- 828
- 3,784
- 124
Yes...Lagta h Raka poora alien ban gaya ab kia hoga tera Anamika
Naidu or Riya ka plan kia kaam karega yeh dekhne wali baat hogi
Dekhte h aage kia hota h
Zaberdast update bhai
THANK YOU Naik
Keep Supporting...
Yes...Lagta h Raka poora alien ban gaya ab kia hoga tera Anamika
Naidu or Riya ka plan kia kaam karega yeh dekhne wali baat hogi
Dekhte h aage kia hota h
Zaberdast update bhai
WaitingUpdate tonight...
Stay tuned...
Posting...Waiting
Raka to alien banke starcom tabah kar dega .Anamika ka kya hoga? Riya air Naidu Earth me Agaye hain.Aab dev aur riya ki mulakat baki he.waiting for 100th update.Update 99
Previously…
Caretaker : ha ma'am mein sach keh faha hun...meine kabhi aisi aankhe insano me nahi dekhi…
Anamika : jab khud dekhungi tabhi yakin karunge...chalo darwaza khol do…
Caretaker : ma'am woh fir gussa ho jayenge…
Anamika : jitna bola hai utna karo…
Caretaker aage badh kar darwaza unlock karta hai...andar ka nazara dekh kar caretaker toh wahan se bhaag jata hai...aur anamika...anamika toh aankhe fade nazara dekh rahi thi…
Continue…
LOCATION : STARCOMM LABORATORY
pure kamre me gandi wali smell faili hui thi… Jis Bed par RAKA leta hua tha uss jagah Ajeeb sa flesh jama ho gaya tha…Jis ki height room ke celling tak pahunch gayi thi.. Aur uss me se Purple color ki roshni bhi aa rahi thi aur uss roshni me RAKA ki body bhi dikhai de rahi thi jo uss flesh ke andar kaid thi…aur woh flesh ko dekh aisa lag raha tha ki woh sans le rahi hai…
Kamre ka wo hissa uss flesh ne occupy kiya tha… Joh mare hue aliens the woh bhi ussi flesh me ghul rahe the…
aur uske saath hi purple color ki ek magnetic field raka ke upar ban ne ki koshish kar rahi thi…jo thodi der ke liye hi stable ho rahi thi aur baad me fir gayab ho rahi thi… Aur jab woh field ban jati tab woh ek-ek Metallic ki chijen apni taraf khinch rahi thi… aur woh metallic chijen uss bane hue flesh ke andar jate hi pighal rahi thi…
Yeh sab dekh koi bhi dar jata..Anamika wahan khade yeh sab samajhne ki koshish kar rahi thi…
Anamika : Toh Doctor issi ki baat kar rahe the…? Mera Baby Alien ban raha hai…?
Tabhi anamika ke pichhe uss ke guards aa gaye..Andar bana hua najara dekh unhone gun nikal kar RAkA ke upar fire karna shuru kar diya…
Anamika : Yeh kya kar rahe ho…!! Andar Mr. Khatri hai..Unhe kuch nahi hona chahiye... Aur Bina mere permission…Tum sab ko mein baad me dekhti hun…Abb aage jao aur uss Flesh ko hatane ki koshish karo…
Anamika ki baat sun ke kuch guards dheere dheere uss Flesh ki taraf jane lage..Uss flesh ke andar se abhi bhi roshni aa rahi thi aur RAKA ko bhi leta hua dekh sakte the…
Lekin abb woh Magnetic field kafi strong ban gayi thi abb woh pehle se jyada der ke liye stable ho rahi thi..Aur Jo bhi Bullets Uss par fire liye the tab se woh gayab nahi hui thi..MAtlab ab Woh Magnetic field Protective shield ki tarah Raka ke charo taraf ban gayi thi…
Jaise hi guards RAKA ke kareeb pahunche tab uss flesh fail kar unko apne andar khinch liya…pancho log uss flesh ke andar atak gaye aur eventually mar gaye…
Yeh sab dekh sabhi maujud log dar gaye…Sare guards Anamika ki taraf dekhne lage..USs ki order ka intezar karne lage…LEkin yahan khud Anamika ki halat kharab thi…
Ek taraf Apna pyar khone ka darr aur dusri taraf kisi unknown species ke aane ka darr dono ek saath woh feel kar rahi thi..
Anamika ko ab kuch karna hoga...jo hoga woh dekha jayega aise soch kar woh unn guards ko bolti hai…
Anamika : tum sab log uss ajeeb se dikhne wale flesh par fire karoge...mr. khatri ko kuch nahi hona chahiye...understand…??? Mr. Khatri ko kuch nahi hona chahiye…
Guards : yes ma'am…
Anamika : mr. Khari ko chod kar har jagah fire karo...yeh ajeeb sa jeev mr. Khatri ko nigalne se pehle usse maar do…!!
Itna kehte hi 10-12 log uss flesh par hamla karne lage...lagatar goliyan chalne se uss flesh ko apni jagah pakad kar rakhne me pareshani hone lagi...fir uss purple shield ki madad se woh raka ko bachane ki koshish karne lagi...apne sharir se chipkane wala liquid logo par phenk kar woh jeev khud ko bachane ki koshish kar raha tha...aur ussi liquid me anamika bhi fans gayi aur ek deewar ke kone me chipak gayi...deewar se takrane se woh Wahi behosh ho gayi...baki bache guards lagatar fire kar rahe the...lekin tabhi woh hota hai kisi ne socha bhi nahi tha…
Capsule me lete hue 5 aliens ki ankhe khul gayi aur woh capsule ko tod kar bahar aa gaye…
Aliens ko bahar aata dekh saare guards aona focus flesh se hata kar unn aliens ko marne me lag gaye…
Aliens apne charo taraf protective shield banakar seedha aage badh rahe the...bullets toh unhe Chu bhi nahi rahi thi... shield ko paar hi nahi kar la rahi thi…
Woh aliens aage aa kar bache hue guards ko pakad kar unhe maarne lage..koi kisi ka sar dhad se alag kar raha tha toh koi kisi ko beech me se kaat Raha tha..lire kamre me khoon hi khoon pada hua tha..
Sab guards ko maarne ke baad woh aliens guards ki bodies ko utha kar uss flesh me fenkne lage..aur fir raka ke upar jo shield bana tha woh kafi strong aur stable ban gaya...ab uss roshni ke andar ka kuch bhi dikhai nahi de raha tha…
Panchon aliens raka ki charo taraf khade ho kar kisi ka wait karne lage…
Yeh saara nazara anamika chuke se dekh rahi thi...kone me hone ke wajah se unn aliens ki nazar uss par nahi padi thi...waise woh Sara nazara dekh ke waise bhi kuch karne ki halat me nahi thi...isliye behoshi ka natak liye woh sab dekh rahi thi...
LOCATION : CARGO SHIP HANGER
Riya bhaaagte hue naidu ki taraf aati hai…
Naidu : kya hua Riya...itni jor se kaha ja rahi ho…
Riya hampte hue..
Riya : naidu hame abhi chalna hoga…
Naidu : are thodi saans toh le lo...plan toh kal ka hai na...toh phir aaj kyun…
Riya : hamein pehle se distraction mil raha hai..mera matlab Purani LABORATORY me kuch lafda hua hai...mere sensors pichle aadhe ghante se baj rahe hai…
Naidu : sensors ..kehna kya chahti ho tum…?
Riya : yahan se nikalne ke liye meine ek program taiyar kiya tha jis se hum security guards ka location pata kar sake aur subah hi maine usse server me daal Diya tha...aur abhi maine dekha ki uss laboratory me 30-40 guards ekdam se gaye hue hai...jarur kuch bada kaand hua hoga …
Naidu : toh tumne security cams check kiya hoga…
Riya : woh nahi kar saki...laboratory ke bahar tak hi cameras lage hue hai...andar ka kuch dikhai nahi de raha...aur sabhi guards andar toh gaye hai lekin koi bhi bahar nahi aaya abhi tak…
Naidu : ek min..old LABORATORY…?
Riya : Haan...kyun..?tumhe kuch pata hai kya ..?
Naidu : Us laboratory me aliens rakhe hue hai...top level ka secret hai..kisi ko bhi uss ke baare me pata nahi hai…
Riya : iss ka matlab…
Naidu : you are right… yahi ki hame yahan se abhi nikalna hoga…
Riya : right… same plan…?
Naidu : SAme…Come on Guys..!!! we are leaving…!!!
Naidu ki announcement hone the baad hangar par kafi bawal mach gaya log apne apne Ship ki taraf jane lage 15 min me hi sab log jane ke liye ready ho gaye…
Naidu : Riya…Ready..??
Riya ek gehri saans lete hue..
Riya : Ready…!!!
Riya ke ready bolte hi ek ke baad ek saari CARGO SHIPs ne apna engine start kita…Deere dheere apne hanger se hote hue woh exit lobby ki taraf jane lagi…
Naidu : Riya…Samne ek checkpoint hai Unhe hum bypass nahi kar sakte…
Riya : Agar woh dekhte hai toh dekh lene do..MEin Servers ko hang kar rahi hun…
Yeh keh kar Riya apne Tablet me kuch karti hai jis se saara STARCOM andhere me chala gaya…
Pancho Ships dheere dheere Exit ki taraf ja rahi thi..Waha par bane checkpoint par koi badi se Flashlight le kar Charo taraf dekh raha tha..Jaise hi uski nazar pancho Ships par padi woh bhagte hue Alarm ki taraf badha lekin power cut hone ki wajah se kuch nahi kar paya…
uske baad woh apne saathion ke saath mil kar unn SHIP par fire karne laga…Ships badi hone ke karan utna damage aasani se seh rahi thi…Tabhi piche se fighter Jets aakar unn Guards ko bhagwan ke paas bhej diya…
Naidu : Don't worry…!!! Aage badhte raho…!!!
Riya : Abhi hamare paas 10 min hai hame jaldi karni hogi…
Naidu : Riya tum bas CARGO ships ko lead karo..Sare obstacles mein sambhal lunga…Ab seedha EARTH par hi milte hai…You Get That..?
Riya : Ok…See you later…mujhe yakin nahi ho raha mein yeh keh rahi hun…but….TAKE CARE..!!
NAidu : You too RIYA…!!!
Aur phir Naidu aage ki taraf chala gaya….10 min pure hone ke baad jab server start hua tab wahan ki securit ko pata chala ki 5 unauthorised CARGO EXit ki taraf ja rahe hai…tab unhone Alert jari kiya aur exits ko band kar diya….
Riya yeh dekh kar pareshan ho gayi..Usne iss baare me socha hi nahi tha..Plan fail hone ke chances badh rahe the…
Tabhi usse Second phase activate karne ka socha aut uss ne saare communication ho terminate kar diya jisse koi bhi kisi ko contact nahi kar saka…
Naidu aage ki situation ko dekh Riya ko kuch suggestion dena chahta tha lekin Communication Terminate hone ke karan kuch bata nahi paya…Apne saath chal rahe 10 Jets ko exit par hamla karne ka order de diya..Aur fir ek ke baad ek saare jets missile chodne lage..aur exit darwaze ko fod kar unn CARGO SHIPs ke liye jagah bana di…
Kula passage milte hi Pancho CARGO STARCOMM se Bahar nikal gayi…
Sare maujud log celebration mana hi rahe the tabhi ek missile aa kar ek cargo SHip ko lag gayi…Jis se unhe pata chala ki dhokha abhi tala nahi tha…Sab log wapas chup ho gaye..Riya Ship ke monitors check kar rahi thi aur situation ko samajhne ki koshish karne lage…
STARCOMM ki security ne bahut se fighters jets unke piche laga diye the…ek ek karke woh starcom ke bahar aa rahe the…
Ab pancho CARGO ships par heavy firing ho rahi thi aur ek ship ki toh halat kafi kharab the…aur kuch der baad hi woh CARGO ship bade se explosion ke saath fatt jata hai…Ab bache 4 CARGO ship ne apni speed tez kar di…
Bahar Naidu aur team bhi STARCOMM Jets ko mar kar gira rahe the..aur unhe dekh kar pata chal raha tha ki naidu ki team wakai me experienced hai…unhone CARGO ships ko gher kar unke hifajat kar rahe the…
Lekin STARCMM walon ke numbers jyada hone ke wajah se Naidu aur Team ko pareshani hone lage…10 me se 3 Jets tabah ho gaye the…
Ab riya ko kuch samajh nahi raha tha…Usne fir se communicatio shuru karne ki shochi aur thodi hi der me communications online ho gaye….
Riya : Naidu..Kya haal hai…Kya hum EARTH tak pahunch jayenge..?
Naidu : Yeh kya Riya…? Communication channels start kyun liye..? Ab unka bhi backup aa jayega…
Riya : Mujhe khud ka nahi baki logon ke liye baicheni ho rahi hai..Inn logone hum par bharosa kar ke saath aaye the…Ee CARGO toh down ho gaya…Mein nahi chahti koi aur hamari maut mare…Tum samajh rahe ho na…?
Naidu : I can understand..But abhi iss ka time nahi hai…Tum jald se communication channel offline karo….NAhi toh aur dikkatein badh sakti hai…Pehle hi hamare jets down ho rahe hai…Riya…Woh bahut saare log hai…Hum….Hum…Jyada der unhe rok nahi sakte….
Riya : Well mere pass ek aur idea hai…Lekin uske liye mujhe thoda time lagega…Kya tum unhe 10-15 min rok sakte ho…?
Naidu : Impossible..But hum koshish karenge…
Riya : Ok…LEkin mera signal dhyan rakho..Jab mein ready ho jaungi tab tum logon ko CARGO 1 se continuous firework jalakar signal dungi..Aur signal milte hi tum sab…meri baat dhyan se suno..Mera signal paate hi tum sab hamare aage nikal jao…koi bhi pichhe nahi rehna chahiye…
Naidu yeh sun kar soch me pad gaya…
NAidu : Tum kya karne ja rahi ho Riya…?
Riya : EMP bana rahi hun…
(An Electro-Magnetic Pulse (EMP) a burst of electromagnetic energy produced by a nuclear explosion in the atmosphere, considered capable of widespread damage to power lines, telecommunications, and electronic equipment.)
Naidu : Tumhe pata bhi hai tum kya bol rahi ho…? Dushman ko maarna alag baat hai lekin unke saath saath baki logon ko bhi maarne ka soch rahi ho kya…
Riya : Don't worry..Mein uss ka dhyan rakhunga…Damage Radius set kiya hai…uss radius ke andar ki jets hi affect hogi…Bakion ko kuch nahi hoga…
Naidu : Ok…Mein aa raha hun…Tum Ship ka door khol do…
Riya : Are you out of your mind…CARGO SHIPS me air lock nahi hota…Aisi mid space me hum Door nahi khol sakte…Yeh kaam mujhe hi karna hoga…Tum bas Signal par dhyan dena aur baki CARGOs ko mere se dur le jo…
NAidu : 2 min baad Communication channels terminate karo mein sabko batata hun…Aur han…Milte hai…
Riya : Milte hai…haha
Uske baad riya apne EMP banane me lag gayi…Kuch 10-12 min me ussne 2 EMP bana bhi diye…Agar uske paas woh saman nahi rehta toh yeh kar bhi nahi pati…Lekin abb EMP ban gaye the…Riya ne ab communications band kiye …
Fir fireworks chala kar signal de diya…aur signal pate hi saare tezi se EARTH ki taraf jane lage..Bas Riya ki CARGO ship Chod ke..Riya ne apni ship me dono EMP load liye…aur woh unki taraf badhne lagi…
STARCOMM Unit ko kuch samajh nahi aa raha tha…Ek ship jo EARTH ke bilkul opposit direction ja rahi thi aur baki sab EARTH ki taraf…Toh unhone Teeno CARGO ki taraf jets mod diye…
Riya ko bhi iss baat ka fayda hua…piche koi nahi hone ke karan woh unke upar specific height aaram se aa gayi…Aur EMP ke Range se Teeno CARGO baahar jaate hi ussne pehla EMP Detonate kiya…
Ek Bade dhamake se EMP Fatt gaya aur uski range me jitne bhi Fighter jets the..unke Jets malfunction hone lage aur out of control hone lage…aur issi me woh ek-dusre se takra kar tabah ho gaye…
Lekin abhi bhi khatra tala nahi tha…STARCOMM ka ek aur unit tha jo Dhamaka dekh kar ruk gaya tha…Unko Riya ki strategy ka pata chal gaya tha isliye unhone aadha unit Radha ke pichhe laga diya aur aadha unit unnCARGO ki taraf bhej diya…
Ab Naidu and uski team EARTH to atmosphere me dakhil ho gaye the toh woh unn aanewale ships par hamla karna aasan ho gaya tha…Jab ship Atmosphere me dakhil hone se pehle ek extreme dhakka lagta hai…uss se sambhalna bahut mushkil hota hai…ab woh sambhal gaye the..Jitne bhi STARCOMM jets dikh rahi thi woh unhe Sambhalne se opehle hi Gira rahe the…Aur sabhi Jets ko unhone Gira diya tha…
Udhar Riya ke CARGO par lagatar firing ho rahi thi aur Riya ke paas unhe oppose karne ke liye koi nahi tha…Woh jald se dusara EMP girana chahti thi..lekin lagatar firing ke chalte ship kafi unstable ho raha tha..Aur to aur CARGO ka ek engin bhi damage ho gaya tha…ab uske paas utni power nahi thi ki woh aur upar ja sake iss ke liye riya ne ek plan kiya…
CARGO ko earth ke direction me ek-do baar boost dekar engin ko band kar diya jiss se engin par bad me jyada load na pade…Boost ki wajah se CARGO tezi se earth ki taraf jane laga…aur uske pichhe STARCOMM unit…
Koi control na hone ke karan CARGO ne achi khasi speed pakad le thi aur Woh unn jets se kafi aage aa gayi thi…
Riya : Ab time aa gaya hai dusara EMP fodne ki..
Aur usne dusara EMP bhi fire kar diya…specific time ke baad BOOM…!!ek aur dhamaka..aur saare jets tabah ho gaye….abb woh befikar ho kar baith gayi…ab uske piche koi nahi tha….
Udhar NAIDU aur team EARTH par Pahunch gaye aur woh Riya ke aane ka wait kar rahe the…Unn me se koi bhi bahar aane ke liye ready nahi tha..Sab log Pehli baar EARTH par aaye the..toh Darr rahe the…
Tabhi ek aag ka gola unki taraf aata hua dikhai diya…
Naidu : Yess…!! Come on Riya…!!!
Riya ka CARGO apne tezi se EARTH ki aur aa raha tha..Riya ne engin start karne ki koshish ki lekin woh start hi nahi ho raha tha…
Riya : Yeh kya…?Isse toh start hona chaiye tha…KAhin uss EMP ke radiouss me toh nahi aaya…Engine band hone ki wajah se mujhe samajh nahi aaya ho…??Abb kya karu…?
Riya lagatar engine start karne ki koshish karne lagi lekin engine start hi nahi ho raha tha…
Aakir haar maan ne waali hi thi ki Engine start ho gaya…aur phir Riya ne puri takat laga kar usse gravity ke opposite force to speed rokne ki koshish ki..aur dheere dheere speed control me aa gaye aur usse niche khade baki CARGO ships dikhai diya…usne apna ship unki taraf mod kar usse zameen par land kar diya…aur woh apne ship se baahar utar gaye….
Usse baahar aata dekh baki log bhi bahar aa gaye…yeh saare log aaj pehli baar natural saanse breath kar rahe the…Aur sabke chehron par ek satisfactory smile thi…jisse dekh kar Riya ko kafi accha laga…woh wahi ghaas par let gayi aur iss pal ka anand lene lagi….
Thank you ShanuAwesome update bhai