Update 31
Raj aur wo ladka baas ek dusre ko dekhe hi ja rahe thy, fir haste huye ek dusre ke gale lag jate hai. Ruhi herani se dono ko dekh rahi hoti hai. Wo ladka bhi Raj se alag hoke Ruhi ko dekhne lagta hai fir bolta hai,
Ladka : Raj..tune bataya nahi ki tune shadi kar li, aur jake Ruhi ke aage khada ho jata hai.
Ladka : hello bhabhi ji….
Ruhi gusse se Raj ko dekhne lagti hai Raj to baas hass raha tha.
Raj : oo…baas kar meri koyi shadi nahi huyi hai aur Ruhi dost hai meri aur Ruhi ye Zara ka bada bhai Kabir hai.
Ruhi Kabir ko namaste karti hai.
Kabir : sorry..bha…mera matlab Ruhi ji…wo aaj tak kisi ladki ke sath isse dekha nahi to mujhe laga….
Tabhi Raj ko ek call aajata hai to wo bahar chala jata hai aur Ruhi ko Kabir baas dekhta hi rehta hai. To Ruhi ko bahut ajib lagti hai to wo bhi bahar jane lagti hai to Kabir bhi sath hi chalne lagta hai.
Kabir : ek baat bolu Ruhi ji aapse….
Ruhi : Ruhani..mera naam Ruhani hai Ruhi sirf Raj hi bula sakte hai mujhe….
Kabir : chaliye to Ruhani ji aap Raj se pyaar karte ho na….
Ruhi herani se Kabir ko dekhne lagti hai….
Kabir bhi apne baate jari rakhte huye : aur Raj bhi aapse pyaar karta hai.
Ruhi : ye..ye saab kya bol rahe hai aap….
Kabir : wanhi jo sach hai apki ankho mai dikta hai Raj ke liye pyaar….
Ruhi kuch bolne hi wali thy ki Raj wanha aajata hai to Ruhi bolte bolte rukh jati hai.
Raj : Kabir Zara ne apne liye ladka dhund liya hai, aur fir sari baate bata deta hai. To tujhe thik laga na….
Kabir : dekh Rohan ko mai janta hun aur usse acha ladka Zara ko mil hi nahi sakta hai.
Raj : han wo to hai….
Kabir : tu wo chod tu ye bata ki tu kaab shadi kar raha hai….
Raj Ruhi dekhta hai aur bolta hai : pehle ladki to han kare fir aage kuch hoga….
Ruhi inke baate na sunke jake sidhe car mai beth jati hai, Raj bhi Kabir ko jawab de ke apna sar hilake car ki aur chala jata hai….
Kabir wanh khade khade badbadata hai : aag to dono taraf lagi hai….
Raj aur Ruhi dono thodi der ke drive ke baad ghar pahunch jate hai.
Raj : Ruhi ham aaj raat ko nikal rahe hai…
Ruhi kuch udas ho jati hai, wese hi bolti hai : hmm..itni jaldi….
Raj : han kal Zara aur Rohan ko bata kar unhe yanha Mallik sahab se bhi milwana hai.
Ruhi : thik hai….fir Ruhi apne kamre mai chali jati hai aur apne mann mai badbadane ke wajaye sach mai bol deti hai.
Ruhi : abhi to mile thy, paas bhi nahi aaye aur firse dur….
Raj bahar khada sun raha tha aur muskura raha tha. Tabhi Raj ke piche koyi apna hath rakh deta hai to Raj piche mud kedekhta hai jo heran ho jata hai. Piche Kabir khada tha.
Raj : tu hamara picha kar raha tha?
Kabir : karna pada kyun ki tu mujhe bye bolke bhi nahi aaya.
Raj : tu ek bye ke liye to yanha nahi aasakta..bata kya baat hai….
Kabir : wo..mujhe Zara aur Rohan se Abu se pehle milna hai to mai tumhare sath hi ja raha hun….
Raj : kuch jaruri baat hai….
Kabir : yaar bhai hun to….samajha kar na….aur Rohan se bhi milne ka maan hai….
Raj : ok ok no problem to ham baas kuch hi der mai nikalte hai….
Kabir : to..wese ye ruhani meri bhabhi hi hai na….
Raj Kabir ko dekhne lagta hai, to Kabir ne Raj ko ankh mar deta hai, jesse ye keh rhaa ho ki mujhe to pehle hi pata lag gaya tha.
Kabir : tujhe mai 6 saal se janta hun, tu jaab se yanha aaya tha taab se, tu kisi ladki se baat to dur dekhta bhi nahi tha aur iss ladki se….
Raj : Kabir wo ladki meri Ruhi hai….jo mere jine ki wajah hai….
Kabir Raj ko herani se dekhne lagta hai, fir bolta hai : to ye hai wo..teri dream girl jiske liye tune yanha ki har ladki ka dil tod diya..wow yaar..wese bhabhi bahut khubsurat hai….
Raj haste huye Kabir ke gale lag jata hai aur tabhi Ruhi bhi bahar aajati hai….
Ruhi : aap..aap dono yanha…..
Raj ne jese hi mud ke dekha to dekhta reh gaya, kyun ki abhi Ruhi ek salwar suit mai thy aur uske sath saab kuch matching ki pehni thy....
Raj (dhire se) : ye ladki to aaj meri jaan hi leke manegi….
Ruhi ne ek aur baar wanhi sawal karti hai….
Raj : wo mai tumhe dekhne….mera matlab..bulane..han bulane aaya tha aur Kabir bhi aagaya…to hamare sath hi jayega….
Ruhi ne han mai sar hilaya aur Raj Kabir ke sath hi niche aagayi….
Kabir (haste huye) : tera to usse dekhte hi bura haal ho jata hai to bolega kesse…..
Raj : tu na..baas yaar chup hoja aab….wese bhi aab raha nahi jata dur….chal chod aab ye bata ki baat kya hai jo tu ja raha hai mere sath kyun ki mera itna kehne per bhi tu kabhi ye field chod ke kahi nahi gaya…aur aab….
Kabir : yanha ka kaam khatam hua Raj…aab thode din chuti pe hun…to Abu se pehle Rohan se milna chahta hun aur kuch baate clear karna chahta hun aur fir se sath chahta hun..uska….
Raj : Rohan ko nahi pata Zara tumhari behen hai aur Zara ko bhi Rohan ka nahi pata….
Kabir : to fir sahi hai mere liye, easy hoga dono ko samajhana….
Raj : hmm…wese Rohan ko ye pata hai ki mai tumse aur Viren se dono se baate karta hun aur kaam bhi kar raha hun…per wo kuch nahi bolta mujhse..baas tum dono ko miss na karna yanhi dikhata hai….
Kabir : janta hun wo apne aapko bahut dur rakh raha hai per kaab tak dur rahega….
Raj : aab lag raha hai ki saab thik ho hi jayega….
Raj, Kabir aur Ruhi teeno mumbai ki aur nikal jate hai, aur Raj car drive kar raha tha, Kabir uske paas samne betha tha aur Ruhi piche. Raj ne to back mirror Ruhi ke chehre pe hi set kar liya tha, aur Raj ki ankhe to baas Ruhi pe set thy.
Kuch dur aane per Kabir ka phone per message aaya to Kabir kuch sochne lagta hai fir piche Ruhi ko dekh ke bolta hai,
Kabir : Ruhani ji apko bukh nahi lagi hai….
Ruhi : han lagi to hai….
Kabir : Raj..aage ek resort hai Wanha rok dena..wanha kafi acha khana milta hai.
Raj : ok….
Kuch der mai teeno ek resort ke samne khade thy, teeno ander chale jate hai aur khana order kar dete hai aur Ruhi fresh hone ke liye chali jati hai. Jesse hi Ruhi jati hai to Raj Kabir se puchta hai,
Raj : kya hua….
Kabir : wo kaal jiss neta ko mara tha uski party ne hungama kiya hai aur road jam kar diya hai aage se to, yanhi rukhna hoga..sir ka message hai ki wo handle kar lenge hame baas kuch din koi mission nahi karna hai to isiliye mujhe bhi chuti leni padi.
Raj : ok chalo acha hi hai, ham Rohan ki shadi pe pura dhyaan denge….
Kabir : han Viren bhi free ho gaya hoga..wo aab tak Punjab mai hi hai ya aagaya….
Raj : kaam to ho gaya hai Wanha aab aajayega wo kaal sham tak….
Kabir lambi sans leke,
Kabir : char saal baad ham charo sath honge Raj….tu to Rohan se mil liya karta tha per hamse to usne khud hi duri bana li yaar aur Viren to kabhi kuch nahi bolta baas kuch bhi karo baas muskura kar chala jata hai.
Raj : wo issliye kyunki ham saab mai se sabse samajhdar wanhi hai Rohan ke baad Viren hi hai jo kisi bhi situation ko handle kar sakta hai….
Kabir (gusse se) : tere kehna ka matlab mai samajhdar nahi hun….
Tabhi Ruhi aakar beth gayi aur Kabir ko dekhne lagi jo gusse se Raj ko dekh raha tha.
Ruhi : Kabir kya hua hai apko, aap itne gusse mai kyun ho....
Kabir : Raj ko lagta hai ki Viren mujhse jyada samajhdar hai….
Ruhi : aab ye Viren kon hai….
Kabir : hamara jigri yaar….
Raj : oye..Ruhi ko kese pata hoga….
Ruhi : to batao…mujhe bhi janna hai ki ye 6 saal kese gujre thy….
Raj : ok..per pehle khana kha lo..wese bhi aaj raat yanhi rukhna hai aage dange ho gaye hai aur rasta band hai..maine room book kar liya hai….
Ruhi : ooh..chalo aaj apki kahani sunugi….
Saab khana kahne lage….
Mumbai….Raj ke ghar…..
Zara Anu ke sath kitchen mai thy aur Rohan office ka kaam kar raha tha. Tabhi doorbell baji to Anu darwaja kholne gayi..per jese hi Anu ne darwaja khola to koyi nahi dikha….
Anu thoda sa bahar aayi to koi piche se ander jane laga to Anu bina dekhe boli….
Anu : to apki yese aane ki aadat badli nahi..mujhe laga itna time dur rahe ho to badal gaye honge….
Admi : tum bhi to nahi badli..hamesha ki tarah pehchan hi liya wo bhi bina dekhe….
Anu jese hi piche ki aur palti to dekh ke dar gayi…uski ankho se anshu aagaye….
Anu : apko ye chot kese…kaab…aap apna dhyaan kyun nahi rakhte….
Udhar Ruhi, Raj, Kabir khana kha kar Ruhi ke kamre mai ikathe ho gaye. Sabhi bed pe beth gaye..Ruhi ne to pop corn bhi manga liya tha.
Raj : Ruhi ye saab sunne se pehle mujhe ek wada chahiye….
Ruhi : kessa wada Raj….
Raj : yanhi ki jo bhi tumhe aaj pata chalega tum kabhi kisiko nahi bataogi..kyun ki ye ham charo se judi kahani hai, mai, Rohan, Kabir aur Viren…..
Aur ye baat to Zara ko bhi nahi pata, per han Anu saab janti hai….
Ruhi herani se kabhi Raj ko dekhti to kabhi Kabir ko….
Ruhi : yasi kya baat hai….
Raj : bharosa hai….
Ruhi : khud se bhi jyada….
Raj : to wada….
Ruhi ne Raj ka hath pakad liya,
Ruhi : wada….
Kabir : oye…Romeo Juliet..ham bhi hai yanha pe….
Ruhi aur Raj Kabir ki baat sunke baas idhar udhar dekhne lagte hai. Thodi der baad,
Raj : han to kahani suru karte hai.