If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
Friends update ka samaye thoda badal raha , abhi bhi mei update likh raha hu, aur jaise hibpura hoga aapke samne hoga.. .
Deri ka liye maafi cahata hu....
Pichle update tak aapne dekha ki Shubham ek anjane raste par nikal gaya hai, jaha usse Swaroopa ka ant ka baare mei pata chal sake….. Vahi Dusri taraf Elika Nancy ko uss insaan se milati hai jisko Elika na utha liya tha aur Nancy jab usse dekhti hai toh usko uske upar bahut gussa bhi aata hai…. Vahi Earth par Nitin ka gayab hone se Singhaniya Mansion mei afratafri machi hui thi, par Ranjhana ko Nitin ka gayab hone se koi khaas farak nahi pada…..
Ab Aage….
Place: Earth
Iss samaye Ranjhana Singhaniya aur Nirmala Thakur dono hi ek gaadi mei baithe jaa rahe tha, vahi Nirmala Thakur lagatar apni beti ko dekh rahi thi aur soch rahi thi ki aakhir vo kaise apni beti se baat kare….. Kyunki aaj unhone ya faisla kar liya tha ki cahaiye kuch bhi ho jaaye aaj vo Ranjhana ko sachayi bata kar hi rahegi….. Vo bus gaadi mei baithe yahi soch rahi thi…. Unhe samajh nahi aa raha tha ki vo apni ek dum hasti hui beti ko ya sab kaise bataye…. Vahi unhe ya baat bhi khatak rahi thi ki aakhir Ranjhana ko Nitin ka jaane se koi farak kyu nahi pada…..
Nirmala Thakur baithe baithe ateet ka pano mei kho gayi….. Unhe vo samaye najar aane laga jis din unki beti ka janam hua tha aur vo kitni khush thi…. Unhone apne pure gaav ko iss baat ki khushi mei ek mahine tak ka bhojan karaya tha…. Apni beti ka paida hone par unhone apne gaav ka sabhi kisano ka karz maaf kar diya tha…. Phir unke samne vo samaye aane laga jab unki beti badi hone lagi tab vo kitni masti karti thi, par har raat vo Nirmala Thakur se kahani sune bina nahi soti thi…. Samaye aage bada aur Ranjhana pheli baar school ka fansy dress competition mei first aayi thi…. Uss samaye Ranjhana kitni khush thi…. Uske baad Ranjhana ka college ka din aur fir uski shadi ka samaye….. Unhe vo sab kuch apni aankho ka samne dikh raha tha jaise vo sab kuch abhi hi ghatit ho raha ho…. Nirmala Thakur ko vo din yaad aa gaya jab Ranjhana ko beta nahi ho raha tha toh kitni dukhi thi, vo har mandir masid sabhi jagah apna shish jhukaya karti thi….. Essa nahi tha ki Ranjhana ko apni betiyo se pyar nahi tha, par usse bete ki caha islye thi kyunki uski betiyo ko ek bhai cahaiye tha……Usne Nirmala Thakur se apni ya pareshani saja kari aur saath hi uske hal ka liye bhi tab achanak hi unhe ek Rishi mile jinhone unki madat kari…. Aur fir vo samaye jab Shubham ka jana tha….
Ranjahana Shubham ka janam ka samaye kitni khush thi…. Uski khushi ka koi thikana nahi tha…. Usne apni sabhi betiyo ko unke bhai se milwaya…. Fir uske baad janam ka dusre din hi apne bete se dhur hone ka dukh aur fir itne saalo se apne bete ko yaad karna….. Uska apne bete ki lambi aayu aur khushi ka liye uske har janamdin par har saal hazar brahaman ko apne haatho se bana bhojan karana….. Aur aaj jab unki beti ko pata chalega ki jiss bete ka liye vo ya sab kuch kar rahi hai thi, vo na jaane kaha hai aur kis halat mei hai…. Jab usse pata chalega ki jisse vo abhi tak beta samajh rahi thi asal mei vo toh Singhaniya aur Thakur Pariwar se apna badla lene ka liye aaya tha…. Jab usse ya pata chalega ki uski Maa itne saalo se uske bete ka baare mei sab kuch jhut bol rahi hai toh uss samaye uske upar kya bitegi…. Uska apni Maa se iss duniya se sabhi chijo se bharosa hi uth jaayega….. Usse badkar vo khudko kaise sambhalegi...... Vo kahi khudka aapa hi nahi kho de ….. Yahi sab sochte hua Nirmala Thakur ki aankho se aasu ki jhadi behane lagi….. Vo aur na jaane kitne samaye esse hi raheti yadi unki tandara Ranjhana ka hilane se nahi tutati……
Ranjhana: Maa kaha kho gayi, kabse awaj laga rahi hu, aur ya tum ro kyu rahi ho…..???
Nirmala: Vo apni beti se muh fer kar, kuch nahi beta vo kal nind nahi aayi thi na islye…. Tu kuch kahe rahi thi na…..
Ranjhana: Maa tumhara dhyan kaha hai….??? Mei toh bus yahi kahe rahi thi ki utro hum pahuch gaye hai farmhouse….
Nirmala: Par hum farmhouse kyu aaye hai….???
Ranjhana; Maa tumhari tabyat toh thik hai na…. Meine raste mei tumse hi pucha tha na ki hum farmhouse chale kya toh tumne ha bhari thi….. Tumhara dhyan kaha hai Maa….??
Nirmala: Ary mei ek dum thik hu, bus mei ya dekh rahi thi ki tumhai kitna yaad hai….. Tabhi uski najar gate par padhti hai….
Nirmala: Ya dono yaha kya kar rahe hai…..???
Ranjhana: Maa inhe meine hi yaha bulaya hai…..
Nirmala: Tune par kyu…..??? Aur kab…..??? Humara toh yaha aane ka plan raste mei hi bana hai na…..
Ranjhana: Maa aap ander chaliye mei aapke sabhi savalo ka javab deti hu…..
Ab chaaro ander baithe hua tha….. Ya log ek round table ka aas pass baithe hua tha…. Nirmala abhi bhi samajh nahi paa rahi thi aakhir ya sab ho kya raha hai…..
Nirmala: Ranjhana tu mujhe batayegi, aakhir tune inn dono ko yaha kyu bulaya hai aur hum yaha kyu aaye hai…..???
Ranjhana: Maa ek baat batao aapko ya baat pata thi na ki Nitin mera beta nahi hai…. Sach Sach batana….
Nirmala: Ranjhana ki baat sunkar toh uske hosh hi ud gaye…. Usne toh ya expect hi nahi kara tha ki Ranjhana ko ya baat pata chalegi….. Uski jaban ko jaise lakwa maar gaya tha, aur uske muh se koi shabd hi nahi nikal rahe tha…..
Uski essi halat dekh…..
Aaliya Clone: Maa aap na meri Nani ko jabardasti gunhagar mat banao…… Ya sab kuch aapke bete ka kiya dhara hai….. Nani toh bus vahi sab kar rahi thi jo aapke iss Nalayak Bete na karne ko kaha tha, ya baat Aaliya Clone na Shubham 5(Friends ya eight mei se 5th no. ka Earth par hai….)ka kaan pakad kar kahi thi…..
Nirmala:Aaliya clone ki ya baat sunkar toh jaise unhe ek essa jhatka laga jaise toh kissi na unhe High Tension Electricity Wire hi pakda di ho….. Vo toh bus aankhe faade kabhi Ranjhana ko, kabhi Aaliya Clone ko aur kabhi Shubham 5 ko dekh rahi thi……
Ranjhana: Kyu Maa laga na shock…..??? Ya tumhara hi Naati hai tumhare saath hi game khel gaya….
Nirmala: Unhe abhi bhi jada kuch khaas samajh nahi aa raha tha ki aakhir ya sab ho kya raha hai…..???
Abhi vo kuch puchti usse phele hi vaha kaam karne vali naukrani na Ranjhana ko kitchen mei kuch baat ka liye bula liya….. Ranjhana bhi vaha se uth kar kitchen mei chali gayi…..
Nirmala: Aaliya, Shubham tum dono ya sab kya kar rahe ho…..???? Aaliya tu apni Maa se ek jhut aur bol rahi hai…..
Aaliya Clone: Nahi Naani mei maa se koi jhut nahi bol rahi hu….. Mei jo bhi kaha rahi hu sab kuch sach hai…. Meine Shubham ka DNA report bhi nikalwa liya hai, jisse ya prove hota hai ki SHubham hi humare Pariwar ka beta hai…..
Shubham: Nani mujhe bhi ya sab kuch baad mei pata chala hai…… Mujhe phele kuch nahi pata tha…. Mei sach kahe raha hu…..
Aaliya Clone: Iske baad vo Nani ko jo unke Guruji na dono behano ko Shubham ka baare mei bataya tha vo sab kuch bhi bata diya….. JIsse sunne ka baad Nani ko bharosa hua ki Shubham hi unka naati hai…..
Nani; Par tumne ya sab kuch Ranjhana ko kab bataya…..
Ranjhana: Ya mei batati hu….
Chaliye dosto jab tak Ranjhana apni Maa ko ya bata rahi hai ki Shubham na kab uski Maa ko ya sab kuch bataya, hum thoda flashback chalte hai…..
Ya baat tab ki hai, jab Shubham na apne 7 roop aur kare tha, ussi samaye Shubham na Shubham 5 ko dharti par jaane ka liye kaha aur vaha apni Maa se milkar unhe sab kuch sach sach bata dene ko kaha….. Kyunki Shubham ko iss baat ka ehsaas tha ki jab Nitin Earth se gayab hua, uske baad uski Maa ka haal bahut bura ho jaayega…… Aur ek beta kabhi bhi apni Maa ko dukh mei nahi dekh sakta hai.....
Shubham: Shubham 5 tum aur Aaliya ka clone ab dharti par pahuch kar Maa ko sab kuch sach sach bata dena….. Iss kaam mei tumhari madat Mathira karegi…. Tum jab dharti par pahuchoge uss samaye Mathira tumhai vahi milegi aur aage kya karna hai vo sab kuch tumhai samjha degi….
Jab dono DHarti par pahuche toh Mathira na dono ko apne saath chalne ko kaha…..
Usne dono ka blood sample liye aur usse unki DNA report banwayi, jo iss baat ko prove kar rahi thi ki Shubham hi Singhaniya family ka ek lauta beta hai…. Par sabse badi problem thi ki ab achanak hi Maa ko ya sab kuch kaise bata diya jaaye…..
Mathira: Aaliya Clone tum apne ghar jaaogi aur apni Maa ka saath apne pariwar ka kul Guruji ka yaha jaaogi, jaha tum Guruji se ya puchogi ki tumhara bhai vapas ghar se kaha gaya…… Jiske javab mei Guruji tumhari Maa ko ya batayege ki Nitin kabhi unka beta hi nahi tha, aur saath hi vo Shubham ka cehara bhi tumhari Maa ko dikhayege…..
Uske baad kuch dino baad tum Shubham ko lekar apni Maa ka pass jaogi aur vaha Shubham ko apni Maa se na sirf milwaogi bulki unhe ya DNA reports bhi dikhaogi jisse ya 100% prove ho sake ki Shubham hi unka beta hai…..
Shubham5: Mathira ji par kya aapko nahi lagta hai ki hum Maa ki bhavnao ka sath khel rahe hai……??? Mera matlab hai…..
Mathira: Janti hu tum kya kahe rahe ho, par tumhai nahi pata ki tumhari Maa ko saalo se tumhare sapne dikhate aa rahi hu, jiske ander unhe tumhara cehara ki dhundali tasver dikha rahi hu…… Jab vo ek baar tumhai iss baar vapas dekhegi toh unke vo dhundali tasveer puri ho jaayegi….. Janti hu abhi ya thoda unki bhavnao ka saath khelne jaisa hai par agar unhe dukh se bachana hai toh unke liye ya sab karna hi hoga,…..Vaise bhi hum ya jhut nahi bol rahe hai ki tum SHubham nahi ho, kyunki tum khud uska hi ek hissa ho…..
Aur iske baad jaisa decide hua tha vaisa hi hua….. Iss sabhi ka bich Shubham5 na apni Maa ko kisiko kuch kahene se mana kar diya tha, kyunki abhi uske dushman khatam nahi hua hai jo uske pariwar ka bura cahate hai….. Bus islye Maa se mila aur kuch din unhe rukne ka liye kaha taaki uske baad apne Pariwar ka samne khudko laa sake….
Flash Back Ends…..
Shubham5: Nani mujhe aapse kuch puchna hai…..???
Nani: Ha pucho na….
Shubham 5: Nahi aap Gujaral ko kaise janti ho, aur vo aapke piche kyu pada hai…..???
Nani: Gujaral kya tum business man Gujaral ki baat kar rahe ho jo abhi kuch din phele hi mar gaya tha…..
Shubham 5: Ha Naani ussi ki baat kar raha hu….
Nani: Beta uski aur meri dushmani shuru hui Simi ki vajah se….. Ranjhana ki ek khaas dost thi jiska koi nahi tha vo mujhe apni Maa ka saman hi samajhti thi, usse Gujaral se Pyar ho gaya aur dono ki shadi, par usse baadmei pata chala ki Gujaral saare kaale kaam karta hai aur vo apni beti ko uss duniya mei nahi rakhna cahati thi…. Bus yahi vajah thi ki usne mujhe sab kuch bata diya aur meine Gujaral ka piche se uski biwi ko gayab kar diya…… Usne ek sundar si beti ko janam diya jiska naam humne Lily rakha…… Usne mujhe usse apni hi ek dost ko dene ko kaha, kyunki uski dost kabhi Maa nahi ban sakti thi…. Par kuch samaye baad mei Lily se milne gayi toh vaha uski dost nahi thi aur na jaane vo kaha chali gayi thi…..
Iske baad usne mujhe kayi baar dhamkaya aur Lily ka baare mei jaane ki koshish kari, par mei khud kuch nahi janti thi toh usse kya batati…..
Ranjhana: Na jaane vo bachi kaha hogi aur kis haal mei hogi…..
Shubham5: Maa mei janta hu Lily kaha hai…. Mei jaldi hi aapko usse milwa dunga….
Chaliye dosto inhe yahi chodte hai aur chalte hai Earth mei dusre kone mei jaha A1, A2 aur A3 abhi ek kamre mei baithe hua tha…. Jaha A1 kuch soch mei gum tha vahi A2 aur A3 dono nasha kar rahe tha…. Tabhi vaha koi aata hai jisse dekh A1 ke cehare ki khushi ka koi thikana nahi tha, vahi A2 aur A3 ka nasha ek baar mei hi utar gaya….
A1; Malik aap vapas aa gaye…. ??
Aadmi: Mujhe toh aana hi tha, itni jaldi mujhe maut nahi aa sakti jab tak mei Nirmala aur uske pariwar ka har ek aadmi se badla nahi le leta…. Us abhi naye naye aaye chokre ko kya laga ki usne mujhe maar diya, Gujaral ko maar diya…. Usse ya nahi pata Gujaral Imosopher Maharaj ka sabse khaas hai…. Vo rakshak hoga, par Maharaj Imosopher ka samne kuch nahi….. Ab mei uske pariwar ka har insaan ko chun chun kar maaruga…. Aur agar usse unhe bachana hai toh usse Maharaj ka samne apne ghutne takne hi hoge….
A1: Malik, par aap har bar iss mitti mei jaane ka baad jinda kaise ho jaate ho…..???
Gujaral: Hahahaha, A1 ya koi aam mitti nahi hai jismei tum mujhe dafan karte ho, ya khaas hai ek dum khaas…..Ya patal ki rait hai jo shetano ka liye amrit ka barabar hai…. Iss mitti mei yadi kabhi kissi black magic vale ko dafna diya jaaye toh uske pran vapas aa jate hai……
A1: Ab samjha malik aakhir aap har bar bus yahi kyu kahete hai ki mujhe kuch ho jaaye toh mujhe bus yahi dafan kar dena…..
Place: Roop Nagar….
Yaha Shubham uss dewar ka karib pahuch gaya tha…..
Shubham: Ab jaisa usne kaha tha ki yadi mujhe iss deewar ka paar jaana hai toh mujhe dono haath iske upar rakh kar khudko dhundna hai….. Ab ya khudko kaise dhundte hai pata nahi par koshish karke dekhta hu…..
Usne apne dono haath deewar par rakhe aur aankhe band karke apne man mei khudko dhundne laga…. Kaafi der koshish ka baad bhi usse kuch nahi hua….
Shubham; Ya kya hai, ab mei aage kaise jaau….. Uss choti si bachi na toh bus yahi kaha tha ki yadi mujhe iss deewar ka paar jaana hai toh mujhe khudke upar bharosa karna hoga aur apne man mei khudko dhundna hoga….. Par yaar usne ya bhi kaha tha ki samaye kam hai…. Ek baar firse koshish karta hu….
Meine ek baar firse apne dono haath uss dewar par lagaye aur khudko dhundne laga…. Iss baar bhi khoob koshish ka baad mujhe kuch bhi safalta hassil nahi hui…. Mei thak haar kar jamin par uss deewar ka sahare hi baith gaya…. Kyunki ab mujhe aage kuch bhi rasta nahi dikhayi de raha tha….
Abhi mei aankhe band hi kari thi ki mujhe essa lagne laga jaise mei koi sapna dekh raha hu…. Mei sapne mei dekh raha tha ki mere samne kuch log khade hai bandhe hua aur vo log lagatar khudko bachane ka liye rakshak ko awaj laga rahe hai…..
Vahi unke samne ek mota sa bilkul aalu ki tarah dikhne vala aadmi dikh raha tha, jiska pait itna tha ki vo khud apni aankho se niche nahi dekh sakta tha vo jor jor se has raha tha…. Ussi ki tarah uske saare sainik bhi has rahe tha…..
Mota Aadmi: Bulao Bulao apne rakshak ko, mei bhi dekhu aakhir vo tumhai yaha se kaise bachata hai….. Ruko Ruko vo esse nahi aayega…. Jab tak mei tumhai nuksaan nahi pahucha deta vo samne nahi aayega…. Sainiko inn sabhi ko bandho aur inke sharir par itne cut lagao ki inke sharir se lagatar khoon behata rahe, par yaad rahe ya mare nahi, kyunki ya mare toh inki jagah tum hoge….
Ya dekh mujhe gussa aane laga aur mei aage badne laga, tabhi piche se kissi ne piche se mere kandhe par haath rakha….
Shubham: Meine piche mudkar dekha toh ya koi aur nahi vo choti ladki hi thi jisne mujhe yaha ka rasta bataya tha….. Tum yaha kya kar rahi ho, aur ya konsi jagah hai…..????
Ladki: Tum mujhe batao tum kya karne jaane vale tha….??? Kya tum unhe bachane jaane vale tha kya….???
Shubham: Ha mein unhe unn Sainiko se aur uss mote aadmi se bachane jaa raha tha…. Varna vo unhe maar dega…. Vaise bhi vo mujhe yaani Rakshak ko bula rahe tha….
Ladki: Par tumhai essa kyu laga ki vo tumhai bula rahe hai, kyunki apne man ka ander toh tum aaj bhi khudko rakshak nahi samajhte ho…. Tumhai toh aaj bhi lagta hai tum inn sabhi Shaktiyo ka layak nahi ho…. Tum iss brahamand ko nahi bacha sakte…. Sahi kaha na meine….
Shubham; Uski baat sunkar mei kya kahu mujhe nahi pata kyunki yahi sach tha….. Mei har din ka saath bus yahi soch raha hu ki aakhir mei hi kyu chuna gaya, kya sirf islye ki Mei Maharani Trisha aur Nabila ka beta hu mujhe ya shaktiya mili, jabki mujhc jada ache aur takatwar aur bhi bahut hai….
Ladki: Dekho samne dekho….
Shubham: Meine vapas mudkar dekha toh vaha iss samaye 3 log khade tha aur unn teeno ka kapde bilkul mere jaise hi tha….
Ladki; Jante ho inn teeno ka pass kissi bhi tarah ki shakti nahi hai aur na hi ya koi rakshak hai…. Ya ek dum aam log hai jinke pass na koi magic hai aur na hi inhe kissi na iss kaam ka liye paise diye hai ya koi khaas prashikshan diya hai…. Aur yaha tak ki ya jinhe bachane aaye hai unhone hi abhi kuch samaye purv inn teeno ladko ka unki garibi ki vajah se majak banaya tha, par fir bhi ya teeno yaha inko bachane aaye hai…. Jante ho kyu…..???
Shubham: Uski baate sunkar bus mei usse hi dekh raha tha aur mere muh se kuch nahi nikal raha tha…. Kyunki jo vo kahena cahati thi vo mei kuch kuch samajh raha tha, par fir bhi mei usse dekh raha tha aur uske javab ki hi pratiksha kar raha tha…..
Ladki: Ya sirf yaha islye aaye hai kyunki ya ache manushye hai…. Iss duniya mei jo bhi janma hai vo apne aap mei Rakshak hai…. Kyunki hum sabhi apne pariwar ka sadasyo ko kissi bhi buri musibat mei padhne se bachate hai vo kaam bhi Rakshak ka hi toh hai…. Humare Pariwar mei ya humare kissi karibi ko koi pareshani ho toh uski madat karte hai toh uske liye toh hum kahi na kahi rakshak hi hua na….
Ek ache insaan ka jamir kabhi usse ya gavayi nahi deta hai ki vo apne samne kabhi kissi ko marne de yadi vo vyakti jo marne vala hai vo acha aur nek insaan ho…. Tum humesha yahi sochte ho, par kya kabhi tumne ya socha hai ki tumhare pass baaki se adhik takat hai toh tumhai jaada logo ki madat karni cahaiye….Nahi kyunki tumhari najaro mei Rakshak ek kaam hai jo tumhari Maa na tumhai saupa hai….
Ya samne jo deewar hai na ya tumhai kabhi khudke paar nahi jaane degi kyunki ya deewar koi aam deewar nahi hai, ya jaadui deewar hai jo apne paar sirf aur sirf ussi ko jaane deti hai jo apne man se apne dil se khudko Rakshak samajhta hai…. Jiss din tum khudko Rakshak samjhne lagoge aur usse ek saupi hui jimmedari nahi uss samaye na sirf tum iske paar ho jaaoge bulki tumhai kabhi kissi ka samna karne ka liye jaadu ki jarurat nahi padegi kyunki tumhare ander phele hi itni shakti hai ki tumhai aur kuch nahi cahaiye….. Ab faisla tumhai karna hai…..
Ya kaha kar vo ladki vaha se chali gayi aur saath hi saath vaha ho rahi sabhi chije bhi jaise gayab ho gayi aur achanak hi meri aankhe khuli…. Aankhe khulne ka baad mei hadbada gaya…. Kyunki mujhe ya samajh nahi aa raha tha ki jo meine abhi dekha vo sach hai ya sapna….
Shubham: Par ek baat thi ya sach ho ya koi sapna par jo bhi baate hui thi vo sabhi kuch sach thi….. Unn baato na mujhe ya sochne aur maane par majbur kar diya tha ki mei galat hu rakshak toh mei humesha se hi hu, cahaiye mei Maharani Trisha aur Nabila ka beta nahi bhi hota tab bhi….
Shubham: Yahi sab sochte sochte ki mei ek Rakshak hu meine apne haath ek baar firse uss deewar par laga diye….. Iss baar jaise hi meine apne haath deewar par lagaye vo deewar gayab ho gayi aur mere samne ek rasta khul gaya aur mei uss raste par bad gaya….
Chaliye dosto aaj ka update bus yahi khatam karta hu aur Shubham ka Adventure aaj nahi dikha saka par parso ka update mei Swaroopa se jude Laal Pathar aur Teer Kaman ka kissa bhi khatam ho jaayega….