• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Shubham - Ek Rakshak ya Bhakshak

Shubham

Member
358
2,151
123
Update 31

Pichle update mei dekha ki kaisa Spendorium Maharani ka badla baakiyo ki jaan chod dena ka wada karta hai aur vahi dusri taraf Rishi Raja ka saath vaha pahuch jaata hai…….


Ab Aage……

Rishi ka dwara dee gayi talwar ko haath mei pakadta hi raja ko apna andar ek nayi urja ka aabhas hota hai…… Unhe aaj essa lag raha tha ki vo kaafi takatwar hai aur vo talwar chalana mei bahut mahir hai…… Par saath hi saath vo bhut gussa mei bhi tha jo ki savbhavik hai, kyunki koi bhi pati apni patni ka saath galat hota hua nahi dekh sakta hai…… Issi gussa mei raja aage bad jaate hai……..

Raaja ko aage badta hua dekh Spendorium ka sainik bhi raja ki taraf bad chalta hai aur phir suru hota hai ek ghamasaan mukabala raja aur Spendorium ka sainiko ka bich……. Iss youdh mei Raja Spendorium ka sainiko ka upar bhut bhari padh raha tha……… Aaj raja ka krodh apna sabsa adhiktam par tha…… Unhe bus agar kuch dikh raha tha to vo tha, Spendorium ka gala aur unhona aaj faisla kar liya tha ki aaj ya to vo rahega ya fir Spendorium…….

Raja ka samna aana vala har sainik ko raja na bhut hi mahir ladaka ki tarah lad kar usko maut ka gaath utar diya……. Vaha Spendorium ka karib karib 50 sainik hoga……. Par raja na unsa bina ghabarai hua hi unpar humla kar diya aur kuch hi minute mei Spendorium ka 10 sainiko ko maut ka gaath utar diya…….

Spendorium apna sainiko ki essi hoti maut sa pagal ho utha aur vo khud kud pada maidan ka jung mei……… Ya vahi mauka tha jiska raja bhi intezar kar raha tha…… Spendorium ka maidan mei aata hi Raja na baaki sabhi sainiko ki taraf sa apna saara dhyan hata diya aur Spendorium ka upar apna humla kar diya…….. Spendorium ka sabhi sainik Raja ka upar humla karna ka liya aage bad raja tha ki Spendoirum na unhe vahi ka vahi rok diya……..

Spendorium: Aaj ki ya ladai mera aur iss Raja ka bich ki hai…… Mei bhi dekhu ki kya kar sakta hai…...... Vasa bhi tujhe yaha sabhi ka samna maar kar teri biwi ko apna pass rakhna ka maja hi kuch aur hoga……..

Raja: Spendorium apni gandi jaban par lagam laga……. Vasa tera ya sapna kabhi pura nahi hoga……. Aaj teri maut mera hi haatho hogi……

Spendorium: Vo bhi dekh leta hu………

(Vasa mei yaha aap logo ko bata dena cahata hu ki Spendorium Talwar baaji mei bhut mahir tha….. Usna bhut lamba samay tak ek acha guru sa talwar baji sikhi thi……….)

Iska saath hi suru hua vo ghamasaan mukabala jiski kalpana maatr bhi kisi na nahi kari thi…….. Ek taraf Raja to aaj Rishi ki di hui Shakti shaali talwar sa lad raha tha, vahi dusri taraf Spendorium apna guru sa sikhi hui vidhya ka bakhubi istemaal kar raha tha……. Iss youdh mei koi kissi sa kam nahi pad raha tha, dono ka bich bhut bhayankar ladai chidi hui thi……… Iss ladai mei vaha ki maujood sabhi chijo ko bhut haani pahuch rahi thi……..

Vahi dusri taraf Raja ki praja apna raja ko dekh kar achambit tha, kyunki unhona kabhi bhi unhe itna gussa mei nahi dekha tha, vo humesha shanti sa hi raha karta tha, parr aaj unka gussa bhut adhik tha……. Vahi Spendorium ka sainiko bhi achambit tha ki aaj Spendorium ki talwar ka ek vaar bhi raja ko nuksaan nahi pahucha saka…….. Isse phele hua mukabala mei bhi Spendorium ki halat bhut kharab thi, par usna uss dusra aadmi ko bhut shati pahucha di thi……… Ya youdh kaafi lamba samay tha lagataar chalta raha, par koi bhi haar maana ko tayar nahi tha…….. Par achanak hi pata nahi kya hua ki raja na apna ladna ka tarika badal diya aur abki baar unhona kuch essa humla Spendorium par kara ki Usse samajh aate tab tak der ho chuki thi, uska haath sa talwar Putti kar dhur jaa chuki thi………

Spendorium iss humla sa baukhla gaya aur vo jaanta tha ki agar usna raja ko agla humla karna diya to uski maut aaj pakki thi….. Par Spendorium bhi tha to kaali Shakti ka gulam…… usse apni haar itni aasani sa manjoor nahi thi….. Jiska chalta usna apni kaali Shakti ka istemal karta hua, raja ka agla humla karna sa phele hi unka upar ek roshni chod di jo ki kaali taakat sa bhari hui thi…….. Raja iss humla ka liya na tayar tha aur na hi unhona essa socha tha ki essa kuch ho sakta hai…….. Vo iss humla ko rokna ka liya abhi kuch aur karta usse phele hi vo Shakti aakar unhe lagti hai………

Uss Shakti ka asar bhut adhik tha……. Uss Shakti ka raja ka sharir sa takrata hi raja ko ek bhut teej force ka ehsaas hota hai jiska chalta unka haath sa vo talwar Putti jaati hai aur vo apni jagah sa kuch dhur jaakar girta hai………. Iss humla sa vaha ka mauhol jo abhi kuch der phele Raja ka logo ki awaj sa gunj raha tha vo ek dum shant ho jaata hai……… Vahi maharani bhi raja ka upar uss Shakti ka humla ko dekh kar dar jaati hai aur vo bhag kar raja ka pass aana ko hoti hai par Spendorium usse aage nahi aana deta hai…….. Vahi raja ko Shakti lagta hi vo jamin par girta hai aur tadapna lagta hai…….

Unki halat dekh kar sabhi logo ki aankho mei aasu aa jata hai……. Raja ko uss Shakti ka lagta hi bhut peeda ho rahi thi…….. Unka muh sa uss peeda ki vajah sa vo bhut jor jor sa chilnaki awaj aa rahi thi……. Unki taklif aur halat dekhkar maharani ki aakho mei aasu aa jata hai……. Ya ek savbhavik pal tha, kissi bhi patni ka apna pati ko peda mei dekh kar jo haalat hoti hai vo peeda sirf vo mahila hi samajh sakti hai……

Raja apni uss peeda ko bhut der tak nahi sehan kar paata hai aur vo apna praan chod deta hai……… Unka ek dum shant hota hi vaha ka mauhol ek dum shant ho gaya tha…….. raha gaye tha to bus sabhi logo ki aankho mei aasu….. Ek taraf vo saari praja apna raja ki hui essi maut sa bhut ghabra jaati hai, saath hi saath unhe apna raja ko khona ka dukh……..

Vahi dusri taraf maharani to jaisa tut hi jaati hai…… Kissi bhi mahila ka liya apna pati ki maut uski aankho ka samna hona bhut bada Dhaka hota hai…….. Vo mahila ki halat kuch essi ho jaati hai ki usse samaj hi nahi aata hai ki vo kya kara……… Yahi halat maharani ki bhi thi…… Ek taraf vo ya samaj nahi paa rahi thi ki aakhir ek dum ya kaisa ho gaya….. Vahi unki aankho mei aasuo ka jaisa sailab aa gaya tha……… Vo apni puri Shakti laga kar Spendorium sa apna aap ko aazad karati hai, aur bhag ka apna pati ka pass jaati hai…….. Vo raja ka sir ko apni goud mei rakhti hai aur bus unko uthna ka liya baar baar kaha rahi thi……. Unhe vishwas hi nahi ho raha tha ki unka pati ab unka saath chod kar jaa chukka hai…… Vo ek dum pagal ho gai thi…….. Unki najar jab rishi par padti hai, to vo ek baar fir raja ka sir ko zameen par rakh kar rishi ka pairo mei gir jaati hai aur unka pairo ko pakad kar apna pati ko vapas jeevit karna ki unsa prathana karti hai……..

Maharani: Hey RIshiver mera pati ka jivan vapas lauta do…… Aap bhut bada aur gyani rishi hai….. Kuch to kara…… Mujhe mera pati ka jeevan vapas lauta de…… Uska badla mei saara jeevan aapki dasi bankar raha lungi………

Rishi: Putri mei isma kuch nahi kar sakta hu……. Ya sab uss upar vala ka haath mei hai……. Kisa kitni lambi aayu de hai ya sab faisla vo karta hai, mei usmei kuch nahi kar sakta hu……..

Rishi ki baat sunkar maharani aur tut jaati hai aur bilak bilak kar rona lagti hai…….. Unki essi halat dekh kar vaha maujood sabhi logo ki aankho mei aasu aur bhi teji sa behana lagta hai……..

Par iss baat sa Spendorium ko koi matlab nahi tha…… Vo bhut khush tha kyunki aaj usna uski pasandita chij ko jeet liya tha……. Vo maharani ka pass jaakar maharani ka baal pakad leta hai aur unhe issi tarah ghasita hua bich mei le aata hai……..

Spendorium: Ab tum sab dekho kaisa mei isse aaj yahi sabhi ka samna iski kaisi halat karta hu……. Aaj iski essi halat kar dunga ki na ya jee sakegi aur na hi mar sakegi………..

Maharani ko Spendorium ki baat sa koi farak nahi pada aur na hi uski kissi harkat ka unhona koi utar diya…… Vo to apna aap ko phele hi mara hua maan chuki thi jab unka pati ki maut unki aankho ka samna hui aur vo unhe bachana ka liya kuch nahi kar saki…….. Maharani ki najar to bus abhi bhi raja ka pada hua sahrir ki taraf hi thi, unhe abhi bhi lag raha tha ki jaisa raja abhi uth kada hoga…….

Abhi SPendorium maharani ka saath aage kuch karta ki achanak vaha par ek baar phir sa kissi ka dard sa karana ki awaj gunjati hai……. Par ya awaj phele vali peeda ki awaj sa kaafi jaada tej thi…… Isse awaj kehana ki jagah ya kaha jaa sakta hai ki jaisa koi chila hi raha ho peeda ki vajah sa……… uss awaj ko sun sabhi log ek baar ka liya dar jaata hai……… Sabhi log apna charo aur dekhta hai ki aakhir ya kun hai jiski awaj thi………

Tabhi vaha maujood praja mei sa koi bolta hai…… Maharaj……….. Uski baat sunkar sabhi ka dhyan Raja ki taraf jaata hai….. Jisko dekhta hi sabhi log ek baar ka liya shock ho jaata hai……. Kyunki abhi kuch minute phele tak ussi jagah uss raja na dard sa tadapta hua ek dum shant ho gaye tha, aur ab vahi vapas sa uss Raja ka sharir mei ek baar phir sa hal chal ho rahi hai….. Uska muh sa itni dardnak chikh nikal rahi hai……. Par dekhta hi dekhta uss Raja ka chilana ki awaj aur bad jaati hai……. Vaha maujood sabhi logo ka kuch bhi samajh nahi aa raha tha ki aakhir ya kya ho raha hai……..

Maharani ki iss samay essi halat thi ki vo khush hoye ya roye unhe samajh hi nahi aa raha tha……. Ek tarf to jaha vo iss baat sa khush thi ki unka pati vapas laut aaye hai, vahi dusri taraf apna pati, apna prem ko apni aankho ka samna essa tadapta hua dekh paana unka liya mushkil tha……… Spendorium ko bhi samajh nahi aa raha tha ki aakhir ya kya ho raha hai….. Kyunki uski Shakti sa koi bhi insan ek baar mei tadap kar mar jaata hai, par usko itni peeda nahi hoti hai kabhi bhi……. Par yaha to raja ki peeda har pal ka saath badti hee chali jaa rahi thi…………

Dekhta hi dekhta raja ka chilana ki awaj uss pura jungle mei gunjana lagi thi…….. Unki peeda iss kadar bad gayi thi ki jab bhi chilla raha tha to essa lag raha tha ki vo apna sharir ki saari urja laga raha hai…… Yadi koi insan unka kuch hi dhuri par khada ho to uska kaan ka parda bhi uss awaj sa fat jaaye, vo chilana ki awaj itni adhik thi……

Achanak vaha ka mauhool badalna laga……. Vaha teej hawaye chalna lagi thi……. Hawa ki gati itni teej thi ki uski vajah sa vaha sab taraf dhul jama hona lagi thi……. Aasman mei iss raat mei badal chana laga tha……. Vo ghata ek dum kaali thi……. Asmaan mei bijaliya kadakna lagi thi……. Unki kadkadahat itni jaada tej thi ki vo jaha bhi girti uss jagah ka aas pass ki kaafi jagah ko nuksaan pahuchati…….. Uss kad kadati hui bijli ki ek urja vahi thodi dhuri par gira hua ek paid par girti hai…….. Uska vahan girta hi uss jagah aag lag jaati hai……… AUr vo aag uss jungle mei failna lagti hai…….. Uss aag na jungle mei ek bhisan roop le liya tha aur sabsa achamba ki baat ya thi ki vo iss kadar faili thi ki usna chaaro taraf sa uss maidan ko gher liya tha, jiska chalta koi bhi vaha sa nikal nahi sakta tha……….. Bijli ka girna sa vaha hui awaj na vaha ka sabhi logo ka sharir mei ek jhur jhuri si faila di thi……. Aaj sa phele kabhi kissi na uss ilaka mei na kabhi essa bijali ko kadakta hua dekhta tha, aur na hi kabhi vo iss ilaka mei kabhi kahi giri thi……. Par aaj ki baat kuch alag hi thi…………

EK baar fir aasman mei bijali kadakna lagi aur iss baar jo awaj paida hui uss awaj na sabhi ko andar tak dara diya tha…………. VO bijali siddha aakar raja ka sharir par giri, jiska girta hi maharani aur vaha maujood sabhi logo ki ek jor daar chikh nikal jaati hai aur vo sabhi log apni aankhe band kar leta hai………. Kuch shan ka baad jab vo aankhe khol kar dekhta hai to vo jaisa sabhi samaj hi nahi paata hai ki aakhir ya kya ho raha hai…….. Uss bijali ka girna sa jaha raja ka sharir ko jal jaana cahaiya tha, vahi ab raja ki awaj nahi nikal rahi thi aur unka sharir iss samay hawa mei upar ki taraf ja raha hai…….. Vo sharir kuch dhuri par jaakar aur upar uthna band kar deta hai aur hawa mei unka sharir ek jagah ther jaata hai aur vahi chaaro dishao mei ghumna lagta hai……….. Ek baar fir ek bijali ka ek jhatka aakar raja ka sharir ko lagta hai, jiska chalta raja ka sharir mei jaha jaha sa khoon nikal raha tha vo sabhi bharna lagta hai aur unka sharir sa nikalna lagti hai to ek roshni………

Ya Roshni har pal ka saath badti jaa rahi thi aur vo ab ek dum itni bad gayi thi ki kissi ko bhi vaha raja ka sharir nahi dikh raha tha aur na hi koi vaha kuch dekh sak raha tha jada der……. Uss roshni na raja ka sharir ko pura dhak diya tha…….. Kuch samay bita aur vo roshni ek baar fir kam hona lagi aur ant mei jab vo puri tarah sa khatam hui to vaha maujood sabhi logo na jab raja ki taraf dekha to bus un sabhi ki halat essi thi ki vo sabhi bus abhi gir hi jaayega………

Kyunki unhone samna jo dekha to vaha unhi ka raja hawa mei khada tha, unka sharir par ek alag hi teej najar aa raha tha, vahi unka sahrir mei bhi kaafi badlaav aa gaya tha, unka sharir phele sa bhi adhik shakti shali najar aa raha tha……. Unka sabhi ghav bhar gaye tha aur unka kapda bhi pura badal gaye tha, iss samay unka upar maharajao jaisa saahi kapada tha vo bhi bilkul neela colour ka……. Unko dekh kar hi lag raha tha ki koi bhut bada aur mahan raja vaha khada hai……… Vo bhi dhera dhera utarta hua jamin par aakar khada ho gaye……… Asaman mei bijaliya abhi bhi vasa hi kadak rahi thi……….

Spendorium jo abhi kuch der phele vaha khada apna aap ko sabhi sa jaada Shakti shaali samajh raha tha ab uski halat bigad rahi thi….. Usse samaj hi nahi aa raha tha ki aakhir essa kaisa ho sakta hai……. Uska dwara chodi gayi kaali Shakti raja ka kuch bigad kyu nahi saki…….. Vahi Spendorium ka sabhi sainiko ko aaj vaha raja ko essa khada dekh kar essa lag raha tha jaisa unka praan lena khud Yumraaj aa gaye hai…….

Chaliya dosto aaj hum yahi ruk jaate hai aur kal dekhta hai ki aage kya hua……. Aage ka jaana ka liya bana raha aap sabhi log aapki apni kahani par……. Aap sabhi ka comments ka Intezar rahega…….

Stay Tunned……..
 

Shubham

Member
358
2,151
123
Update 32

Pichle update tak aapna dekha ki kaisa Mara hua Raja ko hosh aa gaya aur na sirf hosh aa gaya bulki unmei jo parivartan aaya hai vo ek dum alag hai……..

Ab Aage…………


Raja ka badla hua roop dekh kar sabhi ka dar ka maare pasina Putti raha tha……… Vahi maharani ko Raja ka jeevat hona par itni khushi thi ki vo ya bhi bhul gayi ki raja mei kya badlav aaye hai…….. Raja na jamin par utarta hi apna aas pass khada Spendorium ka sainiko ko dekha aur saath hi dhur khada SPendorium ko bhi……. Raja ka cehara abhi bhi gussa sa bhan bhana raha tha…….. Raja na apna haath upar kara, to vo bijali jaisa siddha unka haath mei aakar ruki aur usna ek hunter ka shape le liya…… Ab raja ka haath mei ek bijali ka hunter tha…… Unhona usse khol kar ek baar jor sa jamin par maara to jaisa vaha khada sabhi logo ko jhatka laga…… Uss jhatka sa sambhal kar jab tak Spendorium aur uska sainik vapas hosh mei aaye tab tak der ho chuki thi…… Raja na vo hunter Spendorium ka sainiko ki taraf ghuma diya…….. Uska sainik jo ek hi saath tha karib 10 ki sankhya mei…… Vo hunter jaakar sabhi ka sharir ko ek saath apna kabja mei kar liya aur uska unka sharir mei lagta hi…… Sabhi ko tej bijali ka jhatka lagna laga…….. Vo sabhi vaha par jhatka kha raha tha, raja na apna hunter mei fasa un sabhi ko apni taraf khicha to uss hunter mei bijali ka prabhav bada aur un sabhi ka sharir par aakar bijali giri aur vo vahi raakh mei bada gaye…….

Raja abhi yaha nahi ruka aur unhona agla humla dusra group ki taraf kar diya……. Un logo ki bhi essi hi halat ho gayi…… Vaha unki hadi tak nahi bachi…… Agar kuch bacha tha toh vo tha raakh……. Raja ka ya bhayankar roop dekh kar Spendorium ka sainik apni jaan bacha kar bhagna laga par vo bhagta kaisa….. Kyunki unka charo taraf aag lagi hui thi aur jaisa hi vo uska pass pahuchta to vo aag itni vishal ho jaati ki usse paar kar paana kissi ka bus ka nahi tha……..

Rishi bhi raja ka iss bhayankar roop ko dekh kar unhe kuch anhoni hona ki aashanka hui, jiska chalta unhona raja ko shant karna hi sahi samjha aur saath hi Spendorium aur uska sabhi saathiyo ko yaha sa bhagana….. Kyunki agar Raja ka ghussa abhi kuch aur der shant nahi hota to iss sansaar ka samay chakra bhut prabhavit hota……. Jiska badalna sa bhut kuch iss sansar mei galat ho jaata aur bhut nirdosh maare jaate……… Rishi na sabsa phele maharani ka upar kuch mantar pad kar paani ki boonda daali taaki maharani hosh mei aa saka aur uska baad unhona Raja ko shant karana ka liya bhi aagrah kiya aur unhe sab kuch samjha bhi diya………

Maharani Rishi ki baat ko samajh kar Raja ka pass gayi aur unha apni baaho mei le liya….. Jiska prabhav ya hua ki raja jo abhi sab kuch bhul kar bus sab kuch khatam kar dena cahata tha, vo apni patni apni premika ko apna pass vapas paakar unka krodh dhira dhira shant hona laga tha aur uska saath hi shant hona laga tha aasman mei kadakti hui bijaliya…… Rishi ko ya avsar sahi laga sabhi ko vaha sa bhaga dena ka kyunki agar vo log aur thodi der vaha rehata to firsa raja ka krodh ka samna karna padhta……… Islye unhona unhe apna magic sa vaha sa dhur bhej diya……..

Kuch samay baad jab raja puri tarah shant hua tab jaakar vapas mausam phele ki tarah hua, par unka ander koi badlav nahi aaya…… Raja na jab maharani ko apna aalingan mei le liya, tab jaakar maharani ko bhi hosh aaya ki vo kaha hai aur abhi yaha kya ho raha hai….. Unhona khud ko raja sa chudaya…….. Raja na bhi vaha ka halat dekha, aur jab unhona apna sabhi logo ko bandha hua dekha to unhona apna haath aage kar diya jiska chalta kuch roshni nikali aur vo jaakar un rasiyo ko lagi jinsa sabhi ko bandha gaya tha aur vo jal gayi aur sabhi aazad ho gaye…….

Rishi chal kar raja ka pass aaye, to unhe dekh kar Raja na Rishi ka haath jod kar sukhriya ada kara…….

Rishi: Raja, meina yaha kuch nahi kara hai, yaha apna raajye ki raksha aapna khud hi kari hai…….

Raja: Nahi Rishiver, yadi aapna mujhe vo talwar ladna ko na dee hoti aur nahi apni ya Shakti mujhe dee hoti to aaj mera sara nagar khatam ho jaata……

Rishi: Raja meina kaha na meina kuch nahi kara hai…….. Ya sabhi aapki apni Shakti thi,…….. Meina aapko kuch nahi diya hai……. Ya jo talwar meina aapko dee hai ya koi Takatwar talwar nahi hai aur na hi isma kuch jaadu hai, ya ek du sadharan talwar hai……. Iss talwar mei kuch bhi khaas nahi hai aur na hi meina aapko koi Shakti de hai…… Yaha jo abhi urja aapna mehsoos kari hai apna andar ya urja aapka hi sharir ki hai…….

Raja: Par Rishiver ya kaisa ho sakta hai, isse phele to mujhe kabhi essa aabhas nahi hua…….

Rishi: Raja ya sabhi Shakti sirf aur sirf aapki hi hai aur iss pura brahmand mei ya Thunder Shakti ka istemaal sirf aur sirf aapka pariwar ka hi sadasya kar sakta hai, ya fir aap kabhi kisi ko ya Shakti de de…… Varna iss Shakti ka istemaal aur koi nahi kar sakta hai…… Ya Shakti sadiyo sa aapka pariwar ki hi hai, par aapka purvajo na kuch essa galat kaam kara hai jiska chalta kissi mahan Rishi na aapka pariwar ki iss Shakti ko bandh diya tha, Par aaj uss kaali Shakti ka aapko lagta hi iska bandhan ghul gaya hai aur ab aap iska istemaal kar sakta hai aur aapki saari urja ab aazad hai…….. Par aapka ya nagar abhi bhi aazad nahi hai…….

Ya baat sunkar ki unka purvaj na kuch essa galat kaam kara hai, Raja ka sir sharmindegi sa jhuk gaya…….

Rishi: Raja aap apna purvajo ki galti ka liya khudko sharminda mat kara…… Unhona ya kara nahi tha, bulki yaha karaya gaya tha…… Ya ek lambi kahani hai jiska ab koi matlab nahi hai…… Ab aapko apna nagar ko sambhalna hoga…….

Raja: Jee Rishiver, mei apni taraf sa puri koshish karunga……. Par RIshiver jaisa aapna kaha ki ya nagar aazad nahi hai…… Iska matlab kya hai aur isko kaisa aazad karaya jaa sakta hai………

Rishi: Raja iss nagar ko mukti to mil jaayegi, par iss nagar ka aap aakhri Raja hai….. Aapka baad iss nagar ka raja jo banega vo bhut hi Shakti shaali hoga, par vo aapka putr nahi hoga……….. Kyunki aapko aaj sa do saal baad ek beti hogi, jiska janam ka baad sa hi yaha ka logo ka jeevan mei badlaav aayega……

Raja: Rishiver mujhe iss baat ka koi dukh nahi hai ki mujhe ladka nahi hoga, balki mei khush hu ki mujhe ek beti hogi……. Par Rishiver iss rajye ka mera baad kya hoga…… Ek raajye kisi bhi raja ka bina bikhar jaata hai…….

RIshiver: Raja aapka nagar ko sambhalna koi aayega aur jab tak Orion mei uska raja nahi aa jaata hai, vo hi iss nagar ko sambhalega…… Uska pata aapko chal jaayega……..

Raja: Rishiver jo agla maharaj hoga vo kun hoga……..

Rishi: Maharaj jo agla Raaja hoga, vo aapka naati hoga, par vo kab kaisa yaha aayega ya samay hi nirdharit karega aur ho sakta hai vo kabhi yaha nahi bhi aaye……. Ya javab samay hi dega……..

ABhi Jhiku aage kuch bolta aur iss flashback ko pura karta, usse phele hi ek awaj na sabhi ko rok diya……. Ya awaj SHubham ki thi……..

Sabhi uss awaj ko sunkar ruk gaye…… jab unhona room ka bahar aakar dekha to vaha unhe ek saya dikha jo ki pura neela kapda mei tha…….. Usse dekhta hi Jhiku apna ek pair mod kar uska samna baith gaya aur apna sir uska samna jhuka kar…….

Jhiku: Mahan Jadugar Pilaso ko mera pranam……………..

Baaki sabhi jo abhi ya sab dekh raha tha, Jhiku ka muh sa essa sunkar unhe jhatka laga, Jiss Jadugar ko saari duniya na hazaro saalo sa nahi dekha hai, aaj vo unka samna khada hai……… par sabhi logo apna aap unka aadar mei jhuk gaye……

Pilaso: Tum sabhi ko mera samna jhukna ki jarurat nahi hai……tum sabhi kahi na kahi mera sa juda ho……

Willy: Kya Matlab?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png
?


Pilaso: OOOOhhhhh Prince of Elf, Wilson aap bhi yahi hai chaliye ya bhi acha hua……. Aapka javab de dunga par aaj nahi aaj mei bus aap sabhi ka samna kuch kaam sa aaya hu……. Aap sabhi na abhi jo bhi Jhiku ki kahani mei sunna hai……. Vo sab kuch aap abhi apna tak hi rakha……. Iss baaremei kissi ko bhi pata nahi lagna chaiya aur na hi Shubham ko koi kuch batayega………

Willy: Par ya to…….

Pilaso: Rajkumar Wilson, mei jaanta hu……. Par aap meri baat sunna aur yaad rakha….. Meina kaha hai ki abhi koi kuch nahi batayega…….. Samay aana par usse aur baaki sabhi ko ya pata chal jaayega…… Aur agar kabhi kissi na bhi ya baat boli, to vo samay uska aakhri hoga…….. Meri najar humesha tum sabhi par hai……. Mei yaha darana nahi aaya hu, par samay sa phele jin baato ka tumhai pata nahi lagna cahaiya tha vo tum jaan chukka ho islye mujhe aana pada…… Jhiku idhar aao……

Jhiku apni jagah sa khada hua aur vo chup chap sir jhuka kar Pilaso ka samna jaakar khada ho gaya……

Pilaso: Uska sir par haath rakhta hua, tum sach mei acha jaadugar ho……. Meina tumhari Shakti ki seema ko bada diya, isse kaisa istemaal karna hai, ya tum lagatar dhyan lagaoga usse samajh aa jayega…… Par mei tumhai ek jimedari dena cahata hu……. Kya tum mera kaam karoga……..

Jhiku: Aapna mujhe iss layak samjha ya mera liya bhut badi baat hai……. Mei aapka koi bhi kaam pura karna ki koshish karunga…….

Pilaso: Tumhai aaj sa in sabhi ko aur Shubham ko dhyan lagana sikhana hoga aur ya dhyan rakhna hoga, ki ya sabhi dhyan puri shidat sa kara…….

Jhiku: Jee

Pilaso: Bacho tum sabhi dhyan lagana suru karo, bhavisha mei tum sabhi ki bhut jarurat hai…….. Islye abhi apna jeevan ka sabhi kaamo ko chod kar apna aapko tayar karo aage ka liya, aur ha Wilson jab bhi apni maa Maharani Neena sa milo to unhe bolna ki mei jaldi hi unsa milunga……. Aur itna kaha kar vo vaha sa gayab ho jaata hai……..

Avantika: Yaar ya kya tha…….. Hum sabhi ko essa bolkar kyu gaye hai……
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


Willy: Iska javab Pilaso hi de sakta hai, aur unsa hum unki icha par hi mil sakega……..

Ek baar fir meri( SHubham) Awaj vaha aati hai…… Jiska chalta sabhi ka dhyan vapas meri taraf aata hai…… Sabhi mera room ki taraf aata hai……. Room mei aakar……..

Willy: Kya hua……
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png
?


SHubham: Yaar mera sir bhut dhuk raha hai…….. Pata nahi mujhe kya hua hai…….

Willy: Abe bevada jab pee nahi jaati hai to kyu pee itni……. Aur itni peena ka baad jo uska asar hota haina vahi ho raha hai abhi tujhe……..

SHubham: Yar RImjhim please kuch karo na……..

RImjhim: Sorry mei kuch nahi kar sakti hu…….. Iska liya tumhai na kuch khata khaana hoga…….. Ya fir ek baar fir sa peena hoga…….

Shubham: Yaar tum bhi maja le rahi ho……. Please kuch khata hi khila do…….

Avantika: Naa baba naa……. Huma neend aa rahi hai, aur hum kal raat sa jaga hai aur ab hum sona jaa raha hai……… Aur ya kaha kar vo khud bhi aur baakiyo ko bhi lekar chali gayi……….

Shubham: OOOOhhhhh God ab mujhe hi kuch karna hoga……….

Chaliya dosto inhe rest karna deta hai aur hum bhi aaj yahi ruk jaata hai……. Aaage jaana ka liya bana raha aapki apni story par……. Aapka comments ka intezar hai…….

Stay Tunned………
 

Shubham

Member
358
2,151
123
Update 33

Pichle update mei aapna dekha ki kaisa Jhiku uss nagar ki kahani sunata hai aur uska baad Vaha Pilaso aa jaate hai jo Shubham ko kuch bhi batana sa mana kar deta hai…………

Ab Aage……


Mei hostel sa nikal kar pahuch gaya Tea Stall mei hi aur vaha jaakar meina unsa Lemon Juice liya vo bhi bina shaker ka………….. usko peeta peeta hi mujhpr sa kal ka madira ka nasha khatam hona laga tha…… Aur saath hi saath yaad aa raha tha vo sab kuch jo kal hua tha aur kaisa meina Madira pee liya…….. Iska saath hi meri aankho mei vo cehara ek baaar fir sa dikhna laga jiska saath kal mei pheli baar mila tha………

Shubham: Ary yaar meina to kal uss ladki ka baaremei kuch bhi pucha hi nahi aur na hi usko aate hua bye kara…….. Na jaana vo kya soch rahi hogi mera baaremei………… Par fir sa mujhe uska vo khubsurat sa cehara apni aankho ka saamna dikhana laga tha aur saath hi dikhna lagi thi uski vo muskan jisko dekh kar to pathar bhi pigal jaaye……… mei bus vaha baitha baitha hi uska baare mei na jaana kya kya sochna laga tha aur kab mei baitha baitha hi sapna dekhna laga mujhe pata bhi nahi chala………… Mei sapna sa bahar tab aaya jab mera samna ek insaan aakar baith gaya aur usna mujhe hila kar sapna ki duniya sa vapas lekar aa gaye……… Ya insan aur koi nahi AS tha……..

Shubham: AS aap yaha………
huh.png
?


AS: Ary kyu mei yaha nahi aa sakta hu kya……
huh.png


Shubham:Nahi mera matlab vo nai tha….. Yadi aapko mujhc kuch kaam tha to mujhe hi bula leta…… aapna kyu taklif kari………
huh.png


AS: Nahi mei yaha kissi kaam sa nahi aaya hu, mei to bus yaha ki Special Masala Tea peena aaya tha…… Tumhai yaha baitha hua dekha to aa gaya…….. Vasa agar tumhara saath koi hai to mei ……….

SHubham: Nahi sir mei to bs akele hi baitha hu……….

Itna samay mei Tea aa gayi jo do thi….. Ek mera liya bhi thi…….

AS: Aaj to tumhari chutti hai to aaj kya kar raha ho din bhar……..
huh.png
??


Shubham: Kuch nahi kar raha hu……… Baaki sabhi to abhi sona gaye hai aur shyam tak nahi uthna hai, to mei bus essa hi hu………..

AS : Mera saath chaloge……. Mei yahi thodi dhur ek jagah jaa raha hu………

Shubham: Jee Jarur…..

Uska saath hi hum nikal gaye uss jagah ka liya jaha AS aa raha tha…….. Kuch 30 minute ka safar ka baad hum vaha pahucha……. Par vo jagah ek chota sa baag (garden) tha………

Shubham: Aap yaha kyu aa raha tha………
huh.png
?


AS: Jab bhi mei ashant hota hu to mei yaha aata hu……..

Shubham: Aap bhi ashant hai……
huh.png
?


AS: Aap bhi sa matlab……
huh.png
Aur kun hai…..??


SHubham: Mei………

AS: Tum kyu ashant ho……..
huh.png


Shubham: AS kal jo chetavani thi, vo kun hai aur vo kyu Orion ko khatam karna cahata hai…….
huh.png
?


AS: Jisna chetavani dee thi uska naam hai Imosopher…….. Vo apni Shakti ka sahi istemal nahi karta hai……… Vo Orion ko khatam karka vaha ka Raja banana cahata hai………

Shubham: Par Kyu?
huh.png
Orion mei essa kya hai…….
huh.png
?


AS: Tum Orion ka baare mei abhi kuch nahi jaanta ho, uska baare mei jab sab jaan jaaoga tab iss saval ka javab mil jaayega……..

Shubham: To aap hi bata dijiye na Orion ka baare mei……….

AS: Shubham mei jaanta hu tum Orion ka logo ko lekar pareshan ho, par unki raksha ka liya vaha duniya ka sabsa bada jadugar hai……… Bus itna jaan lo ki Orion mei kuch bhut khaas hai…… Jo bhi usko paa lega vo aadhi duniya ki Shakti ko paa lega………

Shubham: AS kya sach mei Imosopher bhut khatarnak hai……… Aur vo abhi kaha hai……..
huh.png
?


AS: Imosopher abhi ek grah par kaid hai……. Uss grah ki kaid sa nikal kar aana uska liya asambhav hai, par shayad kuch hua hai jiska chalta vo jaldi aazad ho jaayega…….. Imosopher bhut Shakti shaali hai……….. Uska pass kuch bhut khatarnak Shakti hai……….

Shubham: AS kya usse koi nahi hara sakta hai……..
huh.png
?


AS: Iss duniya mei jaisa har koi janam ka baad marta hai, thik ussi tarah cahaiye aap kitna bhi Shakti shaali kyu na ho, ek na ek din aap ko marna hi hoga……… Bus antar ya hai ki aap jaldi marta ho ya der sa ya koi nahi jaanta hai……… Koi na koi iss sansar mei Imosopher sa bhi jaada Shakti shaali hoga…… Bus uska aana ka intezar hai, vo jiss din Imosopher sa ladega uss din Imosopher ki maut ho jaayegi………

Shubham: AS kya Imosopher……..
huh.png


AS: Shubham Imosopher ka dar apna dil sa nikal do………. Imosopher ki chetavani sa agar darka rahoga na to tum usse ladna sa phele hi mar jaaoga…… Iss duniya mei agar kissi chij sa darna hai na to bus iss baat sa daro ki tumhara koi kaam iss duniya mei logo ka liya bura saabit na ho jaaye………..

Shubham: AS phele Imosopher ko kisna kaid kara tha aur kya vo ab humari madad nahi kar sakta hai……
huh.png


AS: Shubham Imosopher ko kaid karna vala ab iss duniya mei nahi hai…….. Par tum ab shant ho jaao…… Ab koi baat Imosopher ka baare mei nahi karna aur na hi kuch bolna…….. Bus kuch minute ek dum shant baith jaao…….. Kissi bhi chij ki awaj nahi bus shant………..

Mei bhi AS ki baat man kar shant ho gaya…… Kuch 10 minute baad…………

AS: Ab batao kaisa lag raha hai………
huh.png


SHubham: AS yaha shant baithna mei mera man ko bhi sukun mil raha hai…… Mera man mei uth rahi sabhi baate jinsa mei darta hu ya vo mujhe darati hai mei buss un sabhi baato ko apna man mei kahi dhur jaate hua mehsoos kar raha hu……..

AS: Yahi hoti hai shanti ki Shakti…………. Dhyan lagana ki Shakti…….

Shubham: Matlab mei kuch samjha nahi AS…..
huh.png


AS: Shubham tumhara man mei bhut saval hai aur kyunki tum saalo sa yaha ho, par tum iss duniya ka baare mei kuch nahi jaanta ho, jiska chalta tumhara pass bhut saval hai………. Inhi savalo ka bich tum apna aap ko bus kho de raha ho….. Kuch savalo ka javab dhundta hua tum pareshan ho jaate ho, kuch saval ka javab tum khud sa hi de deta ho aur dar jaate ho………. Tumhai khudka man ko shant karna hoga……. Tumhai sara javab mil jaayega par jab vo samay aayega, aur agar tum uss samay ka intezar nahi kar sakoga to fir tum aaj sa bhi jaada buri halat mei hoga………… Tum na bus roj subha uth kar dhyan lagaya karo………. Iska farak tumhai apni training mei dikhega…. Jab insan shant hota hai, tab vo jaada kuch kar sakta hai, na ki jab vo hazaro baate ek saath soch raha ho, kyunki usse samaj hi nahi aata hai ki phele kiska javab dhundu…..

SHubham: Ha aap sahi hai….. Mei bhut ashant ho gaya hu……… Mei bus pura samay apna aap sa hi hazaro saval karta hu……

AS: Bus apna man ho shaant karo aur bus apna man mei OM ko dhundna ki koshish karo….. Tumhai bhut antar lagna lagega apna aap mei…….

SHubham: Jee mei koshish karunga……….

Chaliya inhe yahi chod aaj hum chalta hai dharti par, bhut dino sa humna vaha ka chakar nahi lagaya hai…… Aaj dharti par ek week ka samay ho gaya hai aur Aaj fir PM house mei vahi sabhi log vapas milta hai, bus iss samay unka saath tha Ranjeet Singh Shekhawat……

Dgp: Sir, ya hai Ranjeet Singh Shekhawat jinka baare mei aapko bataya tha…….

DA: Helo Major, good to see you again……..

Ranjeet: Pleasure all mine…..

Abhi inki baat chal rahi thi ki PM ka P.A. sahab aaye aur sabhi ko….. Aap sabhi andar aa jaaye….. Sir aapka wait kar raha hai………

Ab sabhi log ek bada sa hall mei tha, jaha iss samay Bharat ka badi badi organization ka head Tha aur saath mei tha desh ka PM, DS, DA, Major Ranjeet aur PM ka P.A. sahab……..

Vaha baitha logo ki baat cheet suru hui………

PM: To Mr. Narayan bataye, kya raha uss Special Unit ka ……….
huh.png
?


Narayan: Sir ya hai Major Ranjeet Singh Shekhawat…… Inhi na uss unit ka saara design aur planning banayi hai, so ya mujhc acha sa explain kar sakega…….

PM: Ha Mr. Ranjeet to bataye aapna kya socha hai……..
huh.png


Ranjeet: Jaisa ki phele hi ya decide hua hai ki iss Unit ka main task hai country ko internal strength provide karana, to uska liya hume sabsa phele ek command centre cahaiye aur saath hi saath huma sabhi organization ka pura support……. Initially hum kuch hi logo ka saath hi iss unit ko suru karta hai, jinka kaam hoga apna network develop karna iss country mei jisse huma bhi khabar milti raha……… Second thing sir Huma DGP sir ka kuch khaas well trained aur desh ka liya jeena vala kuch officer bhi cahaiye, kyunki vo sabhi log jaanta hai ki public ko kaisa handle karna hai…….

Navy Head: Mr. Ranjeet jo kaam aapna bataya hai….. Vo sab kaam to CBI aur IB karta hi hai iss desh mei, to fir aapki jarurat hi kya hui……..
huh.png
?


Ranjeet: Sir aap sahi hai, ki CBI aur IB desh ki internal matters ko dekhti hai, par sir kya IB army ko dangerous operation mei support kar sakti hai, ya fir CBI vala Naksaliyo ko pakad sakta hai…….. Sir iss unit ka commando ko specially train kara jaayega in sabhi chijo ka liya aur saath hi saath hum har taraf sa best ko uthayega……… For Example: Abhi RAW ka pass ek agent hai jisko S32 kahata hai…… Usko humna ek secret agent bana diya hai, jabki vo sniper use mei expert hai…… Mujhe yaad nahi hai ki kabhi uska nishana chukka ho……. But vo aaj pichle do saal sa RAW ka saath as an agent kaam kar raha hai vo bhi in office……. To sir hum usko vapas field mei laa sakta hai desh ka andar ka logo ko saaf karna ka liya……. Uska ek fayda ya bhi ho jaayega ki ab kyunki usna agent ki training le li hai to vo aur badi asset ho jaayega iss unit ka liya………

D.A. : Mr. Ranjeet kya aapna apna officer select kar liya hai…….
huh.png


Ranjeet: Nahi sir, ya ek example tha kyunki S32 ko meina hi train kara hai……. Mujhe uski halat ka pata tha, but mujhe iss unit ka liya officer dhundna padega aur usma mujhe samay lagega…… Ya unit ka initial set up puri tarah tayar hona mei abhi 3 year ka time cahaiye…….

PM: Thik hai Mr. Ranjeet mei iss unit ko provisionally approve kar raha hu, but if ya sahi expectation par nahi utar saki to I have to close it down………

Itna kaha kar vaha ki meeting khatam hui………. Par uss hi din shyam ko ek call…….

Unknown 1: Aaj ek nayi unit ka development ka process suru ho gaya hai.,……

Unknown 2: Tumhara pass kal kuch aadmi aayega, tum unhe kaisa bhi iss unit mei shamil karo………

Unknown 1: Meri kimat iss baar double hogi……….

Unknown 2: Mei teen guna dunga, bus ya kaam pura karde……..

Iska saath hi ya call disconnect ho jaata hai……..

Unknown 2: India tum kuch bhi karlo, par mujhc khudko nahi bacha sakoga…………

Chaliya dosto aaj hum yahi rukta hai……. Aage jaana ka liya bana raha, aapki apni story mei…………. Aapka comments ka intezar rahega………

Stay Tunned
 

Shubham

Member
358
2,151
123
Update 34

Pichle update mei aapna dekha ki AS na Shubham ko Imosopher ka baremei ek choti si baat batai…… Vahi India mei Special unit ka design ban gaya tha aur usko provisional basis approve mil gaya hai….. Par Kissi unknown caller na uska secret bech diya ……..

Ab Aage: ………..


Uss call ka khatam hota hi Unknown 2 apna ghar sa nikal kar siddha car mei baith kar apni ek factory mei pahuchta hai……. Ya factory duniya ka liya ek Textile Mill thi, par iska basement sa operate hoti tha Hindustan mei hona vali har illegal activity……. Iss jagah par har taraf specially trained logo ko rakha gaya tha, jo iski security karta tha aur saath hi saath yaha par duniya ka apna kaam mei maahir logo ki ek alag sa fauj thi, jinka kaam sirf aur sirf Hindustan ko barbad kar dena tha aur uska liya vo saari planning and help provide karata tha……. Inn sabhi logo ka ek head tha jisko sabhi Raja kahata hai…….. Isski khubi yahi thi ki ya sab kuch kar sakta tha………. Vo hacking ho, ya fir combat, ya weapons ya aur kuch sab kuch usse use karna aata hai……..

Unknown 2: Raja ek kaam hai…….

Raja: Yes boss……

Unknown 2: Ek kaam karo, kal tum aur apna kuch khaas logo ko lekar Unknown 1 sa milo…..

Raja: Par boss kaam kya hai……. Kyunki ussi hisaab sa kuch logo ko lena hoga na………

Unknown 2: Kaam bhut siddha hai…….. Tum log kal sa mera liya nahi iss desh kaliya kaam karoga……

Raja: Kya….
huh.png
Boss aap ya kya kaha raha hai…
huh.png


Unknown 2: Ha mei sahi kaha raha hu….. Ek special unit tayar hui hai, tum logo ko usma apni jagah banana hai…… Vo iss desh ko khokla karna valo ko dhundega…….. Unki puri khabar mujhe milni cahaiye……

Raja: Par boss iska liya mera jaana ki kya jarurat hai, ya kaam to apna log hi kar sakta hai……
huh.png


Unknown 2: Nahi mujhe nahi lagta hai ki in sabhi mei sa koi bhi select hoga tumhara alawa….. Kyunki iss unit ka head Ranjeet Singh Shekhawat hai……… Aur tum janta ho na, vo kaisa hai……. He need only best…….

Raja: Thik hai boss jaisa aap kaho……..

Unknown 2: Ab mei bhi dekhta hu Ranjeet ki kaisa tu iss desh ko mujhc bachayega……. Iska saath hi vo vaha hasna lagta hai……. Aur uth kar ek dusra room mei chala jaata hai…….. Ya room vasa to ek bhut hi jaada luxury room tha, jisko dekhna sa hi pata chalta tha ki ya uska rest karna ka liya hai……. Par uss room mei ek dewar par ek notice board laga hua tha…….. Iss board par bhut saari photo lagi hui thi……. Un sabhi ka niche no. likha hua tha, par vaha ek khali photo lagi hui thi, jiska niche 1 likha hua tha……

Tabhi vaha ek ladki aati hai…….. Ya uski secretary kam, best of all thi…….. Raja ki tarah hi ya bhi best thi apna kaam mei, par ya essa koi kaam nahi karti thi, jisse aam logo ko koi nuksaan ho…….. Iska naam Lily hai……

Lily: Boss, aaj fir vaha kuch nahi mila……..

Unknown 2: Nahi, Nahi Aakhir essi kunsi jagah hai, jo usna usse chupa rakha hai…….

Lily: Boss, aap pichle 3 saalo sa ek ladko ko dhundna ka liya huma laga rakha hai, par na hum uska naam janta hai aur na hi uska cehara…… aakhir essa kaisa pata chalega……

Unknown 2: Lily vo ladka hi sab kuch hai…….. Uska milta hi mei Singhaniya ka pura khandan ko ek ek karka maar dunga……. Bus ek baar vo ladka mil jaaye, to mei uss Nirmala Thakur ko bataunga ki dard kya hota hai…… Apno sa dhur karna par dard kya hota hai…….

Lily: Boss to kyu nahi aap uss Nirmala ko hi utha leta……. Uska kidnap hona ka saath hi aapko saare javab mil jaayega…….

Unknown 2: Lily kya mera sir par chutiya likha hai……. Mei ya sab kuch karka dekh chukka hu, par vo kuch bolna ko tayar nahi hai, vo jaan de degi, par kabhi kuch nahi bolegi……

Lily: Boss aakhir essi kya vajah hai ki aap iss pariwar sa itni nafrat karta hai…….

Unknown 2: Lily inn logo na meri beti ko mujhc chinn liya, meina uski shakal bhi kabhi nahi dekhi hai…… Itna saalo sa mei tadap raha hu usse milna ko…….

Par ek baar mujhe Nirmala ka naati mil jaaye…. Uska baad to mei uski essi halat kar dunga ki vo aur uska saare pariwar vala bus yahi sochega ki aakhir kyu unhona mujhc dushmani kari…….

Lily: Boss mei apni puri koshish karungi jaldi sa jaldi uska pata lagana ki……. Iss bina cehara vala photo ki jagah jaldi hi photo
lagaungi…….


Unknown 2: Par yaad rakhna uska pariwar ki kissi bhi ladki ko nuksaan nahi hona cahaiya…… Kya pata unmei sa kunsi meri beti ho…….

Chaliya dosto to yaha ya baat to pata chal gayi ki ya photo to Singhaniya family aur Nirmala Thakur ka pariwar ki hai, aur saath hi ya bhi pata chal gaya hai ki inn dono pariwar mei aapas mei Rishtedari hai…….

Idhar uska baad Lily aur Unknown 2 mei aur bhi baate hui jinka humsa koi matlab nahi tha……. Khair chaliya inhe yaha chod kar ab hum thoda inn dono family ka overall dekh leta hai……

Singhaniya family iss desh ka sabsa bade businessmen family mei naam aata hai……. Vasa to inka kaarobaar desh aur videsho mei faila hua…. Inka main business to Textile, Marble Stone aur Jewellery designing ka hai….. Par inhi sabhi business mei ek business essa hai jisse inhona saalo sa kabhi nahi choda hai kyunki ya unka sabsa phele business tha, vo hai aachar aur papad ka……. Yahi vo business hai jiska chalta ya iss desh ka naami logo mei shamil ho saka hai……. Vasa to itna bada kaarobar hona ki vajah sa inka ek ghar sehar mei kaafi jagah hai, par aaj bhi ya apna parental house mei rehata hai, jo ki sehar sa 100km dhur ek gaav mei hai….... Inka pariwar ka maana hai ki jo maja sabka saath rehana mei hai vo akele rehana mei nahi hai, jiska chalta ya sabhi ek saath ek hi chat ka niche rehata hai……

Vahi Nirmala Thakur ka pariwar iss desh ka sabsa bada Raajneetik gharana sa juda hua hai….. Iss pariwar mei kaafi log raaj neeti sa juda hai…… Par iska alawa inka bhi naam desh ka bade businessman family mei aata hai…… Inka business mainly Hotels ka hai……….. Nirmala Thakur ka pariwar raajneeti sa juda hona ka karan sabhi log ek saath ek jagah nahi rehata hai, par jaadatar sabhi log apni purana gaav ka makan mei rehata hai…… Vasa usse makan ya bungalow kuch bhi kahana bhut galat hai, kyunki vo ek haweli hai……..

(Inka sabhi pariwar vaalo sa aapko aage mila dunga……)

Chaliya hum chalta hai vapas, Apna Hero ka pass…….. Mei AS ka saath vaha kuch aur samay baitha raha aur mera man mei uth raha vo sabhi saval jo mujhe pareshan karta tha vo sabhi kahi na kahi dhur ho gaye tha aur uska karan tha ki mei uss jagah jaakar apna aapko bhut shant mehsoos kar raha tha……. Par ek saval na mera picha nahi choda tha aur vo tha Imosopher…… Meina ya soch liya tha ki mei Imosopher ka baare mei sab kuch pata karka rahunga……. Par kaisa ya nahi pata tha, par mei jaanta tha ek insan meri ismei madat kar sakta tha, aur uska naam tha Glemo……. Meina man bana liya tha ki mei abhi yaha sa nikal kar siddha uska pass hi jaunga,,,,,Kuch samay baad mei AS sa jaana ki icha jata kar vaha sa nikal gaya Glemo ka pass…… Vasa to ya bhi mera saath hi gulam tha, par ya bhut alag tha……

Chaliya jab tak mei Glemo ka yaha tak pahuchta hu, usse phele mei aapko uska baare mei bata deta hu….. Glemo ek bona hai…… Ya iss duniya mei kahi dhur desh Nataniya sa aaya hai…… Ya kehata hai ki iska desh mei sabhi log bona hai, par ya jitna chota hai utna ki khatarnak bhi hai….. Iska pass kuch essa magic tricks hai jiska chalta ya kabhi bhi kissi ka bhi roop le leta hai, ya ek jagah sa dusri jagah kab gayab ho jaaye kissi ko nahi pata hai…… Iska pass books ka ek bhut bada bhandar hai….. Vo books itni hai ki yadi unko jalaya jaaye to kuch saal tak bina bhuja aag jalayi jaa sakti hai……. Un sabhi kitabo ko padh kar uska gyan bhut adhik hai….. Par ek bhut kharab aadat bhi hai iski aur vo ya hai ki ya bhut hi jaada emotional hai…… Kab kis baat par ya dhuki ho jaaye koi nahi jaanta hai….. Ab aap logo soch raha hoga ki ya agar gulam tha to iska pass ya kitaba kaha sa aayi….. To uska javab ya hai ki isko humara hi malik na kuch samay phele apna dost ko taufa mei de diya tha, aur unhona isko apna marna sa phele hi saari sampati ka swami bana diya, par vo islye kyunki isna magic karka usko apna control mei kar liya tha…..

Khair chodo mei pahuch gaya uska ghar aur jab jaakar meina uska ghar par darwaja khatkaya to koi nahi bola aur na hi koi awaj aayi….. Meina kuch der koshish kari par koi javab nahi tha….. EK baar ka liya mujhe laga ki ho sakta hai ki vo kahi bahar ho, par tabhi mujhe andar sa kuch saman girna ki awaj aayi aur saath hi saath awaj aayi ek aur chij ki, jo ki Glemo ki hi thi……. Iss baar meina uska darwaja ka handle jab ghumaya to vo khul gaya tha…….

Jab mei andar pahucha to meina dekha ki Glemo iss samay ek chair ka roop liya hua…… Meina usko islye pehchana kyunki vo baakiyo ki tarah apna upar chair cloths lagana bhul gaya tha……

Shubham: Dekh Glemo ya chair ka roop mei sa samna aa jaa….. Mujhe tujhc kuch baat karni hai…….

Par koi javab nahi aaya aur na hi vo samna aaya……

Shubham: Thik hai to fir mei ya jo Madira ki bottle laya hu vo mei he pee leta hu….. vasa ya madira na mei na nukad ki sabsa badi dukan sa laaya hu……( Ya madira hi iski sabsa badi kamjori hai…….)

Uska naam sunta hi vo mera samna aa gaya……

Glemo: Ary mera yaar mei to majak kar raha tha…… Tu to bura maan gaya…… Aa baith yaha par……

Shubham: Ha mujhe pata hai, tu kitna majak karta hai…….. Vasa mei yaha tujhc kuch madat lena aaya hu……

Glemo: Ary bolna……. Mei teri madat karna sa mana thodi karunga….. Aakhir tu to mera dost hai…… Par phele laa ya bottle mujhe de de….. Taaki mei isse hum dono ka istemaal ka liya tayar kar saku…….

Shubham: Nahi…… Phele mujhe meri jarurat ki chij cahaiya….. Fir hi mei ya tujhe dunga…….

Glemo: Acha bata tujhe kya cahaiya……..

Shubham: Mujhe Imosopher ka baare mei jaana hai…… Teri kitabo mei sa uss kitab ko mujhe padhna ko dena hoga…….

Glemo: Imosopher ka naam sunta hi, vo ek dum kursi sa uth khada hua aur saath hi saath uski awaj mei ek dard ka ehsaas ho raha tha……..

Chaliya dosto aage ka hum baad mei dekhta hai….... Aage ka jaana ka liya bana raha aapki apni story par…… aapka
comments ka itezar rahega……..


Stay Tunned……..
 

Shubham

Member
358
2,151
123
Update 35

Pichle update tak aapna dekha ki kaisa India mei Unknown 2 na apna logo ko naye bani unit mei entry lena ka order de diya hai aur saath hi saath uska kuch aur personal rival ka baare mei bhi huma pata chala hai…… Vahi dusri taraf mei Glemo ka pass uski madad maangena gaya tha………..

Ab Aage……………..


Jaisa hi Meina Glemo sa Imosopher ka baare mei pucha to uska chehra ek dum badal gaya…… Usse dekh kar hi lag raha tha ki jaisa Imosopher ka baare mei Glemo bhut kuch jaanta hai………

Shubham: Glemo please meri madad karde…….. Kal tuna uski di hui chetavani suni thi na……. Vo Orion ko khatam kardega…….

Glemo: Nahi, mei Imosopher ka baare mei kuch nahi jaanta hu aur na hi mera pass essi koi kitab hai…… Vasa bhi Orion ko khatam hona sa ab iss duniya mei koi nahi bacha sakta hai……..

Vasa tum kyu uska baare mei jaana cahata ho…….. Tum kyu faltu in sabhi baato mei fasna cahata ho…..

Shubham: Glemo mei abhi iss duniya ka school mei padh raha hu…….. Mei Imosopher ka baare mei sab jaana cahata hu………. Mei uski kamjori jaana cahata hu, jisse mei usse maar saku…….

Glemo: Hahahaha……. Tum Imosopher ko maaroga……… Iss duniya mei Imosopher ko khatam kar dena vala koi nahi hai ab…….. Imosopher kya hai aur kya nahi, tum kuch nahi jaanta ho…… Dhur raho usse ho sakta hai vo teri jaan chod de……. Par Apna dimak sa Imosopher ko maarna ka khayal nikal do………

Shubham: Glemo ya tu bol raha hai, jo duniya mei har burai ko mita dena cahata hai……..

Glemo: Imosopher ka samna mei ya tum ya koi aur bhi kuch nahi hai……… Hum sab uska samna vo ek chota tinka hai, jo teej chalti hawa aur bhavander mei uska saath hi udta chala jaata hai, bus kuch vasa hi haal hai…….. Chala jaao yaha sa mujhe na tumhari jarurat hai aur na hi iss Madira ki…… Mei tumsa bus itna hi kahata hu, Ho saka to Imosopher ka naam sa bhi dhur raho varna tumhara sab kuch tabha ho jaayega……..

Shubham: Glemo sun to……..

Glemo: Meri kissi bhi baat ko suna bina hi usna mujhpr magic kar diya aur mei vaha sa gayab ho kar siddha bajar mei pahuch gaya……..

Shubham: Lagta hai Glemo ka saath bhut bura hua hai……. Tabhi vo Imosopher ka baare mei kuch nahi baat kar raha hai, par ab mei kya karu…… Kaha sa pata karu mei Imosopher ka baare mei……… Mei bus apna man mei yahi baat liya hua chalta raha aur pahuch gaaya apna room mei……… Yaha bhi sabhi bus shant tha…….

Jhiku: Shubham mei tujhc kuch kahana cahata hu……..

SHubham: Ha Jhiku bolo na…….

Jhiku: SHubham kal sa hum sabhi log subha jaldi uth kar kuch samay bus kissi shant jagah dhyan lagana jaa raha hai…… Kya tum bhi aana cahaoga…..
huh.png


Shubham: Ary wah, tuna to mera muh ki baat chin lee….. Mei bhi abhi tum sabhi sa yahi puchna cahata tha…….. Mei jarur chalunga……… Vasa kya tum sabhi ko bhi AS na hi kaha hai kya dhyan karna ko……

Willy: Ha, hum sabhi ko AS na hi bola hai (Jhuth)……… Chalo yaar ab hum aaj ki chute bhi kahi ghum kar aata hai………

Nancy: Ha ya sahi rahega……… Vasa bhi Shubham bata raha hai na ki humari training ab aur hard hona vali hai……….. To kya pata ki hume aage samay milega ya nahi, islye aaj full masti karta hai, par tu(Shubham) aaj bhi pee nahi lena……..

Abhi yaha inki baate chal hi rahi thi ki vaha aata hai Tayon, Siyam, Marium…….. Par aaj Tayon aur Siyam ka haath mei uska saman bhi tha………

Nisham: Ary bhai ya kya hai…….. Kya lekar aaye ho tum dono ismei……….
huh.png
?


Siyam: Kuch nahi bus humna apna faculty instructor ko badal liya hai…….. Abse hum Madam Mariana ka group mei hi training lena vala hai…………..

Willy: Ary Wah!! Ya to achi baat hai…… Matlab ab hum 8 sa 10 ho gaye hai……..

Marium: Acha chalo tum sabhi group baad mei khushi mana lena aur phele ya batao ki aaj ki shyam ka kya program hai………
huh.png


Iszy: Kuch khaas nahi, bus hum sabhi to abhi essa hi ghumna jaa raha hai…….. agar tum bhi teeno saath chalna cahao to chalo…….

Teeno: Ary ya bhi koi puchna ki baat hai, chalo……..

Shubham: Ary tum log jaao aaj…… Mujhe aaj man nahi hai….. Mei aaj aram karna vala hu……. Vasa bhi pata nahi mujhe algi chute kab milegi……. Islye tum ghumo mei yahi hu………

Avantika: Ary chal na yaar, vasa bhi aaj mess band hai, to hum sabhi bahar khaa kar bhi aa jaaye…………

Shubham: Nahi yaar please aaj mood nahi hai……… Aur vasa bhi mei subha sa ghumta ghumta thak gaya hu……… Aur fir kal subha sa jaldi bhi uthna hai na tum sabhi ka saath jaana bhi to hai…….

Iszy: Chal thik hai, tu aram karle…….. Ary isko yahi rehana do hum chalta hai…….. Iska saath hi vo sab vaha sa nikal jaata hai………

Yaha aage kuch nahi hota hai…… Mei bhi aram sa apna karma mei aakar so jaata hu……… Mujhe nahi pata tha ki ya sabhi kab aaye …………. Meri nind agla din subha hi khuli, par aaj uthna ka samay mei changes ho gaya tha……Aaj mei apna samay sa karib do ghanta phele utha, kyunki aaj dhyan lagana jaana ka phela din tha aur meinahi cahata tha ki mei sabsa late uthu……….

Shubham: Mei tayar hokar bahar nikala to vaha sirf aur sirf Jhiku hi dikha mujhe……. Ary baaki sabhi kaha hai……..

Jhiku: Sabhi ka sabhi so raha hai……… Hume kal shyam ko aana mei samay jaada lag gaya tha……. Jiska chalta sabhi late soye…….

Shubham: To ab hum kya kare……
huh.png
? Kya hum dono hi chala ya fir aaj ka program cancel kara……..


Jhiku: Bhai sach kahu to aaj mei uth gaya hu, par mujhe khudko bhut nind aa rahi hai…… Agar hum kal sa chala to kaisa rahega…….. Kyunki agar mei abhi nahi soya to training time mei kuch nahi kar sakunga……

Shubham: Ary to tu jaa kar so ja bhai……. Vo vaha sa chala gaya sona…….. Uska jaana ka baad mei sochna laga ki ab mei kya karu…… Kyunki meri nind to puri ho gayi thi…… To meina socha kyu na aaj subha ki iss taaji hawa mei sair karka aaya jaaye…….. Iska saath hi mei nikal gaya tha iss subha ka anand lena……..

Mei bus yuhi subha ka uss suhana pal ko mehsoos karna ka liya apna domb sa bahar aa gaya….. Jab mei bahar aaya to vaha par kaafi hawa chal rahi thi, par iss samay ya hawa ek dum sheetal(thanda) ehsaas kara rahi thi…….. Uska mujhe essa chu kar nikalna par mujhe apna sharir mei ek nayi tarah ka anubhav kara rahi thi….. Iss anand mei khota hua, mei bus essa hi nikal gaya school sa bahar jaha par sabhi taraf shanti thi sirf kuch dukana khuli thi, jinka baare mei kaha jaata hai ki yaha humesha khuli rehati hai, sirf ek amavasya ka din hi ya sabhi dukana band hoti hai…… Mei bhi bus ghumta ghumta dekhta dekhta chale jaa raha tha aur mei kab apana aap uss hi jagah pahuch gaya jaha mei kal AS ka saath gaya tha……

Mei jab vaha pahucha to abhi bus suraj bhi apna din charya ka hisab sa nikalna ki suruvat hi hui thi….. Par mei to uss jagah aur vaha behati hui uss thandi hawa mei hi kho gaya tha……. Abhi mei aur uss jagah ko dekhta ki picha sa kissi na aakar mera haath pakad kar mujhe khicha aur mujhe saath lekar ek uchi chatan par pahuch gaye…….. Vo kun hai ya mujhe nahi pata chala tha…….. abhi mei usse kuch kahata ki ek awaj mera kaan mei…….

Awaj: Hey, mujhe nahi uss taraf suraj ka nikalna ki taraf dekho…… Ya subha ki phele kiran jab uss aasman mei padhti hai na to vo bhi apna saara rang uspar chod deti hai……..

Shubham: Jab meina uss taraf dekha to sach mei Suraj ki pheli kiran ka saath hi uss aasman ka color ek dum badal raha tha…… Vaha par padti pheli kiran ka saath hi aasman ka colour ek dum kesariya colour mei badalna laga tha……. Par meina jaada der uss taraf dhyan nahi diya aur mei to bus uss ladki ko dekhna mei hi kho gaya tha…….. Ya ladki vahi anjanai aur ajnabi hai, jo uss raat mujhe mili thi jisse na meina uska naam pucha tha aur na hi uski koi pehchan……… Par uss ladki na bhi mujhc kuch nahi pucha tha mera baare mei…. Uss din mei nasha mei tha islye mei uss ladki ko acha sa nahi dekh saka tha, par aaj meina jab usko dekha to bus jaisa mei ussi mei kho sa gaya tha…….

Ladki: Ary ooohhhhh, mujhe ghurna band karo aur samna dekho kitna acha najara hai……..

Shubham: Mera muh sa apna aap nikal gaya….. Vahi to dekh raha hu, ki mera samna kitna acha najara hai…….. Par achanak sa mujhe ehsaas hua ki mei ya kya bol gaya hu…….. Mujhe laga tha ki mera essa bolna par vo gussa ho jaayegi, par jab meina uski taraf najar kari to vo bus mujhe dekh kar muskura rahi thi…….

Ldki: Agar ab tumhara mujhe yuh ghurna ho gaya ho, to kya iss taaji aur thandi hawa mei hum thodi der dhyan laga sakta hai……

Shubham: Ha Ha kyu nahi…….. Par ek problem hai……

Ladki : Batao.

Shubham: Mujhe ya nahi pata hai ki dhyan lagata kaisa hai…….
huh.png


Ladki: Ary ismei kunsi badi baat hai, mei hoon na…… DHyan lagana ka liya bus tumhai na apna man ko shnat karna hoga, jisse tumhai kissi bhi tarah ki baate na sunai de aur na hi dikhayi de tumhara dimak mei……..

Shubham: Ary wah ya to bhut simple hai......... Ya to mei abhi karka dikhata hu……… Aur mei baith gaya dhyan lagana…..( Par kehata hai na ki kabhi kabhi aasan dikhna vala kaam itna mushkil ho jaata hai ki hum usko karna mei pura pareshan ho jaate hai…… ) Thik aaj vasa hi mera saath hua……. Jaisa hi meina aankh band karka apna dimak ko khali karna suru kara, to na jaana kaha kaha sa mera samna mera jeevan ki saari baate nikal kar samna aa rahi thi…….. Mei to samaj hi nahi paa raha tha ki aakhir ya kya ho raha hai…….. Meina kaafi der koshish kari par mei to kuch kar hi nahi saka……….

Shubham: Jab mei apni koshish mei safal nahi ho saka to meina aankhe khol kar samna dekha……. To jo meina dekha usse dekh kar mujhe kuch kuch aaschariye hua……… Mei abhi kuch bolta usse phele hi………….

Chaliya hum yahi aaj ka liya ruk jaate hai………. Aage jaana ka liya bana raha aapki apni kahani par……… Tab tak ka liya Aap sabhi ka comments ka intezar rahega………

Stay Tunned…………..
 
Top