"firing toli salami shastra" chillaya gaya
Aur insas rifles uth gaye haathon me, bigul baj gaya aur wo dhun koi shaurya dhun nahi thi
Thi gam aur udasi ki dhun, apne saathi ko khone ki dhun
GHAI GHAI GHAI GHAI
bandookon ne salami di, lekin shayad kam pad gayi, shaheedon ke samman ke liye ye sachmuch kam thi
"salami toli, shok shastra"
Bandook jhuk gayi aur wapas neeche chali gayi sabhi army men ke jo wahan funeral drill me the
Baarish tez ho rahi thi, Eid ka din tha aaj aur aaj hi ke din kabristan me mitti nasib ho rahi thi ek khush kismat ko
Shayad khuda ka pyara banda tha
Arjun wahi khada tha, sab kuch uske Saamne ho raha tha, sab kuch uske Saamne hua tha jab uske Saamne shaheed hua tha major shabbir khan
"khali kar"
Fir se Bandook ki awaazein aur poore ke poore insas rifles ke magazines ko khali kiya gaya
"baju rakh"
Bandook wapas apne jagah ho gaye
Noor bhabhi roye ja rahi thi aur mushkil se khadi thi. Salute kar rahi thi apne shahid shauhar ko
Arjun ne dekha noor bhabhi ki aur, shayad abhi aur rona hai unko. Pyaar jo karti thi apne pati se
Imran chota hai abhi. Shayad use pata bhi nahi ki uske papa ne kaise 6 terrorist ko apne Bandook se udaya hai
Doosre din arjun ne major shabbir ki uniform li aur noor ko dene ke liye taiyyar hua. Lekin noor arjun ko dekhkar apne aap ko rone se na rok saki
Uniform liye khada arjun jaise hi noor ke Saamne aaya wo fafak fafak kar ro padi
"mujhe mera pati wapas la do bhaiyya" noor rote hue boli aur rote hue baith gayi aur arjun ke pair pakad liye usne
"tumhe un sabhi lamhon ka wasta, us rakhi ka wasta jo maine tumhari kalai par baandh thi, please bhaiyya mere pati ko wapas la do, mai jee nahi paungi unke bina" noor ko do army walo ne uthaya aur le gaye jabki arjun but bankar khada tha, ro bhi nahi sakta tha wo
Kiske liye rota wo??? Apne senior aur bade bhai shabbir khan ke shahadat par rota ya rota inayat ke shahid hone par
Uska sab kuch cheen gaya ek jhatke me us din
"sir" army ke ek Lance naik ne arjun se wo uniform le liye
Lekin fir bhi arjun wahi khada raha
Jaise pathhar ka ban gaya ho.
----------------------------------------------------------------------
Subah ki chai ki chuski lete hue do log baithe the aaj 10 para sf ke heavily guard jungle ke area me
"Vikram dekh mai ek major general ke haisiyat se nahi ya samdhi hone ke wajah se nahi balki ek dost hone ki wajah se bol raha hoon, apne bete ko samajh warna der na ho jaye" praveen kumar ne vikram puri ke kandhe par haath rakhte hye bola
Colonel puri chupchap apne chai ki pyali par chammach se sugar ko milane laga
"mai wahi soch Raha hoon sir, short tempered hai aur apta nahi kyun lekin Indian army shayad uske liye hai hi nahi" Vikram puri soch me doob gaye
"operation was successful Vikram no doubt about it lekin. Casualties bhi hui hai
Hamara ek honhar major shaheed hua hai, aur Saath me wo ladki inayat wo bhi kamal ki thi.im amazed itni choti umra me uski maturity dekhne layak thi" praveen bola
"Haan sir, us ladki ki maturity arjun ke. Mukable dugni thi, arjun se har field me excel karti thi, agar aaj hamare Saath hoti to shayad arjun aur wo shaadi bhi kar lete lekin..." bolte bolte ruk gaye vikram
Dard chehre par dukh raha hai. Praveen ne aur bolna thik nahi samjha
" thik hai mai chalta hoon Vikram"praveen uthkar khada hua
Tabhi call aya vikram puri ke phone par
"jai hind bolo" Vikram me phone uthakar jawab diya
Lekin uske baad jo suna vikram ne use sunte hi chair se uthakar khada ho gaya
"WHAT???" Vikram chillaya
"kya hua??" praveen ne poocha
"Arjun ek ak 47 aur magazine ke saath gayab hai" Vikram ne praveen ko bola to uske haath se chai ki cup gir gayi sunkar