• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Sci-FI StRanGe WoRLd : APOCALYPSE

Which part is better in Strange World Series? (strange world series ka konsa part behtar hai?)


  • Total voters
    22
182
244
43
Update : 36 (Time Paradox)

Avi sawaliya bhari najro se mayank ki aur dekhne laga “common sir, ab aap itne bhi bewkoof naa baniye, time-machine aur time-travel ke side-effects ke baare me aapne hi muje bataya tha..aap yeh ache se jaante hai ki time-travel karne par kya ho sakta hai” manthan ne avi ki aur dekhte hue kaha

Yeh sunkar avi apna sar juka deta hai, Pathik “koi hume bhi samjayega ki yeh sab ho kya raha hai”

Ab aage…

Mayank “pathik..time travel karne ki bahut si side-effects hoti hai, aaj hamare pass..physics ke pass esi bahut si theories maujud hai jo time travel se hone vaale nuksaan ke baare me batati hai, haalaki time-travel karne par reality me exactly kya asar hoga uska andaaaza hum nahi laga sakte, hamari koi bhi theory khud ko proof nahi kar paa rahi hai..voh khud hi contradict theories hai, voh khud ko sahi ya galat saabit nahi kar sakti…abhi tak mai sure nahi tha ki hamara time kis vajah se tuta hai”

Pathik “abhi tak se tera kya matlab hai..??”

Avi “manthan jaan gaaya hai ki mere time-travel karne ke baad bhi mai apna future kyu change nahi kar paaya”


Mayank “bilkul sir” usne avi ki aur dekhte hue kaha

Manthan “lekin agar inhone past me jaakar apna atit badal diya tha, toh voh voh experiment kabhi hua hi nahi..matlab disha aur mayank kabhi mare nahi..toh doc ne time-machine kabhi banayi hi nahi”

Pathik “agar time machine banayi nahi toh doctor ne time-travel kabhi kiya hi nahi, time travel nahi hua toh voh experiment me dhamaka hua”


Manthan apne sar ke baal khujate hue kehta hai “yeh kya logic hua..yeh toh fir hamesa ek continuous loop me chalta hi rahega, hum yeh kabhi nahi jaan payenge ki aakhir me hua kya tha”

Mayank “are shant dosto, time-travel kehne me jitna chota hai..asal me yeh bhi utna hi complex hai, mai aap sabko time-travel ki kuch theories samjata hu”


Paradox..yeh shabd sunte hi hamare dimag me Time Paradoxes ka khayal aata hai, par kya paradox sirf time-travel tak hi simat hai..?? iska jawab hai naa..toh fir aakhir me paradox kya hota hai..??

Pathik “virodhabhas” ne mayank ki baat ko bich me kaat diya, toh saare log uski aur dekhne lagte hai “kya..?? muje itna hi pata hai..mai tere jesa padha likha nahi hu, ganwar hu mai” pathik thoda jepte hue kehta hai mayank ki aur dekhkar kaha

Manthan “haa bhai, yeh toh tune sahi kaha” usne pathik ki baat ka samarthan karte hue kaha “so please jara hindi me samjana..taaki hum sabhi ko samaj me aaye”

“hahaha, thik hai mere bhai..koshish karunga”
mayank ne haste hue jawab diya

“jesa ka pathik ne kaha Virodhabhas, paradox ka sahi matlab hota hai koi esi baat koi aisa sentence jo khud ke hi astitav par bhi sawaal uthata hai, paradox kuch bhi ho sakta hai..voh sentence sahi bhi ho sakta hai, galat bhi ho sakta..yaa fir dono hi ek saath sahi aur galat bhi ho sakta hai, like agar koi kehta hai haa..mai paagal hu, nahi..mai pagal hu” fir thoda rakkar kehta hai “par agar yeh kehne vala insaan sach me paagal nahi hai toh yeh dono hi sentence uske liye galat honge, par agar yeh koi mental condition vala insaan kehta hai toh uske liye sahi hota hai..par yeh kis had tak sahi hai yaa galat hai, hum nahi bata sakte..jab tak hum uss baat ko puri taraf se jaan nahi lete, jab tak hum inn dono hi sentence ko proov nahi kar lete tab tak yeh ek paradox hi hoga”

Khair, filhaal hamari ladayi time ke saath hai toh mai kuch aisi paradoxes ki baat karunga, jisme sabse pehla Paradox aata hai THE GRANDFATHER PARADOX
Jyada tar logo ko iss paradox ke baare me pata hota hai, iss me yeh kaha gaya hai ki kya hoga agar aap apne samay me piche jaakar apne hi grandfather ko unki shaadi se pehle maar dete hai toh kya hoga..?? Maan lijiye ki aapne time machine banakar past me uss waqt me chale jaate hai jab aapke dadaji young the, aur aapne kisi tarah se unhe maar diya

Ab agar aapke dadaji mar jaate hai toh unki shaadi kabhi aapki daadi se nahi hogi, aapke father kabhi janam nahi lenge, aapke papa ka janam hi nahi hua toh voh kabhi apki mummy se shaadi nahi kar payenge..aur naahi aap kabhi iss duniye me aayenge..duniya aur timeline me aapka koi astitva hi nahi rahega


Jab aapka koi astitva hi nahi raha toh future me aapne kabhi time-machine banayi hi nahi..toh fir aapne apne grandfather ko kese maara..?? time travel hua hi nahi toh aapke dada kabhi mare nahi..voh mare nahi toh aapke parents ki shaadi hoti hai aur aapka janam hota aur bade hokar aap time-travel karne jaate hai aur apne dada ji ko maar dete hai

Pathik “bhai, yeh toh maine bhi sunn rakha hai, aur abhi abhi mai aur mera dost manthan, hum aisi hi kuch baat kar rahe the..lekin iska doc avishkar ki kahani se kya matlab”

Pathik ki baat sunkar manthan thoda sa ruansa ho gaya tha, kyunki use apne earth vale pathik ki yaad aati hai, ise dekhkar mayank kehta hai “sach me, tuje manthan ke jesa hi dost chahiye tha”

Pathik “haa vahich toh, pata nahi mere nasib tu kese aagaya, saala hamesa mera dimaag kharab kar deta hai”

Iss baat par sab hasne lagte hai, Pathik “so iss baat se kya pata chalta hai”

Sam ne pathik ki baat ka uttar diya “doc avi ke kahani ke anusar hum yeh maan lete hai ki unhone time-travel karke particle accelerator ka experiment nahi hone diya, agar voh experiment nahi hua toh uss raat ko disha ki maut nahi hui, uss raat disha mari nahi toh avi ne kabhi time-machine banaya hi nahi, aur voh time-machine kyu banata..kyunki ab voh disha ke saath happily reh raha hai, so ab Avi apne atit me kabhi vaapas gaya hi nahi, agar voh vaapis nahi gaya toh particle accelerator ka experiment kisine roka nahi aur uss dhamake me disha mar gayi”

Paridhi “vahi toh mai bhi keh rahi hu..agar avi aur disha happily apne life jee rahe hai toh use time machine banane ki jarurat hi kyu padegi..??”

Mayank “pari..aisa tab hota jab avi aur disha aaj ek saath hote, lekin aisa nahi hua, jab avi sir apna past change karke vaapis aaye toh disha tab bhi mari hui thi..voh jinda hi nahi thi”

Siddhi “toh iska kya matlab ho sakta hai”


Mayank “grandfather paradox ke bhi kahi limitations hai, like voh ek closed loop me chalta hi rehta hai..par usko puri tarah se justify nahi kar sakte..kyunki voh always ek continuous loop me hi chalte rehta hai”

Manthan “iska matlab toh yeh hota hai ki hum apna past kabhi change kar hi nahi sakte”


Mayank “iska jawab hai haa bhi aur nahi bhi, kyunki past change karne par kya ho sakta hai uska anumaan laga paana impossible hai..but yes there are two effects of changing past”

First effect, well ise samjane ke liye mai ek example deta hu, yeh sab jaante hai ki mai aur pathik bahut hi ache dost hai, maan lo ki ek din pathik ki car accident me death ho jaati hai..aur mai iss haadse se puri tarah se tut jaata hu, lekin fir muje khayaal aata hai ki mere pass toh time machine hai, mere dimaag yeh idea aata hai ki mai past me jaakar apne dost ko uss haadse se bacha lu toh voh kabhi nahi marega

Toh mai time-machine ki madad se time-travel karke uss time me aagaya jab pathik ka car accident hone vala tha, mai pehle se hi jaanta tha ki pathik ka accident kese hone vaala hai, toh uss jagah jaldi se pahuchne ke liye mai kisi ki car leta hu aur use teji se daudate hue vaha se nikal gaya, kuch der me mai uss jagah pahuchne vaala tha ki achanak se meri car ke samne ek ladka aajata hai aur mai use uda deta hu…lekin jab maine iss haadse ko khud se karte hue dekha toh yaad aaya ki Pathik ki maut bhi aise hi kisi car accident se hui thi, toh mai car se utarkar uss ladke ke pass aaya toh pata chala ki voh ladka koi aur nahi balki khud Pathik tha..yaanki maine hi apne dost ko maara hai

Past me aane ke baad bhi mai iss accident ko nahi rok paaya, toh maine socha kyu na mai ek din pehle jaakar pathik ko iss accident ke baare me bata du, yahi sochkar main fir ek baar time travel karke samay me aur piche jaata hu aur pathik se milkar yeh batata hu ki uske saath aane wale waqt me kya hone vala hai, yanha tak ki mai use sahi time aur place bhi bata deta hu..taki mai apne dost ko uss haadse se bacha saku..yaani ki pathik ko toh pehle se hi pata tha ki uske saath kya hone vaala hai..lekin kisi unknown reason ki vajah se use usshi raste se kahi jaana padta hai, mai chahe apne dost ko bachane ki kitni bhi koshish ae kar lu..lekin har baar voh meri hi car se maara jaata hai


Manthan “yaani ki chahe kuch bhi ho jaaye hum apne past ko change nahi kar sakte”


Siddhi “aur voh dusra effect kya hai..?? kya voh bhi isi tarah se hai..??”

Mayank naa mein apna sar hilate hue kehta hai “haa bhi aur nahi bhi”

Dusra effect yeh kehta hai ki hum apna past change kar sakte hai..hum apne grandfather ko maar bhi sakte hai..voh bhi bina apne vajood ko mitaye, mai pathik ko bhi marne se bacha sakta hu..lekin jab mai apna kaam khatam karke vapas apne waqt me aaunga tab meri life pehle jesi hi hogi..yaani mere grandfather abhi bhi jinda hi hoge..pathik already mara hua hi hoga, maine apna atit badal diya tha lekin iske bawjood bhi uska koi bhi asar meri present life par nahi pada

Manthan “lekin tune toh abhi kaha hi hum apne past ko badal sakte hai, past ko change karna possible hai”

Mayank “haa, bilkul possible hai”

pathik “yaar yeh game khelna band kar”


Mayank “pathik yeh game nahi..balki haqiqat hai, jo hum sabpar beet chuki hai, doctor avi par beet chuki hai”

Avi jo abtak chup baitha tha voh kehta hai “time-travel karke hum apna past change kar sakte hai..lekin aisa karne par har baar ek nayi alternate timeline banegi..ek alternate universe banega”

Mayank “exactly, aap ke saath bhi yahi hua hai”


Manthan “iska matlab toh yeh hua ki kisi alternate earth par avi ne uss experiment ko rok diya hai aur usme voh disha ke saath khushi se apni life bita raha hai”

Mayank “haa manthan”

Pathik “toh fir hamari time-line kese tut sakti hai”

Sam “kyunki time jo hai voh hamare 10 dimensions me ek hi jesa hai, past change karne par uska effect timeline par jarur hota hai, fir voh chote se chota change hi kyu naa ho..uska effect har pal ke saath future me multiply hote rehta hai”


Mayank “doctor avi ke liye apne uss experiment ko rokna unke liye ek galti sudharne ke jesa tha, uss experiment ke naa hone par uska bahut se jeev ki life par asar padta hai, yaanha tak ki khud time par bhi asar padta hai…kyunki time-wraiths bhi toh usi time ka ek hissa hai, agar aap waqt ke saath chedchad karoge toh waqt aapko nahi chodega, aur uss experiment ka hamare time par bahut hi bada effect padta hai” voh thoda rukkar “agar hum apna chota se chota decision bhi dekhe toh uska asar hamare future me kahi na kahi jarur dikhata hai..uss decision se sirf hum hi nahi balki hamare pura universe usse jud jaata hai”

Pathik “pura universe kese..??”

Mayank “apne sar par gira hua sheb agar newton ne bina kuch soche khaa liya hota toh kya hum gravity ke baare me jaan paate…?? Tab shayad aaj hamari duniya itni aage nahi badh paati, newton ka voh ek decision ne aaj hamari puri duniya hi badal daali hai”

Manthan “chote se chota decision bhi future me badhkar bahut bada impact karta hai, ise butterfly effect bhi kehte hai”

Pathik “lekin yeh experiment already bahut se chizo se juda hua tha, yaaha tak ke tachyons se bhi”


Mayank “haa, bas isiliye particle accelerator experiment ke naa hone par uska time par itna jyada asar hua hai ki voh khud ko bacha nahi saka aur puri tarah se bikhar gaya”

Aarav “toh fir yanha aane ka fayda kya hua..?? itna toh hum bhi jaante the ki jo kuch bhi multiverse ke saath ho raha hai voh time-travel karne ka hi asar hai”


Mayank “aarav, yeh toh hum jaante hi the..lekin exactly kya hua tha kis vajah se hua tha yeh hum nahi jaante the, iss time travel ki aakhir me sach kya hai yeh hume ab maalum ho chukka hai”

Avi “maine apni life me bahut si galtiyaa ki hai, lekin shayad kismet ne muje ek mauka diya hai jisse mai apni ki hui galityo ko sudhar saku”

Sam “kese..??”


Avi “agar yeh jo kuch bhi hua voh particle accelerator ke experiment ke naa hone ki vajah se ho raha hai..toh, tu samaj raha haina mai kya kehna chahta hu” usne mayank ki aur dekhte hue kaha

Mayank “haa, samaj raha hu, we need to do one more trip to that night”

Avi “exactly tum sab ko yahi karna hai, maine already time ko bahut nuksaan pahuchaya hai, mai dubara time-travel karke haalat aur bigad naa nahi chahta, so manthan yeh kaam ab tuje hi karna hoga”

Sam “wait wait wait, ek aur baar time-travel..??”


Manthan “already hum itna toh sure ho gaye hai ki past me jaane par hum apna past toh change nahi kar sakte, toh fir time-travel karne ki kya jarurat hai..??”

Mayank “maine yeh kab kaha ki hume apna past change karna hai”

Avi “maine toh sirf time-travel karne ke liye kaha hai, uss experiment ko hone dene ke liye kaha”

Manthan “haa vahi, uss raat ko jaane ka matlab toh yahi hua na ki hume apne hi past ko change karna hai”

Mayank “nahi manthan, time ko bachane ka sirf yahi ek rasta hai, jis vajah se time tuta hai hume uss vajah ko hone hi nahi dena hai, matlab hum time-travel karke experiment ke baad vaale avishkar ko pehle vale avishkar se milne se rokna hai, bas sirf itna hi karna hai”

Sam “lekin isse hoga kya..??”


Mayank “isse hoga yeh ki jo kuch bhi past me pehle hua tha..jo mere saath hua hai voh sab fir dohraya jaayega, aur time-line intact rahegi..use koi nuksaan nahi pahuchega”

Pathik “par time travel karenge kese..?? tune hi toh kaha tha ki time tut chukka hai”


Mayank “maine yeh bhi kaha tha ki time ko naa toh toda jaa sakta hai aur naa hi moda jaa sakta hai, aur uske kahi roop bhi ho sakte hai”

Pathik “tu kabhi yeh bolta hai ki time tut chukka hai, kabhi yeh bolta hai ki time ko toda nahi jaa sakta, tu kehna kya chahta hai..??”

Mayank “agar yaad hai toh maine ek baat kahi thi, time-space ke bahar hum jo karenge uska action hamari time-line par effect nahi karega”

Pathik “haa yaad hai”


Mayank “same vese hi, hamara time tut chukka hai, toh hum abhi time-travel karenge toh uska asar hamari time-line par nahi padega, hume bas uss raat ke waqt me vaapas jaakar apna kaam karna hai aur kaam hote hi vaapas aajana hai, jo ki hum time-travel tute hue time se karenge toh hamare time travel karne ki vajah se time-line par koi nuksaan nahi pahuchega”

Sam “so basically dekha jaaye toh aisa lagega ki humne kabhi time travel kiya hi nahi hai”


Mayank “haa sam, lekin time ke tutne se pehle doc avi ne time travel kiya tha toh shayad kuch chote mote changes timeline me aa sakte hai..par usse jyada nuksaan nahi hoga”

Manthan “so, ateet me jaane ke liye kaun kaun ready hai..??”


Mayank “yeh kaam shayad mere akele ka nahi hai, toh mere saath kaun chalega”

Paridhi “mai saath chalungi”

Sam “aur mai bhi”

Mayank “nahi sam, tu hamare saath nahi chal sakta”


Sam “yeh ladayi time-travel karne se khatam nahi ho jayegi, yeh naa bhul ki Zorians se ladayi abhi baaki hai” ne chaunkte hue pucha

Mayank “haa isiliye mai keh raha hu, jab hum vapas lautenge toh jo jeev jis bhi time me hai voh vahi par trap ho jayega, voh time-portals apne aap gayab ho jayenge..tum dono apne waqt me kabhi vaapas nahi jaa paoge” usne sam aur akshita ki aur ishara karte hue kaha

Akshita “iska matlab ki jo Zorians iss waqt me hai voh yahi par reh jaayenge..??”

Mayank “haa akshita, aur mere khayaal se aapka jaana hi sahi rahega, kyunki 31st century se sirf aap log hi hai jise Zorians ki sachayi maalum hai, so mai request karta hu tumhe apne time me vaapas laut jaana chahiye”


Mayank ki baat sunne ke baad uss room me ekdum se sannata chaa jaata hai

To be continued…
Update 36
Matlab finally decide ho gya time travel kar ke hi time ko bachaya ja sakta h... Lekin dost... Mujhe aisa lag rha h end me iss chhote se time travel ke chakkar me kahi bada sa side effect na nikal aaye baad me... Next padhta hu... Bidu...
 
Last edited:
  • Love
Reactions: Milan2010
182
244
43
Update : 37 (Time-Machine)

Akshita “iska matlab ki jo Zorians iss waqt me hai voh yahi par reh jaayenge..??”

Mayank “haa akshita, aur mere khayaal se aapka jaana hi sahi rahega, kyunki 31st century se sirf aap log hi hai jise Zorians ki sachayi maalum hai, so mai request karta hu tumhe apne time me vaapas laut jaana chahiye”

Mayank ki baat sunne ke baad uss room me ekdum se sannata chaa jaata hai


Ab aage…

Pichle kuch dino me ghatit ghatnao ne bhramhand ko dekhne ka saara najariya hi badal diya tha
Waqt, aayam, bhramhand kehne ko toh chote se shabd hai..lekin apne astitva ke baare me ek choti si jhalak dikhla di thi..kisne socha tha ki Zorians aliens ke alawa bhi kuch aur hai..kisne kalpana ki thi ek din insaan dusri duniya me jaa paayega, kinsne yeh mehsoos kiya tha ki waqt hamari jindagiyo ke saath aisa anokha khel khelega
Aur abhi jo mayank ne bataya uske naa toh sam kuch samaj paa raha tha aur naa hi akshita apne mann me umad rahe sawalo ke jawab de dhund paa rahi thi, apne andar chal rahi pareshaniyo ka buj voh kuch iss tarah se halka karti hai “maine toh kabhi sapne me nahi socha tha ki aisa bhi koi din aayega, ek tarah hamara ghar hai toh dusri tarah hamara atit..sam, hume kya karna chahiye..??”

Sam ne akshita ki aur dekhte hue kaha “mere toh kuch bhi samaj me nahi aa raha, hum toh yeh soch rahe the ki aakhir me yeh time-portals kaam kese karte hai, mai toh bas unn dinosaurs ko vapas apne time me laana chahta tha..taaki hum Zorians se jung jeet paaye”

Akshita “lekin hume yaanha aakar kuch aur hi mila”
voh apna sar jukate hue kehti hai “time-portals ke saath time-wraiths ke baare me jaana, Dimension Travel, 10th dimension”

Sam “kisine sach hi kaha hai, hamari duniya kaafi ajeeb hai, bahut se rahashya hai jinhe insaan kabhi jaan nahi payega”

Akshita “aur yeh bhi toh sach hai, aankho dekhi cheeze hamesa sach nahi hoti”

Sam “maine khud itna kamjoor aaj se pehle kabhi nahi samja, aaj mere pass ek bhi sawaal ka jawab nahi hai, kabhi socha nahi tha ki koi aisi situation me fasunga aur usse nikalne ke liye mere pass koi rasta nahi hoga”


Akshita “vahi toh sam, hamare time me bhi kisine yeh nahi socha tha ki time khud bikhar jaayega, time-travel ki side effects ki baate toh sab karte hai..lekin aaj tak koyi time ka sahi se nahi samja paaya”

Sam “sirf time hi nahi, hamari hare k study..har ek theory aaj galat saabit ho rahi hai”

Akshita “aur Zorians, hume toh unhe bas sirf taqatwar aliens samajte aaye the, lekin Zorians ki sachayi kise malum thi ke voh UNIVERSAL DOMINATORS hai”


Sam “lekin ek sach yeh bhi toh hai..agar hum yanha naa aaye hote toh hume Zorians ke sachayi ke baare me kabhi pata nahi chalta aur hum unse haar jaate…hum apne earth ko nahi bacha paate”

Akshita kuch der chup rehti hai fir “sam, toh ab hume kya karna chahiye..?? kya hume apne waqt me vaapas chale jaana chahiye yaa yahi rehkar inki saath milkar is ladayi ko ladna chahiye..??”

Vahi inn sab se dur baaki log avi ke pass baithe hue the, darasal Akshita akele me Sam se baat karna chahti thi, isliye usne sam ko thoda side me chalkar baat karne ka ishara kiya aur voh dono inn sab se alag hokar baate karne lage

Siddhi-2 “kya inhe jaane dena sahi hoga..?? I mean hum mese koi bhi ladna nahi jaanta, aur humare pass Zorians ke baare me koi knowledge nahi hai, humne toh bas unki dehsat dekhi hai, unse bachna sikha hai, but they are professionals, voh jaante hai ki Zorians se kese lada jaata hai” usne sam aur akshita ki aur dekhte hue kaha

Mayank ek gehri saans lete hue kheta hai “I know siddhi, they are the best option for us, lekin ek baar agar hum time-travel karke vaapas aajate hai, toh saare time-portals apne aap hi gayab ho jayenge, aur yeh hamesa ke liye hamare time me kaid hokar reh jaayenge, there is no way of going home”

Paridhi “manthan, kya sach me hum time-travel karne vaale hai..??”
usne mayanki ki aur dekhte hue kaha

Mayank “haa pari, Zorians ko harane ka bas yahi mauka hai, agar kisi tarah se time ko sahi karke hum time-wraiths ko yeh samja sake ki waqt ke asli dushman hum insaan ya hamare planets nahi balki yeh Zorians hai toh shayad hum yeh jung jeete sakte hai..hume TIME ke saath milkar yeh ladayi ladni hogi”

Pathik “tuje aisa kyu lag raha hai ki hum yeh Zorians se kabhi jeet payenge, I mean tune hi kaha tha ki aaj se pehle Zorians kisi se nahi haare, yanha tak ki sam aur akshita ne bhi yahi kaha hai”


Aarav “Zorians ki sabse badi kamjori kahe ya sabse bade dushmani..voh waqt hai, lekin jab aaj waqt hi nahi raha toh unhe ab kisi ka dar nahi hoga”

Mayank “exactly aarav, bas yahi mauka hai, aaj tak Zorians ne jitne bhi planets ko tabah kiya hai uss waqt koi bhi time-wraith time force ke baahar nahi tha, lekin aaj Zorians ki sabse badi kamjori baahar ghum rahi hai..agar hum time ko dobara se unke samne laakar khada kar de toh Zorians apne aap vapas chale jayenge aur hum jeet jayenge”


Manthan “Zorians se ladkar jeetna toh hum insaan ke liye impossible hai, Zorians isiliye jeet te aa rahe the kyunki unhe rokne vala koi nahi tha”

Pathik “yeh toh samaj me aa raha hai, lekin ek baat mere samaj me nahi aa rahi”

Mayank “konsi baat..??”


Pathik “agar Zorians itne jyada taqatwar hai toh time-wraiths ya time ne unhe kabhi rokne ki koshish kyu nahi ki..??”

Iss sawal ka jawab mayank ke pass nahi tha, voh bas shant hokar vahi par baith jaata hai

Vahi dusri aur, Sam ne akshita ke sawaal ka jawab kuch iss tarah se diya “aksh, hamare pass do raste hai…pehla hum apne waqt me vaapas laut jaaye aur Zorians se ladkar haar jaaye aur dusra…”

Akshita ne sam ki baat ko kaatkar “dusra hum yaha par rehkar inn ki madad kare, inn mese koi bhi Zorians ke samne ladna koi nahi jaanta..agar hum yaha par ladayi kese karke jeet jaate hai toh shayad hum apne earth ko bacha sakte hai”

Sam “haa aksh, agar hum yaha rehte hai toh hamare ghar vaapas jaane ke har ek raste hamesa ke liye band ho jayenge, lekin shayad hamare pass hamari earth ko bachane ke sirf yahi ek raasta hai, hum finally unn se jeet sakte hai..ek ummid ki kiran hume dikh rahi hai”

Akshita “sam, mai har faisle me tere saath hu, but final call tera hai” ne sam ke haath ko pakadte hue kaha

Sam ne akshita ki aankho me dekhkar “tuje kya lagta hai..kya karna chahiye hume”

Akshita bhi uski aankho me dekhkar kehti hai “I think hume yanhi par rukkar jitni ho sake utni madad karni chahiye”

Sam ne haa mein sar hilate hue kaha “hum bilkul yahi karenge” fir voh dono chalkar baaki sab ke pass aate hai

Sam ne inn sabhi ko ese chup baithe dekhte hue pucha “kya hua..?? aap sab chup kyu ho..??”

Aarav “yeh matter nahi karta, so aapne vapas jaane ka faisla kar liya..??”

Akshita “haa..humne faisla kar liya hai, lekin vaapas ghar jaane ka nahi, hum yahi rehkar aane vaali ladayi saath me ladenge, sirf yahi ek rasta hai jisse hum Zorians se jeet sakte hai”

Mayank “pagal naa bano”


Sam “sorry dost, yeh ladayi tere akeli ki nahi hai, aur naa hi mai akele inn Zorians ko hara sakta hu, hum insaano ko pehli baar mauka mila hai inn Zorians ko haarane ka..mai ise nahi gawah sakta” usne mayank ke kandhe par haath rakhte hue kaha

Mayank bhi haste hue kehta hai “thanks, muje laga hi tha ki tum shayad vaapas nahi jaoge”

Sam “lekin tum sab chup kyu ho..??”


Pathik ne apni baat firse batata hue vahi sawaal dohraya, jise sunne ke baad Sam kehta hai “kyunki Zorians time-travel ke baare me har ek baat jante hai, voh time-travel karne ke shakt khilaaf hai, itne powerful hone ke baad bhi voh time-travel nahi karte, kyunki voh jaante hai ki agar unhone aisa kiya toh time-wraiths jarur aayenge”

Sam ki baat sunkar mayank ne apne haath ko sar par peette hue kaha “yeh maine kese nahi socha..??” fir voh rukkar kehta hai “trod ke kehna ka matlab bhi yahi tha, iss baare hamare pass jeetne ke chance isiliye jyada hai kyunki time-wraiths bahar ghum rahe hai”

Pathik “time..time hi ek aisa hai jisse Zorians darte hai, ab baat kuch kuch samaj me aa rahi hai”

Mayank “bilkul sahi kaha, toh ho jaaye..??” usne apne haath ko aage badhate hue kaha

Sam bhi usse haath milate hue “plan kya hai..??”

Mayank “well yeh mission mere akele se nahi hoga, aur time machine ki capacity 4 logo ke ek saath jaane ki hai, kyunki CDC lab ko DR AVI ke alawa sirf mai jaanta hu toh mera jaana sabse jyada important hai”
fir usne pari ki aur dekhte hue kaha “aur pari muje akele jaane nahi degi..so”

Pari ne mayank ke haath ko kaske pakda, aur fir mayank ne sam ki aur dekhkar kaha “baaki bache 2 log, manthan aur pathik..mai tum dono ko chunta hu, kyunki agar Zorians yanha vaapas aate hai toh unn se ladne ke liye tum dono ka yaha par rehna bahut jaruri hai”

Sam “nahi mayank, agar yeh sach hai ki Zorians Time se darte hai toh voh hume rokne ki koshish jarur karenge, voh humpar attack kar sakte hai, aur same aisa yanha bhi ho sakta hai, toh hum dono mese kisi ek ka tere saath chalna bahut jaruri hai”


Mayank kuch bolta uske pehle akshita kehti hai “mai yaha rukungi, sam tere saath jaayega”

Mayank aage kuch nahi bolta aur voh sab jaane ke liye ready ho jaate hai, lekin uske pehle Siddhi-2 pari ke saath aati hai aur usse kehti hai “pari, agar tuje bura naa lage toh kya mai tujse kuch maang sakti hu..??”

Pari ne ek baar thoda ajeeb se najro se uski aur dekha “siddhi, mere earth par tu meri sabse achi dost hai..aur dosto ke bich me bura manne jesa kuch nahi hota, kuch maangne ke liye tuje permission lene ki koi jarurat nahi hai”

Siddhi-2 ruansi awaaz me “mai jaanti hu paridhi, lekin iss earth par mai paridhi se bilkul bhi close nahi thi..jo kuch bhi past me hua uske baad Paridhi mujse nafrat karti thi, bas isiliye muje laga shayad tu bhi mujse..” voh isse aage kuch nahi bol paati

Pari “sach kahu toh gussa toh muje bhi aa raha hai..kahi na kahi mai iss earth vali pari se bhi judi hui hai..but muje manthan ne sab bataya hai, I just want to say thanks..muje mera manthan vaapas dene ke liye”

Pari ki yeh baat siddhi-2 ke dil ke jhakham par namak ka kaam kar rahi thi, lekin usne kisi tarah se apne aap ko sambhalte hue “kya mai tumhare saath chal sakti hu..?? I mean tere manthan ko mayank ne saath chalne se mana kar diya hai, lekin pathik aur kruti ek dusre se abhi bhi mile hai, agar naa chahte hue kuch ho gaya toh, I mean iss waqt unn dono ke pass ekdusre ke alawa aur koi nahi hai”

Pari shayad samaj jaati hai, toh usne siddhi-2 ki baat mayank ko samjayi aur final me yeh decide hua ki pari, siddhi-2, mayank aur sam time-travel karenge
DR Avi ek car ko uss pipeline me lekar aajata hai, usne time machine isi car me banayi thi, uske baad yeh charo car ke pass aajate hai aur baaki log usi kamre ke andar vapas chale jaate hai

Car me baithne se pehle baakiyo ne inn charo ko good luck wish kiya, aur fir ek ek karke saare log uss car me baith jaate hai, aur mayank ke baith te hi usne car ke dashboard me kuch buttons dabaye aur screen par uss raat ka date aur time enter kiya aur ek lever ko operate karte hue samne rahe bade se laal rang ke push button ko daba diya

Car ka engine start hua, dheere dheere karte hue var hawa me udne lagi, aur achanak se voh puri raftar se uss pipeline me aage badhi aur ek roshni ke saath voh car vanha se gayab ho gayi

Date : 20 October 2016
Time : 7:00 PM


Jungle me achanak se innki car aakar ruk jaati hai, aur usme Pari aur Siddhi bahar nikalkar joro se ultiya karne lagte hai, jabki Mayank ko kuch dikhayi nahi de raha tha..aur vahi sam baar baar apni haath ko dekhne laga
Paridhi “yeh sab ho kya raha hai..??”

Sam “iam beeja as sushem rak ahar iah, erem htaah, iam esi leef ihan rak aap ahar uh”
(mai ajeeb sa mehsus kar raha hai, mere haath, mai ise feel nahi kar paa raha hu)

Siddhi-2 “yeh kya bol raha hai”

Mayank “avi ne bataya tha aisa kuch hoga, hum side effects hue hai, kuch der me sab sahi ho jayega”

Kuch der baad sabhi log sahi ho jaate hai, aur Pari apne charo aur dekhte hue kehti hai “hum jungle me kya kar rahe hai..?”

Siddhi-2 “hum sahi jagah toh aaye haina..??”


To be continued…
Update 37
Hum kaha aa gye jo... Yuhi time travel krte krte... ??? Finally contestants decide ho gye time travel krne ke... ?? Aur kaha pahuch gye jhandu log... ??
 
  • Love
Reactions: Milan2010
182
244
43
Update : 38 (Waqt itna bhi Bura nahi hai)

Mayank “avi ne bataya tha aisa kuch hoga, hume time-travel ke side effects hue hai, kuch der me sab sahi ho jayega”

Kuch der baad sabhi log sahi ho jaate hai, aur Pari apne charo aur dekhte hue kehti hai “hum jungle me kya kar rahe hai..?”

Siddhi-2 “hum sahi jagah toh aaye haina..??”


Ab aage…

Sam “sahi jagah se kya matlab..??”


Siddhi-2 “hum jungle me hai” voh apne charo aur dekhte hue kehti hai “lekin jaha tak muje yaad hai voh experiment CDC lab me hua tha, aur muje yaha se voh lab kahi nahi dikh rahi”

Vahi Pari apni aankhe band karke vaha chal rahi thandi hawao ko mehsus karte hue kehti hai “hum CDC lab ke pass me rahe aur beach vaale jungle me hai, haina manthu” usne mayank ki aur dekhte hue kaha

Mayank haa mein apna sar hilata hai “haa pari, hum usi jungle me hai”

Siddhi-2 “jungle me..?? lekin kyu..??”

Sam “taaki hamari time-machine yanha par safe rahe, particle accelerator ka jab dhamaka hoga toh vaha par sab kuch tabaah ho jayega”

Mayank “exactly, aur dusra yeh ki mai aur pari ek waqt par do jagah nahi jaa sakte..kyunki iss time me mai aur pari already vaha par maujud hai..agar kisine galti se bhi dekh liya toh shayad uska anjaam hume bhugatna pad sakta hai..it can damage the time-line”

Siddhi-2 “timeline par effect hoga..?? par kese..?? hum sab jaante hai ki time-line tut chuki hai”
usne asamaj bhare bhav dete hue apna sawal kiya

Mayank “haa sidhii, aur yeh baat maine hi tumhe batayi hai..lekin maine yeh bhi kaha tha ki time ko kabhi toda nahi jaa sakta..bas uske alag alag roop ho sakte hai, iss waqt time sahi se chal raha hai..yaha koi dikkat nahi hai..lekin jaha se hum aaye hai vaha par time iss tarah se nahi chal raha”

Paridhi “manthu..sach me iss baar toh mai bhi nahi samaj paayi”
usne masumiyat se kaha

Mayank “itna samaj lo hum jis waqt se aaye hai vaha hum kuch bhi kare..uska koi bhi effect abhi vale time par nahi hoga..lekin abhi jo hum karenge uska timeline par effect jarur padega, infact hamare yanha aane ki vajah se bhi time me kuch changes aa sakte hai..isiliye hume koi bhi aisa kaam nahi karna hai jisse time ko aur jyada nuksaan pahuche” usne haath se ishara karte hue kaha

Iske baad sabhi log chup hokar CDC lab ke aur chalne lagte hai, lekin sam ke mann me kuch sawal ummad rahe the toh voh uss chuppi ko todte hue kehta hai “are you sure avi yahi se jaayega..??”

Mayank kuch sochte hue kehta hai “haa voh jayega toh yahi se..lekin”

Siddhi-2 “lekin kya..??”

Mayank “voh dusre vala avi, iss waqt press conference kar raha hoga..aur press conference khatam hone tak uska future vala pratiroop usse nahi mil sakta”

Sam “avi ne bataya tha voh karib 8 baje CDC lab me enter hua tha”

Mayank “haa lekin asmaan ko dekhkar yahi lagta hai jese hum jaldi aagaye hai”
voh apne watch me kuch buttons dabate hue kehta hai kyunki asmaan me abhi bhi halki halki roshni dikhayi de rahi thi “iss waqt kitne baj rahe hai iska sahi anumaan nahi lagaya jaa sakta, shayad yeh timeline ke tutneki vajah se hua hai”

Sam “agar hum jaldi aagaye hai..toh tune kitne baje ka time daala tha..??”

Mayank “maine 8:00 PM ka time daala tha, kyunki accelerator raat ko 10 baje online hone vaala tha..lekin AVI ki press conference 8:30 baje khatam ho jaati hai..lekin hum shayad 7:15 ko hi yaha aa pahuche hai” usne apni watch me dekhte hue kaha

“1 hour tak hum kya karenge..??” siddhi-2 ne mayank se sawal kiya

Sam “hume koi esi jagah par chupana hoga jaha Manthan aur Paridhi ko koi dekh nahi paaye..varna sab kuch tabah ho jayega”

Mayank “haa, yeh toh sahi kaha..aur hum iss waqt aage vaale gate se nahi jaa sakte, kyunki kisi bhi time par mai aur pari vaha aate hi honge”

Paridhi “toh hum CDC lab ke andar kese jayenge..??”

Mayank kuch sochte hue kehta hai “piche vaala gate, hum piche vale gate se hi andar jayenge”

karib 10 minutes chalne ke baad yeh sabhi log CDC lab ki vishalmay building ke piche aa pahuchte hai, jaha gate ke pass khade hue guards inn sab ko rok dete hai
Guard-1 “sorry, aap log yaha nahi aa sakte, yeh restricted area hai” usne sam ko dekhte hue kaha kyunki voh sabse aage chal raha tha

Mayank unke samne aakar kehta hai “listen..”

Lekin voh guard mayank ko aage nahi bolne deta aur uski baat ko kaat te hue “bache..yeh jagah tum logo ke liye nahi hai, agar particle accelerator dekhna hai toh front gate par jaao” uske baad voh apne saathi vale gaurds se kehta hai “ajeeb log hai yaar, pata nahi kaha kaha se aajate hai..aaj toh sabko samjate samjate thak gaya”

Yeh dekhkar siddhi-2 kehti hai “ab hum kya kare..??”

Mayank apni watch me karib 2 minutes ke liye kaam karta hai, aur fir muskurate hue unn guards ke pass gaya “activate command ORION”

Yeh sunkar voh dono hi guards ekdum se chuank jaate hai, mayank ke thik left side par bani hui security cabin ki deewal me kuch halchal hone lag gayi, uss deewal me raha ek chota sa square block ajeeb taraf se folde hote hue khul jaata hai..jiske baad uss khuli hui jagah se ek roshni ki dhaara sidhe Mayank ke sharir par padti hai

Karib 2 seconds ke baad unn guards ne haatho me pehni hui watch me ek alert aata hai jise dekhne ke baad voh mayank ke pass jaakar pehle vaala guard kehta hai “I am sorry sir, voh aap kabhi yanha se aate nahi hai toh hum aapko pehchan nahi paaye”

Mayank haste hue kehta hai “it’s okay, ab agar aap dono ko koi problem naa ho toh kya hum andar jaa sakte hai..??”

Guard “yes sir, you can”
jiske baad yeh guards mayank ke alawa sabhi ko Visitor ka I-Card dete hai aur sabhi log andar chale jaate hai

Voh chalte hue building ke uss hisse me aajate hai jaha se particle accelerator ki pipeline me jaane ka rasta tha, vaha pahuchkar mayank kehta hai “listen, humne aaj hi dekha ki uss raat ke dhamaka ka sabase kam asar isi jagah par hua hai, toh aap sab yaha par safe rahenge..lekin agar koi gadbadi hoti hai..agar hum apne mission me fail ho jaate hai aur voh experiment chalu ho jaata hai toh tum sab ko yaha se fauran nikal jaana hoga”

Paridhi “aap sabse tera kya matlab hai..?? tu kaha jaa raha hai”
usne shaq vali najar se mayank ko dekhte hue kaha

Mayank “uss raat ko mai building me bahut saari jagah par ghuma tha, kahi logo ne muje dekha bhi hai toh mera yaha par rehna safe nahi, jese hi dono AVISHKAR ki mulaqat ka time hoga mai yanha vapas aajaunga”

Paridhi “par kya mai tere saath chal sakti hu..??”

Mayank naa mein apna sar hilate hue kehta hai “nahi pari, jab mai doc ki cabin me gaya tha tab muje exactly nahi pata Paridhi uss waqt kaha thi..time already damage ho chukka hai..hum iss pal me saath rahkar aur time ko nuksaan nahi pahucha sakte”

Sam “yeh sab toh thik hai..lekin yeh jagah restricted hai, toh agar hume kisine pucha ki hum log kaun hai aur yaha kya kar rahe hai toh problem ho jayegi..?? yaha par koi mahol nahi bana sakte”
usne apne samne lage restricted access ka board dekhte hue kaha

Sam ki iss baat ke baare me Mayank ne pehle hi socha liya tha, voh haste hue kehta hai “yeh jo tumhe VISITOR ke I-CARDS mile haina, yeh special permit hai unn logo ke liye jo iss area me 9 baje tak ghum sakte hai, so don’t worry about it”

Paridhi “unn guards se milne se pehle tu watch me kya kar raha tha..??”


Mayank haste hue kehta hai “bas yahi jo abhi abhi maine bataya”

CDC lab ke baahar press conference joro se chal rahi thi, lekin Manthan ko iss press conference me koi dilchaspi nahi thi toh usne Paridhi ka haath pakda aur use kheenchte hue CDC lab ke andar le jaata hai
Mayank ke aisa karne par Paridhi thodi chaunk jaati hai “manthu..kaha le jaa raha hai..??” voh bhi uske piche piche kheechti chali jaati hai

Manthan chalte hue hi kehta hai “pari, aaj mai bahut hi jyada khush hu..iss din ka mai kabse wait kar raha tha, aaj mai tuje apni voh lab dikhaunga jaha par mai kaam karta hu”

Paridhi “acha acha baba, lekin thoda aaram se chal..pair me dard ho raha hai”
paridhi ne jutha natak karte hue badi masumiyat ke saath kaha

Manthan yeh sunkar ruk jaata hai aur fir kuch sochkar voh Pari ko apni godi me uthaleta hai aur vese hi voh paridhi ki aankho me dekhte hue kehta hai “ab toh dard nahi ho raha haina..??”

Manthan ki aisi harqat par Paridhi sharam ke maare paani paani ho jaati hai, sharam aane ki vajah se uske gaalo par laali si aajati hai jo pari ke chehre ke sundarta par char chaand laga rahi thi
Mayank ek pal ke liye toh uske chehre me kho sa jaata hai, toh paridhi pyaar se uske sar par maarte hue kehti hai “duffer kahi ka, mera yeh matlab nahi tha, please muje niche utar sab log dekh rahe hai”

Tabhi manthan ko dhyaan aata hai ki iss waqt voh apne ghar par naa hokar CDC lab me hai, voh fauran pari ko niche utarta hai aur uske kaan pakadte hue kehta hai “lo bas niche utar diya, aur koi hukum mere aaka”

Manthan ki iss haarqat se paridhi ko firse sharam aajati hai jise dekhkar Manthan hasne lagta hai, aur manthan ko ese hasta dekhkar paridhi ne pyaar se uski chaati par ek mukka marte hue uske gale lag jaati hai “paaaaagggggaalllll”
Manthan bhi use apni baanho me bhar leta hai ki tabhi use apne collegue ka phone aata hai, jiske baad voh pari ko lab me akela chodkar vaha se chale jaata hai

Vahi dusri aur Mayank unn jagaho par jaana avoid kar raha tha jaha se voh uss raat ko gujara tha..lekin kismet ke aage kiski chal sakti hai
Ghumte firte hue voh ek jagah aa pahuchta hai jaha par uske samne PARIDHI khadi thi..haa uski paridhi jo uske saath CDC lab me toh jarur aayi thi..lekin yaha se voh vaapas naa jaa saki

Paridhi ko dekhkar mayank ki aankho ke samne ek aur baar firse vohi sab dohrata hai jise voh bhulne ka prayatna kar raha tha..lekin shayad aisa hona asambhav tha..hamari life me kabhi kabar ese hadse ho jaate hai jo puri zindagi nahi bhulaye jaate..aur pal pal vahi hadsa alag alag roop me lautkar saamne jarur aata hai

Mayank apni yaado mein itna jyada kho gaya tha ki use yeh tak ehsaas nahi raha kab Paridhi uske samne aakar khadi ho gayi, voh toh apni neend se tab jaagta hai jab paridhi uski aankho ke aage chutki bajati hai “mister kaha kho gaye..??”

Achanak se pari ki meethi awaaz apne kaano me sunkar voh apni neend se jaagta hai lekin pari ko iss tarah se apne samne dekh voh kuch bol nahi paata, aisa nahi tha usne bolne ka prayash nahi kiya..lekin uske shabd shayad uska saath nahi de rahe the..voh bolne ke liye apna muh khol toh raha tha lekin uski awaaz uske gale me hi atak kar reh jaati hai

Paridhi ne badi hi pyaari najro se dekhte hue mayank ke samne hath se ishara karte hue pucha “kya hua manthan..?? kya aaj mai itni jyada khubsurat lag rahi hu..??”

Iss baaat ka jawab bechara mayank kese deta..?? voh toh bas paridhi ke iss sundar se chehre ko hi nihar te jaa raha tha, ekdum jheel ke jesi aankhe, aur unn aankho par halka sa laga hua kaajal, aur khule baal jab hawa ke joke se uske chehre par aate hai jo pari bade hi pyaar se hata deti thi..lekin kambhakt voh baal ki lat firse vahi aa jaati
aisa nahi tha ki Mayank ne paridhi ko kabhi iss tarah se dekha nahi tha..lekin Paridhi use hamesa utni hi haseen lagti hai jitney use pehli baar dekhne par lagi thi, Mayank bade hi pyar is iss sawal ka uttar deta hai “pari, tu hamesa hi khubsurat lagti hai”

Paridhi “acha ji, pagalu”
voh mayank ke sar par tapli marti hai “tu yanha kya kar raha hai..?? I mean tu toh uss taraf gaya tha”

Mayank “voh yaha mai kahi bhi aa jaa sakta hu”

Paridhi “haa pata hai pata hai, sunn chuki hu, ab aur nahi sunna chahti..mai khud hi dekh lungi…huh”
ne vese hi pyaari si smile dete hue kaha

Pata nahi kyu par mayank khud ko rok nahi paata aur paridhi ko turant hi apne seene se laga deta hai, usne pari ko itni majbooti se pakad rakha tha jese voh yeh jaatana chah raha hai ki iss baar voh apni paridhi ko nahi khoyega
Mayank ki aankho ke samne voh drasya aajaata hai jab usne apne hi haatho se paridhi ki garden marodkar tod daali thi, yeh yaad aate hi uski aankho se halke se aansu beh jaate hai, aur voh apne hotho ko pari ke garden par dheere se rakhkar Paridhi ko aur bhi jyada jor se jakad leta hai

“aahhhhhh” mayank ko yeh ehsaas nahi tha ki usne paridhi ko kitni majbooti se pakda hai, lekin paridhi ko toh iska ehsaas ho raha tha, itni majbooti se jakde jaane ki vajah se paridhi ke mooh se dard ke maare ek aah nikal jaati hai, aur voh vese hi dabi hui aawaaz me kehti hai “manthuu..dard ho raha hai”

Paridhi ki aawaaz jab mayank ke kaan me padti hai toh use apni galti ka ehsaas ho jaata hai aur voh fauran pari ko apne sine se alag karta deta hai..lekin paridhi ke saath hone ki vajah se voh yeh bhul gaya tha ki uski aankho me halke se aaye hue hai, jo paridhi dekh leti hai

Pari ne mayank ki aankho me aaye hue aansu ko dekhte hue kehti hai “manthan, kya hua..?? tu itna ajeeb behave kyu kar raha hai..??” voh sawaliya bhari najro se dekhte hue puchti hai

Mayank “nahi toh, muje kya hoga”

Paridhi “tu ro raha hai”

Mayank “nahi nahi, voh toh shayad aankh me kuch gir gaya hai”

Paridhi “nahi manthan, kuch toh alag hai..I mean tera iss tarah se hug karna..”

Mayank “mai toh hamesa se aise hi hug karta hu”

Paridhi “yeh haroj vaala hug nahi tha..aisa lag raha hai maano tu muje kaafi dino ke baad dekh raha hai”


Mayank “nahi nahi pari..esi koi baat nahi hai” voh thoda halkate hue kehta hai

Paridhi jaanti hai hai ki manthan tabhi halkaata hai jab voh usse juth bolta hai “manthu, bata na kya baat hai..??” usne badi hi masumiyat se pucha

Mayank iss baar paridhi ki baat ko chahte hue bhi taal nahi saka, voh apne mann me kehta hai “nahi pari…iss baar nahi, mai tuje kuch nahi hone dunga” voh apne haatho ko paridhi ke gaalo par rakhta hai aur pyaar se voh apne hoth ko paridhi ke forehead par rakhkar chumte hue bola “nahi pari, koi baat nahi hai” aur kuch der ke liye usne apne hotho ko vahi par rakha

Mayank ke aisa karne par paridhi ne apne haatho ko mayank ke haath shoulder par rakhti hai aur uske pyaar ko mehsus karne lagti hai, Paridhi samaj jaati hai ki kuch toh aisa hai jo manthan use nahi bata raha, fir mayank uske haatho ko pakadta hai aur kehta hai “pari please promise me..tu….” voh bolte hue ruk jaata hai

Darasal mayank yeh sochta hai ki voh agar Paridhi ko isolation chamber ke pass jaane se mana kar dega toh Paridhi kabhi uss wormhole me nahi fasegi..aur naa hi use apne hi haatho se maarna padega, lekin jab yeh baat voh paridhi se kehne ko hua tabhi use mehsoos hota hai ki ek ajeeb sa saaya teji se uske baaju se gujra aur thik pari ke piche jaakar khada ho gaya

Mayank ne najre toh paridhi ki aur rakhi thi lekin voh paridhi ko naa dekhkar uss piche khade saayein ko dekh raha tha jo dheere dheere karte hue kisi ka aakar lene lag gaya

Paridhi “kya manthu” usne thoda ghabarate hue pucha

Tab tak uss saayein ne usi paridhi ka aakar le liya jise Mayank ne apne haatho se maara tha, voh saayaan bhi bilkul vese hi mayank ko dekh raha tha jab paridhi ne mayank ki baanho me apna dum toda tha, voh saayaan vese hi mayank ko dekhte hue naa mein apna sar hilaata hai

Uske aisa karte dekh pata nahi mayank ko kya ho jaata hai ki voh uss saayein ki baat maante hue apni baat ko ghumate hue kehta hai “mai bas yeh kehna chahta hu Pari, please tu muje chodkar kabhi nahi jaana” yeh kehte hue uski aankho se aansu beh jaata hai

Mayank ke aisa karne par paridhi kuch samaj nahi paata, balki mayank ki inhi harqato ki vajah se uska dil ghabrate hue joro se dhadakne lagta hai “manthan, mai kahi nahi jaa rahi hu, tu aisa behave kyu kar raha hai..?? please batana muje, kya hua hai”

Mayank “mai thik hu..pari, please mujse promise kar tu apna khayal rakhegi, mere liye tuje apna khayal rakhna hi hoga”

Paridhi “haa baba, mai promise karti hu” jiske baad mayank ne paridhi ko ek aakhri baar apne seene se lagaya aur uske baad bina paridhi ki aur dekhe voh vaha se daudte hue chala jaata hai

Vahi paridhi ek tak apni aankhe japkaaye bina hi Mayank ko jaate hue dekhti rehti hai..pata nahi kyu lekin Paridhi ko yeh ehsaas ho jaata hai ki yeh uska manthan hi tha..lekin voh vala nahi jiske saath voh yanha par aayi thi..balki koi aur jisne apni ko Paridhi ko kho diya hai

Vahi mayank daudte hue apne aansuo ko saaf karta hai ki achanak se uski kisi se takkar ho jaati hai aur voh dono hi gir jaate hai

To be continued….
Update 38
Ye update bich bich me acha bhi tha aur romance ke chakkar me jhandu b laga?? lekin ache se likha tha ap ne bhai... Aur ye purani wali paridhi se milane ka plan jama nhi mujhe... Isse time line pe bhi farak pad sakta h...
 
  • Love
Reactions: Milan2010
182
244
43
Update : 39 (Waqt Ka Mayajhal)

Vahi paridhi ek tak apni aankhe japkaaye bina hi Mayank ko jaate hue dekhti rehti hai..pata nahi kyu lekin Paridhi ko yeh ehsaas ho jaata hai ki yeh uska manthan hi tha..lekin voh vala nahi jiske saath voh yanha par aayi thi..balki koi aur jisne apni ko Paridhi ko kho diya hai

Vahi mayank daudte hue apne aansuo ko saaf karta hai ki achanak se uski kisi se takkar ho jaati hai aur voh dono hi gir jaate hai

Ab aage..

Kehte hai ki hamara atit hamara picha kabhi nahi chodta..waqt me aap kitne bhi aage badh jao..lekin aapka atit kabhi bhi kisi bhi roop me apne samne aahi jaata hai
Waqt chahe kesa bhi ho..agar voh kuch thaan leta hai toh voh aapke saath hokar hi rehta hai..Mayank ke saath waqt kuch aisa hi khel khel raha tha, ek taraf jab duniya ka pura waqt bikhar gaya hai..hamari dharti tabah hone ke kagaar par khadi hai tab bhi Mayank ka atit uska picha nahi chod raha tha

Khud ko sambhalne ke baad jab Mayank ne apni najare samne vale vyakti par daali toh voh ek pal ke liye uss chehre ko dekhta hi reh gaya..uski aankho ke saamne uski Pari thi jo apne ghutno ke bal baithi mayank ko dekh rahie thi “paagal, kabhi toh shanti se chala kar..uss din bhi tu ese hi bhaag raha tha”

Mayank ek pal ke liye apne samne maujud Pari ki aur dekhta hai, aur ek pal voh piche mudkar uss Paridhi ki aur dekhta hai jaha se voh abhi aaya tha, Mayank ke aisa karne par Pari thodi se chidti hui kehti hai “duffer kahi ka..huh”

Pari ke ese bolne par fir ek baar Mayank apni najar piche ki aur karta hai..kyunki uski paridhi bhi use hamesa aise hi toh bulaya karti thi..iss baar pata nahi kyu par Mayank ke chehre par apne aap muskaan aajati hai aur pari yeh dekhkar aur bhi jyada chid jaati hai “huh idiot..stupid..kaha bhaag raha tha itne tej..aur yeh yeh tu baar baar piche kyu dekh raha hai..??”

Pari ka taana sunte hi Mayank vese hi muskurate hue uske pass gaya aur use uthate hue bola “pari..tu yaha kya kar rahi hai, maine tuje mana kiya tha yaha vanha naa ghumna..agar tuje koi dekh leta toh”

Pari ne badi hi masumiyat se kaha “huh..ek toh muje teri itni jyada fikar ho rahi thi..upar se voh tere past vala bhoot vaha par aajaata hai, voh muje kahi dekh naa le toh usse bachte bachate hue tuje dhundne nikali..aur jab mai yaha aayi dekha tujpar toh kisi ka bhoot savaar hai..huh” voh itna sab ek hi saans me bol jaati hai “khud toh kuch bataya nahi ki kaha jaa raha hai..aur ulta jab mai teri pass aayi toh mujpar hi gussa karne laga, jaa muje ni karni tujse baat….hhhhhhuuuuuuuhhhhhhh”

Pari ki yeh harkat dekhkar Mayank ke chehre par fir ek baar apne aap muskaan aajati hai..lekin iss baar kuch alag hua, Mayank toh bas apni pari ke khubsurat chehre me kho jaata hai..ek dum chand sa chehra..gehri nili aankhe..patle hoth aur ankho par halka sa eyeliner, upar se pari ki itni masum vali harkate uski khubsurati par char-chand laga raha thi..aur jab voh gusse se huh bola karti thi toh uski voh pyaari si naak sikud jaati aur uski aankhe choti choti ho jaati, aur pari ki yeh adah Mayank ko hamesa se pasand aati hai, Mayank ko iss tarah se apni aur ghurta dekhe “huh, duffer..ab toh mai sachi me tujse baat nahi karungi” kehte hue voh apna muh fira deti hai

Pari ki iss harkat ko dekhkar Mayank ne pyaar se apne haath ko uske gaal par rakha aur Pari ke chehre ko apni aur karte hue kehta hai “pagal..kya karu mai apni paglu ka”

Pari “kuch bhi nahi..huh”

Mayank “acha ji..itta gussa”

Pari ne kisi choti si baschi ke jese rat laga di “haa bahut bahut bahut bahut..tuna mujse baat hi mat kar..muje nahi karni nahi karni nahi karni..mai abhi bhi tujse gussa hu”

Mayank ne fir apne dono haatho ko Pari ke kaan par rakha aur badi hi masumiyat se usne “sorrrryyyyyy” kaha

Ab bichari pari bhi kya karti, voh bhala Mayank se kab tak naaraz rehti, voh turant hi mayank ke sar par pyaar se marti hai “idiot, tu na sach me, ek dum pagal hai, tune bataya nahi tu kaha gaya tha”

Mayank “mai bas ese hi ghum raha tha”

Pari “acha, toh tu yeh baar baar piche kyu dekh raha tha hmm..??”

Mayank thoda haklate hue “voh maina galti se voh paridhi ke samne chala gaya tha..muje nahi pata ki voh vaha par aayi hogi..aur usne muje dekh liya”

Pari “hmm”
ispar pari ne kuch nahi bola

Mayank “par mai vaha par kyu aaya tha” usne apna sawaal rakha

Pari “muje kya pata..tu thodina muje kuch batata hai, huh”

Mayank “bas pari, kitna huh huh karegi hmm..??”

Pari ne badi hi masumiyat ke saath kaha “jab tak tu muje sab kuch nahi bata deta”

Mayank fir gehri saans lete hue sab bata deta hai, jise sunne ke baad Pari ne kaha “manthu..voh tera atit hai”

Mayank “haa aur mera bhavishyo tum ho”
aur voh sochne lagta hai ki voh Pipeline ke pass kyu gaya tha

Pari ne use chup dekhkar kaha “kya soch raha hai..??”

Mayank “bas yahi soch raha hu ki mai uss pipeline ke pass kyu gaya tha..??”

Pari “nahi manthan…voh actually hum log thoda bahar aagaye the..yeh sochkar ki.” Voh thoda darte hue puchti hai

Mayank ne fir pari ka haath pakadte hue kaha “koi baat nahi pari, tum log dusre section me chale gaye the jaha par mera voh bhoot aaya tha”

Isspar dono hi hasne lagte hai aur chalte hue mayank ne pari se pucha “usne…I mean maine tumhe dekha toh nahi tha na..??”

Pari “nahi, voh use kisika phone aagaya toh voh baat karke vaha se chala gaya”


Pari ki baat sunkar mayank samaj gaya tha ki iss waqt kiska call aaya hoga, voh pari ki aur dekhte hue kehta hai “voh doc avi ka tha” usne apni watch me time dekhte hue kaha

Pari “par manthu, voh toh iss waqt bahar press conference me hai na..??”

Mayank ne apni aankhein band karte hue kaha “press conference khatam hote hi usne muje call karke command center me bulaya tha..particle accleretor ko chalu karne se pehle usne hume iss experiment ke baare me kuch baate batayi thi”

Pari “iska matlab toh yeh hua ki voh dusra vala avi yanha aa chukka hoga..bas voh intezaar kar raha hai sahi mauke ka”

Mayank “we need to move”
kehte hue usne Pari ka haath pakda aur voh daudte hue Pipeline ki aur jaane laga jaha par uske dost pehle se hi maujud the

Sam “tum dono yanha..iska matlab” voh samajte hue kehta hai

Mayank “doc avi apni meeting khatam karke pipeline ka final status check karne ke liye yanha aayega, uss raat ko voh khud apne se pipeline ko dekhna chahta tha..aur voh future vala pratiroop use pipeline me hi milta hai”

Siddhi-2 “agar hume waqt ko bachana hai toh hume unn dono se pehle hi pipeline me jaana hoga”

Sam “bilkul..hum aisa hi karenge”

Mayank “agar hum pipeline ke andar iss gate ko open karke jayenge” usne apne haath se ishara kiya “toh avi ko iss baare me maalum ho jayega..aur aisa risk hum iss waqt nahi le sakte..kyunki aaj ki raat ke liye Doc Avi ne sabko strict order diye the..uske alawa aur koi pipeline me nahi jaayega isiliye uske future vale pratiroop ne apne atit vale pratiroop se milne ke liye pipeline ko chuna tha”

Siddhi-2 “voh avi agar sidhe pipeline me aasakta hai toh hum bhi sidhe vaha jaa sakte the..fir uss jungle me aane ki kya jarurat thi”

Pari “haa manthan, hamara time bhi bach jaata aur hume kisi ke samne aane ka khatra bhi nahi uthana padta”


Mayank “time-line ke bikhar ne ki vajah se kuch bhi ho sakta tha..ho sakta tha shayad hum uss blast ke baad yaha aate..ho sakta tha ki hume pata chale uske pehle hi time-wraiths hume astitva se hi mita dete, mai koi risk nahi lena chahta tha..isiliye maine uss jungle me jaana sachi samja”

Siddhi-2 “acha thik hai thik hai, fir kya socha hai tune..?? hum andar kese jayenge..??”

Mayank iss vishway par soch toh raha tha ki voh pipeline ke andar bina pakde kese jaaye, lekin use koi clue nahi mila, toh usne apna sawal GIDEON se pucha “Gideon, hum pipeline ke andar kese jaaye..??”

Gideon ne jawab diya “sir yeh toh bahut hi aasaan hai..aap usme jaane ke liye mera use kar sakte ho”

Mayank “lekin avi ko iss baare me pata nahi chalega..??”


Gideon “nahi sir..aap shayad bhul gaye hai..apne MASTER CONTROL pehle se hi activate karke rakha hua hai..mai voh sab sambhal lunga aap bas muje bataiye kitne baje jaana hai”

Mayank “agar aisi baat hai toh muje abhi uss pipeline ke andar jaana hai”


Mayank ka command milte hi Gideon ne apna kaam shuru kar diya, Kuch der ke baad iss area (Pipeline ke bahar) me Gideon ke jesi hi ek aawaaz me announcement hua “everyone please evacuate this area, we are getting ready for the accelerator (kripiya iss kshetra ko khaali kare, hum accelartor ke liye taiyaar ho rahe hai)”

Announcement ke baad vaha maujd har ek special guest uss area se jaane lage, tabhi mayank ki watch vibrate hoti hai jisse Mayank samaj jaata hai ki yeh kaam Gideon ka hai, Gideon ka yeh ishara milte hi Mayank apne dosto ko lekar uss gate ke samne aagaya, aur unke pahuchne ke turant baad hi voh gate apne aap khul jaata hai

Jab yeh charo pichli baar iss jagah par aaye toh yeh puri tarah se andhkaar me dubi hui thi..pipeline me sab kuch tutkar tehas nehas pada tha..lekin aaj iss jagah par ek alag hi maahol tha..pipeline ki yeh adhbut ronauk ko dekhkar ek baar toh unn sabhi ki aankhe ek pal ke pipeline ki iss anokhi roshni ko niharne lagti hai

Siddhi-2 aur Paridhi iss jagah ki khubsurati ko dekhkar khush ho gaye the, aur vahi mayank apni Pari ke chehre par aayi khushi ko dekhkar khush tha

Sam “so tuje kya lagta hai..avi yaha par kab aayega..??”

Tabhi Gideon apne aap hi khud ko ek hologram image me project karte hue kehta hai “maine Doc Avi ke records check kiye hai, uss raat ko pipeline me aane se thik 15 minute pehle yeh announcement ki gayi thi..toh maine bas iska wait kiya..aur sabke jaate hi maine yeh gate open kar diya”

Sam “iska matlab hai ki hamare pass 15 minute hai, avi ke aane se pehle hi hume uss dusre avi ko rokna hoga”

Mayank “common avi, kaha hai tu”
usne apne charo aur dekhte hue kaha, lekin mayank ko voh dusra vala avi kahi najar nahi aaya

Karib 5 minute ke baad pari ko voh avi dikh jaata hai, jo future se aaya tha..voh mayank ki aur dekhte hue ishara kiya “voh raha avi” unse kuch duri par apni car yaani ki uss time machine se Avi bahar nikal raha tha

Gaadi se baahar nikalte hi uski najar samne khade kuch logo par padi..jab usne gaur se dekha toh use Mayank (Manthan) aur paridhi dikhe..aur unn dono ko jinda dekhkar voh puri tarah se chaunk jaata hai

Avi ko dekhkar Mayank uski aur jaane lagta hai ki tabhi thik unn sabke piche se ek time-traith bahut teji se mayank ke pass aaya aur use piche se hi uthate hue hawa me lehrane laga

Achanak hi piche se hue iss hamle ke karan Mayank uss time-wraith ke haath me fadfadane laga aur khud ko chudane ki naakam koshishe karne laga, Mayank ko ese dekhkar Sam turant apni laser gun nikalta hai aur uss time-wraith ki aur kar deta hai..isse pehle Sam gun ka trigger daba pata, uske haath me rahi banduk dheere dheere karte hue gayab ho jaati hai….aisa hote dekh sam samaj jaata hai ki yeh kisne kiya

Voh fauran apne piche mudta hai lekin uske liye bahut der ho chuki thi..voh achanak se hi hawa me lehrane laga aur hawa me udte hue sidhe pipeline ki deewar par jaa takarkar vahi pe gir gaya
Yaha pipeline me do tarfi hamla dekhkar Pari aur Siddhi-2 kuch samaj nahi paate voh dono hi hawa me lehrane lage aur fir teji se ekdusre se jaa takraye..ab haal aisa tha ki Pari aur Siddhi dono hi apne apne sar par haath rakhe apne pait ke bal jameen par gire the

Voh time wraith ne Mayank ko garden se pakda hua tha, ki tabhi uske samne ek aur time-wraith aajata hai, jo sidhe Mayank ke chehre ke samne aaya aur uske chehre ko apne ek haath se pakad liya..ab mayank ko dono time-wraith ne hawa me hi gher rakha tha, fir dheere dheere karte hue voh samne vaala time-wraith Mayank ke chehre ke najdik jaane lagta hai

Pichli baar jab Dexter ko mayank ne dekha tha tab voh halke nile par safed roshni me kaid tha..lekin iss baar voh roshni safed se kaali ho gayi thi aur uske sharir ke aaspass laal rang ki halki halki bijliya chamak rahi thi
Zorian dwara jor se fainke jaane par Sam ko halki si chot aayi thi..lekin voh apni chot ki parwah kiye bina khada hota hai aur apni jeb se ek device nikalta hai aur uss device ko fir ek laser gun me convert kar voh uss Zorian ki aur kar deta hai..jo usse kuch duri par Paridhi aur Siddhi-2 ke pass khada tha

Sam lasser gun ka trigger dabata isse pehle hi voh zorian uski jagah se gayab hokar thik sam ke samne aagaya…uske baad fir vaha se gayab hote hi voh thik sam ke piche aagaya, uske baad fir daaye, fir baaye…voh Zorian itni tej raftar se sam ke irid-gum raha tha ki ab toh Sam ko voh apne charo aur ek saath dikhayi dene laga tha..yeh dekhkar Sam apni aankho par yakeen nahi kar paa raha tha ki jo voh dekh raha hai aisa bhi possible ho sakta hai

Zorian ko aisa karte dekh Sam ek pal ke liye toh apne charo aur dekhne laga, lekin fir turant hi usne apni gun aage ki aur taani aur usne sidhe uss time-wraith ki aur fire kar di…Sam bhale hi uss Zorian ki chapet me tha..lekin uski najar hawa me lehra rahe dono time-wraith aur Mayank par thi jo unn time-wraiths ke haatho me kaid hokar dard ke maare chatpata raha tha

Mayank ne muskil se apne haath ko samne vale time-wraith ki aur uthaya aur tachyons ki energy se time-wraith par blast kiya lekin iss baar uske waar ka koi asar nahi hota
Mayank ke aisa karne par voh time-wraith bhokla jaata hai aur apni pakad Mayank par aur majbut kar deta hai, iss vajah se Mayank ko ab dard jyada hone lagta hai jiss vajah se voh dard me kahrate hue atak atak kar bolta hai “hum tumhare dusham nahi hai..voh log hai” usne zorian ki aur ishara karte hue kaha

Yeh kehne par time-wraith ne toh kuch nahi kiya lekin voh zorian ke hasne ki awaaz uss puri hi pipeline me gunj uthti hai, fir usski parchayi jo sam ke irid-girid ghum rahi thi usne Time-Wraith ko kuch ishara kiya jiske baad voh pichle vaale time-wraith ne mayank ko chod diya aur voh samne vala time-wraith mayank ko joro se jameen par patak deta hai

Joro se girni ki vajah se mayank ke pair me chot aajati hai aur uske sar se khoon nikalne lagta hai, Mayank ke iss tarah se girne par Pari dekh nahi paati aur voh apne dard ki parwah kiye bina hi apne charo pair (do haath-do pair) ke sahare ghasit te hue mayank ke pass aati hai..aur apni bheegi hui palko se apne Mayank ko dekhne lagti hai “tu..theekk….”

Pari iske aage kuch nahi bol paati, achanak se hi uski saansein teji se chalne lagti hai..dheere dheere karte hue uske aankho ki roshni kam hone lag gayi..use mayank ka chehra tak dhundla sa dikhayi dene lagta hai, Aisa hone par pari ne apne haatho ko uthane ka praytana kiya lekin voh aisa nahi kar paa rahi thi..lekin Mayank jo apne sar par haath rakhe hue pari ki aur dekh raha tha use pari ki yeh haalat samaj me aarahi thi..voh yeh jaan gaya tha ki uski pari ke saath kya ho raha hai

Pari ke thik piche hawa me lehrate hue Time-Wraith ko dekh mayank yeh samaj gaya tha ki usne Pari ko piche se pakad rakha hai, aur time-wraith ke chune ki vajah se Pari ki umar achanak se badhne lagi hai..pari ka voh sundar sa chehra ekdum se hi murja jaata hai, sharir par ek saath bahut saari juriya aane lag jaati hai

Mayank apne haatho ke sahare khud ko khada karne ki koshish ki lekin voh aisa nahi kar paata, kyunki voh zorian jo sam ke samne tha voh achanak se thik Mayank ke samne aajata hai aur uske pair par vaar karte hue Mayank ko fir gira deta hai

Zorian itne par hi nahi ruka, voh fir ek baar teji se Mayank ke irid girid teji se ghumne lagta hai jisse Mayank uske ghere me kaid hokar apni jaan apni Pari ke saath ho rahi ghatna ko sirf dekhte reh jaata hai
Lekin mayank kaha haar maan ne vala tha, voh jese hi khud se uthkar aage badha ki uske sharir me ek tej bijli ka jatka laga aur firse voh vahi par gir gaya, uss bijli ki vajah se uska sharir ek dum bejaan jesa ho gaya tha..voh ab chahkar bhi kuch nahi kar sakta tha…sivay apni uss manjar ko dekhne ke jo time-wraith Pari ke saath kar raha tha

Mayank ko fir ek baar uss dard ka samna karna padta hai jo voh kahi baar kar chukka tha..aaj fir voh ek baar iss kudrat ki shaktiyo ke samne bebas aur laachar mehsoos kar raha tha..pari ko bachane ke liye voh kuch nahi kar paa raha tha, lekin kehte haina ki waqt aane par waqt hi sabkuch thik karta hai, yaha bhi kuch aisa hi hua…zorians aur time-wraith ka dhyaan jab pari par rehta hai toh piche se sam uss gun se laser ke kayi rounds time-wraith par fire kar deta hai

Lekin voh laser ka blast time-wraith ko chute hi kahi ghum ho jaata hai aur vahi zorian haste hue sam se kehta hai “hahaha, you are next”

Sam gusse se ghurate hue bola “tumhe hamare planet par aane hi nahi dena chahiye tha..mummy papa ko tumhari baat kabhi mann ni hi nahi chahiye thi”

Zorian “murkh jeev, yeh tere maa baap ki vajah se nahi..yeh sab tum duskarma insaano ki vajah se ho raha hai..lekin hum log tumhare sukhra gujar hai..hume jinse dar tha uska tumne naamonishan hi mita diya”

Sam “vaada karta hu mai..jo tumne baaki planets ke saath kiya voh mai hamari dharti ke saath nahi hone dunga”


Zorian “bache, kuch nahi kar sakte tum, tumahara planet ek fourth level planet hai..sare dimension me sabse bekar hai, yaha tak ki tumse kamjor pure 10 dimensions me koi nahi hai..aur tum lagta hai tum log hume rokoge”

Mayank ne apni mutthi banate hue kaha “hum tumhe jarur rokenge, yahi tumhari galat femi hai..we are humans” kehte hue usne apni puri taqaat ke saath apne dono haatho ko uss time-wraith ki aur kiya

mayank ke haath se ek anokhi energy wave nikalti hai jo sidhe Zorian ke iss ghere ko paar kar uss-time-wraith se jaa takrayi jisse hua yeh ki uss time-wraith ki pakad Pari se chut gayi aur voh piche ki aur jaa gira

Tabhi achanak se hi voh zorian niche juk gaya aur uska sharir dheere dheere karte hue akadne laga..Mayank aur sam yeh najara dekhkar kaafi hairan the ki achanak se us pipeline me ek dard bhari awaaz gunj uthti hai

To be continued…
Update 39
Ye kya bc ye zorian aur time wraith ki jugal bandi kaha se ho gyi... Aur ye zorian time travel krke q aya.. ye to unke niyamo k khilaaf h... Shayad inki b g*nd fatt gyi h... Inko b pata chal gya h mayank yaha wapas q aya h... Lekin har baar pari k L q lgate ho dost...?? Aur ye chutiya dr Avi khade khade choko q le rha h... ?? Bhutani ka tamasha dekh rha h... ??
 
  • Love
Reactions: Milan2010
182
244
43
Update : 40 (Alwida)

mayank ke haath se ek anokhi energy wave nikalti hai jo sidhe Zorian ke iss ghere ko paar kar uss-time-wraith se jaa takrayi jisse hua yeh ki uss time-wraith ki pakad Pari se chut gayi aur voh piche ki aur jaa gira


Tabhi achanak se hi voh zorian niche juk gaya aur uska sharir dheere dheere karte hue akadne laga..Mayank aur sam yeh najara dekhkar kaafi hairan the ki achanak se us pipeline me ek dard bhari awaaz gunj uthti hai

Ab aage…

Achanak se Pipeline me dard bhari awaaz gunjti hai jise sunte hi Sam ka dhyaan Zorian se hat jaata hai aur voh uss aur dekhne laga, lekin aankho ke samne uss manjar ko dekh sam turant hi uss aur bhagne lagt hai..vahi dusri aur Mayank ko naa toh zorian parwaah thi aur naahi uss dardnaak awaaz ki fikar..voh toh bas ek tak bina apni palke japkaye hue Pari ko dekhe jaa raha tha

Mayank ke attack se Time-wraith ki pakkad pari se chut gayi thi aur voh pari se dur jaa gira..time wraith ke hatte hi pari vahi apni jagah par piche ki aur gir padi, pehle time-wraith aur fir baad me zorian ke dwara waar kiye jaane par mayank ko kaafi chot aayi thi, sharir me dard itna jyada ho raha tha ki voh uth nahi paa raha tha..lekin apni chot ki parwah kiye bina voh ghutne ke share ghasit te hue pari ke pass aa pahuchta hai aur fir pari ke chehre ko apne haatho me le vahi par baith gaya aur pari ko dekhne laga jo iss waqt behosh awastha me thi

Dheere dheere karte hue pari ka chehre firse pehle jesa hone laga, chehre par aayi hui juriya dheere dheere karte hue gayab hone lagi aur pari ka voh pyaara sa chehra pehle jesa hota dekh mayank ki aankho se apne aap hi aansu nikal aate hai aur unn aansuo ki ek bund pari ke chehre par jaa giri

Mayank apni aankhe band karke khud ko sambhalne ki koshish kar raha tha, use naa toh apne aansu ko chinta thi aur naa hi apne chot ki..use toh bas uss dard ki parwaah thi jo Pari ko bina wajah mili thi, lekin mayank ke aansu ki uss boond ki vajah se pari hosh me aajati hai aur apne aankhe kholte hi uski aankho ke samne Mayank ka chehra samne aajaata hai…ek pal ke liye toh pari uske chehre ko dekhti rahi, par fir jab dusri baar mayank ke gaal se hote hue aansu ki ek aur boond apne chehre par mehsus hote hi pari ne apne haath ko pyaar se mayank ke chehre par rakha aur uski aankho se aansu saaf karte hue boli “manthu..chup ho jaa”

Pari ki awaaz sunkar mayank ne apni aankhe kholi, aur pari ko hosh me aaya dekh voh turant hi use apne banho me bhar leta hai, usse jitna ho sakta tha utni majbooti se usne pari ko apne banho me liya tha..mayank ke aisa karne par Pari bhi ek pal ke liye uske baanho me pighal jaati hai

Vahi dusri aur Avi ka sharir me kuch badlaav aane lagte hai, lekin uspar dhyaan naa dete hue voh apni najre samne karta hai aur apne chehre par muskaan liye hue ektak voh Pari aur Mayank ko dekhta raha aur dekhte hi dekhte uska pura sharir gayab ho jaata hai

Thik issi waqt Sam vaha par daudte hue aata hai, lekin voh Avi par dhyaan naa dete hue uske samne leti hui Siddhi ke pass baith te hue uske sharir ko dekhne laga..jo iss waqt usi ke khoon me puri tarah se lipta hua tha..siddhi ke sharir se ek saath kahi jagah se khoon beh raha tha..isiliye voh yeh tay nahi kar paa raha tha ki voh Siddhi ki madad kese kare, dard ke mare Siddhi ka pura sharir thirak ne laga tha..aur siddhi ki yeh haalat dekhkar Sam samaj nahi paaya ki voh kese siddhi ki madad kare, vahi dusri aur Avi ke iss tarah se gayab hone ki ek alag hi gutthi thi jise voh samaj nahi paa raha tha
Voh mayank ki aur dekhte hue chillata hai “mayank”

Sam ki awaaz sunkar mayank aur pari dono hi uss taraf dekhte hai, siddhi ke sharir se behta hua khoon kaafi aage badh aaya tha, aur usi khoon me Sam baithe hue madad ke liye pukaar raha tha

Pari ne mayank ko sahara dete hue khada kiya aur chalte hue voh dono siddhi ke pass aate hai..aur mayank vahi par baithte hue pucha “kyu..?? kyu siddhi”

Mayank ke awaaz jab siddhi ke kaano me padi toh usne dheere se apni aankhe kholi aur atak atak kar “tere liye” dard bhari awaaz me kaha

Mayank “par kyu..??” usne siddhi ke chehre ko apne haatho me lekar apni godi me rakha

Siddhi badi muskil se apne haath se mayank ke haath ko pakad kar vese hi atak atak kar kaha “kkk…kkyaa ff..ff.arrr..aaaraaaakkk pp…papapp…padta hai” uske chehre par ek muskaan thi

Mayank “tuje iss tarah se apni jaan dene ka koi haq nahi tha”

Siddhi vese hi atak te hue baat karti hai “agar mai iss tarah se apni jaan teri baanhon me de du toh muje koi gham nahi hai..muje marna manjoor hai” Usne mayank ke haath par apni pakad majboot karte hue kaha

Mayank kuch samaj nahi raha tha “kya matlab..??”

Mayank toh nahi lekin pari yeh samaj gayi ki siddhi kya kehna chahti hai, voh bhi siddhi ke pass baithte hue “tu aaj bhi manthan se pyaar karti haina..??” apni bheegi hui aankho se dekhte hue kaha

Yeh sunkar siddhi muskurane lagti hai par mayank thoda chaunk jaata hai..voh kabhi siddhi ke chehre ko dekhta toh kabhi Pari ke chehre ki aur dekhta “pari..yeh tu kya keh rahi hai” fir usne siddhi ki aur dekhte hue kaha “yeh juth hai..haina”

Lekin iss par naa toh siddhi kuch boli aur naahi paridhi, voh bas ekdusre ko dekhti rahi..jisse dekh mayank samaj jaata hai ki siddhi kya kehna chahti thi, aur pata nahi kyu par uska dil bhi iss baat ki gawahi de raha tha ki Siddhi aaj bhi usse pyaar karti hai “kyu kiya aisa”

Siddhi “hum aisi jung lad rahe hai jisme kurbaaniya toh deni hi hogi, tune bahut kuch khoya hai..lekin ab aur nahi, tuje pari ke saath rehna hai aur issi ladayi ko bhi jeetna hai”


Mayank rote hue kehta hai “I am sorry siddhi..maine tuje” voh isske aage kuch nahi bol paaya

Siddhi ne apne haath ko mayank ke hoth par rakhkar use chup karte hue kaha “mai apne akhri waqt me voh baate yaad nahi karna chahti” use ab saans lene me bhi takleef hone lagi thi, voh atak atak kar kehti hai “Iiiii…….lllllloooo…….oooooo…vvvvvvveeeeee…..eeeeee…..yyyyy….yyyyyy..oooooooooouuuuuuuuuuu” kehte hu voh apni aankhe band kar leti hai, palke band hote hi aansu ki aakhri bund uski aankh se nikalte hue gaalo se hote hue mayank ke hath par jaa giri, aur usi aansu ki bund ke saath hi siddhi ne mayank ke haatho me hi apni jaan de di

Kuch der Pehle
Jab dono time-wraiths hawa me Mayank ko saath liye hue lehra rahe the uss waqt Pari aur Siddhi jameen par giri hui thi, dusri taraf Zorian aur Sam ke bich ho rahi ghatividhaya inn dono ke hi samaj se pare thi, lekin inke alawa vaha par koi aur bhi tha..aur voh tha doctor Avi, jo abhi abhi apne time machine se bahar aaya tha..apne time-travel karne par use aisa kuch dekhne ki ummid bilkul bhi nahi thi..mayank aur pari ko dekhkar ek pal ke liye avi ki aankhe nam ho jaati hai..lekin iss tarah ke dohre hamle ko voh bhi samaj nahi paa raha tha..time-wraith aur zorian ke dwara kiye jaa rahe hamle ko dekhkar voh chaunk jaata hai

Jab uss time-wraith ne mayank ko niche patka tab pari yeh dekh nahi paayi aur uthkar daudte hue Mayank ke pass chali gayi..lekin siddhi ke dimaag me toh kuch aur hi chal raha tha, voh khud ko sambhalkar turant hi doc Avi ke pass pahuch jaati hai aur siddhi ko apne pass aaya dekh avi puchta hai “who are you..?? yeh..yeh sab kya ho raha hai”

Siddhi “maine socha tha ki tum samajdaar ho..shayad yeh sab dekhkar samaj gaye honge ki yaha par kya ho raha hai”
usne thode kataksh bhare swar me kaha “anyways..mai bhi kisske samne apna sar patak rahi hu..iss waqt yanha jo kuch bhi ho raha hai voh sab tumhari hi vajah se hua hai”

Siddhi ki baat me apne liye gussa mehsoos kar Doc Avi usko ghurne lagta hai, Avi ek pal ke liye Zorians aur time-wraith ko dekhta toh dusri aur Siddhi ko dekhta, voh asamaj bhare bhaav ke saath kehta hai “meri vajah se..kya matlab..??”

Siddhi “common itne bhi nasamaj nahi ho tum”
ne halka gussa karte hue kaha “manthan ne jitni tareef ki thi..tum utne intelligent naa ho, muje toh ab shaq ho raha hai ki yeh particle accelerator tumne hi banaya hai yaa fir kisi aur ne”

Siddhi ki yeh baat sunkar avi ko halka gussa aata hai “ladki..shayad tum jaanti nahi ho ki iss project ko successful banana ke liye maine apni puri zindagi bita di”

Siddhi ne uski baat ko pura karte hue kaha “mai sab jaanti hu, uss raat bahut se logo ki jaan gayi hai, tumne apni patni ko apni aankho ke samne marte hue dekha hai..tumhara favorite student Manthan aur Paridhi uss dhamake me maare gaye..you know what Manthan tumhe apna idol maanta hai”

Siddhi ki baat sunte hi avi ke aankhe ke samne voh saare pal fir aajate hai, voh kehta hai “tum itna sab kese jaanti ho..?? particle accelerator ko chalu hone me abhi bahut der hai..fir tum yeh sab kese jaanti ho..??”

Siddhi iss par kuch nahi bolti, Avi apne mann me sochta hai “iss ladki ne yeh kaha ki yanha jo kuch bhi ho raha hai voh sab meri hi vajah se ho raha hai, iska kya matlab” usne apne samne zorian aur time-wraith ko dekha, jo manthan(mayank) aur pari par vaar kar rahe the “yeh dono..yeh yanha par kya kar rahe, uss raat toh yanha koi nahi aaya tha” unn dono ko dekhkar Avi ke mann me yeh baat aati hai “tumne kaha yeh sab meri vajah se hua hai, tum janti ho ki accelerator ke chalu hone ke baad kya hua, aur yeh tab hi possible ho sakta hai ki tum future se aayi ho”


Siddhi “haa..haa hum sab future se aaye hai”

Avi “par yeh kese possible ho sakta hai”

Siddhi “kyu nahi ho sakta..??”


Avi “manthan aur paridhi jinda kese ho sakte hai, maine unhe dhundhe ne ki koshish kari thi..voh dono hi uss dhamake me maare gaye the” aakhri line bhari gale se kehta hai

Siddhi “uss raat ko jo dhamaka hua tha…tab Pari uss dhamake ke thik samne thi..voh dhamaka itna khatarnak tha ki usne pari ke astitva ko hi nigal liya..isliye use koi dhund nahi paaya, aur rahi baat manthan ki toh voh khud point of origin tha..iski vajah se voh dusri dimension me chala gaya..aur yeh jo pari aap dekh rahe hai voh bhi usi dimension se aayi hai”

Avi “tum ho kaun..??”


Siddhi “mai manthan ki dost Siddhi hu”

Avi “no way..mutliverse ki kahani sach nahi ho sakti”


Siddhi “yakeen karna muskil hai, haina..lekin yahi sach hai”

Pehle toh Avi ko yeh baat manne me hi nahi aa rahi thi, lekin apne samne ho rahi ladayi ko dekh ko voh thukra nahi paa raha tha, voh uss time-wraith ki aur dekhte hue kehta hai “voh shayad time-wriath hai jo paridhi ke pass maujud hai..lekin yeh jeev kaun hai, jisse voh ladka lad raha hai”

Siddhi “voh dono hi 31st century se aaye hai, exactly year 3146..aur voh jeev UNIVERSAL DOMINATORS hai”
usne zorian ki aur dekhte hue kaha
“they are the most powerful being in all of the 10 Dimensions..voh hamari earth ko tabah karna chahte hai, aapke iss time-travel se aapko koi fayda nahi hoga..aapko apni wife Disha vapas nahi milegi, infact aapki iss naadani ki vajah se hamari time-line tut gayi hai..time line ke tutne ka asar pure multiverse par pada hai..hum janha se aaye hai vaha par multiverse apne ant hone ki kagar par aa pahucha hai..already angina pruthvi tabah ho chuki hai..aur ho rahi hai”

Avi ko toh jese saanp sung gaya ho, voh bina kuch bole ek tak siddhi ko hi dekhta rehta hai, voh ab samaj gaya tha ki aakhir me yeh manjra kya hai, voh kehta hai “yaani tum log mere uss pratiroop se mil chuke ho jo time-line ko change kar chukka hai”

Siddhi “ha bilkul, aur yeh tumhari hi advise hai ki hum log tumhe history badalne se roke..agar tum particle accelerator ko hone dete ho toh hum multiverse ke saath saath hamari time-line ko bhi hum bacha sakte hai..aur shayad hum inse bhi bach sakte hai”
usne zorian ki aur ishara karte hue kaha

Avi “fir toh manthan yeh baat ache se janta hoga ki time-wraiths aur voh alien tumhe rokne ki koshish jarur karenge”


Siddhi “haa manthan ne bataya hi tha..aur vahi hua, par mai ab tumhe rokungi..tum history change nahi kar sakte”

Avi “mai samaj gaya, mai history ko nahi badlunga” tabhi avi ke piche se achanak hi voh dusra vala time-wraith aaya aur Avi ke sharir se aarpaar hote hue sidhe siddhi se jaa takraya..aur thik vahi par ek dhamaka hua jisse siddhi hawa me uchalte hue thodi piche jaa giri
Uss dhamake ki vajah se Siddhi ko bahut Jayda chot aayi thi..sharir ke lagbhag sabhi jagah se khoon paani ki tarah beh raha tha..aur vahi jo time-wraith siddhi se takraya tha voh iss dhamake me gayab ho gaya

Sam ne jab yeh haalat mayank aur paridhi ko dikhaye thik usi waqt Avi ke sharir me badlaav aana chalu ho gaya..uska sharir dheere dheere karte hue dhundla padna shuru ho chukka tha

Back to Present
Siddhi ne apni jaan apne pyaar ke baanho me de di thi, Mayank bhale hi usse nafrat karta tha..lakin kabhi Siddhi ke liye uske dil me pyaar tha, aaj ussi pyaar ke ehsaas ki vajah se Mayank ki aatma tak rone lagi thi..voh chahe siddhi se kitni hi nafrat kar leta..lekin Siddhi uska pehla pyaar thi, issi vajah se voh siddhi ki maut ko seh nahi paaya aur uske bejaan se pade sharir ko apne gale lagaye hue rone laga “siddhi why..why, kyu kiya tune aisa” fir thoda rukkar “I promise, mai teri maut ka badla lekar rahunga”

Mayank ko iss tarah rote dekh Pari ki aankhein bhi ekpal ke liye nam ho gayi thi, yeh siddhi bhale hi uske earth se naa thi..lekin uski shakal uski dost se milti thi..aur mayank ke vapas uske life me aane ki madad bhi isi Siddhi ne kari thi
Siddhi ka pura sharir uske khoon se lipta hua tha..uski pida ka andaaza paani ke jese beh rahe khoon se lagaya jaa sakta tha ki use kitni dardnak maut mili hai..itne dard ke bawjood bhi uske chehre par ek anokhi hi chamak thi..hotho par ek pyaari si muksaan thi..aur ho bhi kyu na..marne se pehle usne apne dil ki baat Mayank se keh di thi..aur apne aakhri pal usne apne pyaar ke baanho me bitaye the

Lekin shayad yeh waqt inn sab ke liye nahi tha, Sam ne haalat ko samjate hue kaha “manthan, I think we need to leave, agar voh dusra Avi aagaya toh gadbad ho jayegi”

Paridhi ne sam ki baat ko sunkar Mayank ki aur dekha, “lekin manthu ko iss haalat me yanha se kese le jayenge..??” uski awaaz me mayank ke liye dard saaf sunayi de raha tha

Sam “I don’t know, but we have to move..hum jitni der yaha rukenge time line utni jyada bikhar ti jayegi, aur yeh bhi ho sakta hai ki hamari mehnat aur siddhi ke balidaan par paani fir jaaye”

Iske baad sam aur paridhi milkar Mayank ko uthate hai, aur mayank ruansi awaaz me dard me kahrate hue bola “siddhi ko hum yaha nahi chod sakte”

Mayank ki baat sunkar voh dono hi ruk jaate hai aur ek baar Siddhi par najar daalte hai, pari ne sam se kaha “tum siddhi ko le lo, mai Manthan ko sambhal lungi”

Sam “are you sure Pari..??”


Pari sirf haa mein apna sar hilati hai lekin boli kuch nahi, aur fir sam mayank ko paridhi ke hawale kar Siddhi ke sharir ko uthata hai ki tabhi unn logo ko ek awaaz sunayi deti hai “who the hell are you” lekin fir jab uski najar Mayank aur Paridhi par gayi toh voh bola “yeh sab kese hua..?? aur tum dono yanha kya kar rahe ho..??”

To be continued……
Update 40
Superb update, siddhi k balidan ko achche se samjhaya aap ne lekin ye kya lagta h past wala Dr Avi aa gya h samne... Bhai story continue kro bahut din se update nhi aa rhe h ispe... Ab main aa gya hu padhne updates to chhapo jaldi jaldi???
 
  • Love
Reactions: Milan2010
Top