• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance SIRF TUM!!!

Status
Not open for further replies.

AV14

L'amour Rend Toutes Choses Belles!!!
172
716
93
Shuruaat behadh shaandar hai kahani ki... Lagta hai ke kaafi kuchh dekhne milegaa iss kahani ke flashback scenes mein... Vivan hi iss kahani ka hero lagta hai aur Jahanvi shayad heroine...

Kisi kaaranvash ye dono alag ho gaye the 4 saal pehle.. lekin aesa kya hua tha.. Hospital waale scene ko dekh kar to laga ke Vivan ne kuchh aesa kiya jiss kaaran Jahanvi uss se khafa ho gayi ya kahun ke uss se nafrat karne lagi... Par jiss kadar wo filhaal Jahanvi ko yaad kar raha hai... Ghar ka naam bhi ussike naam par aur company ka bhi... Lagta to nahi ke Vivan usse dukh pahunchane ka soch bhi sakta tha..

Kherr... Badhiya starting hai kahani ki .. Shuruaat mein suspense bhi dekhne ko mil raha hai...

Awesome update & waiting for next...
Thnx a lot Brother for the revo.. sabhi sawaalon ke jawaab jald hi mil jaayenge.. Be along..
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,286
304
Bahot hi behtareen suruvaat huyi hai kahani ki kuch emotional scenes ke sath, zaha ek ladka ladki ke bich pyar ka izhaar, phir mohabbat ki ek nayi Dastaan ,dono zaha har pal enjoy karte, har lamhe ko jeete prem pranay ke sath.... lekin waqt ne aisi karwat li ki koi soch bhi nahi sakta tha ki undono ko yun bichhadna padega ek duje se...
Bichhadne ki wajah shayad us ladke ya vivaan ki wo issue thi ya shayad koi bimari. .. jiske baare mein pehle hi abhash ho gaya tha vivaan ko... isliye Usne aisa kuch kiya jiske chalte uski premika matlab jahnavi ushe nafrat karne lage... Kyunki wo jaanta tha ki in future jo haalat hone wali uske sath, uske sarir ke sath.... usko katayi manjur nahi tha ki jahnavi uske sath jindagi bitaye... kul milake baat ye hai ki vivaan ne apne pyar tyag kiya jahnavi ki bhalayi ke liye.... Lagta hai jahnavi ki bahan ko gyat hai isbare mein
Par ek baar usse bata deta to achha hota SHAYAD..........

jahnavi se door chale jaane ke baad vivaan ne ek company kholi jo uski mehnat aur talent ke chalte aaj is mukammal pe hai jisko dekh suraj sharma jaise hasti bhi jale...
Lekin gaur karne wali baat ye hai ki naam, sauhrat, rutba, paisa sab kama liya vivaan ne lekin aaj bhi sab kuch jaise khali sibhaye jahnavi ki kuch yaadon ko chhod kar..
... na koi emotions, na koi khushi, bas ek dard reh reh ke us sataye..... jaise koi khalipan har dum uske sath nibhaye....

Par fikar kaheki..
Navya hai na....:D
wo door karegi vivaan ke is khalipan ko apni pyar ki jyoti se :D


Shaandar update, shaandar lekhni shaandar shabdon ka chayan..
Aise hi likhte rahiye aur aur apni manoram lekhni se hum readers ka manoranjan karte rahiye...
Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :applause:
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,286
304
Nahi aesi koyi dikkat nahi hai un sabko laane mein but fir story khatam karni padegi... Ab wo sab milke hero ko hi cheer faad denge to main kiski kahani likhunga?? :D
aisa akdu hero chahiye bhi kisko ..are navya ko uski life mein laiye to kuch baat bane :D
 

Jaguaar

Well-Known Member
17,679
60,551
244
CHAPTER – 1

{PAST – RIGHT YA WRONG}


UPDATE – 1

{SCENE – 1} :-

I LOVE YOU JAHANVI….

I LOVE YOU TOO VIVAN….

Aur itna kehte hi dono gale lag gaye…..

Woohooo.. *Clap* .. *Clap* .. *Clap*.. Woohooo..

Ye scene hai ek Hotel ka, jahaan par abhi abhi ek ladke ne ek ladki ko propose kiya aur usne accept bhi kar liya. Wahin ye taaliyan aur shorgul hai wahaan maujood in dono ke doston ka jo khush hain inke liye…

Jahaan ladke ke chehre par aseem khushi hai wahin ladki apne chehre par khushi ke saath ek bahot hi khubsurat sharm bhi odhe huye hai….

SCENE CHANGE…. {SCENE – 2} :-

Ab ye drishya hai samandar kinaare ka… Jahaan maujood hai wahi ladka aur ladki. Is samay ladki ne ladke ke kandhe par sar rakha hua hai. Wahin ladka uske baalon mein ungliyan ghuma raha hai. Dono ki hi aankhen band hain. Tabhi,

LADKI – Mujhe na dar lag raha hai VIVAN, tum kabhi mujhe chhodkar mat jaana…

LADKA – Jaan, kis baat ka dar, main hamesha tumhaare saath hun…

LADKI – Aesa.. Aesa lag raha hai ki kuchh bura hone waala hai, bahut bura.

LADKA – Shhh.. Kuchh nahi hoga, Main hoon na, tum idhar aao…

Aur itna kehkar uss ladke ne ladki ko apni baahon mein bhar liya….

SCENE CHANGE.. {SCENE – 3} :-

Ye drishya hai ek hospital room ka, yahaan bhi wahi dono ladka – ladki hain, par unke saath ek aur ladki aur ek aadmi – aurat bhi hain….

LADKI – Why , just Why, Why did you do this… Kyon kiya tumne ye?

Ye bol hain ussi ladki ke, jo filhaal patients ke kapdon mein bed par leti hai aur aankhon mein aansoon liye chillakar uss ladke se ye sawaal kar rahi hai.

Ladke ke chehre par muskaan hai par aankhon mein dard ka samandar, kuchh , kuchh tha jo usse apne andar toot ta hua sa mehsoos ho raha tha.

LADKI – Chale jaao, chale jaao yahaan se aur fir kabhi bhi apni shakal mat dikhana mujhe… Just get Lost….

Wahaan maujood uss aurat ne ek dhakka sa de diya usse ladki ke itna kehne ke baad, aur wo bhi ladkhadata hua kamre se baahar jaane laga, darwaaze par pahunchkar usne peechhe mudkar uss doosri ladki ko dekha aur kuchh ishara kiya, jo wo bhi nam aankhen liye samajh gayi.

Aur fir apni premika jo ab shayad bichhad gayi thi usse nihara aur tezz kadmon se baahar chala gaya… Baahar nikalte hi usne jo ashrudhaara rok rakhi thi, wo beh gayi aur wo rote huye chal raha tha….

Tabhi….

BOSS.. BOSS.. BOSS..

Ek aadmi joki kaale suit boot mein tha kisi ko aawaz laga raha tha joki iss waqt wheel chair par baitha shunya ko ghoor raha tha. Uski aawaz se wheel chair waale ladke ki chetna lauti aur wo apni yaadon se baahar aaya. Ji haan yahi hai wo ladka – “VIVAN”. Ye yahaan baitha apni yaadon mein gum tha aur ab waapis asliyat mein aaya tha, uss ladke ne uss suit boot waale aadmi ki taraf ghoora,

AADMI – Sorry Boss par wo LAVANYA ka phone aaya tha, meeting ka time ho raha hai.

LADKA – Thik hai KHAN. Chalo.

[ INTRO :- ASHFAQ KHAN :- Age :- 34. Sirf do hi aese hai jinki ASHFAQ ibaadat karta hai. Sabse pehle Khuda ki, aur fir uss ladke VIVAN ki. Agar isse VIVAN ke liye apni jaan deni pade ya fir kisi ki bhi jaan leni pade, ye peechhe nahi hatega.

Do kaaran hain iss samarpan bhaav ke. Jo ki aapko aage kahani mein pata chal jaayenge. Bas filhaal ke liye itna samajh lijiye ki VIVAN ke baare mein, uske past ke baare mein agar koyi sabkuchh jaanta hai to wo ASHFAQ hi hai.

VIVAN pehle isse bhaijaan bulata tha par isne saaf keh diya tha ki wo isse naam se hi bulaaye. Isiliye wo isse KHAN kehkar bulaata hai. ]

Arre haan maine aapko iss jagah ke baare mein to kuchh bataya hi nahi,

“ SHANTI VAN ” – Yahi naam hai iss jagah ka. 100 acre mein faila ek bahut hi khubsurat mini jungle hai ye. BANGLORE ke rihaayashi ilaakon se door prakriti ki god mein shaanti se bharpoor ye jagah, dharti par swarg hai. Jaise hi aap ismein enter karte hain wahin par bade aksharon mein iss jagah ka naam likha hai.

Kayi prakaar ke ped hain iss sthaan par , lekin sabse khubsurat baat ye hai ki VIVAN bhaisahab ne iss jungle ke madhya mein ek bahut hi sundar lakdi ka ghar banwaya hua hai. Jiske chaaron taraf phool hi phool hain.
Jaanwar khatarnaak waale nahi hain par khargosh , gilehri (squirrel) , parrots aur paas hi mein ek atti sundar nadi hai jismein alag alag prakaar ki machhliyan bhi hain…

BACK TO STORY :-

To, ASHFAQ ke kehne par VIVAN ne bhi apni wheel chair ek disha ki taraf badha di. Haan iski wheel chair automatic hai, bole to, buttons se operate ki jaati hai. Jaise hi ye uss ghar ki range se baahar aaye to raaste ke dono taraf suit – boot mein aadmi guns ke saath maujood the.

Jab ye SHANTI VAN ke baahar pahunche to ek line mein kitni hi gaadiyan khadi thi. Beech mein ek special car thi , uske aage peechhe 10 – 10 gaadiyan thi. Wo sabhi suit boot waale aadmi unn gaadiyon mein baith gaye. Tabhi beech waali gaadi ke baahar ek button maujood tha, usse ASHFAQ ne daba diya, aur wo gaadi dono sides se khulti chali gayi, aur saath hi uska base bhi zameen ke level par aa gaya. Ye Car GERMANY ki ek company ko special contract dekar taiyaar karwaayi gayi hai. Taaki VIVAN ko problem na ho. Total mein aisi 2 gaadiyan hai iske paas.

VIVAN ne apni wheel chair aage badha di aur car mein position le li. Tabhi ASHFAQ ne wo button dobara dabaya aur car pehle jaisi ho gayi. Wo bhi aage driver ke saath baith gaya. Aur kaafila aage badh chala.

PLACE :- J & V GROUP OF COMPANIES (BANGLORE)

Hindustan ki sabse badi companies mein shumaar, jiske shares pichhle do saal mein ek baar bhi nahi gire hain. VIVAN kiska MD aur CEO dono hai. Iski world wide 7 branches hain aur 8th joki head office hai wo BANGLORE mein hai. VIVAN ke alawa sirf ASHFAQ hi jaanta hai J & V ki full form.

Kuchh aadhe ghante ki drive ke baad gaadiyon ka kaafila yahaan pahuncha aur VIVAN apni gaadi se nikal kar aage ki taraf badh chala. ASHFAQ uske saath hi tha aur baaki sab guards apni apni position par chale gaye.

Aaj yahaan par meeting rakhi gayi hai. Kisliye? Wo isliye kyonki aaj FRANCE ki STEVE ENTERPRISES joki Aaj ki tareekh mein duniya ki sabse badi Software and Technology companies mein se ek hai uska har saal announce hone waala sabse bada contract aaj yahaan ki meeting mein pesh hoga.

Pichhle teen saalon se ye contract J & V GROUP ko hi mil raha hai. Aur iss baar bhi sabko yahi umeed hai. Par iss baar ek change hai..

NAVYA GROUP OF COMPANIES..

[ INTRO :- NAVYA KAPOOR :- Age – 25. Ek bade baap ki beti, bole to Papa ki Pari. Maa bachpan mein hi guzar gayi thi. Aur Papa ne bade laad pyaar se paala hai isse. Iss company ki neev iske Papa ne rakhi thi (MADHAV KAPOOR). Aur ab pichhle do saal se ye iss Company ki nayi MD hai. Ghamandi to hai, aur ye cheez laazmi bhi hai, hadh se zyada khubsurat aur behisaab paisa , ghamand to saath mein hona hi hai.

Ab technology field mein VIVAN ki company no. 1 hai aur ye Madam ki no. 2. Aaj tak ye VIVAN se mili nahi hain. Aur naahi inhe pata hai ki iss company ka maalik kaun hai. Iss saal pehli baar inki Company STEVE ENTERPRISES ke Contract ki line mein hai. Kaaran baad mein Bataunga. ]

Ab aap kahenge ki kisi company ke contract ki meeting kisi aur ke office mein kyon? To iska jawaab ye hai ki STEVE MELTZER ek bahut badi hasti hai aur saal mein ek do baar hi India aata hai. Filhaal yahaan par hai aur main maksad yahaan aane ka ye meeting nahi balki VIVAN se ek AI Programme kharidna hai.

Kuchh din pehle hi VIVAN ki company ne ye programme banakar iski announcement ki thi. Ye ek bahut hi secure programme hai jiske zariye aapka server har tarah ki hacking se bach sakta hai. Aur isiliye STEVE ko ye cheez har keemat par chahiye. Isiliye usne yahaan meeting rakhne ka insist kiya taaki dono kaam ek saath ho jaayen.

THE MEETING HALL ...

Yahaan par maujood hai STEVE ENTERPRISES ka maalik STEVE MELTZER aur saath mein uski team, SHARMA GROUP ke maalik SURAJ SHARMA & team and at last NAVYA KAPOOR with her team. Tabhi meeting hall ka darwaza khulta hai aur sabki nazren uss taraf ho jaati hain. Wahaan se andar aata hai VIVAN apni wheel chair par , usse dekh kar NAVYA ki aankhen uspar jam si gayi thi, handsome hi bahut hai lounda apna. Wahin STEVE apni jagah se khada ho gaya. VIVAN aur STEVE ne haath milaaya. Aur VIVAN apni jagah par pahunch gaya.

Uske saath mein hi meeting room mein ASHFAQ aur saath hi do ladkiyon ne enter kiya. Ye dono VIVAN ki secretary hain.

[ INTRO :- VRINDA DESAI & LAVANYA ROY :- Age – 24. Dono best – friends aur saath hi bala ki Khubsurat bhi. Bachpan se hi saath mein padhi hain. Harvard University se Business Management ki padhayi ki hai. Dono hi ladkiyan genius hain.

Chaar saal pehle jab VIVAN ne ye Company shuru ki thi tab se hi ye dono company ki progress follow kar rahi thi aur uss se kaafi impressed bhi huyi thi. Isiliye 3 saal pehle jab ye dono studies complete karke India lauti to seedhe hi iss company mein apply kar diya aur select bhi ho gayi.

In dono ne VIVAN ko kabhi bhi khush to chhodo halki si smile dete huye bhi nahi dekha. Reason ye dono jaan na chahti hai par abhi tak to anjaan hi hain. ]

To NAVYA abhi bhi VIVAN ke chehre mein khoyi huyi thi wahin STEVE ne meeting shuru kar di. Sabse pehle SHARMA JI ne presentation di. Waise to badiya hi thi par..

Uske baad NAVYA madam ki baari thi aur uski presentation dekh kar STEVE saahab aur saath hi SURAJ saahab bahut impress the… SURAJ ko to lag raha tha ki iss baar VIVAN ke haath se contract gaya aur iss baat par wo bahut khush ho raha tha.

Par VIVAN ka chehra bhaav heen tha, koyi expression nahi, aankhen bhi bilkul khaali thi. Par uski dono secretaries tension mein thi. Haalanki unhe confidence to tha ke VIVAN ke caliber ka banda in sabme se koyi nahi hai. Par fir bhi insaan hai , tension to hoti hi hai…

Fir VIVAN ne apni presentation shuru ki aur uske poore hone ke baad shakh shuba ki koyi gunjaaish baaki nahi thi. NAVYA hairaan bhi thi aur dukhi bhi. Usne poore 2 mahine iss din ke liye mehnat ki thi par ab wo bhi samajh gayi thi ke ye contract uske haath se gaya hi samjho. Aur LAVANYA & VRINDA bhi khushi se fooli nahi sama rahi thi… Aur fir,

STEVE – So, this year’s contract again goes to J & V GROUP. Congratulations to you guys.

Is ghoshna ko sunkar jahaan VRINDA aur LAVANYA ke chehre khil gaye, wahin SHARMA Ji ka muh chhota sa ho gaya. Par VIVAN ko to jaise iss sab se koyi lena – dena hi nahi tha. Abhi bhi bhaav heen chehra liye hua tha ye.

NAVYA ye cheez note kar rahi thi. Aapko bata doon ki NAVYA ne psychology bhi as a subject liya tha apni studies ke dauran aur ye chehre padhna jaanti hai. Par VIVAN ke bhaav heen chehre aur khaali aankhen dekh kar ye bahut hairaan thi. Kabhi bhi isne kisi ko aese expression less nahi dekha tha aur wo bhi itni badi kaamyaabi milne ke baad to katayi nahi.

Chalo inka kaam khatam ho gaya aur ye sab yahaan se thodi bahot baat – cheet ke baad nikal gaye. Par VIVAN aur STEVE apni programme waali baat – cheet final kar rahe the. Chalo ye sab to chalta rahega. Abhi waqt hai iska…

[ INTRO :- VIVAN DIXIT :- Age – 25. Ye chal fir nahi sakta. Bahut hi masoom sa chehra. Aankhon ki putliyon ka rang neela hai iski. Face cut ek dum perfect. Waise to ofcourse ye koyi exercise wagerah nahi kar sakta par fir bhi diet conscious hone ke kaaran katayi fat nahi hai shareer mein. Halki daadhi hai chehre par aur baal halke lambe hain iske.

Aaj ki tareekh mein India ka sabse fast growing businessman. Iske Maa – Baap bachpan mein hi guzar gaye the. Koyi bhai behen to tha nahi to iske ek Chacha Chachi ne isse paala. Ek bojh hi samajhte the wo isse. Maarna peetna, ghar ke kaam karwana, gaaliyan dena ye iske saath routine mein karte the wo log. Jab isne 12th complete ki to wo ghar chhodkar DELHI chala gaya.

Wahaan isne ek reputed Business College se graduation kiya aur fir iske jeewan mein kuchh aesa hua ki aaj se chaar saal pehle ye BANGLORE chala aaya. Yahaan aakar isne ye company stapith ki jisne kuchh hi samay mein aasman ki unchaiyon ko chhoo liya.

Hamesha hi shaant sa rehta hai. Zyada baat – cheet karna isse pasand nahi. Dost ke naam par akelaapan aur khamoshi hi hai iske paas. Iske shareer mein sirf iska sar aur dono baazuen hi kaam karti hain, baaki saara shareer bejaan sa hai. Iska koyi accident nahi hua tha par fir bhi ye haalat hai. Kaaran iss kahani ka sabse bada raaz hai.

JAHANVI MANSION , yahi naam hai iske ghar ka jisse ghar to bilkul nahi kaha jaa sakta. Ek Mahal hi hai wo. Ye hafte mein 3 ya 4 baar SHANTI VAN zaroor jaata hai aur kaafi samay wahaan akela baitha shunya ko niharta rehta hai. Iss dauran koyi bhi isse disturb kare ye cheez bilkul bhi bardaasht nahi kar paata ye.

Zyada logon ne iska chehra nahi dekha hai. Sirf office staff, iski security aur kuchh gine chune clients hi jaante hain ki ye itni badi company ka maalik hai. Media mein aaj tak iski ek bhi tasveer nahi chhapi. Kaaran ye hai ki 3 saal pehle ek fake case kiya gaya tha iss company par jiske dauran media ne badha chadhakar isse doshi ghoshit kar diya tha. Baad mein Court mein nirdosh saabit hone par VIVAN ki request par Court ne Media houses ko iss company ke maslon se door rehne ki sakht hidayat di thi. ]


AKELAPAN AUR KHAMOSHI,
JAB CHHAA JAAYEN SAB JAGAH.
SAMAJH LENA KE DUKH AUR UDAASI MERI,
NAHI HAI BEWAJAH…..


Aaj ke liye itna hi guys..

Milte hain agle Update mein..
Superb Updateee

Shayad Vivan ke wheelchair mein hone ka kaaran Jahanvi hai. Shayad usse bichadne ke baad yeh aisa hogya hai. Hosakta hai jisdin isse iska pyaar mil jaaye ussdin yeh thikk hojaaye.

Par question hai aakhir aisa kyaa hogya jiske wajah se yehdono alag hogye. Kyaa kisine inke khilaf shadyantra racha hai jiske wajah se yeh alag hogye.

Dekhte hai aage kyaa hota hai.
 

AV14

L'amour Rend Toutes Choses Belles!!!
172
716
93
Bahot hi behtareen suruvaat huyi hai kahani ki kuch emotional scenes ke sath, zaha ek ladka ladki ke bich pyar ka izhaar, phir mohabbat ki ek nayi Dastaan ,dono zaha har pal enjoy karte, har lamhe ko jeete prem pranay ke sath.... lekin waqt ne aisi karwat li ki koi soch bhi nahi sakta tha ki undono ko yun bichhadna padega ek duje se...
Bichhadne ki wajah shayad us ladke ya vivaan ki wo issue thi ya shayad koi bimari. .. jiske baare mein pehle hi abhash ho gaya tha vivaan ko... isliye Usne aisa kuch kiya jiske chalte uski premika matlab jahnavi ushe nafrat karne lage... Kyunki wo jaanta tha ki in future jo haalat hone wali uske sath, uske sarir ke sath.... usko katayi manjur nahi tha ki jahnavi uske sath jindagi bitaye... kul milake baat ye hai ki vivaan ne apne pyar tyag kiya jahnavi ki bhalayi ke liye.... Lagta hai jahnavi ki bahan ko gyat hai isbare mein
Par ek baar usse bata deta to achha hota SHAYAD..........

jahnavi se door chale jaane ke baad vivaan ne ek company kholi jo uski mehnat aur talent ke chalte aaj is mukammal pe hai jisko dekh suraj sharma jaise hasti bhi jale...
Lekin gaur karne wali baat ye hai ki naam, sauhrat, rutba, paisa sab kama liya vivaan ne lekin aaj bhi sab kuch jaise khali sibhaye jahnavi ki kuch yaadon ko chhod kar..
... na koi emotions, na koi khushi, bas ek dard reh reh ke us sataye..... jaise koi khalipan har dum uske sath nibhaye....

Par fikar kaheki..
Navya hai na....:D
wo door karegi vivaan ke is khalipan ko apni pyar ki jyoti se :D


Shaandar update, shaandar lekhni shaandar shabdon ka chayan..
Aise hi likhte rahiye aur aur apni manoram lekhni se hum readers ka manoranjan karte rahiye...
Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :applause:
Thnx a lot for such an awesome revo Naina Ji.. Ji sahi kaha tyaag to kiya hai Vivan ne par poori baat to baad mein hi pata chalegi..

Thanks again & Be along..
 

AV14

L'amour Rend Toutes Choses Belles!!!
172
716
93
Superb Updateee

Shayad Vivan ke wheelchair mein hone ka kaaran Jahanvi hai. Shayad usse bichadne ke baad yeh aisa hogya hai. Hosakta hai jisdin isse iska pyaar mil jaaye ussdin yeh thikk hojaaye.

Par question hai aakhir aisa kyaa hogya jiske wajah se yehdono alag hogye. Kyaa kisine inke khilaf shadyantra racha hai jiske wajah se yeh alag hogye.

Dekhte hai aage kyaa hota hai.
Thnx a lot brother for the revo..bas kuchh updates baad hi aapko wo flashback mil jaayega jo Jahanvi ka PERCEPTION hai..

Thnx again & Be Along..
 
Status
Not open for further replies.
Top