Update 003
Tang San ne apna pita ke baat sunke apna sar hilaya, blacksmith banana uske hidden weapon banane ke liye perfect profession tha.
Dad aapki age badh rahi hai, kuch saal ke liye jaab tak mai thoda aur bada (age baat) nahi ho jata taab tak ke liye chota mota chiz banana shika sakte hai to sikha dijiye aur fir baad mai mujhe apka kaam sambhal ne de dena. Yesa isliye Tang San ne kaha tha kyun ki pehle jo bhi usne banaya tha wo saab best hidden weapon thy, wo pehle kabhi bhi koi ashan (easy) forging nahi sikha tha aur nahi kabhi kiya tha. Isiliye wo ye try karna chahta tha aur apne dad se ye bolne ka kehna ka karan ye tha ki wo apne dad ko aur kaam karne nahi dena chahta tha.
Tang Hao, "blacksmith hmmm.”
Fir Ek ghisi piti (worn-out) si kursi (chair) ko khichkar iron ke uss waste ke paas sidhe bethte huye Tang Hao susti ke sath bola, “Tang San, mujhe batao, kis tarah ka blacksmith (lohar) sabse acha blacksmith (lohar) hai.”
Tang San ne to pehle uske bare socha fir jawab diya, “sabse acha blacksmith divine tools banane ke capable hona chahiye”.
Village walo ne jo kaha tha uske hisaab se duniya mai divine tools hai, bhale hi Tang San ye nahi janta tha ki ye divine tools kya hote hai, lekin divine kahe jane ke karan, uske hisaab se wo bahut hi acha hona chahiye isiliye usne ye answer de diya tha.
Tang Hao, Tang San ka jawab sunke uske upar hasne wala express lake, “divine tools ? Little San divine tools ke bare mai bhi janta hai. Thik hai fir batao divine tool banane ke liye kya use karne chahiye”.
Tang San ko yesa question apne pita Tang Hao se unexpected tha to usne immediately hi kaha, “of course sabse acha material use karna chahiye”.
Tang San ka jawab sunke Tang Hao ne apna hath Tang San ke gal ko sahlate huye, ek serious look lake, “agar tumhe ek master blacksmith banna hai to mere word ko hamesha yaad rakhna, koi bhi blacksmith divine tools banane ke liye best material ka use hi nahi karta hai, aur wo jo karte hai wo ache blacksmith nahi hai. Ek acha aur best blacksmith wo hota hai jo sadharan (common) material ka use karke bhi apne skill ke madat se usse divine tool bana paye to wo hi sache mayene mai best blacksmith hai”.
“Divine tool banane me liye sadharan (common) iron/material ka use karte hai ?”, Tang San ne surprise ke sath Tang Hao ke aur dekhne laga. Ordinarily Tang Hao ne bahut kaam hi Tang San se baat ki thy, ye din pehle se hi kisi ek time mai se sabse adhik ke roop mai Gina ja sakta tha.
Tang Hao khada hokar, kamre ke dusri taraf lohe (iron) ke ek 50 square centimetre ke ek block ki aur isara karke, “ agar tumhe blacksmith banne ke liye aur mujhse forging sikhne ke bare soch rahe ho to tumhe pehle isse (iron block) 10000 baar hammering karna hoga, aur jaab tak tum ye nahi karte taab tak mai tumhe kuch bhi nahi sikhaunga.”
Tang San ne pehle uss iron ke block ko dekha, kyun ki wo ek sadharan (common) iron block ka piece tha, jisme bahut si impurities (asudhiya)thy. Iron ke grade ke hisaab se compare kare to wo ye dekh ke bhi nahi bata sakta ki wo iron block kitna kharab ya fir acha hai.
Tang Hao ne apne mann me pehle se hi ander ki kamre ki aur sone liye wapas jana chahta tha, issi liye Tang San se, “tum abhi bhi apna mind change kar sakte ho”.
Tang San ki clear and clam awaj thy, “Dad, mujhe isse try karna hai".
Tang Hao, kuch surprise hoke Tang San ki aur dekha kyun ki usko ye expect hi nahi tha, “thik hai”.
Ek word ke sath, Tang Hao wanha se uth ke uss iron block ke paas pahunch gaya, aur usse wanha se utha ke sidhe forging area mai lake burner ke bhitar rakh diya, aur sath hi aag bhi jala di burner mai. Aur ye burner coal ke madat se jalta tha, yani jaab tak coal jalta rahega taab tak burner bhi jalta rahega.
Ye saab karne ke baad Tang Hao sone ke liye apne ander ki kamre ki aur chal diya, apne bete ko chod ke jo uss block ko 10000 baar hamering karna tha.
Tang San apne aap mai ek genius tha, agar yesa nahi hota to wo Budha Fury Tang Lotus, no.1 hidden weapon kese bana sakta tha, jiske liye usne apne life mai apna 10 saal ka time kho diya tha.
Coal ko jalte huye rakhne ke liye Tang San apna jagah se uth ke us burner mai air ko pump karne laga. Shu….shu…..air pump karne se wo burner ki aag aur bhi jyada hone laga, jisse ki wo iron piece aur bhi ache se burn hone laga,halaki Tang San kabhi bhi forging ke bare nahi janta tha,usne baas har roj Tang Hao ko ye karte huye dekha tha to usne bhi wanhi karne ke bare mai soch ke wanhi kiya.
Jese hi dhire dhire iron garam ho raha tha usne apne pita ke Jessa hammer ko khinch ke wanha le aaya jaha usse uss iron mai 10000 time hammering karna tha, ek aam 6 saal ka bacha wo hammer ko bilkul hila bhi nahi sakta tha, isse forging ke liye chalane ke bare mai baat hi chodiye.
Lekin Tang San abhi bhi uss bade se hatode (hammer) jo ki uske height jitna bada tha, usse pakde hua tha, mysterious heaven skill ke practice karke apne sarir ko majbut karna, bhale hi mysterious heaven skill ke stage 1 ko paar nahi kar pa raha hai fir bhi kisi young person ke Jessa uska body storng hai iss wajah se wo uss bhari bharkam bada sa hammer ko uthane ke kabil tha.
Burner se iron ko nikal ke Tang San ne usse hammering karna start kar deta hai, Tan..Tan…ki awaj nikal rahi thy jaab iron ka hammer uss iron ke piece se takrata to usme se ek clear aur sweet si awaj nikal raha tha. Ye Tang San ki pehli strike thy, aur forging ka shuruat thy.
Ander ke kamre mai, bistar per lete huye Tang Hao palat gaya, bhale hi uske ankh aab bhi band thy, fir bhi uske face mai surprising saaf dekha sakta tha, aur apne aap mai badbadata hai, “wo, wo hammer utha sakta hai, kya ye superhuman strength ke sath janam liya hai”.
Tan..Tan..Tan..lohar (blacksmith) ki dukan se bhi tez awaje aane lagi. Tang Hao aur Tang San, baap aur beta, ne apne profession jari rakha, lekin ek difference ke sath, iss din se Tang Hao ne Tang San ke liye ek aur forge bana diya jisme wo apna kaam kar sake apne wo iron block se. Uss din ke baad Tang Hao ne usse ek bhi instruction nahi diya, per Tang Hao ka sarab pina uss din se kaam ho gaya, iss wajah se pariwaar ka khana pina badh gaya.
Forging ek bilkul dull aur thaka dene wala kaam tha, lekin Tang San ne isko apne sarir ko aur strong banane ke liye sahi tarika samjha. 11 din bit gaye, wo heavy hammer ko chalana aur uss iron piece ko baas marna yahi kaam tha, per iss kaam mai uska inner strength aur bhi strong ho raha tha, jitna hammering karne se uska power lagta tha wo bahut jald hi usse recovery kar pa raha tha, aur ye usse yehsas ho raha tha ki bhale hi uska mystrious heaven skill bhale hi stage 2 ko breakthrough nahi kar pa raha hai per uska power badh raha hai.
In 11 din ke ander Tang San ne uss iron piece ko 8000 se bhi jyada baar usko hammering kar chuka tha aur wo iron piece baas lagatar chota ho ja raha tha, wo 50 square centimetre ka piece abhi uska original form ka 1/3rd hi reh gaya hai. Jesse jesse uska khana badha uska sarir majbut hota ja raha tha aur in 11 dino mai kuch jyada to changes nahi aaye fir bhi thoda thoda change dikhne lag gaya tha, aur jese jese hammering karta uska inner strength bhi badhta ja raha tha, apna inner strength ke sath uska physical strength bhi badh raha tha.
Tang San apne kaam mai bilkul focus tha aur Tang San ka focus Tang Hao ko hadh se jyada surprise kar diya tha. Tang Hao ko yesa lag raha tha ki agar uska beta superhuman strength ke sath janam hua bhi ho, to bhi uske hath mai koi bhi chot ki nishan hi nahi dikh raha tha. Kyun ki iron hammer ka Handel ko khurdura kar gaya tha usko hath se fishle ne na dene ke liye, aur jiss tarah Tang San apne kaam ko focus ke sath kar raha tha uske Komal aur chote hath se jyada chot lagni chahiye thy per uske hath mai yesa kuch dikh hi nahi raha tha na hi koi chot aur to aur nahi koi chale (scratch) ke nishan.
Aur wo kis liye jo raha tha ye baas Tang San hi janta tha, per wo isse kisiko bhi bata nahi sakta tha.
Heaven Dou Continent mai jaab koi bacha 6 saal ho jata hai to uska soul ko awaken kiya jata hai. Aur Tang San abhi kuch hi din mai 6 saal ka ho jayega, aur usse ye bhi lag raha tha ki uska mystrious heaven skill kahi na kahi iss soul se judi huyi hai. Aur wese bhi soul master banne mai Tang San ko koi khas dilchapsi nahi thy kyun ki wo uske bare kuch jyada nahi jatna tha. Wo to baas abhi Tang sect ka hidden weapon banane ke liye pura focus tha.
“Tang Hao, kya tum busy ho?” Tang San ke 10000 baar hammering pura karne ki kafi karib tha ki uske ghar ke bahar ek budhe admi ki awaj sunayi padi.
Abhi dopeher (afternoon) ho chuki thy, Tang Hao kaam kar raha tha, kuch forging kar raha tha, aur jo kaha gaya tha usse sunkar kewal ek hi word kaha, “hmm”.
Tang San bhi uss awaj ko sunke bhi apne kaam ko chod ke bahar ki aur aagaya, kewal wo budha admi ko dekhne ke liye, jo 60 saal se bhi jyada umar ke lag raha tha. Isko Tang San janta tha, Holy Spirit Village ke head Jack thy.
“Little San, aao dadaji ko tumhe dekhne do”, Old jack Tang san ki aur muud ke apna hath lehrate huye ye kaha tha. Ye head Tang San ke liye kabhi kabar kuch khane ke liye la deta tha aur usko apne pote jesse treat karte thy.
“hello, grandpa Jack”, Tang San old jack ke samne aagaya aur uske sanman mai unko greet kiya.
Tang Hao, “ mai abhi busy hun village head”.
Old jack Tang Hao se kam se kam 10 saal age mai bada tha, lekin Tang Hao ko hamesha unhi budhe ke generation mai Gina jata tha isiliye Tang Hao ka hamesha mood kharab hota tha. Aur old jack pehle se hi Tang Hao ke behaviour jante thy isiliye unhone kuch mind hi karte thy Tang Hao ke bato ka.
Old jack, “Tang Hao, little San jald hi 6 saal ho jayega, usse iss saal awakening ceremony mai samil hona chahiye”.
Tang Hao ne Tang San per ek najar dalte huye; “to thik hai wo usme hisa lega, wese konsa din hai”.
Old jack; “3 din mai hai jaab time aayega mai usse khud lene aajaunga, thik hai”. Jesse old jack Tang Hao ke ye kahna chahte ho ki agar wo tumhare sath gaya to wo late ho jayega.
Tang Hao ne apna sar thoda sa niche kiya, aab wo village head per jyada attention nahi de raha tha. Kyun wo janta tha.
Tang San jo kafi excitement mai tha, usne puch hi liya; “Grandpa Jack, ye awakening ceremony kya hai?”
Old jack ne Tang San ke question sunke; “ham tumhe to pata hoga sabhi mai apni khud ki ek soul hota hai, jo hame 6 saal ki umar mai awakening ceremony mai apna soul ko awaken kiya jata hai. Aur har baar ki tarah great soul master iss baar bhi aayenge tum sabhi bache ki soul ko awaken ke liye.
Great soul master ye bolte time old jack ke ankho mai chamak saaf dekha ja sakta tha.
Tang san sirf soul master ke bare mai kuch hi baate hi janta tha aur iske baare mai uska kuch jyad knowledge nahi tha isiliye usne Excitement mai grandpa Jack se ye sawal puch hi leta hai, “ ye Grand soul master kya hota hai, grandpa jack ?”
✌