- 52
- 118
- 33
Bahut jaldAgla Update kab tak aay ga bro ???
Waiting for the next update ❤
King Lucifer
Last edited:
Bahut jaldAgla Update kab tak aay ga bro ???
Waiting for the next update ❤
King Lucifer
Thank you.Boht barhya update tha bro
Kya ap aik episode jitna nhi likh sakty
Abi se intzar hy Agly Update ka
King Lucifer
Ok brotherBhai yea novel main padh chuka hu aur app poora novel bas translate Kar ki paste kar Rahe ho toh title Mai he iska information de do.
Fantastic update bhaiUpdate 002Mystrious heaven Treasure mai sirf 6 type ki hi martial art hai;1. Inner strength internal technique, mysterious heaven skill2. Hand skill practice technique, Mysterious jade hand3. Vision skill technique, Purple demon eye4. Capturing Technique, Controlling Crane Capturing Dragon5. Light body Technique, Ghost Shadow perplexing Track6. Hidden weapon use technique, Hidden Weapon Hundred Separation.Pehle 5 basic hai; akhirkar ek majboot niv (foundation) ke bina, koi Tang sect ke chipe huye hatiyar (weapon) ko kese sabke samne la ke use kar sakta hai ? 3 saal ki umar se mystrious heaven skill ka training suru karne baad, Tang san jo abhi 6 saal ka hai abhi bhi wo apna niv (foundation) rakh raha hai.Tang San ka pariwaar Holy spirit Village ke West ke side mai village head ke ghar ke paas thy. 3 kamre wale mitti (mud) ke eit (brick) ki bane ghar pure gaon mai sabse kacha ghar tha. Iss ghar ka darwaja 1 meter chouda lakdi ka tha jissme ek hammer ka symbol laga hua tha, iss duniyan mai hammer ka symbol ek blacksmith (lohar) ka hi symbol mana jata hai. Kyun ki Tang San ke pita Tang Hao ek blacksmith thy, jo ki iss village ka ek aur akhri blacksmith thy.Iss duniya mai blacksmith ko business mai sabse humblest kaha ja sakta hai. Yesa issliye hai kyunki iss duniya ke sabse ache hatiyaro mai se koi bhi ek blacksmith ke hatho nahi bana tha. Fir bhi iss village ke ek hi blacksmith ke roop mai tang San ka pariwaar ko itni kaam income ke sath itna garib nahi hona chahiye tha…..Ghar mai entry karte huye Tang san ko pehle se hi khane ka bahut acha smell aaraha tha, Wo iss liye kyun ki wo jane se pehle hi khana banne ke liye aag mai rakh ke chala jata tha, ye uska roj ka kaam tha Tang Hao aur khud ke liye khana banana.4 saal ki umar mai Tang San kitchen counter tak pahunchne ke liye kafi chota tha, khana banana pehle se hi uska daily work tha (pichle life mai); bhale hi usse kitchen counter tak pahunchne ke liye stool pe khada hona kyu na pade. Yesa iss liye nahi tha ki Tang Hao ne iski mang ki thy, balki iss liye ki agar usne yesa nahi kiya to Tang San kabhi bhi apna khud ka pet nahi bhar payega.Kitchen conter ke samne pahunch kar wo lakdi ka stool per khada ho gaya, aur jo khana basaya hua tha aag mai uska bartan ka dhakan utha diya aur usme wo khana bahut achi tarah se paak bhi gaye thy, bahut acha smell bhi kar raha tha. Wanhi paas mai rakhe bartan mai se 2 ache bartan leke usme khana rakhne laga, khana itna tha ki badi muskil se kisi ek ka pet bhar sakta tha fir bhi khane ke liye do log thy, aur Tang San ke badhte huye sarir ke liye itna khana bhut hi kam tha, yahi karan tha ki Tang San ka sarir dubla patla tha.“Dad, khana tayar hai aa jayiye” Tang San jor se chilaye huye apne papa ko bulaya tha.Kuch samay baad, bhitar ke kamre ka darwaja ka parda utha aur ek badi si Akriti, chouka dene bale kadmo ke sath dikhayi di. Ye ek adhed (zyada) umar ka admi tha, uski sakal 50 saal ke karib lag rahi thy. Unka kaad (height) abhi bhi extraordinary roop se bada aur saktisali tha, halaki kisine unki kapde ke bare mai baat karne ki himmat nahi ki.Uska pehena hua kapde hole se bhara hua tha, bina kisi patch ke, yanha taak ki uske ander se uski body ke colour bhi dekha ja sakta tha. Uska acha khas face aab kafi murjha murjha sa rehta tha. Hamseha nind bhara ankhe aur sar chakra (Dazed) dena wala dhang tha; bikhre huye baal jo kisi chidiya ki ghosla (nest) ki tarah dikhte thy, aur badhi huyi dadhi (beard) uske face ko dhak rahe thy. Uski ankho mai fearless look dekha ja sakta tha, bhale hi raat bit chuki thi fir bhi wo sarab (Alcohol) ke nashe mai tha, ye aur koi nahi Tang San ke pita Tang Hao hi tha.Tang San ka abhi tak kabhi pata nahi chala ki pita ke prem kya hota hai. Tang Hao ne Jiss tarah se uske sath treat kiya wo hamesha ek Jessa hi tha, bhale hi wo suru se strong raha ho fir bhi dukh to hota tha. Halaki Tang Hao khana pakana janta tha, lekin fir bhi jese jese samay bit ta gaya Tang San ke jariye khana pakane ki pahal suru huya taab se Tang Hao aur bhi laparwa ho gaya. Iss tarah ke bartav ke chalte inke ghar garib ho gaya tha aur inke paas jyada kuch kharid ne ke liye paise thy hi nahi. Aur Khane ka samasya bhi, Tang Hao ka sarab pine ke kharche ke liye tha aur uska thoda sa income ke karan hi tha jo blacksmith ke kaam karke kamata tha. Yesa nahi tha ki wo kaam nahi karta wo karta tha per itna nahi Tang Hao baas har din sarab hi pita rehta tha.Tang Hao ke behaviour mai Tang San ne kabhi bhi narazgi nahi jatayi. Apne pichle janam mai wo ek anath tha, per iss janam mai Tang Hao chahe jese bhi behave karta tha uske sath, thy to wo dono ek hi pariwaar ke, aur kamse kam wo ek person tha jisse Tang San apna pita keh sakta tha.Tang Hao ne hath jalne ke chinta kiye bina hi khane ka plate ko apne hatho mai leke kuch hi samay mai apna khana khatam kar diya wo garma garam Khana. Khane ke sath hi uska murjha sa gaya face wapas se thoda bahot chamak wapas aaraha tha."Dad, dhire, ye ab bhi garam hai"Jaab Tang Hao ke plate mai khana khatam hua to Tang San ne uske hatho se plate liya aur usme aur khana rakh diya aur sath mai usne apna plate bhi utha liya khane ke liye.Tang Hao ne apna khana khatam karke sans chodte huye uska plate ko table pe rakh diya, fir Tang San ko dekhte huye uski jhuki huyi palke thoda sa khula aur bola;"Tum apna kaam jari rakho, mai dopahar (afternoon) mai kaam karunga, mai abhi thoda aur sone ja raha hun."Tang Hao ka kaam aur aaram karne ki aadat ka ek same hi pattern tha; puri subha aur raat ko sona, afternoon ko kuch forging karke kuch income karna aur sham (evening) se raat taak daru pina thoda bahut khane ka saman lake ghar mai rakh ne ke baad.Tang San ne apna sar hila ke, thik hai Dad.uske baad Tang Hao table se uthke kamre ke aur chal pada sone ke liye."Dad" Tang San ne achanak hi apne pita ko bulaya.Tang San ke bulane se Tang Hao jate jate rukh gaya aur piche muud ke Tang San ko dekhne laga.Tang San ne ek kone pade kuch iron ke tukde ke aur ishara karke; "Dad kya mai wo iron use kar sakta hun."Apne pichle janam mai wo Tang sect ke sabse best outer sect disciple tha, aur wo har tarah ke hidden weapon ko banane ke baare mai janta bhi tha. Lekin iss duniya mai wo bahut zyada practice bhi kiya fir bhi uski takat aab tak enough nahi tha. Iske alawa wo kabhi bhi apne hidden weapon banana chodna nahi chahta tha. Aab tak usne hidden weapon banane ki kosis ki thy, lekin isme lagene wali saman ko dhundna bada muskil tha uske liye.Tang Hao ko material Village wale hi dete thy jisko jo banana hai uss hisab se. Per har baar jo waste nikal te thy wo sabhi bekar thy jisse Tang San hidden weapon bana nahi sakta tha usko use karke, per kal jo material aaya tha wo badhiya tha aur jo waste nikla tha wo bhi badhiya tha jisse wo acha sa hidden weapon bana sakta tha.Tang Hao ne apna nazar us waste ki aur kiya aur bola, " huh!, kya ye badhiya iron nahi hai." Fir apni nazar Tang San ke aur karke, "kya tumhe blacksmith banna hai ?"