• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Teri Meri Love Story (Completed)

Kya aap firse is story ko padhne me interested hai?


  • Total voters
    11

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 7



Aditya “kyaa aapke yahaan koi aaye to usko chaay paani nahin puchhte hain kyaa ulte aaye mehmaan ke liye security waale ko taklif de rahi ho” Thodee der ruk kar firse chidhaaane ke liye boltaa hain “ chapraasi yaa fir niche ki reshmaa (receptionist) se kahkar chaay mangwaa leti abhi aane do tumhaare security guard ko uske liye bhi mere paas kaam hain”

itnaa kahte hi deepa aise aankhen banaa kar aditya ko dekh rahi thi jaise ki who ab aditya ko khaa hi jaayegi tabhi achaank baahar se reshmaa aati hain uske haathmen ek tray hain jismen ki ek cup rakhaa hain aur saath men hi ek ashtray thaa aur who andar cabin men aakar chaay aditya ki or badhaa deti hain aur saath men hi saamne ashtray rakh deti hain

Deepa “ reshmaa yah ashtray le jaao main cigrate nahin peeti aur yahaan par no smoking likhaa hain who padh nahin sakti ho kya shakal se padhi likhi lagti ho kamse kam us postar ko to padh lo” kahte huye hi baahar ke postar ki taraf ungali deekhti hain par aage kuchh binaa

dekhe yaa kuchh kiye reshmaa aditya ki taraf dekhkar musukuraati hain aur aditya jaan jaata ahain ki aakhri waalaa comment reshmaa ke liye nahin uske liye thaa aur wo mudkar reshmaa ki tarf dekhtaa hain aur

“ thank you” kahtaa hain aur reshmaa baahar nikal jaati hain aur aditya

deepa ki aankhonmen aankhen daal kar muskuraate huye chaay ki chuskiyaan letaa hain maano ki who kisi coffee shop men baitha apne girl friend ke saamne baith kar chaay pee rahaa ho

Tabhi wahaan par security guard aajaa hain aur deepaa ko puchhtaa hain “ kyaa baat hain madamji”

Deepaa “ in saahaab ko yahaan se le jaao”

Aditya “ are deepa chay to khatam hone do baadmen check lekar chalaa jaaungaa”

Ab to yah sun kar deepa aur gussa ho jaati hain tabhi aditya security

guard ki taraf ek 100 not deekhaate huye kahataa hain “ 1 cigrate ka packet laanaa to”

To wo security guard wo not lekar baahar chalaa jaataa hain

Deepaa aur bhi chid jaati hain par aditya saamne baithkar bas uskaa chaand saa mukhdaa dekhkar muskuraa rahaa hotaa hain aise men 2-3 minute nikal jaate hain aur deepaa thodi ab sambhal jaati hain wo apne table par kaa pani kaa glass uthaakar peeti hain aur kahati hain ki

“ sir sachmen main aapkaa kaam nahin kar sakti to aap chale jaaiye”

Par is baat ko bhi aditya ansunaa kar detaa hain aur usko taanktaa rahtaa hain ab is tarah se kaafi waqt se dekhne ke kaaran ab disturb ho jaati hain tabhi security guard daudte daudte aata hain aur cigrate ka packet aditya ko dekar aur bache chute dekar jaane lagtaa hain tabhi deepaa usko rukne kaa ishaaraa karti hain aur khud ek file men dekhne lagti hain aur kahati hain ki “ ramsing jaate jaate saahab ko bhi saathmen le jaana”

Tab aditya deepa ke muh ke saamne se uski file chin kar kahata hain ki “ mujhe apne saath lejaane ko raamsing ko khud ke liye koi aur security

gaurds rakhne padenge”

itnaa kah kar wo khud hi hansane lagtaa hain aur ramsing bhi muskuraakar Cabin se nikal jaataa hain aur thi tabhi aditya cigrate ka peket kholne hi lagtaa hain tabhi deepa kahti hain “ please sir yahaan cigrate mat smoke kijiye”

Deepa ke kahne par aditya use firse band karke haath men hi rakhtaa hain aur kuchh kahanaa chahtaa hain tabhi deepa ke cabin men abhimaan aa jaataa hain..

A kahtaa hain “are aditya kitne der se aaye ho mujhe milne nahin aaye mujhe kuchh kaam hain tumse”

Aditya “ are yaar aane hi waala thaa deepa se check lekar tumse hi milne aane waala thaa”

Abhiman “ are tumhari pahchan ho gayi kyaa deepa se ?”

Aditya “ nahin yaar bas inhone mujhe apnaa naam bataaya aur tea pee chukka hun par aapki madam hamen check nahin de rahin hain” Abhimaan deepa se “ kyaa hua deepa aditya ko uska check de do” Deepa “ sir inko PO 2500000 ki hi diyi hain aur inhone 2750000 kaa bill diyaa hain aur utne kaa hi check maang rahen hain to wo main kaise de du?”

Abhiman “ PO ko 2750000 ka kardo aur unkaa check banaado main bhi yahin rukta hun tab tak sign karne ke liye”

Abhiman aditya ke haath men ka cigrate ka pecket dekhkar kehtaa hain “ kyaa akele akele hi pini hain kyaa ?”

Aditya “ are yaar chal bahar jaakar pite nahin to ab madam ko gussa aa

jaayegaa aur wo mujhe tumhare kahne par bhi check nahin dengi” itna kahkar deepa ko dekhte huye hansane lagtaa hain aur yah sunkar saathmen deepa ke chehre par ke bhaav dekh kar hasataa hua aditya

ki gardan men haath daal kar cabin se baahar le jaata hain
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 8







15-20 minute aditya aur abhiman kisi baat par discuss karte hain aur saathmen hi waapas deepa ke cabin men aa jaate hain

Abhiman “ deepa check taiyar ho gaya ho to dedo sign karke dedetaa hun aur saathmen hi Production Planning men se ek job ki drawing aayegi aur saathmen hi schedule bhi to uskaa rate aditya ki taraf se lekar mere paas final karne ke liye lekar aana”

Deepa “ ok sir aur yah raha check”

Abhiman check sign kartaa hain aur aditya ki taraf badhaate huye muskurke kahtaa hain “ ek cigrate pilaa kar 250000 nikalwaate ho !!” Tabhi aditya jor se hans kar kahta hain “ abhi aur 8 bachi hain so aur 2000000 ka check taiyar karne ko kahdo”

Aur dono jor jor se hansne lagte hain tabhi ek aadmi aditya ko jo chahiye thi wo drawing lekar aataa hain aur abhiman apne cabin men chala jaata hain

Aditya “ madam mujhe ek paper , pen milegaa kya ?” Deepa “ sure sir par aap mujhe madam naa kahen “ Aditya “ to kyaa kahun ?”

Deepa “ deepa” itnaa kahkar wo paper aur pen aditya ki taraf badhaa deti hain

Aur aditya bas muskuraa detaa hain aur kahtaa hain “ agar main yahaan 10-15 minute baith kar kuchh kaam karun to aap disturb to nahin hongi naa ?”

Deepa “ no sir aap jitni der chahiye ruk sakte hain”

Aditya “ ab aap ko main madam nahin kah saktaa to aapko mujhe sir ke bajaay aditya kahane men kyaa aitraaj hain?”

To deepaa sharmaa jaati hain aur bade hi sundar andaaj men “ jee sir” itna kahkar abhi jeebh ko deno daaton ke beech kaaat kar feer se kahtee hain “ ok aditya”

Deepa ke chehre par kaa husn aur saamne ghataa huaa ek kshan aditya hameshaa ke liye apni aankhon men bhar letaa hain aur muskuraane lagtaa hain aur deepa se kahtaa hain “ deepa

please mere liye reshma se ek coffee mangaa do”

Deepaa “ thik hain” itnaa kahati hain aur 2 coffee mangwaati hain aur aditya saamne paper drawing ko dekhkar kuchh likhte huye kuchh kaam karne lagtaa hain tabhi coffee aati hain aur dono coffee pite hain par aditya upar najaren uthaaye binaa hi coffee ke saath kaam men mashgul ho jaata hain par puri der deepa aditya ko nihaarti jaati hain aur 15 minat baad aditya kam khatam kar detaa hain aur achanak najaren upar uthaa letaa hain aur dekhtaa hain ki deepa usko hi dekh rahin hain so wo bas apnea ankh se hi ‘kya?’ yah puchhataa hain par deepaa apni gardan dol “ kuchh nahin” kahti hain

Aditya “ chalo abhiman ke paas chalte hain”

Aur aditya uthkar abhimaan ke cabin ki taraf chal detaa hain aur uske pichhe pichhe bhi Baad men kuchh der abhimaan ke saath kuchh Discussions hote hain aur baadmen aditya wijayi mudra ke saath check aur nayi ek aur PO lekar jaata hain..

Idhar aditya office se nikal jaane ke baad sidhe apni company men jaakar PO dekar seedha shopfloor par chalaa jaataa hain aur wo apne dost pratap ko dhundhane lagtaa hain 2-3 minute ki khojbeen ke baad pratap aditya ko raw material store men kuchh kaam kartaa mil jaataa hain wo jaate hi prataap ko baajumen khinchtaa hain aditya ke chehre

par kaafi khushi hoti hain

Aditya “ yaar pratap ek chij tujhko bataani hain “ Prataap “ kyaa ho gaya ab yaar ?”

Aditya “ free hain kyaa khaas baat hain yahan nahin bataa saktaa hun” Pratap “ abhi to free nahin hun par agar tu kahen to chal baahar jaakar baat karte hain”

Aditya “ nahin tu apnaa kaam puraa niptaa le aur baad men mujhko phone baahar jaakar shaanti se baat karenge”

Pratap “ thik hain”

Waise pratap bhi aditya ke chehre par ki khushi dekh kar khush ho jataa hain usne bahut saalon baad aditya ko itnaa khush dekhaa hain aur wo bhi iski wajah jaanne ko bekaraar ho jaata hain to wo bhi apne kaam jaldi niptaane ke pichhe lag jaata hain
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 9



Pratap aditya kaa sabse khaas dost hain aur who hi hotaa hain jisne aditya ko uske mata –pita gujar jaane ke baad emotionally aur kai tarikonse sambhaal kar rakhaa hain bhale aditya ko paisonki jarurat nahin thi par usko koi aise dost ki jarurat thi jo ki usse emotionally ataach ho jaaye aur hamesha uske saath rahkar uskaa khayaal rakhe Waise pratap bhi kuchh kam nhain thaa who bhi ek dam mast tagdaa naujawaan thaa unchain men aditya se height men 2 inch chhota par body wagairaa looks ke maamle men donon hi ekdusare ko tough competition dete hain

Waise to prap aditya se 2 mahine chhota thaa aur uske pitaaji bhi adita ke pitaa ke paas kaam karte the aur ek din unkaa aur prataap ki maa ka dehaant ho gayaa thaa tabse usko aditya ke saath hi aditya ke papa ne badaa kiyaa thaa aur uski har padhai aditya ke saath hi hui hain. Aditya

ke mata – pita ke dehant ke baad donon eksaath hi rahte hain aur dono ek dusare ke hamdard hain unkaa rishtaa kaafi gaharaa thaa aditya usko kabhi dost Samjhta hi nahin thaa wo to usko hamesha usko apna bhai samjhta thaa aur uski hi taraf hamesha pyaar kartaa thaa

Par aaj dekhiye kaal ki maar ke wo donon hi saath the aur saath hi Aditya ka bahut hi bada pariwar thaa par wo unke saath naa rahkar akela rahta thaa pratap ke saath naa hi us shahar men thaa jahaan se uskaa pariwar hain balki wo kai saalon se ek alag par ghar se 200 km dur ek shahar men apnaa alag kaarobaar chalaa raha tha .

Aditya chalaa jaata hain aur intejaar kartaa hain ki kab uske dost pratap ka kaam khatm ho aur wo usse bahot saari baaten Karen ismen kaafi der ho jaati hain tab tak wo apne cabin men jaakar uskaa intejaar kartaa hain

Lagbhag 7 baje pratap ka aditya ko phone aataa hain ki wo ab free ho gayaa hain

Uske baad donon parking men mile aur aditya usko bataane ke liye saath lekar ek bar men le gayaa

Bar men jaane ke baad pahale to 1-1 peg ka order diya gayaa aur wo aa bhi gayi

Dononne cheers karke wo down bhi kardi firse refill ka order diya aur usmen ka ek ghoont pine ke baad pratap bola “ kyaa hain yaar kyaa bataane ke liye aaj itne jaldi mujhe yahaan le aaya ?”

Aditya “ are yaar hain ek khaas baat !”

Pratap “ aur aaj to chehre par bahut dinonbaad khushi bhi dikh rahin hain kyaa uski wajah hi yahi hain ?”

Aditya “ haan isi baat ki wajah se main kaafi khush hun” Pratap “ ab bataa de yaar”

Aditya “yaar ab kaise bataa dun , kyaa bataau” aisaa kahkar aditya

bottom up lekar apnaa sar pakad letaa hain

Prataap bhi bottom up lekar firse refill ka order deta hain aur chaknaa khate khate aditya ko bolta hain “ ab apne yaar se kya sharmaanaa bak bhi de kyaa baat hain ?”

Aditya “ yaar pratap I am in love yes I am in love”

Prataap khush ho jaata hain aur uski khushi uske chehre par jhalak jaati hain aur wo apna pura glass uthakar top to bottom maar deta hain aur kahata hain “ kaun hain wo ladki ?”

Aditya “ yaar apne abhiman ke yahaan accounts manager hain”

Pratap “ pahale to uske yahan koi lady accounts manager nahin dekhi” Aditya “ yaar abhi abhi nayi aayi hain”

Pratap “oho pahali hi meeting men setting !!” itnaa kahakar pratap

hansane lagaa aur aditya thodaa sharmaa gaya Aditya “are yaar par dar lag rahaan hain”

Pratap “ kyun yaar majaak kar rahaan hain ladki pataane men ek samay

tu master thaa”

Aditya “ haan par ab is master ko jang lag gayaa hain long time............ ”

usne ek thandi saans bharte huye bola

Pratap “ haan yaar kai saal ho gaye yaar ab to sachmen tere ko jang lag gayaa hoga” aur jor se hans padaa aditya bhi uski baat sunkar muskuraayaa

Aditya “ yaar par ab dil ke haanthon majboor hun firse puraane waale aditya ko jagaanaa padega”

Pratap “ jagaa jagaa main tere saath hun par aisaa mat kar denaa ki ‘andhi paani lane gayi, aur matki hi fod aayi” yah sun kar aditya bahut jorse hansne lag jaata hain aur thodi der baad hansi rok kar bolaa Aditya “ chup be aisaa kuchh nahin hongaa dekh lenaa”

Pratap “ han han dekh lenge dilli jyaada dur nahin” Aditya “ haan dekh lenaa bacchu”

Darasal kaafi saalon baad pratap aditya ko firse aise dekh rahaan thaa toh wo bhi bahut khush thaa uske liye iske baad men donone daaru khatam karke dinner ka order diyaa aur dinner karte waqt aditya ne deepa kaa warnan pratap se kiyaa aur pratap to bas aditya ke chehare par ki khushi hi dekh rahaan thaa

Dinner ke baad donon ghar chale jaate hain par wahaan jaakar bhi aditya ko nind nahin aati hain puri raat aditya to bas deepa ke khayaalon men hi rahta hain aur usko nind raatke 3-3:30 ke kareeb aati hain
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 10

Subah pratap uth jaata hain aur taiyaar ho kar dekhta hain ki aditya to abhi tak uthaa hi nahin hain to wo aditya ko uthaa kar usko taiyaar hone ko kah detaa hain
Aditya uth kar taiyaar ho jaata hain aur naashte ki table par dekhta hai ki pratap uskaa intejaar kar rahan hotaa hain to aditya baith kar kuchh naashte ke liye letaa hain aur pratap ko kahtaa hain “ yaar pratap deepa ko ‘good morning’ masaage bhejtaa hun”
Pratap “ oye chup kar yaar ladki ko kuchh to pahal karne de” Aditya “ matlab”
Pratap “ mujhe to ab shak ho rahaan hain ki main ab bhi usi aditya ke saath baitha hun jo apne collage men ek mashhoor ladkaa thaa wo bhi
ekdam playboy ke jaise”
Aditya “ yaar maaf kar par ab main waisaa rahana nahin hun par aaj dopahar tak apne aap ko restore kar lungaa par play boy banne ke liye nahin balki bas ek ladki pataane ke liye”
Pratap “ thik hain lunch par dekh lenge”
Aditya “ dekh sham tak uskaa number bhi lungaa aur usko apnaa number bhi deke dikhaaungaa”
Pratap “ haan haan apni position kaa use karke, abhiman ko phone karke to koi bhi uskaa number le sakta hain”
Aditya “ chal thik hain yahi bolta hain to abhiman se binaa number maange uska number lekar dikhaungaa”
Pratap “ ho hi nahin saktaa”
Aditya “ chal lagata hain sham ke daaru ki” aisaa kah kar haath aage badhata hain aur pratap uspar clap karke kahtaa hain “ chal lag gayi par dekh seedhe abhiman se number nahin maangna hai aur naa hi uske office ke kisi aur aadmi se ya udhar ke forms par se nahin lene hain”
Aditya “ manjoor sham ko dekh lenaa 4 baje” Prataap “ thik hain dekh lenge”
Tab tak dononkaa breakfast khatam ho jaata hain aur dono company
par nikal jaate hain aur aditya apne cabin men jaakar sochne lag jaata hain dopahar 2 baje lunch par pratap aditya ko bulaane aa jaata hain aur donon saath men harroj ki hi tarah lunch lete hain
Lunch khatam karke uthte waqt aditya pratap se kahtaa hain “ aaj dopahar 3:30 baje tak sab kaam niptaakar mujhse milnaa”..
Udhar abhimaan ke office men deepa kaam kar rahi thi aur usko
abhiman ka phone aata hain “deepa mujhe ***** ki file lekar mere cabin men milo”
Us phone call ke baad deepa abhiman ki kahi hui file lekar abhiman ke
office men jaati hain aur darwaja kholne se pahale hi sheeshe se dekhti hain ki abhiman apni kohniyonko table par
rakhkar haathonmen apnaa sar pakad kar baithaa hain
Deepa darwaja knock karti hain to abiman apni gardan uthkar dekhta hain ki kaun aaya hain aur wo paata hain ki deepa uski kahi hui file apne haathonmen lekar darwwjepar khadi hain
Abhiman “ haan deepa aa jao …… baitho” aisaa kahakar saamne ki kursi ki taraf ungali dikhaata hain
Deepa saamne ki kursi par aakar baitha jaati hain aur file abhiman ki
taraf aage kar deti hain
Abhiman wo file lekar thodi der padhta hain aur baad men uske baarenmen deepa se kuchh discussions kartaa hain par deepa ko yah mahsus hota hain ki abhiman kisi tension men hain aur wo kaam par concentrate nahin kar paa rahaan hain
To deepa abhiman se puchhti hain “is there everything all right sir?” Abhiman “ nahin kuchh nahin hain ab tum ja sakti ho”
Deepa “ kya aapko aur kisi chij ki jarurat hain sir ?”
Abhiman “ nahin aur kuchh nahin chahiye” abhiman ekdam muh latkaaye kah detaa hain isse deepa ko pataa chal hi jaata hain ki abhiman koi tension men hain par wo use kuchh bataa nahin chahata hain to wo uth kar baahar jaane ke liye khadi ho jaati hain
Tabhi abhiman bolta hain “ deepa mere liye ek coffee mangaogi” Deepa “ sure sir abhi bolti hun” aisaa kahkar wo phone uthakar coffee

ke liye bolti hain aur uske phone rakhte hi abhiman ka mobile baj uthata hain abhiman dekhta hain ki kiska phone hain
Phone kiska hain yah dekhkar hi uske chehre par thoda rang aa jaata
hain aur wo phone utha leta hain “ hello” phone aditya ka hota hain Aditya “ hello abhiman kya kar rahan hain tu ?”
Abhiman “ kuchh khaas nahin kyun?”
Aditya “ gaadi nilaal aur fauran mere yahaan aajaa par kisiko bataana mat ki tu kidhar jaa rahan hain”
Abhiman “ kya kam kya hain?”
Aditya “ aa to sahi sab bataa deta hun aur waapas office jaane ko nahin milega”
Abhiman “ thik hain abhi aata hun”
Phone par baat karte karte abhiman ke chehre par thhodi khushi aa jaati hain aur wo turant apne car ki chabi uthaane lag jaata hain aur isko dekhkar deepa chakit hi rah jaati hain ki ek call aane par hi abhiman ka mood firse accha ho gayaa
Abhiman uth kar cabin ke darwaje ki taraf nikal hi padta hain ki pichhe se deepa aawaj deti hain “sir”
Abhiman “ haan deepa”
Deepa “ sir aapke liye coffee mangwaai hain”
Abhiman muskuraate huye kahtaa hain “ wo ab aap pee lo main baahar jaa rahan hun”
Deepa bhi muskuraa deti hain aur abhiman apni gaadi lekar aditya ki
company ki taraf nikal padta hain aur 10-15 minute men pahunch jaata hain
Aditya company ke baahar hi road ke ek side ki tapari par usko dikhtaa

hain to wo udhar hi gaadi rok leta hain aur gaadi se utar kar aditya ke paas chalaa jata hain
Abhiman ko dekh kar aditya khush hota hain aur wo pratap ko call
karke baahar yaani jahaan wo khade hain wahi bulaa leta hain Abhiman “ kyaa baat hain yaar itni jaldi aise phone karke bulaa liya” Aditya “are yaar tujhse ek chhota sa kam hain”
Abhiman “ kya ?”
Tab aditya usko sab samjhaa detaa hain tabhi pichhe se pratap bhi aa jaata hain
Aditya pratap se “ to shuru kiyaa jaye operation possible”
Yah sunkar donon hansne lag jaate hain aur pratap kahtaa hain “ jo karnaa hain tujhe hi karna hain”
Aditya “ to fir thik hain tu bas dekh ab kya hota hain”
Aditya apna mobile uthata hain aur abhiman ke office ka number lagaata hain aur us call ko accounts men deepa ke paas transfer karne ko kah detaa hain
Aditya “ hello main aditya bol rahaan hun perfect spm se”
Udhar deepa ke mathepar achanak shikan aa jaati hain ki ab kyaa hoga Deepa “ hello sir haan kahiye kyaa kaam hain”
Aditya “deepa aapke yahaan meri file padi hongi jaraa nikaaliye to”
Deepa “ek minute” aur wo aditya ke compay ki file nikaalti hain aur saamne rakhti hain
Deepa “ haan sir kahiye mere saamne hi hain file”
Aditya “ haan to usmen 3 mahine pahale ek spm diyaa thaa uska payment overdue huye 2 mahine beet chuke hain madam uskaa payment kab milega”

Deepa “ abhi dekhti hun” aisaa karke who us file ko dekhne lag jaati hain aur wo dhundhti hain us spm ke baarenmen
Deepa “ haan sir wo spm abhi tak hamaare yahaan se dispach nahin
hua hain jaise hi wo hamaare yahaan se dispach ho jaayega aapko aapka payment mil jayega aisaa is par likhaa hain”
Aditya “ deepa par humne to isko aapke PO par hi diya tha aur usmen
aapne hi condition likhi thi 30 days men payment ki aur uski date gaye 60 days se upar ho gaye hain” aditya jaraa apne aawaaj men thodaa gussa laakar boltaa hain
Deepa “ sir iske liye mujhe abhiman sir se baat karni padegi aur wo yahaan par nhain hain kahin bahar gaye hain kyun naa aap unse hi khud baat kar lijiye”
Aditya “ madam unse baat karnaa yah meraa kam nahin aapka kam hain aur waise bhi abhiman mera phone nahin le rahaan hain wo company men kaa phone jarur legaa”
Deepa “ thik hain sir main unse baat karke aapko bataati hun” Aditya “ haan aur yah mujhe aap directly jaldi se jaldi bataayen” Deepa “ thik hain sir jaisaa aap kahen”
Aditya “ aur haan kahin par mere liye massage mat rakhiye yah baat bas mujhe directly bataaiye” is baar aditya ke aawaj men kuchh jyaada hi kathortaa thi
Deepa “ jee thik hain sir” itnaa kah kar wo phone rakh deti hain Deepa ab abhiman ko phone karti hain
Deepa “ hello sir main deepa rahin hun” Abhiman “ haan bolo”
Deepa “ sir wo aditya sir ka phone aayaa thaa kuchh 3 mahine pahale

unhone diye huye spm ke baaremen” tabhi abhiman uski baat ko kaat kar kah detaa hain
Abhiman “ wo mujhe abhi kisi baaren men baat nahin karni main
baahar hun aur please mujhe aaj disturb naa Karen”
Deepa “par sir aditya sir ko turant kuchh jawaab chahiye thaa” Abhiman “usse kahnaa ki kal mujhe aakar mile”
Deepa “sir par agar isse wo khush nahin huye to ?”
Abhiman “ tum apni taraf se sambhaal lenaa wo jyaada kuchh bole to use kahnaa ki kal hi jo kahna ho mujhse hi kahen”
Deepa “ thik hain sir” itna kahate hi abhiman phone kaat deta hain Yahaan par teenon hans rahe hote hain
Aditya abhiman se “ are aage ki step”
Abhiman “ haan yaar abhi kartaa hun”
Wahaan deepa telephone directory men se aditya ke company kaa number nikaal kar dial karti hain par usko yah pataa chaltaa hain ki aditya kahin par baahar gayaa hain to wo udharse aditya ka mobile number le leti hain
Idhar abhiman apna mobile uthata hain aur company me phone kartaa hain udhar reshma phone uthaati hain
Abhiman “ haan hello main abhiman bol rahaan hun”
Reshma “ kahiye sir kisko transfer karun ?”
Abhiman “ kisi ko transfer mat karo bas company men ki sabhi telephone line 15 minat ke liye band kar do”
Reshma “ ji thik hain sir”
Udhar deepa aditya ke mobile par call karne ke liye phone uthati hain to who dead hotaa hain to binaa jyaada soche aditya ko jald se jald

abhiman ka masaage deneke liye who apna mobile uthati hain aur aditya ke mobile ka number dial karti hain
Udhar teenon chaay ke saath saath cigrate kaa majaa le rahen hote
hain aur unki bakbak chal hi rahi hoti hain tabhi aditya ka mobile bajne lagtaa hain aditya dekhtaa hain koi unknown number hain aur dononko apne muh par ungli rakhkar “shhhh!!” kartaa hain aur donon chup ho jaate hain
To wo use jhat se uthaa letaa hain “ hello who’s this ?”
Udhar se deepa ki surili aawaj aati hain “ hello sir main deepa bol rahin hun ******** pvt. Ltd. Se”
Aditya “ haan boliye kyaa kaha aapke sir ne ?”
Deea “ ji sir ne aapko kal bulaaya hain unse us baarenmen baat karne ke liye”
Deepa ko man hi man lag raha tha ki ab kyu, kab, kaise, etc., etc. questions aditya puchhega so wo firing sunne ke lie taiyaar ho jaati hain
Aditya “ thik hain par aapne apne company ka phone use karne ke bajaay ye kis number se phone kiyaa hain ?” yah sawaal aayegaa aisaa to deepa ke man men bhi nahin thaa achanak ke is googly se wo thodi chauk jaati hain
Deepa “ wo …. Wo sir yeh mera personal number hain abhi yahaan ki phone line dead hain isliye isse karnaa padaa”
Aditya “ to kyaa main office ke kuchh kaamonke liye aapse is number
par directly call kar saktaa hun?”
Deepa thodi hichkichate huye aur apni najaren sharm ke maaren niche jhukaa leti hain aur kahti hain “ ji jaisaa aap thik samjhe sir”

Aditya aawaj men thodi khushi late huye “ok then good bye deepa” Deepa bhi thodi sharmse aur naajuk aawaj men “ good bye take care” itna kahkar phone cut kar deti hain

Phone rakhne par deepa sochne lagati hain ki aditya wo pahlaa ladka hain jiske pas uskaa number hain aur wo yah sochte huye hi Sharma jaati hain aur uske man men kai vichaar aane lag jaate hain aur wo usmen hi dub jaati hain par wo aditya ka number apne mobile men save karnaa nahin bhulti
 
  • Like
Reactions: mashish

mashish

BHARAT
8,032
25,909
218
Hello everyone.

Yeh story maine kai saal pahale puri kiyi thi aur wo archive men aaj bhi hai.

kuchh logonke mails aaye the isliye isko firse post kar raha hun saath men hi ek aur story likhna bhi shuru kar hi chuka hun.

kyunki yeh story puri hai isliye kai readers padh chuke hoge kripaya kar ke jinhone nahi padhi unko is journey ka firse ek part banane de.

iske updates kaafi fast aayenge. daily 2-3 long updates drop kiye jayenge.

aap sabne jo pyaar mujhe pahale diya hai wahi firse de iski main apeksha rakhta hun aur isi ke saath firse wahi journey shuru kiyi jaaye.

iski PDF link story complete hote hi main hi de dunga kripaya koi reader dene ka kasht naa karen.

aapke sujhaavon ka hamesha swagat hi hoga aur kripaya thread ki shaalinata ko banaye rakhe.
thanks new story start karne ke liye writer ji
 
  • Like
Reactions: DirtyBiker
Top