• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Teri Meri Love Story (Completed)

Kya aap firse is story ko padhne me interested hai?


  • Total voters
    11

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 1


raat ka ghupp andheraa puri dunia ko lapete soya hua thaa. Chaaron aur dur dur tak koi nahin thaa. Beech beech men thodi bahut kuttonki aawaje aa rahi thi. ek 25-26 saal ka dikhne wala naujawaan ladkaa
sadak ke paas kisi gate par khadaa rahkar cigratte smoke kar rahaa
thaa.
Wo aankh uthaa kar saamne ki or dekhtaa hain, wahaan bas 5-6 two- wheeler aur police jeep khadi thi. wo khud ek black lancer ke bonnet ka sahaaraa lekar khada thaa. Wo gali ki chhor ki or dekhtaa hain par use koi nahin najar aataa. Uski is haalat ko dekhkar koi bhi aasaani se kah saktaa thaa ki wo kisi ki raah dekh rahaa thaa.
Kisiko naa aataa dekhkar wo apne cigratte ko fekte huyr dekhtaa hain to use samjh men aataa hain ki pichhle 2- 2 ½ ghante men usne aur uske saath kisi aur ne 12-15 ciggrates funk diyi thi. wo apne pichhe

dekhne ko mudtaa hain wahaan ek board aur uspar ek bulb lagaa hua hotaa hain. wo bulb itnaa kamjor hotaa hain ki usmen aap board par likhaa hua ‘police station’ hi padh sakte ho.
Wo aur niche dekhtaa hain to wahaan police station ka baaraamadaa thaa aur wahaan bhi ek tubelight jal rahi thi. baaraamade se andar jaane waalaa darwaja khulaa thaa. Us khule darwaaje ke paas hi koi hawaaldaar ek stool par baithaa hua thaa. Darasal men use baithaa hua isliye kahnaa pada raha hain kyun ki wo on duty thaa. To samjhne ki baat ye hain ki aise puri dunia ko sulaa dene wali nindia raani ki aagaopsh men wo bhi stool par baithe baithe hi kho gaya thaa.


Tabhi achaanak se gali ke chhor se is shaanti ko cheerte huye awaaj aane lagi aur wo kisi gaadi ki thi. wo us dishaa men dekhtaa hain uske aankhon men ek 4 wheeler ki head light ki tej raushni aa jaati hain. wo usse apni aakhonke bachaane ke liye aankh ke saamen ek hatheli kar detaa hain. wo gaadi aakar uske saamne hi rukti hain. tabhi wo yah bhi dekhtaa hain ki uske pichhe pichhe ek aur gaadi bhi aakar ruki hain .
Pahali jo gaadi aakar ruki thi wo ek black color ki endavour thi. usmen se ek usse koi 2-3 saal badaa lagne wala ek aadmi utartaa hain. aur wo pichhe waali gaadi ki taraf dekhtaa hain. picche ki aayi hui gaadi ek silver colour ki range rover thi. jo yakinan raat ke gali ki dusari chhor se aane waali lamp post ke bahut thode se light men bhi apnaa silver rang chamkaa rahi thi. usmen se kuchh kuchh gaadi ko shobhaa dene waali personality ka ek aadmi utartaa hain jiski umr lagbhag dusare bahar nikalne waale ke jitni hi hogi.
Us aadmi ek saath ek aur aadmi driver ke baaju waali side se utartaa hain. yah aadmi kuchh kuchh 45-50 ke beech men kaa lagne waala

thaa. Usne safari pahnaa hua thaa. Uske pehraav aur usko dekhkar hi aisaa lag rahaa thaa ki yah aadmi kisi bahut bade aadmi ka PA ya secretary hain.
Waise to baaki teeno aadmi bhi kuchh koi kam nahin the. sab ekse ek acchi khaasi physic rakhne waale the par agar aap dekhne jaao to jo naujawaan khadaa thaa wo aur jo pahale utaraa thaa wo donon hi T shirt jeans men the. yakinan donon ko dekhkar koi sandeh ho donon hi kaafi acche khaase ghar se the. jab ki jo aadmi range rover men se utraa thaa wo ek party ware style designer suit men thaa.aap usko dekhkar hi samjh sakte ho ki yah ek khaandani rayis yaa koi bahut badaa aadmi hain.


Wo aadmi utarate hi jo naujawaan khadaa thaa wo daud kar aayaa aur usne usse kahaa “Vikram bhaiya, main aapki kitni der se raah dekh rahaa thaa”
wo aadmi beech men hi usko rokkar kahtaa hain”Pratap ab main aa
gayaa hun naa, main sab sambhaal lungaa” wo samajh jata hain ki Pratap kuchh jyada bataayegaa nahin isliye wo saath men aaye huye dusare uske hamumr ki taraf dekhtaa hain aur usko puchhtaa hain “abhiman, aakhir hain kyaa yun achaanak Pratap ne phone karke bulaa liyaa aur tumne bhi kuch bataya nahin phone par?”
Abhiman darasal men jis sawaal se dar raha thaa wahi sawaal uske saamne khada thaa. Abhiman usse kahtaa hain “Vikram tum Aditya ko chhudaa lo fir hum sab bataa dete hain”
Vikram bhi yah sunkar samajh jataa hain ki donon hi usko aakhir maajraa kya hain bataane waale nahin hain. usko sab kuchh jaanane ki ab bas ek hi ummid lag rahi thi. aur wo thaa police station men kaid

Aditya
 
  • Like
Reactions: Naina and mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 2.

Vikram ab samne ke police station ki taraf chal padtaa hain. uske peeche peeche teenon bhi aate hain. wo jaise hi baraamadaa ki seedhiyaan chadhtaa hain uskaa dhyaan saamne stool par soye huye wahi hawaaldaar par jaati hain. wo ab seedhe apne secretary ki taraf dekhtaa hain. wo aage aake us hawaldaar ko jor se aawaaj dete hain. Hawaldar angdai dete huye uthtaa hain aur jor se puchhta hain “kyaa kaam hain?”
Wo aadmi puchhta hain “station ka in charge kaun hain? hamen unse kaam hain?”
Hawaldar aalas ko saath lekar uthtaa hain aur boltaa hain “dekhne men to bade sharif lagte hain. aapko pataa nahin hain is waqt men sharif
log sote hain FIR dene ko din men aane kaa wo kaam din men bhi ho saktaa hain”
Secretary apne aawaaj men ab thodaa kadak pan late huye kahate hain
“hamen unse abhi milnaa hain kuchh aur kaam hain”
Hawaldaar ab apni jagah se uthtaa hain aur andar ki or chalne lagtaa hain aur saath men kahtaa hain “mere pichhe aaiye … aap bahut khush kismet ho aaj inspector saab kisiko milne ke liye ruke huye hain”
Wo chalte chalte ab ek cabin ke bahar thaa. Ab wo pichhe mudkar dekhtaa hain to use in donon ke pichhe khade Abhiman aur Pratap dikhai dete hain. un donon ko dekhte hi wo kahta hain “inspector saab aapki hi raah dekh rahe the. aap rukiye main unko bataa detaa hun ki aap aaye hain”
Wo hawaldar ab cabin men ghus jata hain aur 2 minute men bahar aakar kahta hain “jaaiye andar aapko bulaa rahe hain”


Sabse pahale Vikram cabin ka darwaj kholkar ek badese confidence aur kuchh bhi sunne ki taiyaari ke saath andar jata hain aur unke pichhe pichhe teenon. In sab ke andar aate hi inspector apni kursi par se khada hota hain. aur wo kahtaa hain “baith jaaiye”
Ab darasal men Vikram thodaa gusse men hi thaa ki Aditya lockup ke andar hain jab ki wo use bahar bhi bithaakar rakh sakte the. wo seedha inspector ke saamne jaakar baith jata hain uske side men uskaa secretary aur donon side men abhiman aur Pratap.
Vikram saamne baithte hi kahtaa hain “inspector saab aditya meraa bhai hain aap use chhod dijiye”
Inspector “aap kaun?”
Vikram ka secretary pahchaan karaa ke detaa hain “ye hain Mr. Vikram Jahagirdar. Jahagirdar group ke M. D.” aisaa kahte huye wo visiting card aage badhaa deta hain.
wo police inspector saamne kaa visiting card uthaakar padhtaa hain
aur firse saamne rakhkar kahtaa hain “aapka aur aditya ka rishta?” secretary “ye aditya ke bhai hain. chachere bhai”
inspector “maaf kijiye par main aapki kuchh bhi madad nahin kar
saktaa”
Vikram unke rukne par puchhta hain “kyaa aap mujhe bataa sakte hain ki aapne aditya ko giraftaar kyun kiyaa hain?”
Inspector ab secretary ko chhod kar Vikram ki aankhon men dekhtaa hain aur kahtaa hain “aditya aaj raat ko yahaan ke ek local par jaane mane journalist hain uske ghar men ghus gaye the”
Vikram beech men rokkar kahtaa hain “itni si baat par giraftar karne ki koi jarurat to nahin thi aap samjhaa kar bhi kaam kar sakte the.”


Inspector apni table ka ek drawer kholkar usmen se ek revolver nikaalta hain aur saamne rakhkar puchhta hain “ye gun unke paas thi”
Vikram “iskaa aditya ke paas license hain”
Inspector “waise aditya apne paas ek fully loaded 9mm bore semi automatic revolver rakhtaa hain aur uskaa uske pas license bhi hain “thik hain” kahkar firse drawer men haath daalta hain aur ek aur magazine nikaaltaa hain aur puchhta hain “ek extra bhari hui magazine
ke bare men aap kyaa kahenge jo ki usi waqt uske paas thi” yah kahkar wo Vikram ke chehare ki taraf dekhne lagtaa hain.
Vikram 2 minute baad kuchh kah pata iske pahale hi wo firse drawer men haath daaalkar ab ek chhota box nikaaltaa hain aur usko kholkar usmen se goliyan nikaal kar saamne rakh detaa hain aur kahtaa hain “aap bade chaalak hain aap us extra ke magazine ke baaren men kuchh na kuchh bataa hi denge par in 144 extra rounds ke baaren men kyaa kahenge jo ki inke gaadi men se mile hain?”..
Vikram yah baat sunkar kaafi tense ho jata hain aur wo ek minute ke liye sochne lagta hain. kuchh sochne ke baad wo kahtaa hain “aapne state ke minister Annasaheb Jahagirdar kaa naam to sunaa hi hogaa hum donon unke pote hain.”
Inspector “aap kisi ke bhi pote rahe kal inki adaalat ke saamne haajri hogi. Aap chaahe to tab wahaan jamanat le sakte hain”
Vikram man hi man men kuchh sochtaa hain aur inspector se kahtaa hain “aap aditya ko abhi chhod dijiye aur is maamle ka kuchh karne ki koi jarurat nahin hain main sab sambhaal lungaa”
Inspector “sorry main kuchh nahin kar saktaa aap kal adalat men pahunch jaaiye”


Vikram seedha uthkar teenon ko kahtaa hain “chalo” aur wo seedha mud kar baahar ki taraf nikal padtaa hain baaki teenon bhi uthkar nikal padte hain bas uskaa secretary jaate jaate uske saath haath milaakar jata hain.
Bahar aakar Vikram kaafi gusse men abhiman aur Pratap ki taraf dekhtaa hain. aur unpar baras padtaa hain “aakhir itnaa badaa maajraa ho gaya aur tum donon ne mujhe bataayaa kyun nahin?”
Lekin jawaab men bas khaamoshi thi. wo jawaab naa milne se tilmilaa jaataa hain ab wo seedhe morcha ab akele Pratap ki taraf mod detaa hain “Pratap tum to samjhdaar ho tum yeh bataao ki tum ye hua tab kahaan the?”
Pratap thodaa darte darte kahtaa hain “main uske hi saath thaa par police aakar akele aditya ko hi le gayi”
Vikram “thik hain aur tum donon us journalist ke ghar kyun gaye the?” Pratap “wo aap aditya se hi puchh lijiye main to bahar hi thaa aditya mujhe bahar khada rahane ko kahakar akelaa hi andar gaya thaa” Vikram “aur aditya kab se apne saath itne extra bullets rakhne lag gayaa? Wo to hameshaa bas 1 extra magazine hi rakhtaa hain” Pratap “pichhale waakiye ke baad wo extra bullets car men hi chhupaakar rakhtaa hain par aaj us inspector ne car ki talaashi li aur use wo mil gayi”
Vikram samajh jataa hain ki aditya kisi ko maarne ke motive se nahin gayaa thaa wo turant sochne lag jata hain ki ab kyaa Karen. Wo apne secretary ki taraf dekhtaa hain aur kahtaa hain “deshmukh, aap andar jaaiye aur city police commissioner aur local station ka number le aaiye”


Deshmukh “jee sir” kahkar andar chalaa jata hain aur idher teenon bahar alag alag khayaalon men dub jaate hain. 2-5 minute baad deshmukh numbers lekar bahar aata hain. bahar aate hi Vikram kahtaa hain “commissioner ko phone lagaaiye” aur wo deshmukh ki chehare ki taraf dekhtaa hain. deshmukh samajh jaataa hain.
Wo turant commissioner ka number milata hain par kaafi rings bajne ke baad bhi wo phone uthaataa nahin hain aur idher har minute Vikram ki chintaa aur saath men hi gussa badhtaa jataa hain. deshmukh kahtaa hain “sir wo phone uthaa nahin rahe hain”
Vikram kuchh der sochne ke liye firse ruk jata hain aur kahtaa hain “DIG ko lagaao wo jarur uthaayegaa”
Deshmukh “par sir..”
Vikram “aap lagaaiye unhe phone main baat kartaa hun”
Deshmukh ab seedhe usko call kar detaa hain. 2-4 baar ring bajne ke baad wo uthaa letaa hain “hello kaun?”
Vikram seedhe deshmukh ke haath men se phone le letaa hain aur kahtaa hain “main Vikram jahagirdaar bol rahaa hun”
DIG “haan boliye Vikram sahib itne raat gaye kaise yaad kiyaa aapne?
Sab kuchh thik to hain naa?”
Vikram “kuchh thik nahin hain aditya jail men hain aur udher ka inspector use chhod nahin rahaa hain”
DIG “kyaa baat hain?”
Vikram “kuchh jyada serious to nahin hain par mujhe wo 10 minute ke andar mere saath chahiye hain” aakhri ke kuchh words par usne accha khaasa jor diyaa thaa uski wajah se DIG samajh gayaa ki kuchh to baat hain


DIG “thik hain sahib aap mujhe bataa dijiye wo kis police station men hain main kuchh kartaa hun”

Vikram “deshmukh se aap baat kar lijiye ye aapko police station kaa

naam aur wahaan ka number bhi denge” itnaa kahkar wo phone deshmukh ki taraf badhaa dete hain.

Deshmukh phone ko lekar sab kuchh bataa detaa hain. 5 minute baad


DIG ka wapas phone aataa hain ki Aditya ko wo abhi chhod denge. chaaron police station ki darwaaje ki taraf dekh rahe hote hain tabhi ek prataap ki hi umr kaa naujawaan bahar aataa hain uske saath saath wo inspector bhi thaa wo donon bahar Vikram ki taraf badhte aa rahe the. Aditya Vikram ke saamne aakar ruk jataa hain aur uske baaju men inspector bhi uske haath men wo chije thi jo ki usne le li thi. wo sab chije aur car ki chaabi aditya ke hawaale kar ke wapas lautte waqt Vikram ki aankhon men aankhe daal kar yeh jataanaa chahtaa hain ki wo kabhi kisi mod par iskaa badlaa jaur legaa. Par Vikram ki aankhon men to wo gurur thaa ki usne aakhir is inspector ko jhukaa hi diyaa.
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 3



Inspector ke mudkar waapas jaane ke baad wo Aditya ki aankhon aankhen daalkar kuchh padhne ki koshish kartaa hain par use hameshaa khushmijaas lagne walaa aditya ka cheharaa kuchh kuchh utraa hua saa hi laga aur uski aankhon men hameshaa dikhne waali ek chamak aaj maujud nahin thi.

Vikram ab Aditya se puchhta hain “aditya aakhir maajraa kyaa hain bataaoge”

Aditya “kuchh nahin hain bhaiyaa”

Vikram “tu apne dil men kuchh liye baithaa hain aur wo main jaan naa paau ye naamumkin hain” aur wo aditya ke kandhe par haath rakh

detaa hain.

Vikram firse kahataa hain “tumhe kitni baar kahaan hain ki mere saath aake rahaa kar ghar par naa jaane kyaa rakhaa hain teraa is shahar men?”

Aditya sir jhukaa letaa hain aur kahtaa hain “us shahar men rahu to kisiki yaaden mujhe tadpaati hain …. Main ab us shahar men rahnaa nahin chaahtaa is liye 5 saal se yahin hun… aur abhi to yahaan rukne ki ek wajah bhi hain”

Vikram “matlab tum aajtak nilofar ko nahi bhula paaye … adityaa move on usko gujare 5 saal hone ko aa gaye hain aur tumhe abhitak wahaan usi ki yaaden tadpaati hain?... aur ye kyaa nayi yahaan rukne ki wajah ke baaren men tum bol rahe ho?”

Aditya ab Pratap se cigarette lekar jalaataa hain aur 2-3 kash letaa hain “hain koi jisne meraa tute huye dil ko firse jod diyaa aur ab firse tod

bhi rahi hain” yah kahte kahte aditya apne chehare par se haath fertaa

hain aur apni lancer ke bonut ka saharaa lekar khadaa ho jataa hain. Itne men hi Pratap kahtaa hain “bhaiyaa kyun naa aage ki baaten ghar jaakar Karen” Vikram kuchh sochkar haami men sar hilaa detaa hain aur tino gaadiyaan aditya ke bangle ki taraf daudti jaati hain. aur ek acche khaase bangle ke bahar aakar rukti hain.

Sabhi log gaadi men se utar kar darwaaje ki taraf badhte chale jaate hain. Pratap aage jaakar darwaaje kaa tala kholtaa hain. sabhi log jaakar drawing room mne ke alishaan sofe par baith jaate hain. baithte hi Vikram Aditya se bolta hain “ab to thik thik bataayegaa ki kyaa baat hain? kyun tu aise kisi ke ghar men ghus gayaa?”

Aditya saamne ke flower pot ko dekhte huye kahtaa hain “main deepa

ke hi ghar gaya thaa. jald hi uski shaadi hain main aakhri baar unhe rokne ki koshish karne gaya thaa par main asafal rahaa”

Vikram “deepa hmm.. par isse to tum kah rahe the ki shaadi tay kiyi thi

aur viraj ki shaadi ke bad tum bhi shadi karne waale the naa?”

Aditya “haan par uske bhai ko mere past ke baaren men kuchh pataa chalaa aur usne wo deepa ko bataa diyaa. Ghar se virodh hone ki wajah se wo shaadi karne ko taiyaar nahin hain”

Vikram “jab se deepa tumhaari jindgi men aayi hain tab se hamaari mulaakaat hi nahin ho paayi hain, aaj mile hain to sab bataa do dil halkaa ho jaayegaa … aur..”

Aditya apni najare ab Vikram par late huye kahtaa hain “aur kya bhaiyya?”

Vikram “subah hone do main tumhaare saath chaltaa hun uske ghar hum uske papa ko manaa lenge”

Aditya “thik hain bhaiyaa maine to laakh koshishe kiyi par uske papa

mujhse mane hi nahin”

Aur Aditya apni gujare huye dinon ke yaadon men khotaa chalaa jaataa hain aur jo usne pichhle 6 mahinon se jo bhi usne dekhaa, sunaa aur mahsus kiyaa wo sab kuchh wo Vikram ko bataaye chalaa jataa hain…
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 4



Deepa daudi daudi ghar men aa rahi thi saath men “maa maa” chilla rahi thi uske chehre paar kaafi khushi jhalak rahi thi aur hon bhi kyun naa aaj uskaa result jo nikalne waala thaa aur sabko usse kafi ummide thi

wo chilaati hui ghar men ghusi aur thodaa dance karte karte maa ke paas kichen men jaakar lipat gayi

maa ne kahaa “ kyaa result nikla ?”





deepaa “first class with distinction” haath men ki marksheet maa ko deekhaate huye usne maa se kahaa usko maa ne dekhaa aur uske bhi chehre par muskuraahat chaa gayi “ bahut acche marks hain Deepa” maa ne kahaa

tabhi pichhe se aawaj aati hain “ aakhir beti hain kiski !”

Deepa pichhe dekhti hain to uske pichhe papa khade the aur unke haath men mithai ka dibba tha usmense mithai nikaal kar wo dononko khilaa dete hain

tabhi Deepa ki marksheet dekhte dekhte uske papa kahate hain “

M. B. A. kar liyaa ab kyaa karnaa hain ?”

Deepa ki aankhonemen achaanak ek chamak aayi aur usne kahaa “ main ab naukari karungi”

papane chhedte huye kahaa “ thik hain kar lenaa par shaadi kar lo baad men naukri karnaa”

deepaa achaanak kuchh roneesee surat banaa kar aur maa kaa pallu

pakad kar boli “ mujhe nahin karni shaadi waadi aapko jyaadaa padi hain to aap karlo”

papa deepaa ki shakal dekhkar hansne lage aur unhone kahaa “ thik

hain naukari bhi karke dekh lenaa ab teraa bhai aaye to ham sab kahin baahar dinner par jaayenge”

papa ki rajamandi sunkar Deepa boli “ I love you papa mujhe bhi lagaa thaa ki aap maan jaayenge”

thodi der baad uskaa bhai bhi aagayaa aur fir saathmen sab log bahar

dinner ke liye gaye

Waise dekhaa jaaye to Deepa ek kaafi honhaar ladki thi aur who M.B.A. padh rahi thi waise to wo B. Com. Bhi kar chuki thi first class par wo aur bhi padhna chahti thi so usne M.B.A. kar liyaa

deepa ki umr hain 22 saal aur who kaafi open minded ladki hain saathmen hi behtarin husn ki mallikaa par ekdam seedhee saadi ladki hain waise agar uske husn ki tarif karne jaau to ekaadh update aur likhnaa padega to main usko likhne kaa khayaal to abhi chhod hi detaa hun wo kisi aur update men kar dungaa



To aaj uskaa result nikal aaya thaa yah bhi first class with distinction Ghar men sab log kaafi khush the uske result se khaas kar uski maa sabse jyaadaa thi aakhir ho bhi kyun naa kyun ke uski bhi iccha thi padhne ki to uski yah iccha uski beti puraa kar rahi thi aur who bhi itne acche marks ke saath.



To deepa ke ghar men 4 member hain

Pahli deepaa, uski mummy shweta jo ki house wife thi, deepaa ke papa suresh jo ki ek journalist hai aur aakhari uskaa bhai dinesh jo ki news reporter tha.

Deepa khushi khushi agale hi din jaakar ek job agency men registration kar aati hain..

5-6 din ke baad deepa ko agency se phone aata hai aur bataaya jata

hain ki ek acche company men bade ohade ke liye use agale hi din interview par bulaaya gaya hain.

dusare din bade hadbadi men uthkar deepa taiyaar ho jaati hain. naa jaane usko kitni baar yahi lagtaa hain ki wo interview ke liye late ho jayegi par wo waqt par hi chal rhai thi. ghar se nikalte huye apne mummy papa ke pair chhukar aur bade bhai ko company ke gate par drop karne ko raaji karke wo ghar se nikal padti hain.

waise kyaa kahe ki jis aadmi ke paas bhi koi naukari nahin hoti wo

pahali baar interview dene jaate waqt har ek bhagwaan ka mandir, masjid aur church par matha tek kar hi aage badhtaa hain bas usi tarah hamaari deepa bhi har madir men prarthnaa karte huye ant men company ke gate par pahunch jaati hain. uskaa bhai usko ghar jaane ke liye transportation kaha se milega yah samjhaa detaa hain.

waise pahali baar interview dene ke liye jo log jaate hain unke man kuch anjaan sa dar hotaa hain. aisa maine kai logon se sunaa hain. par baat yah hain ki jo koi bhi aapka interview legaa wo bhi aakhir aadmi hi hain koi janvar nahin jo aapko khaa jaaye.

bas yahi dar apne man men liye deepa company ke gate ki taraf badhti jaati hain. wahaan gate par security waale usko rok lete hain. to wo security ko bataati hain ki wo interview dene aayi hain. security guard usko reception ka raasta dikhaa deta hain.

deepa andar jaate huye mudkar apne bhai ki taraf dekhti hain. wo gate ke uspaar khadaa hokar use dekh raha hota hain. jaise hi deepa ki najar us par padti hain wo jor se wave karke haathse hi thumbs up dikhaa detaa hain. deepa ab aage badh jaati hain. deepa ko andar reception par pataa chaltaa hain ki uska interview abhiman lene wala hain. uska cabin first floor par hain par abhi wo kisike saath baat karne men busy hain. to deepa ko kuchh der ke liye lobby men wait karne ko kaha jaataa hain.
 
  • Like
Reactions: mashish

Black water

Vasudhaiv Kutumbakam
5,857
21,055
188
Congratulations bhai
 
  • Like
Reactions: DirtyBiker

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 5





darasal ye wait karne ke kaaran deepa kaafi nervous ho jaati hain. kuchh der baad reception par ka phone bajtaa hain aur receptionist deepa ko interview ke liye jaane ko kahti hain. aur wo deepa ko cabin ka rasta samjh kar saath men good luck deti hain.

deepa jab cabin men andar jaati hain tab to wo thodi dari hui, thodi

sahami hui see hoti hain. wo dekhti hain ki saamne ek lagbhag 27-28 saal ka ek naujawaan aur uske saath men hi 45-46 ka lagne wala ek aadmi baithaa hain.

andar aane par wo naujawaan deepa ko saamne ke liye saamne waali kursi ki taraf ishara kar detaa hain. aur deepa us kursi par baith jaati hain. tabhi wo apnaa khud ka introduction kar detaa hain "hello i am abhiman CEO of this orgonization"

kahkar wo saath men ke aadmi ki taraf ishaaraa kar detaa hain aur unka parichay karwata hain saath men deepa ko kahtaa hain "and whats your good name miss?"

aisaa kuch bhi nahin thaa ki abhiman deepa ka naam nahin jaanta thaa par baatchit shuru karne ke liye wo yah puchh letaa hain. deepa bhi jawaab deti hain "my name is deepa garg"

uske baad abhiman deepa ko uski family background ke baare men kuch puchhta hain aur deepa wo bhi bataa deti hain. baadmen wo deepa ke certificates dekhtaa hain iske baad donon milkar kuchh idher udher ki baaten puchhte hain. aakhir men wo kaam ke question shuru kar dete hain. itni der baat karne ke baad deepa ka confidence level badh jata hain wo uske bhi jawaab de deti hain. baadmen abhiman deepa ko ek cup coffee ke saath uski expectations puchhta hain. aur usko interview khatam hua ye bataa detaa hain aur wo khud contact kar legaa aisa kahtaa hain.

2 din baad abhiman ke office se phone ataa hain ki uska selection ho gaya hain aur jaldi se jaldi wo join kar le.

deepa jab yah khushkhabar apne mummy papa ko sunaati hain to unki khushi ka thikaana nahin rahtaa. deepa bhi ab khudpar vishwaas karne

lagti hain….
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 6





deepa join karke us company men accounts manager ki post ban jaati hain uske haath ke niche 2 accountants hain jinmense ek ladki hain aur ek ladkaa hain unke naam varsha aur dilip hain saathmen hi usko ek cabin diyaa jaata hain aur deepa apne kaam men man lagaa deti hain aur kaafi kaam men ulajh jaati hain

1 hafte baad hi jab wo apne cabin me baithi hui hoti hain aur uske cabin ke khaas baat yah hain ki usko apne jagah se hi gate se lekar building ki entry tak sab kuchh deekhtaa hain

To ek din aise hi wo apne cabin ke khidki ke paas jaakar khadi hokar kuchh file padh rahi thi tabhi uski najar achaanak baahar jaati hain aur wo baahar dekhne lagti hain tabhi ….

Ek black colour ki lancer aati hain aur gate ke saamne aakar hi horn bajati hain tabhi security daudta daudtaa aakar gate kholtaa hain aur driver side men kisiko dekhkar salaam thoktaa hain gaadi andar aa jaati hain aur parking men aakar khadee ho jaati hain

Agr fimonke style dekhaa jaaye to camera pichhe se gaadi ki taraf aata hain aur gaadi ki number plate dikhti hain jismen ki gaadi kaa 9999 number deekhtaa hain jo ki ek pratik hain ki yah koi VIP ki gaadi hain aur gaadi kaa driver side ka darwaja khul jaata hain aur usmen se ek 24-25 umr kaa lagne waala ek ladkaa utartaa hain height 5’11”, white t shirt , blue jeans , sports shoes , haathmen ek bracelet ,aankh par goggle,uski gym men banaayi body to uske upar ekdam jach rahi thi, looks ekdam perfect wo koi filmstar naa ho par uskaa pehraav aisaa thaa jaise ki wo ek office nahin balki ek collage aaya ho aur wo apne sun glasses men se yahaan wahaan dekhnaa shuru kartaa hain aur

baadmen yahaan wahaan najar daudaa kar ek cigrate baahar nikaalta hain aur usko lite karke wo building ki tarf chal detaa hain

Yah sab uparse deepa dekhti hain aur sochmen pad jaati hain ki yah

kaun hain jisko andar aate waqt security jo ki abhiman ke siwaay kisi ko salaam nahin kartaa isko salaam kartaa hain aur ek ‘no smoking’ premises men cigrate smoke kar raha hain uske man men uske wishayi utsuktaa hoti hain ki aakhir “yah hain kaun ?”

Yah sochte sochte 5 minat beet jaate hain aur wahi ladkaa uske cabin ke darwaje par hotaa hain waise hi usko apne cabin ke darwaaje par dekh kar who thodaa saa dar jaati hain aur apni kursi par hi hadbadaa kar sahi tarikese baithti hain

Deepa ko yah lagtaa hain ki ab yah ladkaa “may I come in ?” puchhegaa

Par uskaa andaajaa saaf chuk jaata ahain who ladka seedhe andar aakar uske saamne ki kursi par raub ke saath baith jaata hain

Aur baith kar apnaa parichay detaa hain “ hi I am Aditya director of Perfect SPM Pvt. Ltd.”

Aur apnaa haath shakehand karne ke liye aage badhaata hain par

deepa ki taraf se koi halchal nahin hoti aur naaraj hokar apnaa haath pichhe khinch letaa hai

Aur fir deepa kahati hain “ very please to meet you sir waise meraa naam deepa hain”

Aditya “deepa aapke yahaan meraa ek bill aayaa hain uske liye main

milne aayaa hun”

Deepa “ haan maine aapkaa bill dekhaa hain aapko PO sirf 2500000 rs. Ki hi diyi gayi thi par aapke yahaan se 2750000 rs. Kaa bill aayaa hain”

Aditya “ haan uske liye PO badhaane ke baaremen meri baat ho chuki hain aur main apnaa check le jaane ke liye aayaa hun”

Deepa “ waise main dekh chuki hun aapko PO aapke full quotation

amount par diyi gayi thi”

Aditya “ haan par mujhe ismen aur 250000 badhaakar chahiye hain aap apnaa mail khol kar dekh lijiye yaa fir yah lijiye naya quotation letter jo ki exact 2750000 kaa hain aur isko file karke aap PO badhaa de aur mujhe payment dede”

Deepa “ sir main isko accept nahin kar sakti hun yah rules ke khilaaf hain”

Aditya “ kuchh rule ke khilaaf nahin hain aap isko lele aur payment dede”

Deepa “ dekhiye sir yah kaam main nahin kar sakti”

Aditya “ are had ho gayi yaar ek to ain mauke par logonki madad karo aur uparse mehnat ke paise maangate waqt yah suno ki yah rule ke khilaaf hain etc. etc.” isbaar aditya ki aawaj jaraa badhi hui thi aur aawaj men ek alag hi raub thaa

Deepa “ dekhiye sir aapkaa yah kaam nahin hogaa maaf kijiye aur jo aap madad ki baat kar rahe hain uske aapko paise milne waale hain nah aapko pataa thaa isiliye aapne bhi madad kiyi hain” is baar deepa bhi confidence men bol padi par usko nahin pataa thaa is line par usko kyaa sunna padegaa

Aditya “ yah badaa ajib hain yaar jab jarurat khatam ho jaaye to log prosti tute ko bhi paisa dekar hi nikalte hain aur yahaan to usse bhi battar condition hain” aditya ne thodaa thande hokar kahaa

Deepa “ sir main aapse is baarenmen baat nahin kar sakti aur aaj sir

nahin hain to kal unke aanepar unse is baarenmen baat kar sakte hain” Aditya “ aap hote huye aapke sir ki kyaa jarurat aap hi khud mujhko apne haathonse nayi PO aur saathmen check bhi dengi aur who bhi pure 2750000 ka” aur yah kah kar apne kursi men thodaa jhulne lagaa Par yah sunkar to deepa jaise tilmilaa uthi aur usne phone uthaayaa “ security come to my cabin” yah sunkar aur deepa ke muh par ka gussa dekhkar hua kuchh ultaa aditya to hansane lagaa
 
  • Like
Reactions: mashish

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
38,086
53,507
304
aaila dobara posting waise sahi hai ye XP ki un kahaniyo main se hai jo apni pasandida kahaniyo main se ek hai iska to pdf bhi hai apne paas
 
  • Like
Reactions: DirtyBiker
Top