- 78,719
- 115,291
- 354
Update 2, 3, 4, 5, 6, 7 & 8
2nd update padhne ke baad aisa feel aaya ki ek ek kar ke sabhi update padhne ke liye majboor ho gaya main...and this happens only when there is interest in the story and there is magic in the pen of the writer....amazing IP dear and wonderful storyline
There is no doubt that nishant loves his brother rehaan very much and that is the reason why his thinking has become like this after his death. Although Nishant's character was already of a cruel type but when he came to know that armaan was involved in his brother's death, he crossed every limit. Armaan ek manjha hua khilaadi hai isme koi shak nahi hai aur yahi vajah hai ki usne nishant dwara ki gayi ab tak ki har harkato par dhairya se kaam liya hai. I think wo har situation me sirf aur sirf pankhudi ko safe rakhne ki hi baat sochta raha. Wo achhi tarah jaanta hai ki nishant ki harkato par agar usne kuch bhi ulta sidha kiya to natija pankhudi ki jaan ko khatre me pad jane wala nikal aayega. Ye armaan ke dhairya aur sanyam ka hi result hai ki pankhudi ab tak safe hai lekin guzarte wakt ke sath situation aur bhi zyada critical hoti ja rahi hai.
Well Ragini ke dwara armaan ne jo kuch karwaya wo bahut had tak sahi to tha lekin laakh koshish ke baad bhi wo uski jaan nahi bacha paya. Ragini uski vajah se hi maari gayi, halaaki jis tarah se wo zinda thi use bhi zinda rahna nahi kah sakte. Is sabme ek hi baat achhi huyi ki Ragini ke bhai ko armaan ne safe kar diya. Kahani me ab khul kar khel shuru ho gaya hai joki kaafi dilchasp hai
Rajwardhan ji ke kaale karnamo ki file armaan ke paas hai, jiski vajah se rajwardhan ji uske khilaaf nahi ja sakte. Political aadmi hai wo, agaami chunaav ki vajah se wo koi bakheda nahi chaahte isi liye to nishant ko bhi samjha rahe the wo lekin nishaant ab us stage par hai hi nahi ki wo kuch samajh sake. Wo to ab har keemat armaan ka sarwanaash karna chaahta hai. Gussa aur badle ki bhavna ne uski buddhi ko kunthit kar diya hai. Aisi situation me bhi uska ye pata kar lena hairaani wali baat hi hai ki armaan last time kisi aisi ladki ke sampark me tha jise wo auction me bechna chaahta tha lekin us ladki ka kahi koi pata nahi hai. Nishaant ke paas Pankhudi ki photo hai aur wo apne aadmiyo ke dwara use khoj raha hai. Ab tak wo samajh chuka hai ki uske bhai ke gayab hone me armaan aur us laapata ladki ka hi haath hai. Last scene me jis tarike se Nishant ne us ladki se sambandhit armaan se baate ki usse armaan ka bhi dhairya jawaab de gaya aur yahi par nishaant ko pakka yakeen ho gaya ki uska sochna sach hai. Well maujooda situation me agar pankhudi uske hath lag jaye to ye andaza lagana behad easy hai ki wo pankh ke sath kis had tak guzar jaayega. Nishant is such a person who has no soft feeling for anyone. He is a person with such mentality who takes pleasure in tormenting others badly. It would not be wrong to say that at one time such a mindset was also of Armaan...pankhudi ne usko badal diya hai and I think pankh ki tarah ek aisi hi ladki Nishant ko bhi milni chahiye jisse uski cruel mansikta badal jaye but maybe it's not possible in this time
In this story there is mention of a character who is mysterious. Thriller story me ye kaisa magic hai IP madam...wo kaun bala hai jiski awaaz sirf aur sirf nishaant hi sun pa raha hai aur wo jo kuch bhi kahti hai usse nishaant buri tarah pagla jata hai?? Usko khojne ke baad bhi uska kahi ata pata nahi chalta...ye kya rahasya hai? Do we understand that there is some super power or some magic in this story.?
Armaan ne nishaant ka accident karwa ke is baat ka to badla le liya ki usne uski pankhudi ke bare me ashleelta se bhari baate ki thi lekin is kaand ka aage kaisa gambheer natija niklega ye bhi sochne wali baat hi hogi. Apne chhote bete ke sath huye is haadse se rajwardhan ji kya karenge aur khud nishaant s waakye ke baad kya kadam uthayega. Well the story has now come to a point where the beating has stopped and the interestingness is at its peak....wonderful story and amazing creativity IP dear...now waiting for next