Update no 4
jab mohit fresh hokar niche aaya toh hall me koi nhi tha mohit ka mod bahut acha tha iss liye woh ek pyara sa gana gungunta hua kitchen me pehle halka sa nasta banta hai sath me coffee bhi rakh deta hai
darwaja toh avni hi laga kar gyi thi toh woh aram se ander aati hai toh kitchen se gunagune ki awaj aati jise sunn woh muskura kar bina awaj diye rasoighar ke darwaje par khadi ho jati hai
mohit ko khabar nhi thi ke avni aa gyi woh bas apni masti me laga hua tha jise dekh muskura rahi thi tabhi mohit ko toh kisi ne kuch nhi bola par avni ne kandhe par kisi ne hath rakh diye
aayat:*kya dekh rahi hai.. Handsome aur Smart hai...care bhi karta hai apne pariwar...iski mummy ne batya tujhe pasand hai toh iski mummy se baat karo
avni:*(sakpaka kar) aap kab aayi aur kya bole jaa rahi hai woh mujhse chhota hai
aayat:-ek saal hi hai kuch jada nhi hai
avni:*sharma kar) plss mummy stop it
avni ne thode jor se kaha jis se mohit bhi gana gunguna chhod kar piche mud kar dekhta hai toh ek pal ko dono maa beti ko apne piche dekh woh bhi hairan hota hai avni jaha sharam se laal tamatar bani huyi thi wahi aayat ke chehre par muskurahat thi
mohit:*avni tum kab aayi aur aunty aap bhi sath aayi hai
aayat:*haa main tera nasta banne aayi thi par tum already bana rahe the toh ham dono maa beti dekhne lage ke ladka kitna samjhdar hai.... Kitna kuch karna aata hai main toh tum jaisa ladka hi apni avni ke liye fund rahi thi
aayat ki baat sunn ek sharmili ladki ki tarh sharma jata hai Mohit wahi avni ka toh haal Mohit se bhi jada patli thi
avni:*mummy mene bola tha naa main bana dugi aap bhi naa aur kuch jada nhi bol rahi aap
avni maa ko hi aakhe dikha deti hai jis par, aayat khilkhila ke hasne lagti hai
aayat:*tu bana degi tujhe khud toh kuch aata nhi issi liye main aayi par wajh ab pata lagi ke tu iss se kaam karwana chahti thi
mohit:*are nhi aunty avni ne kaha tha woh bana degi par mujhe acha lagta hai cooking karna iss liye maine hi mana kiya
Aryan:*toh coffee peelo naa yar kab se wait kar raha hu
avni apne sabhi mamber ko yaha dekh ander hi ander mayus ho jati hai par kuch nhi kehti kisi se
mohit:*acha toh aap bhi ho fir toh coffee aur banni pade gyi toh chlo pehle nasta kar lo fir main bana deta hu
aayat:*teen coffee bann gyi hai toh isse lekar tum tenno bahar jao kitchen se main sabhi ke liye khana banne lagi hu aaj sab yahi dinner kare gye teri mummy ne special kaha hai tujhe ekla naa rehne du infect aryan toh soye gaa bhi yahi
aryan:*haa mummy yeh teek rahe gaa iss se ham enjoy bhi kar sake gye
aayat:*tujhe yaha masti karne ko nhi bejh rahi mohit padhne me bhi tezz hai uss ke sath kuch padh liyo iss liye yaha bejh rahi hu
aryan:woh bhi padai hi hai mummy just chill ab tum dono toh chlo yaa coffee tandi karni hai
teeno coffee aur nasta lekar hall me aa jate hai
avni:*(gusse se) tu yaha kya kar raha hai
aryan:*aise hi socha tujhe tang kar lu ekle time spend karne wali thi
aryan itna bol ke hasne lagta hai wahi mohit inse door baitha tha toh kuch sun nhi pata
mohit:*ab tum dono kya khushar fushar kar rahe ho
ayarn:*kuch nhi yar avni ne tere sath time spend karna tha ekle me par mere aur mummy ke aane se sab kharab ho gya
aryan ki baat sunn avni se bardast nhi hota aur woh halke mukke marne lagti hai
mohit:*kya tum bhi aryan avni ko tang karte rehte ho...we are just friends... Aur avni coffee piyo main coffee sabse achi bannta hu special training li hai maine USA ke cafe me
aryan:*yar ek baat samjh nhi aati mujhe waha ki ke jab itna paisa hota hi hai papa ke pass toh sala job kyo karte ho jabki waha ki govt bhi pay deti hai
mohit:*aisa kuch nhi hai woh kuch naya try karte hai iss me bhi unka funn hi hota hai.....maine toh bas kuch cooking dish sikhne ke liye free time me cafe aur hotel chla jata tha sikhne
avni:*kuch sikh waha ke ladko se yaha ke ladko jaise nhi hai ke ladki dundo fir usse ghumne me hi baap ke paise barbaad kar do
mohit:*toh iss me kya hai avni yeh bhi acha hi hai papa ke sar par hi toh sab khushi mil sakti hai apne paiso par toh zimmedaariya nibhane me zindgi nikl jati hai
aryan:*dil khush kar diya dost ab iske liye ek kaam karde mera
avni:*ab tujhe kya kaam paad gya
aryan:*didi aap ne coffee Pee li naa toh plss mummy ki madat kar do thoda private hai
avni:*mujhe bhi janna hai varna yeh koi kam nhi kare gaa
aryan:*tera bf thodi hai jo itna hakk jata rhi hai mera bhi dost hai didi
mohit:*yar tum dono tom jarry ki tarh laddoo nhi ab bolo kya kaam hai
aryan:*aaj raat pub jana hai rita ke sath mummy meri tange tod degi agar pata bhi laga toh plss Tu le chl naa
mohit:*its okk chle gye main bhi yaha ka pub dekh luga
avni:*main bhi sath chlo gyi
aryan:*ab tujhe kyo jana hai
avni:*kyoki waha tum toh apni gf ke sath bg ho jao gye waha ekla mohit kya kare ga uski company ke liye
aryan:*mujhe koi problem nhi mummy ko kya bole gyi
avni:*jo tu bole gaa bandar ke mohit lekar jaa raha hai uss ne chlne ko kaha hai
mohit:*matlb kaam tum dono ka aur kandha bandook chalne ke liye mera wah kya baat hai
avni:*tum jada smart naa bano yaha ki ladkiyo ko jante nhi kaise piche padd jati hai iss liye sath jaa rahi ho
Mohit:*acha teek hai sorry baba kab chlna hai
avni:*drink toh karni nhi hai abhi 6 baje hai 7 baje chlte hai 9 baje aa jaye gye jis par mummy bhi gussa nhi kare gyi
aryan:*haa didi yeh time teek rahe gaa
teeno ne baato me chai nasta kar liya tha toh avni aur aryan tyar hone apne ghar chl deti hai toh mohit apne room me ek achi c jean aur hafe T-shirt sath me sunglasses laga kar aa jata hai jaisa woh USA ke pub me jane ko karta tha woh smart bann kar aaya tha jo ki pehle se hi tha
mohit apne room se sidha kitchen aata hai
mohit:*aunty main aryan aur avni ko lekar thoda bahar jaa raha hu ghumne 9 baje tak aa jao gaa dinner tak
aayat:*teek hai beta par tum sab apna dhyan rakhna aur time se ghar aana meri car le jana
mohit:*bike hai aunty aaj maine khareed li thi woh le jaye gyi aap tenison naa lijiye
aayat:*acha teek hai
Mohit ghar se dono bike lekar bahar aata hai toh ghar ke bahar hi avni aur aryan bhi mil jate hai dono bhi tyar ho rahe the par jab mohit avni ko dekhta hai toh ek pal ko kho hi jata hai kya khubsurat lag rhi thi black jean aur pink top me itni khubsurat ladki uss ne USA me bhi nhi dekhi thi
aryan inn dono ka nainmatka dekh chup chaap apni bike par aa jata hai aur jaise hi bike start karta hai toh uski awaj sunn yeh dono bhi hosh me aate hai
mohit:*yar aryan yeh le mere bike ki key iss se aap dono chlo main apni dusri bike se aata hu
aryan:*bhai mere mujhe marna nhi hai didi ke hatho tum dono hi aao sath me aur fir mujhe rita ko bhi lana hai didi aap dono Blackstone pub pocho main bhi aa raha hu
aryan apni bike se chla jata hai
avni:*mere sath jane me problem hoti hai kya jo har bari aisa karte ho
Mohit:*aisa kuch nhi hai avni ji woh kya hai ke woh bhai hai apka....agar main aisa kaho sidha mere sath chlo acha lage gaa besak woh open hai apke sath
avni:*thanku itna sochne ke liye mera bhai lakho me ek hai main sach me uss se bahut pyar karti ho aur woh kabhi mujhe kisi kam ke liye nhi rokta tokta agar maine tum... Matlb kisi ko bf bana liya toh sabse jada khush wahi hoga aur sabse pehle uski inquiry bhi wahi kare ga ladka kaisa hai
mohit:*bhai ka toh farz hi hota hai inquiry karna par apni limt me
avni:*haa woh toh hai Chlo ab
mohit:*kis bike se jana hai
avni:*dusri wali se
mohit:*Confitable rahe gaa matlb uski back seat
avni:*tum chlo bhi ab main itni bhi old fashion nhi
mohit muskura deta hai dono bike par baith jate hai avni mohit ke bilkul sath lag kar baith jati hai jis par mohit bhi muskura deta hai
avni ke chehre par bhi badi c muskan thi usse mohit ke sath rehna bahut acha lag raha tha ek hi din me mohit ka nature usse bahut pasand aa gya tha
dono thodi der me waha poche toh waha aryan aur rita pehle se hi mojood the
rita:*wahhh didi kasam se ap dono ki jodi sach me bahut sundar hai waqt rehte bf bana lijiye fir mat kehna inhe koi aur le jaye
avni:*tu apni bakwas band kar aur ander chlo jab dekho dono masti karte rehte ho koi bura maan jaye toh acha lage gaa
rita:*acha teek hai sorry mohit sorry didi
rita ka mayus chehra dekh avni usse gale se laga deti hai
rita:*meri pyari bhabhi aap ka chehra mayus hona nhi chahiye maine aise hi daata tha chliye tera jo dil kare majak kar
charo waha se pub me aate hai toh waha alag hi masti hi chl thi har tarf music chl rahe the
charo ander aate hai aryan counter par jakar cold drink le aata hai
mohit:*bada acha pub hai aryan
aryan:*aise maamle me apna desh bada acha hai bas sale gareeb ka nhi sochte
mohit:*yar sab me problem hoti hai chl chhod inko tum dono dance karoo aur time spend karo ham dono yaha hai
aryan:*thanxx yar didi ka dhyan rakhna awara ladke bhi hote hai main nhi chahta didi ko kuch bhi bura lage woh pehli baar aayi hai
mohit:*toh ham bahar jate hai tum dono dance karo aur jab time hoga call kar duga agar koi problem ho toh call me
aryan:*okk teek hai
aryan aur rita dance floor par chl dete wahi mohit avni ko bahar jane ko kehne hi wala tha ke koi ladki aakar avni ko gale se laga leti hai
ladki:*meri jaan tum yaha aur mujhe batya nhi.. Main keh keh kar takk gyi par tu nhi aayi aur aaj bina bataye achanak
avni piche palat kar dekhti hai toh samne wali ladki ko gale se laga leti hai
avni:*varsha woh mai bhai ke sath aayi thi
varsha:*yeh tera bhai kaise ho gya tera bhai toh aryan hai naa
avni:*pagal maine kab kaha yeh mera bhai hai aryan ke sath hi aayi thi woh gf ke sath gya hai aur yeh hai mohit kal hi USA se aaya toh yaha le aayi ghumane
varsha mohit ko bade dhyan se dekhti hai fir aage hath badha deti hai
varsha:*hello mr. mohit main varsha
mohit:*(hath mila) mohit... Kaise hai aap
varsha:*main teek hu par tum bahut handsome ho
mohit:*thanku par aap bhi kuch kaam nhi hai
varsha:*vaise yaha ghumne aaye ho
mohit:*nhi study karne aaya hu avni ke college me hu
varsha:*matlb hamre college me that's great vaise tumhe main baata du waha meri puri chalti hai waha mere mummy teacher hai
mohit:*acha kya naam hai unka
varsha:*sapna devta kabhi kaam ho toh mujhe baata dena mummy se keh kara dugi
mohit toh naam sunn ke hairani aur dhyan se varsha ko dekhne lagta hai pyari c aakhe maasoom sa chehra western dress me behad khubsurat ladki thi
varsha ko mohit ka aisa dekhna avni ander ek ghabrahat paida kar raha tha usse kitne moke mile the purpose karne ke par usne nhi kiya ab usse rita ki baat ka bhi dar tha kahi koi aur na le jaye
avni:*mohit bahar chle mujhe confitable mehsus nhi ho raha yaha varsha tum enjoy karo
varsha:*pagal main toh yaha ekli hi aayi thi toh kaisa enjoy chlo main bhi sath chlti hu
ab avni kya kehti varsha uski sabse best friend thi mann maar kar usse chup rehna pada par woh nhi chah rhi thi varsha sath aaye wahi mohit chah raha tha varsha sath aaye usse toh samjh hi nhi aa raha tha ke woh kaise bua aur apni behno ke pass jaye par kismat ne avni ke jariye ek moka diya tha
mohit:*vaise varsha ji aap ke ghar me kon kon hai mtlb aap yaha ekle aayi hai
varsha:*mohit just call me varsha not varsha ji USA me toh itna fark hote hi hai
mohit:*haa bilkul par mujhe apko ji laga kar baat karna acha lagta hai vaise apne batya nhi
varsha:*ghar me mohit mummy hai papa hai aur meri choti sister bas ab inn me se kisi ko lane se rahi aur yeh avni aati nhi iss liye ekle aa jati hu ghumne
mohit:*achaa vaise aur koi nhi hai family me matlb rishtedar ho
varsha:*haa hai naa ek chacha ki family hai jo issi sehar me rehte hai but hamra unn se itni bol chal nhi hai
avni:*haa kyoki woh hai hi ghatiya aaj bhi batmizi kari thi tere bhai ne but mohit tha waha
varsha:*(gusse me) avni kitni baar kaho usse mera bhai naa bola kar main papa se baat karo gyi uske liye
mohit:*uski jarurt nhi varsha ji ab kabhi uss ne avni ko tang kiya toh main hi haddi tod duga
varsha:*woww that's great mujhe bhi woh ghatiya insan pasand nhi bilkul chep character ka hai
mohit:*fir door rehna chahiye
varsha:*wahi toh karti hu
avni:*mohit chle time ho gya papa bhi aa gye hoge nhi problem ho jaye gyi
mohit:*teek hai main aryan ko bula ke laata hu tum yahi wait karo
mohit dono ko waha chhod khud pub me jata hai aur dono ko bula kar bahar le aata hai avni jald se jald ghar jana chahti thi iss liye woh khud varsha ko dikha mohit ka hath pakad kar bike ke pass lati hai
mphit varsha ko bye kehta hai aur avni ko lekar ghar ki tarf chl deta hai aryan bhi rita ko chhod deta hai
Gher par sab hote hai toh sab mil kar dinner karte hai baki sab toh ghar chle jate hai mohit aur aryan apne room me chle jate hai
Dono iss waqt room me the
aryan:*mohit kya tum didi se pyar karte ho mera matlb hai
mohit:*relex aryan main samjhta hu tera matlb main besak bahar raha hu par mera aisa nature nhi ke ladki ko apne jaal me faasa usse use karo avni just friend hai
aryan:*bura maata manna yar woh meri pyari behan hai aur bholi bhi aaj tak kisi ladke ko bulaya tak nhi par tere sath aaj subh se lagi huyi hai aur waha bhi pub me Tune dekha naa kaise jal rahi thi varsha se toh mujhe laga tum dono me.. Agar hai bhi toh koi problem nhi but plss didi ke sath cheating maat karna yar
mohit:*oh yar relex bola naa pehli baat toh aisa hai nhi aur apne mummy papa best Friend hai tujhe lagta hai main aisa kar ke unka sar nicha karo gaa avni ne ek baar bhi meri mummy se yeh keh diya naa ke woh pyar bhi karti hai woh meri shadi karwa degi par avni ko taklif nhi hone degi unke dil me special feeling hai girls ke liye samjha ab so jaa aisa kuch nhi hai
aryan:*thanxx yar vaise mujhe problem nhi jija kehne me par jija banna hoga tab kaaho
mohit:*muskura kar) Tu alag hee parani hai chl soja ab good night
dono muskura kar so jate hai