• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Dev ko sab se pehle romance kiske saath karna chahiye...?

  • Sonal

  • Radha

  • Bani

  • Riya

  • Disha

Results are only viewable after voting.

Black_Mamba

TheDeadliest
828
3,784
124

Black_Mamba

TheDeadliest
828
3,784
124
Raka to alien banke starcom tabah kar dega .Anamika ka kya hoga? Riya air Naidu Earth me Agaye hain.Aab dev aur riya ki mulakat baki he.waiting for 100th update.
Amazing update....👏👏👏
Jis tarah se woh Pancho aliens ne react Kiya uss hisab se toh yeh nahi keh sakte ki woh STARCOMM tabah karenge...woh bas raka ko bachane ki koshish kar rahe the...ab dekhna yeh hoga ki raka kya banta hai...

Anamika ki toh fati padi hai...:D

Riya aur Niadu finally earth pahunch gaye...lekin unka swagat kaise karenge Earth wale log...?

Jald hi Riya aur dev ki mulakat karata hun...

Thank you Sauravb
Stay tuned...
 
Ultron

New Member
85
206
34
Update 99

Previously…

Caretaker : ha ma'am mein sach keh faha hun...meine kabhi aisi aankhe insano me nahi dekhi…

Anamika : jab khud dekhungi tabhi yakin karunge...chalo darwaza khol do…

Caretaker : ma'am woh fir gussa ho jayenge…

Anamika : jitna bola hai utna karo…

Caretaker aage badh kar darwaza unlock karta hai...andar ka nazara dekh kar caretaker toh wahan se bhaag jata hai...aur anamika...anamika toh aankhe fade nazara dekh rahi thi…

Continue…

LOCATION : STARCOMM LABORATORY

pure kamre me gandi wali smell faili hui thi… Jis Bed par RAKA leta hua tha uss jagah Ajeeb sa flesh jama ho gaya tha…Jis ki height room ke celling tak pahunch gayi thi.. Aur uss me se Purple color ki roshni bhi aa rahi thi aur uss roshni me RAKA ki body bhi dikhai de rahi thi jo uss flesh ke andar kaid thi…aur woh flesh ko dekh aisa lag raha tha ki woh sans le rahi hai…

Kamre ka wo hissa uss flesh ne occupy kiya tha… Joh mare hue aliens the woh bhi ussi flesh me ghul rahe the…

aur uske saath hi purple color ki ek magnetic field raka ke upar ban ne ki koshish kar rahi thi…jo thodi der ke liye hi stable ho rahi thi aur baad me fir gayab ho rahi thi… Aur jab woh field ban jati tab woh ek-ek Metallic ki chijen apni taraf khinch rahi thi… aur woh metallic chijen uss bane hue flesh ke andar jate hi pighal rahi thi…

Yeh sab dekh koi bhi dar jata..Anamika wahan khade yeh sab samajhne ki koshish kar rahi thi…

Anamika : Toh Doctor issi ki baat kar rahe the…? Mera Baby Alien ban raha hai…?

Tabhi anamika ke pichhe uss ke guards aa gaye..Andar bana hua najara dekh unhone gun nikal kar RAkA ke upar fire karna shuru kar diya…

Anamika : Yeh kya kar rahe ho…!! Andar Mr. Khatri hai..Unhe kuch nahi hona chahiye... Aur Bina mere permission…Tum sab ko mein baad me dekhti hun…Abb aage jao aur uss Flesh ko hatane ki koshish karo…

Anamika ki baat sun ke kuch guards dheere dheere uss Flesh ki taraf jane lage..Uss flesh ke andar se abhi bhi roshni aa rahi thi aur RAKA ko bhi leta hua dekh sakte the…

Lekin abb woh Magnetic field kafi strong ban gayi thi abb woh pehle se jyada der ke liye stable ho rahi thi..Aur Jo bhi Bullets Uss par fire liye the tab se woh gayab nahi hui thi..MAtlab ab Woh Magnetic field Protective shield ki tarah Raka ke charo taraf ban gayi thi…

Jaise hi guards RAKA ke kareeb pahunche tab uss flesh fail kar unko apne andar khinch liya…pancho log uss flesh ke andar atak gaye aur eventually mar gaye…

Yeh sab dekh sabhi maujud log dar gaye…Sare guards Anamika ki taraf dekhne lage..USs ki order ka intezar karne lage…LEkin yahan khud Anamika ki halat kharab thi…

Ek taraf Apna pyar khone ka darr aur dusri taraf kisi unknown species ke aane ka darr dono ek saath woh feel kar rahi thi..

Anamika ko ab kuch karna hoga...jo hoga woh dekha jayega aise soch kar woh unn guards ko bolti hai…

Anamika : tum sab log uss ajeeb se dikhne wale flesh par fire karoge...mr. khatri ko kuch nahi hona chahiye...understand…??? Mr. Khatri ko kuch nahi hona chahiye…

Guards : yes ma'am…

Anamika : mr. Khari ko chod kar har jagah fire karo...yeh ajeeb sa jeev mr. Khatri ko nigalne se pehle usse maar do…!!

Itna kehte hi 10-12 log uss flesh par hamla karne lage...lagatar goliyan chalne se uss flesh ko apni jagah pakad kar rakhne me pareshani hone lagi...fir uss purple shield ki madad se woh raka ko bachane ki koshish karne lagi...apne sharir se chipkane wala liquid logo par phenk kar woh jeev khud ko bachane ki koshish kar raha tha...aur ussi liquid me anamika bhi fans gayi aur ek deewar ke kone me chipak gayi...deewar se takrane se woh Wahi behosh ho gayi...baki bache guards lagatar fire kar rahe the...lekin tabhi woh hota hai kisi ne socha bhi nahi tha…

Capsule me lete hue 5 aliens ki ankhe khul gayi aur woh capsule ko tod kar bahar aa gaye…

Aliens ko bahar aata dekh saare guards aona focus flesh se hata kar unn aliens ko marne me lag gaye…

Aliens apne charo taraf protective shield banakar seedha aage badh rahe the...bullets toh unhe Chu bhi nahi rahi thi... shield ko paar hi nahi kar la rahi thi…

Woh aliens aage aa kar bache hue guards ko pakad kar unhe maarne lage..koi kisi ka sar dhad se alag kar raha tha toh koi kisi ko beech me se kaat Raha tha..lire kamre me khoon hi khoon pada hua tha..

Sab guards ko maarne ke baad woh aliens guards ki bodies ko utha kar uss flesh me fenkne lage..aur fir raka ke upar jo shield bana tha woh kafi strong aur stable ban gaya...ab uss roshni ke andar ka kuch bhi dikhai nahi de raha tha…

Panchon aliens raka ki charo taraf khade ho kar kisi ka wait karne lage…

Yeh saara nazara anamika chuke se dekh rahi thi...kone me hone ke wajah se unn aliens ki nazar uss par nahi padi thi...waise woh Sara nazara dekh ke waise bhi kuch karne ki halat me nahi thi...isliye behoshi ka natak liye woh sab dekh rahi thi...

LOCATION : CARGO SHIP HANGER

Riya bhaaagte hue naidu ki taraf aati hai…

Naidu : kya hua Riya...itni jor se kaha ja rahi ho…

Riya hampte hue..

Riya : naidu hame abhi chalna hoga…

Naidu : are thodi saans toh le lo...plan toh kal ka hai na...toh phir aaj kyun…

Riya : hamein pehle se distraction mil raha hai..mera matlab Purani LABORATORY me kuch lafda hua hai...mere sensors pichle aadhe ghante se baj rahe hai…

Naidu : sensors ..kehna kya chahti ho tum…?

Riya : yahan se nikalne ke liye meine ek program taiyar kiya tha jis se hum security guards ka location pata kar sake aur subah hi maine usse server me daal Diya tha...aur abhi maine dekha ki uss laboratory me 30-40 guards ekdam se gaye hue hai...jarur kuch bada kaand hua hoga …

Naidu : toh tumne security cams check kiya hoga…

Riya : woh nahi kar saki...laboratory ke bahar tak hi cameras lage hue hai...andar ka kuch dikhai nahi de raha...aur sabhi guards andar toh gaye hai lekin koi bhi bahar nahi aaya abhi tak…

Naidu : ek min..old LABORATORY…?

Riya : Haan...kyun..?tumhe kuch pata hai kya ..?

Naidu : Us laboratory me aliens rakhe hue hai...top level ka secret hai..kisi ko bhi uss ke baare me pata nahi hai…

Riya : iss ka matlab…

Naidu : you are right… yahi ki hame yahan se abhi nikalna hoga…

Riya : right… same plan…?

Naidu : SAme…Come on Guys..!!! we are leaving…!!!

Naidu ki announcement hone the baad hangar par kafi bawal mach gaya log apne apne Ship ki taraf jane lage 15 min me hi sab log jane ke liye ready ho gaye…

Naidu : Riya…Ready..??

Riya ek gehri saans lete hue..

Riya : Ready…!!!

Riya ke ready bolte hi ek ke baad ek saari CARGO SHIPs ne apna engine start kita…Deere dheere apne hanger se hote hue woh exit lobby ki taraf jane lagi…

Naidu : Riya…Samne ek checkpoint hai Unhe hum bypass nahi kar sakte…

Riya : Agar woh dekhte hai toh dekh lene do..MEin Servers ko hang kar rahi hun…

Yeh keh kar Riya apne Tablet me kuch karti hai jis se saara STARCOM andhere me chala gaya…

Pancho Ships dheere dheere Exit ki taraf ja rahi thi..Waha par bane checkpoint par koi badi se Flashlight le kar Charo taraf dekh raha tha..Jaise hi uski nazar pancho Ships par padi woh bhagte hue Alarm ki taraf badha lekin power cut hone ki wajah se kuch nahi kar paya…

uske baad woh apne saathion ke saath mil kar unn SHIP par fire karne laga…Ships badi hone ke karan utna damage aasani se seh rahi thi…Tabhi piche se fighter Jets aakar unn Guards ko bhagwan ke paas bhej diya…

Naidu : Don't worry…!!! Aage badhte raho…!!!

Riya : Abhi hamare paas 10 min hai hame jaldi karni hogi…

Naidu : Riya tum bas CARGO ships ko lead karo..Sare obstacles mein sambhal lunga…Ab seedha EARTH par hi milte hai…You Get That..?

Riya : Ok…See you later…mujhe yakin nahi ho raha mein yeh keh rahi hun…but….TAKE CARE..!!

NAidu : You too RIYA…!!!

Aur phir Naidu aage ki taraf chala gaya….10 min pure hone ke baad jab server start hua tab wahan ki securit ko pata chala ki 5 unauthorised CARGO EXit ki taraf ja rahe hai…tab unhone Alert jari kiya aur exits ko band kar diya….

Riya yeh dekh kar pareshan ho gayi..Usne iss baare me socha hi nahi tha..Plan fail hone ke chances badh rahe the…

Tabhi usse Second phase activate karne ka socha aut uss ne saare communication ho terminate kar diya jisse koi bhi kisi ko contact nahi kar saka…

Naidu aage ki situation ko dekh Riya ko kuch suggestion dena chahta tha lekin Communication Terminate hone ke karan kuch bata nahi paya…Apne saath chal rahe 10 Jets ko exit par hamla karne ka order de diya..Aur fir ek ke baad ek saare jets missile chodne lage..aur exit darwaze ko fod kar unn CARGO SHIPs ke liye jagah bana di…

Kula passage milte hi Pancho CARGO STARCOMM se Bahar nikal gayi…
Sare maujud log celebration mana hi rahe the tabhi ek missile aa kar ek cargo SHip ko lag gayi…Jis se unhe pata chala ki dhokha abhi tala nahi tha…Sab log wapas chup ho gaye..Riya Ship ke monitors check kar rahi thi aur situation ko samajhne ki koshish karne lage…

STARCOMM ki security ne bahut se fighters jets unke piche laga diye the…ek ek karke woh starcom ke bahar aa rahe the…

Ab pancho CARGO ships par heavy firing ho rahi thi aur ek ship ki toh halat kafi kharab the…aur kuch der baad hi woh CARGO ship bade se explosion ke saath fatt jata hai…Ab bache 4 CARGO ship ne apni speed tez kar di…

Bahar Naidu aur team bhi STARCOMM Jets ko mar kar gira rahe the..aur unhe dekh kar pata chal raha tha ki naidu ki team wakai me experienced hai…unhone CARGO ships ko gher kar unke hifajat kar rahe the…

Lekin STARCMM walon ke numbers jyada hone ke wajah se Naidu aur Team ko pareshani hone lage…10 me se 3 Jets tabah ho gaye the…

Ab riya ko kuch samajh nahi raha tha…Usne fir se communicatio shuru karne ki shochi aur thodi hi der me communications online ho gaye….

Riya : Naidu..Kya haal hai…Kya hum EARTH tak pahunch jayenge..?

Naidu : Yeh kya Riya…? Communication channels start kyun liye..? Ab unka bhi backup aa jayega…

Riya : Mujhe khud ka nahi baki logon ke liye baicheni ho rahi hai..Inn logone hum par bharosa kar ke saath aaye the…Ee CARGO toh down ho gaya…Mein nahi chahti koi aur hamari maut mare…Tum samajh rahe ho na…?

Naidu : I can understand..But abhi iss ka time nahi hai…Tum jald se communication channel offline karo….NAhi toh aur dikkatein badh sakti hai…Pehle hi hamare jets down ho rahe hai…Riya…Woh bahut saare log hai…Hum….Hum…Jyada der unhe rok nahi sakte….

Riya : Well mere pass ek aur idea hai…Lekin uske liye mujhe thoda time lagega…Kya tum unhe 10-15 min rok sakte ho…?

Naidu : Impossible..But hum koshish karenge…

Riya : Ok…LEkin mera signal dhyan rakho..Jab mein ready ho jaungi tab tum logon ko CARGO 1 se continuous firework jalakar signal dungi..Aur signal milte hi tum sab…meri baat dhyan se suno..Mera signal paate hi tum sab hamare aage nikal jao…koi bhi pichhe nahi rehna chahiye…

Naidu yeh sun kar soch me pad gaya…

NAidu : Tum kya karne ja rahi ho Riya…?

Riya : EMP bana rahi hun…

(An Electro-Magnetic Pulse (EMP) a burst of electromagnetic energy produced by a nuclear explosion in the atmosphere, considered capable of widespread damage to power lines, telecommunications, and electronic equipment.)

Naidu : Tumhe pata bhi hai tum kya bol rahi ho…? Dushman ko maarna alag baat hai lekin unke saath saath baki logon ko bhi maarne ka soch rahi ho kya…

Riya : Don't worry..Mein uss ka dhyan rakhunga…Damage Radius set kiya hai…uss radius ke andar ki jets hi affect hogi…Bakion ko kuch nahi hoga…

Naidu : Ok…Mein aa raha hun…Tum Ship ka door khol do…

Riya : Are you out of your mind…CARGO SHIPS me air lock nahi hota…Aisi mid space me hum Door nahi khol sakte…Yeh kaam mujhe hi karna hoga…Tum bas Signal par dhyan dena aur baki CARGOs ko mere se dur le jo…

NAidu : 2 min baad Communication channels terminate karo mein sabko batata hun…Aur han…Milte hai…

Riya : Milte hai…haha

Uske baad riya apne EMP banane me lag gayi…Kuch 10-12 min me ussne 2 EMP bana bhi diye…Agar uske paas woh saman nahi rehta toh yeh kar bhi nahi pati…Lekin abb EMP ban gaye the…Riya ne ab communications band kiye …

Fir fireworks chala kar signal de diya…aur signal pate hi saare tezi se EARTH ki taraf jane lage..Bas Riya ki CARGO ship Chod ke..Riya ne apni ship me dono EMP load liye…aur woh unki taraf badhne lagi…

STARCOMM Unit ko kuch samajh nahi aa raha tha…Ek ship jo EARTH ke bilkul opposit direction ja rahi thi aur baki sab EARTH ki taraf…Toh unhone Teeno CARGO ki taraf jets mod diye…

Riya ko bhi iss baat ka fayda hua…piche koi nahi hone ke karan woh unke upar specific height aaram se aa gayi…Aur EMP ke Range se Teeno CARGO baahar jaate hi ussne pehla EMP Detonate kiya…

Ek Bade dhamake se EMP Fatt gaya aur uski range me jitne bhi Fighter jets the..unke Jets malfunction hone lage aur out of control hone lage…aur issi me woh ek-dusre se takra kar tabah ho gaye…

Lekin abhi bhi khatra tala nahi tha…STARCOMM ka ek aur unit tha jo Dhamaka dekh kar ruk gaya tha…Unko Riya ki strategy ka pata chal gaya tha isliye unhone aadha unit Radha ke pichhe laga diya aur aadha unit unnCARGO ki taraf bhej diya…

Ab Naidu and uski team EARTH to atmosphere me dakhil ho gaye the toh woh unn aanewale ships par hamla karna aasan ho gaya tha…Jab ship Atmosphere me dakhil hone se pehle ek extreme dhakka lagta hai…uss se sambhalna bahut mushkil hota hai…ab woh sambhal gaye the..Jitne bhi STARCOMM jets dikh rahi thi woh unhe Sambhalne se opehle hi Gira rahe the…Aur sabhi Jets ko unhone Gira diya tha…

Udhar Riya ke CARGO par lagatar firing ho rahi thi aur Riya ke paas unhe oppose karne ke liye koi nahi tha…Woh jald se dusara EMP girana chahti thi..lekin lagatar firing ke chalte ship kafi unstable ho raha tha..Aur to aur CARGO ka ek engin bhi damage ho gaya tha…ab uske paas utni power nahi thi ki woh aur upar ja sake iss ke liye riya ne ek plan kiya…

CARGO ko earth ke direction me ek-do baar boost dekar engin ko band kar diya jiss se engin par bad me jyada load na pade…Boost ki wajah se CARGO tezi se earth ki taraf jane laga…aur uske pichhe STARCOMM unit…

Koi control na hone ke karan CARGO ne achi khasi speed pakad le thi aur Woh unn jets se kafi aage aa gayi thi…

Riya : Ab time aa gaya hai dusara EMP fodne ki..

Aur usne dusara EMP bhi fire kar diya…specific time ke baad BOOM…!!ek aur dhamaka..aur saare jets tabah ho gaye….abb woh befikar ho kar baith gayi…ab uske piche koi nahi tha….

Udhar NAIDU aur team EARTH par Pahunch gaye aur woh Riya ke aane ka wait kar rahe the…Unn me se koi bhi bahar aane ke liye ready nahi tha..Sab log Pehli baar EARTH par aaye the..toh Darr rahe the…

Tabhi ek aag ka gola unki taraf aata hua dikhai diya…

Naidu : Yess…!! Come on Riya…!!!

Riya ka CARGO apne tezi se EARTH ki aur aa raha tha..Riya ne engin start karne ki koshish ki lekin woh start hi nahi ho raha tha…

Riya : Yeh kya…?Isse toh start hona chaiye tha…KAhin uss EMP ke radiouss me toh nahi aaya…Engine band hone ki wajah se mujhe samajh nahi aaya ho…??Abb kya karu…?

Riya lagatar engine start karne ki koshish karne lagi lekin engine start hi nahi ho raha tha…

Aakir haar maan ne waali hi thi ki Engine start ho gaya…aur phir Riya ne puri takat laga kar usse gravity ke opposite force to speed rokne ki koshish ki..aur dheere dheere speed control me aa gaye aur usse niche khade baki CARGO ships dikhai diya…usne apna ship unki taraf mod kar usse zameen par land kar diya…aur woh apne ship se baahar utar gaye….

Usse baahar aata dekh baki log bhi bahar aa gaye…yeh saare log aaj pehli baar natural saanse breath kar rahe the…Aur sabke chehron par ek satisfactory smile thi…jisse dekh kar Riya ko kafi accha laga…woh wahi ghaas par let gayi aur iss pal ka anand lene lagi….
nice update
riya aut naidu asani se bach gaye kyun ki anamika waha nahi thi...agar raka aur anamika waha rehte to puri star ki security ko unke piche laga deti.
ab dekhte hai riya etrnal city kaise jati hai
 
Naik

Well-Known Member
21,281
77,027
258

Starcomm k tabah hone poora intizam ho gaya h Raka poori tarh se alien ban gaya Anamika kab tak bachegi yeh dekhna dilchasp hoga
Aakhir kaar Naidu or Riya earth per pahoch gaye
Ab dekhte h aage kia hota h
Lajawab update bhai zaberdast
 
Black_Mamba

TheDeadliest
828
3,784
124
Starcomm k tabah hone poora intizam ho gaya h Raka poori tarh se alien ban gaya Anamika kab tak bachegi yeh dekhna dilchasp hoga
Aakhir kaar Naidu or Riya earth per pahoch gaye
Ab dekhte h aage kia hota h
Lajawab update bhai zaberdast
Naik STARCOMM ka size itna bada hai ki ek-do dhamake se woh tabah nahi hoga...han agar woh aliens kabza kar ke usse tabah karne ki koshish karenge toh alag baat hogi...

Aur anamika filhal toh kuch nahi kar pa rahi...apni jaan bachane ke liye woh wahin padi hui hai...lekin kya woh khud ko sambhal payegi...? Ya fir anamika ka role yahi tak tha...?

Stay tuned to find out more....:D
Thank you for your comment Naik
Keep supporting...:)
 
ANUJ KUMAR

Well-Known Member
2,669
13,377
158
Fan
Update 98

Previously...

Anamika : Raka ko theek karne ke liye mein kuch bhi kar sakti hun….

Doctor : Bas unhe aur blood mat do...agar ab blood intake ho gaya to yeh mein bhi nahi keh sakta ki Raka sir ke saath kya ho sakta hai..Kyun ke yeh aisi first case face kar raha hun mere poore career me…

Anamika : OK sir mein dhyan rakhungi iss baat ka...Aap woh dawaiyan mujhe de do..Mein usse khila dungi…

Anamika dawaiyan lekar seedha LAB pahuch gayi jahan RAKA ne apne andar Alien Blood ki bottle chadhaye baitha tha…

Continue...

LOCATION : STARCOMM LABORATORY

Raka apne andar unn aliens ka khoon le raha tha...Doctor ki baate anamika ke dimag me chal rahi thi aise me raka ka yeh haal dekh kar usse bahut dar lagne laga...Woh bhagte hue RAKA ke pass chali jati hai...Saare unjections ko khinch kar phenk deti hai..

Blood ka aana band hone ke baad raka apne ankhe khol deta hai..SAmne Anamika dekh kar…

RAka : Darling tum..? Itni jaldi theek ho gayi..?

Anamika : Baby..!! yeh kya kar rahe ho tum..? Tumhare liye aliens ka khoon accha nahi hai..? Tumhari jaan bhi jaa sakti hai…!!

Raka : Are nahi darling..Inn ke khoon se toh mujhe acha lagta hai..I feel invincible…

Anamika : Ok...ok...ab aur nahi baby..Please...Mere liye…

Raka : Haan darling..Bas 2 aur bottles hai usse chadhane do...uske baad khatam kar deta hun...ok…?

Anamika : Nahin…!! baby..Tum mere saath chal rahe ho..

Raka : But...Darling..

Anamika : Not now...RAKA..!!! Stop it…!!!

Raka : Ok...chalo...mein apna jacket to le sakta hun na…?

Anamika ha me sar hila deti hai…

Raka Apna jacket uthata hai aur anamika ke saath chala jata hai..par wahan table par padi khoon ki do bottles gayab thi...Raka ne chalaki se unhe apne jacket me rakh diya tha…

LOCATION: STARCOMM ke dusari taraf

Riya : KAha mar gaye naidu…?

Riya Naidu ko call laga kar baat kar rahi thi…

NAidu : Are Riya Ships ko ready kar raha tha...tum batao..Tumhara saman ready ho gaya kya…?

Riya : Han...Lekin Kuch jyada hi saman hai mere saath..Kya tum kuch log ya phir SlaveRobots bhej sakte ho mere paas...Thodi help hogi…

NAidu : Ofcourse...MEin kuch logon ko tumhare paas bhej raha hun...Tum apna location share karo..Woh aa jayenge…

Riya : Thank you...Aur Ships..?

Naidu : Total 5 CARGO ships hai…

Riya : itne ships ki kya jarurat hai..? Hamein unki nazar se bachkar jana hai...ek saath itne ships dikhenge toh problem ho sakti hai...

Naidu : STARCOMM chodne ki baat karne par bahut se log ready ho gaye hamare saath aane ke liye… and...mein sab sambhal lunga..

Riya : Accha hai...Kyun ki unhe pata hai unka STARCOMM ab unka na raha..Ab woh uss chudail Anamika aur Nirdayi RAKA ke hathon me chali gayi hai…

Naidu : sach keh rahi ho Riya...ab hamein jaldi karni hogi...jitni der hum yaha rahenge...utni hi dikkatein hame STARCOM chhodne me aa sakti hai…

Riya : agar possible hua toh hum aaj hi STARCOMM chod denge...lekin hamein planning ke saath jana hoga...ain waqt par koi gadbadi nahi honi chahiye...hum dono rehte toh hum kaise bhi ja sakte the...lekin abb 5 big CARGO ships ko STARCOMM se nikalna bahut mushkil hone wala hai…

Naidu : han woh toh hai...lekin mere pass ek plan hai...tum jab yaha aao ge toh bata deta hun…

Riya : nahin...abhi batao...kya pata koi stupid plan…

Riya ko beech me hi rok kar naidu bolta hai…

Naidu : kabhi toh meri baat maan liya karo...bharosa rakho Riya…

Riya : kya karu tumhara character hi waisa hai…

Naidu : I know past me maine bahut si galtiyan ki hai...lekin ab sab kuch badal gaya hai...mein woh insaan nahi raha...aur tumne meri aankhe khol di hai...aur abb mein badalna chahta hun...so please give me a chance...tumhare saath mein baki logon ko bachane ki koshish kar raha hun...pehle wala naidu nahi karta yeh sab…!!!

Riya ko naidu ki baatein me sachai dikhi...woh aage kuch nahi boli…

Riya : ok..don't disappoint me…

Naidu ko pata nahi lekin Riya ki baat se accha laga...woh khushi se bola…

Naidu : thank you Riya...sudharne ka ek mauka dene ke liye...I'm damn sure mein tumne nirash nahi karunga…

Riya : I hope so…

Naidu : tum jaldi se bheji hui location par aa jao...hum wahan se nikal jayenge…

Riya : good..!! I'll be there...by evening...sab ready rakhna…!!

Naidu : tum aao toh sahi...sab ready hoga...don't worry…

Riya call cut kar ke saman pack karne me lag gayi…

Ek ghante baad 10 log slaveBot ke saath aa gaye jo naidu ne bheje the…

Sab ne pata pat saman uthaya aur van me dala...aur sab naidu ki jagah ke liye nikal gaye…

LOCATION : Anamika's Home

Raka ko laboratory se nikal kar anamika usse apne Ghar ke aayi….ghar par kuch baatein suna kar woh dono so gaye…

Anamika ko gehri nind sote hue dekh raka uth jata hai...apni jackets se woh khoon ki bottle nikal kar khoon apne andar inject karne lagta hai…

Dono bottle inject karne ke baad 8sse thodi shanti mili...woh wapas apni jagah sone ke liye let gaya…

Lekin uss alien khoon ki bhook usse sone nahi de rahi thi...karwate badalte badalte woh apni iccha ko ignore karne ki koshish karne laga lekin aakhir woh bhool ke aage haar jata hai...aur bed se uth kar seedha laboratory pahunch jata hai…

Laboratory pahunch kar woh seedha caretaker ke paas jata hai…

Caretaker ki halat raka ko dekh kar dheeli ho jaati hai...raka ki aankho ke silver color ki ho gayi thi...jaise janwaron ki andhere me dikhai deti hai…

Raka caretaker ke paas ja kar usse kehta hai…

Raka : mujhe inn aliens ki list dikha…

Caretaker : s.s...s..ir!!! Why...woh saamne hi hai…

Raka : hmm…

Caretaker : sir..kya mein ja sakta hun…?

Raka : nahi...tum yahi thehro...aur jane ki sochna bhi mat...mein Jo number bolta hun unhe tum capsule se baahar nikalo...samajhe..???

Caretaker : but sir...woh….

Raka : samajhe…!!!!

Caretaker : sir..yes sir..,,!!

Fir Raka list dekhte hue ek ek number bolta gaya aur caretaker unn aliens ko capsule se nikalne laga…

Kuch 15-20 aliens ko nikalne ke baad raka unn aliens ke paas aa jata hai…

Woh saare aliens bina medic support ke marne lage...unhe tadapta dekh Raka ko alag si khushi mil rahi thi...caretaker bhi baju me khada tha...woh ab dekh raha tha ki Raka kya karne wala hai...Lekin jyada der dekh nahi paya kyun ki raka ne usse ghar bhej diya...caretaker wahan se nikal jata hai…

abb pure laboratory me sirf raka aur ek scientist hi bache the...

Raka : doctor...maine bataye hue aliens ko kab utha rahe ho…?

Scientist : sir...woh...1 din aur...kal raat woh hosh me aa jayenge…

Raka : koi complications..?

Scientist : saare readings bilkul normal hai...no complications at all…

Raka : good..!!!one last thing…

Raja unn mar rahe aliens ki taraf point kar ke…

Raka : mujhe inn sab ka blood chahiye…

Scientist : sir itna saara blood ki kya jarurat hai…?

Raka : tum naye lag rahe ho...mujhe inke blood ki jarurat hai...survive karne ke liye...tumhare senior ne kuch bataya nahi kya…?

Scientist : no sir...unse koi bhi instructions nahi mile mujhe…

Raka : don't worry...yeh sab mein barson se karte aa raha hun...tum bas unka blood nikal kar mere body me dalne ka intezam karo…

Scientist : sorry sir...lekin kya aap subah tak rok nahi sakte..?

Raka abb gusse se…

Raka : jitna bola hai waisa karo aur yaha se chale jao...nahi toh tumhari laash se baat karta hun…

Scientist : sorry sir...abhi karta hun…

Itna bol kar woh scientist apne kaam me lag jata hai...1 ghante baad woh unn aliens ka khoon nikal kar ek machine me dal deta hai...aur uss machin se woh khoon Raka ki body me dalne ka 8ntez kiya aur wahan se nikal Gaya….

Raka bed par pade pade khoon ko apne andar mehsus kar raha tha…

LOCATION : STARCOMM CARGO SHIP HANGER

Riya apna saara saman lekar hangar pahunch gayi…

Wahan ka intezaam dekh kar usse sach me accha laga...Naidu ne apna sara kaam acche se Kiya tha..5 badi badi cargo ship ke andar sara jarurat ka saman bhara hua tha aur saath me logon ko bhi baithne ki suvidha kar di thi…

Riya : woh Naidu...kafi acchi taiyari ki hai…

Naidu : I tried my best Riya...koi kasar nahi chodna chahta…Tum batao aur kya baki hai…?

Riya : you really outdone youreself Naidu...mujhe pata tha tum acchese kar doge lekin itna..?? God work Naidu...lekin ek baat batao...yeh hanger ko kaise capture kiya tumne…?

Naidu ek jagah dekhne ka ishara karta hai jahan bahut se guards pade hue the…

Naidu : don't worry...woh sab zinda hai...bas behosh hai 2 din aur aise hi pade rahenge…

Riya : very good...toh kya hum ja rakte hai…?

Naidu : i dont think so...yeh hanger capture karna aasan tha kyun kikuch guard hamare saath the...lekin iss hanger se nikalne ke baad kafi dikkat aane wali hai...kya tum kuch kar sakti ho…?

Riya : security firewall breach aur communication device ko kuch der ke liye band kar sakti hun…

Naidu : tumhe pata hai na security breach impossible hai... STARCOMM ki security ko crack karna aasan baat nahi hai…

Riya : mujhe pata hai lekin mujhe server par ek program mila hai...RAT...kisi ne janbujhkar usse server me choda tha...i don't know woh kaun hai...lekin code toh wahi bata raha hai ki woh script run karne se STARCOMM ki saari security kaam karna band ho jayegi...AI included…!!

Naidu : kya pehle tune yeh Kiya hai..?

Riya :...nahi…

Naidu : toh phir itne bharose se kaise keh sakti ho ki yeh work kar sakta hai..?

Riya : I'm tech nerd..!! Mujhe program ki language jyada samajhti hai...jaise hum baat kar rahe hai utne ki fluently mein computers se baat kar sakti hun...so... mijhe pata hai...woh code bilkul work karega…

Naidu : I don't think so...give me proof..

Riya : ok…

Riya apna tablete hath me pakad kar RAT ka program rum karti hai..aur kuch hi der me saara STARCOMM me andhera ho jata hai…

Riya khushi se uchalte hue…

Riya : dekha..?? Bola tha na…

Naidu : k..kya yeh tumne kiya..?

Riya : yes..!!

Naidu : ok Riya now I trust you..abb wapas light shuru karo…

Riya : server restart hone tak wait Karo…

Naidu : kitna time lagega…

Riya : i don't know..let's keep track of time then we also know how much time we get to escape from here...

Exactly 10 min ke baad STARCOMM pehle ke jaisa jag megane laga…

Riya : ...and 10 ….10 min honge hamare paas yahan se nikalne ke liye...Kya utna time kafi hai..?

Naidu : don't know...but the thing is ki hum 10 min to unhe blind kar sakte hai…

Riya : ...and uss ke baad unhe deaf bhi banayenge...unka communication server off kar ke...woh mein kar sakti hun…

Naidu : ok..ok...I really think ki hum kuch kar pa rahe hai...lekin ab hame solid plan banana hoga...kya hum kal nahi ja sakte…?

Riya : If you promise me ki yaha koi khatra nahi hai toh I'm ok with that…

Naidu : as I said before...yaha hamare log kaam karte hai...woh sab sambhal lenge...aao ek plan banate hai…

Riya : ok..

Naidu aur riya dono mil kar ek plan par discuss karte hai…

Naidu : ok...sab theek toh lag raha hai..lekin iss ka order kya hoga…

Riya : mein batati hun...sabse pehle destruction/explosion hoga kisi aur jagah...so saari security waha par distracted rahegi...theek 5 min baad mein servers ko hang kar dungi...aur hum yaha se nikal jayenge...jabtak saare server restart honge tab hum lagbhag STARCOMM chod chuke honge...uske baad jab servers online honge tab mein unka communication ko disable kar dungi...jis se woh ek-dusre ko contact na kar sake..jis se hame aur time milega baahar jane ke liye…Only problem is on site security aur patrolling units… unka kuch karna hoga…

Naidu : I'll do it...mein ek team lead karta hun jo unn units ko dekh lenge…

Riya : but Naidu...it's dangerous..

Naidu : I know the risks Riya...I'll handle it...you know I'm a level 3 rider...I know what I'm doing…

Riya : If you think so...I'm ok with it...so...it's decided then...right..?

Naidu : it's decided... tomorrow…!!!

Riya : tomorrow…!!!

LOCATION : BACK TO ANAMIKA'S HOME

Subah jab anamika uth jati hai toh uss ke baju me Raka nahi tha...usse der nahi lagi samajhne ne ki wo kaha hai woh ready ho kar seedha laboratory chali jati hai..wahan caretaker darwaje ke baahar khada mila…

Anamika: tum toh caretaker ho na...bahar kya kar rahe ho...kya tumne mr. Khatri ko andar jate hue dekha hai…?

Caretaker : m..ma'am w..woh sir andar...mein….baahar...aliens…

Anamika: theek se bol…!!!

Caretaker : sorry ma'am ...wo..woh sir andar hai...unhone mujhe baahar nikal diya aur tha 7nhone kai aliens ko bahar nikala hai..pata nahi unke saath kya kar rahe hai…

Anamika : kya matlab hai tumhara…? Kya kar rahe honge…? Ek min tumne kuch notice Kiya hai... Hai na..?

Caretaker : ha ma'am...unki aankhe chamak Rahi thi...ajeeb si silver color ki dikhai de rahi thi...unhe dekh kar mujhe toh bahut dar lag raha tha...isliye mein jald se jald wahan se bahar aa gaya…

Anamika : ankhe chamak Rahi thi…? Kuch bhi…!!!

Caretaker : ha ma'am mein sach keh faha hun...meine kabhi aisi aankhe insano me nahi dekhi…

Anamika : jab khud dekhungi tabhi yakin karunge...chalo darwaza khol do…

Caretaker : ma'am woh fir gussa ho jayenge…

Anamika : jitna bola hai utna karo…

Caretaker aage badh kar darwaza unlock karta hai...andar ka nazara dekh kar caretaker toh wahan se bhaag jata hai...aur anamika...anamika toh aankhe fade nazara dekh rahi thi…
Fantastic update
 
Top