• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy SOLO LEVELING

Story aapko kaisi lagi ?

  • Bahut achi lagi .

    Votes: 310 93.9%
  • Thik thak hi hai .

    Votes: 20 6.1%

  • Total voters
    330

Ss mujrim

Active Member
629
467
63
UPDATE - 15


Ab tk aapne dekha dosto kaise mai monster ko marta hu to mera level up hota h aur fir mai stat ke bare me thoda janta hu ki LEVEL UP krne pr DAILY QUEST se jyada fayda hota h. To mai jitna ho sake utna level up krne ki soch leta hu . Fir meri fight phle wolf ke ak group se hoti h fir wolf ke ak pure pack se mai fight krta hu aur sbko maar kr jo item unse milta h wo inventory me store kr leta hu . Ur last me pack ko khtam krne ke baad mujhe WOLF SLAYER ka title milta h .


AB AAGE...

Aise hi aage mujhe aur bhi bhut se WOLF milte h aur mai sbko marte hue aage badha rahta hu kuch time baad .

Mai ( apni sward ko dekh kr jis pr blood laga hua tha sath me ab kuch cracks bhi aa gaye the ) " dekh ke aisa lagta h ki is sward ka ki sharpness ab khtam ho cuki h. "
" Aakhir me ak weapon khrab ho kr aapni life khtam kr hi leta h. "
" Bhle hi mai ak high grade ka weapon khrid lu, wo bhi isi sward ke tarah rhega jo ak na ak din tut ke bekar ho jayega ha bs use mai is sward se jyda time use kr paunga bs. "
Mujhe yaad hai ek baar maine 50000 rupee se jyada ka ak khanjjar khrida tha.
" Use khridne ke baad maine socha hunting krna ab aasan ho jayega .. "
" Lakin wo khanjjar bahut aasani se tut gaya jb mai waha ke ek Boss ke sath fight kr raha tha tb. "
" Us din maine 3 E - Rank MAGICAL CORE collect kiye the. "
" Lakin fir bhi un sb ka total us khanjjar ke samne kuch nhi tha. "
" Usi din se maine soch liya tha mai future me fir kbhi koi weapon nahi kharidunga. "
"Bhle hi ye thakka dene wala ho, fir bhi mai apni body ka use karke one by one un sb monster ko marunga. "

Mai ( sward se ) " sukriya"
" Tmhara bhut bhut sukriya. "

Aapne chro taraf wolf ki dead body ko dekh kr " ye sward bahut kaam aayi mere. "

Ab jara jo tital mujhe mila h uske bare me kuch jaan lete hai ..

DING...

[ TITLE : WOLF SLAYER ]
[ Wolf ke khilaf fight mein proficient Hunter ko diya gaya ek title. Beast type monster ke khilaf fight me iska 40 percent experience use hoga. ]


Uske baad mai INVENTORY ko open krke ab tk jo bhi maine collect kiya tha wolf ko maar ke wo dekhne lagta hu .

" 34 wolf fangs, 2 khanjjar, ghumne ke liye kapde aur ak heart stone ."
" Ye to maine jitna socha tha usase jyada hi hai. "

Mai inventory se heart stone ko nikal ke apne hath me le leta hu aur sochta hu ...
" Heart stone ? "
" Kya mujhe iska use krke yaha se bahar nikal jana chahiye ? "

Kuch der sochne ke baad heart stone ko jor se apne hatho me pakd kr ..
" Nahi ! "
" Iski koi guarantee nahi h ki mujhe fir se aisa koi chance dubara milga . Jiska use karke mai itni aasani se strong bn sku . "
" Mai jb heart stone ke use krunga to uske baad is DENGOUN ka kya hoga ? "
" Kya ye bs gayab ho jayega ? "
" Agr ye system ke dwara banaya gaya koi limited event , to aisa possible hai ki mere yaha se bahar jate hi ye DENGOUN gayab ho jaye. "
" Mai nahi janta lakin sayad mai kisi ke hathon ki bs ak kathputli hu aur mai uske hatho ke ishare pr dance kr raha hu. "
" Jaise bhagwan ke hathon ke ishare pr hm sb nachte hai. "
" Bs dono me antar itna hi hai ye koi advance system hai jisme mai dubara jinda ho gaya hu . "

Itna bol kr apna heart stone ko pakda hua hath aage bada kr inventory me daal deta hu aur wo inventory me store ho jati h .

Iske baad mai aage badhne lagta hu . Aur jo bhi mere samne aata rahta h mai use marta rahta hu bina koi time khrab kiye .

SWOOSSS.... SWOOSSS....
UUUUUUU..... UUUUU.....


DING...

[ ALARM ! ]
[ You leveled up ! ]

DING...

[ ALARM ! ]
[ You leveled up ! ]

Mai ( monsters ko marte hue ) " jb bhi mai level up krta hu.. "
" Monsters se fight krna phle se aasan lagta h. "
" mai apne aap ka ab such me apne aap ko phle se strong mehsoos kr pa raha hu. "

Ab mere samne sirf wolf hi nahi aa rahe the . Ab monkey , big cat , aur wolf monsters ak sath mil kr alg alg director se nikal kr mere upar attack kr rahe the aur mai bina ruke sbko marte hue aage badta ja raha tha .
Jisase mai dhire dhire strong bhi hota ja raha tha, lakin hr baar level up krne ke liye mujhe phle se jyada monsters ko marna padta tha .

SWOOSSS...... SWOOSSS......
UUUU.... UUUU......
MEAAAOOO.....MEAAAOOO....

KOOO.... KOOOO.... KOOO.....

Ab tk maine kuch bate notice kr li thi ..
" Jaise yaha ke jo monsters h wo normal DENGOUN ke monster se alag the . "
" Aisa lg hi nahi raha tha jaise in monsters me jaan hai. "
" Isi liye inse fight krna mujhe ak game ki tarah lag raha tha . Jaha inke attack krne ka taraika phle se hi fix tha like a pattern. "
" Aur agar mai inke is pattern ko smjh gaya to mai jaan paunga ki ye sb kaha se aa rahe hai . "

Fir mai sochne lagta hu ..
' monkey upar se aata h aur attack krta h. '
' cat hr taraf se naikal aati hai . '
' aur wolf saamne se aata h. '

Ye sb soche hue mai in sb monsters ko maar bhi raha tha .
Fir mere dimak me ak aur baat aati h . Jb bhi koi monster mere samne aata h us monster ke sir pr uska name likh kr aata h aur uska colour kabhi same kabhi different hota h .
Tbhi ak big cat mere samne aati h aur attack krti h mai uska name dekhte hue use maar deta hu ..

[Black Shadow Razan ] ( white color )

Uske baad aise hi aur bhi kai monster aate h aur mai sbke name notice krte hue maarta rahta hu unko . Mujhe tb kahi ja kr smjh me aata h .

Mai " monsters ke strength ke hisab se unke name ka colour change hota rahta h. "
" White mtlb wo monster weak hai. "
" Orange mtlb wo monster strong hai. "
" Or red colour se name mtlb wo monster bahut jyada strong hai. "


Mare hue wolf ke body ko dekte hue " Raikan wolf jinka name phle mujhe orange colour me dikhta tha ab wo white color me dikhne laga h. "
" Ye dikhaya h ki mai phle se thoda strong ho gaya hu. "
" Lakin fir bhi meri abhi ki strength ko dekhte hue mujhe nahi lagta ki mai us monster ko hara paunga jo waha niche hai. "

HiiiiSSSSSS.........
HiiiiSSSSSS.........


Bhut sare monsters ko marne ke baad mai platform ki taraf le jane wali sidiyo ke paas khada tha aur sidhiyon ke niche se badbu kuch jyada aur phle wale se bhi bhut tej upar ki or aa ri thi . Sidhiyo pr chro taraf chote chote paudhe aur bel lage hue the bahut hi jyada gandgi thi yaha.
Mai andaja lagane lagta hu ho na ho BOSS jrur niche hi hoga . Mai niche jane ka faisala karta hu aur ye sochne bhr se mere rongte ( goosebumps ) khde ho jate hai.

Fir mai kud se kahta hu " mere rongte khade ho gaye h ! "
" Sayad is liye Qki mere sense phle se ab increase ho gayi h. "
" Lakin mai ye jrur bata skta hu ki , niche jo monster hai wo kitna jyada powefull hai. "

Aur mai apni STATUS ko dekhne lagta hu ...

{ [ STATUS ]

( Name : Rider )
( Job : None )
( Tital : None )
( HP : 1105 )
( MP : 200 )
( Level : 15 )
( Fatigue : 30 )
-------------------
( Strength : 33 )
( Agility : 24 )
( Sense : 24 )
( Vitality : 24 )
( Intelligence : 24 )
-------------------
( Remaining point : 0 ) }

Mai ( apni status dekh kr ) " bahut der se mera level bhi nahi increase hua h. "

( Apni sward ko dekh kr ) " aur meri sward bhi ab kabhi bhi tut sakti h agr mai aise hi lagatar fight krte raha to. "


HiiSSSSSS..... HiiSSSSS......
Tap.. tap..tap..tap...


Aur mai sidhiyo se niche utar kr platform ki taraf badhne lagta hu .
Utarte hue mai kahta hu " kya ye sirf mujhe hi lag raha h, ya sahi me ye sidhiya kuch jyada lambi hai ? "

Platform ki halt dekh kr mai sochta hu ' kya ye sahi me MANDA railway station hai . '

QKI waha niche platform ki halat hi aisi thi chro taraf paid paudhe, gandgi, bahta hua pani , pani ke upar ugai hui kai tej badbu, dhuaa aur na jane kya kya tha .

HiiSSSSSS..... HiiSSSSS......
BOOMMMM....
AHHHHH.....


Abhi mai ye sb dekh hi raha tha ki achanak se ak taraf se mere upar kuch bahut hi teji se aata h aur mai use marne ke liye apne sward se bhut tej attack krta hu. Lakin use kuch nahi hota h aur mai udte hue dur platform ke diwar se takra jata hu .
Mere muh se halka halka blood niklne lagta h . Abhi kya hua mai wahi sb soch raha hota hu ' itna tej attack ? '

Tbhi meri najar mere sward pr padti h ( shocked ho kr )" meri sward ? "

Qki meri sward tut chuki thi uska 3me se bs ak bhag hi bacha hua tha. Aage ka 2 bhag tut chuka tha .

Mai nirash ho jata hu aur niche dekh kr hafne lagta hu . Fir mai apni sanso ko kuch control krke upar dekhta hu to jisne mujh pr attack kiya tha wo mujhe dikhta h, jo ki ak bhut hi big snake tha.

Mai snake ki tarf dekhta hu aur sochta hu ' maine socha tha maine kuch level up kr liya h to mai iska kuch to mukabla kr paunga lakin .... '

HiiSSSSSS..... HiiSSSSS......

Tabhi meri najar us snake ke sir ke upar uske name pr jati h .

[ SWAMP'S RULER , BLUE POISON FANGS RASAKA ]

Mai ' lakin iska name to abhi bhi orang colour me likha hua h . '

HiiSSSSSS..... HiiSSSSS......

Wo snake apne muh ko khol kr jor se aawaj nikalta h . Lakin mai bikul nahi darta hu aur uski taraf dekh kr bolta hu
" Kya tum hi is jagah ke BOSS ho ? "

Uske baad mai apne tute hue sward ko kas ke apne hath me pakd leta hu jaise koi knife pakadte h .






Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!

Apna pyar aise hi banaye rakhiye !!
Chlo ab rider ko koy takeer ka meela ha
ache fight ho gai os ke
 
  • Love
Reactions: Itachi_Uchiha

Bhupinder Singh

Well-Known Member
2,001
4,975
158
UPDATE NO - 144(A)
( RIDER VS SANDY WILL THIS HAPPEN? )



Mai ek bahut hi unchi Building ke top ke Corner par khada ho kar apne samne se charo taraf dikhayi de rahe city ke ek bahut hi bada hissa dekhte hue apne aura ko fully release kar deta hu. Jiske karan meri body co purple color ki ek energy puri tarah se cover kar leti hai.

Meri sari sences is type apne full potential me work kar Rahi hoti hai. Meri eyes bhi is time glow kar Rahi hoti hai. Mai samne city ko taraf dekhte hue sabki bate sunane ki kosis karne lagta hu.

' Smith ! Aur Aaj kal kya chal Raha hai ? '

' Sir ! Hmare store ki policy aisa allowed nahi karti hai. Agar coustomer apna mind change kar le to....... '

' Last night tum party me kyu nahi aaye the yarr ? '


Aise hi har koi apne life se releted kuch na kuch kisi na kisi se bata ya sun Raha tha.

Jab mujhe abhi bhi Shubham ka pata nahi chalta hai to mere man me kuch khayal aata hai.

' Kya wo is City ko left kar cuke hai ? '
' Lakin Shubham to ek combat type D Rank Huntur hai. '
' Normal person to uska kuch bhi nahi bigaad skte hai. Bhle hi wo kitne bhi log aa jaye. '

Fir kuch minutes sochne ke baad wapas se mere man me khyal aata hai ' Agar koi Car jo ki Huntur bureau Headquarter jane wali ho aur wo waha na ja kar achanak se agar city se bahar Jane Lage to aise me Shubham ne jarur kuch n kuch notice Kiya hoga aur usne uske baad virod bhi Kiya hoga. '

Fir mujhe Anurag ki kahi baat bhi yaad aati hai jab wo mujhe batata hi ki jo banda aaya tha wo Scavenger Guild se tha, ye yaad aate hi mai apne man me sochta hu ' Ab tak sirf ek hi sabut mere paas hai aur wo ye ki Jo koi bhi culprit hai wo Scavenger Guild se Hai. '
' Scavenger Guild....... Ek minute.. '
' Lalit ka chota bhai Namit bhi to Scavenger Guild se hi tha na. '
' Jarur wo kafi times se hum logo ka yaha America me aane ka intejar kar raha hoga. '
' Taki wo uske bhai ke death ka secret jaan sake. '
' Us Raid me sirf mai aur Shubham hi bache the. '
' Namit ko jarur yahi lagta hoga ki hum dono ne hi uske Bhai ko mara joga. '

Fir mujhe wo scene yaad aata hai jab Anurag mujhe Namit ke bare me deta hai aur mi sochta hu ' Aakhir kisne socha tha Anurag ki warning aise such me badal jayegi ? '
' Maine past me jo kuch bhi Kiya hai mujhe us baat k regret bikul bhi nahi hai. '
' Lakin ye such kuch itna aage kabhi nahi badhta agar mai Shubham ke sath ek guard chor rakha hota to. '
' Agar Shubham ko kuch bhi ho gaya to..... '

Ye sochte hue Mai apni dono hatho ki muthiyo ko bahut jor se band kar leta hu.





~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Sandy Nirwana cabin
Scavenger Guild building




Sandy Nirwana apne cabin me apne bade se chair par baitha hua, apne cabin ke piche Lage transparent mirror se bahar ki taraf dekh Raha tha, tab uska ek employee uske cabin me enter hota hai.

Sandy Nirwana bina piche mude " Abhi tak koi news nahi mili ? "

Employee apna sir nirasha me jukhate hue " Nahi ! Sir. "

Ye sun kar Sandy Nirwana apne serious expression ke sath apne man me sochta hai ' Kahi aisa such me to nahi hai ki use kud ke Marne ka koi dar nahi hai ? '
Fir kuch soch kar kud hi apn sir Naa me hilate hue aage sochta hai ' Nahi ! Mister Namit ek S Rank Huntur hai. '
' Wo kud ke aur Rider ke strength me difference ke bare me bahut ache se janta hoga. '
' Fir bhi Aisa bewkufi bhara kaam karna jiske anjam ke bare me unko ache se pata hai. Iska matlb hai ki...... '
' wo ache se jante hai ki mai unki side lene ke liye aage aaunga. '
' Sayad mai apne hunters logo ke prati bahut jyada kind hu. '


Uske baad Sandy Nirwana apne phone ko nikal kar apne secretary Laura ko phone milata hai.

Sandy Nirwana " Laura situation ab kaisi hai ? "

Laura jo ki is time apne car ko drive karte hue kahi ja rahi thi wo phone ko recive karke speaker on karke baat karte hue jawab deti hai " Huntur bureau ke corporation ki help se hum Mr. Namit ke Last kuch month ke pattern ko analysis kar rahe hai. "
" Jinse hme ye pata chala hai ki ab tak total 3 hi incidents hue hai jaha wo apne usual activities ko chor kar kahi gaye hue the. "
" Aur tino time place same tha. "

Sandy Nirwana ye sunte hi turant kehta hai " Hmare sare logo ko waha bhejo. Mai bhi abhi wahi ke liye nikal Raha hu. "

Laura " Ji sir ! "

Tabhi Sandy Nirwana ke man me ek baat aati hai aur wo turant hi Laura ke call cut karne se phle bolte hai " But wait ! "
" Aakhir tumne Huntur bureau ko hmari help karne ke liye manaya kaise ? "

Laura " Maine unhe kaha ki agar humne Namit ko nahi dundha to aap aur Rider aaps me ek dusre se takra sakte hai. "




~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

HUNTER BUREAU HEADQUARTER, USA


Hunter Bureau ke headquarters me is time afra tafri ka mahol tha. Sare staff wale bahut jyada busy lag rahe the. Koi phone par kisi se baat kar Raha tha, koi laptop aur computer me kuch dundh rahe the. Har table par dher sari files padi hui thi. Yaha waha paper seet gire pade the.
Har kisi ke face ka expression bikul uda hua tha. Jaise unhe koi bahut bada dar sata raha ho.



Run.... Run....


Tab tak waha Mr. White bhagte hue aata hai aur vice president se jldi se kehta hai " Scavenger Guild ke sare Members kahi ja rahe hai. "

Vice president shocked hote hue Mr. White ki taraf dekh kar turant puchte hai " Sare 100 members ? "

Mr. White jaldi se " Ha sare 100 Hunturs, unki schedule sari raid ko unhone cancel kar Diya hai. "
" sare ke sare Hunters ek sath kahi ja rahe hai. "

Vice president ye sun kar tention ke sath samne dekhte hue apne man me sochte hai ' Scavenger Guild ke sare Hunters ek sath kahi ja rahe hai, to jarur iske piche Sandy Nirwana ka hi hath hoga. '
' Kuch bada hone wala hai. '
' Aakhir ye sub ho kya raha hai ? '















[ Note :- Mujhe is time personal work se bikul bhi time nahi mil pa Raha hai. Isiliye update chota hi hai. Kosis karunga aise hi chote hi sahi lakin Update de kar story ko aage continue krta rahu. ]

Aaj ke liye bs itna hi dosto !!

Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Nice update
 
  • Love
Reactions: Itachi_Uchiha
15,660
32,168
259
900 pages complete ho gaye ...congrats soul bhai .
 
  • Love
Reactions: Itachi_Uchiha

big king

Active Member
621
1,055
123
Nice update bhai. Action khatarnaak bana dena story ka ki maja aa jaay mere dost 👍👍👍👍👍👍👌👌👌
 
  • Love
Reactions: Itachi_Uchiha

Ss mujrim

Active Member
629
467
63
UPDATE - 16

Ab tk aapne dekha dosto kaise mai sare wolf ko marte hue aage badta rahta hu . Aur aage jane par mujhe wolf ke alawa monkey aur big cat monster bhi milte hai bt mai sbko maarte hue aage badta rahta hu, meri sward me bhi ab kai jagah cracks aa gaye the ,aur mujhe RETURN CRYSTAL bhi mil gaya tha lakin mai wapas jane nahi chahata hu qki mujhe aur strong banan tha aur aakhir me mai sidhiyo seho kr platform me pahuch jata hu jaha mujhe ek big snake milta h jo ki BOSS tha yaha ka aur uske ak hi attack me meri sward tut jati h .

AB AAGE.....

HiiiiSSSSSS.........
HiiiiSSSSSS.........


Mai khada ho ke apne hath me tuti hui sward le kr us big snake ko dhyan se dekhne lagta hu aur uski aakhe bhi mere ko hi dekh rahi thi .
Wo snake 100 feet ke lagbhag lamba aur 5 feet mota hoga . Uski body pure pletform me gol gol faili hui thi .

Mai use dekh kr sochta hu
' Ek sward iski moti chamdi ko bhed nahi payegi. '
' mukko ka bhi is pr koi asar nahi hoga. '

HiiiiSSSSSS.........

HiiiiSSSSSS.........
SWOOSSS........

SWOOSSS........

Tabhi wo snake apna muh khol kr mujhe khane ke liye attack kr deta h aur mai side me ho kr usase bach jata hu aur apne break hue sward se uske body pr attack krta hu lakin use kuch fark hi nahi padta h .

Mai ( attack krte hue ) " aise kaam nahi banega ! "
" Mujhe ek bahut hi supar fast attack krna hoga jisme dher sara wajan ho, aur thik usi samay mujhe iske defence ko bhi kamjor krna hoga. "
" Lakin mai iski is moti aur majbut chamdi se ka kya kru ? "

HiiiiSSSSSS.........

HiiiiSSSSSS.........
CRACK..... CRACK.....

BAMMM........

Wo snake mujh pr attack pr attack kiye ja raha tha . Uske body ke attack se jagah jagah jamin aur diware tut rahi thi lakin use koi fark nahi pad raha tha uski moti aur majbut chamdi ke karan . Mai bhi yaha se waha bhagte, jump krte hue bs kisi tarah bach kr apne break hue sward se attack kr raha tha tha lakin koi fayda nahi ho raha tha .

Mai " agr iska attack mujhe directly laga to mai pakka mar jaunga. "

HiiiiSSSSSS.........

HiiiiSSSSSS.........

Aahhhhhhh....

Ufffuuuu...... Uffuuu.....


Mai dhyan nahi deta hu aur mai us snake ke kundli maare hue body ke bich me chla jata hu Aur agle hi pal wo snake mujhe apne body se kundli maar ke jor se jakad leti h .
Mai dard se chilla uthta hu . Mujhe lgta h bs kuch pal aur mai mar jaunga . Lakin tbhi wo snake mujhe chor deta h aur m niche jamin pr gir jata hu .

Mai jor jor se khasne lgta hu . Meri body me bhut pain hone lagta h muh se blood niklne lgta h . Us snake ko dekh kr aisa lg rha tha jaise wo mere sath khel raha ho . Tbhi to mujhe mara nhi niche gira diya taki wo mere sath thori der aur khel ske .

Mai ( jor jor se saas le kr kud ko relax krte hue ) " mujhe laga tha ki mai thoda strong ho gaya hu . Lakin mujhme abhi bhi kamiya hai . Mai uhna bhi strong nahi hua hu. "

Mai ( gusse se ) khade hote hue aur apne hath me break hue sward ko ka kr pakadte hue " abhi mujhe aur kitna strong bnana hoga ..
Taki m apni purani life se picha chudda saku ki mai ab sbse kamjor nhi raha. "

~~~~~~~~~~~~~~~~~~

IN PAST...

Aur mujhe wo din yaad aane lagta h jb mujhe pahli baar pata chalta h ki log mere pith piche kya bolte h ..

Mai ak park me tha aur tbhi mujhe Mr.Rahul milte hai aur wo mujhe batate hai ...

Mai ( shocked se ) " world ka sbse kmjor huntur ? "

Rahul " sahi kaha ! Haal hi me Tumhare bare me aisi hi baate faili hui h chro taraf. "
" Kya tum jante ho ? "

Mai " haa "

Rahul ( fikar se mere solder par apna hath rakhte hue ) " mere khyal se kuch logo ne bachpane aur majak me aisa kah diya hoga. "Jb tk ki ye bs ak afwah hai tb tk tum apne aap ko mujbut banane ki kosis kro. "

Mai ( apne solder ki taraf dekh kr ) " ha mai smjh raha hu. "

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

CIIIRRRRR......CIIIRRRR......

Abhi me aage kuch sochta usase phle hi wo snake apna muh khol kr mujh pr fir se attack kr deta h aur apne 3 feet long daat ko mujhe gadane hi wala hota h ki mai apne break hui sward se uske daat ke samne la kr use rok leta hu aur kisi tarah bach jata hu .
Lakin sochne wali baat ye thi ki mere sward ke attack se bhi uske daat ko kuch nahi hota h .

Huffffff.... Huffffff....

Mai gutno ke bal bait kr hafte hue kahta hu ki " ye nick name mere se chipk gaya qki mai kamjor tha "
" Kamjor hone koi achi baat nahi h ki mai ise lekr dusro ke samne ding haak saku. "
" Mai janta hu mai kitna jyada kamjor hu. "

Mai wapas se uth kr snake se fight krte hue apne last mission ke bare me bare me yaad krke bolta hu ....
" Strength kya h ? "

( Last mission ke big statue ke bare me soche hue ki kaise hum uske samne apne ghutno pr jukhe hue the ) " Ek aisa pressuring force jo samne wale ko apni gardan jukhane pr, apne ghutno pr baithne pr majboor kr de. "
" Even wo juthe, kapti log bhi mujhe nahi bacha paye the. "
" Cahe aapka opponent kuch bhi kr le ...."
" Asli takat ke aage wo kuch bhi ni kr skte. "
" Uske dar se aapka opponent bs ghutne mod kr aapke samne jukh hi skta h. "

( Bhagne se phle mere are no jo bola tha Rohan ne use yaad krte hue )
" Mujhe har koi ignore kr deta h, qki mai kamjor hu. "
" Bhle hi aapko bhut chijon ki knowledge ho ..."
" Bhle hi aap intelligence ho... "
" Bhle hi sb aapko sukriya kahe ..."
" Strength ke samne..... aapko sb bhut aasani se dhokha de denge. "

Ab mai gusse se aur jyada power se fight krne lagta hu.

Mai " ab mujhe powerful banan hi hoga. "
" Mai yaha powefull banane hi aaya hu. "


DUKKK.........

Ahhhhhhhhaaaaaa.......
BOOMMMM....

Isi bich us snake ne mere piche se apne puch se ak jor ka attack kiya aur mai udte hue dur pletform ki diwar se ja takraya. Snake ka attack itna powerful tha ki diwar bhi tut gayi thi . Aur fir mai niche gir jata hu, mere kapde jagah jagah se fat gaye the , body me kai jagah se halka halka blood nikal raha tha.
Mai apni sanso ko control karke apne ghutno ke sahare se uthta hu aur bhagte hue wapas snake pr attack krte hue bolta hu .

Mai " Mujhe aur bhi jyada strong banan h abhi . "

Wow snake bhi mujh pr kbhi apne muh se to kabhi apni puch se attack krta h aur m hr attack se bachta hu kahta rahta hu .

Mai...
" Is baar nahi ! "
" Is baar mai nahi aana wala tumhare hath . "
" Us big statue ke mukable, aur jo dar mujhe uske waha hone pr laga tha us dar ke samne tum kuch nahi ho. "
" Mai tmse bikul bhi nahi darta hu. "

Ahhhhhhhhaaaaaa.....

CUUURRRRRR......
BADDAAAMMMM...........

Tabhi mujhe ak chance milta h, wo snake apne muh open krke mujh pr attack krne aata h aur mai udte hue apne sward ko puri takat se pakde hue uske muh me ghusa kr uske muh ko ak side se chitra hua jitna ho ske aage nikal jata hu .

Is attack se wo snake injured ho jata h aur pagl ho kr mujh pr attack krne lagta h . Lakin mai jump laga kr uske attack se bachta rahta hu .

HiiiiSSSSSS.........

HiiiiSSSSSS.........
Huh......

Meri sward bhi mere hath se gir gayi thi us attack me . Mujhe ab kuch nahi sujhta h to mai uske muh ke paas jump maar ke pakd leta hu aur jitna ho ske utna power se use dabane lagta hu .

HiiiiSSSSSS.........
HiiiiSSSSSS.........


Mai " Mai apne bache hue sare point strength me add krta hu. "
" Kya ab itna kafi hoga. "

HiiiiSSSSSS.........

HiiiiSSSSSS.........
Ahhhhhhhhaaaaaa......

Wo snake mujhe liye hue hawa me apna sir idhr udhr paglo ki tarah ghumane lagta h . Qki sare bache hue point strength me add krne ke baad meri strength aur bhi bad jati h aur mai apni full power se us snake ke muh se niche jaha se wo injured tha us jagah ko jor se dabane lagta hu .

Wo snake apne sir ko upar niche diwaron pr marne lagta h lakin mai use nahi chhodta hu aur jitna ho ske utna jor se uska muh dabate rahta hu .

HiiiiSSSSSS.........
HiiiiSSSSSS.........


Aur tbhi m dekhta hu snake me muh se blood nikalne lagta h . Mujhe ak ummid najar aati h .

Mai sochne lagta hu ..
' kya ye mar raha h ? '
' mar ja... '
' mar ja... '

HiiiiSSSSSS.........

HiiiiSSSSSS.........
Ahhhhhhhhaaaaaa......

Aur kuch der me hi uske muh se bahut jyada blood niklne lagta h .

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

In Hospital..

Dr. " Kya Rider abhi tk wapas nahi aaya h ? "

Receptionist " ji ha, wo subha hi bahar nikal gaya tha aur abhi tk wapas nahi aaya h. "

Dr. " Lakin aisa q hai ki, suraj dubne ke baad bhi wo abhi tk wapas nahi aaya h ? "

Receptionist " lakin wo to phle se bhut jyada thik ho gaya h ab aur bahut jldi hi use yaha se discharge bhi kr diya jayega. "

Dr. " Hum Hunters ke bare me confirm kuch bhi nhi kah skte .
Isi liye hme unhen ek room me rakh kr thik se sb kuch check krna hota h . "
" Wo kahte h ki high class Hunters bahut paise wale hote h, lakin low class Hunters ko jyada paise nahi milte hai, aur ye unke liye bhut hi khatarnak hota h. "
" Mujhe smjh me nahi aata wo ye kaam q krte hai ? "
" Kahi kabhi kuch hunturs yaha aise bhayanak condition me laye jate h ki unko dekhne se hi rooh kaapne lagti h. "

Receptionist " aisa q ? "

Dr. " Mujhe aashcharya hota h ki wo waha DENGOUN ke andar pata nahi kya krte h qki unke ghaaw normal nahi hote hai . "
" Jb wo yaha aate h to unki puri body blood se covered rahti h. "
" wo sare Us patients se bikul alag rahte h jiska ki koi serieal accident hua. "
" Lakin sbse amazing baat ye hoti h ki wo us conditions me bhi jinda rahte h. "

Receptionist " mtlb ye kisi chmatkar ki tarah hai ki wo sb kisi DENGOUN se jinda wapas aa pate h ? "

Dr. " Nahi ! Bilkul nahi . "
" Qki jo kmjor se kmjor huntur bhi normal peoples se bhut jyada strong hote h. "
" Ye kud kisi monster se km nhi hote h. "

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

DING...

DING....
DING....

[ ALARM ! ]
[ You leveled up ! ]

[ ALARM ! ]
[ You leveled up ! ]

[ ALARM ! ]

[ You leveled up ! ]

Haah.... Haah......

Haah...... Ha....

Hahahahaha.....
Hahahaha......


Snake ka mara hua sarir mere samne nice platform ke floor pr pada hua tha . Uske muh se bhut sara blood nikal cuka tha aur abhi ni nikal raha tha.
Mai uski muh ke paas hi uske body ke sahare baitha hua upar dekh raha tha aur khub jor jor se has raha tha . Mere kapde jagah jagah se fate hue the kahi kahi se blood bhi nikal raha tha lakin mujhe ab kisi chij ki fikar nahi thi. Mere khushi ka koi thikana nahi tha .

Mai " mere khyal se ... Mai ab phle sethoda strong ho gaya hu. "

DING.....

[ ALARM ! ]
[ You have slain SWAMP'S RULER , BLUE POISON FANGS RASAKA ]

Iske alawa 2 item aur milte h big snake ke marne ke baad .







Aaj ke liye bs itna hi dosto !!

Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aise hi banaye rakhiye !!
Ache fight the rider ke
good nice update
 
  • Love
Reactions: Itachi_Uchiha

Ss mujrim

Active Member
629
467
63
UPDATE - 17

Ab tk aapne dekha dosto kaise m BOSS se fight krta hu jo ki ak big snake tha . Lakin meri bahut kosis ke baad bhi mai uska kuch nahi kr pata hu . Fir mujhe ak chance milta h aur mai uske muh ko apne break hui sward se ak side se chirte hue nikl jata hu lakin isase bhi wo bs injured hota h marta nahi . Aakhir me mai apne sare bache hue points ko strength me add krke us snake ke muh ko pakd kr puri takat se daba deta hu jisase wo mar jata h . Aur mujhe use marne ke baad kuch item bhi system se milte h .


AB AAGE......

Mai ( apne kapdo ko dekh kr ) " mere kapde to bekar ho gaye h. "
( Sward to hath me le kr ) " jo sward mujhe aaj hi milti thi wo bhi tut gayi . "

Uuuhhhh....

Mai " meri body bhi ab kahi kahi se dard krne lagi h. "

( Apne left hand me pakde hue khanjjar ko dekh kr )
" Lakin ... Ab mujhe Mr. Rohan ke sward se hi sharp weapon mil gaya h. "
" Ek khanjjar jo ki monster ki bone se nahi blki monster ke daat se bana h. "

Ji ha is waqt mere left hath me ak khanjjar tha . Aur ye khanjjar unhi do item me se ek item tha to mujhe big snake ko marne ke baad usase mila tha .
Is khanjjar ke niche side me ek aur upar ke side me 2 daat nikle hue the . Ye ak bahut hi attractive khanjjar tha iski blade bhi bhut sharp thi aur iski sharpness bhi dono side thi.

Mai " check "

DING....

{ [ ITEM : RASAKA'S FANG ( monster ka daat ) ]
[ ITEM CLASS : C ]
[ TYPE : Dagger ]
[ ATTACK : +25 ]
[ Ek khanjjar jo ki monster ke daat se bana hua h . Iske upar lage hue jahar ke karan Ye kisi ko paralyze bhi kr skta h. Grant Bleed effect . Aap ise use kr skte h, store krke rakh skte h ya to sell kr skte h . ]

[ 1. PARALYZE EFFECT - is effect ke karan object kuch time ke liye apne jagah se move nahi ho sakega ]

[ 2. BLEED EFFECT - Is effect ke karan object har ak second me apne helth ka 1 percent loss krega ] }

Ab mai dusre item ki taraf dekhta hu . Jo ki ak band thaili thi .
Mai uski taraf dekh dekh ke kahta hu " is khanjjar ke tulna me ye bahut hi ajib hai aur ise use kaise krna h ye bhi mujhe thik se nhi pata. "
" Check "

DING.....

{ [ ITEM : RASAKA'S VENOM ( monster ka jahar )]
[ ITEM CLASS : A ]
[ TYPE : POISON ]
[ Ye ek thaili hai jisme monster ka purified kiya hua jahar rakha h. Ye aapko monster ko marne ke karan mila h. Unlikely drop rate . Ise pine ke baad aapki skin bhut hard ho jayegi lakin ye aapki strength ko bahut km kr degi. ]

[ 1. RASAKA'S STEEL SCALE EFFECT - physical damage ko -20 percent km kr dena ]

[ 2. WEAKENED MUSCLES - ( -35 percent ) strength ] }

Mai " filhal ke liye ise m inventory me store kr leta hu "

DING....

Abhi mai ye sb krke chro traf dekh hi raha tha ki . Ak aur notification aata h mere samne .

[ ALARM ! ]
[ BOSS mara ja chuka hai . Kuch hi second me DENGOUN ab phle ke jaisa thik ho jayega. ]

ZIZ...ZIZ...ZIZ...ZIZ...ZIZ...

Aur iske baad ek blue light ek side se nikal kr pure platform me aage badhne lagti h. Jaha se bhi wo light gujarti waha pr sb phle jaisa thik ho jata h aur sb thik hone ke baad. Pura platform phle jaisa ho jata h light thik ho jati h chro taraf roshni ho jati h . Sb bikul saaf suthra ho jata h . Sare monsters ki body bhi gayab ho jati h.
Agar koi aur dekhta to wo ye kah hi nahi skta tha yahi wo station hai jaha kuch der phle kitna kuch hua tha.

Tap.... Tap.... Tap....

Aur mai wapas chl kr station se bahar nikalne lagta hu. Bahar nikalne ke baad mai dekhta hu ki suraj dub gya tha aur raat ho gayi thi.

Mai ( idhar udhar dekhte hue ) " time kya ho raha h abhi ? "

Tabhi mere samne ak millitary man hath me gun liye aata h . Actually wo waha pr round laga raha rha hota h lakin mujhe station se bahar aata dekh kr mere paas aa jata h aur puchta h " tum kon ho ? "
" Aur tum waha niche se bahar kaise aa rahe ho ? "
" Kya tumne broadcast nahi suna ? "

Mai ( Soldier ki taraf dekh kr ) " ek Soldier ? "
" Q kya hua h ? "

Soldier " huh ! Tum kya kah rahe ho ? "

Fir wo mere taraf dhyan se dekhta h . Hath me tuti hui sward, fate hue kapde , kai jagah chot ke nishan.

Soldier " kya tum ek huntur ho ? "

Mai ( thodi smile ke sath ) " ha sahi kaha tmne, lakin ..... "

Abhi mai aur kuch kahta usase phle hi wo soldier meri baat bich me hi kaat kr mujhe salute krte hue bolta h ..
" Ahhh.. ! Mujhe maaf kr dijiyega. "
" Mai aapko rasta batata hu sir. "
" Is taraf se.... "

Mai sochne lagta hu ab ise achanak kya ho gaya h. Fir bhi mai chup rahta hu aur kahta hu " thik h chlo. "

Mai aage chlte hue dekhta hu ki kai jagah cars ke upar stone gire hue the, kai jagah car ka bilkul kabad ho gaya tha, bhut si buildings tut gayi thi , bhut hi tabahi machi thi . Bhut se monsters ki mari hui body dikh rahi thi kahi building ke roof pe to rode pr to kisi car ke upar .

Mai ye sb dekh kr sochta hu sayad kahi paas me hi kisi DENGOUN ka gate open hua h. Sb dekhte hue mai Soldier se puchta hu " kya yaha monsters aa gaye the ? "

Soldier " ji aapne sahi kaha, paas ke to sare monsters ko maar diya gaya h lakin ak big monster abhi bhi bacha hua h. "

Tabhi mujhe kuch feel hone lagta h aur mai dhyan se samne sky me dekhne lgta hu . Aur sochta hu ' sayad mere sense jo ki phle se ab bhut strong ho gaye h unke karan hi mujhe ye feel ho pa raha h. '

TADDDDDDD...........

Aur tabhi ak bahut hi tej blue color ki lightning niklti h aisa lagta h jaise sky se lightning niklti rahi h .

Mai " ye inka BOSS hi hoga. "

Fir kuch der chalne ke baad wo soldier mujhe us jagah le aata h jaha BOSS tha .

BOOOMMM......

TAAADDD.......

Mai dekhta hi ki ek bahut hi big monster jiski body bade bade stones se bani hui thi se ek hunturs ka group fight kr raha tha. hr ek huntur ke hath me unke weapons the koi sward, to koi bhala, to kisi ne tir dhanush liye hue the. Unke chro taraf millitary ne ak ghera banaya hua tha aur normal pepole un ghere ke chro orr khde the. koi is fight ki pic le raha tha to koi video bana raha tha.

Millitary to nirmal peoples " please photo mt lijiye. "
" Please jldi yaha se nikal jayiye sb log. "

Lakin logo ko koi fark nahi pad raha tha sb apni manmani kr rahe the koi bhi waha se ja nahi raha tha. QKI unhe lagta tha ki hunturs ke hote inko kuch nhi hoga.
Sb aaps me bate kr rahe the fight ko dekh kr ...
" Ye hunturs log kya kr rahe hai ? "
" Ye aise hi aur kitni der fight krte rahenge ? "
" Mai ummid krta hu ki ye monster ko jldi hi hara de . "
" Yaha to sb barbad ho gaya h. "
" Yaha bhut jyada nuksan ho gaya h. "
" Kya hoga agr jamin ka rate gir jayega ? "

Millitary " please ! Is jagah ko sb khali kr dijiye. "

Sb aise hi bate kr rahe the aur fight ko dekh rahe the .

BOOOMMM......

TAAADDD.......

Jbki hunturs log us big monster se fight krne me lage hue the , tb ak hunturs piche mud kr jor se kahta h ...

Hunter 1 " healer ! "
" Please ! Jldi se Mr. Tank ko heal kro. "

Hunter 2 monster se fight krte hue apne hatho se ak golden Circle bana kr apne power se attack krte hue " hm sb jitna ho skta h utna apni taraf se kosis kr rahe hai ! "

Huntur 3 jiska name Mr. Tank tha jo ki is group ka leader bhi tha puchta h huntur 4 se " damage phucahne wale hunturs kya kr rahe h ? Ye to hil bhi nahi raha h apni jagah se. "

Hunter 4 apne tir dhanush se big monster pr attack krte hue Mr tank se kahta h " iska defence bahut acha h. "
" Unfortunately hmare paas jyada magician nahi h. "

Ye sb sun kr mai apne man me kahta hu ..
' aisa is liye hoga qki inko yaha bahut jldi me bulaya gaya hoga. '
' jiske karan wo dusro hunturs ko nahi bula paye honge. '

Soldier ( jo mujhe yaha le kr aaya tha ) logo se kahta h " excuse me ! Hame andar jane dijiye "

Lakin koi bhi uski baat nahi sun raha tha sbka dhyan bs aage hi tha. Monster se ho rahi fight pr.

Mai aage sochta hu ' in sb ka rank bahut bhul low h. '
' lagbhag 8 E - Rank aur ek D - Rank HUNTER. '

Fir mai Mr. Tank ki taraf dekhta hu jo ki apne ak hath me sward aur dusre me shield le kr monster pr attack bhi kr raha tha aur uske attack se bach bhi raha tha sath me usne apne pure body pr bhi ak magical armor bhi pahna hua tha.
Ye dekh kr mai sochta hu ...
' Ab jb Mr.tank ne ek armor pahna hua h to use jyada chot nahi lag skti . Isi liye is battle ka center of attraction yahi banega. '

Mai aur dhyan se dekhta hu to mujhe hunturs ke piche healers dikhayi dete h . Ek lady healer ak huntur ke paas baith kr use heal kr rahi thi uske hath se green light nikal rahi thi aur Hunter ke chot ko sahi kar rahi thi . Usase kuch duri pr ak aur healer kisi dusre Hunter ko heal kr rahi thi, aur ak aur lady healer khadi ho kr fight dekh rhi thi . Uska face fight ki tarf tha mere taraf uski back thi.

Mai " healers ! "
" Two D - Rank healer aur ek ... "
" 1min ... "

Abhi mai aage kuch bolta usase phle hi ak lady huntur jisne ki crossbow liya hua tha wo piche mud kr us khadi healer se kahti h
" hey ! Miss tm kya kr rahi ho waha ? "
" Mujhe healing ki jarurat hai. "
" Tmne kaha tha ki tum ak B - Rank healer ho. "

Ji ha aapne sahi socha wo aur koi nahi Miss Anjana hi thi.

ZIZZZZZZZ......

Jb us hunter ne Miss Anjana ko healing krne ko kaha to Anjana ak baar ke liye dar gayi. Lakin fir wo apne hath ko upar us huntur ki tarf utha ke apne power ka use krne lagti h .
Jisase ak big circle bn jata h aur us circle ke bich me triangle ka shape bnta h .

Tbhi wo lady Hunter kahti h " tum itni dur q khadi ho ? "
" Aise tm mujhe kaise heal kr paogi ye jyada time lega. "

Anjana ( darte hue ) " sorry ! "
bs itna hi kah pati h.

Lady huntur ( dhire se ) " iske sath hua kya h. "

Fir Anjana apne eye close krke lady huntur ko healing krne pr focus krti h.

AAAHHHHH........

Tabhi wo big monster jor se gurrata h . Aur Anjana ko last mission ka wo big statue yaad aa jata h, aur uski aakhe khul jati h. Wo fir bhi open eye se heal krti rahti h aur sochti h ..
' agar main peechhe hat jati hoon to mujhe baikap nahin mil sakata. '


Ye sb dekh kr mai kahta hu ...
" Bhle hi us baat ko ek week hi gaye ho. "
" Lakin Miss Anjana abhi tk uske dar se puri tarah bahar nahi nikal saki h. "
" Is baat ki ummid thi bhi. "
" Mai kud bhi to ....."
" Nahi ! "
" mujhe isase ubarana hi hoga . "

Itna bol kr mai apne right hath jisme sward pakade hue tha ko upar uthata hu, apni jacket ko kohni tk chdata hu .

CURRR.......

Bhid se Thoda piche hota hu aur achanak se big monsterb ki taraf mud kr dekhte hue sochta hu ...
' ye BOSS monster sayad D - Rank ka hoga. '
' abhi kuch der phle maine jis BOSS monster se fight ki thi agar uski tulna isase kre to ye ek rank lower h us BOSS monster ke. '
' Agr mai iska defence kamjorkr du to ..
'
' mai ise hara paunga. '
' mujhe bs ek aisa attack krna h jo is stupid big rock monster ke andar ghus jaye. '

Aur mai apne break hue sward ko kisi bhala fekne ki tarah pakad leta hu. Aur us rock ke bane hue monster ke face ko dhyan se dekhne lagta hu.

Mai ( full speed me monster ki taraf bhagte hue ) " go ! "

Ahhhhhhhhhhhh........

Waha hunturs aur baki sb mujhse bekhbar fight krte hue aaps me baat kr rahe hote h. Mr. Tank abhi bhi fight krne me laga hota h aur uske paas hi Ek lady healer usko heal kr rahi hoti h.

Hunter 2 ( Mr tank se ) " Agar sb aisa hi chalta raha to hm sb mare jayenge. "

Lady healer ( huntur 2 se ) " agr koi high Rank HUNTER nahi aaya to ...... "

Hunter 2 ( biche me hi bol deta h lady healer ki baat puri hone se phle ) " nahi ! Nahi ! "
" Aisa hi sb chlta raha to Mr. Tank bhi mar sakte h. "

Lady healer " to tum kya cahte ho ki hum ab kya kare ? Hamara magic bhi ab khatam hone wala h. "

Mr tank ( dar se ) " kya ? "

BOOMMMM.........

AHHHHHHH........
AHHHHHHH........


Tbhi pata nahi kaha se kuch aa kr sidha us rock monster ke face pr lagta h, aur uska sir me pura andar ghus jata h . Aur rock monster bhut tej chillatne lagta h. Ski body hilne lagti h .
Ye dekh kr sb Hunter khusi se chillane lagte h .

" Yes! Ye Attack kaam kr gaya. "
" Ha, ye girl raha h. "
" Bs thoda sa aur. "
" Ha ab attack kro. "

SWOOSSS......

BAMMM......
BOOMMMM......

DDUUUMMMMM.....

Fir sb Hunter ek sath Attack krne lagte h. Jiske karan wo rock huntur bura distroy ho kr tut jata h aur niche gir jata h.

Sare Hunters khushi se chillane lagte h ..
" Yes ! Hmne kr dikhaya. "
" Hmne ise maar diya. "
" Hureee.... "
" Yahuuuu..... "

Jaha sare Hunters khush the wahi Mr. Tank bilkul series face ke sath dhyan se us rock monster ke nice gire hue face ko dekh rahe the.
' ye kya ? '
' kuch der phle tk to ispr kisi bhi attack ka koi asar hi nahi ho raha tha. Lakin achanak se ye gir gaya. '
' nahi ! '
' hmare attack ne kuch bhi nahi kiya h is monster ko.'
' vah kya tha jo us samay ud ke achanak se laga tha. '
' kya usi ke karan ye gira h. '
' to aisa kya tha jisne is rock monster ke sir ko hi uda diya. '

Mr. Tank chlte hue us rock monster ke face ke bikul paas aa jate h aur unhe uske face me ghusa hua ak sward dikhta h.
Jise dekh kr wo shock se sochte h ...
' ek boss monster jo akele 10hunturs se fight kr raha tha,
Wo bs isase haar gaya.'

Fir Mr. Tank us director me dekhta h jaha se usne sward ko aayi thi. Aur sochta h aakhir kon ho skta h ...

Mr. Tank ( usi taraf khade ek Soldier se ) " jara sunana "

Soldier ( Tank ke paas aa kr ) " ji, kya aap mujhe bula rahe the ? "

Mr. Tank ( wo broken sward us Soldier ko dikha kr ) " kya tum jante ho ye kisne feka tha ? "

Soldier piche mud kr mujhe dundhne lagta h jb mai nahi milta hu to jaha mai khada tha waha ki taraf isara krke " ji ye ek huntur ne feka tha jo yaha khada tha. "
" Abhi kuch der phle tk wo Hunter yahi khada tha. "

Mr. Tank sochne lagta h ' jitni strength se usne ye sward feka aur iske wajah se jitni chot rock monster ko aayi h. Us hisab se to ye pakka koi high Rank HUNTER hi hoga. '

Mai, jb monster mar kr gir jata h tabhi waha se wapas apne raste nikal jata hu aur jate hue sochta hu ..
' maine nahi socha tha wo bs ek hit me hi gir jayega. '
' kya uska helth jitna maine socha tha usase bhi km tha ? '

Miss Anjana bhi mai jis director me ja raha tha waha dekh rahi hoti h aur shock ho kr bolti h " Rider ? "

Ab mera Status kuch aisa tha.

DING......

{ [ STATUS ]

( Name : Rider )
( Job : None )
( Tital : None )
( HP : 2220 )
( MP : 350 )
( Level : 18 )
( Fatigue : 72 )
-------------------
( Strength : 48 )
( Agility : 27 )
( Sense : 27 )
( Vitality : 27 )
( Intelligence : 27 )
-------------------
( Remaining point : 0 ) }









Aaj ke liye bs itna hi dosto !!

Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aise hi banaye rakhiye !!

Kamal kaar deya ha rider na ak he waar ma.khatam kaar deya ha
 
  • Love
Reactions: Itachi_Uchiha

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
43,793
114,347
304
Congrats for complete 900 pages
 
  • Love
Reactions: Itachi_Uchiha

Ss mujrim

Active Member
629
467
63
UPDATE - 18

Ab tk aapne dekha dosto mai INSTANT DENGOUN se bahar aa jata hu. To mujhe pata chalta h paas me hi ak gate open ho gaya tha jiske sb monster mr jate h bs BOSS bacha hua tha. Mai waha pahuchta hu aur dekhna hu huntur ka ek group usase fight kr raha hota h lakin Boss monster ko kuch nahi hota h to mai apni broken sward se ak attack krta hu jisase monster mar jata h .

AB AAGE....

Kuch din baad ......
In Hospital...


Mai apne room ke side me rakhe hue sofe pr let kr curl-ups maar raha tha. Maine is samay bs apni patients wali pajama hi pahna hua tha. Upar se mere body naked thi . Mera pura saris pasine se shine kr raha tha, aur me teji se curl-ups maarta ja raha tha.
Uske baad mai niche floor ke sahare push-ups bhi marne lagta hu ab mera pasina floor pr girne lagta h. Meri body me bhi bhut change aa gaya tha meri body ke sare cut's ab dikhne lage the . Mere 8pack abs bhi nikal aaye the.

Mai apne exercise me laga hua tha tabhi bahar se kisi lady ki voice sunayi deti h ..

" Mai andar aa rahi hu. "

TAAARRRRRRR.........

Tbhi agle hi pal ak beautiful si nurse gree colour ke hospital staff ke dress me mere room ka gate open krke andar aa jati h. Fir jaise hi uski najar kuch hi duri pr push-ups marte hue mujh pr padti h. Wo akdam se sarma jatai h aur wahi door ke paas apna face dusre direction me kr khadi ho jati h .

Nurse ( sarma kr ) " ohhh ! "

Mai ( push-ups marte hue )" ahhh ! Mujhe maaf kr dijiyega. "

Itna bol kr mai khada ho jata hu Qki mera push-ups complete ho gaya tha.

Nurse ( waise hi sarma kr ) " nahi mai hi galt samay pr aa gayi thi. "


Huhhh.... Huh........


Mai hafte hue apna patients wala kurta pahnane lagta hu . Aur wo nurse chori chori mujhe dekh rahi thi. Uski aakhe mere 8 pack abs aur chest pr hi baar baar ja rahi thi.
Uske gaal bikul red ho cuke the, aur wo apne man me soch rahi thi..
' wow '
'ye patient ! '
' kya ye jb yaha admit hua tha tb bhi iski body itni tarasi hui thi ? '

Uske itna sab sochne tk maine kurta pahn liya. To wo ab mere paas aa jati h aur puchti h...
Nurse " kya tum aaj discharge ho rahe ho ? "
Mai ( smile ke sath ) " ji ha. "

Ye sun ke wo sad ho jati h . Fir kuch soch kr turant bolti h...

Nurse ( apna smartphone mere taraf badhate hue ) " agar tumhe thik lage to kya mai tmhara no. Le skti hu ? "

Mai ( thoda shock se ) " mera number ? "

Nurse ( thode sharm ke sath ) " haa .... Lakin agr tmko koi problem na ho dene me tb hi. "

Mai sochta hu ' sayad koi tests results honge jo inko mujhe baad me send krna hoga. '

Ye soch kr mai uska phone le kr apna no. Usme save kr deta hu .
Mai " thik h. Bs abhi deta hu. "

Mera no. Milne ke baad wo nurse bahut happy ho jati h aur mujhe baki ki information dene ke baad ek cute si smile deti hui mere room se bahar nikal jati h.


Next day....
Mere ghar pe.....



Meri choti sister Kavya apna school uniform pahna kr ready thi abhi wo apna shoe's hi pahn rahi thi. Shoe's pahnane ke baad wo khadi hoti h aur ghar ke main door ko open krne lagti h.

TIIIKKKK......

Tabhi mai apne room ka door open krke bahar aata hu aur kavya ko jate hue dekh kr apne right hand se apne chest ko khujate aur sath me ubasi lete hue bolta hu...

Uuuuuu.....

Mai " Are kavya tm school ja rahi ho ? "

Kavya ( mere abs ki taraf dhyan se dekh kr ) " kya ? Tum jaag gaye ? "

Mai " haa mujhe to jage hue kafi time ho gaya h . Raste me jate hue cars se sawdhan rahna. "

Kavya ( meri taraf dhyan se dekh kr ) ". Kya tum workouts krne lage ho ? "

Mai " haaa thoda sa. "

Kavya Mere paas aa kr apne hath se mere aur uski height ka comparison krte hue kahti h " tumhari body phle se toned ho gayi hai, aur tum phle se lambe bhi ho gaye ho. "
" Kya aadmi log 20 ke hone ke baad bhi grow Krte h ? "

Mai ( ek umbrella uski taraf badhate hue ) " ye sb faltu ki bakwas band karo aur ye umbrella rakho. "

Kavya " aisa lg to nahi raha h ki aaj barish hogi aur waise bhi ye bhari h . "

Mai use piche ghuma deta hu aur uske bag me umbrella rakhte hue usase kahta hu " ye folding umbrella hai to ye bhari nahi h is liye ye sb faltu ke bahane banana band kro. "

Kavya ( thode gusse se) " Huh...."

Uske baad mai use by bol kr school bhej deta hu.
Fir mai apne samne ki screen ko dekhta hu .

{ [ QUEST DIRECTION ]

GOLE

[ Push-ups ( 100/100 ) ]
[ Curl-ups ( 100/100 ) ]
[ Squats ( 100/100 ) ]

[ Running ( 0/10Km ) incomplete ] }


Ye dekh kr mai bolta hu " mai running baad me kr lunga, abhi bahut time h mere paas. "

Fir mai apni body ko dhyan se dekhne lagta hu ....
( Biseps dekh kr ) " mere muscles phle se jyada ho gaye h. "
" Aisa koi tarika nahi h jisase sirf ek week exercise krke meri physical state itni jyada change ho jaye.."
" To iska yahi mtlb hai ki mere Status mere body ko effect krte h. "

( Apni t- shirt ko upar utha kar apni 8 pack abs dekhte hue ) " jaise jaise meri strength ki stat increase hoti ja rahi h usike hisab se meri body bhi change hoti ja rahi h. "

Fir mai apni STATUS open krke dekhne lagta hu ...

{ [ STATUS ]

( Name : Rider )
( Job : None )
( Tital : None )
( HP : 2220 )
( MP : 350 )
( Level : 18 )
( Fatigue : 72 )
-------------------
( Strength : 48 )
( Agility : 27 )
( Sense : 27 )
( Vitality : 27 )
( Intelligence : 27 )
-------------------

( Remaining point : 12 ) }

" Mere khyal se maine strength me kuch jyada hi point add kr diya h. "
" Kya hoga agar mai aise hi strength me point add krta rahunga to. "

Mere mind me bade bade bodybuilder ki image aane lagti h.
Ye soch ke mai kahta hu " ummid krta hu aisa na ho mere sath. "
" Bhle hi chot phucahne ke kuch chance rahe, lakin baki sari chijo ke balance ke bina ye sahi nahi h. "
" Mujhe baki sb state ko bhi strength ke sath le kr chalna hoga. "
" Cuki strength aur agility ke bich ka talmel hamesa acha hona cahiye is liye mujhe kuch points agility me dalna cahiye."
" Vitality ka direct connection helth se hai to helth jitna jyada ho utna acha h aur sense mere ummid se bhi jyada useful hai to mujhe kuch points isme bhi add krne cahiye. "
" Ab bacha intelligence, aur ye ak problem h mere liye Qki iska relation magic se hai to kya mujhe iski jrurat hai ? Filhal ke liye to nahi to abhi ise rahne deta hu. "

Uske baad mai bache hue point ko apne hisab se add kr deta hu.
To mera Status kuch aisa tha ab...

{ [ STATUS ]

( Name : Rider )
( Job : None )
( Tital : None )
( HP : 2220 )
( MP : 350 )
( Level : 18 )
( Fatigue : 72 )
-------------------
( Strength : 50 )
( Agility : 35 )
( Sense : 29 )
( Vitality : 27 )
( Intelligence : 27 )
-------------------

( Remaining point : 0 ) }


Apne new status ko dekh kr mai kahta hu " mere khyal se ye thik rahega. "

TRIN.....TRIN.....TRIN.... TRIN....

Fir mera phone bjne lagta h . Kisi ka call aa raha tha mai bina no. Dekhe uthata hu aur sochta hu sayad ye Guild ki taraf se aaya hoga . Lakin aisa nahi tha ye call guild ka nahi tha.

Mai " ji mai huntu Rider bol raha hu. "

Caller ( chillate hue ) " aakhirkar tmne phone to uthaya. "
" Tm phle mera phone q nahi utha rahe the ? "

Actually ye call mere land lord ka tha .

Mai " mujhe maaf kr dijiye Mr. Landlord, mera accident ho gaya tha jiske karan mai hospital me admit tha. "

Landlord " clap clap isme koi aashcharya ki baat nahi h. "
" Dekho baat aisi h Rider. Maine tmhe is liye call kiya h Qki tmhara is month ka rent baki hai. "

Mai " ji mai janta hu. "

Landlord " agar tum abhi pay nahi kr skte ho to kya mai ye smjhu tum late fee ke sath next month pay kroge rent. "

Mai " ji thik hai, mai jldi hi rent pay kr dunga. "

Iske baad mai call cut kr deta hu, aur sochne lagta hu..
" DOUBLE AWAKING "
" Agr sahi me maine aisa person hu jisne DOUBLE AWAKING achive ki hai to mai is kabil to ho hi gaya hunga jo ab jldi se paise kama sake. "
" Agar jis hisab se mai grow kr raha hu aise hi grow krta raha to bahut jldi hi mai top Rank HUNTER ban jaunga. "
" Hunturs, monsters ko marte hai aur paise kamate hai. "
"
"Jiske paas jitna jyada experience hota h. Wo utna hi high rank ka Hunter banta jata h, aur wo utna hi jyada paisa aur magic crystal earn krta h. "
" Ak High Rank monster ko harane ke liye aapko utne hi level ke difficulty wale gate me enter krna hoga. "
" Isi ke karan D - Rank aur E - Rank ke gate ke andar jane ke liye itna jyada competition hai. Qki inme bhut jyada aur lower Rank wale hunturs jane ko line lagaye rahte hai."

Mai sofe pr baith kr TV on kr deta hu aur samne new dekhte hue aage sochta hu.
" Isi liye E Rank huntur ko guild wale accept nahi krte h. Aur agar wo kisi guild me hai bhi to unke liye kaam dundhna fir bhi bahut mushkil hota h. "
" Mere Guild ka Rank E hai, aur mere jaise huntur ke liye jisne ki D rank se upar ka ek bhi raid experience nahi kiya h uske liye ye bhut hi kathor condition hai. "
" Hunturs ko unki capability ke hisab se choos kiya jata h ,iske alawa mai apne ' world weakest huntur' ke tital se bhi nahi bhag skta. "
" Kya mujhe apne fir se test dena chahiye aur apne rank ko increase kr lena cahiye. "
" Lakin isase meri DOUBLE AWAKING wali baat jangal me aag ki tarah fail jayegi. "
" Bhut se logo ko gossip krne me maja aata h, aur Hunter unka favt. Topic ban jayega. "
" Mujhe jyada paise milne lage , logo ka attention jyada milne lagega. "
" Lakin isase bure logo ki najar bhi mujh pr pad jayegi. Aur tarah tarah ki bate hone lagegi mere bare me jaise "

( ' ek aisa huntur bhi hai jisne DOUBLE AWAKING ki hai. '
' samay ke sath wo strong hota rahta h. "
' ye kaise ho skta ? ' )

Mai " nahi ! Mai is baat to nahi bata skta jb tk ki mai confirm na ho jau is bare me . "
" Sbse phle mujhe money kamana h. "

Aur mai apna smartphone le kr usme apni huntur ki I'd open krta hu aur usme kuch krne lagta hu .

" Filhal Mere liye sbse acha yahi hoga ki mai kisi attack force me join ho jau. "

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kuch hour baad mai ek jagah ke samne khada tha . Ye koi under construction site thi. Mere samne ak jagah pr huntur ka ek group khada tha. Mai unki hi taraf dekh raha hota hu tabhi unme se ak bodybuilder type huntur mere taraf hath hilate hue aane lagta h .

" This taraf aa jao. "

Mai uske paas chla jata hu . Fir wo apna hath handshake krne ke liye aage badata h jise mai bhi pakd leta hu .

Wo Hunter " hello mera name Lalit hai. Kya tum apna name fir se bata sakte ho mai bhool gaya. "

Mai " mera name Rider hai. "

Lalit " tum ek E Rank huntur ho na ? "

Mai " ha ! "

Hehehehe.....

Abhi hum baat kr hi rahe the ki 2 huntur hamare paas aa jate h. Unme se ek long hair wala huntur dhire se has raha hota h, aur dusra red hair wala huntur meri taraf dekh kr kahta h " ahh ! Mai ise janta hu . Ye ak famous person hai. "
" Kya name tha iska ? Haaa yaad aaya .."
" WORLD WEAKEST HUNTER "

Tabhi long hair wala huntur bahut tej haste hue kahta h ...
" Puuf... What the hell ! "

Mai unko kuch bolne hi wala hota hu ki Lalit mere kandhe pr hath rakh ke mujhe mana kr deta h aur unse kahta h
" bs bahut ho gaya. Sbse jaruri chij h huntur ki sankhya, aur ab hmare members pure ho gaye h. "
( Mere se ) " jaise ki maine phone pr tumhe bataya tha, ye ak C Rank gate hai. To tumhare liye bahut mushkil hoga yaha fight karna. "
" Lakin mai tmhe 2,000,000 rupee pay krunga hamare members ke count ko pura karne ke liye. Ye tumhare liye ek acha deal hai . Hai ki nahi ? "

Mai " ha "

Iske baad Lalit mere taraf ek paper bada deta h aur kahta h ki " thik h to tum contract sign kr do. "

Mai apne hath me contract ka paper le kr sbko dhyan se dekhne lagta hu ..
' 5 C Rank huntur ! '
' 4 unse km Rank ke matlb D Rank ke. "

Jaisa ki Lalit se mujhe bataya tha ek rule h. Ki agar aapko C rank gate me jana h to km se 10 member ka aur unme se half se jyada members km se km C Rank ke hone chahiye.
Isi ke karan, aise bahut se cases hote h jaha kewal number ki wajah se hi attack force ban pate h.

Ye sb sochte hue mai contract paper ko dekhte hue kud se kahta hu " hamesa mai hi bali ka bakara banta hu. "

Tbhi mere piche se ak awaj aati h ..
" Excuse me ! Aisa lagta h yaha pr hm dono hi sbse km age ke hai. "
" Mera name Shubham hai. Mai 22 year ka hu aur mera Rank D hai. "
" Mujhe bhi yaha call krke bulaya gaya h, jis karan se tmko yaha entry mili h mujhe bhi isi karan se mili h. "

Mai us hunter ko dekhta hu wo ek handsome ka young age ka boy tha. Fir jb mai uske body ko dekhta hu to mai shocked ho jata h q ki usne puri body pr white and orand colour ka Armor phna hua tha jo bilkul new aur coustly lag raha tha.

Use dekh kr mai sochta hu ' ye ladka ! '
' iske paas ye itne ache equipment kaha se aaye ? '
' kya ye kisi millionaire ka beta h ? '

Fir mai usko ignore krke Lalit se puchta hu mujhe karna kya hoga.
Tb Lalit mujhe ak taraf hath se ishara krta h jaha 2 bade bag rakhe hue the, aur kahta h " jyada kuch nahi . Bs hamara picha krna h aur hamare bags ka dhyan rakhna h. "
" Iske andar packed food, clothes, hmare equipment aur ak first aid kit box hai. "

Ye sun ke mai Lalit se puchta hu ( thode chinta se ) " kya hum healer ke bina ja rahe hai. "

Lalit " tum to jante hi ho ek healing huntur ko person attack force me lana kitna muskil hota h. "
" Hm hmesa aise hi bina Healer ke pura karte h. "

Mai fir se santi se sochne lagta hu ..
' Ek force jo ki kewal damage dealer aur tanks se hi bana hua h . "
' Kya paglpanti h. '
' agr mai accept krta hu to, mai kisi ko bhi blam nahi kr skta agr mujhe kisi bhi type ki koi chot lagti h DENGOUN ke andar. '
' qki hmare sath koi healer nahi aa raha h. Ise accept krna thoda mushkil hai. '


Fir bhi mai sign kr deta hu qki abhi mujhe paiso ki bahut jarurat thi aur mere paas koi aur rasta bhi nahi tha.

Long hair huntur ( Lalit se ) " sir ! Chliye andar chalte hai. "

Red hair huntur " hm un sb ko ara denge to aapko itna jyada explain krne ki jarurat nahi hai. "

Lalit ( jose se ) " hamare andar jane ka time aa gaya h. "

Shubham ( mere taraf apna hath bada kr ) " jyada chinta krna band kro. "
" Tmne kaha tha tum E Rank huntur ho. "
" Mai tmhari rakhcha karunga . "

Hahahaha...

Mai bs uski baat pr ak banawati hasi has deta hu.






Aaj ke liye bs itna hi dosto !!

Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aise hi banaye rakhiye !!

Ak new mission chlo ab paasy kamay jayan 🤗🤝🤭
 
  • Love
Reactions: Itachi_Uchiha
Top