Note : Yeh kahani padhne se pehle iss story ka pehla part padhna jaruri hai, varna iss kahani me hone vali ghatna samaj me nahi aayegi
first part ka link iss story ke first post par uplabdh hai
Update : 1 (Beginning of the End)
“WAQT”…yeh ek aisa shabd hai jisse hum sabhi ki zindagiya aapas me judi hui hai, aur iss waqt ke kayi saare naam hai...jaise ki waqt, time, samay adi-adi, lekin kya hum time ko aajtak kabhi samaj paaye hai..?? mere khayal se toh hum waqt ke baare me bas itna hi jante hai jitna hamari kalayi me rahi ghadi..ya fir deewar par lagi hui ghadi me dikhta hai
Par kya sach me waqt ka matlab sirf ek ghadi hota hai..?? shayad haa, aajkal hum ghadi ke suiyo par hi toh chalte hai..yaa yu kahu ke ghadi ki sui ke hisab se hum daudte hai
Lekin shayad daudna hi sabkuch nahi hota..isiliye yahi shabd hamari zindagi ka ek jaruri aur mahatvapurn hissa bana hua hai, aur hamari jindagi me jitna jaruri yeh samay hai..usse kayu gunah jyada hamare ek bada sawaal bhi hai…aakhir me
WAQT inta jyada important kyu hai..??
Waqt ya Time..yeh aise shabd hai jo hum din me anginat baar sunte hai, lekin waqt ka sahi matlab aajtak koi bhi nahi samaj paaya..lekin yeh sab jante hai ki hamari duniya issi waqt par tiki hui hai, agar yeh waqt naa hota toh..shayad aaj hum bhi naa hote, kyunki hum insaan yaa fir yeh kahu ki iss pure brahmand me jitni bhi cheeze hai voh sab kahi na kahi isi waqt se judi hui hai
Waqt aisi chiz hai jise hum dekh nahi sakte, na toh hum use chu sakte aur naa hi use paa sakte hai..lekin fir bhi waqt hamari life me itna jyada important kyu hai..?? kya kabhi yeh socha hai ki agar yeh waqt hamari muthi me aajaye toh hum kya kuch nahi kar sakte..??
Yeh sach hai ki waqt se jyada taqatwar shayad hi koi aur chiz ho..par fir bhi hum jese mamuli se insaan bramhand ki sabse taqatwar aur ekloti chiz..yaani waqt ke saath ched-chad karna chahte hai, hum chahte hai ki kudrat ki voh Shakti hamare vash me aajaaye jispar yeh pura universe tika hua hai
lekin yeh kehna galat nahi hoga ki waqt par kaabu paana toh bahut hi badi baat ho gayi, kyunki hum waqt ko mehsus tak nahi kar sakte..bas yeh ehsas jarur rehta hai ki har pal waqt badhte hi jaata hai..aur waqt ko rokna hamare bas ke baahar hai, waqt naa toh rukna janta hai..aur naa hi mudna janta hai, voh toh bas aage badhna janta hai..aur waqt ko rokne ke liye mai yaa aap kuch nahi kar sakte
Jab bhi hamare kaano me waqt ya time shabd sunayi deta hai toh sabse pehle hamari najar sidhe ghadi(watch) par jaati hai, sadiya beet chuki hai..lekin hum naa toh waqt ko kabhi jaan paaye the aur shayad hi hum kabhi waqt ko jaan paayenge
Agar hum ghadi ki aur dekhe toh yeh ehsas hota hai ki waqt aage badh raha hai, jese ki seconds, minutes, hours..aur 24 hour yaani 1 din..1 hafta, 1 mahina, 1 saal aur aage badhte hi rehta hai..laakho crore saal beet chuke hai..lekin aaj bhi waqt shabd sunkar hamare jehen sirf ghadi ki parchayi samne aati hai
hum yeh jaante hue bhi anjaan ban rahe hai ki waqt me ek esi taqat hai jo dikhayi toh nahi deti..lekin hamesa apna rang dikhati hai, ek waqt hi hai jo hamare jakhmo ko bharta hai..ek waqt hi hai jo hamari kadvi yaado ko bhulakar achchi aur meethi yaade banata hai..aur sirf itna hi nahi..badhte waqt ke saath hum bahut kuch sikhte bhi hai, par ek yeh baat bhi sach hai ki kahi baar waqt hume ese jakham de jaata hai jo hum zindagi bhar nahi bhul paate
Iss pure brahmand me humari ek choti si duniya hai, aur isi duniya ka ek behad hi chota sa shabd hai
“WAQT”, par yeh shabd jitna chota hai, uske piche ka raaz utna hi jyada gehra hai
waqt ke gujarne par kahi nayi chize aati hai, kahi chize piche chut jaati hai, aur kaafi kuch badal bhi jaata hai..par ek chiz hai jo kabhi nahi badalti..haa sahi samje..chahe kuch bhi ho jaaye waqt kisi ke liye nahi rukta..aur naahi kabhi piche mudkar dekhta hai..Shayad isiliye kaha jaata hai ki ek baar jo beet gaya voh beet gaya, kyunki waqt dubara mudkar kabhi vaapas nahi aata
itna sab jaante hue bhi hamare dimag me kuch sawal akshar ghumte rehte hai..jaise ki agar kisine waqt ke saath chechad ki toh uska anjaam kya hoga..?? Kabhi socha hai ki waqt hamesa aage hi kyu badhta hai..?? kyu hum apni yaadon ko waqt ke saath bhul jaate hai, kyu waqt ko hum kabhi samaj hi nahi paate..?? aakhir esi toh kya chiz hai jo waqt ko itna taqatwar banati hai..??
Waqt ek aisa paid hai jo sirf badhna janta hai..voh ek esi nadi hai jo hamesa aage ki taraf bahti rehti hai, par sach toh yeh hai ki aaj tak insaan waqt ko nahi pechaan paaya..waqt ki asli tasweer kya hai voh soch bhi naa saka, ek baat yeh bhi jante hai ki agar kabhi waqt ruk gaya toh uske saath hamara astitva bhi khatam ho jayega
Chahe kitni hi saal kyu naa beet jaaye, par ek chiz hai jo kabhi nahi badalti..aakhir me yeh WAQT hai kya..?? Yug badal jaate hai..par waqt apni taqaat hamesa dikhata hai..hamesa apne itihaas ko dohra kar yeh dikhata hai ki hum waqt ki taqat ke aage laachar aur bebaas hai
Location : MediTown
Time : year 3146, Third Blitz Period
uss hadse ko bitte hue aaj karib 1100 saal ho chuke hai, uss hadse ne hum sab ki zindagiyo ko badal kar rakh diya tha..ek aisa waqt aaya tha jab hamari yeh pruthvi maut ke kagar par khadi thi, yaa yu kahu ki hamari pruthvi tabah ho chuki thi aur aaj fir ek baar vohi waqt wapas laut kar aaya hai, vohi barbadi hamare ghar par mandla rahi hai jo 1100 saal pehle hui thi..par sabse bada sawal toh yeh hai ki kya iss baar vakahi me yeh hamara ANT hai..?? kya hum iss ladayi ko kabhi jeet payenge..??
aaj bhi muje unn dardnak cheekho ki awaaz mere kaano me sunayi deti hai, voh bhayank raat muje aaj bhi apni aankho ke samne dikhayi deti hai, aur uss tabahi ko dekhte hi mere mann me bas ek hi baat aati hai, KYA YEH HAMARA ANT HAI..!!!
Ek 25 saal ka ladka apne bed par laite hue soch raha tha..aur jo tasweere uske dimag me ghum rahi thi voh sidhe room ki chhat par project ho rahi thi..voh tasweere thi unn hadso ki jo 1100 saal pehle ghati thi..har tasweer pruthvi ki barbadi ko darsha rahi thi, jaha najar dale vaha sirf rakh aur malba pada hua tha..najara dekh kar saaf lag raha tha ki kuch bahut hi bura hua hai..logo ke marne aur karhane ki cheekhe charo aur se gunj rahi thi..vahi agar asmaan me najar dale toh vaha bhi fighter planes ki awaaz aur unke bich me ho rahe jung ka shor gunj raha tha
Sirf asmaan hi nahi..niche zameen par kuch log haath me laser gun liye behrahmi se maasum logo ko maar rahe the, aaspass ki buildings ko grenades se uda rahe the..toh kahi par pehle se hi tabah ho chuki buildings ka tuta aur jala hua malba pada tha, dekhte hi dekhte sab kuch jalkar rakh ho chuka tha..jaanha najar pahuche vaha sirf khoon aur laashe dikhayi de rahi thi
Yeh hadsa jo unn tasweer me dikh raha hai voh sirf ek soch nahi hai..balki voh ek sachayi thi, ek esi sachayi jisne iss puri duniya ko hila kar rakh diya tha..lekin iss sachayi se uska dhyaan baar-baar uss hadse par jaa raha tha jo uske saath ghata tha..reh-rehkar voh hi tasweer uske aankho ke samne aa jati thi
Voh ladka apni hi soch me ghum tha ki tabhi uske kaano me ek jaani pehchani awaaz sunayi di, awaaz sunte hi usne gehri saans lete hue apni palko ko ek baar japkaya, aur uthkar apne bed par baith gaya
Apni najar ko room ke darwaja ki tarah karte hue apni ek ungli se ishara kiya toh uske room ka darwaza achanak se gayab ho gaya
Darwaje ke thik uss par ek aurat khadi thi..jiski umar karib 50 saal ke aaspass hogi, voh kehti hai
"son..kitne din beta, ab toh bahar aaja, tuje vapas aaye hue aaj ek hafta beet chuka hai"
Voh ladka "mom, aap please muje akela chod dijiye, muje abhi kisi se nahi milna" aur usne bina kuch sune firse ungle se ishara kiya aur voh darwaja automatically vaha par aagaya aur bahar khadi aurat vahi ke vahi khadi rahi
Voh aurat gehri saans lete hue apne man-me kehti hai
“pata nahi aisa toh kya hua tha, jabse aaya hai voh bas ese hi hai”
Voh ladka firse apne bed pr lait gaya aur apni aankhe band kar li, tabhi use mehsus hua ki voh uss kamre me akela nahi hai, voh vese hi bed par lete hue bola
"please akshita, leave me alone"
Akshita "tu abhi tak uss baat ko lekar baitha hai..??"
Voh ladka apni aankhe kholte hue khada hua, aur uss ladki ke hologram ki aur dekhne laga jo uske bed se kuch hi duri par tha
"kese bhul jau..?? Uss ladki ko mai bacha sakta tha, voh meri aankho ke samne mari thi aksh, mai itna khud garz kese ho sakta hu..usko bacha ne ke liye mai kuch naa kar paaya..yanha tak maine koshish tak naa ki"
Akshita "listen sam..jo hua use bhul jaa..kyunki uss hadse me tere koi galti nahi thi...we will talk about this later..but right now they need us and we need to help them"
Sam chalte hue uss ladki ke hologram ke pass aaya, aur uss ladki ki aankho me dekhne laga,
"I can’t..mai vaha vapis nahi jaana chahta..please aksh" aur usne apna chehra juka diya
Akshita ne apne haath ko sam ke chehre par rakha, aur sam ka face apni aur kiya
"sam, jo hua usme teri koi galti nahi thi..aur tuje khud ko hurt karne ka koi haq nahi banta, mai janti hu tuje iss waqt kesa mehsus ho raha hai, par yaad rakh hum jiss daur se gujar rahe hai, use hum khatam kar sakte hai..saath milkar hum apni earth ko bacha sakte hai"
Sam "nahi aksh, mai kuch nahi kar sakta..tu jaanti hai ki mai vaha vapas kyu nahi jaana chahta"
Akshita iske aage kuch nahi boli, usne sam ko apne seene se laga diya
"thik hai sam, as u wish..but please let me help you, mai tuje iss tarah nahi dekh sakti, i want to meet you"
Sam kuch der ese hi raha
"okay, come to my place"
Aur fir akshita ka hologram band ho gaya, hamare time me mobile phone se long distance se baat hoti thi, par future me mobile phone ki jagah ek choti si device ne le li thi, uss device ki vajah se insaan khud ki ek solid image ko transfer karke face to face baat kar sakta tha
To be continued….