mashish
BHARAT
- 8,032
- 25,910
- 218
UPDATE 28Raj car chalate huye kabhi kabhi Ruhi ko dekta rehta hai,Raj : aaj sach mai bahut pyaar aaraha hai tum per Ruhi, aaj behed hi pyaari lag rahi ho jab bhi tum mera ye diya hua dress pehenti ho to baas dil karta hai ki tumhe baas mere samne betha ke tumme dekta rahu aur kuch bhi na karu….Aur udhar car mai bhi gana chal raha hota hai;“dil diya gala karenge naal naal wo ke,Ankh naal ankh nu mila ke”Raj ki to baas muskurahat ja hi nahi rahi thy. Thodi der baad jab Ruhi ki nind khulti hai to wo apni adh khuli ankho mai dekta hai ki wo Raj ko pakad rakhi hai aur uska sir Raj ke kandhe pe hai to uski face pe ek pyaari si smile aajati hai, per fir bhi wo ek jhatke mai dur hoke beth jati hai aur apni hath ko khichne lagti hai, to Raj ne uska hath pakad ke gear pe rakh deta hai per Raj ke chehre pe koi bhi bhaw hi nahi thy abhi.Ruhi ko kuch samajh nahi aaraha tha to usne ek aur baar apni hath hatane ki kossis ki iss baar Raj ne uska hath ko aur jor se pakad liya jesse ki wo uska hath chodna hi nahi chahta tha.Ruhi ek do baar aur kossis ki per hamesha wesa hi hota raha to akhir kaar Ruhi ne Raj se puch hi liya;Ruhi : kya hua hai sir kuch baat huyi hai kya….Raj : kyun kya hua?Ruhi : to..wo..apne mera hath pakda hua hai to….Raj : to hath pakda hai mujhe bhi pata hai per koi problem hai….Ruhi herani se Raj ko dekne lagti hai kahi na kahi usse bhi acha lag raha tha,aur Raj wo bolke muskurake aage dekhne lagta hai fir thodi der baad Raj fir se bolta hai,Raj : aaj janha ja raha hun wanha baat karne ke liye thodi himmat chahiye to issiliye apni pyaari si dost ka hath pakda hai.Ruhi : sir bahut badi deal hai kya….oh shit!!!!Raj : kya hua….Ruhi : mai to jaldi jaldi mai ye suit pehen ke aagayi aur koi formal kapde nahi layi sath mai.Raj : tum bhi na Ruhi….pata hai mujhe, laga pata nahi kya ho gaya hai, aur ye kapde ek daam perfect hai tum bekar mai hi fikar kar rahi ho.Ruhi ne jesse hi Raj ke munh se Ruhi suna to wo heran reh gayi….Ruhi : aapne aabhi kya kaha mujhe….Raj anjan bante huye : kya….Ruhi : wo….mera naam….wo….Raj baat ko palat te huye : haam Zara ke papa se milne ja rahe hai Ruhani, unhe shadi ke liye manane aur iss kaam mai tum meri help karogi aur mujhe pata hai tum ache se ye kar logi.Ruhi (jor se) : kya!!!aur ye baat aap aab bata rahe hai mujhe aur mai..mai kya…kesse..baat karungi….aur pehli baat to ye hai ki aaj hi aap aaye ho aur rest bhi nahi kiya aur chal pade aagar kaal subha nikalte to kya ho jata….Raj : yaar thoda chill karo aur gussa kaam kiya karo aur tum koi tension maat lo uncle se baat mai karunga, tum baas meri thodi support kar dena aur yaar dekho kaal taak wait nahi kar sakta kyun ki Zara bahut manti hai apni papa ko, wo kaal hi apne papa se Rohan ke bare mai baat karegi per wo unhe mana nahi pati mujhe pata hai, aur usse pehle kuch problem create ho mai solve karne ki puri kossis karunga, issiliye abhi haam ja rahe hai.Ye saab bolke Raj chup ho jata hai aur Ruhi ko dekhne lagta hai to wo munh fade baas usse hi dekh rahi hoti hai, aur jab Raj ne Ruhi aur dekha to Ruhi bhi jhenp gayi aur Raj ki hassi nikal gayi.Ruhi (mann mai) : aap hi mere Raj ho aab mai bikul confirm hun, ye saab baas mera Raj hi soch sakta hai.Raj : wese ke baat bolu….Ruhi : ji….Raj : tum na bahut soti ho, ye kehke hasne lagta hai….Ruhi (gusse mai) : ek to adhi raat ko bahar ghum rahe hai aur mujhe bhuk bhi lag rahi hai aura ap mujhe hi taane maar rahe hai….Raj : acha to ye baat hai, aage kuch hi duri pe ek hotel hai wanha chalte hai….Kuch time baad unki car ek bade se hotel ke samne rukhti hai aur dono utarte hai aur baki do car bhi wanhi rukh jati hai, Raj aur Ruhi ko jane ko kahta hai aur phone pe baate karna ka ishara karta hai Ruhi ko.Raj (phone pe) : tum loog bhi khana kha lo aur fresh ho jao aur yanha hotel mai bhi saab control mai rehna chahiye, ek target hamara yanhi hai room no. 212 mai, to mai target khatam karke hi khana khaunga…..Phone cut karne ke baad ander chala jata hai Raj, aur Ruhi ke paas chala jata hai, jo ki ek table pe beth ke khane ka order kar rahi hoti hai, to Raj washroom ka bata kar nikal jata hai.Sabse pehle Raj fire exit wale raste se bahar nikal ta hai aur wo room no. 212 ke aur chal deta hai, wanha pahunch ke bina kisi ko shak huye badi chalaki se savdhani se lock kholta hai aur ander chala jata hai, ander ek minister tha jo ki foreigner ladkiyo ke sath maje kar raha tha.Raj apne face pe mask laga ke rakha hua tha, jeese hi uss admi ne Raj ko dekha to, Raj bina kisi waqt gawaye apne sound proof gun nikal ke usse shoot kar diya aur ladkiya jesse chilane lagi to unka gale ke naas dabake behosh kar diya, aur jaldi se bahar nikal aaya, jeese aaya tha wese hi washroom mai aagaya, aur apna huliya thik karke bahar Ruhi ke paas aake beth gaya taab taak khana bhi aagaya tha….Ruhi : aap thik to hai sir…aapko itne passine kyun aarahe hai….Raj : han mai thik hun baas thoda sa thaka thaka sa feel kar raha tha, to pani se hath munh saaf kar ke fresh hua hun….Ruhi : aap kaab apna khyal rakhenge..chalo kuch raste mai drive karungi aur kuch maat boliye and abhi sirf khane mai dhyaan de…."Bahut acha lagta hai tumhara yun mujh pe haak jatana,Sukun deta hai mujhe tumhara yun mujhpe haak jatana,Dil to karta hai yun hi sunta rahu baas tumhare baate,Per dar jata hun ki kya sochogi aagar chaha maine tumper haak jatana."Raj khane ke sath Ruhi ko dekh raha hota hai aur apne maan baas sayari hi kar raha hota hai. Thodi der baad dono kha ke uthte hai to Ruhi ke honth pe kuch laga reh jata hai to Raj se raha na gaya aur apne hath se hi usko saaf kar deta hai, Ruhi to baas herani se dekti rahi. Raj saaf karne ke baad sorry ke liye munh kholne hi wala tha ki Ruhi Raj ko rok deti hai,Ruhi : aab iss baat ke liye sorry ki koyi jarurat nahi hai apko, janti hun mai apko aur apke bare mai bhi, aur sabse badi baat aap mere dost hai. Hak hai apka mujh per aur ye koi badi baat bhi nahi hai, aur sabse badi baat mujhe apke upar bharosha hai isiliye to bina kisi sawal ke mai apke sath aagayi.Raj baas muskurake han mai apna sar hila deta hai aur ruhi ke sath chalne lagta hai. Bahar thandi hawa chal rahi thy aur raat ke 2 baje dono car ke taraf badh to rahe thy per ek dusre ke yehsas ke sath….Chalte chalte dono baas khamosh thy….aur ye khamoshi Ruhi se saha nahi gayi….Ruhi : wese ek baat puchu apse?Raj : tumhe kabhi bhi kuch bhi puchna ne ke liye meri izajat lene ki jarurat nahi hai.Ruhi : aap wese to kabhi bhi kisi ko apni baat ke liye ya kiye ke liye kabhi safayi nahi dete na kabhi explain karte ho per mujhe kyun explain….Raj Ruhi ki baato ko bich mai hi kaat te huye,Raj : isiliye kyun ki mai koi bhi galatfhemi nahi chahta hun….Ye bol ke Raj aage badh ke driving seat pe beth jata hai. Per idhar Ruhi ko Raj ke baate feel hoti hai aur wo udas ho jati hai.Ruhi (mann mai) : han ek galatfhemi ke karan hi ham alag huye thy aur aaj pata chala ki aap bhi kuch nahi bhule ho….Jab Ruhi car mai nahi aati to Raj usse bulata hai….Raj : madam chalna hai ya yanhi khade rehna hai aur han mai hi drive karunga kyun ki rasta mujhe pata hai aura ab mai thik hun….Ruhi ne kuch nahi kaha baas car mai aake beth gayi aur idhar raj ek message kar deta hai,“saab clear kar do aur yesa lagna chahiye jesse kuch hua hi na ho”. Fir Raj ne car start kar di aur jane ko hua to Ruhi ne bina Raj ki aur dekhe apna sar uske kandhe se laga liya aur Raj ki hath ko pakad liya.Ruhi ki ye harkat se Raj ko herani huyi aur Raj Ruhi ko dekhne laga, to Ruhi bhi bina koi react kiye, Raj ki aur na dekhke hi bol padti hai,Ruhi : aap per bharosha hai khud se bhi jyada aur itna to haak hai mera. Aur apni ankhe band kar leti hai.Raj (mann mai) : pagal…ye haak to kaab ka tumhe de chuka hun….Raj baas car chalata raha aur Ruhi na so ke bhi sone ka natak karti rahi.Ek jagah jake Raj ne car rok diya aur baki do car ko jane ke ishara kar diya, fir palat ke Ruhi ko uthata hai.Jab Ruhi ne apni ankh kholi aur samne ki aur dekha to samne koi rasta tha hi nahi, to Ruhi confuse ho ke,Ruhi : ham kanha hai sir….Zara Bhabhi ke papa yanha kanha rehte hai sir…..Ruhi ki baate sunke Raj ko hassi aajati hai,Raj : ye saab chodo aur bahar aao kuch dikhata hun….Ruhi ne sar hilake han kaha aur car se utar gayi, aaspaas bahut ped thy per koi ghar ya kuch aur tha hi nahi. Raj ruhi ke paas aaya to apna hath aage kiya to ruhi raj ka hath tham leti hai.Raj aur ruhi chalte chalte ek pahad jessi jagah pe aagaye. Ruhi kuch bolne lagi to raj ne ruhi ka hath chod kar uski dono ankho per hath rakh deta hai.Raj : baas 2 minute aur rukh jao….Fir khuch der baad Raj ne Ruhi ke ankho se apna hath hata leta hai aur Ruhi ko samne dekhne ke liye kehta hai.Jab Ruhi samne detki hai to samne abhi sunrise ho raha tha aur wo nazara hi kafi jyada khubsurat lag raha tha.Ruhi : woooow…..bahut hi sunder nazar hai, pata hai maine kitne saalo ke baad yesa nazara dekha hai…wanha Mumbai mai to yesa dekhne ko nahi milla…sach mai ye bahut sunder hai….fir kisi bache ki tarah idhar udhar ghumne lagi….Raj : pata hai jab mai bengaluru aaya tha to ye jagah hi mujhe sukun deti thy, jab bhi akela feel karta to yanha aajata tha, jab bhi papa, maa aur tu….matlab maa papa ko yaad karta to yanhi aajata tha….Ye bolte bolte Raj ki ankho mai pani aajate hai to Raj wapas mud ke chalne lagta hai aur Ruhi ko bhi aane ka ishara karta hai. Jesse hi Raj aage badha to Ruhi ki awaj sun ke rukh gaya.Ruhi ke ankho mai aanshu thy aur bhare huye gale se bol rahi thy,Ruhi : Raj….Ye sunke Raj rukh jata hai to Ruhi ek aur baar Raj kaha…To Raj ne harani se piche dekhta hai to Ruhi wanhi apne ghutne ke baal beth ke ro rahi thy. Raj se raha nahi gaya to wo bhi Ruhi ke paas aake beth gaya aur ruhi ka chehra apne hatho mai leke anshu ko pochne laga. Ruhi bhi Raj ke gale lag gayi aur kaas ke pakad liya aur Raj ne Ruhi ko kaas ke pakad liya.Ruhi (rote huye) : I am sorry Raj..i am sorry…please maaf kar do mujhe…mai janti hun meri hi galti thy maine aap per bharosha nahi kiya…per inn saalo mai ek din bhi yesa nahi gaya jab maine apko maafi na mangi ho apne mann mai. Wanhi ek galti ke wajah se maine apna sabse pyara dost aur sacha dost kho diya tha…. Aa…aap kuch bol kyun nahi rahe hai..aa..aapko mai yaad hu na..mai aapki..wo..wo..anjaan dost…. Ruhi…Raj..aapko..aapko…mai yaad hu na….
beautiful update