11 ster fan
Lazy villain
- 2,961
- 7,007
- 158
Update 50Udhar Raj Ruhi ko terrace per le kar aaya tha, janha dono apni aane wali jindegi ke baare mai soch rahe thy.Ruhi : kabhi socha na tha ki ham dono yese ek sath honge…yakin nahi tha apni taqdeer per ki wo mere sath degi kyun ki hamesha daga hi deti aayi hai.Raj ne Ruhi ko apni baho mai le leta hai,Raj : yakin to mujhe bhi apni taqdeer per nahi tha ki tum se kabhi mil bhi paunga, per han apne bhagwan pe bharosha tha ki wo kabhi na kabhi to hamme iss jindegi mai mila hi denge, per ye yakin tha ki sath bhi hoga tumhara kabhi mere sath.Ruhi : aaj apse ek wada chahiye mujhe….Raj ne Ruhi ke chehra apne hath mai leke : jitna chahiye wada le lo mai to pura tumhara hi hun.Ruhi Raj ki baate sunke hasne lagti hai,Ruhi : janti hun…baas yanhi wada chahiye ki aab kabhi bhi kisi bhi baat ko leke kisi galat-fhemi mai bhi ek dusre se kabhi dur nahi honge….ye kehke apna hath aage badha deti hai…Raj ne Ruhi ka hath apne hath mai le leta hai,Raj : wada raha kabhi tumhe khud se dur nahi karunga….Ruhi : mai apko aur kuch bolna chahti hun….Je t’aime….Raj : je t’aime aussi….Ruhi : apko French aati hai….Raj haste huye : tum bhul rahi ho ki mai agent bhi hun….Fir ek dusre ko gale lag jate hai aur wese hi wanhi bethe rehte aur baate karte rehte….Idhar Rohan Zara ko ek room mai leke aaya tha jisme charo aur lights lagi thy aur Zara ki photos bhi…ye Zara ki wo photos thy jaab wo mumbai gayi thy. Har din ka photo tha. Zara to ye dekh kar hi heran thy.Rohan ne kabhi bhi yese apna pyaar jahir nahi kiya tha, Zara charo aur ghum kar dekh rahi thy. Fir Rohan ke gale laag gayi aur Rohan ke galo pe kiss kar leti hai.Rohan bhi Zara ko kaas leta hai fir aane wali jindegi ke bare mai sochne lagte hai.Udhar Kabir aur Nibi ke paas,Nibi baas herani se Kabir ko hi dekhe ja rahi thy,Kabir : kya hua..pehle chup thy per aab to hil bhi nahi rahi ho…ajib ho yaar tum bhi.Nibi : ajib aur mai..aare ajib to aap ho…Kabir : mai..wo kese….Nibi : kabhi school mai bhi achi tarah baat nahi kari hamesha chidhate thy wo to hamesha Viren ji hi bulate thy mujhe…aur to aur fir jaab aaj mili hun to bhi pehchana bhi nahi….aur….wese bhi aap jese handsome ladka mujh jesse ladkiyo mai interest kanha….Nibi kuch aur bolne hi wali thy ki Kabir usse khinch ke gale laga leta hai, jisse Nibi ki ankhe badi ho jati hai herani se….Kabir : aare baas pagli rulayigi kya…itna kuch tha dil mai…wese tujhe chidata tha iss liye ki tu bahut cute se face banati thy to mujhe badi pyaari lagti thy, aur chal sidhe sidhe sun….Aaj jaab se tujhe dekha hai tujhe baas tu hi tu Nazar aarahi hai…pasand aagayi hai tu mujhe…samajh gayi…teri han na ka wait nahi karunga…Zara ka nikah ke baad hi Abu se baat karke tere ghar aajaunga tujhe tere papa se mangne ke liye..to ready rehna.Kabir jaab tak bolta raha Nibi uski baho mai nikalne me liye machalti rahi per Kabir ne usse nahi choda. Jesse hi choda to Nibi bina Kabir ko dekhe hi bhag jati hai, Kabir wanhi grass pe leet jata hai aur muskurane lagta hai.Viren Anu ko leke pool side aagaya tha, aur baas hath pakade dono bethe thy, aaj Viren ne Anu ko apne chest le laga liya tha. Viren ne jaab dekha ki Anu uske cheast pe hi sar rakh ke so gayi hai, to sabki nazar bacha ke Viren Anu ko uske kamre mai leke sula deta hai. Anu ke face pe smile thy sote huye bhi Viren aage badh ke uske mathe pe kiss kar deta hai fir aake garden mai Kabir paas grass pe let jata hai.Dono hi pyaar ke nashe mai muskura rahe thy aur kisi baat ki hosh nahi thy.Agle din mehendi ki rasam huyi, saab ne haala kiya aur apni apni wali ke hatho mai thodi mehendi lagayi. Bichara Kabir saab se bach ke Nibi ke paas jata to Nibi wanha se bhag jati. Nibi to dil hi dil mai khush thy per baas ghabra rahi thy. Pasand to Kabir ko pehle se hi karti thy per jaab Kabir ne yesa saab kaha to ander se hi hil gayi thy usne kabhi socha nahi tha ki yesa kuch hoga.Akhir kaar kuch saman lene jaab Nibi ek room mai gayi to Kabir bhi wanha aagaya aur Nibi ke hath pakad ke bed pe beth gaya aur apni naam ka mehendi lag diya, aur Nibi ki gaal ko chum kar bhag gaya.Saab kuch ache hai ho gaya aur shadi ka din bhi aajata hai.Din mai Zara aur Rohan ka nikah tha, Ruhi ne bhi dono tarah se shadi ki jid ki to unka bhi sath mai hi nikah padhwa diya gaya. Fir raat ko do mandap lage aur in dono jodiyo ka shadi karwaya gaya.Shadi ke baad saab ki bidayi bhi ho jati hai, Rohan Zara ko leke Bangalore apne ghar nikal jata hai aur Raj Ruhi ko leke Bangalore apne banglow mai. Anu aur Nibi ne mil ke Ruhi aur Raj ka ghar prabesh karwaya. Fir kuch rashme ki aur Ruhi ko apne sath leke nikal gaya. Puri raat thakan se saab so gaye thy, per raat ko Anu aur Nibi ne Raj ka karma saza diya tha aur Ruhi ko wanha betha diya tha. Yu to ruhi Raj ke behed paas aagayi thy per aaj ghabra rahi thy.Kuch der baad Raj aata hai kamre mai aur darwaja band karke Ruhi ke paas beth jata hai aur ek dairy mai kuch likhke Ruhi ko de deta hai. Ruhi ne jaab dairy dekha to usme likha tha.Raj : kya mai ghungat utha sakta hun….Ruhi ko school ki din yaad aajati hai, aur hasne lagti hai.Ruhi bhi kuch likh ke Raj ke taraf badha deti hai,Ruhi : nahiRaj : kyunRuhi : pehle mujhe koyi toufa dijiye fir….Raj : apna pair aage karo….Ruhi na samajhne wali stiti mai pair aage kaar deti hai Raj ne apni jeb se payal ka joda nikal ke Ruhi ko pehena deta hai.Ruhi jaab payal dekhti hai to khush ho jati hai aur ghungat utha ke Raj ke gale lag jati hai.Raj : aare…aare…rani sahiba kya kar rahe hai…..Ruhi : apko kese pata chal jata hai ki mujhe kya pasand hai….Raj : sans ho tum meri…to itna to janta hun na….Pata hai kabhi socha nahi tha ki meri taqdeer meri jindegi mujhe de degi.Ruhi ne jaab Raj ko dekha to uska ankhe naam thy. Ruhi ne apna hath aage badha ke Raj ke ansu ko poch leti hai aur gaal pe ek kiss kar deti hai.Raj : pata hai aaj mai bahut khush hun….Ruhi : mai bhi….Raj : acha ji….Fir aage badh ke aaj Raj aur Ruhi taan maan se ek ho jate hai (sorry friends mujhe nahi aata likhna sex scean acha).Rohan aur Zara bhi Bangalore pahunch ke so jate hai unke ghar mai koyi nahi tha to Rohan ne hi saab rasme kiye aur rat ko ye bhi ek ho jate hai. Abhi so rahe thy ki subha subha Rohan utha ta hai to dekhta hai ki Switzerland ki ticket booking ki confirmation ka message tha. Tabhi Kabir ka bhi call aajata hai.Kabir : maine tere hi phone se booking kar di thy aaj sham ki flight hai tum dono ki to packing kar liyo….Rohan : thank you….Kabir : chal be phone rakh aur sone de mujhe, tujhe batane ke chakar mai maine apni nind kharab ki…kuch din ki hi chuti hai to nind bhi puri karni hai mujhe.Rohan : tu sach mai pura kumbhakaran hai….Kabir haste huye call cut kar leta hai. Idhar Raj aur Viren Sharma ji se saab kuch sikh rahe thy, Ritika ji aur Ron mumbai wale ghar mai rehte aur Sharma ji Bangalore mai.
Raj aur ruhi apne past ki yaad karke apne takdeer ko thank u kah rhe hai...kahe bhi kyo nhi aakhir unke Milan ke naummido ke bich ummid ki Kiran hi nhi jagayi apitu unka Milan bhi karwa Diya ...Kabir to bahut fast forward nikala jaldi se Dil ki baat bhi bol di aur hath managane ki bhi baat kah di, matlab nibi ko to mauka hi na Diya sochane samajhane ka , sahi khel gaya guru...Raj aur ruhi shadi karke ab ek ho gaye , aur honeymoon bhi manane jayenge....aur ye Kabir mahashay aaj bhi let Tak soye hai are Bhai jao nibi ke sath kuchh pyar bhari baate Kar lo...
Owsm update writer sir ... keep it up...