• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Taqdeer [Completed]

mashish

BHARAT
8,032
25,910
218
Update 26
Anu ka yese bolne se Ruhi ko to ander se acha lagta hai per upar se,
Ruhi : nahi Anu yesi koi baat nahi hai,
(mann mai; aab tumhe kya batau baas ek baar confirm ho jaye), wo mai bhi issi school mai padhi hun to….
Anu : ohh..aap bhi bhai ke hi school mai thy….
Ruhi : hmm, tum ye batao ki sir ne kis saal 11th class kari thy.
Anu : sochte huye; di mujhe to yaad nahi hai,
Anu baate sunke Ruhi udas ho jati hai, yanhi ek rasta tha sab kuch confirm karne ke liye ki sir hi mere Raj hai, mera dil to pehle se hi yanhi kahta tha, jaab bhi sir mere karib hote thy hamesha hi apnapan lagta tha per, aab kese pata karu?
Anu : di..di..kanha kho gayi (wo baate Ruhi apne mann mai hi soch rahi thy), ohh aap ye soch rahi hogi ki bhai apne batchmate hai ya nahi….
Ruhi : hmm..yanhi soch rahi thy….
Anu : ye baat to apko ek minute mai hi pata chal jayega, issi photo se hi, iske piche date aur time likha hua hoga.
Ruhi ye baat sunke ek dam khush ho jati hai aur jaldi se photo palat ke date dekhti hai, 2012 February….
Ruhi : ye to wanhi year hai jaab mai..matlab….
Anu : di matlab bhai apke batchmate hai….
Ruhi : in saab se to yanhi lagta hai….
Anu : di wese kaal Raj bhai aahi rahe hai to aap khud hi puch lena….
Ruhi : Raj?....tum sir ko Raj kehti ho….
Anu : han di bhai ka Nick name Raj hai, pehle to har koi Raj kehte thy per aab nahi baas mai, Rohan Bhai hi kehte hai, aur koi nahi….
Ruhi (mann mai) : aab mai pure tarike se sure hun ki sir hi mere Raj hai, aur Rohan Bhai bhi Raj bulate hai per mere samne to kabhi nahi bole hamesha Rajveer bulate thy, kyun?
Anu : di ye saab chodo na, mujhe shopping per jana hai please.. please chalo na….
Ruhi : ok ok chalte hai, tum na ek dam bachi ban jati ho….
Fir dono nikal jate hai shopping per,
idhar Rohan udas sa marine drive per patharo pe betha hua tha.
Rohan : pata nahi kyun Raj Zara se meri baat nahi karwa raha hai..ya kanhi..wo to jaan bhuj ke mujhse baat nahi kar rahi hai…mujhe aur gussa to nahi ho gayi ya..ya..mujhse dur rehna chahti hai aab..nahi..nahi ye mai hone nahi dunga..baas aab aajaye baas..aur intezar nahi ho raha hai..pata nahi Raj ne kese Ruhi ke samne apne aap ko rok rakha hai aur dur reh raha hai mera to bura haal ho gaya hai.
Raat ko teeno Rohan, Ruhi aur Anu khana kha reh thy, Ruhi aur Rohan to khane ke sath sath Anu ki bak bak bhi sun rahe thy. Anu to baas Raj ke ilawa pehli baar usse koi itna acha laga tha usse. Ruhi ko to baas kabhi chodti hi nahi thy.
Abhi ye saab khana kha hi rahe thy ki Rohan ko Raj ka call aata hai,
Rohan : han…han…kal..chal thik hai jaldi aaja….
Call cut karne ke baad;
wo Raj..Rajveer ka phone tha, wo kaal aarahe hai sham tak….
Ruhi ne jaab suna to behed khush ho jati hai, ki usse aab baas Raj ke aane ka intezar tha. Saab khana kha ke sone ke liye chal dete hai….
Rat ke yanhi koi 1-1.30 baje boor bell bajti hai to saab jag gaye bell ki awaj sunke….
Ruhi nind mai hi thy aur jake darwaja kholti hai, Rohan aur Anu bhi aagaye thy taab tak….
Ruhi ne jese hi darwaja khola to samne Raj khada tha..Ruhi ko laga ki wo sapna hi dekh rahi hai aur wo abhi bhi nind mai hi hai..wo baas muskurake Raj ko dekh rahi thy ki tabhi Raj ke piche se Zara bhi aagayi aur Ruhi ko gale lag gayi….
Zara ke gale lagane se Ruhi ki nind ek daam se udd gayi aur wo jo sapna samajh rahi thy wo hakikat hi hai….
Ruhi : Zara..si..sir...aa..aap dono..iss time..aap to kal aane wale thy na, ye sari baate Ruhi Raj ko dekh hi keh rahi hoti hai.
Raj bhi Ruhi ko hi dekh raha hota hai per idhar Rohan aaj kuch bahut bada karne wala tha.
Wo sidha aage aata hai aur Zara ka hath pakad ke ander hall mai le jata hai, baki sabhi bhi unke piche ander aajate hai, aur kisiko kuch samajh hi nahi aaraha tha ki ye Rohan achanak yesa kyun behave kiya.
Anu bhi Raj ke gale milti hain aur Rohan ke baare mai hi puchti hai,
Anu : inhe kya ho gaya hai bhai….
Raj : pyaar hua hai aur abhi abhi judayi bhi dekh li….hehehehe…
Ruhi to baas suru se leke aab tak baas Raj ko dekh rhi hoti hai bade pyaar se….
Idhar Rohan jaab Zara ka hath pakad ke leke ander aaya to Zara bhi kuch samajh nahi pa rahi thy,
Zara.: Rohan..Rohan..kya hua hai aapko, mujhe yese kyun khich ke le rahe hai.
Rohan bina kuch bole apne gutne ke baal pe beth jata hai aur Zara ka hath to pehle hi pakda hua tha,
Rohan : Zara mai tumse behed pyaar karta hun, tab se jaab mai tumhe pehli baar dekha tha airport pe taab se, kya tum mujhse shadi karogi..aur mere ghar ki mere dil Rani banogi….
Zara ko to pehel jhatka lagta hai ki Rohan ne aate hi usse ye saab keh diya,
Zara : ye..ye….
Rohan apni baat jari dekhte huye,
Rohan : jaab se dur gayi ho na tum pata nahi kitne tadpa hun tumhe ek baar dekhne ke liye, aur tumhari awaj sunne ke liye..mai nahi reh sakta tumhare bager..iss ek mahine mai baas jindegi kaat raha tha, ji nahi pa raha tha….tumhare sath meri jindegi jina chahta hun.
Kya tum mujhse shadi karogi?
Rohan ki ye saab baate sunke Zara ko behed khushi hoti hai aur khusi mai uski ankhe bhi naam ho jati hai,
Anu to suru se phone mai video banane mai lagi huyi thy, Raj dono ko dekh ke smile kar raha tha, aur Ruhi….Ruhi to baas hath jod ke Zara ko han bolne ke intezar kar rahi thy aur uske ankho mai bhi anshu thy khushi ke…
Zara : mai jaab yanha aarahi thy taab behed gussa mai thy aap pe…per..per..maine ye kabhi nahi socha tha ki aap ye saab bolenge..mai apko bata nahi sakti ki aap mere liye kya hai, maine bhi apko pehle hi nazar mai pyaar kar bethi thy, aur itna pyaar kar bethi ki kabhi bayan hi na kar sakunga, han mai apse shadi karne ke liye tayar hun….
Rohan ne jesse hi han suna wo jhat se uth ke Zara ko gale laga liya, Anu to ye saab enjoy kar rahi thy bahut jyada, aur Ruhi Raj ka hath pakad liya tha, aur un dono ko dekh rahi thy aur Raj Ruhi ko,
Raj dhire se Ruhi ke kaan ke paas ja kar bolta hai,
Raj : itna khush ho to apne iss dost ke gale bhi lag sakti ho, hath pakad ne se kya hoga….
Ruhi ne jese hi Raj ko dekha to dekhti reh gayi kyun ki Raj uske behed hi karib tha aur Ruhi ka dil jor jor se dhadak raha tha…..
Ruhi : am sorry sir…maine dekha nahi tha….
Raj kuch kehne ko hua ki Anu Ruhi ko khich ke Rohana aur Zara ke paas le gayi aur Raj kehte kehte rukh gaya….
Anu : oye love birds, kuch to saram karo yanha bade bujurg moujud hai aur tum dono baas chipke khade ho….haye kya jamana aagaya hai….hehehehe….
Rohan aur Zara Anu ki baato se alag ho jate hai, per Zara saram se gadi ja rhai thy to Anu aur Ruhi dono ne usko gale laga liya.
Ruhi : mai sach mai aaj bahut khush hun, aur aaj se mai Zara ko bhabhi hi bolne wali hun, kyun aaj to officially ho gaya hai baas stamp lagna bakai hai.
Fir Ruhi Rohan ki bhi gale lag jati hai aur congratulate karti hai….
Raj : aare yaar jiski wajah se ye saab hua usse to koi puch hi nahi raha hai….
fir munh fulake sofe pe jake beth jata hai Raj....

lovely update size chota hota ja rha hai writer ji update ka size badaye aap
 

Naik

Well-Known Member
21,584
77,470
258
Update 12

Ruhi apne kamre mai jake Raj ke bare mai sochne lag jati hai. Nahi..Nahi..ye mai kya soch rahi hun sir mere Raj ho hi nahi sakte, aur wese bhi pure duniya mai kitno ka naam Raj hai aur sir to wese bhi kisi bhi tarah se mere Raj lagte hi nahi hai. Ye to bilkul khadus aur akdu hai. Mera Raj to bilkul shant tha, mujhe hamesha hasata tha aur sayari karta tha.
Ruhi bhi apne purane yaadon mai kho jati bai, jaab Palak ko Raj ke bare mai bataya tha.
Ruhi : Palak mujhe lagta hai ki mujhe Raj se pyaar ho gaya hai. Uski baato se, uski sayari se, uske hone se, han palak..mujhe sach mai pyaar ho gaya hai, I love Raj...I love him....
Ruhi bilkul pagalo ki tarah pure kamre mai jor jor se chilane lagti hai aur baas I love Raj yanhi bolti rehti thy, to Palak ne aake Ruhi ka munh mai apna hath rakh ke usko chup karayi.
Palak : pagal ho gayi hai kya, koi sun lega to aur han dekhne mai kessa hai tera Raj ye to bata?
Ruhi : pata nahi maine kabhi bhi dekha nahi hamara to baas kitab ke sahar hi bate hoti hai.
Palak : tu pagal to nahi ho gayi hai ya mujhe pagal bana rahi hai, aaj ke samay mai jaab ladka ladki kiss tak kar lete hai aur tu bata tu bata rahi hai ki tune usse dekha nahi hai waah..waah...
Ruhi : apni bakwas apne tak rakh aur mai tujhe jhut kyun bolungi, bachpan se mere sath ha tu, sabse pehle har baat tujhse bolti hun aur tujhe pata hai na ki ek baar mai agar kisi se koi rista bana li to hamesh nibhati hun.
Palak : han pata hai mujhe aab bata ye saab kese aur kaab hua? Thode din kya mai Nani ke paas chali gayi tune to..chal bata.
Fir Ruhi saab kuch Palak ko bata deti hai.
Palak (mann mai) : mujhe iss ladka ke baare mai pata karna hoga ko wo hamare standard ka hai bhi ki nahi, kuch bhi ho jaye Ruhi ki wajah se mai apna standard pure school mai low hone nahi dungi.
Ruhi : kya soch rahi hai bata, chal chod ye bata ki mai apni dil ki baat Raj ko bata dun, aur mujhe bhi lagta hai ki Raj bhi mujhe pasand karta hai.
Palak : aare rukh abhi, itni bhi kya jaldi hai abhi 6 mahine hi huye baate karte na ki 6 saal, aur tu usse kuch nahi kahegi, pehle mai usse dekhungi ki wo kessa hai fir baad mai tu bata sakti hai.
Ruhi : chal tu dekh lena aur mujhe pata hai ki wo tujhe acha hi lagega.
Palak : han dekhti hun.
Ruhi apni yaadon mai ghum thy ki uski khidki ke paas kuch awaj aati hai jisse wo apni yaadon se bahar aajati hai, aur khidki ke paas aakar khadi ho jati hai.
Ruhi : "Palak ko tumhare bare mai batana hi meri sabse badi galti thy Raj, jis din tum mujhe chod ke gaye uss din bhi barish ho rahi thy per uss barish ne mera saab kuch chin liya, per asli aur nakli rishto mai farak karna bata gaya. Pehle yanhi barish ko dekh kar mann khush ho jata tha per aab dil mai dard hota hai.
Ruhi ki ankhe bhar aayi thy, wo aakar bed pe let jati hai pure din ka kaam ki wajah se usse kaab nind aagayi usse pata hi chali.
Udhar Rohan bhi Raj ke bed pe beth ke raj ke hosh aane ka intezar kar raha tha.
Thodi der baad jaab Raj ko hosh aaya, jesse hi ankhe khole samne dekha to Rohan usse gusse se dekh raha tha. Jesse hi Raj ne ye dekha to fir se apni ankhe band kar li, kuch der der taak jaab usse kuch awaj nahi aayi to usne fir se apna ankh khol li to Rohan wanha pe nahi tha to Raj ke jaan mai jaan aayi.
Raj : thank god ye gaya nahi to mera waat laga deta.
Rohan to kahi gaya hi nahi tha wo chup chap uthke Raj ke piche aagaya tha aur sari baate sun raha tha.
Rohan : waat to aab bhi tera lagne wala hai beta.
Raj me jaab awaj suna to wo piche mud gaya to Rohan ko paya jo baas usse gusse se dekh raha tha.
Raj : tu..tu..yanha..mujhe laga..ki..
Rohan : ki chala gaya, per tera waat to lagni hai, ye chot kesse lagi aur ruhani ki baat kyun nahi suni tune..bata...
Rja : wo..wo..baas lag gayi yaar, aur dekh mai abhi thik nahi hun thoda sa to reham kar, aage se yesa kuch nahi hoga pakka, maan ja na yaar.
Rohan : tujhe pata hai tujhe yese dekh ke mera kya halat hua hai, aage se yesa kuch nahi hona chahiye iss baar maaf kar raha hun. Aur aagar dubara yesa hua to dekh liyo tu, chal aab so ja.
Raj : thik hai mere yaar, wo Ruhi kanha hai aur kessi hai?
Rohan : thik hai wo abhi sone gayi hai bahut pareshan thy wo bhi, pata hai pehli baar kisi ke liye yese pareshan hote dekha hai maine usse.
Raj : yanhi to nahi chahta hun mai ki wo mere liye pareshan ho, pehle ye pata karna hai ki wo yesi shant aur chup kyun rehti hai aur uske sath hua kya hai? Aur sabse badi baat mai usse yaad hun bhi ya nahi?
isiliye kaal se No Raj only Rajveer Singh.
Bahot behtareen zaberdast shaandaar update
 

Naik

Well-Known Member
21,584
77,470
258
Update 13
Fir Raj, Rohan ko kuch batata hai, aur kya karna hai ye bhi batata hai.
Raj : wese tere aur Zara ki bich kya ho raha hai?
Rohan : ku...kuch nahi chal raha hai hamare bich aur tu yesi baate kyun kar raha hai. Aur baas wo mujhe achi lagti hai.
Raj : aur usse tu..
ye ek bomb se kam nahi tha Rohan ke liye.
Rohan : kyaaaa!!!! Ye tu kya bol raha hai, kya sach mai....
Raj : han kyun ki mere ilawa wo aaj tak wo kisi se bhi jyaada baat nahi ki hai, khas karke koi ladke se, wo hamesha ladko se chidti hai, per tera sath wo aaj comfortable thy. Isiliye mai jitna usse janta hun wo bhi tujhe chahati hai mujhe yesa lagta hai.
Rohan : acha, per mai pehle usse janna chahta hun, dosti karna chahta hun fir baad ka baad mai dekhenge.
Raj : han ye bhi sahi hai, pata hai tu ek dum perfect hai uske liye.
Rohan : han pata hai mujhe ye baat kuch naya bol, aur perfect issliye kyun ki tu jo hai mere sath.
Rohan iss baat se Raj ki hasi nikal jata hai aur Raj ki hasta dekh ke Rohan ka bhi. Kafi der tak hasne aur baate karne baad dono dost so jate hai.
subha ke 5 baje....
Raj ki nind khulti hai to wo Rohan ko uthata hai, aur usse bol kar apne ghar jane lagta hai, per jane se pehle Ruhi ke kamre mai jata hai, janha Ruhi so rahi thy.
Raj apna phone nikal ke ek photo khinch leta hai fir kuch der Ruhi dekhne ke baad wanha se chala jata hai.
Ruhi 7 baje ke karib uthti hai aur uthte ho Raj ka khayal aata hai,
Ruhi : sir, jaldi se jakar dekhti hun raat ko bhi nahi uth ke dekha.
Ruhi jesse hi kamre se bahar nikalti hai Raj ko dekhne ke liye samne Rohan sofe pe betha tea pi raha tha.
Ruhi : bhai, Rajveer sir kesse hai aur kya wo so rahe hai.
Rohan : pehle beth,
Ruhi bhi Rohan ki baat mann ke beth jata hai, fir Rohan,
rajveer aab thik hai aur wo apne ghar chala gaya hai, wo wanhi per hi aram karega.
ye baate sunke Ruhi ko bahut jyada gussa aani lagti hai.
Ruhi (gusse mai) : yese kese wo chale gaye aur akele kesse rahenge. Yanha pe rehte to kya ho jata, aur wese bhi aram hi karna tha to yanhi ruk jate, mere ghar nahi to aap ke ghar hi ruk jate. Aur to aur mere uthne tak ka wait bhi nahi kiya, itna attitude....
Rohan : shant ho ja meri maa...wanha per bahut kam karne wale hai aur wese bhi tujhe wo uthana nahi chahta tha kyun ki kal raat usne bahut jyada Tang kiya tha ham sabko. Wese bhi wo aaj office nahi aayega, hamme hi saab kaam complete karna hoga to ham jaldi jayenge, ja ready ho ja aur Zara ji ko bhi utha de.
Ruhi ko gussa to bahut aaraha tha Raj pe per Rohan ki baat bhi sahi thy kaam jaruri tha.
Ruhi (mann mai) : pehle kaam kar leti hun baad mai unhe puchungi.
taab tak Zara bhi uth ke aagayi thy, "good morning everyone..Rajveer kesa hai aab".
Rohan/Ruhi : good morning Zara.
fir Rohan usse bhi wanhi saab bata deta hai to Ruhi ko bataya tha.
Zara : to chaliye haam bhi ready ho jate hau aap sabhi bhi ready ho jayiye.
Kuch der baad tino ready hoke office ke liye nikal gaye, Rohan car chala raha tha Ruhi uske sath bethi huyi huyi thy aur Zara unke piche per har koi apne apne soch mai baas chale ja rahe thy.
Zara ni najar baar baar baas Rohan ki aur hi ja rahi thy.
Zara (mann mai) : Rohan kaal kitne dar gaye thy Rajveer ke liye, kitna pyaar karte hai sir ko. Maine pehli baar dekha hai bina khun ke rishte bhi bahut pyaare ho te hai. Mai ye saab kyun soch rahi hun!!!
Ruhi (mann mai) : baas mai ek baar sir ko dekh lun to tasalli ho jayegi...per mai unke baare mai itna kyun soch rahi hun wo boss hai mere, baas boss...boss...boss...
Rohan (mann mai) : pata nahi Raj aab kya karega per aaj jese Ruhi uske baare mai puch rahi thy uski ankho mai mene Raj ke liye parwah dekha hai pata nahi dono ka kya hoga?
Baas teeno apne apne soch mai ghum office pahunch jate hai aur apne apne kaam pe lag jate hai.
Udhar Raj ke ghar mai...
Raj baas Ruhi ki tasveer dekh raha tha, jo usne subha li thy.
Bahot behtareen zaberdast shaandaar update
 

Naik

Well-Known Member
21,584
77,470
258
Update 14

Sabhi apne kaam mai busy ho gaye office mai jake. Rohan aur Ruhi ko thodi tension thy Raj ke liye. Lunch time hone aagayi thy aur ye dono baas kam mai hi busy ho gaye thy, to Zara in dono ke liye coffe leke aagayi aur dono ko de di.
Rohan : thanks Zara iski sabse jyada jarurat thy mujhe.
Zara : aab dono baas bhi kijiye abhi bhi bahut din baki hai, chaliye chal ke kha lijiye.
Ye baate Zara ne Rohan ke hatho mai hath rakh ke kah rahi thy aur Ruhi aur dekh rahi thy. Rohan ka to dil hi bahar aane wala tha aur uska sara thakan kab ka dur ho gaya tha. Wo baas Zara ko hi dekhe ja raha tha aur pure pasine se bhig chuka tha. Jaab iss halat mai Zara ne Rohan ko dekh to wo bhi shock thy.
Zara : Rohan kya hua apko, aap thik to ho. Fir Zara Rohan ki sar pe hath rakh ke usko check karti hai aur uski iss harkat se Rohan ki to sans hi rukhne ko ho gayi.
Rohan badi muskil se wanha se haat ke sofe pe beth jata hai, Ruhi bhi Rohan ko dekh ke shock mai khadi thy. Rohan ne Ruhi ko ishare se Zara ko bahar jane ke liye kehne ke liye kaha.
Ruhi bhi samajh gayi ki Rohan kya kehna chahta hai,
Ruhi : Zara bhai ke liye thoda thanda pani la dogi wo kya hai na thanda pani yanha nahi hai.
Zara : han mai abhi le ke aati hun. Ye kehke Zara chali jati hai Wanha se. Aab Rohan ki sans mai sans aata hai aur wo normal hota hai.
Ruhi : bhai kya hua hai apko?
Rohan : yaar jab usne mere hath mai apna hath rakha to mera dil bahar aane wala tha. Pata nahi kya hua mujhe yesa kabhi maine mehsus nahi kiya hai. Mujhe lagta hai ye ladki mera jaan hi le legi.
Ye saab kehke Rohan ne apna hath apne dil pe rakh deta hai aur ye harkat aur baate sunke Ruhi jor jor se hasne lag jati hai, pata nahi Ruhi kitne saalo ke baad yesi hassi thy.
Ruhi : bhai apne to mujhe dara hi diya tha, mujhe laga pata nahi kya ho gaya apko, per apko to kuch aur hi ho gaya hai.
Rohan : konsi bimari hai Ruhani ye jo Zara ki chune se hi ho jata hai.
Ruhi, Rohan ki baato se aur bhi jyada hasne lag jati hai. Abhi wo Haas rahi thy ki Raj bhi aajata hai. Ruhi ko yese haste huye dekh ke wo bhi bahut khus hota hai. Rohan jaab Raj ko dekhta hai to wo bhi uske paas aajata hai.
Ruhi bhi Raj ko dekhke uski hassi ko rok leti hai per aab uske chehre pe gussa aagaya tha.
Rohan bhi Raj wo saab batata hai jo usne abhi abhi Ruhi ko bataya tha, Rohan ka baate sunke Raj bhi dil khol ke hasne lag jata hai. Raj ko yese haste dekh ke Ruhi ki gussa thoda kaam hota hai aur usko ek sukun milti hai.
Rohan : tu pehle hasna band kar aur ye bata ki tu yanha kya kar raha hai? Tujhe to aaj pura din aram karna tha.
Raj : wo chod pehle ye bata ki project ka kaam kaha tak hua.
Rohan : maine project report ready kar diya hai.
Ruhi (gusse se) : maine statistics set kar diye hai.
Zara aati huyi maine design and blueprint ready kar diya hai.
Ruhi (gusse se) aab baas final report hi baki reh gaya hai.
Raj ne ek pendrive Ruhi aur kar ke, "ye raha final report".
Saab heran tha ki raj ne ye kaab kiya jab ki hamne to abhi abhi complete kiya hai kaam.
Rohan : to iss liye sare kaam ka report mang raha tha kaam ke sath sath, per tune ye kiya kab? Aagar tune ye complete kar liya hai matlab tune bilkul bhi aram nahi kiya hai.
Rohan ki baate sunke Ruhi ka jo pehle gussa tha wo aab satve Ashman ko chu gaya tha.
Raj : mai aab bilkul thik hun aur ye kaam abhi raste mai aate aate hi kar liya. To aab project complet hota hai. Ye lijiye miss Ruhani isko submit karwa dijiye. Fir pendrive Ruhi ko de deta hai Raj.
Raj : to Rohan ja jara Zara ko ghuma la.
Rohan aur Zara dono : what!!!!!!!
Raj : aare mera matlab hai Mumbai ghuma de, Zara pehli baar mumbai aayi hai na isliye. Aur kaam to complete ho gaya hai aagar kuch bach bhi gaya hai to wo mai dekh lunga.
Rohan (mann mai) : ye pagal ho gaya hai, maine usse bataya hai ki Zara ke sath mujhe kya ho jata hai fir bhi....
Mai baas Zara ko mumbai dikhane per dhyaan dunga, baas aur kuch bhi nahi....Rohan khud ko hi samajha raha tha ki usse kya karna hai.
Jaab Rohan ke taraf se koi answer nahi milta to Zara Rohan ke paas aake, "to chale Mr. Rohan".
Rohan : han chalo chale.
Fir dono chale jate hai, aur Raj un dono ko dekh ke muskura raha tha. Aur Ruhi Raj ke bilkul piche khadi thy jese hi Raj ghumta hai to dekhta hai ki Ruhi uske samne bilkul gusse se laal hoke khadi thy.
Magar Raj, Ruhi ko ignore karke apne seat pe aake beth jata hai. Ruhi kuch bolne hi bali thy ki Raj alne phone nikal ke kisise baate karne kag jata hai to Ruhi bhi nahi bolti kuch.
Ruhi (mann mai) : mujhe...mujhe ignore kar rahe hai. Samajhte kya hai apne aapko, boss hai to kuch bhi kar sakte hai, halat dekhi hai khudki abhi bhi kamjor lag rahe hai aur ankho se lag raha hai ki nind bhi puri nahi huyi hai. Aur to aur mujhe lagta hai ki medicine bhi nahi li hai, aur Patti bhi nahi badli hai.
Raj ne jaab dekha ki Ruhi usse hi dekh rahi hai wo bhi gusse mai to wo jyada Haas Haas ke bate karne laga, thodi der baad call cur kar diya.
Jaab call cut hua Ruhi kuch bolne hi wali thy ki Raj ne usko kuch bhi bolne ka mouka hi nahi diya.
Raj : mujhe black coffee chahiye aur project submit kar diya apne?
Ruhi (full gusse mai) : baas karne ja rahi hun, aur mai koi apki personal secretary nahi hun ki aap mujhe apka personal kaam karne ke liye keh rahe hai.
Raj : miss Sharma maine apko ye nahi kaha hai ki aap mujhe coffee lake de, maine baas ye kaha hai ki mujhe coffee chahiye. To aap bahar jake peon ko bol de that's all aur please jake project submit kar dijiye iske baad aap ghar ja sakti hai.
Ruhi (full gusse mai) : itni si baat ke liye aap mujhe job se nikal nahi sakte Mr. Rajveer Singh.
Raj apna pura naam Ruhi ke munh se sunke bahut jyada khush hua per apna khushi apne chehre pe aane hi nahi diya.
Raj : my dear branch manager pehle aap relax ho jayiye. Mai aapko job se nahi nikal raha hun baas apko half day de raha hun. Kyun ki Rohan aur Zara ke jese apne bhi bahut hard work kiya hai.
Aab jake Ruhi ko apni galti ka yehsas hota hai, jaab Ruhi wapas Raj ke taraf dekhti hai to Raj bina kisi bhaw ke apna laptop pe kuch kar raha tha.
Ruhi : am sorry sir..wo..
Raj : pehle ja ke project submit kijiye.
Ruhi ne dekha ki raj bahut jyada serious hai, to Ruhi ko Rohan ki baat yaad aagayi Raj hamesha kaam pehle karta hai.
Ruhi jaldi se apne cabin aagayi aur apna kaam karne lag gayi jaab sab kuch khatam kar diya to wo apne seat pe apna sar laga ke ankhe band kar li. Raj kahi ja raha tha to uski najar Ruhi pe pad gayi to wo dhire se Ruhi ke cabin mai aagaya aur uske samne wala sear pe beth gaya.
Achanak bahar se kuch awaj aayi to Ruhi ki ankhe khul gayi per abhi tak Raj wo nahi dekhi thy wo apne seat se uth ke khidki ke paas ake khadi ho gayi aur Raj bhi uske piche aake khada ho gaya.
Thodi der baad jaab Ruhi wapas mudi to Raj bilkul uske paas khada tha...
Ruhi : si..sir aaaaap yanha!!!!
Raj : miss Ruhani mai puchne aaya tha ki....
Ruhi : project report maine mail kar diya hai sir, kal tak uska result aajayega, aur kuch hai sir.
Ruhi ne ye saab ek hi sans mai keh diya. Raj dekhta hai ki aab bhi Ruhi gusse mai hai.
Raj : miss Ruhani, aab aap ghar jake rest kar sakti hai, jo kal meri wajah se apni nind kharap huyi hai uske liye sorry aur meri madat karne ke liye thanks.
ye kehke bina Ruhi ke jawab sunke Raj cabin se bahar nikal ke chala jata hai. Aur Ruhi bhi gusse se apna purse utha ke ghar chali jati hai.
Bahot behtareen zaberdast shaandaar update
 

Naik

Well-Known Member
21,584
77,470
258
Update 15

Ruhi to chali jati hai gussa hoke, chaliye ham Rohan aur Zara ke taraf chalte hai,
Idhar Rohan baas car chala raha tha, na hi Zara se baat kar raha tha na ki usse dekh raha tha. Jaab Zara ne yesa kafi time tak notice ki to akhir kar wo Rohan se puch hi liya.
Zara : ham kanha ja rahe hai Rohan.
Rohan : sabse pehle dargah pe…
Zara : gadi roko Rohan…
Rohan : hua kya…
Zara : hamne kaha gadi rokiye Rohan…
Zara ke yese jor se chilane se Rohan gadi rok deta hai aur Zara ke taraf dekhne lagta hai.
Rohan : kya hua Zara…
Zara : ham in kapdo mai dargah pe thodi hi jayenge, aap pehle kisi mall mai car le chaliye wanha pe kadpe badal lenge uske baad jayenge.
Rohan : hmm thik hai, apne to dara hi diya tha hamme, maine issliye pehle nahi kaha tha kyun mujhe laga aap bura na maan jaye.
Zara : it's ok Rohan, har koi jo mujhe nahi janta hai wo ye soch ta hai ki mai kaffi gusse wali hun.
Rohan : ek baat bolu, aap bilkul bhi gusse wali nahi ho, maine ye baat apki kapde ko judge karke nahi kaha hai. Kapdo ke liye issliye nahi kaha kyun ki aap in kapdo mai free rehti hai to...
Zara : to apne ye kyun kaha ki mujhe bura lagega.
Rohan ne car rokh di aur iss sawal ka jawab na diye hi, "ham pahunch gaye hai mall, aap chaliye mai car park karke aata hun".
Zara : ji, ye kehke Zara mall ke ander jane lagti hai aur Rohan car parking karne ke liye.
Udhar Ruhi gusse se lift se niche jane lagti hai apne aap se badbadate huye,
Ruhi : samajh te kya hai apne apko, kuch bhi karenge, hamesha apna hukum chalate rehte hai. Mujhe kya jo marji kare.
Fir Ruhi apne purse mai apna mobile dhund ne lagti hai jo ki nahi milti hai usse, aab ye kanha gaya, saab pareshan kar rahe hai mujhe aur aab ye bhi baki tha ye bhi kar raha hai. Kanha rakha tha mai? Han Rajveer sir ke cabin mai reh gaya hai sayad jaab kaam kar rahi thy.
Per mujhe unko fir se nahi dekhna hai, mere sath hi kyun ho raha hai ye sab. Fir wapas Ruhi Raj ke cabin ke aur chal deti hai, jaab cabin ke ander jati hai to Raj nahi tha cabin mai,
Ruhi : thank god Raj sir nahi hai, chal jaldi se apna phone dhund aur nikal yanha se.
Fir Ruhi apna phone dhund ne lag jati hai, jaab Ruhi phone dhund rahi thy taab Raj bhi aajata hai apne cabin mai. Raj jaab cabin mai ghusta hai to Ruhi ko dekhta hai jo kuch dhund rahi thy.
Raj : aap gayi nahi abhi taak.
Ruhi : han wo mera phone yanhi reh gaya tha to....(Ruhi bina Raj ko dekhe hi bol deti hai, per jese hi usse yehsas hota hai ki Raj uske piche khada hai to wo thodi tension mai aajati hai)
Ruhi (dhire se) : hey bhagwan ye kya hai, maine abhi aapko kaha tha ki mujhe inki sakal nahi dekhni hai per aap to meri baat sunte hi nahi ho...
Raj bhi kaam nahi tha, jaab Ruhi apne aap me thy Raj Chalke Ruhi ke paas aakar khada ho gay aur uske kan ke paas ja kar bol deta hai,
Raj : thoda jor se bologi to bhagwan sunega na, aur ye lijiye mera phone call kar ke dekh lijiye kanha per hai aap ka phone.
Ruhi : per sir, mai apka phone, kese...
Raj : agar tum ye soch rahi ho ki mai ye saab tumhara number lene ke liye kah raha hun to ye raha landline, iss per call kar lo...
Ruhi : nahi nahi sir mera ye matlab nahi tha mujhe aap pe bharosha hai, aap apna phone dijiye...
Raj muskurate huye uska phone Ruhi ko de deta hai. Ruhi call karti hai to sofe ke niche se hi call ki awaj aati hai.
Raj : mai utha ke deta hun.
Jese hi Raj phone uthake uthne ko hua forse uska sar fir se takrane wala tha to Ruhi ne apna hath aage kar ke raj ko bacha leta hai.
Ruhi : dhyaan se sir, lagi to nahi aapko?
Raj : nahi Ruhani tumne bacha liya fir se aur mujhe tum se kuch kehna tha.
Ruhi : ji sir boliye.
Raj : Ruhi paas jate huye, mujhe lagta hai Ruhani.....
Ruhi : kya lagta hai sir apko.....
Raj : mujhe lagta hai..ki...
Ruhi : kya lagta hai sir...boliye bhi....
Raj aab bilkul uske karib tha baas dono mai kuch hi inch ka phasla tha dono baas ek dusre ke ankho mai dekh rahe thy, Raj to normal tha per Ruhi ke pasine chut rahe thy, Raj ke itne karib hone pe,
Ruhi : ss...ssssi.....siiirrrr..boliiiye...kkkyaaa...laaagggta...haaiii...aaapppko...mmmuujjhhheee...jaaannnaaa...bbbbhhhiii hhhaaaaiii.....
Raj : mujhe lagta hai ki Rohan aur Zara dono hi ek dusre ko pasand karte hai.
Raj itna kehke Ruhi se dur haat jata hai aur apne seat pe jake bethke hasne lagta hai.
Ruhi ki halat dekhne wali thy, wo thoda normal hone ke baad apna phone leke bina kuch bole hi nikal jati hai.
Raj apna laptop nikal ke lift ka camera on kar deta hai janha abhi Ruhi thy. Ruhi fir se khud se hi baate kar rahi thy.
Ruhi : ye kya tha? Mujhe kya ho raha hai sir se mile huye baas do hi din huye hai per pata nahi kyun yesa lagta hai ki saalo se janti hun unhe, per aaj jaab wo mere itne paas thy to mujhe kya ho gaya tha kyun maine unhe hataya nahi, Ruhi apne chehre ke hath rakh ke dekh rahi thy ki itne karib thy wo mere, nahi nahi itne, han itne karib hi thy.
Raj baas ye saab dekh ke Haas raha tha kyun jo Ruhi kisi se bina matlab baat nahi kar rahi thy wo aaj khud se hi baate kar rahi hai, aaj usse Ruhani mai uski Ruhi ki jhalak dikhayi di hai.
chaliye inhe yanhi chodiye ham chalte hai Rohan aur Zara ke taraf...
Zara Rohan ko bhi mall mai sath hi le jati, kyun Rohan babu mana kar rahe thy ki wo nahi jayenge tum khud jao aur shoping kar ke aajao. Kyun uska khud ka reason tha per Zara kanha manne wali thy wo bhi usko le hi gayi.
Mall mai jake Zara char, panch dress pehen ke dekh li thy per Rohan ko koi pasand hi nahi aaraha tha. Fir Rohan ne khud hi ek dress pasand ki aur Zara ko de diya try karne ke liye. Aur Zara ne bhi kuch nahi kaha aur wo dress leke trial room mai chali gayi.
Jaab Zara dress pehen ke bahar aayi to baas Rohan usko dekta hi reh gaya, wo aab bahut jyada khubsurat lag rahi thy. Zara ne ishara se hi pucha ki wo kesi lag rahi hai to Rohan kuch bolne se pehle hi wanha paas mai khada ek ladka bol padta hai,
Ladka : kya pataka lag rahi ho yaar, kasam se....
Rohan ko to bahut gussa aaya uss ladke ke per per wo kuch bolne se pehle hi Zara bol padi,
Zara : acha, chal ye bata tu yanha kar raha hai ladies section mai tujhe bhi yesa pataka banna hai lagta hai, aur tujhe dekh kar lag raha hai ki abhi tu to fuljhadi banne ke layak bhi nahi hai. 19-20 saal ka hai aur bate puri taporiyo bali, kyun?
Us ladke ki yesi bejati ke baad wo bhagne ki siwa aur chara tha hi nahi to wo wanha se bhag gaya, aur Rohan to baas Zara ko munh fade dekh raha tha. Fir sambhal ke Zara ke paas aajata hai to Zara ka dil joro se dhadakne lag jati hai.
Rohan : to chale mohtarma ya fir yanhi per kisi ko mujhse aap pitwane ka irada hai.
Zara Rohan ki baate sunke sarma jari hai kanhi na kanhi Zara bhi Rohan ko pasand karne lag gayi thy. Aur han mai apna sar hila ti hai.
Rohan chalte chalte dekhta hai ki saab ladke Zara ko hi dekh rahe hai to Rohan Zara ka hath pakad leta hai, Zara jaab Rohan ki taraf dekhti hai to Rohan samne dekhne lagta hai jese kuch hua hi na ho.
Dono car mai beth ke nikal jate hai dargah ke liye.
car ke ander....
Zara : wese apna mara hath kyun pakda tha Rohan.
Rohan : jese pure mall ke ladke tumhe ghur rahe thy to unhe bhi pata chalna chahiye tha ki tum akeli nahi ho mai tumhare sath aur aab kuch aur maat puchna.
Zara Rohan ki baate sunke muskura kar bahar dekhne lagti hai.
Zara (mann mai) : kisine bhi aaj taak hamari itni parwah nahi ki aur aap to kal hi mile ho phir bhi itni parwah..itne ache kyun ho aap?
Dono khamoshi ke sath dargah pe pahunchte hai aur car se bahar nikal ke dargah ke ander jane ke liye chal dete hai.
Zara se apna dupata nahi sambhala ja raha tha. Rohan ne khud ko roke rakha tha per aab usse aur dekha nahi gaya to wo Zara ko rok ke uska dupata thik karke sar pe rakh diya aur aage chalne laga Zara to baas Rohan ko hi dekh rahi thy. Fir Zara bhi Rohan ke piche piche chalne lag jati hai.
Dono mil ke dargah pe dua mangte hai aur sayad dua mai ek dusre ko hi manga tha.
Bahar aakar dono car ke taraf chal dete hai per jaab Rohan car mai beth ta hai to Zara uske sath nahi tha to usko tension hone lagi aur Rohan aas paas Zara ko dhundne lag gaya bilkul pagalo ki tarah.
next update mai dekhenge ki Zara akhir kar gayi kanha?
Bahot behtareen shaandaar update
 

Naik

Well-Known Member
21,584
77,470
258
Update 16
Chaliye ham pehle Ruhi aur raj ke paas hoke aate hai taab tak ke liye Rohan ko Zara ko dhundne dete hai.
Ruhi ke jane ke baad Raj bhi apne ghar wapas aajata hai, aur ghar pahunch ke apne kamre mai chala jata hai, aur apna dairy nikal ke kuch likhne lag jata hai.
Raj in dairy….
Aaj jaab wo mere paas thy to uski sanso per bhi mera naam tha mujhe yese lag raha tha, aur kabhi lagta hai ki paas reh ke bhi wo mere paas nahi hai, aur kabhi kabhi yese lagta hai ki dur reh kar bhi paas hai.
Kuch to hai ham dono ke darmiyan mai jo dur reh kar bhi Jude huye hai, warna aaj kal to log baas ek dusre ko tode huye hai.
Raj ne 6 saalo baad aaj apni dairy fir se lekhi thy. Wo hamesha Ruhi ko soch kar hi likhta tha sayad aaj usse apni dairy likhne ki wajah fir se mil gayi thy.
Udhar rohan halat kharab ho gayi thy, wo bahut jyada tension mai idhar udhar ghum raha tha, per akhir kar Zara usse mil hi gayi per kanha, zyada tar ladkiyo ki weakness gol gopa (pani puri, water ball aap jo bhi keh lo). Zara bade aram se wanha khade hoke baas Khaye ja rahi thy. Jaab Rohan ne usse dekha to wo bhag ke uske taraf chala gaya.
Rohan : tum...tum mujhe bata kar to aa sakti thy. Pata hai mai kitne tension mai aagaya tha, apni nahi to mera to jara soch leti. Wo baas hanfte huye jo bhi munh aaye wo Zara ko suna raha tha.
Zara : Rohan sorry na..mujhe gol gopa bahut jyada pasand hai maine jese hi ye dekha to aagayi khane ke liye, maine to kha liya hai aap bhi kha lo bahut tasty hai, ye last wali baat Zara bahut pyar se aur cute andaj mai boli thy.
Rohan to flat ho gaya aur uska sara tension ek pal mai chu ho gaya.
Rohan : nahi, aap ka ho gaya hai to chale, hamme abhi ek aur jagah jana hai to chale.
Zara : ji hajur, jesa aap kahe, ham to baas aapke dikhaye raste pe hi chalenge.
Rohan ne dekha ki Zara baar baar apna dupata thik kar rahi thy, to usko car mai bethne ke liye kehke wo kahi chala gaya. Aur Zara bhi car mai jake beth gayi aur Rohan ka intezar karne lagi.
Thodi der baad Rohan bhi aajata hai aur car mai beth jata hai aur ek chota sa bag Zara ke taraf kar deta hai.
Zara jese hi bag mai dekhti hai to uske ander ek scarf tha.
Zara : ye kis liye….
Rohan : aab tum isse apne dupate ki jagah pehen lo thodi comfortable ho jaogi wese bhi dupata kuch jyada hi bada hai.
Ye bol ke Rohan dusre tarf munh karke hasne lagta hai. Zara bhi dupata nikal ke scarf sar mai dal leti hai.
Rohan Zara ko dekhta hai fir baas smile karke car chalane lagta hai.
Zara : wese aap haas kis khushi mai rahe thy?
Rohan : aab tumhe dekh kar lag raha hai Zara hi ho, tumhe tumhara hi style suit karta hai.
Zara : to kya mai achi nahi lag rahi thy?
Rohan : nahi nahi tum bahut achi lag rahi thy aur aab bhi lag rahi ho per aab tum comfortable ho gayi ho taab nahi thy.
Dono fir yese baate karte karte Marin drive jate hai aur patharo per beth jate hai.
Rohan : ye mera aur Rajveer ka favourite jagah hai. Mujhe yanha wanhi le kar aaya tha. Jaab bhi ham dono mai se koi bhi dukhi ya udas hota tha to ham yanha aajate thy. Ham dono ko yanha aake ek alag hi sukun milti thy.
Zara to baas Rohan ko hi dekh rahi thy aur Rohan lehero ko. Yese hi bethe bethe sham ho jati hai to dono wapas ghar aajate hai. Zara bahut khush thy jo Ruhi ne dekh liya jaab Zara ghar mai aayi taab.
Fir dono thodi bahut baate karte fir raat ko khana khake so jate hai.
Per Ruhi nahi, Ruhi raat ko bahut sochti hai ki Rajveer sir ko message karu ya na karu. Ruhi bahut sochne ke baad Raj ko ek message kar hi deti hai.
Message mai…..
Ruhi : hello sir, kesse hai aap?
Raj ne Ruhi ka number save kar liya tha uske jane ke baad. Jaab wo Ruhi ka message dekhta hai to wo bed pe khada ho jata hai. Per uska mood to Ruhi ko pareshan karne ka tha isiliye,
Raj : tum kon ho?
Ruhi (mann mai) : kya inhone mera number save nahi kiya? Per wo karenge bhi kyun aur mujhe gussa kyun aaraha hai iss baat ke liye. Fir bhi usne message kar hi deti hai,
Ruhi : sir mai Ruhani Sharma.
Raj : ooo..miss Sharma, hello, apne pucha tha na mai kesa hun to mai thik nahi hun.
Ruhi : tension mai aake, kyun kya hua sir..mai apke ghar aajaun, apko doctor ke paas jana hai..najane kitne message kar deti hai.
Raj ko bada acha lag raha tha yesa Ruhi ka care karne apne liye.
Raj : apna finger cross kar ke, baas mobile per chat karte karte sar dard kar raha hai kya ham call pe baat kar sakte hai.
Ruhi : thik hai sir.. mai apko call karti hun aap baas rest kijiye.
Fir chat band kar dete hai aur Ruhi Raj ko call karti hai, aur Raj to baas mouke ki talas mai tha to usne ek hi ring per call utha leta hai per baad mai usse yehsas hota hai ki Ruhi kya sochegi uske baare mai.
Ruhi : hello sir, aap thik to hai na.
Raj (dhire se) : khud bimar karke khud hi haal puch rahi ho.
Ruhi : kya hua sir, aap bolte kyu nahi hai sir.
Raj : han han mai thik hun.
Ruhi : sir mujhe apse kuch jaruri baat karni thy.
Raj : ji boliye.
Ruhi : sir pehle mujhe baas bhai ki taraf se hi lag raha tha ki wo Zara ko pasand karte hai per aaj jaab maine Zara ko dekha to wo bhi bahut khush thy bhai ke sath.
Raj : ye baat to mai janta hun, dono ek dusre se pyaar karte hai.
Ruhi : sir mai pasand karne ki baat kar rahi hun aur aap pyaar tak pahunch gaye, itni jaldi thode na pyaar hota hai.
Raj : Ruhani pyaar to ek paal mai ho jata hai baas apko uska yehsas deri se hota hai aur pyaar kuch soch samajh kar nahi hota hai ya koi time dekh ke nahi hota hai wo to baas ho jata hai.
Apne dekha jis ladke ne aaj tak kisi ladki ko hath tak nahi lagaya hai, Zara ke hath lagane se uska dil ke dhadkan tez ho jata hai, aur jis ladki hamesha ladko se dur bhagti rehti thy wo kal ke mile Rohan per bharosha kar leti hai aur mere ek baar kehne pe hi bina kuch soche Samajhe Rohan ke sath chali jati hai.
Ruhi : to apne jaan bhuj ke dono ko sath bheja tha?
Raj : han, mai Rohan ka dil ka haal samajh gaya tha to baas Zara ka dil haal dekhna tha kyun ki usko ghumna bilkul bhi pasand nahi hai jaab mai usse kisike sath jane ka kehta hun to hamesha mana kar deti hai per iss baar yesa nahi hua.
Ruhi baas chup chap Rohan ki baate sun rahi thy. Jaab Ruhi ke taraf se kuch answer nahi aaya to,
Raj : Ruhani..aap sun to rahi ho na..ya mai akela hi bole ja raha hun.. Ruhani…
Ruhi : ji…ji..sir mai sun rahi hun..baas yanhi soch rahi thy ki apne kesse mere har sawal ka jawab de diya..aur jo duniya aap ke bare mai kehti hai ki aap baas business karna jante ho, logo (people) ki feelings nahi samajhte, to wo saab bilkul galat hai.
Raj haste haste : Ruhani mere bare mai jyada maat sochiye, mujhe koi bhi farak nahi padta hai ki mere bare mai koi kya soch raha hai, jo mujhe jante hai unhe pata hai ki mai kessa hun.
Ruhi : han sir, sayad mene bhi apko galat hi samajh ta tha.
Raj : aur han miss Ruhani wo kaal mujhe jaab chot lagi thy taab aap kuch bol rahi thy ki mai akdu, rude, aur…yaad nahi aaraha hai aur kya kaha tha apne?
Ruhi Raj ke bato se ghabra jati hai aur call cut karne ke liye.
Ruhi : sir mujhe nind aarahi hai, bye good night.
Raj : bye miss Sharma good night.
Ruhi : take care sir and get well soon.
Raj : thank you, bye sweet dreams..
Ruhi to call cut kar deti hai per usse Raj ki baate reh reh ke yaad aarahi thy, jo pyar ke bare mai Raj ne kaha tha.
Ruhi (mann mai) : koi pyaar ko itna kese samajh sakta hai aur kitni asani se wo ye saab bol rahe thy…
Fir Ruhi apne yaadon mai chali jati hai,
Jaab uske Palak ko Raj ke baare mai bataya tha to agle hi din palak ne Raj ke baare mai school se sab kuch pata kar liya tha.
Palak : ek anath se mera best friend kesse pyaar kar sakti hai, wo to bahut bholi hai nahi manegi mujhe hi kuch karna padega, warna sara school mujh pe hasse ga ki Palak ki best friend ko ek anath ladke se pyaar ho gaya hai.
Nahi hone de sakti ye mai, mujhe uss Raj ko Ruhi ke nazron se girana hoga, per kese?
Fir Palak ne apne kuch dosto se mil ke ek plan banati hai.
Bahot behtareen zaberdast shaandaar update
 

Naik

Well-Known Member
21,584
77,470
258
Update 17
Next day se Raj busy ho gaya kaam mai aur uske sath sath busy ho gaye Rohan, Zara aur Ruhi bhi. Haar koi nayi company ki project ke liye busy ho gaye thy. Kyun ki raj ke reputation dekh kar bahut se project mil gaye thy. Dekhte dekhte ek mahina ho gaya tha. Zara Rohan kuch kehte nahi thy ek dusre ko per dono ke hi ankho mai ye dikhta tha ki wo dono ek dusre se pyaar karte hai, per abhi tak ye manne nahi thy.
Idhar Raj aur Ruhi ki kahani hi alag chal rahi thy, kisiko nahi pata chalta koun kab kis se gussa ho jaye, dono hi choti choti baato per bhi lad padte thy aur Ruhi hamesha Raj ka gussa dekh kar chup ho jati aur baad mai Raj khud hi shant ho jata hai.
Pure office ke staff ne in dono ke naam rakh diya tha Tom & Jerry, per koi bhi inke samne ye kehne ki himmat nahi karte thy. Per iss bich ek kaam sayad acha hua Ruhi Raj pe bharosha karne lag gayi thy.
Raj bhi hamesha kisina kisi ki madat karta rehta tha jo ki Ruhi ko bahut acha lag raha tha.
Jis din tender Khulna tha uss din Raj aur Ruhi dono hi sath mai gaye. Per Raj ko ek call aagaya to usne Ruhi ko uss jagah jane ke liye bol ke khud bahar ki aur chal diya call attend karne ke liye.
Tender Raj ke company ko hi mili, per pure meeting ke douran ek admi baas Ruhi ko hi ghure ja raha tha. Meeting khatam hone ke baad saab lunch karne chale gaye aur Ruhi Raj ka intezar kar rahi thy, itne mai wo admi Ruhi ke paas aagayi.
Admi : hey beautiful, I am Manav Chopra, tum jesi ko to mere paas hona chahiye.....
Ruhi to uski baate sunke bahut gusse mai aagayi : excuse me, kya mai apko janti hun, nahi na to yanha se chale jayiye.
Manav : are baby gusse mai to aur kamal lagti ho, tum yanha jiske bhi sath aayi ho usse jyada hi salary dunga aur khyal to mai khud hi tumhara rakhunga, baas ek baar han to bolo.
Manav ko ye nahi pata tha ki Ruhi, Rajveer Singh ke sath aayi hai agar ye pata hota to sayad uski ye saab bolne hi himmat hi nahi aati.
Tabhi Raj bhi ander aajata hai aur sidhe jake Ruhi ke paas khada jata hai. Aur wo sari baate bhi Raj sun liya tha. Aur ek message bhi kar diya.
Raj : to Mr. Chopra aab aap meri company ki manager ko khari denge.
Ruhi Raj ko dekhti hai jo Manav ko dekh ke muskura raha tha aur ye Ruhi ko samajh nahi aaraha tha ki kyun.
Manav ki to Raj ko dekh ke hi bolti band ho gayi thy aur last wali baate sunke meri company ki manager aur bhi band ho gayi.
Manav : sss..ssorry..sir..mujhe..nn..nahi pata tha ki ye aap ke sath hai…wo..mai…
Tabhi manav ka phone bajta hai, jo ki baas Raj ko hi dekh raha tha.
Raj : utha lijiye koi jaruri baat hogi.
Manav jaab phone utha ta hai aur jo baate sunta hai uska sabse bada jhatka lagta hai, wo baas kya…kya per ..ye kese….yanhi bolta rehta hai.
Fir call cut hone baad manav baas dar ke Raj ko hi dekh raha hota hai jo abhi bhi muskura raha hota hai.
Manav : sir..apne..meri…
Raj : aaj se apki Company meri huyi..80% share mere hai aab..
Manav : per sir….
Raj : apne meri manager cum meri dost ko kharidna chaha aur maine apki company hi kharid li, wese 20% aap ka hi hai jo ki aap kabhi bhi gawa sakte hai fir se yesi koi harkat ki to..aab jayiye.
Manav apna munh niche karke chala jata hai aur Ruhi to baas Raj ko dekhe ja rahi thy.
Ruhi : sir mere liye aapko ye saab karne ki jarurat nahi thy.
Raj : maine jo kiya baas apne liye kiya Ruhani.
Ruhi baas herani se Raj ko dekh rahi thy.
Raj : yaar dekho, Chopra ki company ke design popular hai yanha per to aab jaab ye news hogi ki AR Groups (Raj ki company ka naam) ne ye company hi take over kar li hai to haame hi fayeda hai.
Aur dusri baat mai apne kisi bhi dost ki insult bardast nahi karta.
Ruhi baas raj ko dekh rahi thy aur soch rahi thy ki sir hai kya cheez. Raj ne muskurate huye Ruhi ke taraf hath badha ke, to ho na meri dost?
Ruhi ne bhi smile kar te huye sar ko han mai hilati hai aur Raj ki hath milake uske dosti ko accept kar leti hai.
10 din baad Rajveer ki company ki success party ka time aagaya. Saab log bahut khush thy.
Ruhi ko kabhi kabhi lagta ki Rajveer hi uska Raj hai per uska gussa dekh kar wo bhi sochti hai ki uska Raj ko kabhi gussa nahi aata, per Ruhi ko hamesha ek apnapan mehsus hota hai jaab bhi wo Rajveer ke paas hoti hai taab.
Success party day….
Sara office aachuka tha baas sabko apne seniors ki hi intezar tha. Jese hi Raj aur Rohan ki entry hoti hai ladkiyo ki dhakan hi ruk jati hai, dono lag hi rahe thy itne handsome, dashing, smart and hot. Sare ladke baas dono se hi jal rahe thy kyun na jale sabhi ladkiya to baas in dono ko hi dekhne lagi thy.
Per Raj aur Rohan ka to nazar baas dono ko hi dhund rahi thy.
Rohan : yaar ye dono hai kanha, phone bhi nahi utha rahe hai.
Isse pehle Raj jawab deta stage ki light chod ke baki sari lights off ho jati. Aur stage ke niche se Ruhi ki awaj aati hai aur wo stage ke upar ja rahi thy
Ruhi : good evening everyone, aap sabhi ko AR Groups ke success party mai swagat hai. Ye saab baas apki hi kadi mehnat ka hi natija hai jo hame ye project mila aur successfully work bhi chal rahi hai. Ye kehte kehte Ruhi stage ke upar chali jati hai.
Aur yanha Raj ka dhadkan hi ruk jati hai, kyun Ruhi ne bhi wese hi matching pehni huyi thy jo ki Raj ka tha. Matlab kahe to Raj aur Ruhi ka dress ke colour same thy jese ki ek couple ke hote hai.
Abhi Ruhi hi aayi thy ki ek aur awaj aayi aur ye thy Zara ki,
Zara : to aap sabhi ko meri aur Ruhi ke taraf se bahut bahut badhayi aur ek chota sa performance aap sabhi ke liye. Ye kehke Zara bhi stage ke upar aagayi.
Aur iss bar Rohan ki jaan atak gayi. Kyun ki wo bhi Rohan ki hi matching mai pehni hoti hai kahe to ye bhi couple ke tarah hi thy.
Rohan aur Raj to baas Ruhi aur Zara ko dekhe ja rahe thy, wo lag bhi yese rahe thy kafi khubsurat jeese koi pari aaj utar aayi ho.
Rohan Raj ke kaan ke paas : yaar ye aaj ham dono ki jaan nikalne aayi hai sachi…
Rohan ki baate sunke Raj Rohan ko ghurne lagta hai.
Rohan : ghur kyun raha hai mera to Zara ko dekh kar dil hi rukhne ko ho gaya hai aur mujhe pata hai tere hal bhi kuch wesa hi hoga Ruhi ko dekh ke.
Raj Rohan ki munh ko band karke samne kar deta hai.
Raj : dil baad mai rok lena pehle samne dekh kya chal raha hai.
Tabhi stage pe gana bajne lagta hai aur Ruhi aur Zara dance karne lag jati hai. Sabhi logo ne dono ke dance dekhke apne aap hi dance karne lag jate hai. Dono hi bahut ache se dance kar rahi thy. Jese hi gana khatam hua to saab once more..once more..bolne lage.
Per Ruhi aur Zara ne sabka sukriya aada kar ke niche aagaye aur baki ka event suru ho gaya. Dono Rohan aur Raj ke paas aagayi. Ruhi to bhag kar Rohan ke gale lag gayi. Sach mai aaj Ruhi dil se khush lag rahi thy.
Ruhi : kesa laga bhai performance…
Rohan to baas Zara ko hi dekhe ja raha tha, to Ruhi ne usse hilake usko hakikat ma le aayi,
Ruhi apne eye brows ko upar utha ke : bhai, bhai aapne meri dance dekha bhi tha ya kisi aur ko hi dekhne mai lage thy.
Ruhi jaan bhuj ke gusse hone ka acting karti hai, to Rohan Ruhi ka chera apne hath mai leta hai aur mathe pe kiss karta hai.
Rohan : meri behen ne aaj sab ko heran kar diya hai sach mai aaj tu bahut achi lag rahi hai aur bahut achi dance bhi kiya, aaj mujhe laga ki meri behen shadi ke layak ho gayi hai.
Ye last wali baat Rohan baas Ruhi ko chidane ke liye keh gaya tha aage kya hoga ye usse bhi nahi pata tha ki acha hoga ya bura.
Rohan itna bol kar hasne lagta hai per Ruhi gusse se Rohan ko marke wanha se chali jati hai, jesse ki Ruhi ko Rohan ki last wali baat pasand nahi aayi. Raj bhi Ruhi ke paas jane lagta hai to stage pe usko bula lete hai.
Raj stage pe jake sabhi ko thanks kehta hai aur ek chota sa speech bhi deta hai aur niche aajata hai fir sabhi log masti karne lagte hai. Rohan to Zara ke sath ek chota sa couple dance bhi Kar liya. Per Raj to Ruhi ko hi dhund rahi thy jo ki kanhi bhi nazar nahi aarahi thy to Raj ne pura resort hi khoj liya per Ruhi kanhi bhi nahi mili.
Bahot behtareen zaberdast shaandaar update bhai
 

Naik

Well-Known Member
21,584
77,470
258
Update 18

Raj har jagah dhund ke jaab pool side chala jata hai to wo Ruhi ko dekta hai jo apni pair ko pani mai dale huye bethi thy. Raj jake uske paas khada ho jata hai. Jaab Ruhi ko ahat aati hai to wo dekhti hai ki Raj uske paas aake khada hai usko ek nazar dekh ke aage ke taraf dekhne lagti hai.
Raj : yese kya dekh rahi ho…
Ruhi kuch nahi bolti baas Raj ko dekhti hai aur fir aage dekhti. Yese kayi baar hone ke baad Raj ko kuch shak hota hai to wo Ruhi ke aur karib jake smell karta hai.
Raj : tumne kuch piya hai kya?
Ruhi : han..na..han…na..han..maine na ek bahut yummy juice pi thy, usse pine ke baad bada maja aaraha hai abhi aur ye bolke wo hasne lagti hai.
Raj : Ruhani tum thik to ho na..(mann mai; ye Ruhi ke paas se to vodka ki smell aarahi hai aur mera jo khyal hai hamara company vodka order nahi kiya hai, to Ruhi ko vodka kisne di hai, mujhe pata lagana hoga, per usse pehle Ruhi ko sambhalna hoga)
Raj jaab soch raha hota hai Ruhi, Raj ki hath pakad leti hai,
Ruhi : aap betho yanha aake pani mai pair dalke.
Raj : Ruhani betha to hua hun, yese hi thik hai. Raj wanhi Ruhi ke paas ghutne ke baal betha hua tha.
Ruhi : nahi..nahi..maine bola na yese betho, aap kabhi meri baat ek bari mai hi maan kyun nahi lete, jaab dekho jhagda karte ho, ek mahina ho gaya hai hamme sath mai kaam karte per aap kabhi nahi sunte meri, ye baate Ruhi thodi gusse se kehti hai.
Raj to baas Ruhi ki hi baate sun raha hota hai (aur apne mann mai; aab kya batau tumhe ki mai jaan bhuj ke jhagada karta hun tumse taki tum chup na rahi gumsum na rahi aur akela kabhi feel na karo)
Raj : acha hath chodo to shoe utar ke pani mai aajaunga.
Ruhi : nahi nahi aap wese hi aajao.
Raj bhi Ruhi ki baat ko na kat te huye apna shoe badi muskil se nikal ta hai kyun ki Ruhi uska chodna hi nahi chahti thy fir uske sath uske paas beth jata hai.
Raj : acha ye batao aaj badi khush lag rahi ho.
Ruhi bhi khushi se chehekte huye, han itne salo baad mera chota bhai mujhe milne aaraha hai diwali pe.
Raj : acha per tumne usse dur hi kyun bheja. Raj aaj Ruhi ke past ke baare mai janna chahta tha bhale hi uska dimag usko mana kar raha tha ki ye galat hai per uska dil keh raha tha ki janle uske bare mai.
Ruhi : wo..wo..mujhe na rishtey nibhane mai dar lagta hai.
Raj : wo kyun?
Ruhi : mujhe mere apno ne hi dhoka diya tha aur aab to rishtey nibahane aur naya rishta banane mai bhi dar lagta hai.
Raj ko lag raha tha ki Ruhi usse hi aab tak galat samajhti hai.
Ruhi fir se bolne lagti hai,
Ruhi : pata hai meri hi bachpan ki dost ne mujhe dhoka diya. Usse to apni behen manti thy aur usne hi mujhe mere pyaar se dur kar diya.
Jesse hi Ruhi ki baate Raj sunta hai jo aab tak uska sar niche ho gaya tha wo ek jhatke mai uth gaya aur Ruhi ko dekhte huye apne mann mai; (pyaar matlab Ruhi bhi mujhse pyaar karti thy)..
Ruhi : mera pyaar..pata hai uska naam kya hai..Ruhi jaab Raj ko dekhti hai to Raj usse bade pyaar se dekh raha hota hai, to Ruhi uske ankho mai apna hath rakh leti hai aur bolti hai,
Ruhi : ooh..aap na yese maat dekha karo..mujhe na saram aarahi hai.
Acha wo saab chodo aap pehle ye batao ki kessa lag raha hai pani mai pair dal kar ankh band karke bethne se, kitna sukun milta hai na.
Ruhi ki itni pyaari pyaari baate sunke Raj ke face pe smile aajati hai.
Raj : han sach mai aaj bahut sukun mil raha hai mujhe.
Ruhi Raj ke ankho se apna hath hata leti hai per aab bhi Raj ke ankhe band thy aur chehre pe smile.
Ruhi apne dil pe hath rakh ke : haye..agar ye smile kisi ladki ne dekh li na to sach mai aap per flat ho jayegi.
Ruhi ki baate sunke Raj apni ankhe khol deta hai aur herani se Ruhi ko dekhne lagta hai.
Raj : kya..kya bola…
Ruhi : aare sir sach mai apko nahi pata apki ye smile hai na killer hai killer, aagar mujhe apne Raj se pyaar nahi hota na to mai to kaab ka aap per flat ho chuki hoti.
Raj, Ruhi ke munh se apna naam sunke behed hi khush hota hai,per Ruhi ki halat dekh ke chup hi rehta hai. Ruhi aab bhi uska hath pakdi huyi thy.
Raj : acha Ruhani, kitni ladkiya mujhpe flat ho chuki hai,mujhe bhi pata chale, kya pata unme se koi mere liya bana ho.
Raj ki baate sunke Ruhi gussa ho jati hai,
Ruhi : apko pata nahi hai sach mai? Pure office ki ladkiya aapke piche hai, per unme se koi bhi apke liye layak nahi hai.
Aap mere dost ho iss liye ek free advice de rahi hun, fir apna chehra Raj ke chehre ke bilkul paas mai lake ke, inme se koi bhi apke ye cute smile ke piche nahi hai wo sabhi to baas apke paise ke piche hai.
Raj : aare baap re!!! Acha mujhe aab in saab se koun bachayega?
Ruhi : aare budhu mai hu na, mai hamesha aapke sath rahungi.
Raj : sachi!!!
Ruhi : han baba han sachi….
Pata hai pehl mai rishtey se dur bhagti rahi maa, papa, bhai, sabhi se, dhire dhire sabhi se dur hoti gayi. Unhone mujhe unke paas ane ke liye bahut baar kaha per mai gayi hi nahi, bilkul akeli ho gayi thy fir meri jindegi mai Rohan Bhai aaye.
Wo mere sath wale ghar mai hi rehne lage, pata hai jaab bhi wo mujhe dekhte to hamesha muskura dete, per mai kabhi nahi muskurati. Per unhe to mano koi farak nahi padta, kabhi gussa nahi kiya, wo bhi akele rehte thy per hamesha khush thy.
Ye baate bolte huye Ruhi ke face pe ek behed hi pyaari smile thy per ankhe naam ho gayi thy, aur Raj Rohan ko apne maan mai thanks bol raha tha Ruhi ke jindegi mai aane ke liye.
Chaliye inhe yanhi pe chodte hai haam chalte hai Rohan aur Zara ke taraf.
Udhar Rohan aur Zara dance kar rahe thy.
Zara : Rohan, Ruhani kanha hai dikhayi nahi de rahi hai.
Rohan : Ruhi ka message aaya tha mujhe ki uski sar dard kar raha hai to wo thodi der bahar ja rahi hai relax hone ke liye.
Zara : to Rohan hamme Ruhani ke paas jana chahiye, ye bolke Zara jane hi lagti hai ki Rohan usko apne aur khinch leta hai aab wo dono bilkul ek dusre ke karib thy.
Rohan : Rajveer uske paas hai maine usse jate huye dekha tha aur aab tum mere paas ho.
Rohan ki baate sunke Zara Rohan ko bade pyaar se dekh rahi thy, fir Rohan Zara ke kaan ke paas apna munh le jake,
Rohan : please aab tum mujhe maat chod ke jao nahi to puri party ki ladkiya mujh per hi tuut padegi.
Pehle ro Zara ko dekhne lagti hai Rohan ko fir charo aur dekhne lagti hai, fir gusse mai,
Zara : to kisne kaha tha apko ki itne saaj dhaj ke aao party mai?
Rohan herani se Zara ke taraf dekh ke,
Rohan : aab isme meri kya galti hai, mai to bilkul normal tayar ho kar aaya hun, jese saab hote hai, aur wese bhi aaj khud ko dekha hai, saree and all kya baat hai.
Zara : ye saab to apki behen ka kiya dhara hai kaal puri raat mujhe saree pehne ki practice karwayi.
Rohan : per agar ye pasand nahi thy tumhe to tum mana kar sakti thy.
Zara (gusse se) : per mai mana kyun karti, Ruhani ne bola ki aapko pasand aayegi.
Ye baat bolke Zara apni jiv danto mai jaba leti hai aur apni ankhe band kar deti hai.
Rohan bhi Zara ki iss baat pe behed khus hota hai, aur uske paas jake uske kaan ke paas dhire,
Rohan : acha to ye saab mere liye, per kyun? Ham aapke hai koun?
Zara ne jaab ye suna to apni ankhe khol ke Rohan ko dekhti hai jo ki usko sararat bhari nazron se dekh raha hota hai, to Zara ke Rohan se apna hath chudakar bahar garden mai chali jati hai aur uske piche piche Rohan bhi chala jata hai.
Idhar Ruhi Raj ko ajib ajib munh bana kar Rohan ki tarif kar rahi thy.
Ruhi : to yese mai Rohan Bhai ki behen bani per na uss din ke baad mai bahut daar gayi thy to apne office nahi gayi, ek hafte baad gayi to mere uss budhe boss, khadus boss ne mujhe job se nikal diya..kamina..kahi ka…
Raj Ruhi ki harkat ko dekhke Haas raha tha.
Ruhi : apko hassi aarahi hai..ye kehke gussa ho jati hai.
Raj : han..dekho aagar wo nahi nikal ta to tum mere sath kese kaam karti, kese ham milte.
Ruhi : aare han, maine to ye socha bhi nahi tha, aap na bade intelligent ho bilkul meri tarah.
Raj Ruhi ki iss baat pe aur hasne lagta hai.
Ruhi Raj ki dekhti hai aur uske gaal khichne lagti hai.
Ruhi : aap na aaj mujhe bade cute lag rahe ho, bilkul cutipie lagte ho.
Ye kehke Ruhi Raj ke gaal ko jor se khinch deti hai.
Raj : ouch….
Ruhi : oo sorry sorry mere cutipie.. jor se lag gaya kya?
Raj han mai apna gardan hila deta hai.
Ruhi Raj ko apne paas khinch leti hai aur dono gaal pe kiss kar deti hai. Raj ka to pura munh laal ho jata hai.
Ruhi : aare aap sarma kyun rahe hai, dost ho mere aap, maine aapka chot thik kar diya hai.
Raj Ruhi iss harkat se usse dekhne lagta hai bade pyaar se.
Ruhi : Raj ke mathe pe ungli rakh kar usse thoda dur kar deti hai aur bolti hai, maine kaha tha na aap yese maat dekho.
Ruhi : aagar aap yese hi mujhe dekhoge to aapko mujhse pyaar ho jayega, aur…aur…fir apka dil bhi tuut jayega jese mere Raj ka tuuta tha.
Ye baate bolte bolte Ruhi bahut dukhi ho jati hai,
Pata hai maine to loogo per yakin karna hi chod diya tha, per Rohan Bhai ke karan rishtey per fir se yakin aaya aur fir Zara bhabhi mili, wo bhai ke liye ek daam perfect hai, wo..wo..kehte hai na..made for each other.
Un dono ko dekh kar pyaar per yakin wapas aagaya, aur..aur..fir aap aaye mere jindegi mai, apki aur Rohan Bhai ki dosti dekh kar yesa laga ki dosti yese bhi hota hai. Pehle mujhe na aapka gussa bilkul pasand nahi tha.
Raj : aur aab…
Ruhi Raj ki baju ko kaas ke pakad leti hai aur uske kandhe pe apna sar rakh leti hai, Raj bhi Ruhi ke hath per apna hath rakhta hai aur uske sar per apna sar tika leta hai.
Ruhi : aab mujhe aapki haar baat pasand hai, mai aab apko apna dil se dost..nahi nahi..dost nahi..sabse pyaar dost manti hun.
Aapko bhi nahi pata ki aap kitne ache ho..jaab apne uss..uss gande admi ki company ko kharid li aur usse chup karwa diya to aapko maine apna dil se dost maan liya..aap sabki madat karte ho baas dikhate nahi ho, ek baat bolu…
Raj haste huye : han han..taab se mai hi bol raha hun to aab mai thak gaya hun, to aab tum bhi kuch bol do.
Ruhi : hai na mujhe pata tha, aab suno, aagar mujhe mere Raj se pyaar nahi hota na to mai aap se jarur ho pyaar kar leti
Raj : acha per mujhe tumse pyaar nahi hota to?
Ruhi bahut cute sa munh banake Raj ko dekhti hai, Aur apni ankhe badi karke,
Ruhi : aapko meri ye brown brown ankhe pasand nahi hai?
Raj : hai bahut pasand hai.
Ruhi apne hatho se baalo ko jhatka kar aage karti hai, ye lambe lambe baal pasand nahi hai?
Raj bade pyaar se Ruhi ki baal ko piche karte huye, ha pasand hai.
Ruhi : ye jo mere honth ke niche til hai ye aapko pasand nahi hai?
Raj Ruhi ke honth le apna ungli takh deta hai, baas..baas..mujhe tum puri pasand ho..tum bahut jyada pasand ho muhjhe..baas aab kuch nahi..
Ruhi muskura kar Raj ko dekhti hai aur uske paas aane lagti hai fir achanak Raj ke upar ulti kar deti hai.
Bahot behtareen zaberdast shaandaar lajawab update bhai
 

Naik

Well-Known Member
21,584
77,470
258
Update 19

Chaliye pehle Rohan aur Zara ke paas hoke aate hai.

Jaab Rohan Zara ke piche piche bahar aaya taab Zara garden mai dusri aur munh karke khadi thy, Rohan uske piche se aake usko baal khol deta hai.

Rohan : khule baal mai jyada achi lag rahi ho.

Zara bhi Rohan ko dekhti hai jo muskura raha tha.

Rohan : to apne bataya nahi ki ham apke hai koun.

Zara aab bhi kuch nahi bolti,

Rohan : to chalo thik hai soch ke jawab de dena per 2 din ke ander thik hai.

Ye kehke Rohan jane lagta hai ki Zara uska hath pakad ke rokh leti hai.

Zara : ander jayenge to sabhi titliya mandrate huye aapke paas aajayengi, yanhi rukhiye thodi der.

Rohan (hass ke) : jo hukum mohtarma, wese aaj kal jyada hi chup ho nahi gayi ho aap. Kisise jhagadti bhi nahi ho, kuch hua hai kya?

Zara : baas aaj kal kisi bhi chiz mai mann nahi lagta aur pehle akele rehti thy to yesi ho gayi thy per jaab se yanha aayi hun badal gayi hun. Sabke sath reh ke bahut acha lagata hai.

Kaaashhh..hamesha ye saab yese hi rahe.

Rohan Zara ka hath pakad leta hai aur kuch bolne hi Bala tha ki pool ke side se kuch awaj aati hai to dono udhar ki aur chal dete hai.

Dono wanha jake dekhte hai to Raj Ruhi ki saree saaf kar raha tha aur Raj ka coat bhi ganda ho gaya tha aur ek taraf pada hua tha.

To Rohan aur Zara dono Raj aur Ruhi ke paas jake pahunch jate hai.

Rohan : ye saab kya hai Raj, aur ye Ruhi ko kya hua?

Raj : yaar isne vodka pi li hai aur aab ulti aagayi isse.

Zara bhi aage badh ke Ruhi ko sambhal leti hai.

Rohan : per wo to kabhi….

Raj : han yaar pata hai mujhe ki wo kabhi piti nahi, mujhe lagta hai ki kisi ne jaan ker yesa kiya hai,

Ek kaam kar party to khatam hi hai, mai aur Zara Ruhi ko leke mere ghar ki aur jate hai, kyun ki sabse paas mai hi hai aur tu jake puri party ki footage leke aaja.

Rohan : han..han..per Ruhi..wo..

Raj Rohan ke paas jata hai aur dhire se bolta hai.

Raj : pata hai ki teri behen hai per wo meri puri jindegi hai, usse jaan se bhi jyada khyal rakhunga tu chinta maat kar.

Rohan Raj ke kandhe per hath rakh ke jese keh raha ho mujhe tujh pe pura bharosha hai tu befikar reh, fir chala jata hai footage lane ke liye.

Udhar Ruhi behosh to rahi thy aur Zara usse sambhal nahi pa rahi thy. Raj Ruhi ke paas aake usse goud mai utha leta hai.

Raj : Zara tum car le kaar aajao, mai Ruhani ko le kar aata hun.

To Zara chali jati hai car lene aur Raj Ruhi ko apne goud mai utha ke door ke taraf badh jata hai. Ruhi apni adhe khuli ankho se usse dekh rahi thy.

Ruhi (dheere se) : pata nahi kyun kabhi kabhi lagta hai ki aap hi mere Raj ho, jaab aap paas hote ho to kisi apne ka yehsas hota hai, jaab aap hath lagate ho ya mujhe chu lete ho to ek achi wali feeling aati hai, per..per aap mere Raj nahi ho sakte, nahi aap sayari karte ho aur gussa to naak per hi hota hai hardam.

Raj : aagar mai kahu ki mai hi Raj hu tumhara to.

Ruhi Raj ko herani se dekhti hai aur apni ladkhadati huyi awaj mai.

Ruhi : kya..ku..kuch bhi..aap jhut bol rahe ho na..

Raj Ruhi ki aur dekhke : nahi jhut nahi bol raha hun mai hi Raj hun tumhara, per tum subha tak ye saab bhul jaogi.

Ruhi : mujhe koi gajni wali bimari thodi na hai hehehe..per aap mere Raj kese?

Ye sochte sochte Ruhi behosh ho jati hai.

Raj : pagal puri ki puri pagal hai ye to…hehehe.

Jaab tak Raj Ruhi ko leke door tak aata hai Zara bhi car leke ajati hai to Raj Ruhi ko leke piche beth jata hai aur Ruhi ke chehre pe jo baal aaraha tha usse baar baar piche kar raha tha aur usko bade pyaar se dekh raha hota hai. Zara ye saab kuch notice kar rahi thy.

Zara : to Rajveer kaab bataoge.

Raj : kya?

Zara : yanhi ki pyaar ho gaya hai apko ruhani se..

Raj (mann mai) : pyaar khatam hi kaab hua tha jo fir se ho gaya. Baas aab to aur badh gaya hai.

Raj : meri chod ye bata tu Rohan ko kaab batane wali hai.

Aab shock hone ki bari Zara ki thy.

Zara : kya..kya..Rohan..ko kuch..kuch nahi batana hai..

Raj : baas kar aab mere samne jyada nakhre karne ki jarurat nahi hai, janta hun Rohan se pyaar karti hai tu..

Zara : Rajveer aap jante hai na, maine kyun nahi kuch bol raha hun.

Raj : janta hun, apne papa ki wajah se na, to no worries, mai hu na, saab sambhal lunga tu baas aage badh.

Zara : pakka..

Raj : ha pakka…

Yese hi baate karte karte Raj ka ghar aajata hai to Raj Ruhi ko leke ander aajata hai aur Zara uske piche piche.
Raj Ruhi ko leke ek kamre mai sula deta hai.

Raj : Zara tum Ruhani ke paas hi reh jao, mai kuch kapde leke aata hun isse change karwa dena.

Fir Raj apne room mai chala jata hai aur apna kapde change karta hai aur Ruhi ki baate yaad karke behed khush hota hai. Fir Ruhi aur Zara ke liye dress leke chal deta hai Ruhi ki kamre ki aur.

Raj : ye lo Zara, aaj ke liye adjust kar lo. Uske 2 tracks aur 2 tshirt de deta hai. Fir bahar chal deta hai.

Zara Ruhi ka kapde change kar deti hai khud bhi kar leti hai. Taab tak Rohan bhi aagaya tha footage leke, to dono beth ke dekh rahe thy.

Rohan : dekh Ruhi mere sath jhagda karke juice baar per gayi thy aur wo message kar rahi thy. Usne mujhe hi message kiya tha ke mai Zara ke sath dance karne ke liye.

Raj : dekh Ruhi ki drink kisine badal li hai.

Rohan : han per light bahut dim hai dikhayi nahi de raha koun hai.

Raj : tu tension maat le subha tak pata chal jayega tu aur Zara dono thak gaye ho, Zara….

Jaab dono samne dekhte hai to Zara sofe pe hi bethe bethe so rahi thy.

Raj : ja usse utha ke room mai chod aa kuch baat karni hai tujhse.

Rohan Raj ko marke Zara ko utha ke room ke aur chal deta hai. Zara bahut gehri nind mai so gayi thy issiliye uth hi nahi rahi thy.

Rohan Zara ko room mai leke usko bed pe sula deta hai aur uske mathe le kiss kar deta hai.

Rohan : pata nahi kaab tum samjhogi ki mai tumse kitna pyaar karta hun, aur mujhe pata hai tum bhi karti ho, baas do din baad mai khud tumhe apne pyaar ka izehar karunga..love you meri sherni….

Fir Rohan Raj ke paas wapas aajata hai,

Rohan : chal aab bata baat kya hai?

Aab to jo khushi Raj apne mai chupa ke rakha huya tha wo aab fut gaya, Raj sidha apne jagah se uth ke Rohan ko gale laga liya aur rone laga.

Rohan ne jaab Raj ke ankho se anshu dekha to wo bhi udas ho gaya, sayad usse kuch anhoni ka dar sata raha tha.

Rohan : mere bhai ro maat, aur tu ro kyun raha hai?

Raj : Rohan ye to khushi ke anshu hai please mujhe rone de, aaj mai bahut khush hun, tujhe pata hai meri Ruhi bhi mujhse hi pyaar karti hai.

Rohan : kya!!! Tu sach bol raha hai na, please bata na…..

Raj : sachi…..

Rohan : to ham kal hi Ruhi ko bata denge ki tu hi uska Raj hai.

Raj : nahi yaar abhi nahi, sahi time per mai khud apne aap usse bata dunga, abhi baas uska rishtey per dubara Biswas dilwana hai, pehle usse apne maa papa aur bhai ke paas lena hai.

Rohan : tu khud reh lega usse dur, jaab ki aab tujhe pata hai ki wo pyaar karti hai tujhse.

Raj : uske liye kuch bhi yaar….

Chal ja tu so ja mai ek mail karke aaya aur han sidhe mere kamre mai jana, Zara ke kamre mai maat ghus jana.

Rohan Raj ke baato se haste huye usko good night bolke Raj ke kamre mai chala jata hai aur so jata hai.

Raj kisiko party ki video footage mail karta hai aur usse call bhi karta hai,

Raj : kaal tak mujhe pata hona chahiye ki ye kon hai,

Baas itna kehke call cut kar deta hai, fir Ruhi ke kamre ki aur chala jata hai.

Ruhi bilkul kisi masoom bache ki tarah so rahi thy, Raj ne Ruhi ki blanket thik ki aur Ruhi ke sar ko pyaar se sahlane laga thodi der baad Raj ko bhi nind aagayi aur wo wanhi Ruhi ke paas bethe bethe hi so gaya.
Aaj kitne saalo mai sote huye Raj ke chehre pe muskurahat thy.

Agle din jaab Rohan uthta hai to Raj uske paas nahi tha. To Rohan bhi uth ke raj ko dhundne lagta hai aur dhundte dhundte wo Zara ki kamre mai bhi jata hai. Jaab kamre mai gaya taab Zara bhi uth chuki hai aur bed pe bethi huyi thy sayad abhi abhi hi uthi thy.

Rohan : good morning my sunshine. Keh ke baas usse hi dekhe ja raha tha.

Zara Rohan ko yese dekh kar sarma jati hai,

Zara : good morning Rohan..

Rohan : mai bahar jata hun tum bhi aajao.

Zara : thik hai..

Rohan bahar aake intezar kar raha hota hai ki Zara bhi aajati hai.

Zara : Rohan, ye Rajveer kanha hai, kya abhi taak utha nahi hai.

Rohan : aare mai to bhul hi gaya tha ki mai Raj ko dhund raha tha, pata nahi kanha chala gaya.

Aur ye Ruhi bhi abhi taak uthi nahi hai, wo to aab tak uth chuki hoti, chalo usse hi dekh ke aate hai.

Fir dono Ruhi ke kamre mai chale jate hai, jaab ander jaate hai to dekhte hai ki Raj ka ek hath Ruhi ke sar pe tha aur ek hath ko Ruhi ne pakda hua tha, aur Raj bethe bethe hi so raha tha. Rohan un dono ko dekh ke smile karta hai.

Rohan (mann mai) : bahut pyaare lag rahe hai dono, aab baas ye dono mil jaye yahi dua hai bhagwan se mera.
Bahot behtareen khoobsurat shaandaar update
 

Naik

Well-Known Member
21,584
77,470
258
Update 20
Rohan to Raj aur Ruhi ko dekh hi khush tha, magar Zara ko kuch samajh nahi aaraha tha to wo aage badh ke Ruhi aur raj ko jagane jane hi wali thy ki Rohan ne usse rokh liya.
Rohan : rehne do Zara, pata nahi mere yaar aaj kitne dino baad yese sukun se so raha hai, tum mere sath chalo,
Ye kehke Rohan Zara ka hath pakad ke bahar le aata hai.
Zara : kya hai..yese kyun behave kar rahe ho aap.
Rohan : kyun tumhe mere paas rehne mai kuch problem hai kya?
Zara : maine yese kaab bola, aur mujhe na sabse pehle nahana hai per..
Rohan : to chalo nahate hai.
Zara : kya!!!!
Rohan : aare..aare mera matlab ye hai ki chalo mai tumhe kuch kapde de deta hun, Ruhi ke liye dress li thy kaal to mere car mai hi thy wo tum pehen lo.
Zara : agar mai wo pehen lungi to Ruhi kya pehenegi.
Rohan : wo to mujhe Rajveer ke dress mai jyada comfortable lag rahi hai, agar tumhe meri layi huyi dress na pehen ni hai to mana kar sakti ho.
Zara : aap ko ho kya gaya hai subha se, aur maine yesa kaab bola, pata nahi kya ho gaya hai.
Zara palat ke jane lagti hai ki table pe lag ke gir jati hai per wo girne se pehle hi Rohan ne usko pakad liya tha.
Rohan : bola tha na sath chalo, akele chalogi to girne ka dar rahega, per jaab mai sath rahunga to hamesha tumhe sambhal lunga.
Fir Zara apne karme mai chali jati hai bina kuch bole Rohan bhi car se dress lake deta hai Zara ko,
Rohan : ye lo pehen lena, mai kuch khane ka dekhta hun.
Ye kehke jane hi lagta hai ki Zara Rohan ka hath pakad leti hai.
Zara : aap bahut ache hai Rohan…..
Ye sunke Rohan Zara ke karib aata hai,
Rohan : mujhe ye nahi sunna, baas kal ka din hai tumhare paas bol dena nahi to….
Zara : nahi to kya???
Rohan : nahi to kisi aur ko puch lunga, baad mai mujhe kuch nahi kehna.
Ye kehke haste huye chala jata hai aur Zara Rohan ki baato se gussa ho jati hai aur gusse mai hi nahane chali jati hai.
Idhar jaab Raj uthta hai to wo dekhta hai ki wo aab bhi Ruhi ke kamre mai hai,
Raj : oh shit..mai raat ko yanhi so gaya tha, agar Rohan ne dekh liya to pura din chidayega.
Raj uthne ko huya ki dekha ki Ruhi aab bhi uska hath pakad rakha hai, usne dhire se apna hath Ruhi ke hath se chudaya aur uske mathe pe ek kiss karke,
Raj : Ruhi pata hai tum sote huyi kitni pyaari lag rahi ho, aur mera maan to kar raha hai ki mai abhi tumhe bata dun ki mai Raj hun tumhara aur tumhe gale lag ke so jaun, per pehle tumhe sabse karib lana hai, family ke dosto se, aur fir last mai mere.
Aur fir muskurata hua bahar chal deta hai bahar Rohan sofe pe hi serious hoke betha hua tha.
Raj : oo bhai itna serious kyun hai.
Rohan : mera chod tu bata kyun nahi deta usko….
Raj : yaar bataya to tha tujhe kal fir kyun puch raha hai.
Rohan : per yaar tu usse bata kar bhi to ye kar sakta hai na, aur mujhse tum dono ki duri nahi dekhi ja rahi hai, maine dekha hai tujhe uske liye rote huye, tadapte huye, aur jaab aab wo mil rahi hai to…..
Raj : dekh tu ye baas mere liye hi soch raha hai, per ek aur wajah hai jiske liye mai ruka hua hun.
Rohan : kya!!
Raj : mujhe ye to pata hai ki Palak ne hi Ruhi ko mere bare mai galat bola tha per wo saab usne akeli ne nahi kiya, aur Ruhi ko kese pata chala, aur Ruhi khud ko saja kyun de rahi thy akele reh ke….Ye saab pata chal jaye to saab sahi ho jayega.
Rohan : han..per….
Raj : mere chod tu kya kar raha hai, bata kyun nahi deta Zara ko….
Rohan : kaal usse kaha hai maine indirectly, yaar usse na satane mai bada maja aata hai.
Raj : chal mai mandir hoke aata hun tu ruk thik hai.
Rohan : thik hai mai bahar se khana le ke aata hun.
Raj : tu ruk ja yanhi mai aate huye le aaunga.
Rohan : chal thik hai….
Raj ne jaldi se naha ker chala jata hai aur taab tak Zara bhi bahar aagayi thy aur Rohan ke sath beth gayi thy.
Zara to baas Rohan ko gusse mai dekh rahi hoti hai per Rohan to usko satane mai laga hua tha wo uske upar koi bhi dhyaan nahi de raha tha baas phone mai hi laga hua tha.
Zara (mann mai) : yese kese bol diya ki kisi aur ko puch lenge, aur aab dekho meri taraf dekh bhi nahi rahe hai..mujhe kuch karna hoga..
Zara : mujhe pani puri khana hai..
Rohan : pagal ho gayi ho kya, subha subha, pani puri koun khata hai, aur wese bhi khana Rajveer lene gaya hai.
Zara : mai to subha hi khaungi, wo kya hai na jaab bhi jyada khush ya gussa hoti hun to wanhi khati hun.
Rohan : aare yaar mai aab kanha se le kar…
Rohan kuch bol hi raha tha ki Ruhi ke kamre se awaj aati hai to dono Ruhi ke kamre ki aur chal dete hai.
Bahot behtareen shaandaar update
 
Top