If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
Pichle update mei aapne dekha ki Shubham jab Laal pathar ka pass pahucha toh uske samne Swaroopa aa gayi aur usne Shubham ko kaid kar liya…. Vahi Mathira Guru Trajang ki shishya jo ki Shubham ki dusri premika hai vo Aaliya ko apne saath lekar chali gayi…. Vahi Elika Nancy ko Saaye ki beti se milati hai….. Aur usse lekar ek dusri jagah jati hai…
Ab Aage…..
Place: Roop Nagar….
Jaisa ki aapne padha Swaroopa Shubham ko lekar apne Nagar ka liye nikal jaati hai…. Uske magic ki vajah se Shubham aur Swaroopa dono hi uske nagar mei kuch hi minute mei pahuch gaye….
Shubham: Jaise Jaise mei ander jaa raha tha mujhe vaha par log dikhayi dene lage…. Meine dhyan se dekha toh vaha mujhe do kisam ka log dikhayi diye…. Pheli tarah ka log vo tha jinke sharir par kaale se kapde tha aur unke haath mei hadiyo ka ek hathiyar….. Unn sabhi ka sharir par kaale kapdo ka alawa haatho mei ek chamkili chij bandhi hui thi, vaisi chij meine phele kabhi nahi dekhi thi….
Dusre tarah ka log tha mere jaise jinke gale mei vo wire bandha hua tha aur unke sharir par alag kapde tha…. Phele tarah ka log dusre tarah ka logo se pure nagar ka kaam karwa rahe tha…. Vaha bache, buddhe, jawan sabhi log maujood tha…. Unhone kissi ko nahi baksha…….
Swaroopa: Esse kya dekh rahe ho rakshak…. Ya sab bhi tumhari tarah hi mere gulam hai…. Ya kaale kapde vale mere nagar ka sainik hai, jo ki alag alag jagah ka bade bade jadugar ya yodha hai, vahi dusre log aam log hai…… Yaha kaa har basindha mera gulam hai….
Tabhi vaha ek aurat ki awaj aati hai…. Uss awaj ko sun mei aur Swaroopa dono uski taraf ghumte hai….
Awaj: Galt soch hai teri Swaroopa….. Ya sab tere nahi tere kaale jaadu ka gulam hai…. Mujhe Vishwas hai ek na ek din humara rakshak jarur hume bachane aayega…. Tera kaal bankar….
Swaroopa: Uss aurat ki ya baat sunkar vo jor jor se hasne lagi…… Janti hai tu aaj tak jinda kyu hai Maa…..(Jee dosto ya Swaroopa ki Maa hai, par Swaroopa na usse bhi apni kaid mei kar liya hai….) kyunki mei til til kar tujhe tere logo ki maut dikha saku…. Tujhe har din iss baat ka dard ho ki teri vajah se ya sab kuch ho raha hai aur tu iski jimmedar hai…. Aur rahi baat tere uss Rakshak ki, toh dekh samne ya jo khada hai na ya hai iss Brahamand ka Rakshak…..
Aaj tere aur tere iss Rakshak dono ka samne tere logo ko maut dungi dekhti hu tum dono hi kaise bachate ho apne logo ko…. Apne ek sainik ki taraf ishara karti hai….
Sainik: Vo apne saath kuch logo ko lekar aata hai…. Jismei do aurat, do aadmi aur k choti si ladki hote hai...... Vo ladki mujhe dekhti hai aur muskurane lagti hai, vahi mujhe bhi uss ladki ko dekh essa lagta hai jaise mei isse janta hu……
Swaroopa: Bandh do inn sabhi ko aur aaj iss pure nagar ka samne inko kode maar maar kar maut ka ghat utar do…..
Sainik: Jaisa usko aadesh mila usne vaisa hi kar diya…. Usne sabhi ko bandha….. Aur uske baad usne unn sabhi ko mere samne kode maarne laga…..
Unn logo ka chikhne ki awaj uss pure vatavaran mei fail rahi thi….. Unki chikh sunkar Swaroopa ka man ko jaise shanti mil rahi thi…. Uska rom rom khil uth raha tha….. Vo has rahi thi aur uske saath uske sainik bhi has rahe tha….
Vahi mei lachar sa khada khada ya sab dekh raha tha…. Mei chat pata raha tha, par mere sharir ka koi hissa meri baat nahi maan raha tha….. Meine bahut koshish kari par mei apna haath bhi nahi utha saka…..Aakhir ant mei vo sabhi dard bardash nahi kar sake aur apne praan tyag diye….Apne samne bekasor logo ki maut hote dekh meri aankho se apne aap hi aasu nikalne lage…..
Swaroopa: Mere pas aakar meri aankho se behate aasu saaf karke…. Rakshak tum toh bahut kamjor nikale…. Abhi toh tumne dekha hi kaha hai….. Bus kuch raate aur ruk jaao….. Uske baad tum mere humesha humesha k liye gulam ban jaaoge aur uske baad tum apne haatho se inn sabhi ko maut doge….
Shubham: Mei kuch bol toh saka nahi, bus meri aankhe gusse mei laal ho gayi…… Meri aankho ka colour badal kar neele se laal ho gaya…. Jisse dekh Swaroopa ka cehare par ek baar firse bahut badi muskaan aa gayi, jaise usne kuch bahut bada hassil kar liya ho….
Swaroopa: Vo ek baar fir palti aur unn paancho ka sharir se behate khoon ko apne jaadu se hawa mei utha kar ek jagah ikhata kar diya aur uska rukh apni Maa ki taraf kar diya…. Vo ikhata hua khoon uski Maa ka upar jakar barish ki tarah unke upar girne laga….. Swaroopa ki Maa ka pure sharir par unn paancho ka khoon lag gaya…. Vo khudko usse bachane ka liye hil bhi nahi saki…..
Swaroopa: Uske pass jakar, inn 5 bekasuro ki maut ki jimmedar tum ho Maa…. Ya khoon kuch dher mei tumhare sharir par sukh jaayega, ya khoon tumhai har samaye inki maut ka karan yad dilayega aur tum ander hi ander tadapogi maut ka liye par maut tumhai nahi aayegi…. Tum har second maut mangogi par maut tumhai nahi milegi…. Ya baat kahate hua Swaroopa ki aankhe puri laal ho gayi thi, jaise ki abhi uski aankho se angare nikalege aur sab kuch khatam kar dege….
Uske baad Swaroopa mujhe lekar apne mehal mei bane ek bandhiyo ko rakhne ki jagah le gayi aur mujhe uske ander band kar diya…..
Swaroopa: Sainiko, dhyan rakhna agle do din tak ya yaha se hil bhi nahi sake….. Isse khana, paani kuch dene ki jarurat nahi hai…. Tumhari aankhe har shan bus issi par honi cahaiye….. Ya kaha Swaroopa vaha se nikal gayi….
Shubham: Uske sabhi sainiko ne mujhe bandhi bana diya aur sabhi logo ki najar bus meri taraf hi ghum gayi…. Kuch der esse hi bandhe rahene ka baad achanak hi mera sharir hilne laga….Mei khudko jaise hilane ki koshish kar raha tha vo hil raha tha…. Mei samajh nahi saka ki aakhir ya sab ho kya raha hai…. Achanak hi mei kaise hilne dulne laga….. Abhi mei kuch aur jada sochta usse phele hi mujhe apne kaid khane ka samne jo sainik tha vo ek dum behosh hote hua jamin par baithe dikhe….
Unke behosh hote hi mere samne jo aaya usse dekh mujhe shock laga…. Vo koi aur nahi vahi choti si ladki thi jisse kuch der phele Swaroopa ka ek sainik na sabhi ka bich kode maar maar kar uski jaan le li thi….
Bachi: Vahi vo mujhe dekh bus muskura rahi thi…. Usse jaise ya samajh aa raha tha ki meri halat kaisi hai…. Usne uss Kaid khane ki salakho ko chua aur vo sab apne aap hi gayab ho gayi aur chal kar mere samne aa gayi….
Bachi: Esse kya dekh rahe ho, abhi kuch der phele hi toh mile tha hum sadak par…..
Shubham: Mile toh tha, par tum toh vaha sadak par mar gayi thi na kode khate khate…. Toh fir tum yaha kaise….???
Bachi: Usne apne haath aage kare aur mere haath aur pair dono rassi se jo bandhe tha khul gaye…. Tumhai kisne kaha ki mei vaha mar gayi thi…. Mera sharir aur meri aatma amar hai…. Mjhe na koi maar sakta hai aur na hi koi nuksaan pahucha sakta hai…. Mei khud apni icha se jab jaha jaise cahau vaisa kar sakti hu….
Shubham: Kya par kaise aur ho kon tum…..???
Bachi: Abhi unn sabhi baato ka samaye nahi hai…… Abhi ka liye tumhai yaha se jaana hoga, kyunki iss pure Roop Nagar ko tumse umeed hai…. Usne apne haath aage karke ek door khol diya, tum iss darwaje se dusri taraf pahuch jaoge…. Jaha se tumhai apni naak ki sidh mei jaana hai…. kuch dhur jaane ka baad tumhare aage ka rasta band ho jaayega, uss samaye tumhare samne jo deewar hogi tumhai uske upar apne dono haath rakhne hoge aur man mei bus khudko dekhne ki koshish karna…. Jaise hi khudko dhund loge, uss samaye vo deewar gayab hokar ek raste mei badal jaayegi….
Shubham: Par uss raste par jaane se hoga kya….??? Aur aakhir tum ya sab janti ho toh khud kyu kuch nahi karti….????
Bachi: Abhi saval nahi sirf suno….Samaye kam hai humare pass…. Uss raste par jab tum chaloge vo rasta hi tumhai tumhari manjil tak lekar jaayega…. Jaha tumhai apne iss gale mei bandhe taar aur Swaroopa ki maut kaise hogi iska raaj milega…. Yaad rakhna tumhare pass sirf do pure din hai, vaha khatra bhi hoga aur tumhara jaadu kaam nahi karega…. Jo karna hai sirf khudpar vishwas rakh kar hi karna hoga…. Ab jaao….
Shubham: Usse puchne ko saval bahut tha, par samaye jaisa usne bataya vo bahut kam tha…. Islye mei uss door mei se hote hua dusri duniya mei pahuch gaya…. Uss duniya mei jab mei pahucha toh samne sab kuch andhera hi andhera tha…. Bus meri naak ki sidh mei hi kuch roshni si dikh rahi thi jo ki dekhne par essa lag raha tha ki kaafi dhur se aa rahi hai…. Mei uss bachi ki baat mankar ussi raste par chalta chala gaya…. Meine socha kyu na apni shakti Neela Unicorn ki speed ka istemaal kiya jaaye…. Meine usse awaj di, jiske javab mei mujhe kuch nahi mila…. Essa do teen baar karne ka baad bhi jab kuch nahi hua, toh samajh aa gaya ki kissi bhi tarah ki shakti kaam nahi karne vali hai…. ---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Place : Paristan
Ya vo jagah hai jaha iss samaye Elika aur Nancy dono aaye hua hai….Jaisa ki meine pichle update mei bataya tha ki Elika Nancy ko lekar kahi gayi hai, par kaha ya nahi…. Toh vo jagah hai Paristan…. Isse phele bhi Nancy na Paristan ko dekha hai…. Par abhi jaha vo thi usne ya jagah kabhi nahi dekhi thi aur issi vajah se Nancy na uss jagah ko dekh ya kaha tha ki hum kaha hai….
Nancy: Elika, ya tujhe kaha mila aur hum iss samaye kaha hai….???
Elika: Nancy hum kaha hai ya tu khidki se bahar dekh kar samajh jaayegi….
Nancy: Usne dekha toh vo samajh gayi vo Paristan mei hai iss samaye….
Elika: Isko toh tu janti hi hai…. Iske bare mei mujhc jada khabar tujhe hogi….
Nancy: Ha Elika isse kaise bhul sakti hu…. Par ya tujhe mila kaha aur ya Shubham ka bich ki rukavat kaise hai…..??
Elika: Nancy tujhe yaad hoga ki school ka samaye Shubham gayab ho gaya tha aur kuch din baad hi khudse vapas aa gaya tha…. Janti hai usse gayab karne vala koi aur nahi yahi tha…. Isne hi Shubham ko gayab kara tha aur usse marne ki koshish kari thi…. Tabhi se isse dhund rahi thi…. Par na jaane ya kaha chup gaya tha uss din ka baad na kabhi samne aaya aur na hi isne koi aur kaam kara….
Abhi kuch samaye phele ya mujhe Zamata (Kairo’s Kingdom) mei dikhayi diya….. Isne mujhe jaise hi dekha vaha se bhagne laga, par meine uss samaye isse kuch nahi kara kyunki vaha bahut log tha par meine apne jaadu se iske piche kuch chuha chod diye tha jo saaye ki tarah iske piche bhagte rahe aur aakhir mei mujhe iski vo jagah mil gayi, jaha ya chupa hua tha….
Nancy: Elika toh tune isse maar kyu nahi diya abhi tak….??
Elika: Yaar isse marne ka man toh bahut hai, par abhi isse kuch baate jaani hai…. Bahut samaye se jaane ki koshish kar rahi hu, par ya kuch bolta hi nahi hai…. Agar aaj ya nahi bola toh mujhe vo sab raaj iske ander se nikalne padege….
Chaliye dosto aapko bhi bata deta hu jisse Elika na pakda hai vo koi aur nahi Minora hai…. Ya iss duniya ka sabse hunar baaj aur shatir contract killer hai…… Saari duniya ka raja isse apne dushman ko khatam karne ka kaam dete hai, jiske badle mei ya uss Rajye ki kuch ladkiyo ko aur bahut sara dhan leta hai…. Aaj tak isne jiss jiss ko maarne ka sauda kara hai vo sabhi iss duniya se vida ho chuke hai…. Par koi isse dhund nahi saka….. Sirf ya Shubham ko hi nahi maar saka….
Back too Story….
Elika: Usne apne haatho ko aage kara aur uske haath se paani nikala jo sidhe Minora ko laga, jiski vajah se uski chetna vapas laut aayi….
Minora: Hosh mei aane ka baad uski najar Elika par padi...... Tum fir aa gayi, Rajkumari nahi nahi Maaf karna Maharani Paristan (Ab ya mat sochna ki ya sab kab hua, kyunki jaise hi Shasha na apne jaadu ki takat Nabila aur Elika ko ek karne mei laga di, ussi samaye se Elika hi Paristan ki Maharani ban gayi hai….) Kitni baar kaha hai, mujhe kuch nahi pata aur agar pata bhi hoga toh mei tumhai kuch nahi bataunga….. Tabhi uski najar Nancy par padi, jisse dekh uske cehare par ek muskurahat aa gayi….. Aaj toh mera jeevan safal hogaya jo mujhe Rajkumari Arrington ka darshan hua….. Vaise Rajkumari uss din ka baad aaj aapko dekh raha hu…. Aap dubara kabhi mili hi nahi….
Nancy: Uske cehare ki uss muskurahat na Nancy ka ander bhare gusse ko aag dene ka kaam kiya…. Nancy na bina ek pal barbad kiye uske sharir ko apne Water Magic ki madat se pura baraf ka bana diya, sirf uska cehara hi azad tha…..
Nancy: Tujhe man toh jaan se maar dene ka kar raha hai, par kya karu ek toh tujhc bahut kuch jaana hai, dusra tujhe siddha maut de di toh fir na mujhe shanti milegi aur na hi uski aatma ko jo aaj tak teri maut ka intezar kar rahi hai…..
FlashBack
Arrington aur uske padosi Rajye Devda ka bich bahut ghanisht sambandh hai…. Jab Nancy ka janam hua, ussi samaye Devda Rajye ka Maharaj ko ek beta hua…. Dono hi Rajye ka Maharaj ek dusre ka liye bahut khush tha…. Issi khushi mei Devda ka Maharaj na Arrington Ka Maharaj se apni mitrata ko rishtedari mei badalne ki icha jatayi, jisse Maharaj Arrington na saharash suvikar kar liya…. Samaye nikala Nancy aur Devda Ka Prince dono bade hone lage aur dono ko hi ya pata tha ki dono ki shadi ek dusre se hogi jiski vajah se dono saath hi rahete tha aur dono mei pyar bhi bahut gehara hota chala gaya…. Par ya baat Arrington ka dusre padosi Rajye ko pasand nahi aayi, aur vo apne bête ka vivah Nancy se karana cahate tha, jiski vajah se unhone Minora ko Devda ka Prince ko maarne ki supari de di…. Jab Nancy aur Devda ka Prince dono hi 13 saal ka tha, toh ek din dono Devda mei ghumne ek jharne ka pass chale gaye bina kissi suraksha ka, vahi Minora na Nancy ka samne Devda ka Prince ko maut ka ghaat utar diya aur Nancy kuch nahi kar saki, tabse Nancy ek yodha banana cahati thi aur vo Minora ko dhund rahi thi….
Back to Present
Minora: Nancy ka magic se uska sharir thanda hone laga aur vo tadapne laga….. Uski iss tadap ko dekh Nancy khush ho rahi thi….
Elika: Minora mei aakhri baar puch rahi hu, kon hai vo jisne Shubham ko marne ka liye tumhai chuna tha….
Minora: Thand ki vajah se tadapte hua…. Meine kaha na mujhe kuch nahi pata hai…
Nancy: Elika ya esse kuch nahi bolega…. Tujhe iske dimak mei hi dekhna hoga…. Tadapne de isse…. Iski maut bhi ho gayi toh koi farak nahi padega….
Elika: Usse bhi Nancy ki baat sahi lagi, islye usne apna ek haath Minora ka sar ka upar rakh diya….. Dekhte hi Dekhte ek roshni Minora ka sar mei ghusi aur uske dimak mei jitni bhi baate jama thi vo ek screen ka roop mei Nancy aur Elika ka samne aa gayi…. Dono hi usse dekhne lagi, vahi Minora roshni ka apne sar mei ghuste hi jor jor se chilane laga…. Uski awaj chilane ki itni tej thi ki yadi koi behara bhi ho toh bhi uski chikh sun sakega….
Kaafi der tak dono esse hi Minora ki yadash ko dekhti rahi, par unhe kuch nahi mila…. Par kuch chije Elika na essi dekhi jiski vajah se uske cehara kuch seconds ka liye shock hua, par phir usn khudko sambhal liya, par vo kya tha ya aapko aage pata chalega….
Place: Earth
Yaha bhi chaliye kaafi samaye se nahi aaye hai toh chalkar dekhte hai ki aakhir yaha ho kya raha hai…. Pichli baar jab hum Earth par aaye tha, uss samaye yaha par Lily na Gujaral ko khatam kar diya tha aur vahi se Shubham gayab hokar pahuch gaya tha Dream World mei jiske aage ka aapko yaad hi hoga….
Shubham aur Aaliya ka jaane ka Earth se jaane ka baad Shubham na dono ka hi ek-ek clone ko bana diya aur unhe dharti par chod diya, jo ki Aaliya aur Shubham ki jagah Dharti par tha jiski vajah se dono ki gair maujudagi kisi ko pata nahi chali…. Vahi achanak Nitin ka gayab hone se Singhaniya Mansion mei hadkamp mach gaya…. Sabhi log Nitin ka gayab hone se pareshan tha, par 4 esse bhi tha jinhe uske yaha se jaane se jaise koi farak hi nahi pada ho…. Ya chaar mei se ek Aaliya ka clone, ek Nirmala Thakur (Unhe laga ki Shubham na usse raste se saaf kar diya), third thi Shubham ki vo bhen jisse Aaliya na sab bataya tha aur fourth thi Ranjhana Singhaniya…..(Ab inhe koi khaas farak kyu nahi pada ya hum aage dekhte hai….)
Vahi thoda piche vapas chalte hai aur pahuch jaate hai uss jagah vapas jaha Lily na Gujaral ko maara tha…. Lily ka Gujaral ko maut ka ghaat utarne ka baad sabhi log uski laash ko vahi chod kar chale gaye…. Kuch der baad do aadmi aaye aur unhone uss laash ko utha kar apni gaadi mei daal diya aur vaha se chale gaye aur piche chod gaye ek dusri laash, jisse unhone uss puri jagah aag laga kar jala diya……
Dono aadmi jaldi jaldi laash lekar pahuch gaye ek farm house mei jaha phele se hi koi unn dono aadmiyo ka intezar kar raha tha…..(Yaha gaadi valo ko A2, A3 likhunga aur farm house mei jo tha usse A1)
A1: Usne jaise hi gaadi ko aate dekha turant hi farm house ka gate khol diya aur gaadi ko ander lekar jaane ko kaha aur khud bhi gaadi ka piche piche bhagta hua ander aa gaya…..
A1: Kitni der laga di tum dono na…..
A2: Boss hum kya kare, vo log kaafi der tak vahi khade rahe…. Jaise hi vo gaye hum iss laash ko lekar aa gaye….
A3: Boss iss laash ka parts ko kya hum nikal kar bechege….
A1: Tum dono apna muh aur dimag dono hi kam chalao aur iss laash ko jaldi se nikal kar vo samne bane garden mei jo khada hai uske ander dafna do….. Jaldi karo mera muh mat dekho….
A2 aur A3 dono hi jaisa A1 na kaha vaisa hi karne lage aur unhone Gujaral ki laash ko vaha dafna diya…..
A2: Boss aapne iss laash ko apne itne sundar garden mei kyu dafna diya…. Hum isse kahi aur dafna dete….
A3 : Ha boss kitna sundar hai ya garden saara kharab kar diya aapne….