal aur jada takatwar banane mei, vo uski baate sunna kam kar dega aur iske fal swaroop vo unn sabhi shikshao ko nahi prapt karega jo usse tumhare khilaf ladne mei kaam aane vali hai……
Kyu yahi sab kaha tha na tumhari Maa na, chalo aage ki baate tumhai tumhari Maa ka muh se hi sunwa deta hu….. Maaji jara samne aana toh…..
Abhi meine ya kaha tha ki mera samne Imosopher ki Maa aa gayi…. Apni Maa ko mera ek baar kahena par samne prakat hota dekh Imosopher aur uske saath vaha maujood Elika ka kuch samajh nahi aaya ki ya ho kya raha hai…. Essa kaise mera bus kahena maatr se hi Imosopher ki Maa samne aa gayi….. Dono bus aankhe faade bus mujhe dekh rahe tha…..
Shubham: Ary Ary kya hua kuch jhatka laga kya…. Par na abhi ek jhatka aur baaki hai, asal mei na mujhe thoda confusion hai ki tumhari asli Maa konsi hai Imosopher….. Ya vali jo abhi abhi aayi hai, ya fir ya vaali…… Essa kahena ka baad meine haath aage kiya aur jamin ka ander se ek aurat nikal kar aayi ko ki bilkool Imosopher ki Maa ki tarah hi dikh rahi thi….
Apne samne do do Maa ko dekh Imosopher bus kabhi ek taraf toh kabhi dusri taraf hi dekh raha tha…. Usse samajh hi nahi aa raha tha ki ya sab chal kya raha hai……Usse ab toh saap na sung liya ho essi halat ho gayi thi, uske muh se bol hi nahi nikal raha tha…..
Shubham: Yaar mujhe samajh nahi aa raha hai ki inn sabhi mei se tumhari asli Maa konsi hai….. Inn dono mei se hai ya fir ya jo abhi abhi tumhare piche aayi hai ya fir tumhare siddhe haath ki taraf, ya fir ya ulta haath ki taraf…..
Imosopher vo toh bus pagal kutte ki tarah kabhi idhar dekhta kabhi udhar dekhta par usse samajh hi nahi aa raha tha ki uski asli Maa konsi hai…. Kyunki vaha uski Maa ki huba hu karib 10 aurate khadi thi, jismei kisi mei kisi se koi difference nahi tha…..
Yaar Imosopher ab tumhai hi batana hai ki tumhari asli Maa kon hai…. Kyunki mujhe samajh hi nahi aa raha hai ki inn sabhi mei se vo kon hai jo tumhari asli Maa hai aur baaki unki beharupiya….. Meine tumhari Maa ko apni kaid mei toh kar liya par vo mujhe itni pasand aayi ki meine unke kayi roop bana diya, ab mei khud confuse ho gaya hu asli konsi hai…. Ab tumhai hi faisla karna hai……
Kuch der tak Imosopher vahi khada sabhi ko dekhta raha par usse ghanta kuch samajh aana tha…. Islye ek baar fir mei bich mei bol utha….. Kaise beta ho yaar tum jo apni Maa ko nahi pehachan saka bina jaadu ka…. Khair koi baat nahi mei hi bata deta hu ki aakhir kon hai tumhari asli Maa…. Essa kaha kar meine jo aurat second time jamin se nikali thi usse thoda se cut lagaya aur uske haath se kaala khoon nikalne laga…. Jisse dekh Imosopher ko vishwas ho gaya tha ki yahi uski Maa hai….
Shubham: Ab tum soch rahe hoga ki ya sab kab hua….??? To suno, ya baat ussi din ki hai jab meine Shetan ko maarke tumhare yaha uske shar ko faika tha…. Uss raat tum apne logo ka saath jashan mana rahe tha aur idhar mera hi do roop na tumhari Maa ko chal se kaid kar diya….. Dono mei se ek na tumhari Maa ko mera bandhi grah mei daal diya vahi dusra tumhare hi yaha tumhari Maa bankar rahena laga ……. Tumahri Maa ki saari jankari meine unke dimak se apne roop ka dimak mei daal di thi jiski vajah se tumhai koi shak nahi hua……
Imosopher: Meri baate sun usko krodh aa gaya aur usne mera upar humla karne ka liya apne haath aage kiya par vo kuch kar nahi saka…. Uske haatho se koi jaadu nahi nikala….. Essa hota dekh Imosopher aur uski Maa dono ko behad hi jada jhatka laga kyunki ya toh asambhav tha……
Shubham: Kya hua tumhara jaadu kaam nahi kar raha hai…. Chalo koi baat nahi ek baar firse koshish karo, ho sakta hai ki kaam kar jaaye…..???
Imosopher: Mera essa kahena ka saath hi vo samajh gaya ki ismei bhi meine kuch kiya hai….. Islye vo meri taraf sawaliya nishano se dekh raha tha……
Shubham: Imosopher tumhari yahi baat ka mei deewana hu, tum baate samajh jaldi jaate ho….. Tumne sahi socha yaha tum ya koi bhi aur dusra buri takat ka malik jaadu nahi kar sakta hai….. Tumhari jo itni der se tumhare chota bhai ki bakwas mei sun raha tha na vo bus islye kyunki mei AS aur Alvace ko samaye dena cahata tha ki vo humare chaaro taraf aur bina samne aaye ek essa ghera tayar kare jiske ander tum apni kisi taqat ka istemaal na kar sako varna tumhari ya kahani meine phele bhi ek baar suni hai…..
Tumhai ya bhi jaan kar behad aaschariye hoga ki mujhe ya shiksha bhi tumhare bhai na hi di thi, usse phele se hi andaja ho gaya tha ki tum essa kuch karoge islye unhone mujhe phele hi essa ghera tayar karna sikha diya tha aur dekho ab tum iske ander fas gaye ho…..
Imosopher: Tumne ya sab kuch kisi vishesh lakshaye ko prapt karne hetu kiya hai, toh ab vo bhi bata do…. Essa kya cahaiye tumhai…. Kyunki agar mujhe marna hota toh ab tak maar chukka hota…..
Shubham: behad ache tumhari takat toh kaam nahi kar rahi hai par tumhara dimak kaam kar raha hai…. Chalo ab jab tumne samne se pucha hai toh bata hi deta hu….. Tumahai yaha bulane ka do karan hai phela hai vo dagger hai jo tumhare pass hai aur jiska aadha hissa iss samaye mera pass hai….(Ya vahi dagger hai jo White Lion Kabile se inaam mei mila tha)…..
Aur dusra karan hai iss raajye ki Praja ka man se Imosopher ka naam ka dar sada sada ka liya khatam karne ka….. Inn logo ka man mei ya baat ka vishwas dilane ka ki cahaiye duniya mei andhkaar kitna bhi kyu na ho, prakash ki ek kiran uss andhkaar ko dhur karne ka liya kaafi hai…. Thik ussi prakar cahaiye burayi kitni bhi shakti shali kyu na ho par vo achayi ka samne jhuk hi jaati hai…..
Ya dekho aaj ya sabhi log tumhai yaha bebas aur lachar khade dekh rahe hai…. Aaj inke man mei jo tumhara jarasa bhi dar bacha hua tha vo bhi khatam ho gaya …… Tumhare samrajye ka phela aur sabse mehatvapurn isthamb aaj gir raha hai Imosopher, dar yahi hai na tumhare samrajye ka phela aur sabse bharose ka isthamb,,,,,
Imosopher: Vo ya baat achi tarah se janta tha ki yaha se vo bina meri baat maane nahi jaa sakta tha issi vajah se usne bina jada kuch kahe aur kare apna dagger mujhe thama diya….
Shubham: Dusre dagger ka haath mei aate hi meine phele dagger ko bhi nikala…. Jaise hi dono dagger aas pass aaye dono mei behad halchal machne lagi aur unhe sambhalna behad mushkil ho raha tha, issi vajah se dono mera haath se chut gaye aur dono aasman ki tarah jaate hua ek ho gaye aur ek behad sundar sunhare rang ka dagger mei badal kar mera haath mei aa gaye….. Ya vahi dagger hai ab jisse samaye vo bhi badla jaa sakta hai ……
Khair iske baad meine Imosopher aur uski Maa dono ko apne jaadu se jaha se vo aaye tha vahi vapas bhej diya….. Unke jaate hi pura Land of River and Mountain ka log mera naam ki Jai Jai karne lage…. Kuch der baad unhe shant kiya aur uske baad mei aur Elika bhi sona chal diya aur baaki bhi…..
Pichle update mei aapne dekha tha ki kaise Imosopher aur Shubham ka bich ki pheli mulakat hui, ya vahi mulakat thi jaha par Shubham ka palda Imosopher se bhari tha, par ya baat aap bhi jante hai aur Shubham ki ya toh bus pheli mulakat thi, abhi behad mulakate baaki hai aur behad baate baki hai…. Na jaane aage ki baato aur mulakato mei kiska palda bhaari raheta hai yaw at hi batayega, par filhal Shubham ko Time changer Dagger mil gaya hai…..Iske saath Shubham ab aage kya soch kar kya karne vala hai ya jaldi hi pata chal jayega…..
Ab Aage…
Ek baat kahani se phele clear kar deta hu ki ya sab baate tab hui thi jab Willy vahi maujood tha, kyunki Willy jab raat ka andhera mei gayab hua tha uss samaye uske aur uski Maa ka alawa vaha koi maujood nahi tha, baaki sabhi so rahe tha….
Chaliye ab Kahani aage badate hai….
Agli subha sabhi ka ceharo par jeet ki muskaan thi, sabhi ka sabhi kal raat ki Imosopher ka saath Shubham ki pheli mulakat se behad khush tha kyunki jis prakar Shubham na Imosopher ko javab diya tha uski dhamki ka usse sabhi ka man mei vishwas jag gaya tha ki Shubham hi unka sacha rakshak hai….
Par yaha do log essa tha jo bilkul khush nahi tha, sabhi ko dikha rahe tha ki raat ki jeet se vo khush tha par unke man mei behad si baate chal rahi thi ya baate kya thi aur kaisi thi ya jaldi pata chalega aur saath hi ya bhi ki ya do hai kon….
Agli subha sabhi apne niyamit samaye se utha tha aur kyunki Land of River and Mountains ki Rajkumari ka swayambar ki tayari thi toh sabhi log behad harsh ulhas aur dugni gati se apne kaamo mei lage hua tha kyunki ya samaye essa tha jab Land of River and Mountain ka sabhi log baaki duniya ka behad bada bada Raja Maharajao ka swagat karne vale tha apne Rajye mei aur itna hi nahi inn hi Rajao, Maharajao mei se kisi ek ka Rajkumar ka saath Iszy ki shadi honi thi essa sab sochte tha, par humari Rajkumari toh phele hi faisla karke baithi hai ki cahaiye kuch bhi ho jaaye unki shadi toh Siyam se hi hogi varna kisi se nahi……
Kyunki swayambar ka aayojan aur dhur desho ka Rajao aur Maharajo ka aane ka samaye mei keval ek hi din sheesh tha issi vajah se vaha Mahal hi nahi sampurn Rajye ko ek behad sundar tarike se sajaya jaa raha tha, Land of River and Mountain ka har nagrik behad josh aur harsh ulhas ka saath apne nagar ko sajane ka kaam kar raha tha…. Sabhi cahate tha ki bahar ka Rajao ka samne unka Rajye kam nahi dikha…..
Mahal ka ander ki baat karu toh Mahal mei sabhi Mantri, Maharaj, Senapati aur baaki kayi log Mahal ki suraksha, uski sajawat, aane vaale aathitiyo ka rahena ki paryapt viyavastha aur unki suraksha yahi sabhi chijo mei lage hua tha…. Unki iss kaarye mei AS, Alvace bhi madat kar rahe tha…. Meine bhi Maharaj se behad aagrah kiya parantu unhone saaf aur siddha shabdo mei kahe diya ki mei sirf yaha par ghumu aur nayi nayi jagah dekhu…..
Vahi nagar ki rajkumari aur hona vali dulhan ka roop sondariya ka liya Maharaj na dhur dhur Rajyo se kayi behad khaas ladkiyo ko bulaya tha jo ki Rajkumari ka roop ko aur nikharne ka kaam karne vali thi…. Iszy ka saath hi sabhi ladkiya bhi thi yaani Avantika, Rimjhim, Nancy, Elika, Marium sabhi uske saath uske kamre mei thi, aur uss taraf hume na jaane ka sakht hidayat di gayi thi….
Meri tarah mera baaki dost yaani Jhiku, Tayon, Nisham bhi faltu hi tha…. Hum sabhi ek jagah baithe tha aur aapas mei baat karne laga….
Jhiku: Yaar badi ajeeb baat hai, suraj nikale itna samaye ho gaya hai aur abhi tak Willy apne kamre se bahar nahi nikala hai……
Nisham: Vahi yaar, aajse phele toh meine kabhi Willy ko itna late kabhi nahi dekha…Vo toh har subha Suraj ki kirano ka saath hi uth jaata hai na…..
Shubham: Ary toh ismei kya hai, chalo chal kar dekh leta hai ki aakhir vo kar kya raha hai….. Aur mei unhe gayab karke lekar pahuch gaya Willy ka kamre mei…..
Jab hum vaha pahuche toh humare samne toh pura kamra khaali tha, vaha chijo ka alawa kuch bhi maujood nahi tha…. Humne kamre ka hark one mei dekha ki Willy kaha hai par uska koi ata pata nahi tha hume…..
Tayon: Ho sakta hai vo kahi bahar nikal gaya ho rajye dekhna subha subha…. Hum log uss samaye utha hi nahi hoga islye….
Jhiku: Nahi yaar iski sambhavna na ka jitni hai, kyunki Willy ko ya sab pasand kam hi hai…. Usse bus khaali samaye mei youdh ka liya khudko prashiskshit karna hi pasand hai…. Har samaye apne dhanush baan ko aur apne dagger ko apne samip hi rakhta hai…..
Shubham: Mujhe ya baat ajeeb lagi aur yahi nahi mujhe iss kamre mei kisi alag tarah ki shakti ka aabhas bhi ho raha tha, essi shakti ka jiske baare mei na meine kahi pada hai aur na hi kabhi uske baare mei kisi se suna hai….
Meine Indra duwara jaadu aur unse judi sabhi Shakti istroto ki kitab se sabhi ka baare mei behad sa gyan liya hai, par uss pustak mei bhi iss prakar ki shakti ka kahi koi jikar hi nahi tha…. Mujhe ya baat behad ajeeb lagi…. Ab iss baat ka baare mei jaana behad jarur ho gaya tha, issi vajah se iska pata lagane ka meina nirnaye kar liya…..
Nisham: Shubham tu kya kaheta hai, hum Marium se pucha kya….???
Shubham: Ha ya sahi rahega…. Tum log Marium se iske baare mei baat karo, tab tak mei Siyam ka pass jakar aata hu….. Uske bhi haal chal jaan leta hu, ki vo iss samaye kya kar raha hai…..
Sabhi; Thik hai….
Iske baad vo vaha se nikal gaye aur mei nikal gaya apne Neela Unicorn ka saath….. Usne ek pal mei hi mujhe mahal se bahar nikal diya aur mujhe pahucha diya uss Rajye ka ek sabse uchi choti par, jaha iss samaye koyi maujood nahi tha….
Neela Unicorn: Hum aa gaye jaisi jagah ka baare mei tum soch rahe tha….
Shubham: Ab ek kaam karo, tumne bhi vo energy mehsoos kari hai jo meine abhi kari thi, tum ek kaam karo uss energy ka baare mei mujhe pata karke batao ki aakhir ya kaha se aa rahi hai…..
Neela Unicorn: Thik hai, mei iss sansar ka ek chakar abhi laga kar aata hu…..Yadi essi koi jagah hui toh mujhe pata chal jaayega….. Aur ya kaha kar vo vaha se gayab ho gaya…..
Shubham: Uske apne sharir se nikal kar jaate hi meri halat kharab ho gayi…. Mujhe apne ander behad kamjori mehsoos hona lagi, mujhe essa lag raha tha ki mei sahi se khada bhi nahi ho sakunga….. Ya sab kya ho raha hai mera saath…. Iss prakar ki kamjori toh meine isse phele kabhi mehsoos nahi kari aur na hi mujhe apne sharir mei iss prakar dard ka anubhav hua…..
Awaj: Ya sab islye kyunki tumne apne jeevan ki ek behad badi galti kari hai…. Tumhari iss halat ka jimmedar keval aur keval tum ho…. Jab tak Neela Unicorn tumhare ander raheta hai tab tak uski taqat ki vajah se tumhare upar inn sabhi chijo ka asar kam hota hai, par jaise hi abhi vo tumhare sharir se nikala tum ek dum kamjor hona lage ho…..
Shubham: Par meine essa kya kiya, aur ya sab kis vajah se ho raha hai yadi aapko pata hai toh mujhe batate kyu nahi….???
Awaj: Tumhari galti yahi hai ki tumne uss kide ko marne ki koshish kari jis kide ko iss sansar mei keval vahi shakti maar sakti hai jisne usse janam diya tha…. Vo koi aam kida nahi tha, usse shakti se kida banaya tha, jiski vajah se vo kabhi bhi nahi mar sakta tha jab tak usse vahi shakti khatam na kare jisne usse banaya tha…..
Shubham: Toh meine toh usse janam dena vali shakti yani us steer Kaman se hi toh maara tha….. Vahi Teer Kaman uska vinash kar sakta tha….
Awaj: Nahi uss teer Kaman ki madat se tum usse kabhi maar hi nahi sakte tha, ulta vo teer Kaman usse lagte hi vo usse aur adhik urja de raha hai…. Vo teer Kaman usko nashth karne ka liya nahi bulki usse adhik takatwar banane ka istroth hai….
Shubham: Par ya kaise ho sakta hai…..??? Mujhe ya baat AS na khud kahi thi ki ussi teer Kaman se uska khatma kiya jaa sakta hai……
Tabhi vaha ek behad jor se hasne ki awaj aane lagi…… Hahahahahahaha…. Ya awaj Imosopher ki thi……
Shubham: Ya awaj toh Imosopher ki hai…. Vo ek baar firse aa gaya…..
Awaj: Ha ya awaj Imosopher ki hi hai, par vo yaha hai nahi…. Bus uski awaj hum tak uske jaadu se aa rahi hai…..
Shubham: Par vo iss prakar has kyu raha hai….???
Awaj: Kyunki usne tumhai ek behad bada aur ghera jaal mei fasa diya hai….. Ab samajh aa raha hai mujhe Roop Nagar ki kahani ka asli khel…..
SHubham: Kaisa khel aur kya hua vaha….???
Awaj: Ya ek behad bada aur behad shandar tarike se racha gaya khel hai….. Imosopher janta tha ki Roop Nagar mei do behad amulya Teer Kaman hai jinko paane ki koshish tum jarur karoge aur yadi tum unhe paa logo toh tum behad shakti shali ho jaoge…. Is vajah se unse ek chaal chali…. Usne apni Maa ka jariya vaha jo kuch bhi hua vo sab ghatit karwaya aur saath hi AS tak ya khabar pahucha di ki vaha ka teer khatra mei hai…..
Ab kyunki asli teer Kaman ko khojna aur unhe hassil karna Imosopher ki Maa ka bus ki baat nahi thi issi vajah se unhone ek Maaya ko janam diya, unhone sab kuch dhoka se banaya aur uske ander unhone Imosopher duwara uss kida ko milne vali shakti daal do teer Kaman banaye….. Duniya mei ya dikhane ka liya ki unki Maya hi sach hai aur vo dono teer Kaman hi uss jagah ka asli teer Kaman hai issi vajah se Imosopher ki Maa na vaha se ek teer Kaman utha liya aur dusre ko uthane lagi uss samaye khudke jaadu se hi khudko dhur faik diya ya dikhane ka liya ki jo dusra hai vo achayi ka pratik hai aur issi vajah se vo usse utha nahi saki…..
Saari duniya na uss baat ko sach maan liya aur ya sab ghatit ho gaya….. Imosopher apni chaal mei kamyab ho gaya…. Usne uss Kida ko apni shakti dekar behad shakti shali kar diya hai issi vajah se vo Dragon ka kawach ka baad bhi tumhare upar asar kar raha hai…..
Shubham: Toh kya hua mei unhe abhi jakar hassil kar leta hu….??
Awaj: Ya sambhav nahi hai…..
Shubham: Kyu….???
Awaj: Kyunki unn teer Kaman ko hassil karne ka ek sahi samaye hota hai…. Vo ek nirdharit samaye ka liya duniya ka samne aate hai aur jab vo samaye samapt ho jaata hai vo fir se gayab ho jaate hai….. Agli baar unhe firse dhundna padhta hai….
Shubham: Toh vo samaye kab aayega….???
Awaj: Vo samaye aajse karib 100 saal ya usse bhi adhik samaye baad aayega….. Ab iss baat ko chodo, ab tumhai iss kida ko khatam karna hoga….
Shubham: Par kaise…..??? Abhi aapne kaha ki usse uski shakti se hi maara jaa sakta hai ab na mujhe uske baare mei pata hai aur na hi ya pata hai ki vo kya hai….???
Awaj: Usse khatam karne ka liya tumhai black energy ka adhyan shuru karna hoga…. Tumhai jaldi hi apne black energy ko sikhne ka kaam shuru karna hoga….. Usko jam tum puri tarah sikh jaoge uske baad mei tumhai bataunga ki isko marne ka liya kya karna hoga….. Par tab tak khudko bachane ka liya tumhai bhakshak banana hi hoga…. Vara ya tumhai behad nuksaan pahuchayega……
Shubham: Nahi ya nahi ho sakta hai….??? Mei Bhakshak nahi ban sakta hu…. Kuch bhi ho jaaye par mei bhakshak nahi banuga…..
Awaj: Mei tumhai koi galat kaam nahi karne ko kaha raha hu, par jab tak tum iss Kida se chutkara nahi paa leta tumhai bhakshak ka roop mei hi rahena hoga…. Bhakshak jiss prakar apne dushmano ka prati raheta hai tumhai vaise hi hona hoga….. Ismei koi behas nahi karni hai…..
Abhi hum aapas mei baat kar rahe tha ki vaha Neela Unicorn vapas laut aaya….
Neela Unicorn: Meine iss pura jaha mei dhunda par mujhe iss shakti ka karn ka bhi nahi pata chala hai….. Ha par meine Willy ki shakti ko mehsoos karke jab dhunda toh mujhe vo shakti khichti hui ek jungle mei lekar gayi…. Vaha ek jagah jakar Willy ki shakti bhi gayab ho gayi…. Meine sabhi jagah dekha bhi aur dhunda bhi par mujhe kuch na dikha aur na kuch mila…. Na jaane kya hai ya…..
Shubham: Essa kaise ho sakta hai…. Neela Unicorn hona par tum iss shakti ka baare mei kuch nahi jaan sake….. Awaj kya aapko iske baare mei kuch pata hai….????
Awaj: Nahi, meine bhi ya urja ka apne jeevan mei pheli baar mehsoos ki hai…. Ya bilkul bhin hai essi urja meine kabhi nahi mehsoos ki…….
Shubham: Ab ya konsi nayi musibat aa gayi hai…. Kahi Willy ko kuch hua toh nahi….. Kahi ismei Imosopher ki koi chal ho….???
Awaj: Nahi Imosopher kisi shakti ka istroth nahi hai aur uski urja ko mei behad ache se janta hu…. Uski urja essi bhin nahi hai…..
Tabhi vaha Elika aa jati hai….
Elika: Shubham tum yaha kya kar rahe ho….???
Shubham: Kuch nahi bus dhyan mei baitha tha…. Par tum Iszy ka pass se yaha kaise….????
Elika: Asal mei mujhe tumse baat karni thi…..
Shubham: Ha kaho kya baat karni thi….???
Elika: Asal mei aaj subha hi meine ek alag prakar ki energy source ko feel kiya hai, essa energy source meine phele kabhi na mehsoos kiya hai aur na hi kabhi kuch jaana hai….. Mujhe iske baare mei kuch nahi samajh aa raha hai…..
Shubham: Tumhare jaisa haal mera bhi hai, mujhe bhi nahi pata ki ya kya hai…. Meine iske baare mei pata lagane ki koshish bhi ki par sab bekar….. Bus yahi pata chala hai ki Willy inke saath tha par vo kaha hai aur kaise hai kuch nahi pata….. Kahi vo kisi sankat mei na ho…..
Elika: Nahi mujhe nahi lagta hai…. Kyunki abhi meri unse baat hui thi aur unse baat karne par pata chala ki Willy kisi behad jaruri kaam se kahi gaya hai kaha pata nahi…… Shayad unhe par vo kahena nahi cahati ho….
Shubham: Thik hai….. Hum dhundta hai iske baare mei….. (Dosto ya vahi dono shaks tha jo aaj subha logo ka samne khush par ander behad sawal liya ghum rahe tha…..)
Vahi dusri taraf dharti par Shubham 5 na aakhir kadi mehanat ka baad ya pata laga hi liya ki aakhir usse aage kaha jaana hai….. Aap sabhi ko ya toh pata hi hoga ki Jaisalmer aur uske aas pass ki kayi jagah behad ghana registan hai….. Par purane logo ka kahena tha ki ya registan se phele yaha samundar hua karte tha, kaha jaata hai ki shrishti ka nirman ka samaye parivartan mei ya jagah essi ho gayi….
Par ya bhi kaha jaata hai ki aaj bhi ek essi jagah hai jaha upar satah par behad rait hai par uske niche jalasye bhi hai aur vahi jalasye Shubham 5 ki manjil ka darwaja hai…. Vahi se hokar vo uss jagah pahuch sakega jaha usse dharti ka jaadu ko khatam karne ka baare mei pata chalega….
Chaliye aage dekhta hai ki Shubham 5 ya kaam kaise kar payega aur saath hi Shubham ka ek essa dushman jiske saath Noora ache hona ka behavior kar rahi hai vo Shubham ko kaise apne jaal mei uljhata hai…. Ya sab kuch jaaneko milega agle update mei yaani ki Kal…..
Pichle update tak aapne dekha ki Shubham aur Elika dono hi ek alag si aur bina jaani energy ko lekar pareshan ho jaate hai, unhe ya samajh nahi aa raha tha ki ya energy kaha se aayi aur kaha ko chali gayi… Unn dono na kyunki essi energy ko na kabhi mehsoos kiya tha aur na hi unhone iske baare mei kahi padha ya jaana tha…. Itna hi nahi iss energy ko awaj bhi nahi janta hai jisse iss brahmand ki shayad hi koi energy ho jiske baare mei na pata ho….
Ab Aage….
Shubham5: Vo uss registan mei chala jaata hai iss umeed mei ki vo uss jagah ko jaldi se dhund nikalega jaha usse dharti ka jaadu ko khatam karne ka rasta milega, iss baat se anjan ki kayi log uska picha kar rahe hai aur uske duwara sahi raste ko khojne ki taraf bad rahe hai….
Vo lagatar registan mei khojne laga, kyunki uske pass ek surag tha, ek essi baat thi jiske jariye vo uss jagah tak pahuch sakta tha, par usse surag ka duwara batayi jagah dhundna hi asli pariksha thi, kyunki yadi usne surag se judi jagah ka baare mei dhund liya toh fir vo samaye dhur nahi tha jab usse uss jagah ka baare mei bhi pata chal jaaye…..
Ya surag usse uss pustakale se mila tha jaha aaj ka samaye mei log jaana pasand nahi karte hai ya unhe uske baare mei koi khabar nahi hoti hai…. Ya jagah hai District Library jo har jile mei maujood hoti hai par logo ko uske baare mei koi khabar nahi hoti…. Par ismei galti logo ki hi nahi hai, ismei kuch galti prashasan ki bhi hoti hai, vo log library ka stuff ko fir kabhi update nahi karte hai, vaha nayi books nahi aati hai issi vajah se logo ka kadam vaha nahi badte…. Essi hi ek library mei Jaisalmer ka ithihas ko Shubham 5 na jaana aur usse dhunda…. Usse surag essa mila ki professor ka pita ka duwara chodi gayi sabhi baato mei ek baat thi jiske liya unhone ya kaha tha ki registan mei ek behad prachin mandir hai Maa ka yaani Devi Maaa ka…. Yahi baat usse ithihas ki kitab mei bhi mili par saath ya bhi pata chala ki iss jagah ka baare mei kaha jaata hai ki ya Jaisalmar ka sabse purana mandir hai aur yaha kayi bade bade Rishi Muniyo na apni tapasya ki hai….
Bus islye usse yahi umeed thi ki yahi mandir vo jagah hai jaha usse uski manjil mil sakti hai…. Par usse uss mandir tak pahuchne ka rasta na mila uss kitab se aur na hi logo ko uske baare mei kuch gyat tha, yahi vajah hai ki Shubham 5 ko vo mandir dhundna mei behad pareshani ka samna karna pad raha hai….
Kayi ghanto ki mehanat ka baad jab uske haath kuch nahi laga toh vo vahi registan mei hi baith gaya ek jagah tent laga kar aur vahi baith apne din ki thakan ko mitane ki koshish karne laga…. Registan ki tej garmi na usse jhulsa diya tha, upar se uss Kida duwara lagatar Shubham ko kamjor karne ki vajah se usse bhi behad dikat ho rahi thi….
Shubham 5 vaha baith abhi apni thakan hi khatam kar raha tha ki vaha ek tej roshni chamki aur agle pal hi Shubham 5 aur uske saath hi uska tent vagera sab gayab ho gaya, koi kuch nahi dekh saka ki aakhir ya sab kya hua hai…..
Shubham 5 ka piche laga Gujaral, Raja aur vo Aadmi jisne Gujaral ka samne sir jhukaya tha unn teeno ko bhi nahi dikha kuch aur dekhta hi dekhta unke samne se Shubham 5 gayab ho gaya….
Raja: Kya tha ya sab, achanak hi tej roshni aayi aur fir gayab ho gayi….. Essa kaise ho sakta hai…..???
Gujaral: Itni tej safed roshni hui vo bhi dharti par essa kaise ho sakta hai, kyunki dharti par jadu Magical City vale kar sakte hai kyunki vo Sword ka rakshak tha, par unke pass iss prakar ki urja nahi ho sakti hai…. Toh fir ya sab kisne kiya aur kaise…..
Raja: Iska kya matlab hai…..??? Tumhai bhi iske baare mei kuch nahi pata hai….???
Gujaral: Nahi pata….
Raja: Wah kya chutiya plan banaya tha tumne….. Saala mei bhi kin ghado ka saath shamil ho gaya, inhe khud kuch nahi pata hai toh ya khaak Shubham ya uske pariwar ko nuksaan pahuchayega…..
Gujaral: Usse Raja ki baat sunkar gussa behad aaya tha par vo abhi uska kuch kar nahi sakta tha kyunki galti iss samaye uski hi thi….
Vahi dusri taraf Shubham ka ghar par bhi yahi ghatna ghati… Vaha bhi achanak ek tej roshni chamki aur agle pal hi vo roshni bhi gayab ho gayi, uske gayab hona ka saath hi Shubham ka sampurn pariwar bhi gayab ho gaya….
Place : Land of River and Mountain
Yaha Elika aur Shubham dono hi uss sunsan pahad se laut vapis Mahal aa gaye tha, jaha par Elika ek baar firse Iszy ka pass chali gayi thi vahi Shubham baaki sabhi ka saath shadi ka kaam mei haath bata raha tha, par ek baat baaki sabhi baato se bhin thi aur vo ya ki Shubham iss samaye apne samanye roop se badal kar bhakshak avtar mei tha jiski vajah se usse lagatar har choti aur badi baat par gussa aa rha tha…. Vo behad koshish kar raha tha usse rokne ki aur issi vajah se uska frustration lagatar badh raha tha…..
Iss frsutation ko kam karne ka liya usse baar baar samanye roop lena padh raha tha aur jaise hi vo samaye roop mei aata uske sharir ki urja lagatar ghat rahi thi….. Iss baat se Shubham aur usse kahi jada chintit tha Awaj…. Awaj SHubham ki manodasha samajh raha tha aur usse ya bhi pata tha ki iss kida ka janam jiss vajah se hua tha aaj vo vahi kaam kar raha hai…. Usse lagatar upaye ki baat yaad aa rahi thi,,,, Vo nirantar khudse hi sangharsh kar raha tha Shubham ko uss kida se phele bachaya jaaye ya uske unn 7 stone mei se bache hua 5 stone ka safar….
Idhar vo inn sabhi baato mei khoya tha ki SHubham ka pass achanak hi ek ladki aati hai, jo iss samaye dikhne mei behad hi masum aur choti si thi….. Uski aankho se nirantar aasu bahe raha tha…. Uske uss khubsurat aur masum se dikhne vale cehare par aaye aasu uski pida ka haal baya kar rahe tha…..
Ladki: Jee mera naam hai Janki…. Meri Maa behad bimar hai, unse sahi se saas nahi liya jaa raha hai aur unhe unke hirdaye mei behad pida ho rahi hai….. Mera pita ek hakim ko laaye tha unhone bataya ki iss bimar ka ilaj iss sansar mei koi behad bada jadugar hi kar sakta hai, issi vajah se mei Maharaj se madat maangne yaha aa gayi….
Yaha aane par aapke baare mei pata chala aur mei aapke pass aa gayi….. Kripya karke meri Maa ko bacha lijiye…. Vo behad bimar hai….. Ya kahate hua uss ladki ki aankho se behad paani behana laga, uske cehare ko dekh hi uske dukh ka andaza lagaya jaa sakta tha…. Vo janta tha Maa ko khone ka dukh, issi vajah se usne uss ladki ka saath jaane ka faisla kar liya…..
Shubham: Thik hai, chalo hum tumhare ghar chalte hai…. Mei apni taraf se puri koshish karunga tumhari Maa ko bachane ki….
Ladki: Chaliya…. Aur ya kahe kar vo ladki aage aage chalne lagi…..
Shubham: Usse iss prakar aage chalte dekh meine uska haath pakad liya…. Apni aankhe band karo aur apne ghar ka baare mei socho…..
Ladki: Usne essa hi kiya aur vo dono iss samaye uss ladki ka ghar mei tha…… Ya aapne kaise kiya….???
Shubham: Iska javab fir kabhi dunga abhi tumhari Maa ko dikhao…..
Ladki: Vo samne vale kamre mei hai…. Aap chaliye aur mei baba ko bula kar laati hu vo bahar logo se madat maang rahe hai…. Aur bina koi javab suna vo bahar bhaag gayi…..
Shubham: Behad dhere kadam se uss kamre ki taraf bad raha tha…. Usse yaha behad jada ajeeb mehsoos ho raha tha aur essa hi ajeeb iss samaye uske ander maujood awaj ko bhi ho raha tha…..
Awaj: Mujhe yaha kuch bhi acha nahi lag raha hai….. Hume yaha nahi hona cahaiye…..
Shubham: Lag toh mujhe bhi essa hi raha hai, par agar sach mei vo ladki ki Maa bimar hai toh hume usse bachana hoga…..
Awaj: Par agar hum fas gaye toh hume kon bachayega….. Tumhai pata hai na tumhare sharir mei jada shamta nahi hai agar yaha jada samaye laga toh sab khatam ho jayega…. Tum humesha ka liya bhakashak ban jaoge……
Shubham: Janta hu…… Par dekhta hai aage kya hota hai tum saath bane raho…..
Iske baad dono kamre mei jaate hai…. Jab vo Kamre mei pahuchte hai toh vaha ek aurat baithi hoti hai aur uska sar niche hota hai…..
Awaj: Nahi ya sahi nahi hai….. Hum yaha nahi rukega chalo vapas…..
Abhi usne itna hi kaha tha ki jaha se vo ghuse tha vo jagah puri tarah se band ho gayi thi uss jagah se bahar nikalne ka koi rasta hi najar nahi aa raha tha aur bus agar kuch najar aa raha tha toh band kamra aur uske chaaro taraf chamakte hua kathayi colour…… Tabhi vaha kisi ki awaj aati hai….. Ya awaj uss shaks ki thi jiske saath Noora dhoka karne ki koshish kar rahi thi….. (Isse yaha Alpha kaheta hai..…)
Alpha: Tum dono hi kahi nahi jaa sakte ho yaha se Shubham aur saath hi uske ander apne aapko chupaye hu Emrano…..
Uss Alpha ki baat sun iss baar Shubham ko jada kuch samajh nahi aaya par vo jo awaj thi usko jaise jhatka laga….. (Ab aage se awaj ko Emrano likhega…..)
Shubham apne bakshak ka roop mei hi tha jiski vajah se Emrano apne bol bol sakta tha bahar bhi…..
Emrano: Kon ho tum aur mujhe kaise jante ho…..
Alpha: Emrano tumhai toh mei tabse janta hu jab tumne pheli baar kisiko maara tha….. Yaad karo vo din jiss din tumne pheli baar ek pariwar ko khatam kiya tha apne bhai Imosopher ka liya….. Yaad karo vo din jiss din tumne kaha tha ki tumhai koi kabhi nahi kaid kar sakta hai aur uss marte hua insaan na tumhai kaha tha ek din tumhai bhi kaid kiya jayega…….
Yaad karo vo lamha jab tumne ek aadmi ka samne uske pariwar ka 11 bacho ko jinda jala diya tha aur uski patni ko apne paltu janwar ko khaane ka liya de diya tha….. Yaad aa raha hai kuch tumhai….
Emrano: Tum kiski baat kar rahe ho….???
Alpha: Haste hua…. Sahi kaha tumne Emrano…. Tumhai kaha se yaad hoga kyunki tumne itne logo ki jaan li hai ki ya yaad kar sakna behad mushkil hoga….. Khair koi nahi vo mei hi yaad dila dunga par usse phele Shubham se baat kar leta hu…..
Maaf karna Shubham meri tumse koi dushmani nahi hai aur na mujhe tume itni khaas dilchaspi hai….. Par kya karu aaj tum yaha ho toh sirf aur sirf apne ander jagah diya Emrano ki vajah se….. Vaise tumhai toh iska naam bhi nahi yaad hoga….. (Friends agar kisiko story ka bich mei iska naam yaad ho aur Shubham na bataya ho toh let mei know….)
Emrano: Shubham iski baato par jada dhyan mat do aur yaha se bahar nikalo…..
Shubham: Emrano ka kahena par vo koshish karta hai par vo ismei kamyab nahi ho paata hai…. Asal mei uska jaadu chal hi nahi raha tha……
Alpha: Hahahahahaha…… Karlo jitni koshish cahaiye par yaha tumhara jaadu kuch nahi kar sakta hai Shubham…. Na hi ander se aur na hi koi dusra tumhai bahar se bacha sakta hai…..
Abhi uske shabd khatam hua tha ki Shubham ko behad jada pareshani hone lagi thi…. Vo bechara samajh nahi sak raha tha ki ya sab kaise aur kyu ho raha hai…..???
Ermano: Brown Ash…..
Alpha: Bilkul sahi pehachane tum Emrano…. Ya vahi brown ash hai jiska istemaal ka baad tum jaadugar jaadu nahi kar sakte ho….. Jiske upar jaadu karne ka baad tum logo ka sharir mei behad dard aur behad jada kamzori paida hoti hai….. Ya puri jagah brown ash se bani hai aur islye meine kaha tha tum yaha se kabhi bahar nahi nikal sakoge.....
Chalo Shubham ab mei tumhai ek kahani sunata hu….. Ya kahani mei tumhai tukdo mei sunaunga humari har alag alag jagah hone vali mulakat par….. Iss kahani ko ache se yaad rakhna kyunki iss kahani ko puri tarah se sunna ka baad shayad tumhai kuch mil jaaye…..
Ya kahani hai uss samaye ki jab iss duniya mei burayi aur achayi dono hi panap rahi thi…. Par iske bavjood saari duniya behad shant thi…. Logo ko kisi prakar ki taklif nahi thi….. Par fir janam hua do essa bacho ka jinke pass White aur Black Magic jaisi shakti thi…..Par ya aam baaki logo ka pass hone vali shakti ki tulna mei behad adhik thi itni adhik ki iss sampurn shrishtri ka vinash ek akela shaks apni urja ka halka sa prabhav se bhi kar sakta tha agar vo cahaiye toh….. Essi shakti vale bache kewal crore saal mei ek hi baar janam leta hai…..
Inn bacho ka liya ek baat aur kahi jaati hai ki ya bache ek saath janam hote hai….. Black ka saath White ka bhi janam hota hai…..Inko bacho ki ek khaas baat thi ki ya ek ladka aur ek ladki hi janam leta hai, ismei kabhi Ladka White Energy ka malik hota hai toh kabhi ladki…..
Iss baar janb janam hua toh ladka tha Black Energy ka malik aur ladki thi White Magic ki…… Dono ka janam hua aur dono hi bade hua…. Jaha saari duniya inn dono ka janam se behad badi pareshani mei aa gaye tha kyunki Black Magic vaala ladka na toh apne karname bachpan se dikhane shuru kar diya tha par jab vo bada hua tab toh bus uske naam se hi sab behad jada dar jaate tha….. Uske sirf naam hi se kaam ho jaata tha…..
Jabki ladke ko logo ko maarne mei aur unke dard dena mei, unhe tadpane mei behad khushi milti thi aur issi vajah se vo ladka har kisiko har kabhi bhi maar deta tha bus apni khushi ka liya hi….. Badte waqt ka saath hi ladke ka aatank charo dishao mei failne laga aur logo ka man mei bus uss ladke ka hi dar basa rahena laga…..
Vahi jinhe iss Black aur White Magic ka logo ki kahani ka pata tha vo log lagatar sirf uss White Shakti ko dhoondna ki koshish kar rahe tha par koi usse nahi dhoond saka….. Unhone duniya ka uss har shaks ki madat li jo unki madat uss White Energy ka malik ko dhoondna mei kar sakta tha par koi bhi usse dhoondna mei kamyab nahi ho saka….. Ladka ka aatank har badhte din ka saath bad raha tha…..
Ab toh logo ka man mei iss baat na jagah banana shuru kardi thi ki ya dono bacho ka janam ki kahani hi jhuti hai aur essa kuch nahi hai….. Par ek din vo Black Magic ki shakti ka malik ladka pahucha ek behad bade aur behad ghane jungle ka bicho bich….. Jab vo vaha pahucha toh uske samne ek ladki maujood thi par uss samaye uss ladki ki peeth uss ladke ki taraf thi jisse usse vaha kisi aur ka hone ka koi ehsaas bhi nahi hua….. Vo toh apne mei hi mast thi….
Ladka: Aye ladki kon hai tu chup chaap apne ghar jaa…. Aajse yaha kabhi nahi dikhna….. Abse ya sampurn jungle kewal mera hai…….
Ladki: Mei yaha bus ek titli pakadne aayi hu vo mil jaaye fir chali jaungi aur rahi baat jungle ki toh ya na kabhi kisi ka tha aur na kabhi kisika hoga….
Ladka: Ladki ki baat se usse apna apmaan laga….. Aye ladki idhar dekh kon hu mei…. Ya saari duniya bus mera naam se darti hai….
Ladki: Vo palat kar piche dekhti aur fir ghum kar titli pakadne ki koshish karti hai…..
Ladka: Usse ladki ka ya karna apni bejjati lagta hai aur vo gusse mei bhadak jaata hai….. Aye ladki ab tujhe koi nahi bacha sakta hai….. Aur apne gusse mei vo uske upar black magic ka use karta hai…..
Idhar jaise hi magic hota hai aur vo ladki palat jaati hai aur behad pyari muskaan uss ladke ko deta hua…..
Ladki: Dekho kitni sundar Titli hai na ya…..
Idhar ladka ka dimak ghum jaata hai kyunki uska kiya hua jaadu uss ladki ka upar asar karne ki jagah na jaane kaha gayab ho gaya tha….. Vo bus apni aankhe band kar apne kiya jaadu ko hi dhoodna lagta hai par usse uska kuch pata nahi lagta hai…. Krodh ki agni mei jal kar vo uss ladki par kayi humle karta hai par uska pass se nikal rahi black magic ki shakti na jaane kaha gayab ho jaa rahi thi…..
Ladki: Acha ab mei chalti hu mera kaam ho gaya…..
Idhar Ladka essa hota hi krodh vash mei aa jaata hai aur vo uss ladki ko khatam karne aur uski sachayi jaane ka liya uske piche piche jaane lagta hai…..
Alpha: Shubham ab iska agla bhag agli mulakat mei bataunga tab tak tum yaha aram se apne dost ka saath raho…. Vaise mei tumhai bata deta hu ki tumhara bhakshak ka roop iss jagah tumhare liya nuksaan dayak hai aur normal roop mei maujoot kida islye tumhare pass samaye behad hi kam hai…..
Thik hai abhi chalta hu fir milunga…. Kahani yaad rakhna…..
Itna kahe kar uski awaj aani band ho jaati hai……
Shubham: Ab hum kya kare…..???
Emrano: Kuch nahi kyunki ab hum kuch nahi kar sakte hai….. Ya Brown Ash hai iss ash ka istemaal logo na mujhse dukhi hokar kiya tha aur mei kabhi iske samne kuch nahi kar saka….. Islye mei tumhari koi madat nahi kar sakta hu….
Idhar Shadi mei se Shubham ka jaane ka kuch lamhe baad hi AS aur Alvace Shubham ko sabhi taraf khojna lagte hai kyunki unhe bhi Shubham se aaj ki jo ek anjani aur bilkul agyaat urja thi uske baare mei baat karni thi par unhe Shubham kahi najar nahi aa raha tha…..
Alvace: AS Shubham kaha gaya….???
AS: Samajh nahi aa raha hai…. Ho sakta hai Elika ya apne dosto ka saath ho…..
Alvace: Dosto ka saath nahi hai…. Vo dekho samne vaha toh unke saath nahi dikh raha hai vo…..
AS: Mei Elika se puchta hu….. Vo aankh band karke Elika ko awaj deta hai…..
Elika: Ya iss samaye Iszy ka saath thi, AS ki awaj sun….. Ha AS kahe…..
AS: Elika Shubham kya tumhare saath hai….???
Elika: Jee nahi, vo toh vahi sabhi ka bich hi hoga…..
AS: Nahi hai yaha…. Meine socha tumhare saath hoga……
Elika: Nahi hai mera saath toh….. Ho sakta hai Siyam ka yaha gaya ho uski madat ya vaha ka haal lena…..
AS: Ho sakta hai….. Vaise tumse kuch baat karni thi…..
Elika: Ha boliye….
AS: Elika aaj ek behad ajeeb urja ka aabhas hua kya uske baare mei kuch janti ho…..
ELika: AS mei aur Shubham hume bhi essa hi kuch aabhas hua tha humne usse khojne ki koshish bhi ki par hume kuch bhi nahi pata chala…..
AS: Shubham uske saath nahi hai….. Ho sakta hai Siyam ka yaha ho….
Alvace: AS mujhe kuch sahi nahi lag raha hai….. Tum kisiko bhej kar vaha bhi pata karo…. Mujhe kisi bura hona ki aashanka lag rahi hai….
AS: Hmmm…. Aapki soch se mei sehamat hu par fir bhi hum ek aakhri baar dekh leta hai vaha……
Iske baad AS apne kisi vyakti ko vaha bhej deta hai aur dono bhai vaha se nikal jaate hai……
Idhar Imosopher ka haal bhi dekhta hai…..
Imosopher: Apni haar se vo behad gussa mei tha aur behad jada tilmilaya hua tha….. Apni andheri duniya mei iss waqt vo iss kadar gussa mei tha ki usse samajh nahi aa raha tha ki vo kya kare aur kya nahi kare….. Uski itni badi haar aajse phele kabhi nahi hui thi…… Vo bus kaise bhi apni har ka badla lena cahata tha…..
ABhi vo inn sabhi socho aur gusse mei tha ki tabhi usse bhi uss anjani shakti ka aabhas hota hai….. Iss tarah ki shakti ka aabhas usse phele bhi kaid hone se phele hua tha….. Usne iss shakti ka istrot ko khojne aur jaane ki icha phele bhi thi par uss samaye kuch nahi pata chalne ki vajah se vo isse bhul gaya tha…..
Par aaj ek baar iss aabhas na usse sochne mei majbur kar diya hai ki aakhir ya shakti ka istrot hai kya aur konsa…. Ya kiske pass hai aur kon iska istemaal karta hai…. Yahi sab jaane ka liya usne apne sabse ache logo ko bulaya aur unhe iske baare mei jaane ka liya laga diya……
Chaliye dosto aaj ka liya bus itna hi…. Aage dekhta hai aakhir Shubham apni mushkilo se kaise nikalta hai….. Kya koi usse bachapata hai ya fir vo khudse kuch tigdam lagayega…. Ya fir Alpha hi rahem khayega…. Sabhi sawal ka javab apne aap aapko kaha mei milte rahega….. Tab tak ka liya……
Pichle update tak aapne dekha ki Shubham aur saath mei Emrano dono hi ek jagah fas jaate hai jaha ki sabhi deware Brown Ash se bani thi…. Unhe fasane vala koi Emrano ka hi dushman tha ya kon tha aur iska Emrano se kya dushmani thi ya sab aapne pada par isko khulkar aapko aage bataya jayega….. Vahi Alvace aur AS Shubham ko dhund rahe tha par vo unhe kahi nahi mila aur issi vajah se unhone usse dhundna ka liya Siyam ka yaha bheja apne ek aadmi ko…. Imosopher bhi achanak se mehsoos hui uss anjani energy ko dhundna ka liya apne logo ko bhej diya… Dekhta hai koi usse dhund bhi pata hai ki nahi…..
Ab Aage….
Shubham: Lagatar apne bhakshak roop mei rahena ki vajah se usse uss kamre mei behad pareshani ho rahi thi aur uska gussa bhi behad bad raha tha vahi jitna samaye vo apne bhakshak ka roop se bahar nikalta utna samaye vo behad jada asadharan ho jaata aur vo Kida usse nichod raha tha…. Inn sabhi baato se jaise vo behad jada hi pareshan aur behad jada chid chida ho gaya tha…. Usse ab behad gussa aa raha tha…..
Uska bus chalta toh vo agar abhi koi uske samne bhi khada hota toh usse khatam kar deta par fir bhi vo essa nahi kar sakta tha kyunki uska jaadu kaam kuch karta nahi usse nuksaan aur pahucha raha tha……
Emrano: Vo bhi Shubham ki essi halat dekh behad pareshan tha kyunki usse pata tha ki samaye behad kam hai aur ab unhe yaha se koi nahi bacha sakta hai jab tak ki bahar se koi aam insaan iss jagah ko khatam nahi kar deta….. Usse pata tha ki Shubham ka pass behad samaye nahi hai kyunki agar usne uss Kida ko nahi roka toh vo usko puri tarah se khatam kar dega aur usse apni bhakshak ki shaktiyo ko bhi abhi sikhna tha….. Jab usse kuch nahi samajh aaya toh usne bus Shubham ko shant karne ka liya usse dhyan lagane ka liya kaha aur apne ander apni sabhi urja ko mehsoos karne ka liya kaha…..
Shubham: Usse Emrano ki baat samajh nahi aayi ki usne essa kyu kaha par fir bhi karne ko ab kuch tha nahi aur yaha se nikalna uske liya behad jaruri tha par koi rasta tha nahi islye usne yahi karne ka socha…..
Usne apni aankhe band ki aur ek baar dhyan mei baith gaya….. Aaj dhyan mei bhakshak roop mei baithne par usse behad hi kam samaye mei apne sharir ki urja ko mehsoos karne laga….. Usse ya baat ab samajh aa rahi thi ki uska bhakshak roop uske samanye roop se jada shakti shali hai aur islye hi sabhi uske iss roop se darte hai…. Vo aankh band kiya bus apne man mei apni sabhi White aur Black Energy ka source ko mehsoos kar raha tha ki achanak ki usse ek baar firse khudke man mei do aankhe dikhi, jismei ek Laal thi toh dusri Safeed…..(Ya wahi aankhe hai jo Shubham ko sabse pheli baar Blue Dragon ki energy ko khudmei jodne ka baad dikhi thi….. Aur jinko dekh usse behad peeda bhi hui thi…..)
Vo unn dono aankho ko dekh raha tha ki ek baar firse usse dard hone laga apne ander par iss baar vo nahi ruka aur apna dard sehan karke unn aankho mei dekhta raha ki tabhi achanak jaise uska saara dard gayab ho gaya aur uske liya sab kuch tham gaya….. Bus usse apne pass ek hi chij ki anubhuti ro rahi thi vo thi vo safeed aur laal aankh…. Tabhi dekhta hi dekhta vo safeed aankh ki roshni behad tej ho gayi aur vo usse khichne lagi…..
Shubham uss roshni se khudko nikalne ki koshish karne laga par uss takat ka aage vo behad bebas aur behad laachar se mehsoos kar raha tha….. Vo uss safeed aankh ka ander khichta hua chala gaya aur kaafi der baad jab safeed roshni kam hui aur vo dekhna ka kabil hua toh jo usne dekha usse dekh vo behad jada shock ho gaya…..
Kyunki iss samaye vo ek behad bade maidan mei tha jaha dhur dhur tak sirf ghaas aur uss ghaas par lage alag alag rang birange paid pauda tha aur unn sabhi par unke rang ka saman hi phool lage hua tha…. Jaha tak najar jaati vaha tak sirf aur sirf usse yahi dekh raha tha par usse jada jo baat usse behad ajeeb lag rahi thi vo ya ki usse ya jagah apni si lagi jaise vo iss jagah se juda hua ho…..
Vo iss jagah ka baare mei jaane ka liya behad jada hi utsuk tha aur usse jada vo ya jaana tha ki vo yaha pahucha kaise kyunki magic toh ho hi nahi sakta tha…. Essa behad sawalo ka javab tha jinhe vo jaana cahata tha….. Abhi vo kisiko dhundna ki soch raha tha ki tabhi vaha ek safeed roshni aakar ruk gayi uske samne……(Isse yaha hum aakarati kahega) (Awaj ek ladki ya aurat ki thi)
Shubham: Mei acha hu par kya aap janti hai mei kon hu…..???
Aakrati: Janti hu behad ache se janti hu aur itna janti hu jitna tumne kabhi khudko nahi jaana hai aur na hi shayad jaan sakoge….
Shubham: Agar essi baat hai toh aap ya bhi janti hogi ki mei pareshan kyu hu aur kamjor bhi….???
Aakarati: Janti hu vo bhi janti hu par tumse sunna cahati hu kyunki apni pareshani ko kisika saath baatne se humesha aapko thoda sukoon milta hai fir cahaiye samne vala phele se janta ho ya nahi…. Iss sukoon ka saath kabhi kabhi aadmi ko koi essa sujhav bhi mil jaata hai jisse aadmi apni musibat se nikal sakta hai…..
Shubham: Iska matlab ya hua ki aapko ya bhi pata hai ki meri pareshani khatam kaise hogi toh fir aap mujhe siddha siddha kyu nahi bata deti hai…..???
Aakarati: Duniya mei kisi bhi chij ko bina parishram ka paana par uss chij ki kadar aur kimat kabhi nahi raheti hai…. Jaise tumhai apni mili White aur Black Energy dono ki hi kimat nahi pata hai…. Kyunki inko paane ka liya tumne koi behad adhik prayas nahi kiya hai bus unko apne control mei karne ka liya kiya hai jo ki paane se kayi jada aasan tha…..
Jitni Shakti tumhare ander hai utni shakti ko paane ka liya yadi koi parishram kare aur fir unhe paaye toh uss insaan ko iss duniya mei kamse kam 1 crore saal se adhik jeena hoga uske baad bhi iss baat ka vishwas nahi hai ki vo itna sab kuch paa sakega par iss baat ka vishwas hoga ki jo sab kuch uske pass hoga uske samne koi kuch nahi hoga…..
Tum apni mili urjao ko aaj tak nahi samajh sake ho aur na hi unse puri tarah jud sake ho…. Indra, AS, Alvace, Glimo, Elika, Manthra aur inn sabse upar do naam Blue Dragon aur Emrano koi bhi tumhai tumhari urja se aaj tak nahi jod saka…..
Iske upar tumne Guru Trajang se shiksha na lekar unke bacho se shiksha le rahe ho jabki tumhai unse jo sikhne milta uska koi mol nahi hota…. Tumne Sword of Destruction ko khudse dhur kiya aur uske baad apne hi ek roop ko dharti bheja vaha se jaadu khatam karne ka liya taaki tum Dharti par jadu kar sako…..
Tumhai pata hai tumne apne jeewan mei har pal aur har kadam par galat faisle liya hai…. Apni aankho ka samne sab kuch hota hua bhi tum kuch dekh nahi saka bus apne man ki bhavnao ka saath sab kuch kar rahe ho jiski vajah se aaj tum yaha pahuch gaye ho…. Essi jagah jaha Kida aur Brown Ash dono hi tumhai puri tarah se khatam kar rahe hai….
Tumhai nahi pata hai tumne apne liya musibato ka pahad aur ambaar bana liya hai jiski vajah se tum bilkul aage nahi bad sak rahe ho aur jaha tha vahi ya usse piche hi jaa rahe ho…. Tumne bich mei apni shiksha chod behad galat kiya Shubham…. Tumhai apni saari shiksha ko purn karna cahaiye tha……
Tumhare dushmano ki ginti behad badi hai aur usmei se bhi do toh essa hai jinke baare mei tumhai shayad hi kuch yaad ho ya tum unhe bhul gaye ho par ek samaye vo dono bhi tumhare liya behad badi samasya bankar samne aayega jinka samna tumhai karne mei behad mushkil hogi…… Ya dekho vo Kida tumhare saath tumhare sharir mei kar raha hai…..
Ya kaheta hua uss Aakrati na Shubham ka samne uske sharir ka ander ka hisso ki ek chavi pesh kardi jisse dekh Shubham ko behad jhatka laga ki vo khud ya sab rokne ka liya kuch nahi kar sakta hai…..
Shubham: Aapko ya sab kaise pata….???
Aakrati: Abhi toh bataya tha ki jitna tumhai khudka baare mei jankar hai usse kayi guna jada mei tumhai janti hu…. Islye ya sawal chod do….???
Shubham: Toh thik hai aap mujhe bataye meine kya galat kiya….. Sword of Desruction ko khudse dhur karke kyunki agar Aaliya ko kuch ho jata toh fir kya karta, Place of Mountain and River ka logo ko vo keeda pura khatam kar deta tab tak mei vaha kya karta essa hi khada dekhta…..
Mera upar iss brahmand ki raksha ki jimmedari hai kyunki mei Rakshak hu iss brahmand ka…. Essa mei logo ki jindagi bachana mera phela kaam hai…..
Aakrati: Wah aaj badi Rakshak ki baate kar rahe ho vaise toh kabhi khudko Rakshak ka roop mei tumne nahi samjha…. Humesha tum yahi toh sochta ho ki mei ek aam insaan hu jisse ya supaer natural power mili hai aur jabardasti mei iss chij mei fas gaya jabki mei iske layak bhi nahi hu…..
Aur rahi tumhare faisle ki baat toh vo dono hi faisle galat tha kyunki vo dono faisle dimak ka saath nahi dil ka saath kiya gaye tha…. Jab faislo mei kewal dil hi raheta hai toh unn faislo ka sahi aur galat hone ka pata nahi chalta hai….. Kya tumne ek baar bhi Dream World mei jaane ki saari baate sochi thi, kya tumne kabhi bhi uss Kida ka baaremei puri jankari lena ki koshish ki thi….. AS, Alvace, Elika ya baaki tumhare saathiyo na jo tumhai baate batayi bus wahi baate tumne aankh band karke maan li…… Na jaane kitno na tumse kitni baar kaha hai ki kabhi kisipar aankh band karke bharosa nahi karna kon apna hai aur kon paraya tumhai ya bhi nahi pata hai abhi tak……
Ab tum kahoge ki unki baat nahi maanu toh saari jankari kaha se lu toh tumhai khud iss sawal ka jawab yaad hai….. Tumhare pass kuch essi kitabe bhi hai jinke jariye tum iss brahmand ka kisi bhi chij ki jankari le sakte ho, ya vahi kitab thi jo tumhai Willy ka saath uss Jadui gali mei phele books ka saath mili thi….
Shubham: Ha meine Sword chodi par mujhe ya bhi pata hai ki uske baare mei ek insaan janta hai jisse meine surakshit rakha hai taaki sahi samaue par mei jakar Sword ko vaha se nikal saku…… Uss samaye mera liya Aaliya ki suraksha hi sabse jaruri thi…..
Aakarati: Tumhari iss baat na mujhe bata diya hai ki tumhare ander gyan ki behad kami hai, tum abhi bhi iss duniya ko samajh nahi sake ho aur na hi jaan sake ho…….Ya tumhari galat soch hai kyunki jiss Dream World mei Aaliya thi vaha vo kabhi kaid hi nahi ho sakti thi fir cahaiye vo kahi bhi chali jaaye kyunki vo uss World ki asli Maharani hai jisne uss World ko janam diya hai uski beti hai vo…. Vo pura Dream World uski Maa ka dimak ki soch se bana hai jaha vo apne aur iss duniya ka har insaan ka sapno ko sambhal kar rakhna cahati thi….. Vo ek essi duniya ka nirman karna cahati thi jaha vo duniya ka har insaan ka sapne ko surakshit rakh sake par sahi samaye aane par vo unke sapno ka istemaal kar iss sansar ko surakshit kar sake….Islye usse vaha kaid karna behad dhur koi ek chot bhi nahi pahucha sakta tha…..
Dusri baat jaha vo jaa rahi thi agar vo usmei kud jaati toh vaha usse apni Maa ki vo sabhi yaade vapas mil jaati jo unse judi thi aur un yado ka saath usse apni Maa ki saare Jadu ki jankari bhi mil jaati jiski vajah se usse kisi bhi tarah ki dikat nahi aati ulta vo tumhai aage badne mei aur bhi jada madat karti…..Ya ek afwa thi ki jo bhi uss kuwa mei kud gaya vo kabhi vapas nahi aayega jabki vo jagah sirf aur sirf Aaliya ka liya banayi gayi thi taaki vo apni Maa ki yaado ko paa sake aur uske jariye usse sab kuch gyan mil sake….
Teesri baat tum jiss Sword ko vapas paane ki baat kar rahe ho tumhai ya andaja bhi nahi hai ki vo Sword kaha chali gayi hai…. Uss duniya se Sword vapas laane ki tumhari kabiliyat nahi hai, laana behad badi baat hai tum uss duniya ka mukhya dwar tak bhi nahi pahuch sakte ho aaj ki tarik mei kyunki tumhari Urja aur tumhara sharir ek nahi hai, jiski vajah se tum caha kar bhi vaha ka mukhya dwar ka magic nahi rok sakte ho aur usse bina roke aage jaana tumhare liya asambhav hai…. Jo bhi tumse ya kaheta hai ki tum ek pal mei iss duniya ko khatam kar sakte ho toh vo tumhai sahi toh kaheta hai par vo ya nahi janta hai ki tum essa karne mei kamyab nahi hoga kyunki tumhari Urja tumhari baat hi nahi sunti hai…..
Shubham: Mei ya samajh gaya hu ki meine koi kaam sahi nahi kiya hai aur aap iss baat se khush nahi hai…. Jo hua usse mei badal nahi sakta hu par unhe sahi karne ki koshish kar sakta hu par uske liya mujhe iss duniya se bahar nikalna hoga aur usse jada uss Kida aur Brown Ash ka ghar se jo ki impossible hai toh mei ya kar nahi sakunga……
Aakarati: Bus yahi kami hai tumhare ander, Gyan ki…. Ek baat yad rakho jiske pass gyan hai uske pass iss sansaar ki har samasya ka hal hai fir vo kitni bhi jatil kyu na ho…. Duniya mei log kaheta hai ki mehanat karne se safalta milti hai par yadi aap sahi disha mei mehanat nahi karoge toh sirf mehanat karoge par fal kuch nahi milega….. Islye sabse phele apna gyan badane ki koshish karo….. Ya kahena ka baad ek kitab uss urja se nikalti hai aur aasman mei hi ruk jaati hai…..
Ya kitab ab se har samaye tumhare ander rahegi jab bhi aur jaha bhi samaye mila isse yaad karo ya tumhare ander rahe kar hi har din tumhare gyan ko badayegi….. Har gujarte samaye ka saath tumhara gyan badega jiski tumhai ab aage aane vale samaye mei sabse jada jarurat hai…..
Ek baat aur yaad rakho ab tumhai sab kuch chod kar sabse phele Swarn Nagar jana hoga jaha tumhai apne Bhakshak hone ki shiksha milegi aur saath hi iss Kida ka hal bhi mil jayega….. Yaad rakho Emrano iss duniya ka bhakshak jarur tha par uske jeewan ka aakhri samaye mei vo bhakshak hi iss sansaar ka sabse bada rakshak tha jiski vajah se Imosopher jaisa Shaitaan itne samaye tak kaid raha islye apne Bhakshak ko bura samajhne ki jagah bus usse pura dhyan se sikho aur humesha man mei achayi rakho jisse tumhara bhakshak na tumhare upar kabhi haawi hoga aur na hi jo pareshani tumhai har pal mei gussa ki vajah se ho rahi hai vo hogi….
Aur rahi baat yaha se nikalne ki toh shayad tumne sahi se uss Alpha ki baat ko dhyan nahi diya tha…. Uss Brown Ash se tumhara Bhakshak roop ho ya dusra vo nahi nikal sakta hai kyunki unmei magic hai par agar tum kuch samaye ka liya apne sabhi jaadu ko samet kar unhe uss kamre mei maujood kisi bhi chij mei daal do toh tum ek behad samanye insaan ban jaoge Shubham aur uske baad vo Brown Ash tumhai nuksaan nahi pahucha sakegi aur ek baar tum bahar aa gaye toh tum bahar aakar bus kahi se bhi uss Ash ko saaf karo aur uske baad tumhari saari Urja firse tumhare ander aa jayegi…..
Par ya bata deti hu Urja ko ikhata karne mushkil hai kyunki tumhai dhyan lagaye behad samaye ho gaya hai…. Har din dhyan mei baitho isse tumhai apni Urja se judna mei behad acha mehsoos hoga aur tumhari Urja tumhara saath nahi chodegi…..
Shubham: Aapne mujhe itna sab kuch bataya par kyu aur usse badi baat aap kon hai aur vo aankhe…..???
Aakarati: Tum sirf abhi apni musibato aur gyan par dhyan do…. Har badte samaye ka saath jaise jaise tumhara gyan badega vaise vaise hi tumhai har chij samajh aa jayegi, ek baat aur agar tumhai apni kami sun bura laga ho toh fir tum aage nahi bad sakoge islye jo meine kaha hai uske liya pura sochna aur ho sake toh aane vale samaye ka faisla soch kar aur kewal dil se ya kewal dimak se nahi dono ko saath rakh kar karna…. Ab jaao….
Shubham: Kuch kaheta ya karta usse phele hi mei gayab ho gaya aur ek baar firse khudko apne man mei hi paaya jaha sabhi kuch ek baar firse vaisa hi tha ruka hua jaisa mei tha aur mera aankh kholte hi sab firse samanye ho gaya tha……
Shubham: Vo kon thi aur kya thi ya nahi pata par sirf itna pata hai ki unhone behad baate boli hai aur jo unhone mujhe samjhaya hai vo sach hai agar toh fir sach mei mujhc behad galtiya hui hai….. Khair abhi sab chod kar mei sabse phele apni urja ko ikhata karta hu……
Yahi soch vo ek baar firse dhyan mei baith gaya….
Aage agle update mei dekhta hai ki aakhir Shubham kya apni urja ko sahi se ikhata kar paata hai ya nahi aur saath hi idhar bahar duniya mei kya sab ho raha hai Shubham ka ek dum se chale jaane se…. Sab kuch aage kahani mei jaane ko milega…..
Pichle update tak aapne dekha tha ki kaise Shubham ko gyaan milta hai ki usne kitni galtiya ki hai aur vo ab apni inn do mushkilo se kaise azad ho sakta hai….. Usne jaana ki uski knowledge iss duniya ka liya behad kam hai aur iss kam jankari ka saath vo iss duniya mei nahi jee sakega…. Vo jo faisle leta tha vo faisle behad kam jankari aur behad kam soch ka saath leta tha jiski vajah se acha karne ka soch kar bhi vo galat kar deta tha…..
Ab aage:
Shubham: Jaisa usse aakrati se jankari mili thi ki vo agar khudko iss musibat se bachana cahata hai toh usse apni shaktiyo ko ikhata karke ek khudse alag karna hoga aur khudko ek samanye insaan mei badalna hoga….. Ek essa insaan mei jiske pass jaadu ka koi kan bhi shesh nahi raha ho….. Par usne ya bhi jana tha ki khudko uss roop mei badalne mei usse behad kadi mehanat karni padegi kyunki ya bilkul bhi aasaan nahi hai……
Khair vo phir dhyan mei baith gaya aur apni sabhi urja ko ek jagah lakar niyantrit karne ki koshish karne laga….. Kayi baar koshish karne ka baad bhi vo kamyab nahi hua iss bich Emrano na usse pucha ki vo karna kya cahata hai jiske jawab mei usne unhe bus yahi kaha ki vo apna kaam kar raha hai…..
Chaliye thodi der Shubham ko akela chod kar hum lo vapas chalte hai Land of Mountains and Rivers…
Yaha AS aur Alvace dono hi behad pareshan tha kyunki unhe khabar mil gayi thi ki Shubham Siyam ka yaha bhi nahi hai… Unn dono ko samajh nahi aaya ki achanak Shubham kaha chala gaya vo bhi essa bina kuch kahe…..
Alavce: Kahi Imosopher na kuch kiya….??
AS: Nahi Imosopher kuch nahi kar sakta hai kyunki Shubham ka saath Emrano hai ya baat Imosopher bhi janta hai…. Vo ya bhi janta hai ki Emrano uski duniya ki barik se barik achayi aur burayi dono janta hai….. Emrano ko ache se pata hai ki Shubham ko uski duniya se kaise nikalna hai aur kya chij vaha uska kuch nahi bigad sakti hai….. Essa mei vo itni badi galti nahi kar sakta hai…..
Alvace: Fir vo achanak shadi ka bich se kaha chala gaya…..
AS: Iska javab Aaliya se puchta hai….Vo iss waqt Shubham ka dimak ka saath judi hai, jiske jariye vo kahi bhi Shubham se baat kar sakti hai, islye shayad vahi humari madat kar sakegi…..
Alvace: Toh fir deri kis baat ki hai…. Usse baat karo aur pucho….
AS: Hmmm…. AS apne dimak ko Aaliya se jodhta hai aur usse sab kuch bata deta hai……
Aaliya: Mei usse baat karne ki koshish karti hu….. Ya kahe kar vo apni aankhe band karti hai aur Shubham se baat karne ki koshish karti hai, par koi baat kar nahi paati hai…. Kyunki vo khudko Shubham se jod nahi paa rahi thi…..
Aaliya: AS mei Shubham se khudko nahi jod paa rahi hu..... Mei abhi vaha aati hu kyunki aajse phele kabhi essa nahi hua ki mei usse jud na saki hu…..Mujhe kuch badi baat lag rahi hai…..
AS: Hmmm aa jao tum bhi….
Alvace: Kya hua, kaha hai Shubham.
AS: Nahi pata….. Vo bhi uss tak nahi pahuch saki…..
Alvace: Iska matlab Elika ko hi usse dhundna padega apne jaadu se…..
AS: Par abhi….
Alvace: Ha abhi…. Ya kahe kar vo Elika ko bula leta hai aur usse saari baat karte hai….
Elika: Alvace rukiya mera jaadu se abhi Shubham ka pata chal jayega…. Ya kahe kar vo Shubham ko dhoodna ka liya apni energy release karti hai….. Karib 1 minute mei hi uski energy laut kar aati hai……
Aaliya: Kaha hai Shubham…..
Elika: Pura pakka pata nahi par mujhe lagta hai vo kisi musibat mei hai…. Kyunki meri energy ek jagah se reflect ho kar vapas aa gayi….. Aur vo jisse reflect hokar aayi hai vo Shubham nahi hai bulki koi diwar si hai…..
Aaliya: Hume chal kar dekhna cahaiye….. Aur Charo uski baat maan vaha se gayab hokar nikal jaate hai…..
Jaise hi vo vaha pahuchte hai samne ka najara dekh Aaliya ka alawa teeno chauk jaate hai……
Aaliya: Ya toh koi ghar jaisa hai…. Chalo hum ander chal kar dekhta hai…..
Elika: Nahi hum isse chu bhi nahi sakte hai… Ya Brown Ash hai Aaliya…. Iska istemaal Emrano se khudko bachane ka liya kiya jaata tha…. Iske upar koi jaadu aur jadugar ka asar nahi hota hai….. Purane samaye mei Jadugaro ko iske ander kaid kiya jaata tha jiski vajah se vo kabhi bahar nahi nikal sakte tha….. Unhe bahar se hi bahar nikala jaa sakta tha aur vo bhi kisi insaan ka duwara ya fir essa vyakti jiska jaadu se dhur dhur tak ka vasta na ho….
Aaliya: Par Shubham yaha ander kaid kaise ho gaya…..???
AS: Iska javab sirf Shubham de sakta hai, aur hum usse baat nahi kar sakte hai…. Hume usse judne ka koi dusra tarika dhundna hoga…..
Aaliya: Hum kisi insaan ko bulaye toh…..
Elika: Par essa koi bhi iss duniya mei nahi milega…. Kyunki ab iss duniya se aam insaano ki prajati ko Emrano na barso purv hi khatam kar diya tha…… Yaha ab har maujood vyakti mei ek behad chota sa hi ansh hota hai par hota jarur hai jaadu ka jiski vajah se koi bhi isse bahar nahi aa sakta hai…….
Aaliya: Toh ab hum Shubham ko yaha se nikalega kaise…..???
AS: Iska hal bus ab usse khudko dhundna hoga, hum log bhi iss duniya mei usko dhoondta hai jo humari ismei madat kar sake….. Chalo…..
Sabhi vaha se nikal jaate hai……
Idhar Shubham kayi baar koshish karne ka baad bhi safal nahi hua tha…. Iss koshish se vo behad jada thak gaya tha aur usse behad thakan mehsoos ho rahi thi….. Usne kuch der ruk kar firse shuru karne ka socha.......
Shubham Chalo uss kitab ko hi padhta hu, thoda apna gyan hi bada lu….. (Man Mei) Kitab meri shiksha shuru karo…..
Kitab: Jee jarur….. Sabse pheli chij jo aapke gyan ko badhane ka liya hai vo aapse judi hai…. Aapko sabse phele ya jaana hoga ki sharir mei maujood sabhi shaktiya aapke sharir mei faili nahi hoti hai, bulki vo sabhi shaktiya aapke sharir ka kisi ek hisse mei hoti hai….. Sabhi shaktiyo ka vahi ek maatr istrot hota hai jaha se vo nikalti hai aur apke sharir mei alag alag jagah failti hai jaha se usse khudko badhane ki shakti milti hai…..
Islye yadi aap apne sharir ka uss istrot ko khoj le toh fir aap apni sabhi shakti aur urja ko samajh sakte hai aur unhe apne hissab se kaabu kar sakte hai….. Ab aapko jaana hai apne sharir ka istort ko toh usko dhundne ka ek behad saral upaye hota hai aapka dimak….. Aapka dimak sharir ka har hisse se juda hota hai, jiski vajah se aapka dimak sharir ka jiss hisse ko kaam karne ka aadesh deta hai vo turant kaam karne lagta hai essa hi aapke sharir mei koi bhi pareshani ya koi bhi nayi ya aam taur par nahi hone vali chij bhi usse turant pata chal jaati hai…. Islye aapko aapne dimak par focus karke usmei dhundna hai ki aapke sharir mei essi konsi jagah hai jo shakti ka istrot hai….. Usse jaan usko kaabu karna behad aasaan hai….. Aap issi se shuru kijiye ho sakta hai koi baat ban jaye……
Shubham: Iska matlab uss aakrati mei maujood mahila ko phele se hi pata tha ki mei ya nahi kar sakunga islye unhone phele shuruwat isse kari….. Kuch toh baat hai jiss tarah se vo mujhe bol rahi thi essa lag raha tha jaise vo pura haq se bol rahi ho, jaise vo mujhe sadiyo se janti ho…..
Chalo jab kuch unhone sikhaya hai toh vahi sahi…. Mei ab iss kitab mei di sabhi baato ko sahi se samajhne se shuruwat karta hu taaki mujhe koi pareshani nahi ho aur koi galat faisla na lu….. Uske baad vo fir aankhe band kar apne dimak mei jhakne laga…. Vo dhoodna laga uss baat ko jaha se usse apne sharir ki urja ka istort mil sake…..
Kaafi der mehanat ka baad aakhir meine ya jaan hi liya ki mera sampurn sharir mei jo urja raheti hai vo sabhi mera sharir mei dila ka pass sunhare rang ka moti hai vaha se nikalti hai….. Meine apna dhyan uss moti ki taraf bada diya, mei usse dhundna laga aur kuch samaye baad vo mujhe mila bhi…. Par ya moti behad chota tha jisse meine kabhi nahi dekha tha….. ABhi mei kuch harkat karta ki usse phele hi kuch awaj sunkar mei ruk gaya…..
Pheli Awaj, Ya awaj kitab ki thi…..
Kitab: Ab samaye hua hai aapko dusra gyan dena ka…… Iss sansaar mei maujood har manushye ko cahaiye vo samanye ho ya fir behad shakti shali, kuch samaye usse apne liya bhi nikalna cahaiye…. Jeevan mei kaam aur jimmedariya humesha hi aayegi aur jayegi aur jab tak aap jeevit ho aap unse nahi bach sakte ho….. Essa mei kabhi kabhi apne kaam aur jimmedariyo ko dhur kar apne liya aur apne nikat ka logo ka saath bitana cahaiye kyunki beeta samaye laut kar vapas kabhi aata nahi….. Vaise hi aapka nikatam kabhi ruth gaya toh vo kabhi lautega nahi……
Inn sabhi se upar apne liya samaye dena islye bhi jaruri hai ki jab aap apne liya samaye nikal khudko jaane ki koshish karte ho uss samaye aapko apne sharir se judi kayi chije pata chalti hai vahi yadi aap khudko samaye dena ki jagah bus mehaj har samaye kaam mei hi lage rahoge toh fir aap behad barik par behad kimati chije chod sakte ho jaise ya moti jo aap dhyan karte hua bhi sirf apne kaam ka liya sochne par kabhi isse dekh na sake…..
Shubham: Matlab ya hua ki ab tum mujhe mera har ache bura kaam mei bhi gyan dogi chalo acha hai….. Ya jaan kar acha laga….. Par filhaal mei isse nikal leta hu, vaise kya koi khaas tarika hai tumhare pass isse apne se aazad karne ka……
Kitab: Ha behad aasan tarika hai…. Ya Moti aapke sharir mei raheta hai islye aap isse jo kahega ya vahi karega….. Aap dhyan mei hi isse apne se bahar laane ki koshish kijiye, aapki baat sun kar ya khud hi aapke sharir se nikal jayega……
SHubham: Thik hai…. Aur ya kahe kar vo apne sharir ka andruni hisse mei kho gaya jaha vo Moti ko lagataar bahar aane ko kahe raha tha…. Uske iss baat se Moti ko koi farak hi nahi pada ulta vo aur jada ander chala gaya…… Ya kya hua, meine isse bahar aane ko kaha aur ya toh ander chala gaya…..
Kitab: Kyunki aap khudki energy ko control nahi kar rahe hai vo moti control kar raha hai…. Aap apni energy ko control karo aur ya moti apne aap aapki sabhi baato ko maane lagega…..
Shubham: Thik hai…. ya kahe kar vo apni shaktiyo ko apne hissab se moti ka bahar nikalne lagta hai…. Jaise jaise uski shaktiya moti se bahar aa rahi thi vaise vaise vo Moti bhi bahar nikalne laga tha…. Dekhta hi dekhta vo moti Shubham ka sharir se bahar aa jaata hai…..
Ab Shubham behad samane insaan ban gaya tha jiske ander Jaadu ka kan bhi nahi bacha tha kyunki vo saara magic uske ander se nikaal liya gaya tha….. Usne ab jab deewar par najar daali to usse ek darwaja dikh gaya bahar jaane ka jo usse phele jaadu hona ki vajah se nahi dikh raha tha…. Yahi Brown Ash ki khasiyat hoti hai…. Vo kissi jadugar ko apne samne kamzor bana deta hai kyunki vaha uske jaadu se jada usse illusions dikhta hai jinko vo samajh nahi paata hai aur khud bhi halke halke hallucination mei hota hai…..
Khair vo darwaje se bahar nikalta hai aur uske agle hi pal vo uss jagah se Brown Ash ki uss deewar ko girane lagta hai…. Jaise hi ek chota s ached usmei hota hai vo turant apne Moti ko yaad karta hai aur vo moti uss ched mei se nikal kar uske ander sama jaata hai…..
Ek baar firse Shubham aazad ho jaata hai aur apne purane roop mei aa jaata hai….. Vo ek baar fir bhakshak ka roop le leta hai…..
Emrano: Tumne ya sab kaise kiya aur kaha se sikha….. Tum phele ho jisne Brown Ash ko bheda hai…..
Shubham: Nahi…. Mei second hu…. Mujhe phele bhi koi hai jisne ya kiya hai….. Isse jada mujhc kuch nahi puchna aur na kahena….. Hum log abhi ka abhi SwarnNagri jaa rahe hai meri aage ki Black Magic ki shiksha ka liya…. Ab hum vo karega jo mei kahunga aur jaisa mei kahunga…..
Emrano: Thik hai…. Mujhe ismei koi pareshani nahi hai…..
Shubham: Mei Elika se jaane se phele mila bina nahi jaa sakta hu…. Mujhe usse sab batana hoga aur usse ya bhi samjhana hoga ki mera piche se usse kya karna hai…. Itna mujhe pata hai mera yaha se jaate hi Imosopher aur Draco iss duniya mei aatank macha dega aur essa mei inn logo ko savdhan hona hoga aur khudko chupa kar rakhna hoga…..
Vo vaha se gayab hokar Elika ko sandesh bhejta hai…. Elika Shubham ki awaj sun hi chauk jaati hai….
Elika: Shubham, tum Brown Ash se bahar kaise aaye….???
Shubham: Elika ya sab baato ka samaye nahi hai….. Tum mujhe apne Rajye ki seema par milo, mujhe tumse baat karna behad jaruri hai…..
Elika: Thik hai….
Elika aankh band karti hai aur vo vaha pahuch gayi thi…… Jaise hi vo samne dekhti hai Shubham usse apne samne hi dikhta hai… Uski halat behad achi nahi thi vo khudko behad kamzor mehsoos kar raha tha….. Usse dekh Elika ghabra gayi…..
Elika: Shubham tumhai kya hua hai….. Chalo ander chalte hai…..
Shubham: Elika abhi ya sab baato ka samaye nahi hai….. Meri Baat dhyan se suno, mei kuch samaye ka liya jaa raha hu sabse dhur jaha tum sabhi mei se koi bhi mujhe dhoond nahi sakega kyunki mera upar ek kawach aa jayega jiski vajah se mujhe tum sabhi mehsoos bhi nahi kar sakoge…..
Mera jaane ka baad Imosopher aur Draco iss duniya mei apna adhikaar badhane ki koshish karega….
Elika: Tum tension mat lo, hum unhe essa nahi karne dega…. Hum unka jamkar samna karega…..
Shubham: Nahi mei vahi batane yaha aaya hu…. Tum sabhi mei se koi bhi uske samne nahi jayega…. Vo jo bhi kare par uske samne mat aana….. Tum sabhi logo ko bhi ya baat samjha dena ki kuch bhi ho jaaye koi bhi unn dono ka samne nahi aayega…. Kyunki unn dono ki shakti behad bad gayi hai….. Tum dono mei se ek baar mei kewal ek ko sambhal sakti ho dono ko saath nahi islye behatar hai tum bhi dhur raho…..
Tumhari iss duniya ko meine apne suraksha kawach se dhak diya hai, iski vajah se vo yaha aakar bhi kabhi nahi aa sakega…. Tumhai humare sabhi logo ko yaha apni duniya mei surakshit rakhna hai…. AS ar Mariana ko bhi ya kahe dena ki vo dono bhi yahi rahega…..
Elika: Thik hai Shubham jaisa tum kahe rahe ho hum vaisa hi karega….Par….
Shubham: Bharosa rakho ya bhakshak hi iss sansaar ka sabse bada rakshak bankar aayega….. Aur jab tak mei na aa jau kuch bhi ho yaha se nahi nikalna….
Ya kahe kar vo vaha se gayab ho gaya kyunki ab aur der vo nahi kar sakta tha…. Usse sabse phele Simha se milna tha jo aage uski shiksha ko badhane vali thi…… Par vo gayab hokar Swarn Nagar pahuch paata hai ya nahi ya aage jaanega......
Shubham ka jaane ka dukh Elika ko tha par usse ya bhi pata tha ki uska jinda hona behad jaruri hai aur essa mei Shubham ka jaana jaruri tha…. Usne sabhi logo ko ya khabar de di ki Shubham gaya aur saath hi usne sabhi logo ko apni duniya mei bhi pravesh karwa diya….
Paristan duniya ki kalpana se bhi jada sundar aur khubsurat ek duniya jaha sab kuch essa hota hai ki bus aap apni aankhe aur palke jhapkana hi bhul jao….. Kya dekho aur kya nahi dekho ya sab mei hi aapka jeevan ulajh kar rahe jaata hai…. Par iss duniya ko dikhna ka saubhagya behad hi kam logo ko milta hai ya fir kahu ki milta hi nahi hai….. Har koi pariyo aur unki khubsurati ki baate karta hai par unhe dekh paana behad mushkil hai…. Aaj jab Elika apni duniya mei lekar sabhi ko aayi tab unhone asli Elika ka roop dekha the Fairy Queen ka roop…. Usse uss roop mei dekh ladko ka saath saath ladkiyo ki bhi aankhe jaise bus khul kar bahar aane ko betab thi…. Unhe vishwas nahi ho raha tha ki koi itna sundar kaise ho sakta hai……
Kuch samaye ka liya sabhi log bhul gaye tha ki Elika na unn logo ko yaha laane ka karan kya hai…..Sab bus paristan ya kahu Fairy World mei hi kho gaye tha….. Inhe bus iss duniya mei rahena deta hai.....
Idhar Shubham ka jaane ka pata Imosopher aur Draco dono ko laga kyunki Shubham ki energy ko koi mehsoos nahi kar paa raha tha…. Uske jaane ki khabar maatr se hi vo dono behad khush ho gaye kyunki unhe pata tha ki jab tak ab vo nahi hai unke pass yahi mauka hai iss duniya ko apne adhin karne ka…. Kyunki unki shakti ko koi nahi rok sakta hai….
Unki soch galat bhi nahi thi…. Iss samaye unn dono ko milkar rokne ka samarthya kisika pass nahi tha…. Agar dono mei se kisi ek se ek baar mei ladna ho toh fir uss paristhiti mei Elika unse na 19 padegi aur na hi 22…. Par agar Elika Satrangi Shaktiyo ko aazad kar deti hai toh fir ya samajh lo ki bus fir Elika unse 22 nahi bulki 100 hi padegi….. Par vo dono bhi ya jaante tha ki vo essa nahi karegi…..
Islye unn dono ka aatank iss duniya mei shuru ho gaya… Ek ek karke unhone behad saari duniya ko apne adhin kar liya aur vo aage bhi bad rahe tha…. Unka rukna ka kaam bilkul nahi tha……
After an year…..
Aaj pura 1 saal ho gaya tha Shubham ko gaye hua par iss ek saal mei kisine uska baare mei kuch nahi suna…..
Chaliye dekhta hai aage kya hota hai tab tak ka liya bane rahe kahani par…..
Special Notice: Friends I am not promising you ki mei aapko har din update dunga ya alternative de sakunga…..I will try to give as much updates as much I can, but kyunki mei apni jindagi mei behad uljha hua hu islye update dena mei deri ho jaati hai…. From Now I will continue story again…..
Pichle update tak aapne dekha ki Shubham na khudko kaise Brown Ash ka chungal se nikala ek kitab aur ek aakrati ki vajah se…. Vaha se nikalne ka baad Shubham apni aage ki shiksha puri karne chala gaya par jaane se phele vo Elika aur baaki sabhi ko bata gaya ki unhe kya karna hai…..
Ab Aage….
After a year…..
Aaj pura ek saal bit gaya hai Shubham ko gaye hua….. Iss ek saal mei Shubham ki gair maujoodgi mei Imosopher aur Draco dono hi behad khukhaar ho gaye kyunki unhe kisika dar nahi tha…. Issi vajah se unhone apni shaktiyo ka istemaal kar sabhi dishao mei apna kabza jamana shuru kar diya…. Jo unke raste mei aata vo sab ya toh Maare jaate ya fir Kaid kiya jaate…..
Marne valo ki shankhiya behad hi kam hoti aur kaid karne valo ki behad jada….. Duniya ka har Rajye ko dhere dhere karke Imosopher na apne adhin kar liya tha ab bus bache tha kewal kuch hi Rajye jinpar uski najar thi…. Ismei lagbhag sabhi chote chote rajye hi tha par do behad bade Rajye tha….. Jismei ek tha Rajkumari Marium ka rajye aur dusra tha Madam Mariana ka Pita ka Rajye…..
Aaj tayari thi Draco ki, usne apne sabse shaktishali aur sabse khaas saathi ko bheja tha apni lakho ki sankhiya mei saina ka saath jismei sab ka sab sirf aur sirf shaitaan hi tha….. Aaj vo sabhi Rajkumari Marium ka rajye par humla karne vale tha…. Rajkumari Marium ka Pita ek sache aur naik dil insaan tha jinhone humesha achayi aur White Energy ka saath diya….. Aaj bhi vo apne sampurn sainya bal ka saath Draco ka shaitaan ka saath ladne ko tayar tha…. Unhone faisla kar rakha tha ki vo aaj cahaiye jeevit na bache par apne sharir ka aakhri saas tak vo apne Rajye aur apni bhumi ko Black Energy ka adhin nahi hone dega…. Marium ka bhai na bhi apne Pita ka saath dena ka faisla kiya aur vo tayar tha apne Pita ka saath aaj ka youdh ka liya……
Idhar Paristan mei aaj ka youdh ki khabar sabhi ko thi….. Elika na Maharaj se baat bhi kari ki vo apni jagah chod de aur sabhi ko bhi par unhone usse saaf kaha diya tha ki unhe maut manjur hai par apne logo ko akele chodna nahi….. Marium apne Pita ki baat sun behad khush hui aur usne bhi faisla le liya ki vo aaj aur abhi apne ghar vapas laut rahi hai….. Vo bhi apne Pita ka saath apne logo ka liya ladegi…
Idhar Shubham ka baaki sabhi dost bhi sab Marium ki baat se sehamat tha kyunki sabhi na behad samaye intezar kar liya par ab vo aur intezar nahi karna cahate tha…. Essa mei sabhi logo na man bana liya aur vo aaj yaha se nikalne ka liya tayar tha…..
Nancy: Elika hum sabhi ko jaana hoga aur hume aaj mat rokna….. Hum sabne aaj tak jo bhi shiksha li hai vo sab bus issi din ka liya li thi ki hum apni duniya ka logo ko bacha sake aur agar ab hum essa karne ka liya nahi gaye toh ya humari shiksha ka apmaan hoga….. Shubham kaha hai aur kaha nahi iska kisiko pata nahi hai, vo kab tak aayega ya bhi nahi pata aur sabse badi baat vo Rakshak ka roop mei aayega ki nahi….. Islye hum sab jaa rahe hai fir cahaiye kuch bhi ho jaaye….
Abhi vo nikalne ki tayari mei tha ki Madam Mariana bhi unke saath jud gayi aur Aaliya bhi…. Vaha sirf AS,Alvace aur Elika hi rahe gaye tha….. Sabhi log vaha se nikal gaye aur Maharaj ka saath jakar youdh ka liya saj ho gaye….. Idhar Draco ka bheja hua khaas aadmi (Nairana) apni sanik bal ka saath Maharaj ka Mahal ki taraf bad raha tha…. Unse jab samne itna saare logo ko ladne ka liya saj dekha toh uske cehare par ek muskaan thi……
Vo unn sabhi mei se nahi tha jo apni baat bol kar samaye barbaad karte tha vo unmei se tha jo bolte kuch nahi bus karte tha…. Usne pal bhar mei hi apne logo ko youdh ki suruwat ka aadesh de diya aur khud dhur youdh se kahada tha…. Uske youdh se dhur rahena ka bus ek hi karan tha aur vo tha ki vo janta tha ki uski Sena sabhi se mukabla kar sakti hai aur agar vo cahata toh inn sabhi ko khatam kar deta siwaye Mariana ka par usse nuksaan behad pahucha sakta tha…..
Par vo apne asli pratidhwandi yaani Elika aur AS ka intezar kar raha tha….. Usse pata tha ki agar ya sab yaha hai toh vo dono jada samaye inse dhur bhi nahi rahega aur yaha aakar youdh bhi karega kyunki uski sena bal ka samne Maharaj ka sena bal kuch nahi tha aur vo unhe behad aasani se gher leta…..
Idhar youdh shuru hua aur sabhi josh se lad rahe tha…. Jaha Nairana ki Sena ka logo andha dhun aage bad rahe tha vahi Maharaj aur unke saathi bus sabhi ko maarte aage bad rahe tha, par unse ek galti ho rahi thi jiska khamiyaza unhe jaldi bhugatna hoga….. Idhar humla behad teji se ho raha tha dono taraf se tabhi Nairana na apne haath aage kiya aur uske haath se nikali kaali roshni jamin par padi…..
Idhar jamin par roshni lagi aur udhar uske Sainik jo sab abhi tak mare hua lag raha tha vo ek baar firse uth khada hua aur fir se youdh mei lag gaye….. Ya manjar dekh vaha maujood har kisi ko saap sungh gaya kyunnki agar essa hua toh vo usse kabhi maar hi nahi sakega…..Vahi vo saare ek saath chaaro taraf se ghir gaye…. Ya galti thi apne samne vale dushman ko na jaane ki ya fir agyanta ki….. Yaha sabhi bina kisi proper strategy ka bus bhid gaye tha aur jiski vajah se ulajh gaye tha…..
Ab jab chaaro taraf se humla hona shuru hua toh Maharaj ka sainik bal ki sankhiya nirantar girti hi chali jaa rahi thi aur essi girti sankhiya ko dekh jab Manobal dagmagana laga tabhi firse vishwas ki kiran liya dharti par pahuchi Elika saath mei tha AS aur Alvace aur paristan ki vishaal sena… Ya dekh iss baar hausla kamjor padh gaye Nairana ka…..
Usne ya toh anumaan laga liya tha ki ya iss youdh mei aayega par usne ya anumaan nahi lagaya tha ki iss youdh mei Paristan ki Sena bhi utar jayegi aur vo bhi iss bhari sankhiya mei….. Iss hui apratyaksh ghatna ka chalte ek baar toh usse sab apne haath se nikalte hua dikha par tabhi uske dimak mei kuch aaya aur uske cehare ki muskaan phir badi ho gayi…. Usne apne haath aage kiya aur fir Kaali roshni nikali aur iss baar vo aasmaan mei kaafi dhur jakar ek baar fir gayab ho gayi….
Idhar roshni gayab hui aur dhur aasmaan se hi lagatar sainik dharti par girna laga…. Ya sainik aam sainiko ka jaise nahi tha bulki ya kamse kam 8” se bade aur haatho mei aur sharir par sabhi taraf sirf loha hi loha tha aur kuch nahi….. Haatho mei bade bade bhala liya….. Par jo inka sabse khatarnak hathiyaar tha vo thi inki jibh jo ki bahar nikalti thi aur apne samne vale ko usmei fasa leti thi kyunki inki jibh jibh kam aur rasi jada thi jaise hi girgith ki hoti hai…..
Ab idhar ek baar fir youdh na behad romanchak rukh le liya tha kyunki iss samaye abhi aaye sainiko na jaisa humla bola tha usse jo Nairana Elika aur uske logo ka samne kamjor padh raha tha vo ek baar firse unhe kadi chunauti dena laga tha….. Ab toh kudh Nairana bhi youdh mei kud pada tha aur iss vajah se manjar behad hi khatarnak hone laga tha….. Par iss youdh mei ek sabse bada minus point tha aur vo ya ki Elika ki sena toh fir bhi nahi par Maharaj ki sena insaan hone ki vajah se vo log behad jaldi thak rahe tha, vahi Nairana ki sena ko jaise koi farak hi nahi padh raha tha…..
Paristaan ki sena apni Maharani ka liya apne pura shaurya se lad rahi thi aur unke ladne mei bilkul bhi kami nahi aa rahi thi…. Unke liya vo 8” ka sainik ki chunauti koi behad badi chunauti nahi thi par vo ya bhi jante tha ki unhe sayam se ladna hai kyunki ya youdh lamba chalta dikh raha tha jiska karan tha insaani sena ka dhire dhire kam hona aur thak jana…..
Nikalte waqt ka saath hi Nairana ki sena na ek baar fir apna dabdaba bana shuru kar diya aur vo log baaki ko behad jada nuksaan pahucha rahe tha…. Elika aur AS ko toh koi chu bhi nahi sak raha tha par baaki sabhi Nairana ka shikaar ho gaye tha aur sabhi ko chota aane ki vajah se unka liya youdh ladna behad mushkil ho raha tha kyunki vo sab behoshi ki tarah bad rahe tha…..
Shyam hota hota youdh samapti ki taraf bad chala tha aur yaha Nairana youdh ko bus jeetna ka kagaar par hi tha ki tabhi essa kuch hua ki sabhi ki aankh bus fati ki fati rahe gayi aur isse toh Nairana bhi khudko shock mei jaane se nahi rok saka….. Vaha ghatit hi aisa kuch hua tha jiski vajah se sabhi bus dekh rahe tha aur kisika muh se shabd nahi nikal rahe tha……
Asal mei hua ya tha ki jab youdh jab laga ki bus khatam hone vala hai bus ussi samaye do behad bade gole aaye aur jamin par phat pade….. Ya dono gola alag alag colour ka tha…. Jaha ek Gola Laal Colour ka tha vahi dusra gola Peela colour ka tha….. Dono gola ka fatne ka baad ho manjar samne aaya ussi na sabka muh khula chod diya…..
Kyunki Jaha Laal Gola fata tha vaha uss area mei aasmaan se dharti par Aag ki varsha hone lagi thi….. Aasmaan se aag ka bade bade gole aakar dharti par lag rahe tha aur unn golo ka dharti par girte hi Nairana ki sena ka khatma shuru ho gaya tha…… Vahi Peela gola jaha gira tha vaha ki jamin dekhta hi dekhta dhas gayi aur uske baad jamin se nikala garama garam lawa…. Ya Lawa ek fuware ki tarah aasmaan mei jaata aur apne aap chota chota golo mei aasmaan mei tabdil hota aur Nairana ka sainiko ko jakar lagta aur vo log aag ka iss lawa ka bane golo ki garmi saha hi nahi paate hai aur pal bhar mei hi raakh ban jaate hai…..
Jaha Nairana abhi apni jeet ki khushi ka jashan manane vala tha vahi vo ab apne logo ki maut ka manjar dekh behad sakte mei tha kyunki essa khatarnak jaadu usne apne jeevan mei phele kabhi nahi dekha tha….. Vahi AS aur Elika toh maano iss jaadu ko dekh nahi bulki uss jaadu se jo energy nikali thi usse dekh achambe mei tha……
Kyunki jiss tarah ki energy Jaadu se nikali thi uss tarah ki energy ka jaadu iss sansaar mei behad kam logo kar sakte tha jismei se kuch yaha maujood tha aur jo yaha maujood nahi tha vo iss youdh mei nahi aane vale tha…… Kyunki agar unhe aana hota toh vo ab tak aa chukka hota….. Iss baat se vo dono hi behad chauka hua tha…. Unhe samajh nahi aa raha tha ki ya kon shaksh hai jiske pass iss prakaar ki urja maujood hai aur uska bhaan kisiko nahi…..
Idhar jaha Elika aur AS apni soch mei khoye hua tha vahi Nairana na sahi samaye dekh vaha se gayab hone mei apni bhalayi samjhi aur vo vaha se nikal gaya…… Idhar ya sab ho raha tha ki tabhi ek safeed roshni ka gola aakar vaha maujood sabhi ghayal sainiko, Maharaj aur baaki sabhi logo ko laga aur pal bhar mei sabhi ka ghaav aur peeda sab nashth ho gayi…..
Sabhi abhi hua iss achanak badlav aur uss White Energy ka unke upar girne se hua badlav ko samajhte tab tak Marium ki awaj sabhi ko sunayi di aur bus sabhi uss disha mei dekhna laga.... Sabhi ki najar jab uss disha mei gayi toh samne dikhta vyakti ko dekh sab muh faade khada rahe gaye……
Kyunki iss waqt samne ek behad bada aur behad sundar sunhare Garud par ek Ladka khada tha jiske haath mei chamchamati ek safeed stick thi aur uske upar ek Halke Hara colour ka ek behad bada gola jo ki bich bich mei chamak raha tha……. Vahi uss ladke ka sharir par upar se niche tak safeed kapde tha aur unke upar ek sunhare aur peela rang se uss chadi ki design bani hui thi…… Par jab sabki najar uss ladke ka cehare par gayi toh sabhi ka muh se bus ek saath nikala……
Sabhi: Willy……. Vo ladka koi aur nahi Willy hi tha jo iss samaye ek sunhara Garud par khada tha vahi Elika aur AS na jab uss sunhara Garud ko dekha dono ko kuch yaad aa gaya aur dono na ek dusre ko dekha aur aankho hi aankho mei kuch baat hui aur fir samne dekhna laga…. Idhar sabhi bus aankhe khola Willy ko dekh rahe tha…..
Idhar Willy na sabhi ko jab dekha toh vo apne Garud se aasman se hi niche kud pada aur jab tak vo jamin par pahucha aasmaan mei hi uske kapde badal gaye aur uske haatho se vo safeed stick gayab ho gayi aur vo humesha ki tarah pehana jaane vale kapdo mei tha…… Jamin par utar kar vo aage bada aur sabse phele AS se mila aur uske baad Elika se……
Willy: Janta hu tum kya soch rahi ho aur sunhara Garud ko dekh behad kuch samajh gayi ho…. Iske baaremei baat abhi nahi fir kabhi karega…….
Elika: Willy ki baat sun usne apni aankhe jhapkadi jiska matlab tha usse bhi yahi thik lagta hai…..
Yaha Willy unn dono se mil baaki sabhi ki taraf bad gaya aur sabse phele mila Marium se jo usse milte hi uske gale lag gayi aur uski aankho mei aasu tha par pal bhar mei hi Willy na uske cehare ka aasu gayab kar diya aur uski cehare par ek muskaan cha gayi…… Kyunki Willy na uske kaan mei kaha hi essa kuch tha ki jisse sun uski muskaan laut gayi…..
Willy: (Marium Ka kaan mei) Kya mujhc shadi karogi…..???
Ya shabd tha behad siddha aur kam par ya vo shabd tha jisse Marium suna ko kabse taras rahi thi, Iszy ki shadi ka waqt hi usne man bana liya tha ki vo jaha Iszy ki shadi ka fera hoga vahi vo Willy se shadi ka liya puch legi par Willy uss samaye vaha se gayab ho gaya tha aur Marium iss baat ko apne ander hi daba kar rakh chodi….
Par aaj jab Willy na usse uske dil ki baat kahe di toh vo apni muskaan ko rok nahi saki aur vo bus muskurane lagi aur saath hi uske cehare ki chamak jo Willy ka jaane ki vajah se gayab ho gayi thi vo fir se laut aayi thi…. Kaafi samaye ek dusre se gale milne ka baad vo alag hua aur Willy apne sabhi dosto se ek ek karke mila…..
Vo sabse aakhir mei Iszy se mila jiske samne baith usne apne kaan pakad liya kyunki vo janta tha ki Iszy usse uski shadi se gayab hone ki vajah se gussa thi par vo thi toh Shubham aur uski bestie….. Usse pata tha ki Iszy ko kaise manana tha…. Islye vo phele hi Iszy ka samne jakar ghutno par baith gaya aur apne dono haath kaano par rakh liya……
Ek min. ka liya dono mei se koi kuch nahi bola par agle pal hi Iszy jakar uske gale lag gayi aur uski peeth par ek mukka jaa mara….. Ya mukka mei na Iszy na jaan lagayi thi aur na hi Willy na koi reaction diya tha….. Ya bus dono ko bich apni dosti mei kiya gaya gussa ka dikhava tha jo ki purn roop se dikhava tha kyunki Iszy Willy aur Shubham se ruth sakti thi par unke bina aur unse jada samaye narajgi usse khudse bardash nahi hoti…..
Inn teeno ka apna ek alag rishta tha jo dosti ka tha par ya dosti kuch essi thi ki teeno ek dusre ko iss kadar samajhte tha aur ek dusre ka aadi tha ki koi chautha inke bich aa jaaye toh bus fir uski khair nahi thi….. Issi vajah se jab Iszy aur Willy ek dusre se mila tab koi bhi unke aas pass nahi maujood tha bus vo dono hi tha aur dono behad lambe samaye tak gale mila…… Kyuni ya ek dusre ko sahi salamat dekhna ki khushi aur ek dusre ka saath ka ehsaas tha……
Willy: Ary yaar tu kab tak chupa rahega….. Aaja jaise tu mujhe dekh aur mehsoos kar sakta hai vaise hi mei bhi tujhe dekh aur mehsoos kar sakta hu….. Vaise bhi behad samaye se tu dikha nahi kamse kam aaj ek acha kaam karke toh samne aa jaa…..
Idhar jaha Willy ka shabd khatam hua vahi sabhi bus Willy ko dekhna laga, aur jaise puch rahe ho ki vo kisse baat kar raha tha…..Sabhi abhi iss baat ka javab maang rahe tha bus usse dekh par bina kuch kahe…..
Willy: Usne bhi sabhi ka dil ka haal samajh liya aur usne bhi bina ek shabd apne muh se nikale apna haath utha diya aur apne haath ki ek ungli kar samne ki taraf dekhna ka ishara kiya…..
Sabhi na ja Willy ka bataye disha ki taraf dekha toh unhe vaha apne samne ek kaala dhua dikhayi dena laga par dekhta hi dekhta uss dhua na aakaar lena shuru kiya aur jab vo dhua pura aakaar mei aa gaya tab samne khade shaks ko dekh jaha sabhi jaise bus jamin mei jam hi gaye tha, muh khula ka khula rahe gaye aur aankhe nikal kar samne aane ko thi…..
Koi kuch kahe nahi raha tha bus apne aaj ka din ka aascharye ki seema se pare drashya dekh rahe tha….. Vahi Willy samne vale shaks ko dekh bus muskura raha tha aur yahi haal samne vale shaks ka bhi tha…..
Willy: Kaisa hai yaar, behad dino baad dikha tu KAIRO…..
(Ya Kairo hi tha jo Shubham se Fairmount mei harne ka baad vaha se chala gaya tha aur ek jagah jakar gayab ho gaya tha….. Aaj fir ya lauta tha par aaj ya purana vala Kairo nahi tha…. Ab ya ek behad hi unda aur behad hi alag insaan tha….. Aaj iska jaadu ki urja ka ek namuna aapne dekha hi tha par ya sirf iske ander aaye inn saalo ka badlaav ka ek bus namuna hi tha kyunki jaise jaise aage badega sabhi ko iske naye roop aur inn saalo mei ya kaha tha sab kuch jaane ko milega……)
Kairo: Kya baat hai aakhir tuna vo paa hi liya jiske liya tera janam hua tha Willy….. Chal acha hai ek baar fir hum barabar istar par pahuch gaye hai….. Iss baar dono ko hi ek dusre se mukabla karne mei behad maza aane vala hai……
Willy: Humara mukabla toh hona hi hai Kairo kyunki hum dono hi humesha ek dusre se bilkul ulta rahe hai…. Aaj bhi dono hi unn alag alag shakti ka dharak hai jinka aapas mei koi mail nahi hai…. Islye humare mukable ka na hone ki sambhavna bilkul nahi hai……
Bus intezar hai toh sahi waqt aur sahi samaye ka….. Khair jab vo aayega tab aayega, par filhaal toh hum gale mil hi sakte hai….. Essa kahe kar Willy do kadam aage bada toh usse dekh Kairo bhi aage bada aur fir dono hi aage bad gale lag gaye…. Dono jiss garam joshi se gale lage tha usse sabhi ko behad azeeb lag raha tha, vahi AS aur Elika ko pata tha ki ya gale jarur lage hai par inn dono ka bich ya sirf ek dusre ka liya apni shakti ka pradarshan hai……
Kairo: Usse alag hokar…. Khair ya sab chod aur abhi filhaal apni shadi Rajkumari Marium se mubarak ho aur essa kahe kar usne aasmaan se phoolo ki varsha kardi aur fir khud ek baar kaale dhua mei badal kar vaha se nikal gaya……
Idhar vo gaya aur udhar Willy ka cehare ki muskaan aur bhi geharagayi…… Vo uske jaane par bus muskurata raha aur fir sabhi ki taraf ho liya……
Aage iss kahani mei kya hota hai aur kaise mod aate hai ya jaane ka liya bane rahe aap sabhi kahani ka saath tab tak ka liya keep reading and commenting…..
Stay Tunned……
Note: Yaha Kairo ki entry ho gayi hai jiska aap sabhi ko behad lambe samaye se intezar tha….. Yaha behad si baate adhuri hai jinko aage ka updates padhne ka baad hi puri tarah se samajh sakega aap sabhi log…… Bus saath bane rahe…. See ya guys bye…..