mohit ghar se nikl kar apne dosto ke pas chla gya sara din woh bahar ghumta raha aur school ka sab kaam kara liya ab woh sabkuch lekar tyar tha jane ke liye usne thodi bahut shopping bhi kar li thi
saam ko sara kaam nipta kar ghar aa gya ghar me uski mom hi thi jo ekli baithi thi sofe par t.v ke samne Mohit bhi uske sath hi baith jata hai
mohit:-hye mom... Kya kar rhi ho
mom:-aa gya mera beta kaisa raha din aur shopping bhi kar li yeh acha kiya tune
mohit:-bahut badiya mom maine sara kaam nipta liya dad nhi aaye abhi tak aur yeh shopping toh bas waha ke hisab se ki hai
mom:-woh thoda let ho jaye gye bas visa ke paper apply kar tere liye urgent jane ki ticket lekar hi aaye gye
mohit:-toh ticket mil gyi chaliye acha hai visa let bhi ho jaye ga toh koi baat nhi.....mom vaise mujhe bua ke bare me aur kuch batiye naa jaise woh kon kon hai ghar me kya karti hai kuch toh baatya hoga naa papa ne apko
mom:-beta jada toh mujhe tere papa ne batya nhi kyoki yeh sab mera unki life me aane se pehle hua mujhe itna pata hai teri bua ki shadi ko lekar koi baat huyi thi jis se yeh itna bada bawal hua tha main tere papa se iss liye nhi pochti kyoki tere papa thoda sad ho jate hai fir maine bhi nhi pocha kabhi unse Tu hi poch lena nhi toh mil lega waha toh jaan lena
mohit:-woh toh main pata kar luga mom par unki family me kon kon hai yeh toh pata lag jaye
mom:-teri bua ka naam sapna devi hai mujhe bas itna pata hai aur unki do betiya hai pyari c jo ek tujhse badi hai matlb teri didi hai kyoki teri bua ki shadi hamri shadi se pehle huyi hai toh didi ka naam hai varsha kumari aur teri choti behan ka naam hai anjli kumari aur tere phupha ka naam dinesh ji hai iss se jada main nhi janti iss pariwar ko hi tujhe apne papa ke pass lana hai samjha mere bole bete
mohit:-mom woh toh main kar luga par meri baat abhi bhi aap nhi samjhe lagta hai
tabhi piche se ek awaj aati hai jo uske dad ki thi jo ghar ke hall me khade apni patni aur bete ki baate sunn rahe the
dad:-beta main samjh gya tumhri baat ke tum kya janna chahte ho par woh baat tumhre maa ko nhi pata
mom:-aap kab aaye
dad:-abhi jab tum dono baate kar rahe the sapna ke bare me tum coffee bana lao tab tak isse main kuch aur detail de deta hu isse kal hi niklna hai ticket ho gyi sab kuch final hai
mohit ki mom kitchen me chli jati hai mohit aur uske dad wahi hall me baith jate hai
dad:-mohit sapna ka husband yani tumhre phupha waha ke jane mane businessman hai aur tumhri bua ek college professor hai tumhri dono behne college me hai aur tumhe bhi ussi college me admissions lena hai kyoki tumhri bua bhi wahi ki professor hai aur wahi padati hai
mohit:-par dad wahi kyo lena main pehle college dekho gaa tab socho gaa
dad:-beta kyoki iss se tum apni bua aur behno ke nature ko samjh pao gye iss liye unke college me admission lene ko kha hai baki tujhe pasand nhi aaya toh dusra le lena
mohit:-woh toh teek hai dad mujhe pata hai apne admissions ke liye apply bhi kara diya hoga toh ab iss sab ka koi faida nhi hai
dad:-(muskura kar) haa woh toh hai waha mera ek dost hai jiske pas tumhe rehna hai
mohit:-nhi dad main waha ekle rahu gaa aur aap waha bas ek ghar khrid lijiye
Dad:*beta tum ekle waha kaise raho gye
Mohit:*no dad main reh luga par rahu gaa ekla
dad:-acha teek hai fir waha hamra ghar hai tum ussi me reh lena mere dost ka ghar bhi sath hi hai tum tenison naa lo...main toh tumhre khane ke liye asni hogi iss liye friend ke yaha rukne ko bol raha tha
mohit:-dad koi rakh luga khana banne ke liye par mujhe ekla rehna acha lagta hai
dad:-chl teek hai
itne me uski mom coffee le aati hai sab coffee peene lagte hai uski mummy ko bhi bata diya tha ke Mohit kal india jaa raha hai ek maa ka dil kaha karta apne bete ko kahi bejhne ka par yeh jaruri tha iss baat ko rekha janti hai iss liye bas apne bete ke sar par hath ghuma deti hai
Mom:*apna dhyan rakhna waha har roj call karna jada idhar udhar nhi jana hai time par khana peena hona chahiye
mohit:-jee mom main apki baat ka dhyan rakhu gaa tension naa lo aur dad bua aur aap alag kyo huye the kuch baatiye naa
dad:-beta yeh tumhe teri bua se pochna hoga kyoki naraj woh hai main chahta hu tum uski baat suno fir meri aur faisla karo ke woh galat thi yaa main... Kyoki aaj main baata duga toh tum sahi faisla nhi kar pao gye pehle meri behan ki baat sunno fir meri
mohit:-(apne dad ko gale laga) mujhe pata hai dad naa aap galat hoge naa bua bas halat galat the jise main teek kar duga
coffee peene ke baad mohit aur uske dad room me chle jate hai uski mom khana banne issi tarh dinner kar woh so jate hai mohit ko raat ko nind nhi aa rhi thi woh bas kal ke jane bare aur kal kya hoga uske bare me soch rhaa tha issi me uski aakh lag jati hai
subh uski mom uthti hai mohit fresh ho apni coffee pee apna bag pack karne lagta hai jo ki pehle se uski mummy ne kar diya tha woh bas check karta hai kuch jada toh nhi kuch miss toh nhi hua sab check karne ke baad niche chl deta hai sabke pass jada sab hall me baithe the uske mummy papa